
Part 21
mehek:- sujal kashish...
kashish:- ji aunty...
mehek:-beta wo m sorry... sujal i know ki tum ko nahi pata mere di aur bhaiya ka chehra tum dono se bahut milta
hai...bas isiliye...main bas itna kehna chahti hun ki agar mumma ya papa me se koi aap dono ko kuchh kahe to plzz
bura mat manna..ma baap hai...bachho ka gum kya hota hai wo sirf ek ma - baap samajh sakte hai...ki kitna dard
hota jab apki aankhon ke saamne aapke bachho ki lash ho...tum dono mere liye mere bachho ke saman ho bas
isiliye keh rahi hu...(sujal kashish se jyada kaun samajh sakta tha yeh baat ki bachhe ki maut ka gum kya hota
hai.. par we chup the...)... achha ab main chalti hu kisi bhi cheej ki jarurat ho to jarur batana...( mehek turns to
go..ki sold held her held and hugs her...)...
sujal:- thanku m... aunty...
mehek:- tum abhi kuchh aur kehne wale the na...
sujal:- nahi - nahi...ha wo apun ko aapse yeh kehna tha ki wo sagar hai na...wo apun ka bahut achha dost hai...
ruhi aur sagar ke rishtey ke bare me...agar aapki aur uncle ki permision ho to...ab dekho na apun ki aur kashish ki
bhi shadi ho gayi hai...aur sagar aur ruhi to humse bade hai... to kya khayaal hai... apun gurantee leta hai aunty ki
sagar bahut hi achha ladaka hai...uske aai baba bhi bahut achhe hai...aap mil lo na...
mehek:- kya lekin ruhi ne humein kuchh bataya kyun nahi...
kashish:- aunty wo humari sath itani problems thi sagar aur ruhi dono hi humari peoblems me ulaz ke reh gaye the
to par aunty wo dono ek dusre se bahut pyar karte hai... humein parakh hai aaunty plzz sagar ko ek baar aur rishi
mil i mean aap aur rishi uncle mil lijiye...
mehek:-theek tum dono keh rahe ho to jarur...main rishi se baat karungi...waise bhi rohan aur mahi ek dusre se
pyar karte hai... humne socha tha ki agar ruhi ke liye achha ladka mil jata hai to ruhi aur rohan dono ki shadi ek
sath kara deinge...
kashish;- sach aunty...thats great...iska matalab jald hi in charo ki shadi ho jayegi...
mehek:- ha.. par ek baar hum sagar se mil le... aur specially rishi ko sagar pasand aana chahiye... wo ruhi ke
mamle me kabhi compromise nahi kareinge... bahut pyar hai unhe beti se... aur hona bhi chahiye aakhir apni beti
me hi toh ek baap ki jaan hoti hai... hai na sujal...?...
sujal( sadly smiles..):- ji aunty...sahi kaha aapne... beti ka gum kya hota hai yeh sirf ek baap bata sakta hai...
mehek:- are waah abhi toh tumhari koi beti bhi nahi hai fir bhi itna dard tumahri aankhon me kaha se aa gaya...
sujal;- are nahi - nahi wo to bas...
mehek:- khair koi baat nahi bhagwaan kare ki tum dono humesha sath khush raho... jo chah rahe ho wo mil
jaye...abhi main chalti hu kuchh jarurat ho to bula lena...
kashish;- ji thanku aunty...( mehek left from...)...
sujal:- kashish unhe hum par shaq ho gaya hai...
kashish:- par sujal humein apne aap me control rakhna hoga... kyuki yeh bhi sach hai ki ab rishi aur mehek
humare bhai behen nahi hai... hai na...?...
sujal:- sahi keh rahi ho...achha ab main ready hota hu...tum dhyaan rakhna main office ja raha hu... sagar ko bhi
bol diya hai...
kashish:- theek hai... take care ha...galti se bhi unhe shaq nahi hona chahiye ki tumhein sab yaad aa gaya hai...
sujal:- dont worry...( sujal wash room me gaya...aur kashish apni un packing karne lagi par in dono ko hi nahi
pata tha ki mehek ne inki baat sun li thi jiski aankhon me aashun aur honthon me badi wali muskaan thi...wo apne
anshun pochh kar apne kamre me gayi...)...
mehek:- iska matalab di aur bhaiya...means sujal kashish ko sab kuchh yaad aa gaya hai,...par yeh sabse chhipa
kyun rahe hai... jarur koi bahut badi wajah hai... agar aisa hai toh main bhi kisi ko kuchh nahi kahungi... aur inke
natak me inka sath dungi... hmmm tabhi sujal yahan aane ko maan gaya... warna us din jo uske tewar the... agar
use kuchh yaad nahi aata to wo kabhi apne atma samman ko chhod kar is ghar me nahi aata hai.. aur jitna mujhe
ruhi aur maahi ne bataya tha sujal un logon me se hai jo kashish ki property ka 1 rupya bhi na le... hmmm to inka
kuchh to plan hai R&G me aane ka... kahin inke murder se to related nahi hai... ha inhe sab agar yaad aa gaya hai
to yeh bhi yaad aa gaya hoga ki inhe kisne mara tha... ha... tabhi... iska matalab jisne bhi inhe mara tha wo R&G
office me hi hai... par yahan mumbai me... kaise kaun ho sakta hai jo di aur bhaiya ki maut ke peeche tha... bahut
se sawaal hai par mujhe pura yakeen hai ki ek din saare sawaalo ke jabaab mil jayeinge... aur sath me sujal kashish
ko insaaf bhi...
