PHIR MILEINGE - Saath Saat Janmo ka.... Sujal Kashish ** Completed**.. - Page 2

Created

Last reply

Replies

253

Views

46.7k

Users

17

Likes

359

Frequent Posters

nilusoni thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#11
Gr8 part
Thanks for pm
Plz pm me for next
RNforever thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#12
o.m.g
what a twist yeh toh ekta ke show jasa ho gaya
sujal toh aa gaya kashish kaha h
thanks for pm

lovr naina
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#13

Originally posted by: RNforever

o.m.g
what a twist yeh toh ekta ke show jasa ho gaya
sujal toh aa gaya kashish kaha h
thanks for pm
I
lovr naina


Yup Ekta returns 😆😆

Thanku
Kashish b jaldi aayegi
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#14
thankyou every one for liking my fic...keep reading and keep smiling always...here is the part 4... 😊😊😊
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#15

*** PHIR MILEINGE - sath saat janmo ka***


Part 4

veena:- sujalll...

cg:- kya hua veena...sab theek to hai...koi bura sapna dekha kya...

veena:- wo mera sujal...wo...wo...

cg:- koi baat nahi veena...humara sujal jahan bhi hoga...wo hume wahan se dekh raha hai...veena...sambhalo...ab

wo nahi hai...

veena:- wo hai...mujhe aisa laga jaise wo mujhe pukar raha hai...wo...mujhe pukar raha hai...main...

cg:- veena...kuchh nahi hai aisa...humara sujal jahan hai..wahan se koi wapas nahi aata...acha tumhare man ki

shanti ke liye kal hum mandir chalegne...are dekho 12 baj gaye hai...aaj to krishna janmashtmi hai...aaj to sab

kuchh bura ho hi nahi sakta...theek hai...ab chalo so jaao...

Aise hi din beetne lage...piyush aur swayam R&G ki daulat par raj kar rahe the aur sabhi bachhe bade ho rahe

hai...rishi to bas ab apni family se matalab rakhta hai...uska man business me bilkul nahi lagta...usne SK

enterprises nam ki ek chhoti si comapny kholi hai...jisme wo busy rehta hai...jo sirf usne apne bhai aur bhabhi k

liye khola tha...wo ab kabhi bhi piyush aur swayam ke sath kam nahi karta...isi beech mehek ne ek aur bachhe ko

janm diya jiska naam rohan hai...ab bas mehek ruhi rohan veena cg aur sinha saab inhi logon se matalab hai rishi

ka...baki logon ka us ghar me hona na hona...rishi ke liye koi mayne nahi rakhta tha...isi tarh din guzarne

lage...din kab saal me aur saal kab decade me badal gaya...inhe pata hi nahi chala...sabhi ko ehsaas hai ki

piyush aur sawayam sirf daulat ke lalchi hai...wo sirf daulat ke liye unke sath hai...aur rewa aur vasu to bas kity

parties me busy rehti hai...chirag ko apni galtiyon ka ehsaas hai...par bahut waqt guzar gaya hai...wahi veena, cg

aur lalit,bhagwan ke sath apna samay guzar rahe hai...

23 saal baad...


dekhte hi dekhte 23 saal guzar gaye... sabhi bado ki zindagi ab ruhi aur rohan me basti hai...we chahte hai ki jo

unke bachho ke sath hua...wo ab unke bachho ke bachho ke sath na ho...ruhi aur rohan bade ho gaye hai...jahan

ruhi is saal 24 saal ki ho jayegi to rohan 21 saal ka hai...tushar ko to piyush aur swayam ne bilkul apni hi tarah

bana diya hai...yeh wo tushar nahi tha jise kashish ne pala tha...yeh to sirf piyush ka beta ban kar reh gaya

hai...wahi swayam ne apni aiyaashi ke chalte kabhi sabhi sadi nahi ki...veena apna jyada se jayda bhagwaan ke

sah guzarti hai...bas yahi aas hai uske man me ki kabhi to kuchh achha hoga...aur uska parivar sukh se reh

payega...par nahi yahan to jis ghar me wo rehti hai...wo ghar to jail se kam nahi hai...wahan khane ko bhale

achha khana milta hai..par sukun ki roti to usi din chhin gayi thi jis din Sujal kashish chale gaye...par ab yeh

guzre hue 24 saal kya badal payenge...kya aane wala kal inki zindagi me khusiyaan la payega...

