PHIR MILEINGE - Saath Saat Janmo ka.... Sujal Kashish ** Completed**..

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#1
hii every one...i m back with another love story on Sujal and Kashish...this would be my 6th ff...hope u all will like it too...the name will be *** PHIR MILEINGE - sath saat janmo ka***

wish u all a very happy diwali...⭐️


here is the index:-

character sketch - page 1
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed

part 1 - page 1
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed

part 2 - page 2
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed?pn=2

part3 - page 3
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed?pn=3

part 4 - page 4
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed?pn=4

part 5 - page 6
https://www.indiaforums.com/forum/post/128870658

part 6 :- page 8
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed?pn=8

part 7 :- page 10
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed?pn=10

part 8 :- page 13
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed?pn=13

part 9:- page 16
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed?pn=16

part 10:- page 18
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed?pn=18

part 11 :- page 20
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed?pn=20

part 12 :- page 22
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed?pn=22

part 13 :- page 24
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed?pn=24

part 14 :- page 26
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed?pn=26

part 15 :- page 29
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed

part 16 :- page 32
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed

part 17 :- page 35
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed

part 18 :- page 37
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed

part 19 :- page 39
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed

part 20 :- page 41
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed

part 21 :- page 44
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed

part 22 :- page 47
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed

part 23 ( Last Part ):- page 50
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4509971/phir-mileinge-saath-saat-janmo-ka-sujal-kashish-completed
Edited by rkchandni - 9 years ago

Created

Last reply

Replies

253

Views

46.6k

Users

17

Likes

359

Frequent Posters

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#2



SO here is the character sketch...here i m only introducing some main characters...but i will intoduce all the character as story move on...



Chetan garewal 55 yr old (played by deepak parashar):- he is sujal's father...loves his family...



Veena garewal 52 yr old (played by madhvi ghokte):- she is sujal's mother...very kind lady...



Lalit raheja 54 yr old ( played by amit singh thakur ):- he is cg's best friend lives with him in same house...



Vasundhra Raheja 53 yr old (played by vasu of kth):- she is devil eye of the house and lalit's wife...



proff Rajat sinha 54 yr old (played by chetan pandit ):- he is very loving father to his daughters kashish and mehek...his wife passed away...when kashish was in her high schools...he is a proud father...



Sujal Garewal 30 yrs old (played by Rajeev khandelwal):- he is very big business tycoon of india...he loves his wife, his daughter and his family very muchh...very obedient son and loving brother to his kiddo brother rishi...



Kashish Garewal 28 yrs old (played by Aamna shariff):- actually she was kashish sinha...but before her marriage to sujal...she loves sujal alot...she beleives that pati parmeshwar hota hai...jo pati kare...jo pati kahe sab sahi...and is very good daughter as well as very good daughter in law...



Rishi Garewal 27 yr old (played by shabbir alhuwalia):- he is spoil brat...but very loving brother too sujal...but now he is in also in love with his wife mehek



Mehek Garewal 25 yr old (played by poonam joshi):- she is wife of rishi garewal and younger sister of kashish... sujal also treats her as sister...she is pregnant now...soon going to be mother...



Ruhi garewal 4 yr old (ruhi of yeh hai mohabbatein) :- she is only daughter of sujal and kashish...she is the angel...



Piyush Raheja 30 yr old (palyed Rohit bakshi ):- he is the son of lalit and vasu...and sujal's best friend...sujal trust him alot...they both share like brother relation ship...he married to aarchi..and have a baby boy with her...but at the time of delivery she passed away...



Aarchi raheja 27 yr old (played by urvashi dholakia):- she is no more...

Tushar raheja 3yrs old boy (imagine any small kid) :- piyush - aarchi's son...


chirag garewal 53 yr old (played by ram kapoor):-cg's younger brother...he lived in punjab...he was a bad brat isliye...cg aur chirag ki jyada nahi bani...par ab kabhi kabhi dono phone pe baat kar lete hai...



rewa garewal 51 yr old (played by anjum mahendru):- she is wife of chirag...she is a bit greedy women...like vasu...



swayam garewal 28 yrs (played by vikash sethi):-chirag's son...2 year younger than sujal...he is also a spoil brat...

so here was the main character...i know they some how like KTH...there are more characters but i will introduce them further...
*********************************************************
Edited by rkchandni - 9 years ago
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#3


*** PHIR MILEINGE - sath saat janmo ka***

Part 1

R&G house...

its a bright morning...sabhi loge apne apne kaam me busy hai...koi exercise kar raha hai...to koi news paper pad

raha hai...koi kitchen me hai...to koi so raha hai...tabhi sabhi ke kano me ek meethi si awaaz sunaai deti hai...yeh

to yahan ka roz ka hai...is ghar ki badi bahu mandir me aarti kar rahi hai...aur uski aarti ki awaaz se sabhi apne

kamo ko chhod kar mandir ki taraf aa jate hai...

kashish(doing aarti...all are standing behind her except sujal...):-
oohhh...
jai jai jai giriraj kishori...
jai mahesh mukh, chandra chakori...
jai devi maa...teri jai ho devi maa...
amar suhaagan...jai devi maa...
oh maiya... singaar tera laal hai...
oh gauri... singaar tera laal hai...
laal mahavar...laal - laal mehandi...
laal sindoor...to laal - laal chunari...
mad mrig ka tilak tere bhaal hai...
darshan karke...yeh manva nihaal hai...
oh gauri... singaar tera laal hai...

ooohhh...
man vanchhit war dene vaali...
rakhiyo amar suhaag ki laali...
jai gauri maa...teri jai ho gauri maa...
amar suhaagan...jai devi maa...
jai gauri maa...teri jai ho gauri maa...
amar suhaagan...jai devi maa...

kashish turn karti hai...usne green colour ki saree pehnee hai...looking awsm...she has a beautiful smile on her

face...wo jakar sabhi ko aarti deti hai...aur prasad bhi...

mehek:- di nasta ready hai...par sujal bhaiya abhi tak so rahe hai...

kashish:- ok mehek...tum sabko serve karo..main abhi un dono ko lekar aati hu...

kashish aarti ki thaal lekar apne room me jati hai...to dekhti hai ki abhi tak dono baap beti bade araam se so rahe

hai...

kashish:- sujal uthiye...aaj bhi aap aarti me nahi aaye...aap kab sudhroge...ruhi...uth bachha...school jana

hai...

sujal(sleeping tone):- subah subah suru ho gayi madona...(kashish looking at them with open mouth...aur dono

ek dusre ko pakad kar fir so gaye...)

kashish(chilla kar);- sujal uthiye...ruhi uth...(par dono hi na jane kitane hazar ghode bech kar so rahe

the...kashish gayi wash room me aur ek balti paani lakar unn dono ke upar dal diya...they both were totally

shocked get up with open mouth...)

sujal( chilla kar):- kashish...

ruhi(irritated):- mumma...

kashish( like typical house wife tone):- kya ha...main pagal hun kya...jo tum logon ko aise jaga rahi hun...now get

up...mana ki aap dono ko mandir me to koi interest hai nahi...kam se kam uth to jaya karo time se...aur tu

chal...mere sath...wahan rishi ko dekho...kitna sudhar gaya hai mehek ke sath...aur aap hai...din ba din bigadate ja

rahe ho...

sujal & ruhi:- mommm...take a chill pill...

kashish (aur chhid jati hai):- achha kuchh nahi kahungi...(aur ruhi ko utha kar le jati hai wash room me...)

sujal in his mind:- oh god...sadi ke baad saari girlfrnds badal jati hai...inke taane hi khatam nahi hote...chal beta

sujal...agar jute nahi khane ho na...to chal uth ja...

sujal bhi jaldi se uth jata hai...and now all are at dining table...

piyush:- sujal...wo mehta ke contract ka jo tender nikla hai...use hume bhar dena chahiye...its good...