R&G office...
sujal ka aaj R&G office me pehla din tha... piyush aur swayam ne bas use sabse introduce kara diya aur cabin
dikha diya aur taken for granted lene lage.. yeh soch kar ki ek chawl ke ladke ko business ki kya knowledge hogi...
aur sujal apne kam me lag gaya wo sare projects ki keen study kar raha tha... jabse aaya hai files me ghusha tha
tushar ne jab dekha to wo hairan reh gaye... wahi sagar ke through sujal ne purane case files nikalwaye aur sagar
ke sath study kar raha hai...
piyush's cabin...
tushar:- what the is this dad.. wo sujal sari files me ghusha hua hai mano barso se business sambhal raha ho...
swayam:- kya... par...
tushar:- ha uncle maine khud dekha aur staffs se puchha bhi to unhone kaha ki sujal sare projects ko study kar
raha hai...
swayam:- piyush yeh kaise ho sakta wo do kaudi ka garaze ka malik hai use business ki samajh kaise ho sakti hai...
kahin use kuchh...
piyush:- kya bakwaas kar rahe ho swayam yeh koi film nahi hai... ha us waqt mujhe bhi laga tha ki yeh humare
sujal kashish hai... par nahi yeh sujal kashish nahi hai... agar hote to ab tak hum zinda nahi hote... jarur kuchh
aur baat hai... aur hum sab ko pata hai ki sujal gawar nahi hai.. padha likha hai to agar wo koi files dekh raha hai
iska matalab yeh nahi hai ki wo sujal garewal hai... wo sujal deshmukh hai aur wahi rahega... apni biwi ki daulat
pe ud raha hai na... bas kuchh din aur jaise hi hum dhoke se kashish ki sari property apne naam kar leinge in dono
ko utha kar R&G empire se bahar fekheinge...
swayam:-par...
piyush:- par war kuchh nahi... ab mujhe delhi ke liye nikalna hai tushar tum aur swayam tum dono dhyaan
rakhna...
tushar:- aap kab tak lauteinge...
piyush:- abhi kuchh decide nahi hai lets see...chalo main nikalta hun byee...
R&G house...
sujal kashish's room...
mahi:- kashish tu theek to hai na... dekh kashishi know problem hogi par u both have to be strong...agar is tarah
rahegi to sabko shaq hoga ki tu...
kashish :- ha mahi tu sahi keh rahi hai... par kya karu dar lagta hai ki agar un dono ne mere sujal ke sath kuchh...
mahi:- nahi kuchh nahi hoga sujal ko... aur sun ab jyada se jyada vasu aunty aur rewa aunty ke sath reh... kyuki
mujhe bhi yakeen hai ki unhe kuch na kuch to pata hi hoga...
kashish:- ha tu sahi keh rahi hai...( tabhi her phone rings...it was sujal...) ha sujal bolo...
sujal:- kashish suno... piyush kisi kam se delhi nikal gaya hai... tumhe mauka dekh kar piyush ke kamre ki talaashi
leni hai samajh gayi... par sawdhani se...
kashish:- theek hai sujal main samajh gayi... tum to theek ho na...
sujal:- ha jaan main theek hu... u take care ok...( both cuts the call...)...
sagar:- jaan ha...
sujal:- shut up kaam pe dhyaan de...
sagar:- kya baat hai sujal tu to bada romatice type nikla...
sujal:- sagar wo meri biwi hai... to main uske sath romance nahi karunga to kya tere sath karunga...
sagar:- oh plzz m happy with ruhi yar...chal on a serious note dekh sujal in do dino mein maine jitne bhi papers
dekhe hai... unse hum piyush lambe se ander nahi kara payeinge... tujhe nahi lagta sujal ki humein piyush saaf -
saaf sabdo me sujal kashish aur ruhi garewaal ki maut ke ilzaam me ander karana hoga... aur ander karana kam
hoga.. use to fasi milni chahiye...
sujal:- ha yahi baat samrat ne bhi kahi thi... par yeh sirf ek hi surat me possible hai... agar piyush aur swayam apna
gunaah apne muh se qubool kare...
sagar:- exactly... waise piyush to abhi nahi hai na...bacha wo fattu swayam... kai bar uske expressions notice kiye
hai maine... sala ek number ka darpok hai...
sujal:- hmmm darpok hai na... aur darayeinge... but humein uske liye rishi uncle aur mehek aunty ki help leni
padegi...
sagar:- par tu karna kya chahta hai...
sujal:- ab R&G house banega horrer house...
sagar:- matalab...?
sujal:- tune kaha na wo swayam fattu hai... to agar wo fattu hai aur agar sujal kashish ke bhoot use daraye toh...
sagar:- u mean...
sujal:- exactly what i mean... dekh wahan ke sabhi youngsters apne sath hai means rohan ruhi and maahi... par
humein bado ka sath chahiye... jo sirf mehek aunty aur rishi uncle kar sakte hai...
sagar:- to kaise batayega unhe...?...
sujal:- kashish ko to abhi piyush ke room ki talaashi lene ko kaha hai... dekhte hai sayad kuchh mil jaye...
R&G house...
kashish piyush ek kamre me thi... aur mahi bahar yunhi khadi thi... aur mobile me dekhne ke bahane bahar nazar
rakhe hue thi...kashish har ek cheez ko bade hi gaur se dekh rahi hai... sare drawers dekhne ke baad kashish piyush
ka cupboard kholti hai... par use kuchh nahi milta.. par uski nazar piyush ke room ki ek painting me jaati hai jo
thodi uthi hui si thi...wo jakar us painting ko hatati hai to dekhti hai uske peeche ek locker type safe bana hua tha...
jo us painting se cover tha...kashish use kholne ki kosis karti hai par wo locked tha... usne keys bhi search ki par
use us locker ki keys nahi mili so finally wo bahar aa gayi...
sujal - kashish's room...
mahi:- kuchh nahi mila...?
kashish:- aise to kuchh nahi mila par ek locker hai uske room me jo usne chhipa ke rakha hai... painting ke peeche
dewar pe...
mahi:- kya par koi aise kyun chhupayega.. jarur us locker mein kuchh aisa hai jo wo sabko nahi dikhana chahta
hai...
kashish:- right... maine kafi kosis ki use kholne ki par wo locker khul hi nahi raha tha... uske room ki koi bhi key
us locker me nahi lagi...
mahi:- ab kya karegi... kaise kholegi wo locker...dekh tere paas sirf aaj rat ka time hai kya pata kal tak agar piyush
aa gaya toh...
kashish;- hmm sahi bol rahi hai... aaj sujal jaise hi aayega main usse baat karti hun...(tabhi kashish ke kamre me
knock hota hai mehek ander aati hai...).. ji aunty koi kaam tha...
