PHIR MILEINGE - Saath Saat Janmo ka.... Sujal Kashish ** Completed**.. - Page 13

Created

Last reply

Replies

253

Views

46.6k

Users

17

Likes

359

Frequent Posters

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: RNforever

great ab pyaar ka izhar hoga
i hate piyush n vasu kitne planning kar rahe h yeh
hope sk ke liye koi problem creat na ho isme
loved the update
cont soon


love naina


I hate them too
Thanku
.FlyingClouds. thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
Wow!!!
Gr8 part
Now they will confess their feelings
This vasu and piyush ko toh thappad ki zarurat hai
Aa jate hain tang arane
Thanks for the pm
Cont soon
Edited by Acad10 - 9 years ago
drshabnam3 thumbnail
Posted: 9 years ago
super awsm part...sujal kashish sath me song too gud...scenes bhi ek dam mast sujal kashish k...thnx for pm😊
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: drshabnam3

super awsm part...sujal kashish sath me song too gud...scenes bhi ek dam mast sujal kashish k...thnx for pm😊


Thanks n welcm
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Thanku so much dear
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago


posting in 5 minutes

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
thanku everyone for liking & commenting on part 13...here is part 14...keep reading...& give ur feedback...love...

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
*** PHIR MILEINGE - sath saat janmo ka***

Part 14

then anu ke father sujal ko bhi beech me laate hai...all are dancing...with full swing...kashish bas sujal ko dekh rahi thi...dono hi ek dusre ke liye apne pyar ko mehsoos kar rahe the...bas ab alfazo ki zarurat thi...

night...

pratham;- so kya baat hai yar...khullam khulaa use prapose kar diya...itani jaldi...

sujal;- are kahan wo to bas aise hi...but...

pratham;-but...?

sujal:- i think she also likes me...

pratham;- abe like mat bol...love bol...warna jaisi tu harkate kar raha tha...koi aur hota na...to kheech ke chanta marta...

sujal;- kya sach me wo bhi mujhe...

pratham:- ha...i think so...i m 99.00% sure...baki 1.0% tujhe puchna padega...

sujal;- ha main puchunga...

pratham:- dekh sujal abhi do din hai...in do dino me bahut kuchh ho sakta hai...pyar bahut khubsurat ehsaas hai...yeh tu bhi janta hai...bas ab use mukkammal bana de...

sujal:- thanks yar mujhe nahi pata tha ki teri ye saadi meri kismat badal degi...kal sangeet hai... main jaan ke rahunga ki uske man me kya hai...

pratham:- nahi jaan paya toh...?

sujal:- toh wo kaha bhagi ja rahi hai...hum dono ko shimla hi jana hai...

pratham;- sahi hai boss...never give up policy...

sujal;-always...

anu's room...

anu;- kya baat hai kashish...he loves u...(kashish blushes...)...

kashish:- par wo to sirf gana ga rahe the...

anu:- kashish...plzzz sabko dikh raha tha...aur tu bhi kam nahi ha...itna kho gayi ki...(kashish hugs anu...)

kashish;- i m so happy anu...bas wo izehaar kar de...

anu:- jitna aaj dekh kar pata chala hai...100% karega...chal sote hai...waise teri aur meri dono ki mehendi ka rang khoob chada hai...

kashish:- ha...maine socha nahi tha ki...teri shaadi me meri mulaakat meri zindagi se ho jayegi...

anu:- are ho toh pehle hi gayi thi train me...bas dastaan yahan likhi ja rahi hai...(both laughs...and slept...)

next day...shimla...noon time...

mehek theator ke baahar khadi hai...tabhi rishi aaya...

rishi;- hey mehek...thanku yahan aane ke liye...

mehek:- tumne bulaya tha rishi...kaise na aati...

rishi:- thanks...waise tumahra test kaisa gaya...?

mehek;- achha tha...chale...

rishi:- yup...lets go...(n dono cinema hall me chale jate hai...)

paalam pur...

it was sangeet night...sabhi subah se hi kam me lage the...sujal bar - bar kashish ke aas pass hi kam kar raha tha...jo kashish ko achha bhi lag raha tha...par uska mind divert bhi ho raha tha...tabhi lagbhag shaam ke waqt kashish kuchh cheeje sahi kar rahi thi subah ke hi kapdo me...ki sujal ready hokar aata hai...usne dark mahroon coloure ki sherwaani pehni thi...kashish looked at him...and clean bold...he was looking dam handsome... sujal noticed her expression...woh dheere se uske pass gaya...

sujal;- hiii...( but kashish is lost... sujal waves his hands...) hiii...miss kashish...

kashish:- hii...( kashish turns to go...)..

sujal;- so kaisa lag raha hu... koi kho sa gaya tha...( kashish bits her lips and turns...)...

kashish;- kaun...?

sujal:- aap...

kashish:- ji aisa kuchh nahi hai...

sujal:- achha toh bata hi de ki kaisa hai...

kahsish:- ji...

sujal:- i mean how's m i looking...?

kashish:- hmmm... khatta nimbuda...

sujal:- what...kya...matalab...

kashish:- kuchh khaas nahi...jaise roz dikhte hai waise...

sujal;- oh hellow madam...main.. i m the sujal garewaal... ladkiyaan marti hai mujhpe...

kashish:- toh...

sujal;- toh... kuchh nahi...par jo bhi ho..is waqt aap se toh bahut better lag raha hu...u know khud ko dekho...

kashish:- woh to jab main taiyaar ho kar aaungi tab dekhienge...

