PHIR MILEINGE - Saath Saat Janmo ka.... Sujal Kashish ** Completed**.. - Page 10

Created

Last reply

Replies

253

Views

46.7k

Users

17

Likes

359

Frequent Posters

.FlyingClouds. thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#91
Wonderful update
So excited that sujal and kashish are together.
But I hope they don't get separated this time.
Jaldi se unki memory wapas aa jaye
Cont soon
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#92

Originally posted by: Acad10

Wonderful update
So excited that sujal and kashish are together.
But I hope they don't get separated this time.
Jaldi se unki memory wapas aa jaye
Cont soon



thanku dear...dont worry jaldi aayegi...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#93
a big thanku to all for loving my fic...here is part 11...keep reading & keep smiling...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#94
*** PHIR MILEINGE - sath saat janmo ka***

Part 11
kashish:- are gussa kyun hote ho...(sujal uth kar jaane laga ki kashish holds his hand)...

tumse jab dosti ki...mujhko aisa laga tha...
door tak tum chaloge...mere dil ne kaha tha...
zindagi ke safar mein...humsafar ban jaao na...
pass manzil aayegi...sath mere aao na...
yunhi chup chaap raho...jo kahun main woh suno...
kyuki main hun fariyaadi...
tumko dildaar kaha hai...na kaho naa ji...
thoda sa pyar hua hai...thoda hai baakiii...
thoda sa pyar hua hai...thoda hai baakiii...

(kashish khadi hoti hai aur sujal ko kash ke hug kar leti hai...sujal also hugs her very tightly...both are busy in

eachother...)

tabhi peeche se aayesha aati hai...aur cough karti hai...dono apne sapno ki duniyaan se baahar aate hai...

sujal;- tu kab aai...

aayesha:- bas abhi...waise kafi busy the tum dono ha...

sujal;- wo...

aayesha:- waise bhool mat yeh chawl ki chat hai...yahan koi bhi kabhi bhi aa sakta hai... itna hi romance karne ka

dil kar raha hai to kya tera kamra chhota pad gaya hai...

kashish;- are aayesha...aisa kuchh nahi hai...wo to bas...

aayesha;- sab jaanti hun...ab chalo neeche kaki ne bulaya hai...khaana kha lo...aur ha jaldi shadi bhi kar

lo...mujhe nahi lagta ki tum dono se control hoga...(aayesha haste hue bhagi...)

sujal:- teri to ruk...(sujal ne bhagne ko kiya ki kashish holds his hand...and he stops...)kya...

kashish uske nazdeek gayi...aur ukse gale me hanth dal kar...

kashish:- waise aayesha ne kuchh galat nahi kaha...(Sujal ko ajeeb sa lag raha tha...kashish uske bahut jyada

close khadi thi...their bodies are glued...) to mr sujal deshmukh kya khayaal hai...

sujal:- abhi toh sirf khana khane ka khyaal hai...aur ha...thoda door reh warna apun...

kashish didn't allowed to him speak more...she pressed her lips on his...firstly sujal taken a back...but later...he was

also responding her with same passion...they totally involved in theie first kiss...kashish was moving her hands on

his hairs...and he was rubbing her back...kashish was pulling him more & more...actually they forget every

thing...they forget where they are...after some time they parted away...both are braething heavily...sujal is just

looking at her with intensity...and kashish has her eyes down...to escape her from the embarrasment he hugged

her...

sujal;- kya baat hai meri jhaasi ki raani... tu to badi chalu nikali...(kashish huged him more tightly...she has a

sweetest smile on her face...)ab apun ko lag raha hai...ki kahin aayesha ki baat sach na ho jaye...aai ko bolna

padega...ki jaldi se shaadi ki taiyaari kare...(kashish ko kuchh yaad aaya...wo alag hui sujal se...she has tears...)

are kya hua tere ko...tu...

kashish:- sujal...tumhare siwa ab mera koi nahi hai...tum mujhe chhod ke to nahi jaoge na...

sujal;- apun tujhse wada karta hai kashish ki jeete ji...tera sath kabhi nahi chhodega...aur marne ke baad...

(kashish placed her hand on his mouth...)

kashish:- shut up...khabar dar jo aisa kuchh kabhi bola toh...jaan se maar dungi...

sujal;- ok madam apun nahi kahega...

kashish:- wo plzz bura mat maanna par...mujhe tujhme kuchh...

sujal:- ha bol na...

kashish:- sujal wo...isse pehle ki humari saadi ho... main us mandir me jana chahti hun...bachapan se jo mujhe

sata raha hai...finally uska saamna karna chahti hun...aur uske baad tumhare sath apni nayi zindagi ki suruaat

karna chahti hun...(sujal is thinking some thing...) kya hua,...par agar tumhe koi problem hai toh...main nahi

jaungi...

sujal:- nahi kashish...main tujhe waha jarur lekar jaunga...

kashish:- sach...(she hugs him...) u are the best... i love u...(he separates her)...

sujal;- pyar to apun bhi tujhse karta hai...par...kashish tune mujhse ek sawaal nahi puchha par apun tujhe batana

chahta hai...

kashish:- aisi kya baat hai...?

sujal:- kashish tujhe azeeb nahi laga tha...ki kaise apun chand dino ki dosti ke khaatir shimla tak chala gaya... taki

tujhe tere sapne ke dar se mukti mile...jo tujhe pareshaan karta hai...

kashish:- ha ek pal k liye laga to tha...par fir maine socha hi nahi...kyuki tum bhale gunde dikhte ho... ho nahi...

sujal:- ha...kya... apun tujhe gunda dikhta hai...