sujal:- hmm...tumne details nikalwaii...

piyush:- ha...its worth while...

sujal:- then go ahead...

rishi:- par big b ek baar puri detail jankar...

vasu:- kyun rishi...piyush ne kaha na...

rishi:- ha aunty i know,,,piyush bhaiya ne kaha hai...par ek baar humein puri detail phir se check karni hogi...bcz

pehle bhi kai baar piyush bhaiya ne kai contracts ki details nikalwai thi...achhe se study bhi kiya tha...par hume sirf

loss hua...

sujal:- stop it rishi...i know piyush very well...aur its a business aur yahan profit aur loss chalta hi rehta hai...

aur ha...rishi aaj ruhi ko tum school chhod dena...meri ek meeting hai...mujhe late ho jayega...

rishi:- ji big b...

piyush (in his mind):- kuchh to karna hi padega...

sujal:- ok kashish m leaving...mujhe rat ko late ho jayega...dinner meeting hai...bye every one...byee princess...

sujal left after about 10 minutes rishi bhi ruhi ko lekar chala jata hai...aur piyush bhi office jata hai...vasu muh

bana kar apne room me chali jati hai to kashish aur mehek kitchen me... mehek kuchh soch rahi thi, ki kashish

uske kandhe pe apna hanth rakhti hai...

kashish:- kya baat hai...?

mehek:- di...jab bhi rishi piyush bhaiya ko lekar kuchh bolta hai to sujal bhaiya humesha rishi ko chup kara dete

hai...par piyush bhaiya ko kuchh nahi kehte...jabki aap bhi janti hai ki rishi galat nahi hai...par...

kashish:- mehek...tumhe is baat se problem hai ki sujal ne rishi ko danta...ya is baat se ki wo piyush par trust karte

hai...

mehek:- nahi di...mere pati hone se pehle...rishi sujal bhaiya ka bhai hai...aur sujal bhaiya rishi ke sath jo kuchh

bhi kare...yeh unke beech ki baat hai...par pata nahi kyun...par jab piyush bhiaya ki baat ati hai toh...di aap to

janti hai ki...

kashish(in her mind):- ha mehek sahi keh rahi ho tum...par tum yeh nahi janti ki main piyush se kitani nafarat

karti hun...chah kar bhi sujal ko kuchh nahi bata sakti...kyuki main nahi chahti ki unka bharosha tute...

mehek:- di kaha kho gayi...

kashish:- nahi kuchh nahi...mujhe thoda waqt do mehek...main sujal se baat karungi...(both hugs and smiles)...

its late night sujal abhi tak office se nahi aaya kashish window ke pass khadi hai aur kuchh soch rahi hai ki sujal

aata hai...aur apna coat bed par rakhta hai aur kashish ko peeche se hug karta hai...kashish smiles...

sujal:- kya baat hai jaan abhi tak aap soyi nahi...

kashish:- kya kare humari jaan jo humare sath nahi thi...

sujal:- sath to main humesha aapke hun...haa pass jarur nahi tha...ruhi so gayi...?

kashish:- haan...aaj aap nahi aaye to apne kamre me so gayi...sach kaha hai kisi ne...betiyaan sirf apne papa ko

pyar karti hai...mumma ko nahi...

sujal:- oh...yeh baat hai...

kashish(muh bana kar):- haa yahi baat hai...

sujal:- toh kya hua...ruhi ke papa hai na...ruhi ki mumma ko pyar karne ke liye...(sujal picks her up in his

arm..takes her to the bed and kashish is shying) kya kashish...humari saadi ko 5 saal se jyada ho raha hai...phir bhi

aaj bhi kitna sarmati ho tum...

kashish:- sujal aap nahi sudhroge na?...

sujal;- nhhh...kabhi nahi...

kashish:- main yahi chahti hun...par pehle lights to band kijiye...

sujal starts kissing her...and switched off the lights...

its a new bright morning at RnG house...sujal office ke liye ready ho raha tha...ki kashish uska juice lekar aati

hai...aur glass ko table me rakh rakh... & sujal ki tei badhne lagti hai...

kashish:- sujal...

sujal:- hmm...

kashish:- wo actually mujhe aap se kuchh baat karni hai...

sujal:- kaho na...

kashish:- wo rishi jo kuchh bhi kal keh raha tha...wo sahi tha sujal...plzzz aap gussa mat karna...par ab rishi ko

bhi samajh hai sahi aur galat ki...

sujal:- kashish its a business matter...ab tum office bhi nahi aati ho to...main sambhal lunga...stay away frm it

ok...(sujal apna coat utha kar jane lagta hai...par kashish ki awaaz se rukta hai...)

kashish:- par piyush ki niyat mujhe bhi sahi nahi lagti...i know aap us par bahut trust karte hai par main

nahi...sujal aap usse itna pyar karte hai...par wo aapse pyar nahi karta...nafarat karta hai wo aapse...wo badal

gaya hai...wo aapka purana piyush nahi hai...(sujal turns he has tears)...

sujal:- janta hun...sab janta hun...par fir bhi chup hun...is ghar ke liye...humari purani dosti ke liye...kashish

agar hum kisi ki nafarat k badle sirf nafarat deinge...to hume sirf nafart hi milegi...nafarat hi dikhegi...nafarat ko

nafarat se nahi mitaya ja sakta...nafarat ko sirf pyar se kam kiya ja sakta...kisi ko itna pyar do...ki wo insaan

aapse pyar karne pe mazboor ho jaye...bas...yahi sikha hai maine...mumma se, tumse...to bas wahi kar raha

hu...piyush ko itna pyar dena chahta hun ki...wo fir se purana wala piyush ban jaye...aur jahan tak baat hai rishi

ki to wo meri kisi baat ka bura maan hi nahi sakta...(kashish hugs him instantly)

kashish:- i love u sujal...aap sabse juda ho...

sujal:- i love u too...(tabhi ruhi aati hai...apne school uniform me aur apne hips par hanth rakh kar bolti hai)

ruhi:- aap log phir suru ho gaye...aap log ek dusre ko i love u kehne se thakte nahi ho...

kashish:- oye chhup kar...

ruhi:- no...papa...aap sayad bhul rahe hai ki ruhi ko school aapko drop karna hai...apna romance bad me

continue karna...ab chalo i m waiting for u downside...

sujal;- yes mam...(ruhi left)...kashish ab mujhe pura yakeen ho gaya hai ki yeh meri hi beti hai...

kashish:- haa...aap hi ki tarah besaram...

sujal:- right...(he frwrded to kiss her but she placed her hand on his mouth)...

kashish:- no...just go...

sujal:- kya yar...plzzz...

kashish :- no means no...

sujal:- ok...

aur sujal muh pher kar khada ho jata hai...kuchh nahi bolta...then kashish uske kareeb jati hai...aur uske cheek

pe 1 peck deti hai...sujal respond nahi karta...phir kashish 2nd peck deti hai...again sujal kuchh nahi

kehta...kashish 3rd peck dene jati hai ki sujal apne lips kashish ki taraf kar deta hai...and they have a lip to lip

peck...aur fir sujal winks at kashish apna bag lekar bhag jata hai...

kashish :- pagal...hey bhagwan mere sujal ke chehre pe yeh muskaan banaye rakhna...

jabse aarchie ki maut hui hai kashish ne hi tushar ko paala hai...sabhi kehte hai piyush ko sadi kar le par wo nahi

manta...kashish tushar ko taiyaar kar rahi thi ki piyush aata hai...

piyush:- kashish...thanku...mere bete ka khayal rakhne ke liye...

kashish:- kashish nahi...kashish bhabhi...aur jahan tak baat hai tushar ki to wo bachha hai...mujhe tumse

problem hai usse nahi...

piyush:- par kyun hai ha...main to...

