PHIR MILEINGE - Saath Saat Janmo ka.... Sujal Kashish ** Completed**.. - Page 20

Created

Last reply

Replies

253

Views

46.6k

Users

17

Likes

359

Frequent Posters

RNforever thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: rkchandni



Thanku naina oops Aarti


its ok i understand ur feeling 😉
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: RNforever


its ok i understand ur feeling 😉


😆
drshabnam3 thumbnail
Posted: 9 years ago
awsm part...flashback khtm ho gya sujal kashish ko sab yad bhi aa gya...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: drshabnam3

awsm part...flashback khtm ho gya sujal kashish ko sab yad bhi aa gya...


Thanks shabnam dear
PriyaKABHI thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Thanks for PM,Dear.😊
It was Amazing Part.😊
Flashback was ended.😊
Sujal and Kashish remember everything,it was so Nice.😊
Now,They will take Revenge,Waiting for it.😊
Please Update Next Part soon.😊
__________________________________
(MISSING KSG and KABHI So Much)
PriyaCherry.

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: PriyaCherry

Thanks for PM,Dear.😊

It was Amazing Part.😊
Flashback was ended.😊
Sujal and Kashish remember everything,it was so Nice.😊
Now,They will take Revenge,Waiting for it.😊
Please Update Next Part soon.😊
__________________________________
(MISSING KSG and KABHI So Much)
PriyaCherry.


Thanku Priya
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
updating in 5 minutes dear...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
hiii everyone... merry christmas to all...

thanku so much for liking & commenting on part 19... here is part 20...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
*** PHIR MILEINGE - sath saat janmo ka***

Part 20

kashish:- sujalll...

sujal:- kashishhh...

dono hi ek dusre ki bahon me ro rahe the.. bilakh rahe the... sujal kashish ko pane aap se door karta hai aur uske
chere ko apne hanth me lekar uske manthe ko kiss karta hai...aur waps force ke sath use hug kar leta hai...kashish ne apni aakhien band kar rakhi thi... dono hi ek dusre ko mehsoos kar rahe the...kafir der tak dono aise hi khade rahe puri tarah se bhige hue...tufaan bhi tham sa gaya tha...sujal ne kashish ko khud se door kiya aur ander mandir me le gaya... dono hi mandir ke ander jakar baithe...sujal ek poll se take laga kar baitha tha wahi kashish ne sujal ke chest me apna sir rakha hua tha..aur bahut hi kas ke pakda tha jaise use dar ho ki wo abhi sujal ko chhodegi aur sujal ko kho degi... dono hi kuchh nahi bol rahe the... bas baithe the...anshun beh rahe the...fir sujal ne silence ko toda...

sujal:- kashish...mero taraf dekho...(kashish looks at his eyes...)... mera dil keh raha hai ki tumhe bhi sab kuchh yaad aa gaya hai na...(kashish nods in yes and crying...)...

kashish:- sujal piyush ne humare sath...humari beti ke sath... i want to kill him...i want to kill him...

sujal:- man to mera bhi kar raha hai ki abhi uski jaan le lu... itna pyar diya tha use par usne tum sahi thi kashish galti meri thi jo uski laakh buraiyon ke baad bhi maine usse ummeed ki wo sudhar jayega...mujhe nahi pata tha ki wo is had tak gira hua ho sakta tha...par bhagwaan bhi insaaf karte hai kashish...humare sath ek anhoni hui thi...jo ab honi ban kar saamne aai hai... humara dusra janm sirf piyush aur swayam ko unke kiye ki saza dene ke liye hua hai...


kashish:- ha sujal bilkul sahi kaha aapne...ab hum use uske kiye ki saza jarur deinge jarur...aur is baar jeet jhooth ki nahi sach ki hogi...aur aap apne aap ko galat na kahe...kyuki aapne to sirf pyar diya tha use...aur usne... aur ha humara janm sirf piyush aur swayam ko saza dene ke liye nahi hua hai.. humara janm isliye hua hai taki sujal aur kashish mil sake... ukni adhuri kahani poori ho sake...hai na...

sujal:- ha bilkul sahi kaha tumne kashish...

sujal aur kashish dono ne hi ek dusre ko hug kiya hua tha ki aur kuchh soch rahe the ki achanak se kashish ko hasi aa gayi...

sujal:- has kyun rahi ho...

kashish:-sujal aap itne saalon se tapori ki baat karte hai...aur itna jyada change...waise dikh to abhi bhi tapori hi rahe hai...

sujal:- stop it kashish...(he laughs...)...waise sach me kya the hum..aur ab kya hai...tumhe yaad hai is baar jab hum mile the to kitna lade the...ek dure ko marne ko daude the...

kashish';- right...

sujal;- aur tumhare wo mini skirts... jo us janam me nahi dekha... wo har ek roop maine tumhare is janm me dekh liye... and i m damn sure agar hum pichhle janm se nahi jude hote to na tumhe mujhse pyar hota na mujhe tumse...

kashish:- ha... mujhe ab sharm aa rahi hai...sujal humne mumma papa mehek rishi sabka dil dukhaya hai... mumma ne kitna kaha ki hum unke bachhe hai par humne...

sujal:- kashish humein kuchh bhi yaad nahi tha... aur sach kahu to agar mere sath yeh sab na hota to mujhe yakeen hi nahi hota ki punarjanm jaisi koi cheez bhi hoti hai...