kashish- ha look at ur self...apne kapde dekho...apna hulia dekho...

sujal;- ha toh apun nahi aaya tha tere pass...tu hi aai thi daudte hue...samjhi...ja apun ko...

kashish:- par...mujhe to us sujal se pyar hai...jo yahan rehta hai...(apne heart ki taraf point karek...) jo yahan se

(pointing towards his heart)..kisi bhi prince se kam nahi hai...

sujal:- sach...(kashish nods in yes...)...

kashish;- achha ab batao kya bol rahe the tum...(Sujal fir serious ho gaya...)...

sujal:- kashish apun ne teri madad isliye ki thi ki kahin na kahin tera aur apun ka dard ek hai...

kashish:- kaise...matalab...?

sujal:- tujhe bhi ek sapna pareshaan karta hai...tujhe bhi kuchh dhundhli tasveere dikhaai deti hai... jo tere sapno

me aakar tujhe bechain karti aai hai...bachapan se hai na...(kashish noded in yes...) apun ke sath bhi aisa hi hai

kashish...(kashish is shocked...) bas fark itna hai ki tujhe koi mandir dikhaai deta hai...apun ko ek jagah...

kashish:- aisa kya dikhta hai tumhe sujal...

sujal;- bahut ajeeb kisi ka chehra saaf nahi...kai log khade hai wahan...un logon ke haanth me saayad bandook

hai...aur unke nishaane me ek ladka aur ek ladki...aur un logon ne badi berahami se...un dono ko maar

diya...aur...(Sujal closed his eyes...kashish presses her hands on his...) bas har baar yahi sapna...har baar

main...kashish apun chain se so nahi paya...aai kehti hai ki bachpan me toh apun ke sath aur jyada yeh hota tha..

apun raaton ko jaag jaata tha...cheekhta tha raton ko... sabse darta tha...agar bandook dekh bhi lu toh...par

jaise - jaise bada hota gaya...yeh sab kam hota gaya...par pichhle 6 mahine se wapas...sab kuchh waisa hone laga

hai...ha apun darta nahi hai par...wo sapne...fir tune us din apne sapne ke baare me bataya... to apun ko laga

chal beta sujal...isi ki madad karde...sayad...tujhe tere dard se raahat mil jaye...bas isiliye...

kashish:- main achhi tarah se samajh sakti hu sujal...ki iuse sapne aapka chain sukun sab chheen lete hai...tabhi

toh main saat samander paar se aai...taki...par sujal mere pass to wo sketch hai...i mean...mujhe pata hai kis cheej

ko main dekhti hu...par tum kis jagah ko...

sujal;- pata nahi kashish...yahi to problem hai...ki wo jagah bahut ajeeb hai...aas pass pahaad hai...jungle type

hai...aur sannata...bas...sayad ko valley...

kashish;- sujal tum mujhe use dictate kar sakte ho...main achhi sketch bana leti hun...sayad tumhari kuchh help...

sujal;- sach tu kar payegi...

kashish:- atleast try to kar sakti hun...

sujal:- theek hai..chal abhi neeche chalte hai...khana kha kar tujhe batata hu...(both left...)

down side...

gayatri;- kya kar rahe the tum dono...itna time lagta hai...chalo aao...khana kha lo...(teeno khana khane ko

baith jate hai...) achha sun main kal hi pandit se milne ja rahi hun...jaldi hi tum dono ki shaadi karani hai

mujhe...

sujal:- aai wo apun ko... ah...mujhe tujhse baat karni hai...

gayatri:- ab to sudhar ja...kab tak yeh mavali ki tarah baat karega,...

kashish;- ha aai...inse boliye...yeh to padhe likhe bhi hai fir bhi...

gayatri;- wahi to itani mehnat karke padhaya tha...janti hai kashish...jab iske baba the na...tab yeh aur wo sagar

dono hi borivali ke sabse achhe school me jate the...agregi school...par fir...

kashish:- its ok aai...aap kyun tension lete ho...

sujal;- ho gaya...ab apun...main kuchh bolu...aai...main kashish ko shimla le jana chahta hu...wo us mandir

me...aur hum uske baad hi shaadi kareinge...

gayatri:-par...

sujal;- dekh aai... tu bhi jaanti hai ki apun ko bhi bachapan se hi kuchh sapne aate hai... tune to apun ka dard

dekha hai na aai...kashish ka bhi kuchh aisa hi haal hai... kam se kam main uska dard to...

gayatri:- theek hai...kab jana hai...

sujal;- kal...

gayatri:- kal hi...

sujal;- ha aai kal hi...jitna jaldi ho jaye utna achha hai...aur aate hi hum shaadi kar leinge...

gayatri;- theek hai...chale jana...

khana khane ke baad kashish paper aur pencil lekar aati hai...gayatri aur sujal dono hi baithe hote hai sofe pe...

kashish:- sujal...ab tum mujhe batao...ek ek cheej...detail me...main sketch banati hun...

gayatri;- yeh kya kar rahi hai tu...

sujal:- aai...wo apun ne kashish ko apun ke sapne ke bare me bataya to usne kaha ki...apun use sab bataye wo

sketch banayegi...sayad apun bhi apne sapne ki haqeeqat jaan jaaye...

gayatri:- kya tu...par...

kashish:- aai...kosis karne me kya jata hai...sujal tum batao...

sujal kashish ko har detail bata raha hai..aur kashish bade hi dhyaan se...wo sab bana rahi hai...jaise jaise

kashish wo sketch pura kar rahi hai...use ajeeb ajeeb sa ehsaas ho raha tha.. maano wo bhi yeh sab kahi dekh chuki

hai...par wo kuchh nahi kehti...kashish sketch pura karti hai...aur use dekh rahi hai...

