PHIR MILEINGE - Saath Saat Janmo ka.... Sujal Kashish ** Completed**.. - Page 16

Created

Last reply

Replies

253

Views

46.6k

Users

17

Likes

359

Frequent Posters

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Thanku nilu dear
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

no dear tommorow night after 12am
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
thanks every one for loving and commenting on part 15... here is part 16...do comment...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

*** PHIR MILEINGE - sath saat janmo ka***

Part 16

R&G HOuse...

sujal kashish chaukhat me khade hai...veena kashish aur sujal ki aarti karti hai...fir kashish us chawal ke kalash ko anpe right pair se ander ki ore gira deti hai aur us kumkum wale thaal me pair rakh kar ander aati hai...sujal kashish sab ka aashirwaad lete hai...piyush wahan nahi hota hai...kashish vasu ke pair chhune jati hi hai ki...

vasu;- rehne do natak ki koi jarurat nahi hai...

sujal:- aunty yeh aap...(veena sujal ko rok deti aur vasu muh bana kar chali jati hai...)...

lalit:- kashish vasu ki baat kadvi hi rehti hai...tum dil par mat lo...sujal, kashish ko apne kamre me lekar jaao...

sujal;- ji...chalo kashish... (dono jaane lagte hai...)...

rishi:- are rukiye... kya uncle,...humare ghar me...dulha apni dulhan ko first time room me aise lekar jata hai kya... big b...bhabhi ko apni baahon me utha kar lekar jaaiye...

sujal:- paagal hai kya...

cg:- no he is right...humne bhi aapki mumma ko uthaya tha...puchh lo...

sujal:- really mumma...

veena:- ha... chal ab jaa...

sujal kashish ke kareeb aata hai...kashish blush kar rahi thi...sujal use apni baahon me utha kar lejata hai...aur kamre me jakar use bed ke pass khada kar deta hai...thode se waqt me halka fulka hi sahi veena ne kamra decorate karwa hi diya tha... sujal jakar door lock kar deta hai... kashish ke pass aata hai...

sujal;- i m sorry... maine tumahri marzi ke bina tumse shaadi ki... i know tum khush nahi ho...( kashish shocked thi...) par main tumhare papa ko us tarah nahi dekh paya... aur na yeh bardast kar paya ki koi mere pyar ko jaleel... jaao jaakar change karke so jaao...( sujal jane laga...kashish helds his hand...)...

kashish:- sujal...meri baat toh...

sujal ne apna hath chhuda liya...aur apne kapde lekar wash room me chala gaya... kashish wahi khadi rahi...thodi der baad sujal bahar aaya...aur usne bed se apna pillow uthaya...aur jakar sofe me so gaya...kashish ne apne kapde nikaale aur washroom me chali gayi...yahan sujal ne apni aankhon se apna hanth hata liya... aur wash room k door ki ore dekh raha hai...

sujal in his mind;- i know kashish main tumhari pasand nahi hu...mazburi ban gaya hun...par maine jo kiya woh mujhe us waqt sahi laga...i m sorry...( sujal ne apna face turn kiya aur finally so gaya...)

kashish wash room se bahar nighty me change karke aai...sujal ko is tarah dekh kar uski aankh bhar aai...wo cupboard ki taraf gayi...usne ek blanckate nikala aur jakar use sujal ko udha diya...aur khud aakar bed me late gayi...uski nazar side table par rakhi sujal ki pic pe gayi...usne wo pic uthaya...aur bahut pyar se uspar apna hanth fera...ek kis kiya...aur use seene se laga liya...

kashish in her mind:- kya se kya ho gaya... main bahut khush hu ki meri shaadi aapse hui...par aap abhi nahi samjheinge... kyuki aapko lagta hai ki main aapko nahi chahti...sahi bhi hai...maine aapka bahut dil jo dukhaya hai...par ab main aapko apne pyar par yakeen dila kar rahungi...aaj aapki wajah se mere papa ka sir jhukne se bach gaya...sujal bahut achhe hai...sayad main hi aapke kaabil nahi hun...par ab main aapko aapke kaabil ban kar dikhaungi...i love u sujal... bahut - bahut pyar karti hun main aapko...mumma sahi kaha karti thi ki kashish pati ki ahmiyat us din pata chalti hai jis pal wo aapke mang me sindoor bhar deta hai...kab wo ek ajanabi se aap ka sab kuchh ban jata hai... aapko pata bhi nahi chalta... mere sath bhi waisa hi hua...ab tak main aapse pyar karti thi...par ab aapko pujti hun...

next morning...

kashish jaldi uth jati hai...aur naha kar bahar aati hai...wo bahut hi pyari lag rahi thi...usne blue aur cream colour ki saaree pehni thi...manthe sindur..gale me mangal sutra...mathe pe bindi...hathon bhar- bhar ke chudiyan... uski nazar sujal par gayi..jo bachhe ki tarah so raha tha...kashish ke honthon par ek muskaan aa gayi...wo sujal ke kareeb gayi aur sofe me baith kar bas sujal ko muskaan ke sath dekh rahi thi...wo sujal ke thoda kareeb gayi aur usne halke sujal ke forehead pe kiss kiya...jisse sujal ki neend distub hui...aur wo wapas karwat lekar so gaya..kashish turant peeche hati...fir neeche jati hai...jahan veena mandir me pooja ki taiyaari kar rahi thi...

veena:- are kashish aao beta...( kashish jakar veena ke pair chhuti hai...)sada suhaagan raho...bahut pyari lag rahi ho...chalo aao aarti karo...

kashish:- main...?

veena:- ha maine us din mandir me suna tha...tum bahut achha gati ho...to chalo...ab aarti karo...

kashish:- ji...( kashish veena se aarti ki thaal leti hai aur aarti suru karti hai...)oohhh...
jai jai jai giriraj kishori...
jai mahesh mukh, chandra chakori...
jai devi maa...teri jai ho devi maa...
amar suhaagan...jai devi maa...
oh maiya... singaar tera laal hai...
oh gauri... singaar tera laal hai...
laal mahavar...laal - laal mehandi...
laal sindoor...to laal - laal chunari...
mad mrig ka tilak tere bhaal hai...
darshan karke...yeh manva nihaal hai...
oh gauri... singaar tera laal hai...
(kashish ki aarti sunn kar ek - ek karke sabhi neeche aa gaye..yahan tak ki piyush bhi...par sujal so raha tha...)

ooohhh...
man vanchhit war dene vaali...
rakhiyo amar suhaag ki laali...
jai gauri maa...teri jai ho gauri maa...
amar suhaagan...jai devi maa...
jai gauri maa...teri jai ho gauri maa...
amar suhaagan...jai devi maa...