veena bhagwaan ke mandir me khadi hai...aaj krishna janmasthami hai...wo bas apna jyada se jyada waqt kanha

ji ke hi to charno me bitati hai...

veena;- hey krisha...24 saal ho gaye hai mere sujal ko gaye hue...wo gaya aur apne saath is ghar ki saari khusiyaan

lekar chala gaya...apne jeete ji..usne apni ma ki aankhon me aanshun nahi aane diye...aur apne sath sirf aanshun

chhod kar gaya...kitani badnaseeb ma hu main...jis bete ke kandhe chadkar aapke pass aana chahti thi...usi ko

kandha chada dekha...mera sujal meri kashish aur meri ruhi teeno chale gaye...kash koi aisa chamatkar kardo

bhagwaan ki mera beta aa jaaye...hume is jillat bhari zindagi se nikalne ke liye...(veena is crying)...


ruhi (surveen chawla):- dadi...aap kyun udaas ho rahi ho hum hai na...& u know what dadi...apki ruhi to aapke sath hai na...


rohan(vivan bhatena) :- aur rohan bhi...ha dadi...ab aap chalo...hum sab ghar chalte hai...bhagwaan ji sab achha kareinge...chale ab...

veena:- ha mere bachho ab tumhara hi sahara hai...(veena, ruhi & rohan left to home)...

chawl...

aaj krishna janmasthtami hai...aur kisi ka janam din bhi...kehte hai ki duniyaan me jab bhi paap ka gadha bhar

jata hai to use phodne wala kanhaiya...kahin na kahin kisi na kisi roop me avtaar jarur leta hai...aur sayad aaj

piyush aur swayam jais kansh ka wadh karne ke liye hi is yug ke krishna ji aa rahe hai...manav roop lekar...

dahi handi zoro soro se manai ja rahi hai...aur mumbai ki dahi handi to pure india me famous hai...sabhi log apni

hi masti me gum hai...dahi handi ko phodne ki liye sabhi ladke ek ke upar ek chade hai...kai gir rahe hai par kisi

ko dard ka ehsaas nahi aur is baar to dahi handi ko phone wali toli ko pure 21000 rupay ka inaam bhi hai...ki tabhi ek zoro ki awaaz aai...


sujal:-
go go govinda...
go go govinda...
-------------------------
go go govinda...
go go govinda...
-------------------------
atake matke jhatke maare hai...
tu aaj shola to hum bhi fuaare hai...
tu aasmaan pe hai...
to chand taare hai hum...

atake matke jhatke maare hai...
tu aaj shola to hum bhi fuaare hai...
tu aasmaan pe hai...
to chand taare hai hum...

chahe dum nikle..yeh dum...
hai kasam teri kasam...
tujhe aaj chhodenge na humm...

-------------------------
go go govinda...
go go govinda...
-------------------------
go go govinda...
go go govinda...
--------------------------

aayesha:-
ohhh
atake matke jhatke maare hai...
tu aaj shola to hum bhi fuaare hai...
tu aasmaan pe hai...
to chand taare hai hum...

aiyeee...atake matke jhatke maare hai...
tu aaj shola to hum bhi fuaare hai...
tu aasmaan pe hai...
to chand taare hai hum...

chahe dum nikle..yeh dum...
hai kasam teri kasam...
tujhe aaj chhodenge na humm...

-------------------------
go go govinda...
go go govinda...
-------------------------
go go govinda...
go go govinda...
--------------------------

sujal:-
gyarah barah tera...badh raha para...
body ka humara yara...gyarah barah tera...
oye oye oye...

gyarah barah tera...badh raha para...
body ka humara yara...
dekho na humare naino se...
karare nikle haiiee sharara...

aayesha:-
tera yeh nazara hume lage kitna satarangi...
tera bada charcha...tera kissa atarangi...

chahe dum nikle..yeh dum...
hai kasam teri kasam...
tujhe aaj chhodenge na humm...