kashish:- yeh jagah...yeh jagah...

sujal:- kua hua kashish kya tu is jagah ko janti hai...

kashish:- sujal maine yeh jagah kahi to dekhi hai...par kahan yaad nahi aa raha...aisa lag raha hai...jaise maine

yeh sab dekha hai...yeh manzar maine dekha hai...

gayatri;- kya par aisa kaise ho sakta hai...yeh bas sujal ka ek sapna hai...

sujal:- par aai... jis mandir ke baare me kashish ne bataya tha...wo mandir apun ko bhi dekha hua sa laga tha..

jabki wo tha to sirf kashish ka sapna...jabki ki yeh bhi sach hai ki apun kabhi shimla nahi gaya,...

kashish:- aur main...main bhi toh india first time aai hu...fir yeh sab kya ho raha hai...aur kyun...

sujal;- iska pata ab wahi jakar lagega kashish...shimla...

gayatri in her mind:- kahin us jyotishi ki baat sach to nahi...(then she rembers )...

gayatri:- shadhu maharaj ji...yeh mera beta hai sujal...yeh abhi sirf 6 saal ka hai...baba yeh bahut kasht me rehta

hai...ise raaton me azeeb azeeb se sapne aate hai...aur yeh jaag jata hai...rota hai..cheekhta hai...bada dara aur

sehma sa rehta hai...kuchh to upaay bataiye main apne bachhe ko is tarah...

shaadhu. to sujal:- yahan aao bete...apna hanth dikhao...(gayatri sujal ka hanth unke hanth me deti hai... wo use

gaur se dekhte hai...)...beta...apne bete ki kundali banwaai hai..?...

gayatri;- ji ha...yeh rahi...

shaadhu:- dekh beta...tera yeh beta... bahut hi bhagya se paida hua hai...iska janm sirf jeene ke liye nahi hua

hai...balki iska janm...pap ka nash karne ke liye hua hai...yeh bade kaam karega...bas main ab jo tujhe bata raha

hu...wo kisi ko mat batana...sun...iske is janm me iske pichhle janm ka saya humesha bana rahega...aur jo kuchh

bhi ise satata hai...wo iske is janm se sambandhit nahi hai...balki iske pichhle janm se sambadhit hai...jab tak ise

uska upaay nahi mil jayega ise yeh sab yaad aata rahega...

gayatri:- toh kya mera beta...mere sujal ko kuchh...

shaadhu;- nahi kuchh nahi hoga ise...iski umra bahut lambi hai...sayad pichhle janm me iski akaal mrityu hui

thi...isliye iske sath yeh sab hua...karodo me se kisi ek ke sath aisa hota hai...tu dar mat...jis din ise iska wazood

mil jayega...iski sangini mil jayegi...yeh apni muskilo ko katata hua aage badh jayega...bas ek baat yaad

rakhna...kabhi bhi...ise kuchh mat batana...iske sath jo hona hai hokar rahega...jo niyati me likha hai...wahi hota

hai...bas ab intezaar kar...dheere dheere tere bete ki saari takleefe samaapt ho jayeingi...aur yeh ladka bahut

aage badhega...bahut aage...jis tarah bhagwaan ke avtaar hote hai...pap ka ke nash ke liye...samajh le...tere bete

ka janm kisi aise hi makshad k liye hua hai...ab ja...aur sab us ishwar pe chhod de...

gayatri:- dhanyawaad baba...

sujal;- aai wo...aai...tu sunn rahi hai na...aai...

gayatri;- ha ha...bol na...

sujal:-kahan kho gayi...

gayatri;- nahi kuchh nahi...chalo ab ja kar so ja...kashish aa...tu mere kamre me so ja...aur tu khidki band

karke sona...

sujal;- theek hai...

kashish gayatri ke kamre me chali gayi...aur sujal apne kamre me...gayatri wahi baithi thi...

gayatri:- babaji ne kaha tha ki...jis din sujal ki sachhi sangini use milegi...sab kuchh sahi hota jayega...kahin

kashish aur sujal ka pichhla janm juda to nahi hai...kahin... par aisa kaise...hey bappa...kal yeh dono ja rahe

hai...kashish ki pareshaani ka ant karne...ho sake to mere sujal ki bhi takleefo ka ant kar dena...in dono ko hi

khush rakhna...(but gayatri ko nahi pata tha ki kashish ne uski baat sun li...wo gayatri ko kuchh kehne lauti aur

usne sab suna...kashish wapas room me chali gayi...aur bed me jaakar baith gayi...aur use sab yaad aa raha

tha...veena ke sabd...gayatri ke shabd)...

{veena:- mera yakeen karo tum dono humare bachhe ho...tum logo ki maut ho gayi thi 25 saal pehle...aur ab tum

dono laut kar aaye ho... punarjanam lekar... mujhe pandit ji ne bataya tha ki tum dono aaoge...

gayatri:- babaji ne kaha tha ki...jis din sujal ki sachhi sangini use milegi...sab kuchh sahi hota jayega...kahin

kashish aur sujal ka pichhla janm juda to nahi hai...}

kashish in her mind:- kahin veena aunty sahi to...par aisa kaise ho sakta hai...main aur sujal...main sujal se...nahi

nahi...sujal chhid jayega...us waqt bhi gussa ho gaya tha...sahi bhi hai...yeh sab baatein to sirf kitaabo me hoti

hai...ya filmo me...aisa kaise...main aur sujal...par veena aunty ne...ha main...(kashish ruhi ko phone karti

hai...)

ruhi;- ha kashish tum theek to ho na?...

