Kaisi Meri Grahasti
Dulhan Bani Piya sang main Chali,
Peeche Ma-Baap Jhod Sapno ki Gali,
Shaadi ke Kuch hi dinomey Garbhawati thi,
Apne Maike gayi to dekhi unki berukhi thi,
Ek din Raaste par sath chalte piche jo rah gayi,
Na jane bheed ki maujhdgi mey kaise unka chanta sah gayi,
Ek Ek payi ka hisaab unko batana padta tha,
Bina pooche Ek paisa bhi kharch karna nahi chalta tha,
Unka Gussa Mujhe Maar Khilata tha,
Unka Pyaar mere jakhm par marham lagata tha,
Hamari Beti apne Pita se bahut darti thi,
Hamare jhagade mey kai baar chot usebhi lagati thi,
Sharirik aur Aarthik roop se wah mujhse jyada takatwar the,
Sharminda ho Roote mere Budhe saas- sasur the,
Raat ke nashe mey Bazaru aurat jaisi izzat milti thi,
Din ke ujale mey Sabko zindagi meri samanya si dikhti thi,
Kahan jaati? teen saal ki beti thi jo sath,
Aur ab to nahi tha sar par ma-baap ka bhi hath,
Logon se kahte woh ,apni biwi ko rani bana jevaro se ladate hai,
Yeh to sirf main hi jaanu, ki wah to mere shareer ke Ghaav chupate hai,
Sochti Hoon kaise Is Nark se Nikalti Main,
Beti ko janm na diya hota to shayad khudkhushi karleti main,
Karva chouth ke Din , chand ko dekhon main jabhi,
Prarthana karu, Aisa Var Na mile Kisiko Kabhi!!!
Kaisi Yeh Grahasti chala rahi hoon,
Angaro par roz chal rahi hoon.
................Bhoomikauttam
Edited by bhoomikauttam - 15 years ago