Aaj Badi Khushi Ki Shaam Hai,
Aaj Mere Shaadi ki Dhoomdhaam Hai.
Aaj Pyaar Ki Khushboo Se BHari Yeh Jhooli Hai,
Aaj Mere Humsafar Ke Saath Kheli Maine Holi Hai.
Aaj Mushkilon Ka daur hai,
Aaj Mere Saas Sasur Ki Umeedein Kuch Aur Hai.
Aaj Mujhe Apney Armaanoo Ko Bhulana Hai,
Aaj Apne Sath Apno ko Sambhalana Hai.
Aaj MUjhe Zindagi KI Naee Shuruwat Ka abhaas Hai,
Aaj Mujhe Maa Bananey Ka ehsaas Hai.
Aaj Asmaan Mey Badal Ghanghor Hai,
Aaj Zimedariyon Ka Badhata Shor hai.
Aaj Gam Ki Ajab Yeh Raat hai,
Aaj Mera Pati kisi aur Ke saath Hai.
Aaj Khamosh aur Gumsum yeh shaam hai,
Aaj Rishta kathm hona hi Anjaam hai.
Aaj Umeedon ki udaan Hai,
Aaj bachon ke saflta ke chooney Ka maan hai.
Aaj Suni yeh Dagar Hai,
Aaj Har Rishta ek Dusarey se Bekhabar hai.
Aaj Maine apno ko phir Kho diya hai,
Aaj Bacchoon ney Maa Ko boojh samajh liya Hai.
Aaj Ankhen Bheegi Aur Chehra udaas hai,
Aaj Haton se phisal jatey reth Ko rokhney Ki aas hai.
Aaj Samajh se Kaam Lena hai,
Aaj Kissi Brahm mey nahi jeena hai.
Aaj nahi banana Kisipe boojh Hai,
Aaj apnoo se Door Apnee Khoojh Hai.
Aaj Meri Umra Pachaas Hai,
Aaj bhi zindagi se mujhe aas hai.
Aaj ankhen Khulli aur yaadein sametein hai,
Aaj reth ki nahi haaton ki ahmiyat samajhtey hai.
Aaj Saflta hi nahi safal rah ki umeed hai,
Aaj Bekhoof humey chain ki neend hai.
Aaj Sooraj key dhalney se nahi ghabarana Hai,
Aaj atmabal sey chaltey jana hai.
Aaj zindagi mey har pal sangarsh jarii hai,
Aaj chehrey pe jhooriyan bahut sari hai.
Aaj sameta zindagi ka har ek hisaab hai,
Aaj apney anubhawo se Likhi ek kitaab hai.
Aaj Sooni dagar mey Roshni hai Bekharna,
Aaj apani samvedana se Jagato hoon Chetana.
Aaj Dil jawan hai, Kushi ki shaam hai,
'Aaj Main hoon' aur karna bahut kaam hai.
.................Bhoomikauttam