(sujal uth jata hai...aur baith jata hai...aarti ki awaaj se apne kamre ke baahar aata hai...aur stairs pe khada hai...kashish apni aarti khatam karti hai...aur sabhi ko aarti aur prasad deti hai...sabhi use aashirwaad dete hai...sujal wahan se waapas chala jata hai...kashish dekhti hai use...fir wo vasu ke pass jati hai...par vasu use kuchh nahi kehti muh bana kar khadi thi... jab kashish piyush ke saamne aati hai to bina kuchh kahe uske hanth me prasad rakh deti hai...aur uske pair chhuti hai...piyush halka sa peeche ho jata hai...)

piyush:- yeh tum...

kashish:- mumma...piyush ji sujal se umra me bade hai na...to is hisaab se yeh ab mere jeth hue... aur jeth to sasur samaan hote hai na...

veena:- ha kashish tum sahi keh rahi ho...main aap sab se kuchh kehna chahti hun...dekhiye main jaanti hun ki pehle kashish ki shaadi piyush se hone waali thi...par ab wo sujal ki patni hai...to aap sab is baat ko bhool jaiye ki kabhi kashish aur piyush ka koi rishta tha...aur aaj se... kashish sirf sujal ki patni ki tarah is ghar me rahegi...yahi achha hoga...

lalit:- bhabhi bilkul sahi kaha...chalo bhai...pet me chuhe kood rahe hai...(tabhi rishi aata hai...jogging se...)...

rishi:- morning everyone...wow bhabhi..looking beautiful ha...

kashish:- thanku rishi...

rishi:- mumma...nasta...

veena:- ha aap sab baithiye...kashish ja sujal ko bula la...

kashish:- ji...

rishi kashish ke kareeb gaya aur uske kaan me bola...

rishi:- kyun bhabs...rat bhar lagta hai Mere Big b ne bahut mehnat ki hai jo abhi tak so rahe hai...(kashish blushed hard...)...

kashish:- ji aisa kuchh nahi hai...

rishi;- achha...?... bhabhi main bachha nahi hun...( kashish wahan se daud kar chali gayi...par piyush ne inki baat sun li...aur jal raha hai...)

piyush in his mind:- u have to pay for this sujal...u have to... jis ladki ko maine chhoda use tumne...nahi kashish tumhari nahi hogi... kabhi nahi...

veena:- are piyush jaldi aa...

piyush:- ji aunty...

Sujal's room...

kashish room me aati hai...par sujal wahan nahi hota...kashish ko pani ki awaaj aati hai...wo jakar cupboard se sujal ke liye kapde nikaal kar rakh deti hai... aur bed sofa sab sahi karne lagti hai...sujal sirf towel me hi bahar aa ajata hai...aur apne baal ruffle kar raha tha...kashish ne turn kiya aur sujal ko dekhti reh gayi...sujal ki nazar kashish par padi...

sujal:- oh shit...( wo wapas bhaga wash room ki taraf...aur ander hi bola...) tum yahan kya kar rahi ho...

kashish( apni hasi rokte hue..):- ji aap bhul rahe hai ki yeh mera kamra bhi hai...

sujal:- theek hai - theek hai...wo mere kapde do...

kashish sujal ko uske kapde de deti hai... sujal thodi der baad change karke aata hai...aur ready hota hai...kashish uska wait kar kar rahi hai ki wo kuchh bolega...par wo chup- chaap taiyaar hokar neeche chala jata hai...kashish bhi uske peeche gayi...sabhi braek fast kar rahe hai...kashish sujal ke bagal me baithi hai...

veena:- sujal...tu office ja raha hai na...to kashish ko uske ghar chhodte hue jana...aur shaam ko jaldi aana aur use lekar wapas aana...

sujal:- ji mumma...

veena:- hey bhagwaan main iska kya karun...? puchh to ki kyun...

sujal:- kyun...?

veena:- kashish ko pagphere ki rasm ke liye jana hai,...aur shaam ko tum dono ki shaadi ki khushi me party hai to isliye jaldi aana hai...

sujal:- ji... mera hoga hai...chale...

kashish:- ji...

sujal kashish ko lekar car me ja raha tha...koi kuchh nahi bol raha hai...finally kashish ka ghar aa jata hai...sujal car rokta hai...

kashish:- aap ander nahi aayeinge...? plzzz thodir der..woh papa...( sujal nods aur khud bhi gadi se utarta hai...aur dono ander jate hai...mehek aake darwaja kholti hai...aur kashish ko hug karti hai...sujal jakar shinha shaab ke pair chhuta hai...sabhi wahi baithe the...)...

proff sinha:- sujal beta...kal tumse main baat nahi kar paya...main tumhara dil se sukriyaa karna chahta hu...agar kal tum na hote to...(proff shaab haath jod lete hai...)

sujal:- uncle aap yeh...plzz... kya main aapka beta nahi hun... yakeen maniye uncle... maine wahi kiya jo mujhe theek laga...maine nahi socha nahi tha ki piyush aisa kuchh... par sayad yahi kismat me likha tha... i know ki main kashish ke liye aapki pasand nahi hu... mazburi hu...( dhamaake on all's face)... par main kosis karunga ki...

proff sinha:- chup...bilkul chup...kisne kaha tum meri pasand nahi ho... ha maine kashish ke liye ek ladke ko pasand kiya tha...par maine galat tha... tumme toh wo har khubi hai jo ek ladki apne pati me dhundhti hai...yeh meri kashish ki achhi kismat hai ki uski shaadi tumse hui...aur aaj maine bahut khush hu ki vasu ji ne yeh rishta thukra diya tha...warna meri kashish ko tum na milte...aur ha...abhi kya kaha tumne ki tum mere bete ho na...toh kya bete apne pita ko uncle kehte hai...khabardar jo mujhe uncle kaha toh...

sujal(smiles):- ji uncle...sorry papa...( both hugs...)...

mehek:- are aap log emotional kyun ho rahe ho... sujal bhaiya... i mean jiju...wo...

sujal:- oh common mehek...naye rishte judne se purane rishtey khatam nahi hote... i know tumhe mujhe bhaiya kehne ki aadat aur mere liye bhi tum rishi ki tarah hi ho...tum mujhe bhaiya hi kaho...yeh jiju rehne do...

mehek:- how sweet bhaiya...( mehek hugs him...) thanku mujhe aapme apna bada bhai aur jiju dono hi mil gaye...(sujal smiles...kashish just looking at her family...her complete family...jo sujal ki wajah se puri hui hai...) aap loge baitho main abhi aap sab ke liye khane ko...

sujal;- no mehek...hum abhi nasta karke aaye hai...mujhe office bhi jana hai...rehne do...

proff sinha:- par beta aise kaise yun is tarah...achha nahi...

sujal:- kya...yeh mera ghar nahi hai kya...aur waise mera jo man karega main yahan kar sakta hun...ab main chalta hun... bahut imprtant meeting hai...

mehek:- kya bhaiya kal aapki shaadi hui hai...aur aaj aap...

sujal:- woh kya hai na mehek...mujhe pata nahi tha ki meri surprise shaadi ho jayegi...warna main meeting nahi rakhta...ab main chalta hu...oh ha...mumma ne aap dono ko invite kiya hai...aaj shaam ko ghar me party hai...main 4 baje tak aakar kashish ko le jaunga...bye...