mehek:- nahi koi kaam nahi tha bus itna hi kehne aai thi... aaj jaisi bewakoofi dubara mat karna...
kashish:- matalab...?
mehek;- jab piyush ki kamre me gusho to bahar kisi ko khada mat karna shaq ho jata hai...( dhamake on kashish
and mahi's face...)... and mahi abhi tum bachhi ho tumhare expression se saaf pata chal raha tha ki tum bahar
pehredaari kar rahi ho...( mehek turns to go... kashish helds her hand...she turns and kashish hugs her very tightly
and starts crying...mahi ne jakar door lock kar diya...mehek samajh gayi...wo bhi use hug kiye hue thi aur ro rahi
thi...)... di kisne mara tha aapko aur bhaiya ko..?...( kashish looks at her...)...mujhe pata hai tum meri di nahi ho...
par kabhi to thi na... tum dono ko sab yaad aa gaya hai mujhe pata hai main to bas tum dono ki help karna chahti
hun...
kashish:- aunty wo...( then she told mehek about ruhi's and sujal kashish 's death and about piyush and swayam...
mehek is hell shocked...)...
mehek:- kyaa... piyush aur swayam...
kashish:- ha aunty aur bas isilye maine aur sujal ne shadi ki aur yahan aa gaye taki sujal kashish aur ruhi garewal
ki maut ka badla le sake...
mehek:- main abhi rishi ko...
kashish:- na aunty... aap janti hai ki rishi uncle kaise hai.. agar unhe pata chala ki unke big b ko piyush ne mara
tha wo isi waqt uski jaan le leinge... yeh baat roahn aur ruhi ko pata hai... wo humare sath hai... bas ab jab aapko
bhi pata hai toh...
mehek:- main tum dono ke sath hun... and i promise u ki ab tumhare is khel me main tum dono ko ghar me kuchh
nahi hone dungi... apni di aur bhaiya ko to nahi bacha paai... par ab tum dono ko kuchh nahi hoga...
kashish:- thanku aunty...
mehek:- ek baar mehek keh do mujhe lagega ki meri di mujhe mil gayi...( kashish hugs her again...)...
kashish:- mehek... i love u...
mehek:- i love u too di...
kashish:- aunty yeh baat aap papa ya mumma ko mat batana abhi plzz...
mehek:- theek hai nahi bataungi...par tumhe nahi pata kitna tadpi hai mumma apne sujal ke liye.. par unhe yakeen
tha ki unka sujal jarur aayega...
kashish;- samajh sakti hu unka dard maine bhi apni bachhi khoi thi.. achha aunty humare jaane ke baad aap logon
ne shimla chhod diya aur yahan aa gaye par uske baad is ghar me wierd sa kya - kya hua jo aapko laga ho ki
sudden hua hai mere aur sujal ki maut ke baad...
mehek:- bahut kuchh hua hai kashish... sabse pehli baat rishi ko piyush aur swayam k sath kaam karna pasand
nahi tha to usne apni alag company kholi... aur jaise hi rishi business se alag hua piyush aur swayam ka raj ho
gaya R&G empire me... rishi sirf apne SK enterprises pe dhyaan deta tha use bhi inse matalab nahi tha... kai baar
rade padi hai police ki aur income tax ki R&G me rishi ko yakeen hai ki piyush swayam aur tushar galat kaam bhi
kar rahe hai R&G ki aad me... aur jahan tak sawaal hai ghar ka to ghar me sirf raj vasu aunty aur rewa aunty ka
chalta hai... dono hi ek si hai... rewa aunty humari sagi chachi hai fir bhi unhe mumma se koi matalab nahi...
mumma ne bolna chhod diya... aur mujhe bhi kaha ki main usne jayada matalab na rakhu... bas main bhi apne
pariwar se matalab rakhti ho gaya aur rohan aur ruhi ko bada karne me kab itne saal beet gaye pata hi nahi
chala...
kashish:- kya aapko kabhi aisa laga ki vasu aunty ya rewa aunty ka piyush aur swayam ke bure kaamo me hath
tha...
mehek:- hath ka to pata nahi.. par mujhe itna yakeen hai ki we sab janti hai unke kukarmo ke bare me...
kashish:- theek hai thanku...
mehek:- ok main chalti hu... plzz mujhe batati rehna...( kashish nods in yes... )...
kashish:- mehek aunty plzz abhi rishi uncle ko kuchh mat kahiyega... actually jab sujal ko sahi lagega to wo khud
sab kuchh bata dega...
mehek:- theek hai... mahi khayaal rakhana...( mehek left...)..
its night time kashish apne kamre me baithi thi aur apne hi khayaalo me khoyi hui thi... sujal aata hai aur door lock
karta hai apna bag sofe pe rakh kar peeche se kashish ko hug karta hai.. kashish ghabra jati hai...
sujal:- kya hua main hu yar...kya baat hai bahut tense lag rahi ho...
kashish:- ha wo... ( then she told him every thing what has happened to day...)...
sujal:- oh tum rishi ki chinta mat karo waise tumne theek kiya mehek ko bata kar waise kal main rishi se baat karne
hi wala hu humein un dono ki jarurat padegi...(kashish just looking at him...)...aise kya dekh rahi ho... nazar
lagane ka irada hai kya...
kashish:- ha ha ha very funny,... waise sujal tumhe nahi lagta ki rishi uncle aur mehek aunty humse umra me bade
hai tumhe unhe unke naam se nahi bulana chahiye...
sujal;- oh god... theek hai... main kal rishi UNCLE se baat kar lunga ab khush...
kashish:- ha bahut...aur us locker ka kya...?
sujal:- uska ilaaz hai mere pass... waise kashish tum kitani dumb ho... mehek ne i mean mehek aunty ne tumhe ek
din me pakad lia...
kashish:- ha tum to bade smart ho to woh locker khol ke dikhao...
sujal:- wo to main dikhaunga hi... dont worry thodi aur rat ho jane do.. fir dekhna mera kamal...aur ( apni pocket se
ek pen nikalta hai...) yeh meri help karega...