kashish;- ruhi main bilkul theek hu...mujhe tumse kuchh puchhna hai...plzz sach - sach batana...

ruhi;- ha bolo na...koi problem hai...

kashish:- ruhi tumhare bade papa aur badi mom ka naam kya tha...(ruhi shocked ho gayi...)...

ruhi:- ahh...wo par kyun kashish tumhe kyun...?

kashish:-plzz ruhi...

ruhi:- unka naam... Sujal Garewaal & Kashish Garewaal tha...(kashish shocked thi...wo soch me pad gayi...)

kashish are u there...

kashish:- ha...main sun rahi hun...

ruhi:- i know kashish...but may be its just a co- incidence...ki tumhara aur sujal ka naam mere bade papa aur badi

ma se milta hai...u know na...aur tum dadi ki baat ka bura mat manna...wo kya hai na...kisi ne mere bade papa

aur badi ma murdur kar diya tha...goli mar kar...(dhamake on kashish face...) tab to main paida bhi nahi hui

thi... to socho dadi ko dukh to hoga na...

kashish;- to iska matalab yeh bhi sach hai ki...mera aur sujal ka chehra...tumhare bade papa aur badi mom se milta

hai...?...(ruhi chup thi...) bolo ruhi plzz...kya yeh bhi sach hai...

ruhi in her mind:- bata de ruhi...dadi ne unhe kuchh yaad dilaane se mana kiya tha...yeh batane se nahi...

kashish:- ruhi...

ruhi;- ha...wo... ha kashish...tumhara aur sujal ka chehra...mere bade papa aur badi ma se milta hai...tabhi dadi

ne aisa behave kiya tha bas...(kashish ki ankh se aanshun beh rahe the...)...

kashish:- tum itana sure kaise ho...tasveer hai tumhare pass unki...

ruhi;- nahi...dadi ke pass hai...aur aaj hi dadi ne dikhai thi...jab tum dono yahan se chale gaye...

kashish:- mujhe wo tasveer dekhni hai...

ruhi:- par...kashish..bhool jao...its just a...

kashish:- nahi...mujhe dekhni hai...kya tum apni dadi ko us tasveer ke sath mujhse mila sakti ho...plzz ruhi...yeh

meri zindagi ka sawaal hai ruhi...

ruhi;- theek hai... kahan...?

kashish:- yahi...wo borivali ka krishna madir...wahan par...kal subah 7 baje...main itezaar karungi...

ruhi:- theek hai Good night...

kashish;- gn...(kashish phone rakh deti hai...aur phir apni soch me gum ho jati hai...thodi der baad gayatri

aati hai...)

gayatri:- are kashish abhi tak soi nahi...chal so jaa...

kashish:- aai...wo kal subah 7 baje mujhe wo krishna mandir jana hai...aap chaloge...

gayatri:- are waah...kyun nahi jarur chalungi...

kashish:- GN aai...(both slept...)...

R&G house...veena's room...

veena;- kya...?

ruhi;- ha dadi...wo khud yeh sab puchh rahi thi...usne kaha to maine ha keh diya...maine kuchh galat...

veena:- nahi tune bilkul sahi kiya...sayad kuchh ho jaye...

cg:- par veena...is tarah se agar un dono ko kuchh...

veena:- nahi unhe kuchh nahi hoga...milungi main kashish se..bahut itezaar kiya hai maine is pal ka...

next morning...

sujal so raha tha...kashish aur gayatri jaldi hi mandir chale gaye..kashish ne apne sath wo sketches bhi le

liye...aur dusri taraf sirf mehek ko bata kar veena aur ruhi bhi mandir gaye...gayatri aur kashish pooja kar

rahe hai...par kashish ka dhyaan pooja me kam aur baahar jyada hai...tabhi uski nazar veena aur ruhi par

gayi...un logon ne bhi kashish ko dekha...aur we bhi pooja karne lage...sabhi baahar aaye...

ruhi;- hi kashish...

kashish;- hi... hi aunty kaisi hai aap...

veena:- main theek hun...

kashish:-aunty yeh meri hone wali mother in law hai...sujal ki mom...aur aai...yeh wo ruhi ki dadi hai...

gayatri:- namaste ma ji...

veena:- namaste...

kashish:- aai...wo mujhe aunty se kuchh baat karni hai...hum.. wahan chale use shade ke neeche...

gayatri;- ha chal na...

charo ek shade ke neeche baith jate hai...kashish veena ke pass jati hai...

kashish:- aunty i know aapko aisa lagta hai ki main aapki bahu hu...aur sujal aapka beta...(dhamake on gayatri's

face...) par yeh sach nahi hai... yeh bhi aap janti hai...main bas aapse kuchh puchhne aai hun...aur mujhe aapke

sujal aur kashish ki photo dekhni hai...

veena:- pata hai mujhe...ki tum dono wo nahi ho...par khair...chhod yeh le...yeh hai mere bete sujal garewal aur

uski patni kashish garewal ki photo...(again dhamake on gayatri's face...)inki maut ko 25 saal ho gaya hai...

kashish veena ke hanth se photo leti hai...uske man me azeeb sa dar tha...wo dheere se envolop se pic nikalti

hai...aur photo dekh kar ek dam shocked si reh jati hai...gayatri...kashish ke hanth se photo kheech leti hai...aur

wo bhi shocked hai...

gayatri:- yeh to mera sujal...aur tu kashish...aisi photo tum dono ne kab khichaai aur...

veena:- ji nahi...yeh photo 31 saal purani hai...sirf yahi ek photo bachi hai mere pass...yeh mera beta hai sujal

aur yeh meri bahu kashish...inki maunt ho gayi hai 25 saal pehle...ha inka chehra aur aapke sujal aur kashish

ka chehra aur naam ek hai...