-------------------------
go go govinda...
go go govinda...
-------------------------

sujal:-
oye oye oye...
atake matke jhatke maare hai...
tu aaj shola to hum bhi fuaare hai...
tu aasmaan pe hai...
to chand taare hai hum...

aiyeee...atake matke jhatke maare hai...
tu aaj shola to hum bhi fuaare hai...
tu aasmaan pe hai...
to chand taare hai hum...

chahe dum nikle..yeh dum...
hai kasam teri kasam...
tujhe aaj chhodenge na humm...

-------------------------
go go govinda...
go go govinda...
-------------------------

sujal:-
kya yeh dillagi hai...kya yeh aashiqui hai...
mood me diwaangi hai...

kya yeh dillagi hai...bolo bolo bolo...
kya yeh dillagi hai...kya yeh aashiqui hai...
mood me diwaangi hai...

aaj hawao mein...aaj fizaao mein...
kaisi yeh tishnagi hai...

aayesha:-
aaj masti mein teri...gum honge hum to...
aaj dhunki mein teri tun honge hum toh...

chahe dum nikle..yeh dum...
hai kasam teri kasam...
tujhe aaj chhodenge na humm...

-------------------------
go go govinda...
go go govinda...
-------------------------

go go govinda...
go go govinda...
-------------------------

sujal:-
atake matke jhatke maare hai...
tu aaj shola to hum bhi fuaare hai...
tu aasmaan pe hai...
to chand taare hai hum...

aiyeee...atake matke jhatke maare hai...
tu aaj shola to hum bhi fuaare hai...
tu aasmaan pe hai...
to chand taare hai hum...

chahe dum nikle..yeh dum...
hai kasam teri kasam...
tujhe aaj chhodenge na humm...

-------------------------
go go govinda...
go go govinda...
-------------------------
go go govinda...
go go govinda...
-------------------------
go go govinda...
go go govinda...

(all are dancing like hell...all are crazy...)

a boy :-
ayeee matki tod reee...

go go govinda...
go go govinda...
-------------------------
go go govinda...
go go govinda...


aayesha(alefia kapadia, tarini of reporters):- SUJJJAAALLL De Untaakkk...

aur sujal ne sabse upar chadhe ladke ne apne sir se handi ko phode diya...sabhi log neeche utar aaye hai...sabhi

ko unke paise bhi mil gaye hai...tabhi ek hanth aata hai aur wo sujal ke kaan ko zor se pakadta hai...

sujal:- ahhh...aai...kya kar rahi hai...apun ka kaan...aai...dekh na apun sab ne kya mast matki phodi hai...


gayatri:- ha ha...yeh to tum sab ka natak hai...khud ko dekh...pura bheeg gaya hai...aur ayehsa tujhe bhejha tha ki

ise lekar aa auyr tu khud iske sath chalu ho gayi...

aayesha;- wo kaki sorry...wo...

gayatri:- aur tu..bada ho ja...24 baras ka ho gaya hai...par bachpana nahi gaya...chal ab ghar chal warna thand

lag jayegi tujhe...aur aayesha tu bhi chal...in faltu ladko ke sath ghumti rehti hai...

sujal:- aai apun...(gayatri sujal ko aankh dikhati hai) matalab main faltu nahi hun...jab tu hai mujhe kuchh nahi

hoga...aur kya aai...aaj to krishna ki tarah tere is krishna ka bhi janamdin hai aur tu hai ki mere kaan pakad kar

mujhe maar rahi hai...

gayatri:- ha ha...ab chal...aur maine kab tujhe mara...chal...

sujal( chilla kar):- ayeee chotu...jaldi ghar aa...


chotu( child kunal khemu):- ha sujal bhaii abhi aaya...