kashish:- yeh pen...
sujal:- kashish yeh normal pen nahi hai... bahut dhayaan se dekho ise...( kashish wo peb hanth me leti hai aur use
har jagah se dekhti hai aue fir sujal ko...)...
kashish:- yeh toh...
sujal:- camera hai... secret camera.. jo ab piyush aur tushar ka parda fash karega... waise mere pass ek aur plan hai
jis par hum kal se kaam kareinge...
kashish;- kaisa plan...?...
sujal:- kashish piyush bahut smart hai par wo swayam ek no. ka fattu hai... yaad hai tumhe jab first time main is
ghar me aaya tha mujhe dekh kar behose ho gaya tha...
kashish;- kya behose...?
sujal:- ha ruhi ne bataya hai... to na mujhe ek idea aaya hai... piyush ne use yakeen dila diya hai ki hum wo sujal
kashish nahi hai... jinhe in dono ne mara tha... par sujal kashish ke bhoot to swayam ke muh se sab nikalwa sakte
hai na...
kashish:- right aur baki ghar waale jaise mehek aunty rishi uncle rohan ruhi yeh sab humari help kar sakte hai...
sujal:- exactly... aur uske liye kal mujhe rishi uncle se baat karni hogi...
kashish;- hmm... achha chalo ab fresh hoke aao main tumhara dinner laati hu...
sujal;- ok.. aai ne kha lia...?...
kashish:- ha mumma ke sath kha lia hai... ab tak so bhi gayi hai...
sujal:- ok main aaya...
sujal wash room chala jata hai tab tak kashish sujal ka aur apna dinner leke aati hai.. dono dinner karte hai aur fir
apne mission ke baare me bat karte hai...ab kareeb rat ke 2 baj gaye the sabhi so chuke the... sujal uthta hai aur
kashish ki dressing se uski ek hair clip uthata hai...aur piyush ke room me jata hai... kashish apne room me yahan
se wahan chakkar kat rahi hai... sujal dheere se jakar kashish ki batai hui jagah se wo painting hatata hai... aur
kashish ki hair clip ko tedha karke piyush ka locker kholta hai...aur shocked reh jata hai... wo locker ander se
bahut hi jayada bada tha... wahan cororo rupaye rakhe the... sath me kuchh files... sujal use camere wale pen se sab
record karta hai...aur saari files ko open karke unke contents ki bhi recording kar leta hai...aur fir usi clip se bahut
saawdhani se wapas locker band kar deta hai...aur apne room me ata hai... uske face me bahut hi cute si smile
thi... wo kashish ko uski clip deta hai...
kashish:- nahi khula na... maine kaha tha kabhi clip se... (then sujal kashish k muh pe apna hath rakh deta hai...)
sujal:- chup... bahut bolti ho... locker khul bhi gaya sari cheeje maine record bhi kar li...aur locker ko band karke
aa bhi gaya...
kashish:- kya par...
sujal:- wait...( sujal laptop lata hai aur camere se ek device ke through lappy me connect karta hai... aur dono bed
pe baith kar sari recording dekh rahe hai...)...
kashish:- oh my god... itna sara paisa... par yeh papers...
sujal:- ek minute...( then sujal sare papers ko set karta hai... aur unki hard copy ka print deta hai... ) kashish wo
saare papers lekar aao...( kashish jakar printer se saare papers lekar aati hai...fir sujal kashish dono hi bade
dhyaan se wo saare papers study karte hai...)...
kashish:- sujal yeh piyush to swayam ko bhi dhokha de raha hai...
sujal:- ha... aur yeh dekho... tumhari propery ko kaise hathiyana hai uska plan bhi usne bana rakha hai...
kashish;'- sujal yeh saare proof humare bahut kaam aayeinge court me pesh karne ke liye... isse swayam to lambe se
jayega...
sujal:- hmm kashish par main chahta hu ki inhe fasi ho jiske liye yeh kafi nahi hai... khair yeh saare paise 2 no. ke
hai... aur yeh kuchh papers hai jo inke supportings hai... kashish hume care full rehna hoga... hum koi bhi saboot
apne pass nahi rakhienge... tum aisa karna ki mahi ke locker me sab kuchh rakhwana ok...
kashish:- theek hai... sujal hope so humein jald se jald saare saboot mil jaaye...
sujal:- ha kashish... but main saboot hoga inka confession jo main kara ke rahunga,...chalo abhi bahut rat ho gayi
hai so jate hai...( fir sujal aur kashish dono hi so jate hai...)
next day...
SK enterprises...
sujal:- ha rishi yahi sach hai...( both have tears... rishi hugs him very tightly...)...
rishi:- big b... i missed u alot... i will kill them... un dono ne...
sujal:- nahi rishi humein josh se nahi hose se kaam lena hoga...
sagar:- ha uncle sujal bilkul sahi bol raha hai... humein unka confessin chahiye jisse hum unhe kadi se kadi saza
dila sake... aur isme aapki aur mehek aunty ki help chahiye...
rishi:- hmmm sahi keh rahe ho main mehek ko sab bata dunga wo bahut khush ho...
sujal:- unhe sab pata hai... kashish ne unhe sab bata diya hai...
rishi:- kya use sab pata tha aur usne mujhse...
sujal:- relax rishi... chill yar...
sagar:- yes uncle to humara plan abhi swayam se confession karane ka hai... jiske liye... ( then he told him about
their plan...) aap samajh rahe ho na...( tabhi ruhi aati hai...)...
ruhi:- hey sujal...hi sagar... sab theek to hai na... tum dono office mein...( ruhi looks at rishi... jo use ghoor raha
tha...)... kya hua papa...
rishi:-to tujhe bhi inki sachhai pata thi...( ruhi looks at sujal & sagar... sujal assures her...)...
ruhi:- ha papa wo...
rishi:- koi baat nahi... i m proud of u and rohan...
sujal:- ruhi maine rishi ko...
ruhi:- sujal rishi uncle... tumhe nahi lagta ki mere papa tumhare baba ki unra ki umra ke hai...