gayatri;- iska matalab...kashish tu...(kashish hose me aai...aur uske jaldi se wo sketches nikaale...aur

veena ko diye...)

kashish:- aunty...yeh mandir aur jagah...aap pehchanti hai...in dono jagaho ko...(veena us mandir ko bahut gaur

se dekhti hai...)

veena:- yeh mandir to bilkul humare kul devta ke mandir ke jaisa hai...

kashish:- kul devta ka mandir...?

veena:- ha shimla me humra mandir...ha yeh waisa hi hai...(dhamaake on gayatri's and kashish's faces)...

kashish:- aap loge to yahan rehte ho..to aapka mandir shimla me kaise...?

veena:- hum yahan 25 saal pehle aaye hai...par usse pehle hum shimla me rehte the...mere bete aur bahu ki maut

bhi shimla me hi hui thi...(again dhamaake...)...par yeh sketch tumhare pass kaise...?

kashish:-(kashish ka sir fat sa raha tha...par usne khud ko sambhala...)...aur yeh dusri jagah...yeh vellay...?

ab veena dusre sketch ko yani us valley ko jo sujal ne kal rat banawaai thi use dekhti hai...aur uski aankh se

aanshun behne lagte hai...

kashish:- kya hua aunty...aap..?...bataiye kya aap is jagah ko bhi...kya yeh bhi shimla me hi hai..?boliye na...

veena:- ha yeh jagah bhi shimla me hai...sabse manhoos jagah...yeh wahi jagah hai jahan mere sujal aur kashish

ki hatya ki gayi thi...(bade waale dhamake )... saboot na hone ke kaaran...police na aatma hatya keh kar case

band kar diya...par main jaanti hun ki mere sujal kashish jinhone dusro ko jeena shikhaya tha...jo dusro ke liye

jeete the...mana un dono ne us waqt apna sab kuchh kho diya tha...sabse bada gum tha unki zindagi me par...wo

aatma hatya nahi kar sakte...

kashish(with only tears):- aisa kya kho diya tha...kya gum tha...?

veena:- apni zindagi...apni 4 saal ki beti Ruhi...(dhamaake)... ruhi ka kisi ne kidnap kar lia tha...kashish gayi thi

firauti ki rakam lekar...par un dusto ne...meri bachhi ruhi ko mar dala...aur uske 1 mahine baad sujal kashish bhi

chale gaye...par mujhe pata hai...unhone aatma hatya nahi ki...nahi kar sakte wo aisa...kuchh din baad rishi ko

beti paida hui aur humne iska naam ruhi rakha...bas...us din jab tumhe dekha to laga ki meri kashish aa gayi...

aur fir kal jab sujal ko dekha to...yakeen ho gaya tha...par tum dono to...(wiping her tears..) ha sahi bhi hai...

chehra aur naam ek hone se insaan ek nahi ho jate...(kashish bina kuchh bole wahan se chali jati hai...)

gayatri:- kashish.. kashish ruk...kashish...(but ruhi stops her...)...

ruhi:- aunty use jane dijiye...aunty...aap mane ya na maane...hume yekeen hai ki sujal kashish mere bade papa

aur meri badi ma hai...

veena:- ha gayatri...hum unhe kuchh yad nahi dila sakte...but...mujhe yakeen hai ki wo dono...

gayatri;- ab to mujhe bhi yakeen ho raha hai...

ruhi;- aunty wo sketch jo kashish ne dikhaya...

gayatri:- beta wo...mandir kashish k sapno me aata hai...aur wo pahadi mere sujal ko bachapan se pareshaan kar

rahi hai...aur us mandir ki talaash me aaj yeh dono shimla ja rahe hai par ab...

veena:- iska matalab dono ko hi...aap plzz unhe jaane dijiye...plzz warna unki zindagi...

ruhi;- ha aunty dadi sahi keh rahi hai...dadi aap yeh lijiye is kagaj me us madir aur us valley ka sahi address likh

do...aur aunty ap yeh address sujal ko de dena...

gayatri;- ha main aisa karungi...ab wo dono wahan jayeinge...jarur jayeinge...

veena;- aapko mujh par...

gayatri;- ma ji...sujal meri zindagi hai...uska har aanshun meri jaan nikaal leta hai...agar wakai yeh sach hai ki

aapke sujal ne is bar meri kokh se janm lia hai toh...toh main bahut khush hu ki...ab uske pass ek nahi do maaye

hongi...hai na...

veena:- aapka bahut bahut sukriyaa...(both hugs...)...

ruhi:- aunty yeh lijiye address...aur yeh sketches bhi...main kashish ko dekhti hu...aur use ghar bhejti hun...

gayatri:- ha theek hai...achha sunn...sujal ko kuchh mat batana...wo kabhi nahi jayega...aur gussa...bappa hi

jaane...itana kharab gussa hai ki...wo bhadak jayega...

veena:- janti hu...jab gusse me hota hai to...

gayatri & veena together:- to khud ko hi nuksaan pahunchata hai...(both smiles...with tears...)

gayatri:- ab main chalti hun...(gayatri left...)...

gayatri ghar pahunch jati hai...sujal kashish ke bare me puchhta hai...to wo bahana bana deti hai...wahi road par

kashish ruhi ko milti hai...kashish bas sab kuchh soch rahi thi...wo yeh bhi decide nahi kar pa rahi thi ki wo kya

kare...kyuki ab use veena ki baat sach lag rahi thi...par uska dimaag kahin na kahin maanne ko taiyaar nahi tha ki

usne aur sujal ne punar janm lia hai...tabhi ruhi aati hai...aur kashish ko samjhati hai...aur address ke bare me

bata deti hai...