kashish:- sach kaha aapne...par ab kya kare...mujhe pura yakeen hai ki piyush aur swayam humari shadi nahi hone deinge...kyuki unhe bhi pata hai ki hum hi sujal kashish hai... to ab kya kare...mumbai chale aai ke pass aur sabko bata de ki humein sab yaad aa gaya hai...

sujal:- nahi kashish hum kisi ko kuchh nahi batayeinge unhe lagta hai na ki humein kuchh nahi yaad hai..to aisa hi lagne do...ek baar main sagar se baat karlu fir hum unhe khatam kareinge...

kashish:- par sujal agar nahi bataienge to wo humein alag karne ki kosis kareinge... humari itani asaani se nahi hone denge...

sujal:- ha sahi keh rahi ho...(sujal ne mata rani ko dekha aur smile ki...)... par agar hum abhi shadi kar le toh...?..

kashish:- matalab..hum yahan shadi karke hi mumbai jaaye...?...

sujal;- ha...kashish mujhse shadi karogi..abhi isi waqt.. yeh mandir tab bhi humare pyar ka gawaah bana tha,...aur aaj bhi banega...bolo...

kashish:- ha sujal main aapse shaadi karungi...

sujal:- tum ruko main aaya...

sujal wahan se mandir ke peeche gaya...aur wahan ke pandit ji ko lekar aaya...unke sath kuchh samaan bhi tha...

pandit:- beti yeh chunari odh lo...aur tum dono thodi der intezar karo main abhi sab taiyari karta hu...

sujal:- ji pandit ji...

pandit ji hawan kund baki sab ki taiyaari karte hai...fir sujal kashish ko bulate hai...sujal kashish shadi ke liye baith jate hai...pandit ji mantra padhne lagte hai...

pandit ji:- beti tumhara kanya daan kaun karega...?...

sujal:- pandit ji,...inke pite yahan mauzood nahi hai...agar aapko koi aitraaz na ho to kya aap ise apni beti samajh kar inka kanyadan kar deinge...

pandit ji:- jarur...

fir pandit ji hi sujal kashish ka gadhbandhan karte hai...aur kashish ka kanya dan karke kashish ka hath sujal ke hanth me de dete hai... fir sujal kashish ki mangh bharta hai.. use mangal sutra pehna deta hai... aur dono 7 phere lete hai...aur fir pandit ji ka aashirwaad bhi lete hai...

pandit ji:- aaj se aap dono pati patni hue...sada suhanagn raho beta..tum dono ki zindagi me sirf khushiyaan hi rahe...

sujal:- sukriyaa pandit aane is waqt humari madad ki...aur yeh lijiye aapki dakshina...

pandit ji:- yeh kya beta... abhi to ise apni beti bana kar iska kanya dan kiya hai maine...mujh par paap chadhaoge... bas jahan bhi raho tum dono khush rehna...ab jaao bahut raat ho rahi hai...

kashish:- aapka bahut - bahut shukriyaa...

dono hi pandit ji ka ashirwaad lekar wahan se chale jate hai...aur beech road me chal rahe the...

kashish:- sujal gest house chale...

sujal:- nahi hum apne ghar jayeinge R&G house...

kashish:- par wo toh...

sujal:- nahi mujhe yakeen hai..wo ghar ab bhi humara hoga... papa aur uncle ne wo ghar nahi becha hoga...

kashish:- chaliye...

sujal aur kashish dono hi r&g house pahunchte hai... rat bahut thi to koi nahi dikha... ghar aaj bhi waisa hi tha jaise 25 saal pehle tha...sujal ander gaya aur usne awaaj lagai... toh ganga raam bahar aaye...aur sujal kashish ko dekh kar chauk gaye...

sujal:- kya hua kaka...hum bhoot nahi hai... sujal kashish hai...

ganga ram:- sujal baba...aap... yeh kaise...

sujal:- samajh lijiye bhagwaan ne humein wapas bheja hai...

gangaraam sujal ko gale se laga leta hai aur rone lagta hai...

ganagaraam:- sujal baba...aap nahi jaante apke aur kashish madam ke jaane ke baad is ghar me bahut galat hua hai...yeh ghar bikhar gaya tha...aur dekhiye na...25 saal ho gaye,...koi nahi aaya...

sujal:- hum aa gaye hai na...to ab sab wapas aayeinge...hum ander jaaye...

ganga raam;- ha yeh aaj bhi aapka hi ghar hai... veena memsaab ne kaha tha ki kuchh bhi ho jaaye is ghar ko sambhal kar rakhna...aaj bhi yeh ghar waisa hi hai... jaise 25 saal pehle tha... bas kisi ki hasi nahi gunjati...

kashish:- bas kaka ab sab sahi hoga...kaka bahut bhookh lagi hai kuchh khane ko milega...

ganga raam:- ha ha aap dono ander jaao main abhi lata hu...

sujal kashish ander gaye...aur apne ghar ko dekh rahe the... ghar waisa hi tha...par sab kuch white sheets se dakha hua tha...sujal ne sofe ka cover hataya aur dono hi baith gaye...thodi der baad gangaraam unke liye khana laya...

gangaraam:- sujal baba bas isi ka intezaam ho paya...

sujal:- koi baat nahi kaka yahi bahut hai...kaka kisi ko abhi mat batana ki hum yahan aaye the...specially piyush aur swayam ko...

