PHIR MILEINGE - Saath Saat Janmo ka.... Sujal Kashish ** Completed**.. - Page 4

Created

Last reply

Replies

253

Views

46.6k

Users

17

Likes

359

Frequent Posters

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#31

Originally posted by: 0913155

Awesome awesome superb update loved it😳plz continue soon thanks for pm



thanks dear😊😊😊😊😊

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#32
thanku all for the comments...here is part 6...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#33
*** PHIR MILEINGE - sath saat janmo ka***

Part 6

thodi der baad dono hi thak kar kashish ke hi suit me so jati hai... after about 2 hrs... mahi ki neend khulti hai...wo kashish ko uthati hai... aur dono fresh jate hai... bahar jane ke liye... ki tabhi door knock hota hai...kashish jakar door kholti hai aur shocked reh jati hai... bcz she is looking at most hot & handsome man on the earth...she is looking at him with open mouth...

kashish:- TUM...( sujal kashish ke saamne khada hai...usne blue jeans white shirt pehni hai...bilkul clean shaved hai...looking dam handsome...tabhi peeche se sagar ata hai...)

sagar;- hello kashish ji...wo...actually..sujal...

kashish:- to...waise ( to sujal)...insaan lag rahe ho...( sujal turns to go...but sagar stops him)...

sagar:- abe ruk...aai jute maregi...ab bol bhi...(tabhi maahi aai...)

maahi:- are kashish kisse...( she looks at sujal...and stunned...)...wow...

sujal:- kyaa...

maahi:- i must say...sujal right... u r looking very handsome...maine tumhara wo roop nahi dekha hota na...to ab tak to mujhe tumse pyar ho gaya hota...

kashish & sujal:- kyaa...

maahi:- m kidding yar... baahar kya khade ho ander aao...

sagar:- hi i m sagar...sujal ka frnd...

kashish:- tum jaisa sofesticated ladka iska frnd...

sujal;- dekha apun ne kaha tha na ki apun ko...

sagar:- stop it guys...maahi...hum wahan baithte hai...sujal ko kashish se kuchh baat karni hai...( dono sofe pe jakar baith jate hai...)abe bol...

sujal:- wo apun tujhse manfi mangne ko aya hai... i m sorry... apun ko tere sath us tarh behave nahi karne ko mangta tha...

kashish:- what.. maine suna nahi...( sujal looks at sagar...he assures him with his eyes...)...

sujal;- look miss kashish oberoi... m really very sorry for what i have done.. plzz forgive me...and i thing u should also be sorry bcz u were also guilty...is that clear...did u here every thing... clearllly...( to sagar).. ab ho gaya... hindi aur angregi dono me manfi mang li...chal ab yahan se...(kashish & mahi both looking at sujal with what is this look... sujal knows english very well...then y he use to talk in that tapori launguage...)...

mahi:- wait... tum gawar nahi ho...

sujal- ji nahi...

kashish:- to waisi language kyun bolte ho...tapori type ha...

sujal:- apun ki marzi... dekh kashish...apun ki aai..yani ki maa ko jab pata chala ki apun ne tere sath jhagda kiya to usne apun ko bahut dhoya... kyuki usi ne apun ko sikhya hai...ki aurto logon ki izzat karne ka... par tune khali phokat me apun ki gadi thoki phir bhi lad rahi thi...aur fir apun ko bhi pata nahi kya ho gaya tha...ki apun tere se... apun dil se sorry hai...( kashish smiles)...ab smile kya maar rahi hai... tujhe bhi apun ko sorry bolne ko mangta hai... galti teri bhi thi...

kashish:- ok ok m sorry...and maahi is right... kafi achhe lag rahe ho...

sagar;- wow... thank to god...mujhe to laga tha ki...ab plzz jhagda mat karna...

maahi:- sujal...tum itna taiyaar hokar kyun aaye.. i mean yeh look...