ruhi;- dekho kashish ab agar tumhe apni is problem ka solution dhundhna hai aur pura sach janna hai to shimla

jaao...tum khud us mandir me jaao...aur sujal ko us pahadi me bhejo kaise bhi...dadi ne address gayatri aunty ko

de diya hai,...ab yeh tum par hai ki tum kya chahti ho...samajh rahi ho na...waise meri maano...ek bar jakar sara

sach jaan lo...in takleefo se mukti mil jayegi...kyuki kahin na kahin...un sketches ka tum dono ne aur mere bade

papa aur badi ma se connection hai...

kashish:- sahi keh rahi ho tum...par abhi main sujal kuchh nahi bata sakti...agar use bataya to wo kabhi nahi

jayega... tum chinta mat karo...ab main tabhi aungi jab mere saare sawaalo ka jawab mil jayega...shimla me...

(ruhi smiles... and both hugs...)

ruhi:- take care both of u...and bye...(kashish ghar chali gayi...sujal ke puchhne me usne bahana bana

diya...after about 2 hrs dono hi shimla ke liye nikal gaye...train se...)...

R&G house...

swayam;- kuchh socha hai kya karna hai...kaise un dono ko alag karna hai...?...

piyush:- ha socha to bahut kuchh hai...par ab sabse pehle un dono se darna chhod do...wo sirf sujal kashish ke

humsakals hai...aur kuchh nahi...yeh punarjanm & all sab bakwaas hai...ab meri ek baat dhyaan se suno...tushar

ko kaho ki un dono pe nazar rakhe...pata kare ki we kya karte hai aur kya nahi...jitna maine us sujal ke attitude se

andaza lagaya hai...wo itani jaldi har manne walo me se nahi hai...isliye...uski kamzori dhundho...uski ek kamzori

toh pata hai...uski maa...ab hum use hi dhaal bana kar sujal aur kashish ko alag kareinge...aur kashish ko shadi

ki badi jaldi hai na...shadi to hogi uski...par us sujal se nahi mere tushar se...

swayam:- agar hum dareinge to humare liye bhari padega...khair tum niklo main tushar se baat karta hun...

(piyush left...) hmm... mujhe ab mera back up plan sochna hoga hi...kyuki pata nahi kyun mujhe veena aunty ki

baat sach lag rahi hai...aur mujhe is piyush ki jaat ka bhi pata hai...mujhe meri safty k dhyaan bhi rakhna hoga...

agle din sujal aur kashish shimla pahunche...aur ek guest hosue type jagah gaye...

kashish;- oh god yuckk...main to thak gayi sujal...itna lamba train journey...hum flight se aate toh kitani jaldi

pahunch jate...(sujal soch me pad gaya...) kya hua...?( sujal kashish ko bed pe bithata hai...)...

sujal:- dekh kashish tu achhi tarah se janti hai ki apun kya hai...aur tune bhi isi sujal se pyar kiya hai...apun tere

ko wo aiso araam nahi de payega jo tujhe...(kashish placed her on his mouth...)...

kashish;- sujal main bas aise hi bol rahi thi...main tumahre sath bahut khush hu sujal...aur fir meri property bhi

toh tumhari...

sujal:- nahi kabhi nahi...uska tujhe jo karna hai kar...par tere baap ki property me mere ko koi bhi interest nahi

hai...uska dan karna hai dan kar...uko kisi ko dena hai de...ya apne pass rakh...apun ko koi lena dena nahi...

kashish;- par kyun sujal...jab tumhari har ek cheej me mera haq ho sakta hai to...meri property me...meri cheejo me

tera haq kyun nahi...

sujal;- kyuki wo teri nahi hai...tere baap ki hai...aur ha kisne kaha teri cheejo me apun ka haq nahi hai...hai apun

ka haq...tujh par...tujhpar tujhse jyada apun ka haq hai...tujhe koi dekhe tak to apun ka khoon khaul uthata hai...

samjhi...isliye apun ke liye bas is kashish ka khayaal rakh...(kashish hugs sujal...)...achha ab tu rest kar...jo

khane ko mangana hai manga le...apun yeh address...(sujal read it out...)kashish yeh dusra address tere ko kaha

se... tune to kaha tha ki yeh mandir ka address mandir ke puzari ne diya...par yeh dusra address kaha se mila aur

hai kaha ka?...

kashish:- wo sujal yeh dusra address usi valley ka hai...jo tumhe nazar aati hai...aur main chahti hun ki tum aaj

wahan jaao...

sujal;- tu paagal hai kya...apun ko nahi jana...apun tere sath mandir jayega bas...

kashish:- sujal tumhe meri kasam..plzz...u have to go there...main mandir chali jaungi...

sujal:- tu... theek hai...apun aata hai...pata nahi tu bhi kya sochti rehti hai...(sujal left...)..

kashish:- thanku bhagwan ji,...sujal ko mujhe dene ke liye..jitna pyar wo mujhse karta hai koi mujhse nahi kar

sakta...wo jaisa hai...use hamesha waisa hi rakhna...use apni kasam to dedi hai...bas ab main jo soch rahi hu...aur

agar waqai main aur sujal...janm - janm ke sathi hai to..bas yeh saath banaaye rakhna...

thodi der baad sujal aata hai...aur dono khana khate hai...aur thodi der rest karte hai...ab shaam ho chuki hai...

sujal;- kashish..chal hume chalna hai...