rishi:- oh kya bol rahi hai... big b aap...
sujal;- oye sahi to bol rahi hai... rishi uncle...
rishi:- uncle...?...
sagar:- ab hai to yahi sach na u also have to accept it...
rishi:- ya right...
fir sabhi mil kar aage ka aur plan discuss karte hai aur sujal & sagar R&G laut jate hai,... jahan we apne - apne
jasusi ke kaam me lag jate hai... swayam ne sujal ko busy karne ke liye ek project bhi de diya... now sujal project bhi
dekh raha tha...aise hi pura din guzar gaya... ghar me kashish bhi aaj vasu aur rewa ke sath hi baat kar rahi thi...
taki kuchh jan sake... but itna asaan nahi tha...
its about 2 in the night... swayam apne kamre me so raha tha ki saari lights off ho jati hai... windows khul jati
hai... swayam ki neend khul jati hai... to uske kamre me white dhuaa ander aata hai kuchh khatarnaak awaje bhi...
swayam kaafi dar gaya... ki achana se... uske cupboard khula saare kapde bahar gire ( rohan ek wire ki madad se
aisa kar raha tha... swayam khada hua aur window ke pass gaya to uske upar ek skeltin aakar gira... wo cheekha...
aur jaise muda to peeche kashish waise hi saare me khadi thi jisme uski maut hui thi... uske nail kafi bade the...
face poora white tha... usne swayam ka gala pakad lia...
kashish:- nahi chhodungi tune mujhe mara tha na mere sujal ko meri ruhi ko mara main aa gayi hu... tum dono un
sujal kashish me humein dekh rahe ho... par wo to sirf humari shakla lekar paida hue hai... par hum aaj bhi bhatak
rahe hai taki tum dono se badla le sake...hahahahaha...
kashish ne swayam ka gala chhoda... swayam ne dar ke mare apni aakhien band ki aur bhaga bahar ki taraf... itne
me kashish apne room me chali gayi.. rohan aur sujal ne wapas room sahi kar diya... aur nikal gaye... swayam ki
awaaz se ruhi maahi rishi mehek aaye...
ruhi;- kya hua uncle aap chhekh kyun rahe hai...
rishi:- ha kya hua swayam bhaiya...
swayam(scared);- wo... wo... rishi... wo bhoot...
rishi:- kya...kya bakwaas kar rahe ho...
swayam(scared):- sach me... wo kashish ka bhoot.. tabhi kashish sujal aate hai... kashish apne night suit me thi...
kashish:- kya hua uncle...?... aap itna dare hue kyun ho...
swayam(scared):- bhoot... bhoot...
kashish:- kya main...
sujal:- abe oh dhakkan pagal ho gaya hai kya... meri biwi tujhe bhoot lagti hai...
swayam(scared):- nahi - nahi yeh nahi,... wahan wo kashish bhoot... humari kashish...
ruhi:- are to yahi to hai humari kashish...
rohan:- are kya di...jab itna keh rahe hai to inke kamre me dekh lete hai... inhe bhi shanti mil jayegi...
swayam(scared):- ha - ha,... nahi - nahi jaunga... kashish mujhe maar dalegi...
kashish:- shut up main aapko kyun marungi... aap meri saut ho kya...( sujal looks at her like a look- what was
that... kashish bites her lips...)...
swayam(scared):- are tum nahi wo... wo...
mehek:- wait... rishi hum chal kar dekhte hai... swayam bhaiya aap daro mat main aur rishi hai na...
swayam(scared):-ha theek hai... chalo main dikhata hun...
swayam sabko ander lekar gaya... but room bilkul neet and clean tha...
swayam(scared):-yeh kaise ho gaya... abhi to yahan wo mera cupboard... wo skeltin... kashish yahi thi...
sujal:- to woh abhi bhi yahi hai...
swayam(scared):-kaha hai...
sujal:- yeh kya yeh rahi...( kashish ko pakad kar...)...
swayam(scared):-are yeh nahi...
sujal:-abe oh ghanchakkar... dimaak ka dahi mat kar rat ke 3 baje tujhe yeh sab sujh raha hai...
mahi:- sujal wait... swayam uncle... bhoot pret sirf unhi ko pareshaan karte hai... jinhone koi galat kaam kiya hota
hai... aapne kabhi koi galat kaam kiya hai... achha kya aapne apne sujal aur kashish ke sath kuchh galat kiya tha
kya...
swayam(scared.. and thinking..but leing):- nahi... kabhi kuchh galat nahi kiya...
mahi:- to fir aap kyun dar rahe hai... agar aapne kuchh galat kiya hota to aisa hota... waise maine suna tha ki unka
murder hua tha hai na aunty...
mehek:- ha beta...
mahi:- maine bahut padha hai aunty... mujhe pata hai ki jab kisi ki akaal mrtiyu hoti hai to we bhoot ban jate hai
aur jinki wajah se unki jaan gayi hoti hai... unki jaan wo lete hai...
rohan:- aisa kuchh nahi hota mahi,... ha yeh sach hai ki badi ma aur bade papa ka murder hua tha but... agar
unhe aana hota bhoot bankar toh 25 saal kyun wait kiya unhone...
ruhi:- hmm.. point hai...
mahi:- are nahi kehte hai ki bhoot pret bhi apni shakti aur powers ko gain karne ke liye tapasya karte hai isliye
mostly wo apna badla kaiii saalo baad lene aate hai...( yeh loge to maje se yeh saari batein kar rahe hai... aur
bechara swayam AC chal raha tha fir bhi paseena - paseena tha...)...
sujal:- are uncle... aapko bahut garmi lag rahi hai... ac ka temp badha du kya...waise yeh bas aapka bharm tha koi
nahi hai... ab hum chalte hai...
swayam:- ha theek hai... sayad mere bhram hi tha...