sujal:- wo kya hai... is bade se hotel me...apun ke jaise (looking at kashish) 2 kaudi ke machanic ko ander aane ki permission nah hai... apun agar apne real huliye me aata...to sale yeh bahar se hi bhaga dete...wiase bhi...memsaab jo dikhta hai wo hi bikta hai... gareeb ki koi kadar nahi hai...chal sagar...( both turns to go...)...

kashish:- sujal... look...(both turns towards them)...i m sorry...look mujhe kise gareeb hone se koi problem nahi hai... par main us waqt gusse me thi... to wo thodi pagal hu to...

sujal;- hmm koi baat nahi memsaab...

kashish:- tumne mujhe mand nahi kiya na...

sujal;- are nahi kar diya...waise bhi apun bindaas insaan hai...jyada der kisi se gussa nahi reh pata...to chalta hai apun...

kashish;- ok...par agar manf kar diya hai to mujhe kashish keh kar hi pukaro... yeh memsaab what is this ha...aur ha... main coffee order kar rahi hu...pee kar jana...

sujal;- oh madam...(kashish gives him a stare...) matalab kashish... kaiko apun ki waat laga reli ho... jitne paiso me apun yaha ek coffee piyega.. utane... apun ka pura ghar mahine bhar chai pee lega...( maahi laughs at this... sagar slaps his head...)...

sagar;- bada ho ja...

sujal:- kya...

kashish:- sujal its my treat...common main tumse paise nahi lungi...

sujal:- pakka... na... apun ko bartan dhone nahi aate...( kashish understands what he meant)...

kashish:- no- no common sit... (are 4 are settled on sofa...tabhi door knocks...)

sujal;- abe...kya fast service hai bidu...itani jaldi sirf sochne par coffee aa gayi... manna padega saale R&G walo ke pass hai bahut paisa...kya hotel banaya hai...

maahi;- sujal...koi aaya hai...coffee nahi hai...( maahi jakar door open karti hai to saamne ruhi aur rohan khade hote hai...are tum log jaldi aao...( rohan aur ruhi enter karte hai... )...

kashish:- hey ruhi...rohan...come..sit na...ok he is sagar...and sujal...

ruhi wishper:- sujall...

sujal:- ha kyun apun ka naam hai...itna kharab hai kya...

rohan:- are nahi... i m rohan garewaal...aur yeh hai meri di ruhi garewaal...

sagar:- by the way miss ruhi...we have met eachother couple of times...

ruhi:- yes.. yes i know hows u mr sagar patil right...( sagar smiles...) waise kya baat hai maahi.. kashish...aap dono ne to bahut jaldi frnds bana liye...(jahan maahi aur sagar is baat par jor se has pade wahi kashsih aur sujal ne apna sir jhuka lia...aur ruhi aur rohan confused...)..

rohan;- kya hua...di ne koi joke mara kya...(tabhi waiter ata hai...aur coffees rakha kar jata hai...)...

kashish:- nahi...lo na guys...coffee...

maahi;- wo main batati hun...( then maahi told them about sujal kashish's fight and about sorry too)...

rohan & ruhi:- kyaaa...

ruhi;- oh my god...

rohan:- sach me yar...tum log to... khair...waise sujal...jab bhi meri gadi kharab hogi...main tumhare paas hi aaunga...

sujal:- ha ha kyun nahi...apun paida hi isiliye hua hai...ek dum rapchik bana dega...bilkul dulhan ki tarah...aaila...abe sagar...chal na,... ab aai tension me aa jayegi aur phir...wo aayesha bhi aai ka bheja kha rahi hogi...chalo ha...apun loge chalte hai...aur ha memsaab...(kashish looks at him...) aahh kashish.. thanks for the coffee...(sagar say good bye too all...and both left...)...

rohan:- dikhne me to kya lagta hai boss... par jubaan...

maahi:- abhi jubaan bhi solid thi rohan...kya english bol raha tha...par...ha to padha likha...par jahan rehta hai...wahan ka asar hai... khair anyways...chalo yar maine tum dono ko humein company dene ke liye bulaya tha...

ruhi:- ya common lets go...( sabhi shopping pe chale gaye khub masti bhi ki...)

aise hi kuchh din beet gaye...is beech kashish aur sujal ek baar bhi nahi mile...wahi...ruhi aur sagar business terms ki wajah se milte hi rehte hai...aur yahan...dusri tarh rohan ko mahi achhi lagti hai...isliye...wo dono bhi ek dusre ke sath time spent kar rahe the...