sujal;- achha toh der kis baat ki jaao...

kashish:- abhi aai...(kashish left...)...

sujal;- bol to aise rahi hai jaise miss world ho...hnn...

after about half & hour...kashish anu ko lekar aati hai...anu ne blue sharara pehena hai...to kashish ne yellow golden sharara...now it was sujal turn to clean bold...sujal kashish ko sach me muh khol ke dekh raha tha...on which kashish aur anu dono ko hi hasi aa gayi...pratham jo sujal ke pass hi khada tha...usne cream sherwaani pehni thi...usne sujal ke kaan me kaha...

pratham;- abe muh band kar...pehle ladki nahi dekhi kya...( sujal closed his mouth...)..

sujal;- abe yeh mujhe mar dalegi ek din...kya gazab lag rahi hai yar...main to gaya...

pratham:- chup abhi nahi...

bebe:- oh chalo puttar loge sangeet suru karo...are kashish tu wahan kya anu ke peeche baithi hai aa ja na...oh ladko waalo suru karo oye...

sujal:- ji bebe...aapka hukum sir aakhon pe...( he winks at bebe... on which bebe slaped him soflty...)...

bebe:- hat nalayak...

some girls. & with kashish..:-

(imagine sujal & kashish are dancing like shahrukh & kajol..)

banno, ki mehndi... kya kehna
banno, ka joda kya kehna...
banno ,lage hai fulo ka gehna...
banno, ki aankhien kazraari...
banno, lage sabse pyari...
banno, pe jaaun main wari wari...

(kashish and all aother girls and ladies are singing...around anu...and she is blushing...)

sujal:-
hooo...ohhh...hooo...
hooo...ohhh...hooo...
banno ki shaheli...resham ki dori...
chhup chhup ke sarmaaye...
dekhe chori - chori...

(sujal starts singing...on which kashish looked at him from behind anu...she smiles...)

banno ki shaheli...resham ki dori...
chhup chhup ke sarmaaye...
dekhe chori - chori...

(sujal kashish ko salaam karta hai aur wink bhi karta hai...on which kashish blushed...)

yeh maane ya na maane...
main toh ispe mar gaya...
yeh ladki haieee...allah...
haieee haiee re allah...
yeh ladki haieee...allah...
haieee haiee re allah...

( sujal starts dancing with all other boys...looking at kashish)...

kashish:-
babul ki galia...na chhad ke jaana...
pagal diwaana...isko samjhana...

(kashish wahan se uth kar aati hai..)

babul ki galia...na chhad ke jaana...
pagal diwaana...isko samjhana...
dekho ji dekho yeh toh mere peeche pad gaya...
yeh ladka haieee...allah...
haieee haiee re allah...
yeh ladka haieee...allah...
haieee haiee re allah...

(kashish kuchh girls ke sath sujal ko chidhaate hue dance kar rahi hai...)

sujal:-
lab kahe na kahe...bolti hai nazar...
pyar nahi chhipta...yaar chhipane se...

(sujal looks at her...and push her a bit...)

kashish:-
haa...roop ghunghat me ho...to suhana lage...
baat nahi banti... yaar batane se...

(kashish apne upar chhuni dal kar ga rahi hai...)

sujal:-
yeh dil ki baatein rab hi jaane...ya jaane khuda...
yeh ladki...
yeh ladki haieee...allah...
haieee haiee re allah...

(sujal dancing aroud kashish,)

sajnaaa...ah aha ha aa aa aa...
----------------------------------------
(both are dancing when colide to each other sujal held her...both are looking at each other eyes...)

kashish:-
mange se kabhi...hanth milta nahi...
jodia banti hai...pehle se sab ki...

(kashish usse door jakar dance karne lagti hai...)

sujal:-
hooo...leke baarat ghar, tere aaunnga main...
meri nahi yeh toh... marzi hai rab ki...

(sujal also dancing while answering her)

kashish:-
are ja re ja..yun jhoothi muthi baatein na bana...
yeh ladka...
yeh ladka haieee...allah...
haieee haiee re allah...
yeh ladka haieee...allah...
haieee haiee re allah...
(kashish is also answering him and dancing around him...)

sujal:-
banno ki shaheli...resham ki dori...
chhup chhup ke sarmaaye...
dekhe chori - chori...

(sujal is dancing)

kashish:-
babul ki galia...na chhad ke jaana...
pagal diwaana...isko samjhana...

(kashish is dancing...)

sujal:-
yeh maane ya na maane...
main toh ispe mar gaya...
yeh ladki...
yeh ladki haieee...allah...
haieee haiee re allah...
yeh ladki haieee...allah...
haieee haiee re allah...

(sujal is singing looking kashish...and winks at her on which she blushed)

kashish:-
yeh ladka haieee...allah...
haieee haiee re allah...


sujal:-
yeh ladki haieee...allah...
haieee haiee re allah...


kashish
yeh ladka haieee...allah...
haieee haiee re allah...


sujal:-
yeh ladki haieee...allah...
haieee haiee re allah...