gangaram:- ji...aap dono apne kapde badal lijiye bheeg gaye hai...aapke kamre me aapke purane kapde rakhe hai...

sujal:-ji ab aap jaiye aur araam kijiye hum theek hai...

gagna raam:- ji...(gangaraam left...)...

sujal;- lo kashish khaao...

sujal kashish khana khate hai...aur fir dono hi apne room me jaate hai...aaj bhi room bilkul waisa hi tha...wall me sujal kashish aur ruhi ki bahut badi tasveer thi...kashish sabhi cheejo se white cover hata deti hai... dono hi har ek cheez ko chhu - chhu kar use mehsoos kar rahe the... dono ki aankhon me apne beete kal yaadein thi...kashish rone lagti hai...aur khidki ke pass jakar khadi ho jati hai...

sujal:- kashish...(sujal uske pass jata hai...aur uske aanshun pochta hai...)agar tum is tarah kamzor pad jaogi to mera kya hoga...nahi kashish humein ladna hai abhi...yeh raah itani asaan nahi hogi...( kashish nods in yes...and hugs him...)...

aaj phir tumpe pyar aaya hai...
aaj phir tumpe pyar aaya hai...
behad aur besumaar aaya hai...
(sujal separates her from him... and kissed him on her fore head...then to her both the eyes which make her close them...)...

aaj phir tumpe pyar aaya hai...
aaj phir tumpe pyar aaya hai...
behad aur besumaar aaya hai...
(then he kissed on both the cheeks and finally captured her lips by his...they have a very passionate kissed...both werekissing eachother like hell...)...

toote to toote teri baahon me aise...
jaise shaakho se patte behaya...
bikhre tujhi se...aur simte tujhi me...
tu hi mera sab le gaya...
na fikar, na sharam, na lihaaz...
ek baar aaya...
(sujal's hands were roratiing on her back and making patterns...and kashish is ruffling his hair...she is pulling him on her...after some time both seaparates to breath... then after some time kashish again kissed him on his lips...and her hand gone to unbotton his shirt...sujal understands everthing...)...

fir jarre- jarre me, didaar aaya hai hai...
fir jarre- jarre me, didaar aaya hai hai...
behad aur besumaar aaya hai...

(kashish sujal ka shirt utar kar floor pe fek deti hai...aur sujal kashish ka dupatta nikal kar fekta hai...he is kissing her neck...)...

aaj phir tumpe pyar aaya hai...
aaj phir tumpe pyar aaya hai...
behad aur besumaar aaya hai...
(sujal is making space by pulling her kameez down and kissing her soulder... and kashish kissing him on his bare chest..which makes him wild...and passionate...)

tu hi meri aawaragi...
tu hi duaa har shaam ki...
tu khamkha...tu laazmi...
tu hi raza.. tu hi kami...
aur tu hi woh.. firaak jisko...
hai silsilo ne mere pass laya...
(sujal kashish ko khud se door karta hai...aur utha kar use bed par le jata hai...aur use kiss kar raha tha... everywhere...kashish is pulling him on her... finally sujal kashish ki kameez utar kar fekta hai..aur dono ko bed sheet se cover kar leta hai...)

honthon pe tere izhaar aaya hai...
honthon pe tere izhaar aaya hai...
behad aur besumaar aaya hai...
(kashish sujal ke upar aati hai...aut sujal ko kiss kar rahi thi...kashish ka hanth light ki ore jata hai...wo unhe band kar deti hai...)...

aaj phir tumpe pyar aaya hai...
aaj phir tumpe pyar aaya hai...
behad aur besumaar aaya hai...
(Sujal kashish ke upar aata hai...aur aankhon se hi kashish se permission mangta hai...kashish apni aakhien blink karti hai...aur dono ek ho jate hai...)...

aaj phir tumpe pyar aaya hai...
aaj phir tumpe pyar aaya hai...
behad aur besumaar aaya hai...
( they were loving eachother with full of love and passion they one now...no one can saparetes them...tonight again sujal kashish become one...for eterninty...)...

movie:- Hate story 2

next morning...

kafi der tak dono so rahe the ki kashish ki ankh khuli jab gangaraam ne awaaj lagai...kashish ne apni watch utha kar dekha to 11 baj rahe the...

kashish:- ji kaka bas abhi aate hai...

kashish ki awaaj se sujal jaag gaya..aur baitha...usne kashish ko apni ore pull kiya...kashish use upar giri...sujal kashish ke neck kiss kar raha tha...

kashish;- sujal chhodiye na...plzz...dekhiye bahut der ho gayi hai...plzz...

sujal:- ek shart pe...

kashish:- kahiye kya shart hai aapki...

sujal:- yar yeh tum mujhe aap - aap kehna band karo... tum mujhse jab ladti ho na to bahut achhi lagti ho... ab hum apne is janm me hai to plzz is janam ki tarah raho samjhi...warna...

kashish:- warna kya...?...

sujal:- warna i m not gonna leave u...

kashish:- ok - ok... aaj se main aapko... i mean main tumhe tum hi bulaungi ab happy..ab plzz leave me...kaka bula rahe hai...kya socheinge...

sujal:- kya socheinge yaar hum 25 saal ki judaai ke baad mile hai.. romance to banta hai yaar...