R&G house me abhi sujal ke bare me kisi ko nahi pata...ruhi ne bhi sujal aur kashish ki tasveer kabhi dekhi nahi thi...to usne bhi sujal ke naam ko ignore kar diya,...aise hi din beet rahe hai...kashish aur mahi apna stay kafi enjoy kar rahe hai...

R&G hotel...

kashish:- kya yar mahi chal na... main bore ho rahi hu...

maahi:- dekh yar kashish m not feeling well yar...tu akeli chali ja...plzz... nahi to tu bhi araam kar... hum kisi aur din chalte hai...

kahsish:- theek hai tu so...main ja rahi hun...late ho jayega...

maahi:- ok enjoy kashish...

kashish hotel se gadi leti hai...aur khud drive karke chali jati hai...(ab kashish aur mahi dono ko hi mumbai ke rasto ka pata hai) achanak se wo taaj ke saamne car rokti hai...aur pics click karti hai...ki uski nazar...saamne ek garaze me padi... use turant sujal ki yaad aai...aur usne apni car sujal ke garaze ki ore ghuma di... again sujal apne kaam me laga tha...

chhotu:- sujal bhai...wo bike sahi ho gayi hai...uske maalik se payment le lena...aur delivery karna...nahi to...

sujal;- ok boss... abe sunn...wo 36 no ka pana de...

tabhi chhotu ki nazar ek ladki pe gayi...wo achhe ghar ki lag rahi thi..kuchh ladke use tang kar rahe the...wo sujal ke pass gaya...aur use bataya... sujal apna kaam chhod kar bahar ayaa... aur gaya unke paas...

sujal:- ladki ko chhod...

a man:- kyun be teri behen lagti hai...

sujal":- apun ka to pata nahiii.. par teri jarur lagti hai...( tabhi kashish wahan aati hai...aur sab dekh rahi hai...)

man;- lo bhai... kaun hai be tu...aur kyun chhodu main...yeh mera maal hai..tu ja kisi aur ko dekh...waise apun logon ko pata hai...yeh maal hi aisa hai ki tu bhi ise chakhna...( sujal punched him hard...he fell on the ground...)

sujal un 3no ladko ko marne lagta hai... use bahut gussa aa raha tha...wo apna pura gussa un 3no ki dhulaai karke nikal raha tha...kafi bheed bhi ikaththa ho gayi...

chhotu;- are yeh sujal bhai ko kya ho gaya hai...wo is tarah kyun...

aur yahan sujal ko un sabhi ko marte hue fir apni ateet ki parchhaiyaan nazar aane lagi...uska dimaag phata ja rah tha... all are very shocked...tabhi wo ladki boli...

girl:- bas kijiye...wo loge mar jayenge...( sujal ko hose ayaa...usne chhod diya un logon ko... apni garaze me gaya aur pani se apna muh dhula...aur ab wo shant hua... wapas gaya...unke pass...)...

sujal;- abe saalo kameeno...bola tha na... mat karo galat kaam...ab dekh liya na apni haalaat...chal uth...manfi mang...apni behen se...

a man:- manf kardo...plzzz maanf kar do aaj ke baad kabhi bhi dubara galat kaam nahi karunga...

sujal:- aaj ke baad kabhi kisi bhi ladki ya aurat ke sath galat kaam karne ka sochega?...

man:- nahi kabhi nahi...

man to a girl:- mujhe manf kar dijiye...