(all are dancing with full swing...and lots of fun...)...

movie:- Kabhi khushi kabhi gam...

aur aisi hi masti aur dhamal ke sath sangeet khatam hota hai...all are happy & content...

next day...

it was wedding day of anu & pratham...sadi do tariko se honi hai...subah church me aur rat me hindu widhi se...isliye subah se sabhi kamo me lage hue the...it was around 11 am...jab sujal pratham aur baki ladke walo ke sath church pahunchta hai...sujal aur pratham anu ka wait kar rahe hote hai...ki after some time anu apne papa aur kashish ke sath aati hai...she is looking very priety in that wedding attire...and kashish too wearing a off white gown she looking like an angel...sujal just looking at her...and other side sujal and pratham both are looking like grooms...very handsome...and hot...aisa lag raha tha mano 2 brides aur 2 grooms ho...father kuchh mantra chant karte hai...aur anu aur pratham ko as a husband and wife declare karte hai...now time for ring exchange...kashish anu ko ring deti hai...aur sujal pratham ko... pratham sujal ke hanth se ring lene hi wala hota hai ki ring gir jati hai...sujal aur kashish dono hi ring uthane ko aage badhte hai...kashish ring uthati hai ki sujal uske hath me apna hanth rakh deta hai...aur kashish ki body me ek current sa daud jata hai...dono hi ek dusre ki aankhon me kho jate hai...

for sujal:-
jee yeh chahe yeh lamhe...bas yahi par ruk jaaye...
saamne tum raho aur...hum tumhe dekhte jaaye...

for kashish:-
dil me hone lage hai... meethi- meethi si hulchal...
tum raho sath jaise... meri aankhon ka kaajal...
sath din raat rahe...ohhh...
pyar ki baat rahe...aur rahe kuchh na baaki...

for sujal:-
maine ikraar kiya hai...tera hai baaki...
thoda sa pyar hua hai... thoda hai baaki...

for kashish:-
thoda sa pyar hua hai... thoda hai baaki...
thoda sa pyar hua hai... thoda hai baaki...

bebe ki awaaj se dono apne sapno ki duniyaan se baahar aaye...aur kashish ne ring sujal ko di...sujal ne pratham ko... aur pratham ne ring anu ko aur anu ne pratham ko pehna di...is tarah inki saadi ho gayi aur sab ghar aa gaye...saam ko hindu riwaaj se shaadi ki taiyaari karne ke liye...

shimla...

mehek college ke stairs pe baithi thi aur kuchh soch rahi hai...

mehek in her mind:- kya main sach me...ha sayad...kyuki wo mujhe pasand to bahut pehle se tha...par tab main usse baat nahi karti thi...par ab to wo mera frnd bhi ban gaya hai...to kya sach me mujhe rishi se pyar ho gaya hai...ho bhi sakta hai...akhir kar...wo kitna achha aur sachha hai...wo humesha meri help karta hai...uske rehte college me koi mujhse uchi awaaz me baat tak nahi karta hai...hai to trusty ka beta...par kitna down to earth hai...aur ab to wo di ka devar bhi banne waala hai...to main aur rishi bhi...(tabhi rishi aaya aur mehek ke bagal me baith gaya...)...

rishi;- kya soch rahi ho...?

mehek:- tum kab aaye...?

rishi:- jab tum mere baare me soch rahi thi...

mehek:- kya...par...

rishi:- jhuth mat bolna...bolo soch rahi thi na...

mehek:- ha...

rishi;- kya...?

mehek:- wo actually...wo tum ab meri di ke dever banne waale ho na...?

rishi:- kyaa...( shocked...)... what dever...tumhari di ka...?...

mehek:- ha tumhe nahi pata...are 2 din pehele hi toh tumhare papa aur uncle ghar aaye the...tumhare piyush bhaiya ke sath...di ka hanth maangne...

rishi:- kya piyush bhaiya ke liye...mujhe laga...

mehek:- kyun tumhe kya laga...?

rishi:- mujhe laga tum mere big b means mere real bhaiya ki baat kar rahi ho...

mehek:- are nahi- nahi maine to tumhare real bhaiya ko to kabhi dekha hi nahi...wo to piyush jiju ke liye...

rishi:- oh...piyush jiju ha...nice...iska matalab ab hum rishtedaar banne waale hai...akhir kaar tumhari di meri bhabhi jo hai...

mehek:- ha right...

rishi:- par hum aapke hai kaun...

mehek;- ahh...woh..rishi chale...mujhe class ke liye late ho raha hai...( mehek wahan se actually bhag gayii...)...

rishi:- piyush bhaiya aur...mehek ki di...aisa kaise...kahin isme bhi toh vasu aunty...kuchh bhi ho sakta hai rishi... beta pata lagana padega...

paalampur...

it was almost night time...sujal baki baratiyon ke sath khada hai...usne black sherwaani pehni thi...aur pratham mandap me baitha tha usne mehroon sherwaani pehni thi...pandit ji mantra padh rahe the... ki tabhi we anu ko bulane ko kehte hai...aur kashish anu ko lakar aati hai...kashish ne pink lehenga pehna hai...toh anu ne dark red aur golden lehenga pehna hai...sujal kashish ko to pratham anu ko dekh raha hai...kashish anu ko pratham ke bagal me bitha deti hai...aur jakar peeche ki ore khadi ho jati hai... saadi suru ho gayi hai...sujal kashish un par phool barsha rahe hai..par sujal dulhe aur dulahan pe kam kashish pe jyada phool barsha raha tha...actually fek raha tha... kashish irritate ho jati hai...aur apne hanth ke saare phool sujal ke muh pe maar ke chali jati hai...tabhi sujal ki nazar kashish ki choli pe gayi...actually uski choli ki dori halki sa khul gayi thi...sujal kashish ko hanth se choli ki dori ka ishara karta hai...par kashish samajh nahi pati...again sujal use isharo me kehta hai par kashish to anu aur pratham ko dekh rahi hai...