kashish:- bas sujal do minute me aai...(kashish washroom se aati hai...usne pure red coloure ka salwaar kameez

pehna hai...bbaal khule hai...hantho me chudiyaan hai...sujal bas use. dekh raha tha...) kya hua...?( sujal kashish

ke kareeb gaya...usne uski waist pe hanth rakha aur kashish ko apne kareeb kheecha...both are so close they can

feel eachother smell & breath...)..

sujal:- tu na...jab yeh salwaar kameej ya saree pehenti hai na...to ma kasam bahut jayada khubsurat lagti hai...apun

ka man karta hai ki...bas...(sujal about to kiss her ki she placed her hand on his lips...)...

kashish:- no...

sujal;- kyun..hum mandir kal chaleinge aaj...

kashish:- no means no...abhi hume chalna hai... and its an order...

sujal:- ok ok...chal...

sujal kashish taxi lekar mandir pahunche...

sujal;- ye le aa gaya tera mandir...(kashish bas charo taraf dekh rahi hai...uska man joro se kanp sa raha tha...jaha

ek khushi thi...to dusri taraf dar...) chal chale...

kashish:- nahi...kya kaha tha maine...main mandir jaungi aur tum us jagah...

sujal:- kashish...

kashish:- sujal...tumne meri kasam khaai thi...ab jaao...(kashish taxi se utar gayi...)...byee...

sujal:-ok...tu ja...koi bhi problem ho...turant batana...(kashish nods in yes...)...chal bhai...nikal is address pe...

sujal left...kashish bas use jate dekh rahi thi...kashish ab gaur se charo ore dekhti hai...uski dhundhli tasveere

sach ka roop le rahi thi...uska sir fat raha tha...wo paseena paseena hone lagi...achanak se mandir ki ghnatiyon ki

awaaj aai...kashish ne mandir ki ore dekh aur mandir ki sidhiya chadne lagi...ek - ek shidhi...se uski dhundhli

yaadien kuch - kuch taza ho rahi thi...aise hi wo madir me pahunchi...ab wo devi ma...ke saamne khadi hai...usne

apni aakhien band ki aur...

dusri taraf sujal us jagah pahunch gaya hai...wo abhi taxi me hi baitha tha...use bahut kuchh fir dhikhai diya...wo

bas aas pass dekh raha tha...tabhi taxi driver ko usne paise diye aur bahar aaya...aur valley ki ore chalne

laga...pehle wo yahan aana nahi chahta tha...par ab uske kadam khud - ba khud aage badhne lage...uske mathe

se paseena nikal raha tha...wo bas saamne ja raha tha...ki tej hawa chalne lagi...sujal ne apni aankhien kas kar

band ki aur...

now dono apne pichhle janm ki yaadon me kho gaye...31 years...ago...Flashback...

shimla...R&G hosue...

veena:-ganga ram...jaldi karo...aaj humare bete waapas aa rahe hai..kitane dino baad mere sujal aur piyush

lauteinge main bahut khsuh hu...itane dil austrailia me rahe hai...ab apne ghar me aa rahe hai...

lalit:- are bhabhi...abhi unko aane me time hai...we delhi hokar aa rahe hai...rat tak aayeinge...

veena:- to kya hua...main koi kasar nahi chhodna chahti...(tabhi rishi aaya...)...

rishi;- are uncle karne do mumma ko jo karna hai...mumma to sirf Big B aur piyush bhaiya ko pyar karti hai...meri

to sirf aunty hai...kyun aunty...(rishi winks at vasu...)...

vasu:- ha rishi..kyun nahi...achha veena do what u want to do...mujhe late ho raha hai...shaam ko milti hu...

rishi;- ok main bhi college jata hun...byeee...

cg;- chalo bhaai lalit hum bhi chale office...ek baar sujal aur piyush aa jaye...fir humara kam khatam...

lalit:- sahi kaha.,...

veena:- suniye time se aa jana... main chahti hu ki jab we dono yahan aaye...aap sab ghar me ho...

cg:- ji madam...abhi jaaye...

veena:- kya aap bhi ab jaaiye...

sinha house...

proff sinha:- are mehek...jaldi karo beta...kya kar rahi ho...

mehek:- ha papa...yelo m ready...

proff sinha:-waise tum kar kya rahi thi...

mehek:- are papa...wo aaj di aa rahi hai na...to bas unhi ke liye kuchh bana rahi thi...aaj di first itane din ghar se

door rahi hai...

proff sinha:- are achha chali gayi...tumhari ma ke jaane ke baad usi ne toh is ghar ko sambhala tha...wo to sirf

tumhare aur mere liye jiti hai...usne apni padhai tak chhod di...fir saheli ki shadi me delhi hi to gayi hai...

mehek:- ha papa...di ne mujhe mumma ka pyar diya hai...she is the best...

proff sinha:- ha wo toh hai...ab yahi soch raha hu ki waqt aa gaya hai ki uski shaadi karde...bas koi bahut achha

ladka mil jaye jo meri kashish ko bahut pyar kare...khush rakh sake...

mehek;- oh common papa...meri di best hai...unke liye bhi best ko hi aana padega...

proff sinha:-achha tu to aise bol rahi hai...jaise koi saat samander paar karke humari kashish ke liye aa raha hai...

mehek:- kyun nahi kyun nahi aa sakta...aakhir meri di me kami kya hai...

proff sinha:-tu bhi na...ab chal college...(both left to college...)...

dono college pahunchate hai...proff sinha...GS college ke proff hai...Is collge ke trusty R&G hai...aur rishi bhi isi

college me padhta hai...proff saab aur mehek college ke ander ja hi rahe hote hai...ki rishi unse takraya...usne

mehek ko dekha...mehek also looked at him...