kashish:- shut up piyush yeh natak band karo...at least mere saamne to mat hi karo...apna yeh naatak ghar walo

aur sujal ke liye rakho...waise main tumse baat hi kyun kar rahi hu...

tushar:- kashish chachi kya hua...aap papa ko dant kyun rahe ho...?

kashish:- kuchh nahi beta...wo kya hai na...main aur aapke papa ek game khel rahe hai bas...achha ab fast - fast

neeche jao aur mehek chachi se apna breakfast lelo...(tushar left...kashish to piyush...)aur haa jeth ji...(piyush

looks at kashish with what the hell look) aise kya dekh rahe hai...3 mahine hi sahi aap mere pati se umra me bade

hai to hue na mere jeth...to agar yaad rahe to next term ke school admission ke liye sujal ne tushar ka form fill kar

diya hai...waha us table pe rakha hai...sign kar dena...kya hai na...signing authority to tumhare hi paas hai...baap

jo ho...baat alag hai ki baap ka farz sujal nibha rahe hai...(and kashish left from there)...

piyush:- dekh lunga kashish...tumhe bhi dekh lunga...tumne aur tumhare sujal ne mujhse mera sab kuchh cheena

hai...main tum dono se tumhari hasi, tumhari khushi...yahan tak ki aanshun tak chhen lunga...aur waise

bhi...ab main akela nahi hu...

end of part 1
press like if u really liked it
do comment
love chandni

*****************************************************

Edited by rkchandni - 9 years ago
nilusoni thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#4
Awesome start and concept
Thanks for pm
RNforever thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#5
nice start
sujal kashish saath saath h gud
but yeh suspens kya h kashish kyu nafrat karti h pyuish se
cont soon

love naina
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#6
*** PHIR MILEINGE - sath saat janmo ka***

Part 2

piyush:- dekh lunga kashish...tumhe bhi dekh lunga...tumne aur tumhare sujal ne mujhse mera sab kuchh cheena

hai...main tum dono se tumhari hasi, tumhari khushi...yahan tak ki aanshun tak chhen lunga...aur waise

bhi...ab main akela nahi hu...

a hotel room...

piyush:- welcome to shimla yar...thanks mera sath dene ke liye...wo tumhara bhai hai par...

swayam:- bloody hell with bhai...ihate them...kya mila hai mujhe...kya mila hai mera dad ko...us chetan garewal

ne mere papa ko kahin ka nahin chhoda now main unke beto ko kahin ka nahin chhodunga...waise tumne kya

socha hai...kya karoge...

piyush:- socha to maine bahut kuchh hai...kal us kashish ne mujhe bahut sunaya ab main use dikhaunga ki piyush

raheja kya kar sakta hai...bahut naaz hai use apne pati par...apne pariwaar par...par ab na uska pati uske sath hoga

na uska pariwaar...bheekh mangegi wo mujhse...

swayam :- aisa kya karoge...?

piyush:- suno...

at night...a restaraunt...

ruhi:- wow papa...its so cool...aur yahan ka icecream bhi awsm hai...

sujal:- i know princess tabhi to papa aapko yahan laayein hai...

kashish:- ruhi achhe se khao...apna face kitana kharab kar rahi ho...sujal mehek aur rishi bhi aate to kitna achha

hota na...

sujal:- ha...to batao kashish tum kya khaogi...?

kashish:- anything...but...

sujal:- but indian...kashish change ur taste yar...

kashish:- mr aap bhool rahe hai ki aap bhi mera hi taste hai...aur ha(wahan ki knife utha kar sujal ko dekhate

hue) khabardar jo aapne apna taste badalne ki sochi bhi...(ruhi is laughing)...

sujal;- kya kashish...sab dekh rahe hai...knife neeche karo...apna na sahi...meri aur princess ki izzat ka to khayal

rakho...

kashish:- ha ha ha very funny...

they all three have a beautiful dinner & romatice chit chat...and retuned to R&G house...but in 3no ko nahi

pata tha ki koi un par nazar rakhe hue tha...aise hi inaki zindagi ke ka 1 hafta kab beeta inhe pata nahi chala...

now its noon...kashish ruhi ka wait kar rahi hai taki wo school se aa jaye...tabhi driver ata hai...uske sath kewal

tushar hota hai...

kashish:- are sirf tushaar...ruhi kahan hai shyam...

shyam;- mam...maine ruhi baby ko sab jagah dhundha...sabse puchha bhi par wo kahin nahi mili...

kashish(socked):- kyaaa...kahin nahi mili...aisa kaise ho sakta hai...chalo main chal ke school me dekhti hoon...

(tabhi veena aati hai)...

veena:- kya hua kashish beta...aise pareshaan kyun lag rahi ho...

kashish:- dekhiye na mumma...yeh driver keh raha hai ki ruhi school me nahi mili...mumma...meri bachhi...

veena:- beta shant ho ja kuchh nahi hoga...chal hum dono chal kar school me dekhte hai...

mehek:- ha di ruhi mil jayegi...aap dono jaiye...main tushar ko dekhti hoon...

kashish aur veena ruhi ke school jate hai sab jagah dhundhte hai par ruhi nahi milti...kisi ko kuchh pata bhi nahi

hai...finally kashish sujal ko phone karti hai...jo meeting me tha...par kashish ka phone bahar aakar uthata

hai...

kashish (rote hue...):- Sujjjaalll...

sujal:- kashish kya hua...tum ro kyun rahi ho...bataogi...kashish...

kashish:- sujal wo ruhi...

sujal:- ruhi...kya hua use...kahan hai wo...kashish...

kashish:- sujal ruhi ka kuchh pata nahi chal raha...wo school me nahi hai...kisi ko uske bare me kuchh nahi

pata...ghar bhi nahi aai...

sujal:- kyaa...

kashish:- sujal aap jaldi aa jao...mujhe meri ruhi laado...

sujal:- kashish chup ho jaao...kuchh nahi hoga ruhi ko...main abhi aa raha hu...

sujal meeting room me jata hai...aur

sujal:- sorry gentle man i have to go...rishi, piyush..ghar chalo...

rishi:- big b kya hua...?

sujal:- pehle chalo batata hu...(all three left)...

sujal, piyush aur rishi ghar aate hai...kashish daud kar jakar sujal ko hug kar leti hai...

kashish:- sujall...ruhi...wo...

sujal:- kuchh nahi hoga use...pehle poori baat batao...

kashish told him every thing...

rishi;- big b hum abhi police station chalna chahiye...

piyush:- nahi...

kashish:- kyun...

piyush:- sujal...jab tak 24 ghante nahi hote...we FIR darz nahi kareinge...u know that...humein khud use abhi

dhundhna hoga...hum abhi police station jakar apna time waste kareinge...

cg:- ha sujal bete...piyush bilkul sahi bol raha hai..chalo..hum sab apni apni tarah se ruhi ko dhundhte hai...

sabhi ruhi ko dhundhne me lag jate hai kareeb 1 ghante bad ghar ka phone bajta hai...kashish, veena, mehek aur

vasu bas hote hai...kashish turant phone uthati hai...

kashish:- hello...

a man;- sun ruhi garewaal humare kabze mein hai uski salaamati chahti hai to...

kashish:- kaun ho tum...kahan hai meri beti...tumne use kuchh kiya na to i will kill u...

a man:- aieee chup kar...wo humare kabze me hai...aur abhi zinda hai...use pana hai to police ko khabar karne

ki sochna bhi mat...aur...humare agle call ka intezaar kar...(and he shut the phone)...

kashish shocked hokar behose ho jati hai...

veena:- kashish...kashish kya hua...uth...

mehek:- di...

veena:- mehek sujal ko phone laga...aur sabko ghar bula...

yahan mehek sujal aur baki sabhi ko phone laga kar ghar bulati hai kashish behose hai...sujal aata hai to ghabra

jata hai...dr uska checkup karte hai...thodi der bar use hose aata hai...aur wo rone lagti hai...