sujal dheere se kashish ke pass gaya...aur uska hath pakad ke bagal ke room me kheech kar le gaya...kashish ghabra si gayi...kamre me andhera bhi tha...par kashish janti thi ki yeh sujal...baahar ki kuchh raushni ander aa rahi thi...dono ek dusre ko dekh pa rahe the...

kashish:- yeh aap...

sujal kashish ke honthon pe ungli rakh deta hai... aur use halke se turn karta hai... aur halke se uke baalon ko back se hatata hai...kashish apni aankhien kash kar band kar leti hai...aur jaise hi sujal ki fingers...kashish ke back ko touch karti hai,...uski saasein tham jati hai...aur wo wapas turn karke sujal ko kash ke hug kar leti hai...kashish ke is action aur reaction se sujal ke chehre pe ek pyari si smile aa jati hai...sujal usi hugging position me kashish ki dori bandh deta hai...aur halke se uske kaan me kehta hai...

sujal:- kashish...wo tumhari dori khul gayi thi...main wahi bandh raha tha,...wahan sabke saamne kaise karta... sorry.. agar bura laga ho toh...(kashish looks at his eyes...kashish ki aankh num thi..par honthon par muskaan bhi...)...i m sorry plzz... tum...(sujal laga ki wakai kashish ko bura laga hai...tabhi wo ro rahi hai...)..dekho main tumhe hurt nahi karna chahta tha...wo to..tum sabke saamne embarased na ho bas isliye...(kashish placed her finger on his lips...)...

kashish:-nahi sujal mujhe bura nahi laga... thanku...

sujal:- ohk...chale...( sujal turns to go... but kashish helds his hand...)...

kashish:- sujal kabhi - kabhi kuchh baatein bina kahe samajh jana chahiye hai na...? alfazo se jyada aankhien bolti hai...aapse hi shikha hai...(kashish wahan se chali gayi...aur sujal muskura raha tha...)...

sujal:- go for it sujal...she loves u...(sujal jaane laga ki uska pair kisi cheej me pada...usne utha kar dekha toh woh ek payal thi...) are yeh toh kashish ki hogi...hmmm...rakh leta hu...baad me de dunga...(sujal ne wo payal apni pocket me rakh li...aur bahar chala gaya...jab tak sujal bahar gaya...shaadi complete ho gayi thi...aur anu ki vidaai ki preprations chalu thi...)

anu ki vidaai ho rahi hai...kashish bhi ro rahi thi... pata nahi kyun par sujal ko kashish ka rona bilkul achha nahi lag raha tha...wo janta hai ki normal hai par...kisi ke aanshun aaj usko takleef de rahe the...kya use chand dino me kashish se is kadar pyar ho gaya tha...yeh to wo khud bhi nahi janta tha...par ha use itana pata tha ki wo kashish ko chahne laga hai...aur ab wo kashish ko apne pyar ka izhaar karke rahega...aur aise hi anu ki vidai ho gayi...apne pyar aur pati pratham ke sath...almost sabhi loge ja chuke the...sujal apni car se aaya tha toh wo kal subah niklega...aur kashish bhi...sujal ne kashish se puchha ki kya wo uske sath jayegi to kashish ne ha kardi...

next morning...

bebe:- oye khotya...apna khyaal rakhi...aur kashish pahunch ke phone kar dena puttar...

sujal;- ji bebe...

kashish:- ji bebe...(sujal kashish nikal gaye...)...

in car...

sujal apne hi khayaalo me khoya hua tha...wo bas yahi soch raha tha ki kashish ko kaise apne dil ki baat bataye... wo samajh hi nahi paa raha tha...kashish bore hone lagi...

kashish:- sujal...

sujal;- hhmmm bolo...

kashish:- kya baat hai...bahut shaant shaant hai aap...

sujal;- nahi bas aise hi...

kashish:- aap aise bilkul achhe nahi lagte hai...aap haste hue bahut achhe lagte hai...

sujal;- oh toh yeh compliment tha...

kashish:- tha toh...

sujal;-thanks for the compliment...(tabhi kashish ki nazar ek khet type jagah pe padi jahan saayad kuchh kishaan aur aurte fasal kaat rahi thi...)...

kashish:- sujal...car rokiye...(Sujal stops...)...

sujal:- kya hua...

kashish:- woh dekhiye...kitna sundar nazara hai na...humara asli india...yahan ke kishaan aur yeh fasle...

sujal:- ha achha toh hai...

kashish:- chale wahan...

sujal;- kya par...

kashish:- plzz thodi der...

sujal:- ok chalo...

kashish ja kar ek thele type lakdi ke vehiccle me baith jati hai...aur un sabhi ko fasal katate hue dekh rahi hai...kashish ki julfe uske chehro ko dhak rahi hai par wo bas nature ko dekhne me busy thi ki sujal ko masti suzi aur usne us thele ke handle ko pakada aur kashish ko gol gol ghumane laga...kashish halka se ghabra gayi...

(imagine sujal kashish dancing & behaving like salmaan & madhuri)

sujal:-
10,9,8,7...6,5,4,3...2,1,lets start the fun...
(kashish ko sujal ghuma raha hai...aur kashish has rahi hai...baki auratein unhe dekh rahi thi...)

other ladies:-
thandi- thandi...purwaiyaan me...udati hai chunariyaan..
dhadke mora jiyara...baali hai umaariyaa...
(ladies inhe masti karte dekh kar khush ho rahi hai aur gate hue fasal kaat rahi hai...)

sujal:-
dil pe nahi kaabu...kasia yeh jaadu...
(sujal kashish ko chhod kar wahan aage khet me jata hai...aur bahe fayla leta hai...)

