Originally posted by: Bechain_Bulbul
I understand your pov but its a daily soap and it has different characters. Every character cant be shown as idealistic or perfect. Positivity dikhani chahiye but unko daily soap chalana hai agar har situation mein perfect conditions mein har character ko positively behave karta dikhayenge to drama kaha se ayega.
Kavya padhi likhi hai and smart hai aur shayad hi aisi koi aurat hogi jisko ghar ka koi bhi kaam na karna aata ho. job wali auraton ko bhi ghar ke basic kaam aate hain but yahi to makers dikhana chahte hain ki kavya apne qualifications ke ghamand mein ghar ka koi kaam karna jaruri nahi samajhti. Wo yeh nahi samajhti ke ghar ka kaam karne se independent bante hain naukrani nahi. yahi uski negativity hai jo shayad kisi din usko realize hogi...aur ab thodi thodi hone bhi lagi hai...yahi to makers dikhana chahte hain agar shuru se hi kavya ko achha perfect aurat dikhaya hota toh usse related sare tracks bante hi kaise?
barkha bhabhi jaisi auratein jo sab kuch lutaa dene ke baad bhi apna lifestyle nahi chhod paati, udhar leke jee lenge, manipulation karke dusre ka business hatiya lenge lekin akad aur upper class lifestyle nahi chhodenge....aisa koi nahi hota...paisa jaye to akal bhi thikane aa hi jaati hai. lekin barkha ko aisa imperfect nahi dikhayenge to usse related tracks aage kaise badhenge...anupama usko kaise apni galti ka ahsaas dilayegi?
aur vanraj ke sath bura hua to hai. Haan legally kuch nahi hua. usne jo kiya wo crime against women mein aata hai sab but sirf kanuni sazaa chhodkar baki to uske karm aa hi gaye uske samne. aaj ke episode mein pakhi ka dialogue hi sabit karta hai jab usne kaha pehle aapko mummy ko kahi le jane mein sharm aati thi ab mummy ko aap par hum sab par middle class hone ke karan sharam ayegi. bachhe bol chuke ki vanraj loser hai, biwi divorce paper muh pe maar chuki, berojgar ho gaya, uski frustration nikalne ki punching bag anupama ghar chhodkar chali gayi aur har lihaaz se usse behtar insaan ke sath ek aish o aram ki life jee rahi hai...yahi to vanraj ke karmo ka phal hai. kam hai...lekin hai to sahi.
😆😆😆
Hi bulbul
I totally agree. its a daily soap and the characters are fictional.
Har cheez yeh makers itna extreme dikhate hai, irritate ho jaate hai.
But we love this show and are attached to it bcoz of its theme and initial storyline so we have some expectations.
aur woh surabhi se baat karte hue discussion off topic chala gaya
My post was related to some other issue.
20