kashish;- ok uncle good night ha...( sabhi swayam ko good night kehte hai... aur nikal jate hai...swayam door band
karta hai aur mahi ki baatien soch raha tha... fir kafi der bad kareeb 3:45 pe wo wapas sone ko bed par letata
hai... par light on kiye tha... wo aankhien band karta hai ki kashish ka bhootiya chehra fir nazar aaya use... usne
apni aakhien khol li... ki achanak se fir lights band ho gayi... aur khidki khuli wahan sujal bhoot ban kar khada
tha... actually window se latka tha...aur has raha tha... swayam fir dar kar bhaga aur rishi ke room me... aur
kheech kar lekar aaya use... rishi ne akar dekha wapas light on thi... aur window band thi... koi nahi tha...
rishi:- koi to nahi hai yar... kya ho gaya hai aapko...
swayam(scared):-wo sujal ka bhoot...
rishi;- shut up... koi nahi hai... kya laga rakha hai kabhi kashish ka bhoot kabhi sujal ka bhoot...( ki achanak se fir
window khul gayi... aur sujal bhoot ke roop me khada tha... lights off ho gayi...but rishi normal compose khada
tha...swayam fir dar gaya...sujal ander aaya...uske hanth me candle thi...aur swayam aur rishi ke beech khada ho
gaya...)...
swayam(scared):- rishi dekho yeh sujal... sujal ka bhoot...
rishi:- kya bakwaas kar rahe hai aap... koi to nahi hai,...
swayam(scared):-are dekho humare saamne khada hai... yeh candle dekho... lights bhi chali gayi hai...
rishi:- kaun si candle mujhe kuchh nahi dikhai de raha hai kyuki kuchh hai hi nahi.. aur lights yeh dekho saari
lights to on hai...
swayam(scared):-sari lights to band hai...aur yeh sujal...
sujal;- use kuchh dikhai nahi dega... sirf tu mujhe dekh sakta hai swayam... bahut intezaar kiya hai maine... bhaut
tapasya ki hai maine aur kashish ne tune aur piyush ne milkar humein mara tha na... hum laut aaye hai... tum dono
se badla lena insaan na sahi bhoot ban kar hi sahi... rishi ko kya kisi ko kuchh nahi dikhai dekha...
rishi:- achha main chalta hu... mujhe tumhara so called bhoot nahi raha hai.. aur khabar dar jo mujhe ab jagaya
to...( rishi wahan se chala gaya... sujal ne swayam ka gala pakda aur uski pitai kar di.. swayam dar kar bahar
bhaga... aur rohan ke room me gaya aur use lekar aaya...)...
swayam(scared):-yeh dekho...( room ki lights wapas on thi... sujal nahi tha...)... abhi to wo yahi tha lights kaise aa
gayi...
rohan:- kya unlce kabhi kashish kabhi sujal... aur yeh aapke face ko kya hua... kahin gir gaye the kya... ( swayam
apna face aaine me dekhta hai sujal ki mar ke nishaan the...)...
swayam(scared):- wo sujal ne mara hai...
rohan:- oh god...cut the crap main ja raha hu,... sone...
swayam(scared):-main bhi aata hu,... main yahan nahi rahunga...
rohan:- theek hai chaliye...(rohan swayam ko le jata hai...aur swayam to bed me leta tha par jaag raha tha...)...
swayam in his mind:- iska matalab yeh sab in sujal kashish ka koi natak nahi hai... wo sach me sujal kashish ka
bhoot tha... iska matalab we badla lene aaye hai... yeh sab us piyush ka kiya hai aur main fas gaya... nahi maine
bhi to mara tha unhe... kya karu... ha mahi ko pata hoga...usi se puchunga...
next day...
R&G office...
sagar has raha tha aur uske sath...
sagar:- par baki sab kaise nahi jaage itna halla hua like wo tushar...
sujal:- kaise jaagte mehek ne sabke khane me 1 -1 neend ki goli daal di thi...
sagar:- oh to tushar bhi ghode bech kar so raha tha...
sujal:- ha... aur aaj rat bhi jab piyush aa jayega to wo bhi nahi jagega... aur meri gut feeling keh rahi hai ki aaj rat
jab hum wapas use darayeinge to wo kuchh na kuchh jarur karega... waise mahi jab use apna bhoot gyaan de rahi
thi bade hi dhyaan se sun raha tha...
sagar:- means sab kuchh theek ja raha hai...
sujal:- ha... achha chal bata tune us tushar se sign liye...
sagar;- ha le liye hai... piyush ne jo power of attorney tushar ke naam ki thi ab wo tere naam hai... ek number ka
gadha hai... sala kisi ladki se baat kar raha tha to yeh bhi nahi dekha ki kin papers me sign kar raha hai...
sujal;- achha hai...
tushar's cabin...
tushar:- what...bhoot...aap sach me pagal ho gaye hai...
swayam;- are main sach keh raha hu...
tushar:- achha to mujhe kuchh kyun nahi sunaai diya main bhi to ghar me tha... aur aapka aur mera room 2 rooms
chhod kar hi hai...
swayam:- wo sab mujhe nahi pata par main sach keh raha hu... sabhi ghar waale aa gaye the... rishi rohan mehek...
tushar:- to unhe dikhai diya...?
swayam:- nahi sirf mujhe... sujal ka bhoot mere aue rishi ke beech me khada tha... par use nahi dikha...
tushar:- u know what uncle... aapka yeh tharki pan aapke dimaag me bhi chad gaya hai... aisa kijiye sanyaas le
lijiye...aur daaru kam pijiye...bhoot dekha hai...hhnnn...( tushar left...)...
swayam:- are meri baat to,... kya sach me... ha...sahi keh rahe hai sab...
sab koi dinner kar rahe the...piyush bhi aa gaya tha... mehek wapas apne group aur swayam ke alawa sabke khane
me neend ki dawa mila deti hai... jisse sabhi jakar so jate hai...
swayam:- wo piyush mujhe tumse kuchh baat karni hai...
piyush:- abhi nahi swayam main bahut thaka hua hu... aur ( yawning)... mujhe bahut neend bhi aa rahi hai... good
night.. kal office me baat kareinge...( piyush left...)...
swayam:- par...