---------------------------------------------------

kashish:-
yeh mausam ka jaadu hai mitwa...
na ab dil pe kaabu hai mitwa...
naina jispe kho gaye...
diwaane se ho gaye...
nazara wo harsu hai mitwaa...
ohhh...
yeh mausam ka jaadu hai mitwa...
(kashish wahan se uth kar un ladies ke pass jati hai...aur fasal katate hue sujal ko dekh kar ga rahi hai...)

other ladies:-
sehri baabu ke sang...mem gori- gori...
aise laage jaise, chanda ki chakori...
(other ladies rotityaan bana rahi hai...aur we sujal kashish ki bhi dete hai...dono kha rahe hai...)

kashish:-
fulo kaliyon ki bahare...chanchal...yeh hawaao ki pukaare...
haaa...
fulo kaliyon ki bahare...chanchal...yeh hawaao ki pukaare...
(kashish khate hue...yahan se wahan kheto me ghoom rahi hai...)

sujal:-
humko yeh ishaaro me kahe...
tham ke hum yahan ghadiyaan guzaare...
(sujal usi thele me late jata hai...aur aasmaan ki ore dekh raha hai...)

kashish:-
pehle kabhi to na humse... batiyaate the aise phoolwaa...
(kashish turn karti hai...aur sujal ki taraf chal kar aa rahi hai...)

sujal:-
yeh mausam ka jaadu hai mitwa...
mitwaa...
na ab dil pe kaabu hai mitwa...
mitwaa...
naina jispe kho gaye...
diwaane se ho gaye...
nazara wo harsu hai mitwaa...
hooo...
yeh mausam ka jaadu hai mitwa...

(sujal usi thele pe khada ho jata hai...aur kashish aur aasmaan ki ore dekh kar...ga raha hai...aur fir kashish ko us thele me bitha deta hai...aur pani lakar kashish ko deta hai...)

other ladies:-
sachhi sachhi bolna... bhed na chhupna...
kaun dagar se aaye... kaun disha hai janaa...
(one of lady asking them by singing..)

sujal:-
inko hum leke chale hai...apne sang nagariyaa...
inko hum leke chale hai...apne sang nagariyaa...
(sujal winks at them...aur us thele ko hath se chalane lagta hai...jisse kashish jo pani pee rahi thi...use jhatka laga...)

kashish:-
hiiiee re...sang anjaane ka...uspar anjaan dagariyaa...
(kashish us thele se uth kar apni kapde sahi karne lagti hai...)

sujal:-
phir kaise tum door itane... sang aa gayi mere goriyaan...
(sujal us thele pe baith jata hai...aur kashish ko wink kaete hue gata hai...)

kashish:-
yeh mausam ka jaadu hai mitwa...
mitwaa...
na ab dil pe kaabu hai mitwa...
mitwaa...
naina jispe kho gaye...
diwaane se ho gaye...
nazara wo harsu hai mitwaa...

(kashish usi style me sujal ko jawaab dekar...car me jaakar baith jati hai...aur sabhi ko byee keh rahi hai...)

hooo...yeh mausam ka jaadu hai mitwa...
mitwaa...

(sujal smile karta hua car me aake baithta hai...aur car start karke sabko byee kehke chala jata hai...)

movie:- Hum aapke hain kaun...

aise hi dono finally rat ko shimla pahunch gaye...

kashish:- chaliye...finally apne ghar aa gaye...

sujal:- ha ab aise picnic manate hue ayenge toh time toh lagega na...

kashish:- ji sujal wo sorry maine aapko bahut takleef di jate samay bhi aur aate...

sujal:- kashish...i dont think so ki tumhe sorry kehna chahiye...kyuki mujhe tumhari help karke kuchh mila hai...maine kuchh paya hai...khoya nahi hai...( they have a eye lock...)

kashish:- kk..kyaa...

sujal:- nahi kuchh nahi...

kashish:- ok... byee...

kashish apna samaan peeche se uthati hai...aur apne ghar ki gate ki taraf chalne lagti hai...na chahte hue bhi uski aankhien num ho gayi...par ek awaaz ne use roka...

sujal:- kashish...(sujal car se utar kar aaya...aur kashish ke peeche khada ho gaya...kashish ka back sujal ko face kar raha tha...pata nahi kyun par kashish me sujal ko jata dekhne ki himmat nahi thi...)...wo yeh...yeh maine paya hai jo lautana hai tumhe...( kashish turn karti hai...use sujal ke hanth me apni payal dikhti hai...)..

kashish:- yeh toh meri...

sujal:- ha tumhari payal...kal gir gayi thi...maine sambhaal kar rakh li thi...yeh aur yeh bhi...(ek letter dete hue)

kashish:- yeh...isme kya hai...

sujal:- tumhare liye hai...bad me padh lena...byee...