sujal;- kashsish...tum theek to ho...aur kya kaun tha phone pe...(kashish is crying)...

kashish:- sujal...un logon ne ruhi ko kidnap kiya hai...(dhamaake on all's face...)...

sujal:- kya bakwaas kar rahi ho...hose me to ho...

veena:- sujal beta wo bilkul sahi keh rahi hai...thodi der pehle kidnappers ka phone aaya tha...aur...(she is

crying...)...

rishi:- big b chaliye...police station...

kashish;- nahi...kabhi nahi...un logo ne kaha hai ki humne agar police ko kuchh bhi bataya to...wo...nahi

sujal...aap police ke pass nahi jayeinge...samjhe aap...koi bhi police ko kuchh nahi kahega...mujhe meri bachhi

chahiye bas...(sujal who is in a great shock...aaj uski sabse anmol cheez uski zindagi...uski beti usse door thi..na

jane kis hal.me par use kashish ko bhi sambhalna jaruri tha...)

sujal;- kashish look..kuchh nahi hoga use...samajh gayi...kuchh nahi hoga...ab saaf saaf batao...unn logon ne kya

kaha...

kashish(crying):- usne bas yahi kaha ki...ruhi unke kabze me hai...aur agar hum use pana chahte hai to police ko

khabar na kare...aur unke agle call ka wait kare...

rishi:- par bhabhi...

sujal;- rishi...i know tum kya kehna chahte ho...par humein agle call ka wait karna hi hoga...

aise hi 2 ghante beet gaye...ki un kidnappers ka call aata hai...sujal daud kar call recieve karta hai...

sujal:- hello...

man:- sujal garewal...police ko phone karne ki galti to nahi ki na...

sujal:- maine police ko kuchh nahi bataya hai...meri beti kaha hai...agar use kuchh hua na to...

man;- kya yar...tum dono miya biwi ek se ho...khair...agar apni beti ko zinda pana chahte ho to 100 cr rupaye

taiyaar rakhna...

sujal:- 100 crore...

man;- han...kyun...?...tumhari beti ki jaan se jyada hai kya...

sujal;- nahi...main intezaam karunga...par pehle saboot do ki meri beti tumhare paas hai...mujhe usse baat karni

hai...

man:-theek hai...(then wo phone ruhi ke kaan pe rakhta hai...aur uske muh se kapda hatata hai...)le apne baap

se baat kar...

ruhi(crying):- papaaa...papa...(Sujal ki to jaan nikal gayi thi...)papa mujhe aapke paas aana hai...mumma ke pass

yeh...uncle bahut gande hai...

sujal;- mera bachha...kuchh nahi ho tumhe papa hai na...ruhi...ruhi...

man:- kar li baat...ab paise...

sujal:- kaho..kahan pahunchana hai.

man:- yeh hui na...ek pyari si beti ke achhe papa wali baat...to sunn...paise tu nahi...teri biwi layegi...wo bhi sare

notes hazar me hone chahiye...aur khabar dar uske sath koi aaya to...use bol paise lekar akele gadi chala

kar...marine ke jumgle ke pass jo highway hai...wahan aa jaye...phir hum bata deinge ki use paise kahan chhodne

hai...aur ha...subah theek 4 baje...samajh gaya...chal ab phone rakh...(he shuts the phone...)...

kashish:- kya kaha usne...aapne ruhi se baat ki na...kaisi hai wo...wo theek to hai...

sujal:- ha...par usne ruhi ko chhodne ke liye 100 crore rs mange hai...

vasu:- 100 cr..are u out of ur mind...

sujal:- aunty...wo meri beti hai...

lalit:- vasundhra tum...sujal..to hum abhi intezaam karte hai...tum jao paise lekar aur ruhi ko lekar aao...

sujal:- main nahi uncle..kashish ko bulaya hai...wo bhi akele...

veena:- kya...par sujal...kashish akeli...wo wahan...

kashish:- main jaungi mumma...mujhe bas ruhi chahiye...(tabhi sinha saab aate hai...)

proff sinha:- kashish...

kashish:- papa...(wo daud kar apne papa ke gale lag jati hai aur ro rahi hai...)papa...meri ruhi...

proff sinha:- kuchh nahi hoga use beta...tu chinta mat kar...

rishi:- big b...humein...(sujal ishaaro me rishi ko kuchh kehta hai...rishi chup ho jata hai)...

piyush:- sujal hume jald se jald paise ikaththe karne honge...(sujal nods in yes...aur sabhi paise ikaththe karne me

lag jate hai...)

now its almost morning...kareeb 3 baje hai...sujal kashish ko bag deta hai...

sujal:- kashish plzzz..dhyaan se ha...(kashish nods in yes...)...tumhe rasta to achhe se pata hai na...(kashish again

nods in yes)...

yahan kashish paise lekar nikalti hai...aur wahan piyush bhi kahin chala jata hai...aur dusri taraf police garewaal

house aati hai...

inspector:- dont worry mr garewaakl...mr rishi garewaal ne hume sab bata diya hai...lets go...apki bbeti aur wife

dono ko kuchh nahi hoga...

veena:- sujal tune...

sujal;- mumma...wo loge bahut khatarnak ho skate hai...bina police ke hum kaise...kashish kabhi nahi

manti...isiliye nahi bataya...

proff sinha:- sujal bikul sahi keh raha hai...tum dono jao...aur unn dono ko sahi salaamat lekar aana...(sujal &

rishi left with police)...

yahna kashish ko kab se aisa lag raha hai...mano koi uska peecha kar raha hai...wahin koi tha...jisne kashish pe

nazar rakhi hui thi...ki thodi der bad kashish wahan pahunch bhi jati hai...par us insaan ki nazar police aur sujal

rishi par bhi pad gayi...aur wo ghabra gaya...aur wahan se bhaga...yahan kashish...bahut der se wait kar rahi

hai...ki call aaye...par call nahi aaya...

another side...where ruhi was...

a man:- tumne mujhe roka kyun kashish ko call karne ko... piyush bolo bhi baat kya hai...

piyush:- yeh sujal nahi sudhrega swayam...wo kashish to aa gayi hai...par sath me sujal bhi hai...peeche peeche

uske aur uska wo bhai...police ke sath...

swayam;- kya...oh god ab kya kare...wqaise bhi wo bachhi kitna roti hai...aur bak bak karti hai...

piyush;- suno..kahin ruhi ne tumhe dekha to nahi...?

swayam:- nahi...main uske saamne jab gaya tha to mask pehna tha...mere aadmi hai uske sath...abhi to behose

hai...

piyush:- behose...lekin kyun...wo bachhi hai...

swayam;- kya baat hai piyush...us par bada pyar aa raha hai...kahin kuchh...

piyush:- nahi aisa kuchh nahi hai...chalo use lekar yahan se nikalte hai...wo loge kabhi bhi yahan pahuch sakte

hai...

another side...

inspector;- mr sujal lagta hai un logon ne kashish ji ko abhi tak phone nahi kiya...

another inspector:- par sir kahin kisi ko humari khabar to nahi lag gayi...ki...

inspector;- ho sakta hai...

sujal;- are aise kaise ho skata hai...

tabhi kashish ka phone bajta hai...

kashish;- hello...

swayam;- mana kiya tha na...kisi ko bhi sath me mat lana...pati ko to sath me laai...sath me police ko bhi...ab to

teri beti gayi...

kashish:- nooo...main akeli aai hun...koi nahi hai sath mere...yakeen mano mera...tumhe koi galat fehmi hui

hai...plzzz mujhe meri beti dedo...plz...

swayam;- theek hai...to apni gadi ghuma...aur seher ki taraf le...aur 1 km baad rok dena aur bag nikal kar beech

road me rakh dena...par tabhi gadi start karna jab hum kahe...samjhi...

kashish:- par meri beti...