R&g house...dining table...

sabhi loge dining table pe baith kar nasta kar rahe hai...

rewa;- swayam tumhe yaad hai viraj oberoi...

swayam:- oh yes mom...par kyun...wo to london me sift ho gaye hai i guess...

rewa:- yes u r right beta...unhe london gaye hue 20 saal ho gaye hai...aur maya ki death ke bad...wo apni beti ke

sath wahi chala gaya tha...par kya hai na kal hi uska phone aaya tha...uski beti ne apne hose me india nahi dekha

hai...so wo india aa rahi hai...aur viraj ko australia jana hai business ke liye...so wo apni beti ko yahi mumbai

chhodte hue jayega...aur jab tak wo wapas nahi aata uski beti yahi rahegi...aur india ghumegi...isliye...tum uske

liye humare hi hotel me ek achha sa suit book kara dena...aur bhulna nahi wo tumhari bhi beti ki tarah hai...agar

tumne saadi ki hoti to aaj tumhari beti bhi viraj ki beti ki tarah hoti...aakhir kar tum aur viraj ek hi umra ke ho...

swayam;- oh mom,...cut the crap...

piyush;- par aunty..hotel kyun...wo aapke itane kareeb hai to yahan hi reh sakti hai humare ghar me...tushar use

company de dega...kyun tushar...


tushar (gurpreet singh ):- ya...ofcrs dad...

rewa;- actually maine bhi viraj se yahi kaha...par wo keh raha tha ki uski beti...joint family me nahi reh payegi

bahut morden hai...ofcrz 20 saal se london me hai to wahi ke tareeke use pasand hai...aur waise bhi u know

na...humara ghar to dharam shala hai...(looking at sinha saab)...so achha hi hai...ki viraj ki beti hotel me hi

rahe...

chirag:- rewa...bakwaas band karo...tum sab ko jo karna hai karo...

tushar;- par rewa dadi... uska naam kya hai...i mean kis naam se booking karni hai...

vasu;- ha rewa naam kya hai...i m sure she must be very morden akhir london ki hai...to naam bhi london wala

hoga...kyun piyush...

piyush:- hmmm may be...

rewa:- oh know maine to naam puchha hi nahi...

veena:- rewa...tum jise apna beta kehti ho..tumhe uski beti ka naam bhi nahi pata...

rewa:- wo kya hai na bhabhi...viraj is very sofesticated...wo apni beti ko princess keh kar pukarta hai so..maine

jarturi nahi samjha...kahir tushar tum miss oberoi ke naam se booking kar dena...aur ha vasu...virag aur uski beti

ki aane ki khushi me...parso ek party rakhi hai...wo yahan aayeinge...phir viraj austrailia jayega...

mehek;- waise aunty...parso unke aane ki khushi ki party nahi hai...

rewa:- kya kya kaha tumne...

ruhi:-mom ne bilkul sahi kaha dadi...party to hogi...par aapke un so called frnds ke aane ki khushi me nahi..balki

rohan ke birthday ki...

piyush:- oh yes...rohan ka birthday hai...koi baat nahi...dono kaam ek sath ho jayenge...waise veena aunty rishi

kaha hai...

mehek:- wo office chale gaye hai...

piyush:- ok...swayam...tushar ab hum bhi chale...byee everyone...

ruhi:- mom main bhi office ja rahi hun

dheere - dheere kark sabhi chale jate hai...ab sirf veena, mehek cg sinha saab aur lalit baithe hai...

lalit:- kitna afsos hota hai na cg...aise pariwaar ko dekh kar...jab sujal kashish the to yeh pariwaar kuchh aur hi tha

aur aaj...

cg:- unki yaado se bhagne ke liye humne shimla chhod diya tha par aaj bhi...is ghar me unki tasveer nahi

rakhi...par wo to ruh me base hai...chalo lalit, chaliye sinha saab hum bhi park me chal kar shanti se baithte

hai...(cg, sinha sab & lalit are also left)...

mehek:- mumma...chaliye...aap bhi araam kar lijiye...

aise hi poora din beet gaya... rat ka waqt hai...