Sujal jaldi se wahan se chala gaya... kashish sujal ko jata hua dekh rahi thi...usne apne aanshun poche...aur jaldi se apna samaan utha kar ander chali gayi...mehek aur proff sinha se mili...aur thak jane ka bahana bana kar apne room me gayi... aur turant door lock kar diya...usne payal ko bed pe rakha...aur jakar bed pe baith gayi...aur bahut hi halke se wo letter khola...aur padhne lagi...

dear kashish...

main janta hu ki...sayad main jald baaji kar raha hu... par main ek aisa insaan hu...jo sirf khush reh kar zindagi jeene me yakeen karta hai...jo apni baat keh dene me yakeen karta hai... mujhe pata hai sayad tumhe azeeb lage...par...jabse tumse mila hu... mujhme ek naye sujal ne janm lia hai...jab bhi aankhien band karta hu toh tumhra chehra nazar aata hai...jab bhi aankhine kholta hu toh...bas tumhe saamne dekhna chahta hu...tum roti ho to achha nahi lagta mujhe...main nahi janta yeh kya hai...par agar ise hi pyar kehete hai toh ha...chahne laga hu main tumhe...kab kyun.. kaise yeh nahi pata...bas itna pata hai ki pyar karne laga hu tumhe... i love u kashish...( kashish has wide smile...and she closed her eyes...happiness is written all over her face...she and start to read...)... gussa mat hona ha...agar tum bhi kuchh feel karti ho to... jo maine dekha hai...to kal shaam 4 baje m.g. road pe jo mata ji ka mandir hai...wahan aa jana...main intezaar karunga...lekin sirf ek ghanta...aur agar tum nahi aayi to samjhunga ki mera pyar ek tarfa tha... par dont worry ha... main tumhe kuchh nahi kahunga aur chala jaunga tumhari zindagi se... par mujhe puri ummeed hai ki tum aaogi...

tumhara aur sirf tumhara sujal...

kashish:- kya hai aap... aapne mujhe pyar karna sikhaya aur khud aise keh rahe hai...aap to itane achhe hai ki kisi ko bhi aap se pyar ho jaye... aur aapne mujhe pyar ke laayak samjha...itna samman itani izzat di... uski liye zindagi bhar aapki karzdaar rahungi... main aaungi sujal.. main jarur aaungi... kyuki main bhi aapse bahut pyar karti hun...bahut...


next day..subah se hi kashish bahut khush thi...aaj use uska pyar jo milne wala tha...aur dusri taraf sujal ne bhi bahana bana diya ki uski tabiyat kharab hai aur office nahi gaya...aaj shaam ko piyush ka roka karne ke liye sabhi jaane waale hai...sujal se puchha gaya to usne inkaar kar diya...sabhi thoda hairaan hue par...par maan gaye...yahan sujal ko yakeen tha ki kashish jarur aayegi... aur dusri taraf kashish ko bina baataye hi proff shaab ne saari taiyaari karwa li...jab kashish dopahar ke waqt apne kaam se fursat hui toh use ajeeb sa laga...usne papa ko puchha ki yeh sab kya hai...

kashish:- papa...yeh sajawat kyun...koi aane waala hai kya...itani saari taiyariyaan kyun...

mehek:- woh isliye di,...kyuki aaj aapka roka hai...( dhamaake on kashish's face...)...

kashish:- kya par...

proff sinha:- ha kashish aaj main bahut khush hun...maine jaisa socha tha waisa hi pati aur sasuraal milne wala hai tumhe... mera sapna pura ho gaya beta...( he hugs kashish )...sorry tujhe bata hi nahi paya...jab tu paalam pur gayi thi na...tab we rishta lekar aaye the...aur unhone sirf teri tasveer dekh kar tujhe pasand kar liya...soch tu kitani kismat waali hai... ki tujhse milne ke baad vasu ji ne tujhe pasand kar lia aur khud humare pass aai...maine socha tha ki teri kam padhaai ki wajah se tere liye bahut achha pati dhundhna muskil hoga...par dekh...kitna achha pati aur pariwaar milega tujhe...

kashish:- papa aapne mujhse ek baar bhi nahi...

proff sinha:- are isme puchhne wali kya baat hai...apni kashish ke liye main koi aira gaira dhundhuga kya... unhone kaha tha ki tujhse puchh lun...par mujhe yakeen tha ki tu kabhi na kahegi...aaj tak jo maine kaha sab tune mana hai,...to bas mujhe bas yakeen tha... ab ander chal...dekh mehmaan bhi aane suru ho gaye hai...aur bahut achhe se taiyar ho ja...ek do ghante me wo sab aate honge...mehek le jaao ise...

apne papa ki aankhon ki khushi...aur hasi ko dekh kar kashish kuchh na keh paayi...,mehek use kamre me le aai...aur use taiyaar karne lagi... kashish bas statue bani baithi thi...uske saamne se sujal ke sath bitaaye saare pal guzar rahe the...mehek usse baat kar rahi hai...par kashish to sirf sujal me khoyi hui thi...

mehek;- di...aap sun rahi ho na...

kashish;- ha...ha...bol...

mehek:- to main yeh keh rahi thi ki...humara college hai na...unhi ke trusty ke bete hai jiju...ha dekhne me bhi achhe hai...par u know what di mujhe laga tha ki aap itani sunder ho to aapko koi prince jaisa dikhne wala ladka milna chahiye...khair ab jo naseeb me likha hota hai...wahi hota hai...papa ne jab jaldi me ha ki to mujhe achha nahi laga tha... phir maine socha humare papa...kabhi bhi koi bhi faysla lenge to humare bhale ke liye hi hoga na... isliye main khush hu...aap bhi khush ho na di...?

kashish:- tu khush hai... papa khush hai... toh main bhi...

mehek:- wow di...aap to bahut khubsurat lag rahi ho... piyush jiju to behos hi jayeinge...

kashish:- piyush...?