kashish:- ha - ha pata hai..kal raat ko aapka...i mean tumhara romance dekh lia maine...mujhe sone bhi nahi diya...

sujal:- yahi to main chahta tha...

kashish:- ab hatiye...

sujal:- are tumne mujhe pakad rakha hai madam tum hato...warna main kaise uthunga...

kashish:- oh... sorry...(kashish apne aap ko sheet me cover karke uthne hi wali hoti hai ki sujal wapas use kheechta hai... and they have a smooch...)..sujalll...

sujal:- ab jaao...kuchh nahi karunga...(finally kashish uth kar chali jati hai...fir dono apne purane kapdo me ready hokar aate hai,...sujal ne suit pehna tha..par beard badhi hui thi...par bahut hi handsome leg raha tha... kashish ne apni purani saaree pehni thi...dono jakar breakfast karte hai...)...achha kaka...ab hum chalte hai... aur ha is baar aayeinge to pure pariwaar ke sath...humara intezaar karna...

gangaaraam:- theek hai beta...

sujal kashish jakar guest house se apna samaan lete hai...aur fir agli hi train se wapas mumbai nikal jate hai...aur ghar jate hai...chawl ke sabhi loge unhe dekh kar hairaan the... kashish ki mangh me sindoor tha... gale me mangal sutra... dono hi badal kar aaye the...sujal ne apne ghar me knock kiya to ayehsa ne door khola aur aankhein faad kar dono ko dekh rahi thi...sujal kashish samajh gaye...sujal ne uske manthe me halka sa push kiya aur ander gaye dono...

sujal:- kya hua...aise kyun dekh rahi hai...

aayesha:- tum dono...( tabhi aai aati hai...)...

gayatri:- are sujal...ka...(wo bhi hairaan thi,...).. yeh tum dono kashish teri maangh me sindoor... tum dono ne...

sujal:- aai humne shadi kar li hai...

gayarti:- kya par..main karwa to rahi thi tum dono ki shaadi itani jaldi kya thi... aur tu bhi maan gayi...

kashish:- aai humari baat to sun lijiye...

gayatri:- kya sunu main ha.. tum dono...

kashish:- aai humein humara pichhla janm yaad aa gaya hai...(dhamaake on ayesha's face and gayatri is shocked...)... mumma ne jo kuchh bhi kaha tha sab sach tha... baithiye aap dono hum sab batate hai...(kashish gayatri aur aayesha dono ko hi bitha deti hai...aur fir pichhle janm me sujal kashish ka delhi me milne se lekar unki maut tak sab kuchh batati hai... gayatri aur aayesha dono sujal ki ore dekhte hai...sujal ha me ishara karta hai...)...unn dono ne humari beti ko maar dala humhein maar dala...ab hum unhe nahi chhodeinge aai...

sujal:- aai...unka maksad sirf mujhe aur kashish ko alag karna hai maine hi kashish se shadi karne ko kaha tha...kyuki agar hum yahan shadi karte to we koi na koi musibat khadi karte bas isiliye humne mandir me shadi kar li... mujhe pata hai aai tu hurt hai...par...

gayatri:- bas kar sujal...mere dono bachhe mil gaye main bas isi se khush hu...main kal hi mandir jakar bappa ka sukriyaa ada karungi...

sujal:- tu aise kya dekh rahi hai aayesha...

aaysha:- nahi kuchh nahi... bas main yeh soch rahi thi ki bhagwaan der se hi sahi insaaf karte hai... aaj tak sirf suna tha...aaj apni aakhon se dekh lia... main bahut khush hu tum dono ke liye...sach me tum janm - janm ke shaathi ho...

gayatri:- chalo dono ghar ke bahar...

sujal:- kya tu humein bahar kyun nikal rahi hai...

gayatri:- are budhu...aaj peheli baar mera beta aur bahu aaye hai..shadi karke kashish ka grah pravesh karana hai...

sujal:- oh...chalo kashish...

sujal kashish main door ke bahar khade ho jate hai...fir gayatri aarti ka thaal lati hai...aur kalash bhi...aur ayesha kumkum ka thal lati hai...fir gayatri sujal kashish ki aarti karti hai...kashish chawal ke kalash ko ander ki ore dhakka deti hai...aur kum kum wale thal pe kadam rakh kar ghar ke ander aati hai...( tabhi chhotu aata hai,...)...

chhotu;- are sujal bhai aap gaye... chalo achha hai...chalo ab garaze sambhlo main thak gaya hu...

sujal;- theek hai... tu ja mujhe kuchh kaam hai...main thodi der me aata hu...

chhotu:- kya kaha aapne...main aap sudhar gaye...yeh chamatkar kaise hua...raju ban gaya gentleman...(kashish laughs at this...)...

sujal:- stop it kashish...aur tu chal aata hu na...

chhotu:-par batao to...

sujal:- mere baap tu ja main aake sab batata hu karam chand...( chhotu left...)...

aayesha:- waise sujal chhotu keh sahi raha tha kyun aai...

sujal:- ya- ya whatever...

aayesha:- waise kashish tumhe kaun sa sujal pasand hai... gentleman ya tapori...

kashish;- mujhe...to...

sujal:- what...

kashish:- dono hi...becz mujhe dono hi sujal se pyar hua hai... but i know sujal to sujal hai...aai aap tokti thi na ki sahi tarike baat karein yeh... to dekhiye yeh sudhar gaye...