sujal:- abe aise nahi...bol behen ji mujhe manf kar dijiye...aaj ke baad aage se aapko to kya...duniyaa ki saari ladkiyon aur aurton ko siway apni biwi ke... apni behen aur maa ki nazaro se dekhunga...aur jo harkat aaj maine ki hai...waisi harkat kabhi kisi apne saamne karne nahi dunga...bolll...

man:- ha ha...behen ji aaj se aap aur baki sabhi ladkiya meri behen hai...kabhi kuchh galat na hi karunga na karne dunga...

sujal:- abe teri biwi bhi...??

man:- kya...

sujal:- chod waise bhi...tujhse sadi karega kaun...chal bhaag yahan se... ( to others) oh kya hai.. ramayan chal rahi hai... chalo bhago yahan se sab...

that girl:- thankyou... aur apke sir pe laga hai...

sujal:- koi nahi... normal hai...aap jaiye...( the girl left.. chootu bhag kar aaya)...

chhotu;- kya ho gaya tha bhai aapko...aur aap...

sujal:- pata nahi yar...tu ja apna kaam kar...

chhotu;- ha theek hai...(tabhi achanak se chhotu ki nazar kashish pe padi wo gadi ke pass hi khadi thi...) abe..yeh bala kaha se aa gayi... sujal bhai...

sujal;- hmm... wo dekho... wo memsaab...( sujal turns and saw.. kashish smiling at him...)yeh... ( kashish waves him.. aur fir uske paas aai...)

kashish:- wow yar sujal... too good ha... aur kitane roop hai tumhare...

sujal;- kya...

kashish;- are tum ek tapori ho, ek mechanic ho, ek bahut smart bande ho, to ek mast educated sofesticated bande,,,to ek saver bhi...aur ek fighter bhi...( sujal roles his eye...)...

sujal:- kya bakwaas kar reli hai... bol kya kaam hai...( looks at her car...) gaadi kharab hai...

kashish( kashish ko kuchh samajh nahi aaya ki kya bole);:- ahh... haa wo... pata nahi kya ho gaya tha... chalte ruk jati hai...

sujal;- hmm... tank me kachda hoga... chal tu baith apun dekhta hai...

sujal jakar kashish ki gadi dekhta hai... par tank me to koi problem hoti hi nahi hai... aur gadi start ho jati hai...wapas ata hai... gadi ke tank me to koi problem nahi hai... aur start bhi ho gayi...

kashish( hadbada kar);- to main kya karu...ab ho gayi to... us waqt to band ho gayi thi na...tumhe kya lagta hai maine tumse jhuth bola...

sujal;- are nahi... tu kyun apun se jhuth bolegi...

chhotu (in his mind);- hmmm kuchh to gadbad hai...

kashish:- are tum chhotu ho na... kaise hi...

chhotu:- apun theek hai...aap aao baitho na...

kashish:- ha ha... kashish ja kar garaze me hi ek chair pe baith jati hai...

sujal( wishper ):- ise kya ho gaya...( loud ) waise kashish tu aur bata... wo teri frnd maahi nahi aai...

kashish( muh fula kar ):- ha na...uski tabiyat theek nahi thi... achha sujal wo tum mujhe apna ghar dikhaoge...

sujal:- kya par kyun...

kashish;- are aise hi...tumhari mom ne tumhe us jabardasti bheja tha mujhe sorry kehne ko...

sujal:- ha to...

kashish:- i want to thank her na... aaj unhi ki wajah se humari dosti hui...

sujal;- humari dosti kab hui...

chhotu;- ho jayegi... aur bhi kuchh...

sujal:- kya bola be... ja bhag yahan se kaam kar...( kashish laughs)...

kashish:- sach to kaha usne... hum ab dost hai samjhe...aur suno i dont lie to u ok... actually sujal mujhe tumhari help chahiye... main ek bahut badi problem me hun...

sujal;- aisi kya pareshaani hai tujhe...