mehek:- ha aapke hone wale pati...achha main abhi aai...ha...baahar mehmaan bhi aa gaye hai...

mehek gayi...kashish daud kar gayi aur usne door lock kar lia...aur rona suru kar diya..yahan uske pyar ki suruaat hui nahi thi uske sapno ka ant ho raha tha...wo rona chah rahi thi...cheekh cheekh kar batana chahti thi ki wo yeh shaadi nahi kar sakti...wo sujal se pyar karti hai...par wo aisa nahi kar sakti hai...4 din ke pyar ke liye...wo apne papa ka sir 4 logon ke saamne nahi jhuka sakti thi...wo dheere se gayi aur apne pillow ke neeche se usne sujal ka letter nikala...aur use seene se laga kar ro rahi thi...sirf ro rahi thi...

its about 3pm sujal apne room me ready ho raha tha ki veena aati hai...sujal bahut khush dikh raha tha to veena ne usse uska reason puchha...

veena:- oh hero...kya baat hai...

sujal:- mumma...main kaisa lag raha hu...?

veena:- lag to bada achha lag raha hai...kisko marne ka iraada hai...

sujal:- kya mumma...aap bhi...

veena:- achha bata kya baat hai...teri toh tabiyat sahi nahi thi na...aur tujhe to kuchh kaam tha isliye tune piyush ke roke me bhi aane ko mana kiya... par aisa kya kaam ki itata taiyaar hokar...ha...ab bol kya chhipa raha hai...kahan ja raha hai...itna saj dhaj ke...

sujal:- wo mumma... i m in love...

veena:- kya...kaun hai wo ladki...kya naam hai..kahan rehti hai..kya karti hai...

sujal;- waite... waite... waite...actuallly abhi mujhe pata nahi ki woh bhi mujhse to...bas wahi puchhne ja raha hu...wo humare kul devta ka mandir hai na wahi bulaya hai use..bas aap dua karo ki woh ha keh de...

veena:- mera beta itna achha hai...use toh koi paagal hi na kahega..ja mera aashirwaad tere saath hai,...waise naam nahi bataya tune...

sujal:- meri kasam khaao ki jab tak main na kahun,...kisi ko nahi bataoge...

veena:- kya tu bhi..mat bata...

sujal:- uska naam kashish hai...(dhamake on veena's face...)..

veena:- kashish...

sujal:- ha kyun...?

veena:- nahi kuchh nahi...

sujal:- mumma...woh aapne mujhe wo ring di thi yaad hai...main wo lekar ja raha hu... jaaun...?

veena:- ha jaa...bhagwaan kare tujhe tera pyar mil jaaye...(sujal hugs her...)...

sujal;- mumma...u r the best...i love u byee...(sujal veena ko kiss karke chala jata hai...)

veena:- kashish kahin yeh... nahin- nahin aisa kaise ho sakta hai...kashish naam ki toh kai ladkiyaan hongi...main hi kuchh jyada soch rahi hu...


yahan kareeb 4 bajne waale hai sujal mandir pahunch gaya hai aur kashish ka intezaar kar raha hai...wahan kashish ki kashish hi gum ho gayi thi...wo bas chup chap baithi thi apne room me...use bas yeh khayaal sata raha hai ki sujal wahan pahunch gaya hai..wo sujal se baat bhi karna chah rahi thi..use batana chahti thi ki wo kyun nahi aa rahi...par kashish ke pass sujal ka number nahi tha...ab sabhi garewaals aur rahejas pahunch chuke hai...proff sinha unka swagat karte hai,...fir vasu kashish ko bulaane ko kehti hai...aur mehek kashish ko lekar aati hai...aur piyush ke bagal me bitha deti hai... kashish ne sir uthaa kar ek baar piyush ko nahi dekha...

dusri taraf ab 5 bajne ko sirf 5 minute reh gaya tha...sujal haar raha tha...use ab apna pyar harta hua nazar aane laga...wo bas yahi dua kar raha tha ki waqt ruk jaaye aur uski kashish aa jaye...aur yahan kashish ki nazar ghadi par thi...achanak se ghadi ne 5 bajne ka sanket diya...aur kashish ne apni aakhien dard se band karli...yahan sujal jisne kashish ke liye phool kharide the...wo phool wahi baithe ek bachhe ko de diya...aur wahan se jaane laga... yahan kashish ka roka vasu aur veena ne kiya...aur ab sabhi baithe hai...

vasu:- are piyush yeh kya...sujal abhi tak nahi aaya...(Sujal ka naam sunte hi kashish ko jhatka laga...) usne kaha tha na ki kaam khatam karke aayega...

piyush:- ha mom kaha toh tha...aunty kaha hai wo...?

veena:- beta use jaruri kaam tha toh...

vasu:- oh common veena...sujal piyush ka best frnd hai...sujal ko yahan hona chahiye...piyush tum use phone karo...

piyush:- ji mom...( piyush sujal ko phone milata hai,...aur kashish ka man bechain sa tha...use aisa lag raha tha ki abhi kisi ne uski jaan nikaal li ho...)...ha sujal kaha hai tu...

sujal (crying)..:- wo piyush...bas..kaam me...

piyush:- yeh...kya hua hai tujhe...teri awaaz...( kashish looks at piyush...)...achha tera kaam hua...

sujal:- nahi cancle ho gaya...

piyush:- abe to...tu yahan jaldi aa yar...mujhe bhool gaya kya...