rishi:- oh i m really sorry sir...

proff sinha:-its ok...(rishi ne fir mehek ko dekha aur wahan se chala gaya...aur mehek aur proff bhi...rishi fir

apne dost ke pass aaya...aur jakar wahi baith gaya...)

kartik (played by anas rashid):- kyun be rishi kaha tha...rishi...

rishi;- haa...kya hua...

kartik :- abe wahi to main puchh raha hu...aaj kal pata nahi tera dhyaan kaha rehta hai...

rishi:- nahi bas aise hi...tu bata...teri love life kaisi chal rahi hai...abhi tak tune us ladki ka naam tak nahi bataya

jise tu...haa...

kartik;- are i m not serious about her...bas wahi mujhe like karti hai...aur main time pass...

rishi:- tu sahi nahi kar raha hai...soch wo serious hui toh..mere big b kehte hai...sachha pyar bahut hi muskil se

aata hai aapki life me...uski izzat karo...

kartiK- tu phir suru ho gaya...(tabhi kartik ki naazr mehek pe padi jo canteen ki ore hi aa rahi thi...) rishi tujhe us

ladki ko dekhna tha na...wo dekh..wo rahi...(rishi turns and find mehek...and shocked)... mehek...kya cheej hai

yaar...(rishi clinched his fist...)abhi dekhna idhar hi aayegi...

mehek;- hi kartik...i want to talk to u...bahar chale...

kartik:- ya sure mehek...byee rishi...(rishi ka chehra pura utra hua tha,...mehek ne dekha...use achha bhi nahi

laga...par wo kartik ke sath chali gayi...)

outside...

mehek:- wo rishi ko kya hua...

kartik:- pata nahi kyun...

mehek:- nahi bas aise hi...he is different...

kartik;-ye he is...bahut hi achha hai...

mehek;- par sab to kehte hai ki wo spoiled hai.. i mean trusty ka beta hai toh...

kartik:- are nahi mehek..u know na he is handsome to bas sabhi uske peeche...

mehek:- oh...

kartik:- waise kya baat hai...rishi ke baare me kuchh jyada hi baat karti ho aaj kal...

mehek:- nahi just...actually kartik...u are my good frnd...tumse nahi chhupaungi... actually i think...i like him...

kartik:- oh really...(kartik in his mind...) bingo...saale rishi...tera teer nishaane pe laga hai...(loud) good... to

usse baat karo...

mehek:- karungi par..achha suno...yelo..wo notes aur ha...wo priya ne kaha hai...wo aaj tumse nahi milegi...use

bahut important kam hai...

kartik:- kya yar...she always...

mehek;- dekh kartik...main uski bhi frnd hu aur teri bhi...wo achhi hai...use samajh...kaam hai use...

kartik:- ok...bye...

mehek:- bye...(mehek turns to go ki she colide with rishi...rishi held her )...

rishi:- oh i m sorry...

mehek;- its ok...(mehek left...and rishi has a wicked smile...)...

kartik:- teer nishaane pe lag raha hai...

rishi:- lagega hi...rishi garewaal ka koi bhi waar khali nahi jata...muskil hai...par mehek namumkin

nahi...chal...(they also left...)..

delhi station...

end of part 11
press like if u really liked it
do comment
love chandni

**********************************************************
**********************************************************
precap:-

sujal:- thanku...but yeh paise apne pass rakhiye...

kashish:- par...

sujal:- dekhiye...ab main itana vella to hun nahi ki..taxi ke paise na de saku...and thankx...
Edited by rkchandni - 9 years ago
golu_1677 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#95
Superb part... so nw sujal n kashish wl come to know abt thr past... waiting for more
ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#96
Yar amazing part...kiss maza aagaya...kashish ko to almost yaqin aagaya hai pr ye sujal kb yaqin karega??? Ohhh to dono shimla pohnch gaye us hi jaga jo dono k sapno me aati thi or dono ko pichla janam yad aaraha hai good...shukar sb phr se young hogaye or ye rishi hamesha kamina hi rahega...jaldi continue karo i m excited k sk ki shadi kse hogi👏
0913155 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#97
Super awesome long update😛😛😉whete do u get such superb idea😉amazinh yaar😉😉 plz continue soon thanks for pm😉
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#98

Originally posted by: ambersaleem

Yar amazing part...kiss maza aagaya...kashish ko to almost yaqin aagaya hai pr ye sujal kb yaqin karega??? Ohhh to dono shimla pohnch gaye us hi jaga jo dono k sapno me aati thi or dono ko pichla janam yad aaraha hai good...shukar sb phr se young hogaye or ye rishi hamesha kamina hi rahega...jaldi continue karo i m excited k sk ki shadi kse hogi👏


Thanku amber u will get to know soon
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#99

Originally posted by: 0913155

Super awesome long update😛😛😉whete do u get such superb idea😉amazinh yaar😉😉 plz continue soon thanks for pm😉


Thanku so much I got ideas from all of urs incouragement
.FlyingClouds. thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
Wonderful update
Ab sk ki memory wapas aa jayegi and rhey will take revenge
Ab asli maza aayega.
Waiting for more
Thanks for the pm

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: goodkashish · 6 years ago

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 1 months ago

Chapter 1 (Late-Night Confessions) Munni sat cross-legged on her small bed in the staff quarters, staring at the cracked screen of her...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 1 months ago

A shy young artist pours her soul into hidden sketches, never suspecting they reach an unexpected admirer. Trapped in webs of deception that...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 2 months ago

Yug and Kairi silently struggle with their growing love for each other - until something unusual happens that changes everything

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 2 months ago

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".