gayatri:- ha wo to hai...( gayatri ki aankh bhar aai...)...

sujal:- kya hua aai...?...

gayatri:- tujhe sab yaad aa gaya... kahin tu mujhe chhod kar to...

sujal:- chup pagal ho gayi hai kya...ha aai mujhe sab yaad aa gaya hai... par tere liye main tera hi sujal hun samjhi...mere pass ek nahi do- do ma hai... tujhe chhod ke jana to door main aisa soch bhi nahi sakta samjhi...(both hugs...)...

gayatri:- tu kya tha aur ab...mehelo me rehta tha tu..aur ab is chawl me rehta hai...raj kumar tha tu...garewaal...

sujal:- aai yeh tu..dekh aai mana ki main pichhle janam me tha ameer par...is janam me main tera raj kumar hu,... mujhe is chawl se pyar hai,... 25 sal ji hai maine yeh zindagi,...agar mujhe meri purani zindagi yaad aa gayi hai iska matalab yeh nahi ki main apni yeh zindagi bhool gaya hu...isliye yeh sab mat soch...

kashish:- ha aai...sujal bilkul sahi keh raha hai...(gayatri smiles...)

sujal:-achha abhi main garaze hokar aata hu... tum dono khana banao..garaze band karwa ke ata hu.. rat bhi ho rahi hai...

gayatri:- theek hai ja...(sujal chala ghaya aur kashish gayatri aur aayesha kitchen me gayi...kashish khana banane lagi...)...are tujhe nahi aata...ruk main batati hu...

kashish:- aai...aap bhool rahi hai ki main ab purani kashish hu... jo har cheej me perfect thi... specially kitchen me...aur aaj khana main banaungi...

aayesha:- ha aai...tu tension na le...ab tera beta aur bahu dono hi sudhar gaye hai...(all laughs at this...thodi der baad sujal garaze band karwa ke chhotu ke sath aata hai tab tak khana bhi ban gaya tha...sab milkar khana kha rahe the...)...

sujal:- yeh tumne banaya kashish...?

kashish:- ha...tumhe yaad hai...

sujal:- ha...

aayesha:- dekha kaki...ise kehte hai pyar...

sabhi khana khate hai...aur sone ke liye ja rahe hote hai...kashish aai ke sath ja rahi thi...

gayatri:- are tu yahan kyun aa rahi hai...ab tum dono ki shaadi ho gayi hai... ja sujal ke kamre me aaj se wahi tera kamra hai...(kashish sir jhuka ke sujal ke kamre me chali jati hai...aur fir sujal bhi...dono hi ek dusre ki bahon me lete the...kashish ka sir sujal ki chest me tha...)...

kashish:- sujal kya socha hai...kya karna hai...

sujal:- hmmm soch raha hu kashish...kal maine sagar mahi rohan aur ruhi ko bulaya hai ghar pe aur sath samrat (pulkit samrat) ko bhi...

kashish:- samrat kaun samrat...?...

sujal;- inspector hai wo...mera aur sagar ka dost hai school time se...humein kanoon ki help ki jarurat bhi padegi... kal sab unhe pehle bata dete hai...fir discuss kareinge karna kya hai...

kashish:- par sujal wo inspector hai...wo humari baat pe wishwaas nahi karega...aur tumne kabhi uske bare me nahi bataya..? i mean main sagar se to kai bar mili hu but samrat...

sujal:- pata hai...par ek dost to karega... directly na sahi in directly toh humari madad kar sakta hai na wo...aur wo delhi me tha...pichhle hafte wapas aaya hai...

kashish:- hmm... sahi kaha,... par sujal tumne mumma rishi aur baki ghar walo ka socha...hum unse kaise mile...

sujal:- nahi kashish abhi hum unhe sach nahi bata sakte...bas kal ka intezaar karo maine kuchh socha hai... kal batata hu kya socha hai... sabke sath,... tab tak...( pulled her to himself...)... humari shadi hui hai... dont u think so ki hume kuchh ek dusre ko bhi waqt...( he winks at her..and she blushed...sujal switched of the lights...)...

next day...

sabhi loge baithe the...aur sujal kashish ne shadi karli is baat se khush the...garewaals aur mahi ko kuch - kuch andaza bhi ho gaya tha...

ruhi:- so shadi to kar li but kyun yeh bataoge...kahin tum dono ko...?...

kashish:- sab yaad aa gaya hai... humara pichhla janm...( sabhi garewaals aur mahi ke face me smile aa gayi...wahi sagar aur samrat shocked the...)...

sagar & samrat:- kyaa...

sujal:- sagar..samrat...ab meri baat dhyaan se suno...(Sujal sabhi ko apne pichhle janm ke baare me batata hai...aur kal sadi tak sab...)...

samrat:- i dont believe this...

sujal:- i know as a police officer u cant... but as my friend u have to...

sagar;- samrat.. yeh sahi bol raha hai...iski jaban ek din me nahi sudhar sakti...kashish ka hangover itani jaldi toh nahi chad sakta...

mahi;- exactly sujal u become a gentleman...

sujal;- yar tum sab ki problem kya hai...?agar main sahi se baat kar raha hu to bhi...

sagar:- ok - ok chid kyun raha hai...(oh ruhi tumhe kya hua...)...

ruhi:- mumma papa ne mera nam ruhi isliye rakha kyuki aap dono ki beti ka naam ruhi tha.. hai na...?