sujal:- main tujhe kaise bhool skata hu...tu mujhe address test kar main aata hun...(sujal piyush ko address bhejta hai...aur sujal wo address padh kar shocked reh jata hai,...) kashish ka ghar...yeh kaise...nahi aisa nahi...

sujal ko gussa bhi aa raha tha...agar kashish ko uska pyar manzoor nahi tha toh...par phir usne socha galti bhi toh usi ki hai...pyar do dilo se hota hai jabardasti nahi...par fir bhi wo speed se gadi chala raha tha aur 10 minute me pahunch gaya...sujal ghar ke bahar tha...uske kadam badh hi nahi rahe the...

vasu:- toh bhai saab ab aapki kashish humari hui...

proff sinha:- ji jarur...

vasu:- toh pandit ji aap jald se jald piyush aur kashish ki shaadi aur sagai ka dono muhurat nikaal dijiye...

pandit ji:- ji to jajmaan...mangni ke liye aaj se 12 din baad ka subh muhurat hai...aur uske 2 din baad shadi...

proff sinha:- kya itani jaldi...

vasu;- are kahan jaldi hai...pure 14 din hai...proff shaab hume to koi aitraaz nahi kyun lalit...

lalit:- ha sab ho jayega...fir yeh bachhe hai...aur ek baar mere sujal ko aa jane dijiye...wo sab sambhal lega...

cg:- bilkul sahi kaha...

rishi:- par big b aaj hi gaayab hai...

veena:- aata hoga...chup...

vasu:- toh tai samjhe...?

proff sinha:- ji jaisa aap sab theek samjhe...hume koi aitraaz nahi...(vasu ki nazar sujal par padi jo darwaaje pe khada tha...sujal ne kashish ko dekh lia...par kashish abhi bhi sir jhukaaye baithi thi...)...

vasu:- lo piyush sujal bhi aa gaya...

kashish ne apna sir upar kiya...aur sujal ko dekha...uske pairo tale jameen hi nikal gayi...piyush uth kar gaya aur usne sujal ko hug kiya...aur sujal ne bhi... veena ko kuchh ajeeb sa laga...par wo chup rahi...

piyush:- thank god tu aa gaya...mujhe laga tha ki...mere roke me mera best frnd nahi hoga...chal tujhe teri bhabhi se milata hu...

piyush sujal ka hanth pakad kar kashish ke saamne le jata hai...aur kashish bhi khadi ho jati hai...

piyush:- kashish..yeh hai sujal mera best frnd...hum sab ek hi ghar me rehate hai...( dhamaake on kashish's face)... aur sujal yeh teri bhabhi...kashish...

sujal:- hello...

vasu:- are yeh kya sujal tum piyush se chhote ho yani kashish ke devar...kashish tumse badi ho gayi ab...chalo apni bhabhi ke pair chhuo...( dhamaake on kashish & sujal's face..)...chalo rishi tum bhi aao...

piyush;- kya baat hai...tu kuchh bol kyun nahi raha hai...

sujal;- nahi kuchh nahi...( to kashish) congratulations...b bhabhi...

kashish closed her eyes with pain..& clinched her fist... sujal jhuk kar kashish ke pair chhune waala hota hai ki...achaanak se mehek ke hanth se tray chhoot jata hai...aur sab wahan dekhne lagte hai...aur yahan kashish apne pair hata leti hai...

mehek:- sorry woh...

rishi:- koi baat nahi ji...

piyush:- chal aa baith...

piyush sujal ko bitha deta hai...aur aise hi sujal kashish bar - bar ek dusre ko dekh rahe hai...veena ka saq yakeen me badal sa raha tha...wo dono hi sujal aur kashish ko notice kar rahi thi...kashish sofe ka grip pakad kar baithi hai...sujal uth gaya...

sujal:- piyush...mujhe kaam hai main nikalta hun...waise bhi yahan to sab kuchh ho hi gaya hai... meri koi jarurat nahi hai ab...mumma...byee...

piyush:- par sujal...( sujal almost daudta hua chala gaya...)...

cg:- yeh ladka kabhi nahi sudhrega...

rishi:- oh common dad...aap toh big b ko jante ho...

lalit:- achha fir sinha saab hum chalte hai... to ab mulaakat mangni waale din hi hogi...

proff sinha:- ji jarur...(all left...)

end of part 14
press like if u really liked it
do comment
love chandni

**********************************************************
**********************************************************

Edited by rkchandni - 9 years ago
Aamnakideewani thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
ohh no kth wala scenerio hogaya but their piyush ne intentionally nahi kia tha but here :@ lekin kashish ki situation tou total wahi thi lekin i hope kth ki tarag kashsh will try her level best to explain him aur i.hope sujal will not behave like kth wala sujal here and will have faith in her aur dono milke kuch rasta nikal lenge
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: Aamnakideewani

ohh no kth wala scenerio hogaya but their piyush ne intentionally nahi kia tha but here :@ lekin kashish ki situation tou total wahi thi lekin i hope kth ki tarag kashsh will try her level best to explain him aur i.hope sujal will not behave like kth wala sujal here and will have faith in her aur dono milke kuch rasta nikal lenge


Hope so too dear thanks

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: goodkashish Ā· 6 years ago

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ā–¼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 Ā· 3 months ago

This story has been inspired by the 2002 Malayalam film Nandanam, and was written at the request of Jasminerahul. It is my humble attempt to...

Expand ā–¼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 Ā· 1 months ago

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ā–¼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 Ā· 1 months ago

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ā–¼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 Ā· 3 months ago

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ā–¼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".