chawl...

gayatri:- sujal...itna bada ho gaya hai...tu sudhar kyun nahi jata.. aaj bhi bachho ki tarah harkate karta hai... in

bewakoof ladko ke sath ghumta hai...4 din se tune garage bhi nahi khola hai... kuchh to soch...ghar me kitani

pareshani hai tere baba bhi chale gaye hai aur tu hai ki...

sujal;- aai...bola na sorry...achha aaj to tere sujal ka janm din hai...aaj to mat dat...achha apun tujhse wada karta

hai ki kal se achhe se kaam karunga...bahut mehnat karunga...aur ha ek din na tere liye mehel banaunga...

gayatri:- achha...mehel to banayega... par uske liye rupiya chahiye wo kahan se layega mat bhool ki tu bin baap ki

aulaad hai...aur ek chawl me paida hua hai...kisi raheesh baap ki aulaad nahi hai...jo chandi ki chammach lekar

paida hote hai...tu apne pair jameen me kyun nahi rakhta sujal...apni aukaat me raha kar beta... isiliye kehti hu

bada ho gaya hai tu...ab to apni zimmedari samajh...teri saadi ki umra ho gayi hai par tujhse sadi karga kaun...

aayesha(aate hue):- main hu kaki...main karungi tere is fattu se saadi...

sujal;- oye chup kar...tujhse aur shadi main kya meri juti bhi sadi na kare tujhse...

aayesha:- kaki...dekho na ise...

gayatri:- kyun kya kharabi hai isme...wo to mujhe hi nahi samajh aata ki ise tujhme kya dikhta hai... ise to na jane

kitane achhe ladke mil jaye...aur kya sochta hai...koi mehel ki raj kumari aayegi tere liye...

sujal;- aai... tere bete ki sakal dekh kisi raj kumar se kam nahi hai...to uske liye bhi raj kumari hi aani

chahiye...saat samander paar se aayegi... (aayesha is laughing) tu kyun has rahi hai...

aayesha:- nahi nahi kuchh nahi...achha sujal wo kal tera mehel to khulega na...

gayatri:- kya mehel...?

aaysha:- ha kaki iska garaze...wo kya hai na meri cycle puncher ho gayi hai to...

sujal;- teri toh...bhag yahan se...(aayehsa bhagti hai ki kisi se takra jati hai...)

aayesha:- lo kaki inhi ki kami thi...aaiye sagar ji...


sagar( chaitanya chaudhary):- hii aayesha...abe sujal tu aaya kyun nahi...namaste kaki...

gayatri:- namaste beta...aa ander toh aa...yeh le laddu kha...

sagar:- wow laddu...

sujal:- abe kam se kam wish to kar de...

sagar;- ha ha pehle kha to lu...waise happy birthday...

sujal:- sala...achha aai ab muh banana band kar...apun tujhse... (aai sujal ko aankh dikhati hai...) main tujhse

yeh wada karta hun ki ab man laga kar kam karunga...

sagar- phir padi na...good kaki main to kitani bar isse kehta hun ki iske pass itana tailent hai faltu waste karta

hai...mere yahan aa jaye,...mast naukari pe laga dunga...

sujal:- dekh apun ko kisi ka naukar nahi banna...koi apun pe hukum chalaye apun ko pasand nahi...

sagar:- aur machanic ka kaam karta hai wo kya hai...

sujal:- wo kuchh bhi ho...apun malik hai us garaze ka...apni marzi ka maalik...

sagar;- tujhse koi nahi jeet sakta...waise chal main tujhe lene aaya hun...'

gayatri;- dekha sagar...yeh na jane kab sudhrega...

sujal:- aai maine tujhse promise kiya na...ab se pakka...mann laga kar kam karunga...aur garaze ko khoob bada

banaunga...waise yeh chhotu kaha hai... chotu...chotu...(tabhi chotu bahar se aata hai...)

chhotu:- ha sujal bhai kaho...yeh le chabhi..mast garaze ki safai kar de...kal subah time se khol lena...

gayatri:- aur tu...?