rohan:- hmm.. aur agar dekha jaaye to sujal tum humare bade papa aur kashish tum humari bahi ma aur masi ho...

ruhi:- ha...

sujal:- shut up... aur ruhi bhool mat umra me tu humse badi hai..aunty...aur yeh sagar humara uncle...

ruhi:- shut up...

sujal:- u shut up...

sagar';- bas karo...aur ruhi rohan...yeh humare frnd sujal kashish hai...jo humari age ke hai... so no mumma papa and masi...only friends...

rohan:- ok...

mahi:- exactly warna kashish meri saas hoti...

kashish:- mahi tu bhi...( all laughs...)...

samrat:- now on a serious note... dekh sujal main tera dost hu to mujhe tujh par yakeen hai... but kanoon in sab baaton ko nahi manta hai... main teri directly koi madad nahi kar sakta...

sujal:- pata hai... par in directly to kar sakta hai na...aur jab tujhe saboot mil jayeienge to 25 saal purana case bhi khul sakta hai na...?

samrat:- ha agar saboot mil gaye to...par tune kya socha hai...

sujal:- ha... to kashish us tumne kaha tha ki tumhari property meri property...(kashish nods in yes...) to ab suno..kashish tum piyush aur tushar swayam se partner ship karogi... yani unke business me tumhara hissa... wasie bhi tushar tumse shaadi tumhari property ke liye kar raha tha...right... to we yeh partner ship jarur kareinge...tab tak tum yeh nahi bataogi ki humari shadi ho gayi hai...ya humein kuchh yaad aa gaya hai... fir main ghar jamai ban kar r&g house me entry karunga aur humari shadi ki baat bataunga... aur tumhare pati hone ke naate tumhara business sambhalunga...aur pehle piyush se uska business chhinunga fir uski saansien... aur agar main office me rahunga to unke khilaaf saboot bhi ikattha kar sakta hu...aur tum ghar me reh kar vasu aunty aur chachi pe naZar rakhogi...samajh rahi ho na...aur koi bhi legal problem aai to samrat tu sath dega...aur ghar me kisi ko bhi yeh pata na chale ki humien sab yaad aa gaya hai... si baat ka khayaal ruhi rohan aur mahi rakhienge...hope so aap loge samajh rahe ho...abhi bas itna hi socha hai... dheere - dheere progress ke hisaab se pata chalega ki aage kya karna hai...

aayesha:- nice idea...(all turned and find ayesha...and aai...)...hey samrat...tum kab aaye...

samrat:- hii ayesha...wo bas last week hi wapas mumbai transfer lia hai...

gayatri:- matalab tu chala jayega...?...

sujal:- ha aai... par tu bhi jayegi chinta mat kar...main tujhe apne sath lekar jaunga...aur jab kashish ka hissa hoga us ghar me to fir koi us ghar me humein rehne se nahi rok sakta hai...tu chinta mat kar...so guys ready...

all;- yes...

sujal:- kashish apne purane kapde pehno kashish oberoi bano aur ruhi ke sath r&G office jaao aur jald se jald unse deal karo... fir main bataunga kya karna hai...waise ruhi...yeh jo R&G house hai... kiske naam hai...

ruhi:- as such kisi ke naam nahi hai par agar koi R&G ke sath 50% ki partner ship karega to us ghar me uska hisaa bhi hoga...

sujal:- samajh rahi ho na...

kashish:- samajh gayi sujal...main bas abhi aayi...

kashish chali gayi aur kashish oberoi ki tarah dress ho kar aayi...par jeans pehna tha usne mini nahi...samrat sagar bhi gaye...samrat ne jakar sujal kashish death ki file study karna suru kiya...aur akki ne unke cases ki file study karni suru ki sath me R&G aur piyush swayam se realted cases ko study karne laga...wahi kashish gayi ruhi ke R&G all are shocked ki kashish yaha kyun aai hai...wahi sujal ne abhi garaze me kaam karna suru rakha...

R&G office...

piyush:-kyaa...

kashish:- yes uncle...maine papa ke saman me unki dairy dekhi jiske according papa ki yeh wish thi ki sara kam aapse merge karle...aur 50 -50 ki partner ship... main sujal se pyar karti hu...aur karti rahungi par mere liye papa ki wish bhi...

swayam:- thats great kashish...hum yeh partner ship jarur kareinge,...

tushar:- par...

piyush:- hmmm sahi keh rahe ho tum swayam...

kashish:- aap loge mere aur tushar ke matter ko alag rakh kar yeh partner ship karna chahte hai to hi...

swayam:- ha - ha jarur,...

kashish:- theek hai fir... but kitne din me ho jayega...maine waise apne lawyer ko papers banwane ko keh diya hai...2 - 3 din me ready ho jayeinge...

piyush:- tumhe pata tha ki hum maan jayeinge...?..

kashish:- ofcrz uncle itna to main aapko jaanti hun...

piyush:- theek hai to kya tum us chawl me hi...waise tumhe sayad pata nahi hoga agar 50% ki partner ship hoti hai to R&G house me bhi tumhara hissa hoga...bcz wo ghar bhi abhi tak R&G empire ka part hai...to tum chaho to ghar me...

kashish:- thats great...main R&G house me hi rahungi...wo to sujal ki wajah se mujhe us chawl me rehna pad raha hai... par aap loge agar mere aur sujal ke kuchh problem create nahi kareinge to main R&G house me hi rahungi...