swayam:- jaise tu bag rakhegi...hum wo bag uthayeinge...aur teri beti ko wahi chhod deinge...(he suts the

call...kashish yahan wahan dekhti hai...par use sujal...ya police nazar nahi aati phir...wo wapas gadi me baith jati

hai...

another side...

yeh sari baatein swayam aur piyush kashish se usi kamre me kar rahe the jahan ruhi thi,,,,aur ab ruhi ko hose aa

gaya tha...usne dheere se apni aakhien kholi...aur hairaan reh gayi...piyush ko wahan dekh kar...

ruhi:- piyush chachu...(piyush and swayam both looked at her...and shocked...)...piyush chachu...mujhe le chalo

ghar...yeh uncle...(piyush bahut ghabra gaya...ki ab ruhi sabko uske bare me bata degi...usne...ek aadmi ke

haath se chloroform ki bottle cheeni...aur use rumal me dal kar...ruhi ko sungha diya...aur kafi der tak press

kiya...)

swayam:- oh nooo...ab kya kare...isne to tujhe...((par piyush bas behose padi ruhi ko dekh raha tha...)

piyush...chalo uthaao ise...jo plan kiya hai wo to kareinge...

piyush ne ruhi ko uthaya...aur sab gadi me baithe aur nikal gaye...aur kashish ko bhi nikalne ke liye keh

diya...wahi sujal bhi ab kashish ka peecha kar raha hai police ke sath...after about 1 km...kashish ne gadi roki aur

bag nikal kar main road pe rakha...us road se kafi sari gadiya ja rahi hai...ki achanak ek black omni rukti

hai...aur usme se ek aadmi aakar 10sec me paise uthata hai...aur dusri taraf se piyush behose ruhi ko road par leta

deta hai...aur gadi turant waha se nikalti hai...kashish bas daud kar ruhi ke pass jati hai...aur sujal bhi daud kar

aata hai...police us gadi ka peecha karne nikal jati hai...

kashish;- ruhi...ruhi uth...sujal...

sujal;- kashish...lagta hai yeh behose hai...chalo hospital lekar chalte hai...rishi gadi nikal...

sujal, kashish aur rishi, ruhi ko lekar hospital pahunchte hai...qaur ghar walo ko bhi inform kar diya hai ki unhe

ruhi mil gayi hai...ruhi sujal ki gode me hai...

sujal;- dr...dr dekhiye na...meri beti behose hai..ise...

dr:- oh god...nurse..is bachhi ko icu me chalo iski nabz...iski nabz to...

kashish(rote hue):- kya hua dr...meri beti theek to hai na...dr plzz...use theek kar do...

dr:- dekhiye humein use dekhne dijiye...

dr jhat se ICU me jate hai...aur ruhi ko check kar rahe hai..idhar...

kashish:- sujalll...meri ruhi...use kuchh...sujal kuchh boliye na...(par sujal sirf ICU ke door ki taraf dekh

raha hai...tabhi dr aate hai...)

kashish:- dr ruhi...

dr:- unke sath kya hua hai...jo..

kashish:- dr use kisi ne kidnap kar liya tha...wo theek hai na dr...main use mil sakti hu na...main abhi...

dr:- unhe cloroform bahut jayada matra me inhale kara diya gaya hai...jo itani chhoti bachhi ke liye...overdose

tha...i m sorry jyada matra me cloroform inhale karne ke karan...she is no more...(dhmaakeee)...

rishi;- aieee...band kar apni bakwaas...use kuchh nahi ho sakta...

dr:- dekhiye...mr garewaal...mrs garewal...its the truth...aapki bachhi ab nahi rahi...

(tabhi sabhi garewals + sinha saab aate hai...aur sabhi ke pairo tale jameen nikal gayi...wahi...lalit ne piyush ko

bhi inform kar diya tha...to wo bhi aa gay...sirf wo hi ek tha...jo dil hi dil me khush tha...aur police bhi aa gayi

unhone bhi sunn liya..unhone dr ka bayan liya aur sujal ke kandhe par hanth rakha...)

inspector:- we are sorry mr garewaal...(they left)...

sujal kashish bas ICU ke door par dekh rahe the...sujal jahan paththar ban gaya to kashish behose ho gayi...


end of part 2
press like if u really liked it
do comment
love chandni

*********************************************************
*********************************************************

Edited by rkchandni - 9 years ago
RNforever thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#7
so sad yr ruhi is no more
ab m isse nice part toh kah nhi sakti na ab m kase read karugi yr m sujal ko rote hue nhi dekh sakti hu
ab m kase padugi aage ke parts 😭

love naina
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#8

Originally posted by: RNforever

so sad yr ruhi is no more
ab m isse nice part toh kah nhi sakti na ab m kase read karugi yr m sujal ko rote hue nhi dekh sakti hu
ab m kase padugi aage ke parts 😭

love naina


OK par aage jarur nice kahogi m sure
Aur read b karoge
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#9
thankuuu every one for liking part 2...here is the part 3 keep reading...keep smiling...love
Edited by rkchandni - 9 years ago
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#10



*** PHIR MILEINGE - sath saat janmo ka***


Part 3

sujal kashish bas ICU ke door par dekh rahe the...sujal jahan paththar ban gaya to kashish behose ho gayi...thodi

der bad sabhi sujal kashish aur ruhi ko ghar late hai...kashish ko ab hose aa gaya hai...ab wo sirf ruhi ko dekh kar

roye ja rahi thi...uska hi nahi sabhi gharwalo ka haal behaal tha...sujal usne abhi tak ek shabd nahi bola...bas ruhi

ko dekh raha hai...sabhi ristedaar aa chuke hai...sinha saab rishi ke paas jate hai...

proff sinha:- rishi...beta...kashish to ab theek hai...par sujal...use rulao...wo is tarah...abhi use hi ruhi ko le jana

hai...wo kaise karega...hum sab jante hai ki ruhi sujal ke liye kya hai...

rishi:- papa main...kaise...mujhse nahi hoga...meri bachhi...(wo sujal aur kashish ki taraf dekhta hai...jahan

kashish ko mehek sambhal rahi hai...wahi sujal akela baitha hai ruhi ko dekh raha hai...)nahi kabhi nahi...

proff sinha...sujal ke paas jate hai...

proff sinha:- sujal...beta...ruhi...chali gayi hai...wo bhagwaan ke paas chali gayi hum sabko chhod kar...mar gayi

wo...(but sujal is not responding...tabhi pandit ji kehte hai...ki antim sanskaar ke liye jana hai...)

rishi aata hai aur sujal ko khada karta hai...aur ruhi ko utha kar sujal ki gode me rakhta hai...sujal bas use abhi

bhi dekh raha hai...phir sabhi chalne lagte hai...sujal bas wahi kar raha hai...jo rishi keh raha tha,...use kuchh

hose nahi tha...aur sayad hose tha ki wo kya kar raha hai...par sadma itna gehra hai ki wo response hi nahi kar pa

raha hai...sujal aur baki sab ruhi ko lekar ja hi rahe hote hai ki...kashisha aa kar sujal ka pair pakad leti hai...

kashish(she is crying sab use sambhal rahe hai...waise bhi ma baap ke liye aulaad ki maut se bada jakhm ho nahi

sakta ):- sujall...meri ruhi ko mat le jaao...main mar jaungi...use mat le jaao...meri bachhi...sujaalll mat

karo...mujhe meri ruhi chaaahiyyyeee...ruhiii...(sab aage chale gaye...)

sujjjalll...ruhiii...ruhiii...ruhiii...

mujhe meri beti chahiye,...

aise hi sabhi loge sujal sahit...ruhi ka antim sanskar (dafnana) kark aa gaye...sujal ne sab kuchh kiya...par abhi

tak na wo kuchh bola hai...na wo roya hai...ghar me maatam hai...sabhi aise hi baithe hai...thodi der bad sab

apne kamre me chale gaye...kashish pehle se hi apne kamre me hai...sujal kamre me aata hai... aur jakar apni

khidki k pass khada ho jata hai...veena bhi aati hai...aur apne bachho ko aise kar wo hazaar maut mar rahi

thi...wo kashish ke pass jati hai...aur uske bagal me baith jati hai...kashish apna sir veena k kandhe pe rakh deti

hai...