kashish:- dekho india me mehmaan hu... aur tumhi log kehte ho... mehmaan bhagwaan hota hai to...

sujal:- theek hai meri maa chal...chhotu...ayehsa khana le aayegi to use bata dena ki apun ghar ja raha hai...aur garaze ka khayal rakhna...

chhotu:- theek hai bhai...

kashish apni car ki ore jane lagti hai...

sujal:- oh kahan ja rahi ho...

kashish:- car me hum usi se to jayeinge na...

sujal:- madam...apun ka ghar mumbai ki chawl me hai...bandra ya ban stand me nahi... chalo is gali se short cut hai... gadi nahi jayegi yahan se...

kashish:- oh... ohk...

sujal kashish sujal ke ghar ki ore ja rahe the...sabhi chawl wale.. kashish ko ghoor ghoor kar dekh rahe the... as ususal kashish ne chhote kapde jo pehne the... bas fark itna tha... aaj uske pair nahi balki uski short top ki wajah se uski tummy show ho rahi thi... sujal janta hai ki sab kashish ko buri nazar se dekh rahe hai...use gussa bhi aa raha tha... par kya kar sakta tha... yeh usi ka chawl hai...kashish wo to bolne me busy hai...

kashish:- waise sujal... tumne un gande goons ki kya dulaai ki... kya tum kisi bhi ladki ke liye lad sakte ho...u were too good yaar...

sujal:- ha apun koi galat kaam hote hue nahi dekh sakta ...waise bhi apun ki aai ne apun ko dusro ki help karne ko hi shikhaya hai...

kashish;- how sweet...waise yeh aayehsa kaun hai...(sujal ke chehre pe badi si smile aa gayi...)...

sujal:- wo apun ki sagar ke baad sabse achhi dost hai... bole to best frnd...le apun ki kholi bhi aa gayi...'

kashish:- kholi.. kahan kya...

sujal:- are angregi mem kholi matalab ghar... house... yeh raha...( sujal darwaja knock karta hai... to ayehsa aakar darwaja kholti hai...aur kashish ko sujal ke sath dekh kar chauk jati hai...)...

aayehsa:- tu kyun aaya is waqt.. main bas khana laane wali thi... aur yeh...

sujal;- wo kashish yeh aayesha hai... yeh tere apne ghar se jyada mere ghar par milegi... aur yeh hai kashish... aai kahana hai... aai se milne aai hai...

aayesha:- hii... aao na...

sujal:- aai...yeh kashish...

kashish:- hiii aunty...

gayatri:- are to tu hi hai...jo london se aai hai... beta sorry ha... mere is nalaayak ne tere se...

kashish:- are nahi aaunty...sujal to ab mera dost hai...

gayatri:- sach are waah...

kashish:- kyun...

aaysha:- wo is liye ki aake yeh mr machanic jaldi kisi se baat tak nahi karte...aur yahan...do mulaakat me aap inki dost bhi ban gayi aur ghar bhi aa gayi great...

kashish:- ahh... wo to maine hi kaha ki mujhe aunty se milna hai...

gayatri( kashish ke sir pe hanth fer kar):- are yeh to achhi baat hai... bol kya khayegi...

kashish( tears):- ma ke hanth ka kabhi khana khaya hi nahi... jab main 2 saal ki thi mom chali gayi...aap jo khilaoge main khaungi...

gayatri:- chup...yeh aanshun kyun...are tu to badi narm dil ki nikli...us din jab yeh teri buraai kar raha tha...mujhe laga tha ki tu to jhashi ki rani hai...

kashish;- jhasi ki rani...?

ayesha:- fighter women...

kashish:- yes i m... wo to main hun...kyun sujal...( sujal just ignores...and kashish gayatri and aayehsa laughed at it)...

fir kashish thodi der wahi rukti hai... na jane kyun use sujal ke ghar me bahut achha lag raha tha... use apne pan ka ehsaas hua tha... isi talaash me toh wo india aai hai...