piyush:- ofcrz beta hum nahi kareinge... humein tumahre us sujal se koi matalab nahi hai...

kashish:- theek hai fir jaise hi paper ready hote hai.. main isi waqt aati hu sabhi papers ke sath...byee...

tushar;- chalo main tumhe chhod...

kashish:- no thanks... i can manage...( kashish left...)...

tushar:- dad...yeh aap kya kar rahe ho...

piyush:- sahi kar raha hu...hum sirf kashish ki daulat chahte the...aur fir yeh machhali to apne aap kante me aa gayi hai... iska shikar achhe se kareinge...sari oberois ki daulat humari hogi...

tushar;- aur us sujal ka kya...?...

swayam:- kashish humare saamne rahegi...to sujal humara kuchh nahi bigaad sakta hai... kuchh din kashish se door raho...

piyush:- exactly...inhe kuchh bhi yaad nahi hai yeh humara kuchh nahi bigaad sakte aur fir jab kashish humare ghar me bhi rahegi to hum asaani se uska brain wash kar sakte hai...aur sujal kashish ko alag kar sakte hai...aur waise bhi kashish ko business ka koi khas knowledge nahi hai...abhi sirf partner ship karte hai... fir dheere - dheere unka sara business humare under aa jayega...samajh rahe ho na...

tushar:- yes dad...(all smiles... but inhe nahi pata tha ki kashish ne inki saari baatein suni hai...kashish bahar khadi sab sun rahi thi...aur khush thi ki sujal ka plan kamiyaab ho raha hai...kashish chawl wapas aati hai...sujal ghar me tha lunch ke liye aya tha...)...

kashish:- sujal...plan success ful wo convince ho gaye...maine chhip kar unki baat bhi suni we keh rahe the ki..( then she told...abt the whole conversation...)...

sujal:- great...abhi sagar se puchhta hu ki papers ka kya hua...aur suno apne london ke lawyer se baat karlo aur sari details nikalwa lo apni property ki...

kashish:- hmm abhi karti hu...

sujal sagar se baat karta hai...sagar kal subah tak kashish ke sath R&G chala jayega...aur sujal ke plan ke mutabit ab sagar apni current job chhod kar R&G me apply karega corporate lawyer ki tarah...wahi kashish ne london me baat karke sare paper fax karwa liye hai...

after 3 days ...

kashish sagar ke sath pahunchi R&G office...aur jakar sabhi ne agreement sign kiya...ab leagaly kashish R&G ki 50% ki partner thi...aur kashish ki saari property me R&G ka 50% ka hissa bhi tha...kashish ke saare shares bhi ab R&G me invested the...sagar ne saare papers registrar ke pass submit kara diye...

kashish:- piyush uncle...main chahti hu ki sagar humare sath ab R&G me kaam kare...

piyush:- par kyun...?

kashish:- dekhiye uncle kya hai na ki mera sara leagal matter india me inhone hi sambhala hai...aur he is corporate lawyer to kyun na...

piyush:- sure...mr sagar aapko aapka appointment letter kal tak mil jayega...

sagar;- thanku sir...ab main chalta hu mujhe aur bhi kaam hai...see u soon mam...

kashish:- ok sagar...thanks alot...

piyush:-so kashish past me jo bhi hua bhool jao...hum tumhe tushar se shaadi ko force nahi kareinge...ab R&G house laut aao...ab to leagally tum waha reh sakti ho...tumhara haq hai...

kashish:- sure uncle...oh shit main to aap logon ko batana hoi bhool gayi... chaliye mujhe badhaai dijiye...

swayam:- par kyun...?

kashish:- do wajah hai...pehli ki mere papa ka sapna pura hua aur ab Oberois aur R&G ek hai...aur dusra meri shadi jo ho gayi hai...( dhamaake on all's face...)...

tushar:- kya shadi...

kashish:- ha...sujal se... now m mrs sujal deshmukh...aur uncle kal main mere pati aur meri mother in law ke sath R&G house aa rahi hu rehne ke liye...humare kamro ka intezaam kara dijiyega... kya hua uncle...aap hi ne kaha tha ki ab aapko koi problem nahi hai mere aur sujal se.. waise humien shadi karni thi... to humne kar li... ab kya hua...

piyush:- nahi beta kuchh nahi..achha hai...aapne shadi kar li toh...

kashish:- aur ha uncle meri jitani bhi property hai na usme 51% maine mere sujal ke naam kar di hai... to ab leagally main nahi sujal oberoi's ka maalik hai...so ab office wahi aayega... main bas achhi house wife bake rahungi...( again dhamaake...)...

tushar;- what the... wo jaahil gawaar...

kashish:- mind ur laguage...for ur kind information sujal padha likha hai,...

piyush:- par wo office me kaise...

swayam:- agar wo client ke saamne aise baat karega toh...

kashish;- us baat ki aap chinta na kare uncle sujal ne mujhe promise kiya hai ki office me wo sophesticated tarike se pesh aayega... waise piyush uncle, swayam uncle aap dono to itane samajh daar hai... sujal bhi to aapke bete ki tarah hai..tushar sujal tumse umra me chhota hai... tumhare chhote bhai ki tarah hai.. ek mauka de do use... usne mujhe promise kiya hai ki wo mere kaabil ban kar dikhayega... isliye to wo R&G house me rehne ko mana hai.. warna aap sab hi sochiye wo kabhi ghar apni patni ke ghar nahi rehta plzz uncle...plzz... mere papa ab nahi hai...aap bhi to mere papa ki tarah hai aapne hi kaha tha plzz...