swayam apne room me jata hai... aur kal ki saari baatien yaad kar raha tha... aur dar bhi raha tha usne khidki
darwaje sab achhe se band kiye... aur so gaya ki achanak se fir kal ka pura hadsa hua uske sath... wahi sab rohan
aur ruhi ne uske kamre ka hulia badal diya... sujal kashish ka bhoot wapas aya aur is baar dono hi toot pade us
par...swayam fir bhaga aur uski awaaz se sabhi gang aa gayi... kamra wapas sahi kar diya... par sujal kashish wahi
khade the...swayam ne sabko dikhaya aur wapas palta to dono hi nahi the...
rohan:- koi to nahi hai uncle... yeh aapko ho kya gaya hai...
ruhi:- ha unlce kal bhi aapne kisi ko sone nahi diya...
rishi;- dekho swayam bhaiya... yeh sab aapka bhram hai agar bhoot hota to humein bhi dikhta na...
swayam:-sujal kashish nahi aaye...
mehek:- wo...
swayam:- hato...
mehek:- are kaha ja rahe hai...?...
swayam:- sujal kashish ke kamre me... agar yeh sab we kar rahe hai to i will not going to spare them...
swayam sabke sath sujal kashish ke room me jata hai aur door knock karta hai... sujal uth kar door kholta hai...
sujal:- kya hua...
swayam:- tum to...kashish kaha hai...?
sujal;- wo kya...( pointing towards the bed)... so to rahi hai... dekho uncle kal bhi puri rat pareshaan kiya hai tune...
aaj agar fir se kiya na to apun umra ka lihaaz bhi nahi karega... dho dalega... bhag yahan se sone de...
kashish(Sleeping tone):- kya hua... kyun cheekh rahe ho...
sujal:- kuchh nahi janu tu so ja... yeh pagal fir aa gaya...( sujal swayam ke muh me darwaja marta hai aur ander se
lock kar deta hai kashish uthati hai.,.. usne abhi bhi white saree pehen rakhi thi but swayam ke saame khud ko bed
sheet se cover karke rakha tha...)...
kashish:- thank god...hope so aaj mahi ka jadu chal jaye...
sujal;- ha... khair go and change...
outside.. swayam's room...
rishi:- karwa li beizzati... unhe kya milega aapko pareshaan karke... aur sach kahu to aap hum sabko pareshaan
kar rahe hai...good night...chalo sab... iska roz ka natak hai...( sabhi chale jate hai... swayam bas apne bed pe
dumb sa baitha tha... aur uski aankhon se aanshun beh rahe the...)
swayam:- sala piyush...sab aa gaye... par wo nahi aaya,... sach kehte hai... bura insaan chahe dost hi kyun na ho
musibat me sath chhod deta hai... par ab main kya karu... kaise mukti paaun in bhooton se...( tabhi swayam ke
kamre m knock hua... swayam ne darte hue bola,...) kaun hai...
mahi:- uncle main hu maahi...
swayam:- ha beta aa jao...
mahi:- sorry uncle but main aapse kuchh bat karna chahti hun...
swayam:- ha kaho...(mahi jakar swayam ke saamne bed par baithi aur swayam ka hath pakada usne...)...
mahi:- uncle... kisi aur ko aapki baat ka vishwaas na ho but mujhe hai...
swayam:- matalab tum manti ho ki maine bhoot...
mahi;- ha uncle... uncle sayad aapko pata nahi hai... but bachapan se hi in spritual and super natural cheejo aur
power me interest tha... main bachpan se yeh sab padhte aa rahi hu... bhoot hote hai uncle... par maine padha hai ki
agar aap jesus ke saamne sachhe dil se manfi mang lo to yeh bhoot aapko pareshaan nahi kareinge...
swayam:- manfi... kis baat ki manfi...?..
mahi:- uncle mujhe nahi pata ki aap ne unke sath kya kiya tha but unhe aur jesus ko to pata hai na... main yeh
nahi keh rahi ki aap apni galti kisi insaan ko batao... but jesus ko bata sakte hai na... bas itna hi kehna tha... agar
aapko wishwaas ho aur aap in cheezo pe vishwaas karte ho to wo bandra ke pass jo church hai na kal wahan chale
jana aur god ke saamne sachhe dil se confess kar lena... aur manfi mang lena i m sure yeh bhoot aapko pareshan
nahi kareinge... aur yeh lijiye jesus ki murti hai yeh... ise apne pass rakh soiye... i m sure koi bhoot nahi
aayega...aur ha uncle aap jo baat kal jesus se karo wo kisi ko batana mat...kehte hai ki jo dua mangi jaye wo kisi
ko bata de to puri nahi hoti...ok ab main chalti hu byee gn...( mahi left...)...
swayam in his mind:- kya yeh sach keh rahi hai... theek hai aaj yeh murti apne pass rakh kar sota hu... agar kuchh
nahi hua to kal church jaunga...
swayam murti ko apne paass rakh kar so gaya... aur use kisi ne pareshaan bhi nahi kiya...mahi ne phone pe kashish
ko sab bata bhi diya... subah hui swayam jaga... ab use mahi ki baat pe yakeen sa ho gaya... so wo naha kar church
ki ore nikla... rohan uske peeche tha... jaisa mahi ne kaha tha swayam bandra ke church me hi ja raha tha... tab tak
rishi ne jesus ke pass secret camera fit karwa diya special permision lekar aur sath me humanity ke liye...swayam
pahunch gaya tha aur sujal aur rishi church me hi chhipe the...swayam jakar kar candles jalata hai... aur apni
knees pe baith jata hai...
swayam to jesus:- god plzz mujhe manf kar dijiye... i know maine bahut galat kaam kiye hai... par main ab sab
kuchh confess karna chahta hu aapke saamne... god sabse pehle to maine bahut saari illegal drugs ke kaam kiye
hai... ek baar ek accident kiya tha delhi me jisme ek bugurg ki jaan bhi chali gayi thi... aur bhi chhote mote bure
kaam kiye... fir main piyush se mila aur kareeb 25 saal pehle ruhi ka kidnap kiya piyush ke sath... par main use
nahi mara tha piyush ne use extra cloroform sungha diya... aur wo mar gayi... aur uske baad maine aur piyush ne
mil kar hi sujal kashish ko shimla ki ek pahadi pe goli mar di...aur we dono mar gaye... plzz god i know maine paap
kiya hai... par plzz mujhe manf kar do... mujhe un sujal kashish ke bhoot se mukti de do...thankyou god...