kashish:- suj...(but he left...)...(in her mine) yeh aapko kya ho gaya hai sujal aap sabse achhe se baat kar rahe hai...par mujhse toh...

mehek:- di m so happy for u...aap bahut lucky ho sujal bhaiya...

proff sinha;- kashish sach - sach batana...tum khush to hai na...

kashish:- mehek...papa...main aap dono se kuchh kehna chahti hu...ek baat maine chhipai hai...

proff sinha:- are aisi kya baat hai...kahin tujhe us gahr me kuchh...

kashish:- nahi papa...vasu aunty thodi tej hai...par lalit uncle, papa, mumma, rishi, aur sujal sab bahut achhe hai... papa mumma to ma ki parchhai hai...bahut achhi hai woh...

proff sinha:- toh fir...?

kashish:- woh main sujal se pyar karti hun...

proff sinha:- are yeh toh bahut achhi baat hai...woh to tumhara pati...

kashish:- nahi papa...main sujal ko abhi se nahi...bahut pehele se pyar karti hun...main sujal ko bahut pehele se jaanti hu...

proff sinha:- lekin kaise...aur...?...

kashish:- papa pichhle month jab main delhi gayi thi...tab wahan...( then kashish told them about her and sujal...everything about them...unka train me milna...phir pub me... phir palaam pur sath jana...unki masti...unki feelings...sab kuchh...)...

proff sinha:- kya...iska matalab...?

kashish:- ha papa...us din aapne bina mujhse puchhe mera roka kara diya...sujal mera mandir me wait kar rahe the... wo mujhse pyar karte the...aur main yahan piyush ke sath...maine us din aapko mana bhi kiya tha ki main yeh shaadi nahi karungi...par aapko atack aa gaya aur fir main chup rahi...wahan sujal ko aisa lagta hai ki main unse pyar hi nahi karti...isliye..woh bhi apne pariwaar ki khushi me khush the...par saayad...bhagwaan ne hi mere liye sujal ko banaya tha...isliye...

proff sinha;- hey bhagwaan yeh mujhse kya ho gaya...main kya karne waala tha...mujhe maanf karde kashish..main tera aur sujal dono ka gunehgaar hun...( kashish hugs him...)...

kashish:- nahi papa...jo hona tha ho gaya...dekhiye na...ab main sujal ki patni hun...aur yakeen maaniye mera...main sujal ke sath hi khush reh sakti hun...

proff shinha:- sach kaha tune...jo hua bilkul sahi hua...main bahut khush hun...

mehek:- di... aapki pasand no.1 hai...i m very happy for u,...bhagwaan ne aapko aapka pyar de hi diya...


its 4:00pm... sujal sinha house aata hai...jabardasti mehek aur proff shaab use dher saara khila dete hai...fir sujal kashish dono hi un dono ko byee keh kar laut aate hai...fir se gaadi me wahi khaamoshi thi...na sujal kuchh bol raha tha... na kashish...kashish bar - bar sujal se baat karne ki kosis karti...par sujal kuchh jabaab na deta...

night...8:00 pm...

its party time...sabhi mehmaan aa chuke the...proff shaab aur mehek bhi...proff shaab ne piyush ko ek stern look diya...aur bina use kuchh kahe..aage chale gaye...yahan upar kashish aur sujal ready ho rahe the...sujal dressing table me khada apne baal set kar raha tha sujal ne black armaani ka suit pehna tha... looking very hot and handsome...ki kashish wash room se aati hai...usne red saaree pehni thi...looking dead drop gorgeous...
sujal kashish bas ek dusre ko hi dekhe ja rahe the...ki veena knock karti hai...

sujal:- ji mumma...bas abhi aaya...

veena:- kya baat hai...bahut achhe lag rahe ho tum dono...perfect for eachother...(both smiles...)... kashish tune jo yeh set pehna hai na...use nikaal de...

kashish:- kyun mumma...achha nahi lag raha hai...?

veena:- achha toh bahut hai...par aaj tu yeh set pehne gi...sorry kashish..main kuchh jyada nahi kar paayi...jaanti hai maine sujal ki bahu ko lekar bahut se khwaab dekhe the ki...uske liye yeh laaungi wo laaungi..par..khair...abhi bas yahi kar paayi...sujal yeh le...apni patni ko dede... shadi ke baad har pati apni patni ko tohfa deta hai... i m sure tune kal to kuchh diya nahi hoga...isliye main yeh laai hu,...ab ise pehen ke jaldi aao tum dono neeche sab aa gaye hai...

kashish:- ji mumma...( veena left... kashish apna purana har utarne ke liye dressing table ke saamne khadi hoti hai...par woh atak jata hai...usse nahi khulta hai...) sujal...( sujal looks at her...) woh...mera har atak gaya hai... help kar dijiye...

sujal kashish ke kareeb gaya...aur uske peeche jakar khada ho gaya...usne uske baal side me kiye... jaise hi sujal ki fingers ne kashish ke back ko touch kiya..kashish ne apni aakhien band karli...sujal kashish ke reaction mirror me dekhta hai...aur fir uska clutch khol deta hai...aur haar nikal deta hai...kashish apni aakhien waapas khol leti hai...par tab tak sujal bed me jakar waapas baith jata hai...kashish ko bura lag raha tha..ki sujal usse baat nahi kar raha tha...aur sujal...woh toh apne dil aur dimaag ki ladaai me ulza hua tha...kashish fir veena ka diya hua haar pehenti hai...aur sujal ke saamne aakar khadi ho jaati hai...

kashish;- chale...(sujal nods in yes...and both went down side...sujal placed his hand on her waist...she looked at him...and both are now in center of the hall...everyone are clapping for them...and praising them...as they are looking perfect with eachother...)


sujal personally sabhi se kashish ko introduce karata hai...kashish bahut khush thi..par piyush wo bas baar me baitha tha aur zahreeli nazaro se in dono ko dekh raha tha...

khanna house...

aarchi:- nooo... sujal tumne mere sath aisa kiya...archi khanna ke sath...tum sirf mere the sujal... kashish tumne mujhse mere sujal ko chheena hai...main tumse tumhara sab kuchh chheen lungi...sab kuchh...