veena:- kashish...beta tujhe ehsaas hai na ki kya hua...(kashish nods in yes)...to beta tu...

kashish:- mumma...ek maa ke liye isse bada dard kya hoga ki wo apne 4 saal ke bachhe ki lash dekhe...

veena;- sahi kaha tune tera dard koi samajh sakta...sayad main bhi nahi...par beta sirf ma ke liye nahi...ek baap ke

liye bhi utna hi mushkil hai...aur phir (Sujal ki taraf dekhte hue jo abhi bhi khidki k bahar dekh raha tha) us baap

ke liye kitna muskil hoga...jiski jaan apni princess me basti thi...tujhe to ehsaas hai par sujal ka kya...(kashish ab

sujal ki ore dekhti hai...) tune to ro kar apna mann halka kar liya...par wo kal se kuchh nahi bola...na roya

hai...hum sab haar gaye hai kashish...wo samajhne ko taiyaar nahi...ab ho sake to apne pati ko bacha le...(aur

veena rote hue wahan se chali gayi...kashish sujal ki taraf dekh rahi hai...use we sare pal yad aa rahe hai...jo sujal

ne ruhi ke sath bitaye...jinki gawah kashish thi... kashish dheere se uth kar jati hai...aur sujal ke kandhe me apna

hanth rakh deti hai...sujal uski taraf dekhta hai par wapas aasmaaan ko dekhne lagta hai...)

kashish( tears):- sujal...ruhi chali gayi hai...sujal aap sunn rahe hai na...wo chali gayii hai..mar gayi hai aapki

beti...(sujal apna muh pher leta hai)...muhh pherne se kuchh nahi hoga...aap...ro kyun nahi rahe ha...mujhe

pata hai aapko takleef hai...to chhepa kisse rahe hai mujhse...ya apne aap se...yad hai sujal aapne ek baar kaha

tha...jab humari ruhi ki vidai hogi...tab aap bahut roeinge kyunki...aap use jata nahi dekh sakte...lekin aaj

dekhiye...aap use humesha ke liye vida karke aa gaye... (sujal ki aankhien lala ho gayi...usko sare pal yaad aa

rahe the...) aap ko koi gum nahi na...aapka sapna adhura reh gaya...use dulhan bane dekhne ka...kitane sapne

dekhe the aapne uski sadi ke liye...uske bhavishya ke liye...uski vidaai ke liye...par ab aisa kuchh nahi hoga...kyuki

ab wo chali gayi...aapke sare sapne tod kar chali gayi...(sujal ki aankh me aanshun aa gaya uska back kashish ki

taraf hai) kyun kiyaa aapne aisa haan...aap police ko lekar kyun aaye ha...kyun...aap jante the ki khatra hai phir

bhi aap...kyunn..kiya aapne aisa...aaj aapne ruhi ko...(sujal is totally shocked...)humesha ke liye aapko akela

chhod kar chali gayi...lekin dekhiye...jis sujal garewaal se apni princess ka ek aanshun nahi dekha jata tha...wo

use bacha nahi saka...isi din k liye use paida kiya tha sujal ki ek din aise hi ja kar use dafna...itana hi tha...to ab

tak kyun intezaar kiya...paida hote hi use...(sujal is extreamly anger...he turned and slaped her hard across her

face...itna jor ki kashish ke lips se khoon tak nikal aaya...but was happy ki sujal ne react kiya...yahi to wo chahti

thi...)

sujal (tears flowing from his eyes...held kashish's soldiers):- kya kaha...kya kaha...main...mann to kar raha hai ki

tumhe...how could u kashish...how could u...tum aisa...aur main police ko kyun lekar aaya...kyyuki main tum

dono ko nahi chahta tha isliye laaya...aur...(kashish hugs him)...

kashish(bitterly crying in his arm ):- i m sorry sujal...aap ki chuppi todne ka mere paas aur koi rasta nahi

tha...beti kho chuki ho...pati nahi khona chahti thi...m sorry...(Sujal samajh gaya ki kashish ne janbujhkar

sab kaha...taki use hose me laa sake...he hugs her back...now both are crying from their heart...aaj inki

duniyaan ujad gayi thi...puri raat beet gayii...puri rat sujal aur kashish ek dusre ko gale laga kar sirf ro rahe

the...)

aise hi kuchh din beet gaye...ruhi ka terhwa...aur baki sab bhi ho gaya...kisi ki life normal nahi hui hai...sujal ne

police ko investigation karne ko kaha...to piyush dar gaya tha...par kashish ne yeh notice kiya...pata nahi kyun par

kashish ko piyush ki harkate ab sahi nahi lag rahi thi...wo phir se sochna suru karti hai...jabse ruhi kidnap hui

hai tabse...jab bhi ruhi ka jikar hota hota hai kidnapper ko lekar piyush ke chehre ke expressions badal jate

hai...iae hi 1 month beet gaya...sab ab thode normal chuke hai...par kashish aur sujal nahi...ek din kashish

piyush ko ek file dene gayi room me...wo kisi se phone baat kar raha tha...

piyush:- hey common swayam...dont worry sab bikul sahi hai...hum bhi safe hai...aur suno..wo 100crore rs

sambhal kar rakhna abhi kahin kharch mat karna...abhi bhi investigation chal rahi...notes ki wajah se hum pakde

ja sakte hai...

kashish ke pairo tale jameen nikal gayi...piyush gira hua tha yeh use pata tha...par is had tak ki uski beti k

sath...kashish ne sabra se kaam liya...aur chhip kar sari batein suni...uska khoon khaul raha tha...uska mann kar

raha tha ki wo abhi piyush ko maar de...piyush kuchh bahana kark ghar se nikla aur swayam se milne

gaya...idhar kashish ne phone uthaya...aur piyush ko phone lagaya...kashish ka dimaag kaam nahi kar raha tha

ki use kya karna chahiye...is waqt use sirf apni bachhi ka khooni nazar aa raha tha...usne piyush ko valley pe

bulaya milne ko...piyush maan gaya...aur dusri taraf sujal ko kaha aane ko...sujal ghabra gaya tha...kyuki

kashish bahut hi azeeb tarah se baat kar rahi thi...yahan se sujal nikla...aur dusri taraf se kashish aur piyush

valley ki taraf...kashish aur piyush pehle pahunch gaye...

piyush:- kashish...tumne mujhe yahan kyun bulaya...mann bhar gaya hai kya sujal se...(kashish ki aankh puri

tarah se lal thi...kashish se apne peeche se gun nikali aur piyush ki taraf point kiya...)k kkashish..yeh kya kar rahi

ho...pagal ho gayi ho kya...

kashish:- tune meri beti ko mara...(dhamake on piyush face...)tune uska kidnap karwaya tha...(dhamake on

piyush face...) tune mujhse aur sujal se jeene ki wajah chheni...kyun...kyun kiya...bol...waise bhi tu to aaj

marega...aaj main nahi chhodungi...aur yeh mat sochna ki main tujhe police ke hawaale karungi...tere faysla ruhi

ki maa karegi...abhi isi waqt...bas mujhe yeh bata ki ruhi ne tera kya bigada tha...bolll(tabhi piyush ki nazar

sujal ki gadi par gayi...sujal yeh scene dekh kar shocked tha )...

piyush:- sujal...(kashish ne apna sir turn kiya aur sujal ko dekha...is baat ka fayda utha kar piyush ne kashish k

hanth se gun chheen li...sujal daud kar aaya)...

sujal;- piyush...kashish yeh sab kya hai...piyush...(piyush muskuraya...aur usne ek no dail kiya...)