sujal;- oh madam tere aai darshan.. ghar darshan ho gaya ho to chale... ki yahi basne ka irada hai...

kashish:- aunty... jab yeh born hua tha... tab aapne kadwa karela khaya tha na...

gayatri:- nahi re... yeh to janmastami k din paida hua tha... jis din krishna bhagwaan paida hue the... us din to sirf meehe pakwaan bante hai...

kashish;- fir bhi yeh aisa hai...

aaysha:- wow sujal... tune kya solid impression chhoda hai kashish pe... jab yeh london jayegi na... toh sabko batayegi ki... koi sujal naam ka pagal mila tha ise india me...

sujal:- chup kar...aur chal rahi hai ki main jaaun...

kashish;- ha ha... chal rahi hu na... bye aunty... thanks for the lunch...bye aaysha... ab tum bhi meri ho... wow mere ab india me bhi frnds ho gaye hai...

aaysha:- ha yar...

sujal kashish chale jate hai...

on the road...

kashish:- ab...

sujal:- ab kya... ab kisse milna hai...sorry ha... mere baba se nahi mila paunga... uske liye bahut inteZaar karna hoga..kyuki mere baba upar hai...

kashish;- tum mujhe stupid samajhte ho na... achha...plz mujhe koi shanti wali jagah le chalo na...plzz sujal... we are frnds na...

sujal;- bappa... kahan phasa diya...

sujal kashish ko kashish ki gadi me hi mumbai se thoda door ek hill type area me lata hai...

kashish:- wow... its so beautiful...abhi to sunset bhi hone wala hai...

sujal;- yeh apun ki sabse favourite jagah hai...jab bhi apun bahut khus hota hai,,,, ya bahut dukhi yahin ata hai...janti hai tu,... kuchh jagaho se hi humara bahut gehra rishta sa ban jata hai...

kashish:- sahi kaha tumne... yeh jagah hi to mujhe yaha tak kheech laai hai...

sujal:- kya problem hai tujhe... ( sujal kashish ko ek rock me bithata hai...aur khud uske saamne baith jata hai,...) ab bol...

kashish:- tumse jhooth nahi bolungi sujal... mera india aane ka ek makshad hai...jise na maine dad ko bataya na maahi ko...actually... (kashish apne paint pocket se ek kagaj nikal kar sujal ko deti hai...) mujhe is jagah ki talash hai...

sujal:- yeh to koi madir hai...

kashish:- ha its a temple...sujal bachapan se hi mujhe yeh madir sapno me nazar aata hai... kuchh dhundhli tasveere... aisa lagta hai ki is madir se mera koi gehra naaata hai...sujal...jab bhi main is mandir ko dekhti hun to... main bechain ho jati hun...( has tears)... badi muskil se main yeh sketch banwaya hai... aur main london me ek pandit ji ko janti hun... jab unhe yeh sab bataya to unhone hi mujhe kaha ki main india aau... muje yeh mandir ndia me hi milega...isiliye maine ghumne ka bahan banaya...aur yahan aai...kafi jagah gayi main mumbai me...par mujhe aisa madir nahi mila...aur pichhle kuchh dino se jab bhi socha ki kaun ho sakta hai...jo mujhe is madir tak pahuncha sake... to sirf tumhara khayaal aaya... i know main selfish hokar yeh bol rahi hun par...sujal main chain se nahi jee paa rahi hun...main...

sujal;- chup ho ja kashish... tu selfish nahi hai... apun tera dard samajh sakta hai...jab koi cheej aapka sukoon chheen le...jab koi baat aapko sone na de...tab kitani takleef hoti hai apun achhe se janta hai...aapke dil aur dimaag ki ladaai me...har to sirf aapki hoti hai...sirf aapki...aur chah kar bhi aap un dhundhli tasveero ko saf na kar pao to...

kashish:- bilkul sahi kaha tumne... par tum... tumhe bhi kuchh pareshan kar raha hai kya...