R&G house...

vasu's frnd to veena:- kya veena...tumhe koi aur ladki nahi mili apni bahu banane ke liye...yeh kashish hi... apne bete ko dekho...he is like a price... jo foreign se padh kar aaya hai...aur kashish sirf 12th pass...

veena:- woh...( sujal kashish ne sab suna...kashish ki aankhon me aanshun aa gaye...aur sujal ko gussa... wo unke gaya...)...

sujal:- hii aunty... kya keh rahi thi aap abhi ki kashish 12th pass hai na...toh aunty wo kya hai na ki i m sujal...meri pasand jo hai na hat ke hai...ab aapki padhi likhi beti me woh baat hi nahi hai toh main kya karu...

veena:- sujal...

sujal;- ek minute mumma... toh aunty ab meri kashish hai hi itani special...ki main usse pyar karne laga... u know she is the best... isliye woh meri patni hai...aur ha woh itani itenligent all ready hai ki usko jydaa padhne ki jarurat hi nahi thi...and yes...one more thing...she is perfect for me...so aaj keh diya so keh diya...wo kya hai na...galti insaano se hi hoti hai... par agli baar kashish sujal garewaal ke khilaaf kuchh kehne se pehle... u know... are haa... aap to samajh hi gayi hongi...aap to pehele se bahut intelligent hai...bye aunty... kashish mera wait kar rahi hai... (sujal left from there... sujal ne usko bolne ka mauka hi nahi diya...aur is baat se veena aur sabse jayada kashish khush thi ki kaise...uski kami ko bhi sujal uski khubi manta hai...)

rishi:- hey common..my big b and bhabhi...plzz... come on to the stage... and rock the party...all of u...common...( rishi mehek ke pass gaya...aur use bhi floor pe le aaya...)

sujal kashish dono hi dance floor pe the...

tumse sheekhe koi...pyar hota hai kya...
rashme hoti hai kyaa... rishte hote hai kya...
(sujal ka hanth kashish ki kamar pe tha... kashish ka hath sujal ke kantho par...kashish sirf sujal ko dekh rahi hai...)

humko bhi hai sanam...hai tumhari kasam...
chaahe jo ho saza... hum nibhayeinge wafa...
(kashish ki aankh bhar si aati hai...par wo khud ko sambhalti hai... sujal wants to consol her par he didnt...)

ehsaas yun dila ke...
ehsaas yun dila ke...zindagi hoo...
zindagi badal di...
zindagi badal di...
(kashish sujal ko tightly pakad leti hai...aur dono dance kar rahe the...)

tune zindagi me aake...zindagi hoo...
zindagi badal di...
zindagi badal di...
(kashish apna sir sujal ki chest pe rakh deti hai...aur apni aakhien band kar leti hai...sujal bhi apni aankh band kar leta hai...tabhi entrance se aarchi aati hai..aur sabhi ki clapping ki awaaj se sujal kashish hose me aate hai...)

aise hi party chal rahi hai...sujal kashish khade the ki aarchi aati hai...aur sujal ko hug karti hai...kashish ko bilkul achha nahi lagta hai...

aarchi:- hi kashish hi sujal...congratulations...nhh sujal tumhe nahi kyunki i know...kashish tumhari mazburi hai khushi nahi...( dhamaake on kashish's face...) are kashish tum to badi kismat waali nikli...sone ne tumhe thukra diya...par tumhe toh kohinoor ka heera mil gaya...

sujal:- aarchi...tumhe agar yahi bakwaas karni hai toh tum yahan se jaa sakti ho...

aarchi:- oh common sujal this is a bitter truth...(sujal wahan se chala gaya...par kashish wahi khadi thi..) u know what...agar aaj tum na hoti to sujal mera hota... par dont worry...ek din woh mere pass hi aayega...(aarchi turns to go...)..

kashish:- yeh tumhari galat fehmi hai aarchi...sujal sirf mere the... mere hai...aur humesha mere hi raheinge... aur yeh kashish sujal garewaal ka waada hai tumse...( kashish bhi wahan se chali gayi...par peeche baithe piyush ke chehre me ek smile aa gayi...)...

aise hi party chalti rahi...aur thodi der baad sab chale gaye...sujal kashish apne kamre me the...sujal window me khada tha...aur kuchh soch raha hai...kashish wash room se aati hai...aur jakar sujal ke bagal me khadi ho jati hai...

kashish:- subah se dekh rahi hu...aap mujhse baat nahi kar rahe hai...naraz hai mujhse... sujal...

sujal;- oh common kashish main tumse kyun naraz hone laga...mera mann main chahe jisse baat karu...

kashish:- ha jaanti hu aapka hi man hai... par main aapki...

sujal:- ha jaanta hu ki tum meri biwi ho ab... humara rishta ek mazburi pe tika hai... sabke saamne normal to rehta hu...kamse kam apne kamre me mujhe waise rehne do jaise main rehna chahta hu... tumhe jo karna hai karo...just stay away from me...(Sujal jakar sofe me so jata hai... yahan kashish ki aankhon se aanshun beh raha tha...use aarchi ki baat yaad aati hai... aarchi:- u know what...agar aaj tum na hoti to sujal mera hota... par dont worry...ek din woh mere pass hi aayega...)

sujal office me tha piyush aata hai aur uske saamne natak karna suru karta hai...

piyush:- mujhe manf karde sujal meri wajah se tujhe ek aisi ladki se shaadi karni padi...jo tujhse pyar hi nahi karti...are uski pasand toh main tha...par...

sujal:- janta hu par...ab to wo meri patni hai...mujhe use pyar aur samman dena hoga...is rishte ko imaandari se nibhana hoga...

piyush;- common...sujal tu kis yug me jee raha hai... mazburi hai tu uski pyar nahi...aur jitna mujhe pata hai...tu to sirf pyar me vishwaas karta hai na...to tu use azaad karde...mat bandh ek mazburi aur saude ke rishte me use...mujhe bahut bura lag raha hai ki meri wajah se maine teri zinadgi barbaad kardi sujal...par sujal tujhe kya ho gaya wo ek 12th pass ladki hai...koi std...

sujal:- stopit piyush wo meri biwi hai...

piyush:- ok theek hai...par main to yahi kahunga...apne liye na sahi...uske liye use azaad karde is beman ki shaadi se...chalta hun...sochna jarur...(piyush ek wicked si smile liye hue chala gaya...aur sujal ko ek soch me chhod gaya... aur bahar jakar usne aarchi ko call kiya...) hey aarchi...bingo...teer nishaane pe lag raha hai...

sujal apne dil aur dimaag me ulza hua tha...uska dil keh raha tha ki abhi jakar kashish se uske man ki baat puchhe uske dil ko yakeen tha ki kashish sirf uski hai...par uske dimaag me kabhi piyush ki baatein...to kabhi aarchi ki baatein haavi ho rahi thi...aur anjaane me hi sahi wo kashish ko takleef pahucha raha tha...

piyaaa...piyaaa...mora...moraa...
piyaaa...moraa piyaaa...
piyaaa..moraaa...moraa piyaaa...
maanat naaahi...mora piyaa...
moraaa...piyaaa...
(kashish jakar bed me baith jati hai aur bas sujal ki ore dekh rahi hai...uski aankhon me sirf aanshun the...)

mora piyaa...moshe bolat naahi...
mora piyaa...moshe bolat naahi...
dwaar...jiya ke...
ohhh...dwaar jiyaa ke...kholat naaahi...
mora piyaa...moshe bolat naahi...
mora piyaa...moshe bolat naahi...
(kashish hara hua sa face lekar bed post par sir tika ke baithi hai...wo apni aakhien band karti hai...aur uske aanshun uske chehre ko bhigo dete hai...)