piyush:- jaldi aao...wahi purani jagah...(cuts the call...) to kashish ab jab tumhe yeh pata chal hi gaya hai ki

maine hi tumhari beti ko mara hai to...(sujal is hell shocked)...ha sujal...maine hi ruhi ka kidnap kiya

tha...maine use jaan bujhkar nahi mara wo to galti se...(sujal catches his coller)...na na sujal...mere hanth me

gun hai...teri biwi ko abhi mar dunga...

sujal:- kyun kiya tune piyush...tu to mera bhai...

piyush:-shut up...bhai my foot...nafarat...ki had se jyada nafarat karta hun main tujhse...tune mujhse

mera sab kuchh chheena...yahan tak ki meri biwi bhi...(dhamake)..

sujal:- maine...?

piyush:- mera pyar bhi tune mujhse chheen liya...meri kashish...(dhamake on sujal & kashish face...)kyun

kashish tumne sujal ko bataya nahi kya...ki main tumse shadi karna chahta tha...par isne mere pyar ko thukraya

aur tujhse shadi ki...tune mujhse meri biwi chheen li...kyuki...aarchi ne mujhse shadi sirf is liye ki thi ki wo tujhse

pa sake...taki ek din wo tere aur kashish k beech nafarat paida kar aur tujhe hasil karle...humari sirf contract

marriage thi...koi pyar nahi tha humare beech...aur tushar...wo to meri aur aarchi ki ek galti ka nateeja hai...tune

mujhse mere papa chheen liye...pura business tere isharo pe chalta hai...sab kuchh tera...mera kya...kai baar

kosis ki maine ki kashish ko hasil kar saku...ek bar to ise jabarjasti apne bed tak le gaya tha...(sujal clutches his

hand) par yeh...sati savitri nikali...yeh toh bas tujhse pyar karti thi...par ab agar yeh teri nahi to kisi ki

nahi...ruhi se meri koi dusmani nahi thi...bas wo meri dusmani ka sikaar ho gayi...usne mujhe dekh liya

tha...agar use zinda tum logon ke saamne bhejta to wo kabhi na kabhi mere bare me sab ko bata deti...is liye mujhe

use marna pada...aur jaha tak sawaal hai tum dono ka...to ab tum dono ko bhi meri sachhai pata hai...to ab tum

dono ko bhi marna hoga(dhamake)...bahut badi galti kardi tumne kashish mujhe yahan bula kar...(tabhi swayam

kuchh logon k sath wahan pahunchta hai...lo mere mehmaan bhi aa gaye..tumhara ek aur dushman sujal...

swayam:- hi brother...swayam garewaal tumhara bhai...

sujal:- mujhe nahi pata...ki abhi is waqt humare sath kya hoga...par tum dono ka insaaf jarur hoga...jarur...

(kuchh gunde aate hai aur kashish ko pakad lete hai...)aeee chhod use...

kashish:- sujal...chhodo mujhe...leave me...

swayam:- oh common bhabhi itna gussaa achha nahi hai...(he touched on her tummy...)

sujal;- heee...i will kill u...u bas*****d...

swayam to his man;- he...dekh kya rahe ho...humare pujya bhai saab ki khatidari nahi karoge...aaj to zindagi

bhar ka gussa tujhse utarunga...

sabhi gunde sujal ko marne lagte hai...

kashish:- nooo...leave himm...chhodo unhe...bhagwaan ke liye mere sujal ko chhod do...

sujal apna defence karne ki kosis kar raha tha...par sujal akela tha aur we 8...wo chah kar bhi jyada kuchh nahi

kar pa raha tha...ki achanak se ek gunda apni hockey stick lata hai aur sujal ke sir pe war karta hai...sujal

bahut buri tarah jakhmi ho jata hai...kashish ko swayyam pakde hue tha...wo cheekh rahi thi...par koi sunn nahi

raha tha...piyush aur swayam has rahe the...sujal badi mushkil se khada hota hai aur piyush ki taraf badh raha

hai...ki...

piyush;- no way sujal apni haalat to dekho...chalo ab tumhe dard se azadi de hi deta hu...kyuki agar tumnhe

zinda chhoda to main nahi bachunga...

kashish:- nooo...

kashish me na jane kaun si takat aa gayi...usne swayam se apna hanth chuda liya aur bhagi sujal ki taraf...idhar

piyush ne sujal par fire kiya...par kashish beech me aa gayi aur goli seedhe kashish ke pet me lagi...

sujall;- kashishhh...

kashish jameen par giri...uski aankhein band hone lagi...

kashish:-sujalll...

swayam:- piyush dekh kya raha hai mar...agar yeh bach gaya to hum sab...

sujal jo already kashish ke kareeb baith gaya tha...uspar piyush ne fire kiya...goli sujal ke pet aur dil ke beech me

lagi...ab wo bhi gir gaya...sujal kashish dono jameen pe hain...dono ka chehra ek dusre ke aamne

saamne...dono ek dusre ko ka hanth pakadne ki kosis kar rahe hai...dono ki aankhon band si ho rahi hai...dono

jameen par sarak sark kar ek dusre k paas aane ki kosis kar rahe hai...ki again piyush unke hanth ke pass fire

karta hai...jisse kashish k hanth me bleeding hoti hai...sujal aur kareeb jakar uska hanth tham leta hai...aur

piyush aur swayam wahan se nikal jate hai...bcz they know that ki ab inka bachna namumkin hai...

kashish:- sujalll...ruhi bula rahi hai,...mumma papa ko...(sujal just smile)...i love u sujal...mujhe pehle jane

dijiye...main suhagan jana chahti hun...(dono hi khoon se latpat hai...dono ka chehra sirf aanshun me duba

hai)...kareinge na meri khwaish poori...

sujal:- i love u 2 kashish...

kashish:- sujal phir milieingeee...(she passed away...sujal is just looking at her...after about 10

seconds he also take his last breath and gone with his kashish to his ruhi)...

wo jagah itani soonshaan hai ki abhi tak kisi ko nahi pata ki waha par 2 lashe hai...rat ho chuki hai...sabhi

garewaals and lalit bahut pareshan hai kyuki sujal kashish ka kuchh pata nahi hai...piyush bhi wahi hai...par wo

achhe bete hone ka pura natak kar raha hai sinha saab bhi aa gaye hai...yunhi kareeb ek ghante bad der rat 2 baje
R&G house ki bell bajti hai...rishi turant jakar darwaja kholta hai...

rishi:- bigb...(par saamne police khadi hai...)aap is waqt...

inspector:- mr garewaal..hume marine velley pe 2 dead bodies baramad hui hai...

rishi:- kya...to hum kya kare...

inspector:- dekhiye...sambhaliye khud ko...

veena:- yeh...yeh kya keh raha hai...

inspector:- plzzz mrs garewaal calmdown...yeh bodies isi pariwaar ki hai...mr & mrs sujal garewaal ki...