(Swayam ne yahan wahan dekha... koi nahi tha... so wo wapas chala gaya...sujal aur rishi bahar aaye dono ki
aankhon me aanshun the...)...
sujal:- man to kar raha tha ki abhi ise jaan se mar dalun par...
rishi:- par tumhi ne kaha tha ki josh se nahi hose se kaam lena hai... wait main tape lekar aata hu...( rishi gaya aur
usne tape liya...aur dono sk enterprises pahunche sagar bhi wahan sabhi ne tape dekha... swayam ka pura
confession recorded tha...)...
sagar:- great work yar...ab main aisa karta hu... ki iski 2 copies banata hu... ek mere pass aur ek maahi ke pass
rahegi...aur iska forensic test bhi kara lunga taki koi ise jhuth proove na kar sake...swayam to gaya...par abhi jab
tak piyush aur tushar ke khilaaf saboot nahi mil jate humein swayam k khilaf chup rehna hoga...
sujal:- manzoor hai... so guys 1 down... 2 left...tushar ne bhi inka sath diya hai... inke jitni to nahi par saza to
milegi use bhi...
sagar:- hmm right...chalo lets back to work...
sujal aur sagar wapas R&G office pahunch gaye aur apne kaam me lage hue the... ab tak dhoke se inhone power of
attorney ke sath - sath swayam ki saari property apne naam kara li thi... par kisi ko khabar nahi lagi...
piyush's cabin...
sujal:- piyush uncle... yeh saari details hai... hum meeting start karwa sakte hai...
piyush:- theek hai... waise swayam kaha hai...?..( tabhi swayam ander ata hai...)...
swayam:- i m here piyush...
piyush:- kaha the... subah se gayab ho...
swayam:- wo bas aise hi... so meeting start kare...
piyush:- sure...( sujal piyush aur swayam 3no meeting me jate hai...aur fir swayam aur piyush meeting room se
wapas aate hai,...) waise tum kal rat kuchh keh rahe the na...
swayam:- ha wo...( then he remember mahi's word and stop...) nahi - nahi kuchh nahi... bhool ja...
piyush:- par...
swayam:-are bas mera bhram tha...
piyush:-ok...chalo its late..mujhe ek client se milna hai nikalta hu.. tum sujal pe nazar rakhna...aaj tushar bhi nahi
hai...pune gaya hai...
swayam:- ok... dont worry...
aise hi kareeb 5-6 din guzar gaye...kisi bhoot ne swayam ko pareshaan nahi kiya in dino swayam khush tha wo mahi
ke room me gaya...
mahi;- are uncle aap...
swayam:- ha beta wo... main tumhe thanku bolne aaya tha.. kisi ne meri baat ka yakeen nahi kiya tha siwaay
tumhare aur tumhare nuske ne kaam bhi kiya... ab mujhe koi nahi darata...
mahi:- really uncle... yeh to bahut achhi baat hai...waise uncle jesus hai hi aise sabke dukh dard le lete hai...
swayam:- ha sahi keh rahi ho... thanku beta mujhe samajhne ke liye...
mahi:- uncle sach kahu to agar main bhi kisi aur ki jagah hoti to in sab me yakeen nahi karti.. par kya hai na
maine in sabke bare me bahut padha hai to mujhe pata hai...
swayam:- ha main samajh gaya... again thanks... main chalta hu good night...
mahi:- good night uncle...( swayam left...and mahi gayi sujal kashish ke room me...)...
sujal- kashish's room...
all are laughing...
mahi:- thanku beta mujhpe yakeen karne ke liye...
sujal:- stop it mahi... waise well done ha...
mahi:- are tum sab ke liye kuchh bhi... waise sujal tumne rishi uncle se baat ki ruhi aur sagar ke liye...
sujal:- are ha... main abhi aya...
kashish:- are sujal...( but sujal left...)...
mahi:- are jaane de... apan dono baat karte hai... jabse teri shadi hui hai tu to mujhe bhool hi gayi hai.. jab dekho
sujal se chipki rehti hai...
kashish:- achha ek baar teri shadi hone de... fir main dekhti hu... waise tujhe jaldi to hai.. tabhi tu ruhi aur sagar ke
peeche padi hai...hai..na...hai na... hai na...( both laughs...)...
rishi - mehek's room...
rishi:- kya... par...
sujal:- kya par war... aapko mujhpe vishwaas nahi hai...?...\
rishi:- are hai na... khud se jyada hai...
sujal;- toh bas,...
rishi:- par abhi wo bachhi hai...
sujal & mehek together:- really...
rishi:- ha... par...
sujal:- oh suno uncle... aapki beti mujhse umra me badi hai... aur meri shadi ho chuki hai...mere liye ruhi meri
badi behen jaisi hai... aur mujhe sagar pe pura bharosha hai...ab bolo ha ya na...
rishi:- ha...
sujal:- yehhh... mubarak ho aunty...
rishi:- par...
sujal:- are par war kuchh nahi... main abhi sagar ko batata hu ki kal aap dono mumma papa ke sath ruhi ka rishta
lekar ja rahe ho sagar ke liye...aur ha ruhi sagar ke sath mahi aur rohan ki bhi shadi kar deinge...ha rohan chhota hai ruhi se...but itna bhi nahi hai ki shadi na ki jaaye...
rishi:- theek hai mere baap,... jab tumne soch lia hai to mujhse puchh hi kyun raha hai...
sujal:- are meri aai ne bhi mujhe bahut sanskaar diye hai... bado ka aadar karna chahiye... u know what..jo kuchh bhi mumma ne shikhaya tha aai bilkul waisi hai...
rishi:- hmm tumhe mumma ki saari baatein yaad hai...?...
sujal:- ha sab...achha ab main chalta hu...( sujal turns to go...and all three shocked...)...
end of part 21
press like if u really liked it
do comment
love chandni
********************************************
********************************************
324