darpan dekhu...roop nihaarun...
darpan dekhu...roop nihaarun...
aur solah singaar karun...
(kashish subah ko dressing table me baithi thi...aur taiyaar ho rahi thi...ki sujal uthta hai...kashish sujal ko ek smile deti hai...)

pher najariyaan...baitha bairi...
kaise...aakhiyaan...chaar karun...
(sujal wahan se uth kar wash room me chala jata hai...aur yaha kashish ke chehre ki muskaan bhi chali jati hai...)

koi... jatan ab...
koi... jatan ab kaam na aave...
use kachhu sohat naaahi...
mora piyaa...moshe bolat naahi...
mora piyaa...moshe bolat naahi...
(sujal office ke liye ready ho raha hota hai...uska mood sayad off hai..kashish jaldi se uske liye juice lekar aati hai...sujal juice peeta hai...aur glass rakhkar office nikal jata hai...kashish se kuchh nahi kehta aur na hoi mud kar dekhta hai...kashish bas usi jagah ko dekh rahi hai jaha se sujal abhi gaya hai...)

humari...ek mushkaan pe wo to...
humari...ek mushkaan pe wo to...
apni jaan...lutata tha...
jag bisra ke...
aatho pahariyaan...more hi gun gata tha...
(kashish sofe par baithi hai...uske hath me sujal ki tasveer ahi... aur saamne sujal ki large wall size pic lagi hai...kashish bas use dekhe ja rahi hai...use uske aur sujal ke paalampur me bitaaye hue saare pal yaad aa rahe hai...aur sujal ka likha hua wo letter...uske ek - ek sabd kashish ko yaad hai...uski aankhien num hai...aur chehre pe udaashi...)

bha gayi ka...
bha gayi ka...sautan oke...
mora kachhu bhawat naaahiii...
mora piyaa...moshe bolat naahi...
mora piyaa...moshe bolat naahi...
(kashish bahu thi man se sujal ka lunch lekar office jati hai...par jaise hi wo sujal ke cabin me enter hone waali hoti hai ki...aarchi ko dekhti hai... jo as usual sujal se chipakne ki kosis kar rahi hai...kashish bina kuchh kahe lunch peon ko dekar office se baahar chali jati hai...)

dwaar...jiya ke...
ohhh...dwaar jiyaa ke...kholat naaahi...
mora piyaa...moshe, bolat naahi...
(kashish yunhi apni aur sujal ki baatein yaad karte hue road par chal rahi hai...aur chalte chalte wo usi mandir me pahunch jati hai jaha sujal ne use bulaya tha...use wo letter ke words yaad aate hai...aur kashish mandir me chali jati hai...)

mora piyaa...moshe, bolat naahi...
mora piyaa...moshe, bolat naahi...
mora piyaa...moshe, bolat naahi...
mora piyaa...moshe, bolat naahiii...
(kashish mata rani ki pratima ke saamne khadi thi...uski aankhon me se sirf aanshun beh rahe hai...wo bas pratima ko dekhe ja rahi hai... ki pandit ji aate hai...)...

movie:- Raajneeti...

pandit ji:- are beta...tum aise kyun khadi ho..mata rani ke dwaar par aai ho...aise chup chap sirf roye ja rahi ho...koi pareshaani hai to unse dua karo yeh to jagat janni hai... sabki manokamnaaye puri karti hai...( pandit ji kashish ke sir par hath rakhte hai...)... mera aashirwaad hai ki tu jo chahti hai...tujhe mil jaye...sada suhagan raho...( kashish pandit ji ke pair chhuti hai...aur pandit ji wahan se chale gaye...)

kashish:- jab se hose sambhala hai...sirf aap par vishwaas kiya hai maa... jo aapne diya haste - haste qubool kiya hai...bas ek cheez mangi thi aapse...sujal...aapne kaise bhi karke unhe bhi mujhe de diya... par mujhe unka pyar chahiye...woh patni hi kya maa jo apne pati ko khush na rakh sake...humari shaadi ko ek hafta hone ko aaya hai...par ab tak humne baat tak nahi ki...sujal meri taraf dekhte bhi nahi...woh kahin gum ho gaye hai... yeh sujal jo mere sath reh rahe hai...woh sujal nahi jisse maine pyar kiya hai...maine toh ek aise sujal se pyar kiya tha...jo sirf hasna jaante the...jeena jaante the...muskurate the...dusro ko jeena shikhaate the...pyar karna shikhaate the... mujhe pata hai ki wo yeh samajhte hai ki yeh shaadi meri mazburi hai...main unhe kaise batau ki yeh saadi meri zindagi ki sabse badi khushi hai...plzz mujhe koi rasta dikhaao...

kashish thodi der mandir bas mandir me baithi rahi...use hose nahi tha ki shaam ho gayi hai...sujal ghar pahuncha to veena ne kashish ke baare me puchha...

sujal:- kya...wo office to nahi aai thi...lunch to mujhe peon ne diya...

veena:- kya fir wo gayi kaha...use phone laga...

sujal aur veena dono hi pareshaan ho gaye the...sujal paaglo ki tarah phone laga raha hai...par kashish ka phone silent pe tha...usne nahi dekha...sujal ne shinha house bhi phone laga kar puchha par wo wahan bhi nahi thi...sujal nikal gaya...road pe yaha se wahan dekh raha tha...ki use kashish ki sandle mandir ki stairs par dikhi...yahi wahi sandles thi...jo kashish ne shaadi me vidaai ke waqt pehni thi isliye sujal ne pehchaan lia...aur usne gadi park ki aur daud ke mandir me gaya...usne kashish ko madir ki upper stairs pe baitha paya...sujal ne raahat ki saans li...aur gusse me kashish ke pass gaya...aur uske arms ko pakad kar khada kiya...kashish sujal ko yun dekh kar shocked thi...

sujal:- what the hell is this ha...kya bachapana hai yeh...main paaglo ki tarah tumhe dhundh raha hu...aur tum ho ki apna phone tak nahi utha rahi ho...ghar me kisi ko bata nahi sakti thi ki yahan aa rahi ho...u...( kashish bas sujal ko dekh rahi hai sujal bahut jayda gusse me tha..kashish ki aankhon me aanshun beh rahe hai...) ab rona band karo aur chalo...(sujal ne kashish ka hath chhod diya aur jane ko muda...)...

kashish:- kahan chalun...?(Sujal again faced kashish)...

sujal:- ghar aur kahan...

kashish:- kiske ghar...?

sujal:- kashish kya laga rakha hai,...apne ghar aur kahan...