sujal:- ha hai par tere matalab ka nahi hai...tu bikul shai jagah aai hai kashish...apun jarur teri help karega... ( kashish hugs him... sujal got stunned)

kashish:- oh sujal thanku so muchh...

sujal:- ha theek hai... ab baith ja...( phir se us kagaj ko dekhta hai...)... par kashish...apun ko pura yakeen hai yeh mandir mumbai me nahi hai...

kashish:- par mumbai to itna bada hai...to tumhe kaise...

sujal:- dekh apun pura mumbai janta hai...mumbai me bahut se aise mandir hai...par yeh mandir nahi...yeh mandir mandir mumbai me to nahi hai...

kashish:- par...( tears flows down to her cheek)...

sujal;- tu chinta mat kar...apun apne kuchh pantar logon ko bolta hai... ki we yeh pata kare ki aisa yahi... madir mumbai me hai ya nahi...aur agar mumbai me nahi hai to india me kaha hai... tu chinta mat kar apun tujhe wahan lekar jayega...yeh apun ka wada hai...

kashish:- sach sujal...

sujal:- ha sach...ab muskura de.,... rote hue bahut buri lagti hai...( kashish smiles...)

kashish ( pulled sujal's both cheek):- thanku my sweetheart...

sujal( chhid kar):- dekh agar chahti hai na ki apun teri help kare... to jo abhi kiya na wo dubara mat karna...i hate this...

kashish:- ok baba... sujal look at there...sunset...wow...awsmm... yar india sucha beautiful place...

sujal;- yahi to baat hai india ki...ki yahan dubte hue suraj ki bhi pooja hoti hai...aur bhool mat... tu bhi hindustaani hai...

kashish:- to maine kab mana kiya... wo to dad... hi india nahi aana chahte...warna merabas chale to india me hi bas jaaun...

sujal:- isme kya badi baat hai...kisi indian ladke se shadi karle... aur bas ja... waise bhi sadi ki umra ho gayi hai teri...

kashish:- ha ha ha...very funny...ab chale...

sujal:- chal...chinta mat kar sab achha hoga...

aise hi sujal kashish waha se aa gaye...kashish ne sujal ko uske garaze drop kiya aur phir apne hotel chali gayi aaj wakai kashish ko ek alag hi sukoon mila...aaj use apni manzil ki pehli seedhi mil gayi thi...

chawl...

aayesha:- kya baat hai...bahut gehri dosti ho gayi hai lagta hai...wo chali gayi hai sujal us ore mat dekh...

sujal:- ha sayad...

aaysha:- aisa kya hai usme...( she is some what not liking this kind of attitude...)...

sujal;- jab dard ek ho aayesha...to paraye bhi apne lagne lagte hai...

end of part 6
press like if u really liked it
do comment
love chandni

**********************************************************
**********************************************************
Edited by rkchandni - 9 years ago
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#34


thankuuu😊😊😊

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#35


thanksss😊😊😊😊
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#36


thanks a ton😊😊😊
.FlyingClouds. thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#37
Amazing part
Thanks for pm
But I think Ayesha is bound to create some problems as she loves sujal
Pls aisa mat karna. Already there are too many villians.
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#38

Originally posted by: Acad10

Amazing part

Thanks for pm
But I think Ayesha is bound to create some problems as she loves sujal
Pls aisa mat karna. Already there are too many villians.


Thanks dear keep reading
0913155 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#39
Justttyyy tooo goood😃superb update loved it plz continue soon thanks for pm
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#40

Originally posted by: 0913155

Justttyyy tooo goood😃superb update loved it plz continue soon thanks for pm


Thanks dear for taking interest my fics love

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: goodkashish · 6 years ago

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand â–¼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 3 months ago

This story has been inspired by the 2002 Malayalam film Nandanam, and was written at the request of Jasminerahul. It is my humble attempt to...

Expand â–¼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 1 months ago

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand â–¼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 1 months ago

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand â–¼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 3 months ago

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand â–¼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".