(dhamake on all's face)...

veena:- k k kya bakwaas kar rahe ho...mera beta...meri bahu...

rishi:- just shut up inspector...

tabhi peeche se 4 bord boys aate hai...jinme se 2 ne sujal ki body ko streture me liya hota hai to do ne kashish

ki...dono ke chehre pe kapda dhaka hai...we dono bodies hall me rakh kar chale jate hai...

inspector:- plzz aap log sinakt kar lijiye...

rishi dheere se jata hai...aur pehli body se kapda hatata hai...sabhi ke pairo tale jameen nikal gayi kashish ko dekh

kar...phir wo dheere se dusri body k face se kapda hatata hai...to sabhi ke sir se aashman hat gaya...sujal ko

dekh kar...aaj sirf sujal kashish ki maut nahi hui...aaj yeh pura pariwaar mar gaya...aaj inka sab kuchh chala

gaya...yahan sirf sannata chha gaya hai...

veena:- sujjjalll...kkkashhishhh...

all are just crying...even piyush too...lalit ne chirag ko phone kark use aur rewa ko bhi punjab se bula

lia...to swayam bhi aaya...piyush aur swayam apna naatak kar rahe hai...par baki ka kya...yahan tak aaj vasu

bhi man se dukhi thi...pura rat beet gaya...agala din aa gaya...kashish ko bilkul dulhan ki tarah

saja kar mehek ne vida kiya jaisa humesha se wo chahti thi...in dono ka antim sanskar rishi ne kiya...aur

aise hi dekhte dekhte...inka chautha aur terhawa bhi ho gaya...ab in sabhi ka is ghar me rehna mushkil ho

gaya tha...rishi ne faiysla kiya ki wo apne ma baap ko lekar mumbai chala jayega...taki we sab nayi zindagi ki

suruaat kare...pare lalit bhi chahta hai kiwo unke sath jaye...sabhi maan jate hai...piyush bhi...

piyush;- lekin main chahta hun ki hum yahan se sujal kashish ya ruhi ki koi bhi cheez apne sath na leke jaye...

rishi:- lekin kyun...? dekhiye piyush bhaiya...main us insaan ko to bilkul nahi chhodunga...jisne mujhse mere

bhai bhabhi ko chheena...

cg:- piyush bilkul sahi keh raha hai...hum inki yaad se hi to door jana chahte hai...agar hum yeh sab cheeze lekar

jayeinge to...hum yeh sab lekar nahi jayenge...bas kuchh din bad mehek ki delivery ho jaye...fir hum chale

jayeinge...apna ek beta kho chuka hu...bahu kho chuka hu, poti kho chuka hu...par ab aur kisi ko nahi...hum

ab ja rahe hai bas...par haa..hum is ghar kabhi nahi becheige...kabhi nahi...isme mere sujal kashish baste

hai...

tabhi inspector aate hai...

rishi:- ji inspector saab bataiye...kya pata chala aapko...

inspector:-dekhiye...jis gun se goli chali thi wo to mr sujal garewal ki hi hai...wahan par humein aur koi saboot

nahi mila...wo itna viran ilaka tha ki kisi ne kuchh bhi nahi dekha...us gub pe bhi sirf mr sujal aur mrs kashish ke

hi ungliyon ke nishan hai...jisse aisa lagta hai ki dono ne ek dusre ko...

rishi:- what rubbis...

inspector:- i know its rubbis...mana ki aisa ho skata hai ki apni beti ko khone ke gumm me dono ne ek aatmahatya

ki ho...par sujal ki body me jo ghav hai...wo yeh ketehe hai kisi ne unki maut se pehle unhe buri tarah mara

hai...par saboot kuchh bhi nahi...jis dadne , rod ya chhad se sujal ke sar par waar hua tha...wo bhi nahi

mila...isliye court ne yeh case band karne ka faysla kiya hai...aur jahan tak sawaal hai ruhi ke murder ka...to

wo file bhi ab band ho gayi hai...i m sorry but ab main kuchh nahi kar sakta...(and inspector goes)...

cg:- dekha lalit...itna paisa hone ka kya matalab jab hum apne bachho ki raksha tak na kar sake...aur ab insaaf

tak na dila sake...

veena:- lekin waqt ab insaaf karega...mere sujal kashish ke gunhe garo ko bhagwan saja dega...

rewa;- ji bhaisaab veena bhabhi bilkul sahi keh rahi hai...

chirag:- bhaiya...i think...hume ab apni zindagi ko kahin aur suru hi kar dena kar chahiye...plzzz bhaiya...is tarah

hum sab nahi jee sakte...

swayam:- aur badepapa...maine kuchh din pehle mumbai me ek bangla bhi dekha tha...wo humare pariwaar ke

liye achha hoga...rishi aur main hum umra hai...sujal bhaiya mere bhi bade bhai the...ab unke sari zimmedari

main puri karunga...

rishi:- dad...humare siwa ab mehek ke papa ka koi nahi hai...agar wo bhi humare sath chale to...

swayam:- bilkul...aakhir kar wo ab humari zimmedari hai...(sabhi swayam se impresed the)...

aise hi kuchh din beete...swayam ne mumbai me sab final kiya...aur yahan mehek ki delivery hui aur usne ek beti

ko janm jiska naam mehek ne krishna rakha...

mehek:- iska naam ruhi hoga...humari ruhi..wapas aagayi di...sujal bhaiya...apki princess wapas aa gyi par aap

dono hi nahi hai...ab yeh humari saarthi ban kar..hume humari nayi zindagi ki ore le jayegi...

rishi ne jab proff saab se baat ki to we pehle nahi maan rahe the...par baad me mehek ke liye maan gaye...

aise hi inki zindagi ki kuchh aur din guzre...aaj yeh sab shimla aur sujal kashish ki yaadon ko chhod kar mumbai

ja rahe hai...humesha - humesha liye...apne nayi zindagi ki suruaat ke liye...

par kya sach mein yeh inki nayi zindagi ki suruaat thi...ya beete hue kal ki dastak...jo naye tareeke se inki jindagi

me aa rahi thi...

6 months later...mumbai...

in sab ko yahan aaye kareeb 6 months ho gaya hai... ruhi ab ek 6 mahine ki hai to tushar 4 saal ka hone wala

hai...pure business me ab haq piyush aur swayam ka hai...jabse sujal gaya hai...rishi ka mann waise bhi kam me

nahi lagta tha...aur sabhi swayam par ankh band kark bharosha karte hai...aur ab rishi bhi...par sabko ehsaas hai

ki...piyush aur swayam raj kar rahe hai un sab par...par koi kuchh nahi bolta...jaisa chal raha hai...chalne de rahe

hai...

tabhi humari nazar ek chawl type ke ghar par padi...jahan ek lady labour ke pain se guzar rahi hai...sayad ab wo

kisi bhi waqt bachhe ko janm de skati hai...kareeb 1 ghante ke dard ke bad sabhi logon ke kano me ek bachh eki

awaaz sunaai di...sabhi khush hue...

a girl:- oh gayatri taai...beta hua...hiee..kitna sunder hai...nain naksh to dekho...raj kumar sa lag raha hai...lagta

hi nahi ki is bewade (bacche k baap ki taraf isahara kark)ka beta hai...

gayatri:- dena jara parvati...(wo apne bachhe ko bahut hi pyar se apne hanth me leti hai...)

parvati:- kyun taai koi naam socha...kya naam rakhogi...apne is bete ka...bahut armaan...aur mannato ke baad aya

hai...yeh...bolo to...ya main hi apne bhatije ka...

gayatri:- maine soch liya hai...

diwakar:- kya socha hai gayatri kya naam hoga humare bete ka...

gayatri:- iska chehra bikul kisi ganga jal ki dhar ki tarah akarshak hai...iske naina naksh shiv ji ka pareek hai...to

iska naam bhi waisa hi kuchh hona chahiye...

parvati:- to kya apne bete ka naam ganga rakhegi tai...ya jal...ya shiv...

gayatri:- yeh to ganga ka jal hai...jo pavitra jal hota hai...sabse sunder jal...is liye iska nam...sunder jal yani SU-

JAL hoga...

parvati:- hieee ram...kitna pyara nam hai...SUJAL...SUJAL Deshmukh...

gayatri:- mera beta...meri zindagi...SUJAL...

R&G HOUse at mumbai...

veena jo ki apne kamre me so rahi thi...sayad koi sapna dekh rahi thi...ki achanak cheekh kar uthti hai...

veena:- sujalll...

end of part 3
press like if u really liked it
do comment
love chandni

**********************************************************
**********************************************************

Edited by rkchandni - 9 years ago

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: goodkashish · 6 years ago

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 3 months ago

This story has been inspired by the 2002 Malayalam film Nandanam, and was written at the request of Jasminerahul. It is my humble attempt to...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 1 months ago

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 1 months ago

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 3 months ago

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".