kashish:- sujal jab aap hi mere nahi hai...to woh ghar mera kaise hua...?... jis insaan ke sath maine rishta joda tha... usi ne mujhe nahi apanaya to wo ghar mujhe kaise apnayega...(kashish laughs for second..) ek tarah se accha hi hua... is bahane aapne mujhse baat to ki...(Sujal ne apni nazare jhuka li...tabhi zoro se baarish hone lagi...sujal kashish bas ek dusre ko dekh rahe hai...sujal jaane ke liye muda...kashish held jis hand...aur uske saamne gayi...) aise kyun ja rahe hai...aap ek galat fehmi me jee rahe hai...aur main is galat fehami ko aapke aur mere beech nahi aane dungi...aapko lagta hai na ki main is shaadi se khush nahi hun...aap meri pasand nahi hai...yeh aapki galat fehmi hai...(sujal is just looking at her...)...aapne jan mujhe wo khat diya tha... main mandir nahi aa saki...aapne ek baar bhi jaane ki kosis ki... ki main kyun nahi aai...nahi na...jab aapne mera aur piyush ka roka hote hue dekha...aapne mujhse ek baar nahi puchha ki main aapko thukra kar piyush se shaadi kyun kar rahi hu... main us din apni aur aapki dono ki zindagi ka faysla le liya tha...aur piyush se shaadi ko haa keh di thi...woh is liye mr sujal garewaal kyuki jab aap kisi se pyar karte ho to uski zinadgi ka har ek faysla lene ka haq aapko mil jata hai...aapke pyar ki zindagi par usse jyada aapka haq hota hai...(dhamaake on sujal's face...)... us ek pal me jab mere papa hospital me the...beti ke farz ke aage aapka pyar chhota pad gaya tha...bas isliye- isiliye piyush se shaadi kar rahi thi main...

sujal:- yeh tum...

kashish:- ji yahi sach hai...jab se pyar ko jana hai...jabse pyar ko samjha hai...sirf aapko hi pyar kiya hai main...(sujal is happily shocked...tears flows down to both's cheeks...)...jab paalam pur ke liye ghar se nikali thi toh main sirf kashish sinha thi... par jab wahan se lauti to sujal ki diwaani ban kar lauti thi...par aap mujhpar...

sujal not let her speek he hugged her very tightly...a smiles appears on sujal's and kashish's faces...with tears...both are both are comletely wet...rain are pouring their bodies...they were hugging eachother like never before...like they dont want to loose eachother...sujal separates and kissed her on her forehead...kashish too kissed his forehead..and again both of them hugs...

sujal:- agar itana pyar karti thi...to kyun mujhse door ja rahi thi...kyun mere payr ko...(both separates still standing at temple...)...

kashish:- main mazboor thi sujal...aap nahi jaante kitna tadpi hun main...aapko toh yeh lagta tha ki main aapse pyar hi nahi karti...par main...mujhe to pata tha ki main aap mujhse pyar karte the...phir main chup rahi mere papa ke liye...

sujal:- papa ke liye kyun...

kashish:- us din jab aap mujhe wo letter dekar gaye...us din woh letter padhne ke baad main saatve aasmaan me thi... itani khush thi...agle din sab kuchh jaldi jaldi kiya...bas aapse milne ke liye taiyar hone ja hi ja hi rahi thi ki...papa me ne mujhe roka aur...( then kashish told him everything...how kashish agrred to marry piyush...every thing till their marrige night...Sujal ko apne aap par gussa aa raha tha...)

sujal:- i m sorry kashish maine tumhe galat samjha...plzz mujhe maanf kardo...

kashish:- nahi sujal aapki koi galti nahi...aapne kaha tha na ki agar mujhe aapka pyar manzoor nahi to aap kabhi mere raste me nahi aayenge...aapne kiya wahi tha...par sujal sayad bhagwaan ko bhi humara sath manzoor tha tabhi unhone ain waqt par meri shaadi aapse kara di...aapne toh us waqt ek aisi ladki ka hath thama tha jiske papa ki izzat log uchhal rahe the...bina kisi swarth ke bina kisi shart ke aapne mujhse pyar kiya hai sujal...aur main bas aapse itna hi kehna chahti hu ki main bhi aapse bahut pyar karti hu...apni saari zindagi aapke sath...aapki baahon me guzarana chahti hu...aapka sath dena chahti hu...aapka aks ban kar rehna chahti hu...chahe zindagi ke is par ho ya us paar kashish sirf sujal ki hai...I LOVE U sujal...I LOVE U very muchh...(sujal hugs her...)...

sujal:- I LOVE U kashish... I LOVE U alot...

for sujal:-
jee yeh chahe yeh lamhe...bas yahi par ruk jaaye...
saamne tum raho aur...hum tumhe dekhte jaaye...
(sujal is still hugging her..then he kissed her on both's cheeks...she blushed hard...he is looking at her with full of love and intensity)

for kashish:-
dil me hone lage hai... meethi- meethi si hulchal...
tum raho sath jaise... meri aankhon ka kaajal...
(kashish kissed him on his forhead and hugs him again...)

sath din raat rahe...ohhh...
pyar ki baat rahe...aur rahe kuchh na baaki...
(both are completely wet...sujal held the corner of her saree...and rotate her saaree around her wet body...)

for sujal:-
maine ikraar kiya hai...tera hai baaki...
thoda sa pyar hua hai... thoda hai baaki...
(sujal picks her up in his arm...and coming down from the stairs both are looking at eachother eyes...)

for kashish:-
thoda sa pyar hua hai... thoda hai baaki...
thoda sa pyar hua hai... thoda hai baaki...
(sujal make he sit in the car...kashish is smiling and adorring him...)...

for sujal:-
thoda sa pyar hua hai... thoda hai baaki...
(sujal also come and sit on his seat...)...

sujal;- so...apne ghar chale...(Winks at her and kashish blushed...sujal drove off...)

sujal kashish ghar aate hai...veena bahut pareshaan thi...

veena:- sujal kashish..kashish kaha chali gayi thi beta...bata kar jana tha..main kitna pareshaan ho gayi...

kashish:- sorry mumma wo main mandir me thi...

sujal:- woh mumma iska phone silent pe tha...isliye nahi uthaya tha...

veena:- chalo koi baat nahi par aage se dhyaan rakhna...aur apne papa ko phone kar lena unka phone aya tha...pareshaan the...

kashish:- ji mumma...

veena:- ab jaao jakar change karlo...bimar pad jaoge...(tabhi peeche se lalit, vasu, cg aur piyush aatr hai...)...

lalit:- it was wonderful ha...

vasu:- yes lalit completely...

lalit:- are sujal kashish tum loge to beege hue ho...jaao change karlo...(sujal kashish left...)...

vasu:- yeh dono bheeg kaise gaye...

veena:- wo kashish mandir gayi thi...kafi der ho gayi thi main pareshaan thi jab sujal aaya to use dudhne gaya tha...aur kashish ka phone bhi band tha to...

vasu:- bloody illitrate...(sujal kashish both heard this...sujal ko bahut gussa aaya..wo muda par kashish ne uska hanth pakad kar rok lia...aur dono hi apne kamre me chale gaye...) kal hum sab ko party me jana hai tumhe aana hi hoga...aaj bhi sab tumhe aur sujal ko puchh rahe the...

veena;-theek hai vasu main kal chalungi...

piyush:-but i m not coming mom...mujhe kuchh kaam hai...

vasu:- par...

piyush:- ok as u wish baby...

sujal change karke apni window pe khada tha ki kashish aati hai...aur uske soulder pe hath rakhti hai...