sujal;- are jab yeh kholega tab hi to main jaunga na...

gayatri:- ha ha...achha...ab ja...aur ha time se aa jana...aur khabardar jo tune pee to...

sujal:- theek hai...chal sagar...(both left)...

gayatri;- hey bappa...mere bete ko sadbudhdhi de...

at beech...

sagar:- abe sujal...le pee...

sujal:- nahi yar...apun ne aai ko wada kiya hai ki kabhi nahi piyega...waise bhi baba bhi to isi sarab ki wajah se

aai ko chhod kar chale gaye...apun ko chhod kar... waise tu bata...tera kaam kaisa chal raha hai...tewra wo

khadush boss kahin kuchh...

sagar:- ha yar bas chal raha hai...tu to janta hai...hum jaise middle class loge ki life wahi 9 se 5 life jhand ho gayi

hai...kabhi kabhi sochta hun tu bilkul sahi kehta hai...kisi ka naukar ban kar nahi rehna chahiye...chahe post

kitani bhi badi ho...aur sala mera wo boss...tharki...mera bas chale to...

sujal;- waise kehte hai na ki log humein badal dete hai...ab khud ko dekh...tu sala angregi bolne wala...kaha tu bhi

kabhi apun ke hi sath us chawl ki sarkari school me padhta tha...aur ab dekh kaha..kahan pahunch gaya...

sagar:- angregi to tujhko bhi aati hai...par tu bolta nahi...aur jahan tak sawal hai...baba ko lottery kya lagi humne

chhoda aur maine school bhi bas ek kaam mere baap ne sahi kiya...mujhe badi school me dakhila dila diya... par

teri life bhi sudhar sakti hai...par tu hai ki...

sujal:- nahi yaar apun theek hai...yeh le yeh kha...apun ka bas itna hi sapna ki apun apni aai ko har khushi de...

aur ab us chawl ke kisi bhi bachhe ko dusra sujal na banne de...(sagar pressess his hand on his)...

sagar:- sahi kaha tune...aur tere is kaam apun tere sath hai...(sujal looks at him..)...

sujal;- kya baat hai bidu...

sagar:- waise...achhi ladki hai...

sujal:- kaun?...

sagar:- ayesha...pyar karti hai tujhse...saadi kyun nahi kar leta...kya tu usse pyar...

sujal:- dekh wo apun ki bahut achhi dost hai...pyar ka pata nahi yar...aur jahan tak sawal hai usse saadi ka... to

chal aai ke kehene par usse saadi kar bhi lu...to bhi kya de paunga use...wo 10 by 10 ki kholi... aur wo 10 by 10 ka

garaze...uske siwa kya hai apun ke pass... isiliye...abhi rehne de waqt hai...kehte hai na...ki takdeer se jyada aur

waqt se pehle kisi ko kuchh nahi milta...to bas...intezaar kar...apun dono ki life me sab achha hoga...waise tu to

apun se umra me bada hai...pehle tu sadi karega...koi pati...

sagar:- nahi yar...bas kat rahi hai...(to waiter) dada...bill...(he pays the bill)...chal chalte hai bahut der ho

gayi...kaki gussa karegi...aur aai bhi bhi... (both left)...

aise hi 2 din guzar gaye...aaj rohan ki birthday party hai...sabhi loge bahut khush hai aaj kyuki aaj rohan

ka birthday hai... par only garewaals...baki kisi ko koi fark nahi padta sabhi sirf formality ke liye aaye hai...

rewa:- are swayam yahan aana...

swayam;- yes mom...

rewa:- are wo jara dekhna viraj ab tak kyun nahi aaye...pata karo tushar lene gaya hai na unhe airport...

swayam:- ok...(swayam tushar ko phone karta hai...tushar kehta hai ki wo bas raste me hi hai...aa hi rahe

hai...)mom wo loge raste me hai hotel me samaan rakh kar yahin aayeinge...

rewa:- ok...

ruhi;- common everybody...lets cut the cake...rohan aao...