piyush;- theek hai...kal subah tum sab aa jana hum wait kareinge main aaj ghar me sabko bata dunga...

kashish:- sach... oh thanku much uncle...byee...ab main chalti hun..bahut si packing karni hai...( kashish left...and door ke pass khadi ho kar sab sunne lagi...)..

tushar:- usne dhoka kiya hai...dad aap sun rahe ho na...

swayam:- i dont think so...wo aisa karegi kyun... usne to pehle hi bol rakha tha ki humari wajah se uske aur sujal ke beech koi problem nahi aani chahiye...aaj nahi toh kal yeh shadi karte hi...

piyush:- i think u r right swayam...sujal office karega na... hum use office me dekh lenge aur kashish ke liye rewa aunty aur mom hai na...

tushar:- ok... par main kashish se shadi karna chahta hu...

piyush:- hogi...tumhari shadi kashish se hi hogi.. kyuki ab hum bahut jald inka talaak karwayeinge... aane do inko R&G House...

kashish in her mind;- main bhi dekhti hu piyush ab tum sab mujhe aur sujal ko kaise alag karte ho...humein fir se us bhagwaan ne hi milaya hai...ab tum sab ka ant bhi wo hi karayega...(kashish wahan se chali jati hai aur ghar jakar sujal ko sab kuchh batati hai... unka plan sahi ja raha tha...)...

sujal:- aai... kashish packing karo R&G house jana hai subah...(all smiles...)...

R&G HOUse...

veena:- kya...

piyush:- ji aunty ab partnership ho gayi hai to ab is ghar me bhi kashish ka haq hai...aur wo sujal aur kashish ne shadi kar li hai...to ab we yahi raheinge kal aa rahe hai...(All have smile exept vasu and rewa...)...aap unke liye ek kamra aur sujal ki mom ke liye ek kamra sahi karwa dijiye...par wo humare sujal kashish nahi hai aunty aap kaboo rakhiyega...

ruhi in her mind:- nautanki.. kameena...iski toh...

veena:- theek hai...main karawa dungi...( piyush left from there...)...

mehek:- mumma iska matalab di aur bhaiya humare sath raheinge...

rishi:- mehek sach chahe jo ho... i dont think so ki tumhe unhe di aur bhaiya kehna chahiye...naam lo unka... chhote hai wo humse...humare bachho ki tarah...

veena:- rishi sahi keh raha hai...main khush hu ki bhale unhe kuchh yaad nahi hai par wo humare saamne to raheinge...

mehek:- ha mumma...(Sab apne kamre me chale jate hai sirf ruhi aur veena the...veena ruhi ke pass jati hai...)...

veena:- beta sach bata kya unhe kuchh yaad nahi aaya...

ruhi(juth bolti hai...):- nahi dadi..unhe kuchh yaad nahi hai... par atleast ab wo humare sath raheinge...

veena:- hmmm...( veena left...)...

ruhi:- i m sorry dadi...abhi main aapko sach nahi bata sakti hu,...

next day...its morning time...

R&G HOUse...

door bell bajti hai...mehek darwaja kholti hai saamne sujal kashish aur gayatri khade the...

mehek:- di,...bhaiya...

sujal:- yeh le kashish yeh aunty fir suru ho gayi...aunty aapko use din bhi kaha tha na ki hum...

mehek:- wo m sorry beta...(sujal ko hasi aa rahi thi...but he controlled...)...aao ander aao...aaiye gayatri ji...

sujal aur kashish ki aankh bhar aai apne pure pariwaar ko dekh kar par dono ne hi controll kiya...sujal ka man kiya ki abhi jakar veena ko gale laga le par wo chup tha... usne apni nazare neeche kar li...

veena:- sujal kashish...tum dono ka apne naye ghar me swagat hai...mehek inko inka kamra dikha do,...(piyush aata hai...)...

piyush:- kashish beta..sujal welcome...aaiye gayatri ji...nasta kijiye...mehek inka nasta bhi lagao...aaj se yeh bhi humare family member hai...

gayatri:- sukriya...

vasu to rewa:- ab in chawl walo ke sath bhi rehna padega...( vasu uth kar chali gayi...uske peeche rewa bhi...)

sabhi nasta karte hai...sujal kashish jyada baat nahi kar rahe the...kyuki unke emotions is waqt hawi the...par dono ne apne aap ko sambhala aur apne kamro me gaye...aur gayatri ji bhi gayi...

sujal kashish room...

mehek:- sujal kashish...

end of part 20
press like if u really liked it
do comment
love chandni

**********************************************************
**********************************************************
Edited by rkchandni - 9 years ago
7APK thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 9 years ago
Super - Duper Awesome
Amazing Update
Post Next Part Super Soon
Thanks for the PM

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: goodkashish ¡ 6 years ago

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 ¡ 3 months ago

This story has been inspired by the 2002 Malayalam film Nandanam, and was written at the request of Jasminerahul. It is my humble attempt to...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 ¡ 1 months ago

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 ¡ 1 months ago

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 ¡ 3 months ago

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".