kashish:- kyaa baat hai...

sujal:- y u stopped me...tum unhe abhi nahi jaanti kashish...wo humesha tumhe yunhi...

kashish:- mujhe unki baat ka fark nahi padta hai...mujhe bas is baat se fark padta hai ki aap kya sochte hai...kya aapko bhi...

sujal:- kabhi nahi kashish aisa sochna bhi mat..maine tumse pyar kiya hai kashish...tum jaisi ho waisi mujhe pasand ho...(kashish hugs him...)...

kashish:- i love u...

sujal:- i love u too...

bahar bahut tej hawa chal rahi thi...jiski wajah se kashish ke baal uske chehre pe aa rahe the wo bahut hi khubsurat lag rahi thi...sujal ne kashish ko apni ore pull kiya...aur halke se he placed his lips on hers... firstly it was soft but soon or later it become full of love and passion...kashish too responding him with the same love and passion...then a voice came from downstairs...and they broke off...to escape her from embarassment he hugs her tightly... and both went for the dinner...

at dinner table...

lalit:- so sujal kya socha hai...?

sujal:- kiss bare me uncle...

lalit;- cg tumhe nahi lagta ki humare bachhe ya kuchh jyada hi shariff hai...ya bahut jyada chalu...

cg:- right...

sujal:- par uncle bataiye to sahi baat kya hai...

rishi:- are bigb uncle aapke honeymoon ki baat kar rahe hai...(kashish and sujal both are blushing...piyush observed this and didnt liked it...)...

sujal:- oh...ha uncle chale jayeinge...jaldi kya hai...

cg:- are jaldi kyun nahi hai...ab kashish ko bhi to ghumne ka man hoga...lalit do ise...(lalit ek packet sujal ko deta hai...)...

lalit:- yeh rahe tumhare aur kashish ke switzerland ke tickets aur visa...humne rishi ne mehek se tumahra passport manga lia tha kashish...so parso rat ki flight se aap dono ko jana hai...15 dino ke liye...

sujal:- uncle 15 din fir office kaun...?

lalit:- are piyush hai na...kyun piyush...

piyush:- ji papa...ha sujal u go...main sambhal lunga...

sujal:- ohk...

rishi:- kyun bhabhi ab happy na...(kashish smiles...)...

dinner ke baad sujal kashish apne room me aaye aur ek dusre ki baahon me so gaye...

next day...


its evening time...

sabhi party pe gaye hai...sujal office me hai...but piyush aaj ghar sujal se pehle aa gaya...kashish ghar me akele thi..wo apni aur sujal ki packing kar rahi thi...jab se sujal aur uske beeche ki galatfehmi door hui hai...wo bahut khush hai...wo muskurate hue apna kam kar rahi hai...aur piyush apne room ki taraf ja raha tha...ki uski nazar kashish pe padi...aur sath hi sath uske bare waist pe...piyush ne apna bag wahi out side rakha...aur usne jakar kashish ko peeche hug kar lia...kashish dar gayi thi...kyuki yeh sujal nahi tha...woh sujal ko uski khushboo se pehchaan leti hai...wo apne aap ko chhudane ki kosis karti hai...

kashish:- chhodo mujhe...maine kaha chhodo mujhe...(kashish piyush ko bahut tej push karti hai...jisse piyush ka balance bigad jata hai...aur wo gir jata hai...aur kashish bagal se hi wash utha leti hai...)...khabar dar jo mujhe chhua bhi to...niklo yahan se...(piyush utha...)...

piyush:- wow...kya naatak karti ho yaar...too good...i know tum jaisi middle class ladki k liye sirf paisa maayne rakhta hai...aur bhulo tumhari shaadi mujhse hone waali thi..main tumhari pehli pasand ho...wo to sujal ne tum daya ki...agar tumhari shaadi mujhse hoti toh main tumhare suhaag rat...(kashish slapped him...)... u...

kashish:- chup...bilkul chup...ek shabd bhi aage bola na...jabaan kheech ke fek dungi...na tum kabhi meri pasand the...na kabhi hoge...main tumse shaadi mazburi me kar rahi thi...aur aaj main bahut khush hu ki tum jaise ghatiyaa insaan se meri shaadi nahi hui...aur ha meri pehli aur akhiri pasand sirf sujal hai...sirf sujal...main unhe bahut pehle se jaanti thi samjhe tum...tumse rista judne se pehle main sujal se pyar karti thi...aur sujal mujhse...( dhamaake on piyush's face...)...aur thanku very muchh mujhse shadi todne ke liye...ab niklo yahan se warna...

piyush:- sujal ne mujhe double cross kiya...

kashish:- tum jaise ho na...waise hi dusro ko bhi smajhate ho... mujhe to is baat ki hai mere sujal tumhe apna sabse achha dost mante hai...

piyush ki nazar bahar gayi...usne sujal ki car ko aate dekha...aur kashish ke hanth se wash chheen liya...aur apna cout utaar kar fek diya...

kashish:- yeh tum...

piyush:- kashish yeh tum kya kar rahi ho...mana ki main tumhari pehli pasand hu...par sujal tumhara pati hai...aur tum mere sath aisa rishta banana chahti ho...chhee...sujal mera bhai hai...tumhe sharm aani chahiye...

kashish:- kya bakwaas...(kashish ne sujal ko dekha jo shocked expression ke sath apne room ke bahar khada tha...)sujal...

piyush:- sujal tu...i m sorry sujal..main nahi chahta tha ki tu yeh sab dekhe...yeh kashish hi mere sath...

kashish:- jhuth,...(sujal ke pass gayi...uska hanth pakda)...sujal aap mera yakeen kijiye...yeh jhuth bola raha hai... balki yeh bakwaas kar raha tha...sujal...

sujal(with stern face...):- piyush apne kamre me jaao...

piyush:- sujal mera yakeen kar...is jaisi middle class ladki yehi sab karegi...iske jaisi characterless...

sujal (shouted):- bas piyush...aage ek sabd bhi nahi...

piyush:- sujal tu is 4 din ki ladki ke liye mujhse...kya main galat hu sujal...?

sujal:-tu jo kahga main manne ko taiyaar hu...par yeh baat maane ko taiyaar nahi hu ki iske charitra pe daag hai...(kashish who was crying till now...looks at sujal with respect and pure love... sujal held kashish's hand...) kashish meri patni hai...aur mujhe is par apne aap se jayada wishwaas hai...samjha...ab ja yaha se...aur agar khud ko sharminda nahi karna chahta to kisi ko kuchh mat bolna...aur ha main sab bardast kar lunga...par meri patni ke charitra pe koi ungli uthaaye...yeh mujhe gawara nahi...(piyush gusse se wahan se chala gaya... sujal ne frustate hokar apna hath dressing ke mirror me de mara... he is bleeding...)

kashish:- sujal...yeh aap...(kashish bahut ghbara gayi aur turant first aid box lekar aai...) paagal ho gaye hai..uski wajah se...

sujal( gusse me):- tumhe kisne kaha tha usse baat karne ko...