rewa:- wait ruhi...humare special guest abhi tak nahi aaye hai...unhe aa jane do...

ruhi;- wo aapke guest hai humare nahi...

mehek;- ruhi...koi baat nahi...rishi...wo dekho mrs sharma...main unse mil kar aati hun...

aise hi kuchh der aur beet jata hai...

chawl...

sujal apne bed par so raha hai...par uske mathe par itna paseena kyun hai sayad koi bura sa sapna dekh raha

hai...ha bura hi hai...kuchh dhundhli tasveere...par yeh pehli bar to nahi hua...yeh to humesha se hi sujal ko

dikhai deti hai...par aaj wo tasveere kuchh jyada hi bhayanak hai...pata nahi kya hai...wo khud kabhi nahi

samajh paya...

R&G house...

tushar:- hey dadi...aapke guest aa gaye...(tabhi koi swayam ki age ka kareeb 52 yrs old koi aadmi smile ke sath aata hai...)

rewa:- welcome viraj...


viraj( sudhanshu pandey):- thanku so muchh rewa aunty...

rewa:- are tumhari princess kaha hai...

viraj:- wo bahar hai...uska call aa gaya tha...aati hi hogi...

rishi:- agar aapke mehmaan aa gaye hai to cake cut kiya jaye...

rewa:- wo...bas...

viraj:- are sure...aap humara wait kar rahe the so sweet...aap cake cut kariye...humari beti abhi aa jayegi...

rishi:- rohan aao beta...

ruhi:- wit...make a wish rohan...

rohan in his heart:- hey bhagwan dadi kehti hai ki humare ghar se khusiyan bade papa aur badi ma ke jate hi chali

gayi...par main chahta hun ki wo khusiyaan laut aaye...mere ghar wale khush rahe...thanku god...

rohan candles bujhata hai...ki tabhi saamne se ek bahut hi khubsurat ladki ander aati hai...usne yahi kuchh sleeve

less top pehna hai...aur jeans ka mini skirt...she is looking very gorgeous...koi bhi yahi kahega...ki wo bahut

morden hai...wo jab dekhti hai ki rohan cake katne wala hai to claping karti hai...rohan cake cut karke sabhi ko

khilata hai...tabhi viraj ki nazar apni beti par gayi...jo muskura rahi thi...

viraj;- rewa aunty...she is my darling daughter...my princess... (all turns to see her...and actually extreamly shocked what they are seeing...only elders...) my KASHISH...



chawl...

sujal ko pata nahi kya hua...achanak se wo apni neend se jaag gaya...aur cheekha...:- nahinnn...

end of part 4
press like if u really liked it
do comment
love chandni

**********************************************************
**********************************************************

Edited by rkchandni - 9 years ago
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#16
there are 2 more characters i m introduncing them here with thier pics...

maahi singhania...(played by neha bamb...) she is kashish oberoi's best frinds... she is also there with kashish in india...



samrat shekhawat (played by pulkit samrat ):- he is inspector...and friend of sagar & sujal...





Edited by rkchandni - 9 years ago
sweetie_angel thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#17
Nice one
One little suggestion
Can you add and index, it would be helpful
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#18

Originally posted by: sweetie_angel

Nice one
One little suggestion
Can you add and index, it would be helpful


Thanku nd sure onwards I will add an index
Thanx for the suggestion
nilusoni thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#19
amazing part
sujal's new avtaar wow
kashish's entry in r$g house
excited for next part
thanx for pm
plz pm me for next
drshabnam3 thumbnail
Posted: 9 years ago
#20
nice update...sujal and kashish r back😊...thank u for the pm...

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: goodkashish · 6 years ago

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 1 months ago

Chapter 1 (Late-Night Confessions) Munni sat cross-legged on her small bed in the staff quarters, staring at the cracked screen of her...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 1 months ago

A shy young artist pours her soul into hidden sketches, never suspecting they reach an unexpected admirer. Trapped in webs of deception that...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 2 months ago

Yug and Kairi silently struggle with their growing love for each other - until something unusual happens that changes everything

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 1 months ago

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".