kashish:- sujal wo khud aa gaya jaan bujh kar...

sujal:- janta hu kashish...par tum abhi piyush ko nahi jaanti...

kashish:- wo sab mujhe nahi pata...pehle aap yahan baithiye...

kashish sujal ko bed pe bithati hai aur keenly uska hath bandage karti hai...jakar door band kar deti hai...aur sujal ke saamne bed pe aakar baithti hai...

kashish:- sujal mujhpar vishwaas to karte hai na...?

sujal:- khud se jyada...

kashish:- ek baat puchhu...?(Sujal nods in yes...) mujhe to aap chand dino se jaante hai...apr piyush ko to aap bachapan se jaante hai...aapne us par vishwaas kyun nahi kiya... ho sakta hai na ki woh hi sahi ho...aur main galat...(sujal smiles...and placed his hand on her cheek...)...
sujal:- kashish yeh jo pyar ka rishta hota hai na...woh bahut hi kamzor dhaage se juda hota hai...aur wo dhaga hota hai vishwaas ka...mujhe tumhari is bahari khubsurati se pyar nahi hai kashish...main to us kashish se pyar karta hu...jo sirf apno ke liye jeeti hai...jo apno me jeeti hai...jiske liye uske rishtey aur uske apne uski zindagi se jyada important hai...ek baat kahun kashish agar tumhari shaadi piyush se ho bhi jaati na...aur tab mujhe pata chalta ki kyun tumne mujhe thukraya...tab mere dil me tumhare liye pyar aur bhi badh jata...kyuki isi kashish se mujhe pyar hai...aur agar...yeh vishwaas hi humare beech nahi raha...toh fir na humare is rishtey ke koi mayne hai...aur na hi humare pyar ke...(kashish has tears and smile both she hugs him...)...

kashish:-
thanku sujal meri zindagi me aane ke liye...mujhe pyar dene ke liye...

sujal:- achha ek baat batao..maan lo aaj tumhari jagah main hota...aur piyush ki jagah koi ladki...to kya tum mujhpar vishwaas nahi karti...?

kashish( still hugging him...):- nahi sujal aap kabhi galat ho hi nahi sakte...aur mujhe mere pyar par pura vishwaas hai...

sujal:- to bas jawaab tumhare pass hai...ki mujhe pyar par yakeen hai...par ab tum meri patni ho kashish tum ek sach nahi jaanti ho...infact tum kya is ghar me koi bhi nahi janta mere siwa...

kashish:- aisa kya hai...?

sujal:- piyush ko mujhse problem hai...

kashish;- kya...par...

sujal:- ha kashish...actually mujhe khud pehle nahi pata tha..par jab hum dono australia me the...yahi koi 2 saal pehle ki baat hai...humne drink ki thi...but maine sirf ek peg lia tha...but piyush ka jyada ho gaya... aur usi nashe me usne apne dil ki kadwahat mujhe bata di...usne mujhse kaha ki...

piyush in druck state:- u know what...tu bahut bura hai sujal...

sujal;- kya bakwaas kar raha hai...chad gayi hai tere ko...

piyush :- sach bol, raha hu...tune sirf mujhse chheena hai...bachapan se sab tujhse jyada pyar karte hai...mujhse nahi...papa cg uncle sab...rishi...sab...tune na sirf mere hisse ka pyar chheena hai...meri property bhi cheen li...dad ki property ka waarish main hu main...but unhone apni property me tujhe bhi...ek din main tujhse tera sab kuchh chheen lunga...mujhe wo sab chahiye...jo tere pass hai...chahe fir wo paisa ho...koi cheej ho...ya adki... mujhse tujhse ha...mujhe best chahiye...ek din tu mujhse neeche hoga har baat me aur main no.1...(& piyush passed away...)

Sujal has tears... while telling her every thing...

kashish:- itni nafarat hai uske dil me... aur aap use kuchh nahi...

sujal;- nahi kashish nafarat ke badle me afar hum agar kisi ko nafarat deinge to nafarat jeetegi... main chahta hu ek din piyush ko yakeen ho jaaye ki main uska bura nahi chahta hun..main use bahut pyar karta hai...mere liye usme aur rishi me koi fark nahi hai...par sayad main hi galat...(kashish placed her hand on his cheek..)...

kashish:- khabardar jo mere sujal ko kuchh kaha to...wo best hai...ab samajh me aaya ki wo kyun...khair jo aapke liye sahi hai...wahi mere liye bhi sahi hai...ab chaliye jaiye fresh hoke aaiye...main aapke liye dinner leke yahin aati hu...(kashish usth kar jaane lagi ki sujal ne use apni ore kheecha...kashish sujal ke upar giri...now she is on his lap...)...

sujal;- kya yaar..tumhara naya navela pati itana thaka hara aaya hai...use apni nayi naveli patni ke sath romance karke mood to fresh kar lene do...(kashish pushed him and blushing...)...

kashish:- ji nahi...abhi only dinner...fir packing bhi karni hai...

sujal:- are yar to main romance kab karunga...(kashish door ke pass khadi hai...)...

kashish:- sujal hum kaha ja rahe hai...?

sujal;- switzerland...

kashish:- kis liye...?

sujal:- yeh tum kya...honeymoon pe aur kyun...

kashish:- to honeymoon romance ke liye hi hota hai..hai na...to waha... i... m...all...urs...(she winks...before

reran away...)...

sujal:- i love her yaar...

piyush room...

end of part 16
press like if u really liked it
do comment
love chandni

**********************************************************
**********************************************************

Edited by rkchandni - 9 years ago
golu_1677 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
As usual wonderful part... U r a superb writer...
RNforever thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
fantastic superb yr
love it thanks for pm


lovr naina
ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Hayeee o rabba inni sari galat fehmiyan????...or ye sujal ne bat kyun nhi ki kashish se had hai :/ pta tga mjhe ye villan log is bat se faida uthayenge :/ but thank god jaldi hi sb thik hogaya ab sb clear hai :) :* magar ye bloody piyush how dare he himat kse hui iski kashish ko tuch krne ki or ilzam bhi us hi pe lga raha hai desh 😡😡😡 lakin hayeee mera sujal kitna yaqin hai use kashish pe or wo sb janta hai us desh k bare me phr bhi kuch nhi kehta lovely <3 :* great part cont soon
kajalkalwani thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 9 years ago
Nice update plz udate d rn ff also
0913155 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
AWE's awesome superb long long update😃fab writer😛😳plz cont soon happy for pm😛
PriyaKABHI thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Thanks for PM,Dear.😊
It was Amazing Part.😊
The Whole Part was so Beautifully explained.😊
The pics and the Song was so nice.😊
Please Update Next Part soon.😊
__________________________________
(MISSING KSG and KABHI So Much)
PriyaCherry.

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: goodkashish · 6 years ago

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 3 months ago

This story has been inspired by the 2002 Malayalam film Nandanam, and was written at the request of Jasminerahul. It is my humble attempt to...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 1 months ago

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 1 months ago

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 3 months ago

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".