HIDDEN SIGHTS - VIDEV FF - Last Episode - Page 8

Created

Last reply

Replies

161

Views

8464

Users

18

Likes

165

Frequent Posters

LadyGaga123 thumbnail
Visit Streak 180 0 Thumbnail Visit Streak 90 0 Thumbnail + 3
Posted: 1 years ago
#71

Will read it later today! Thank you for tagging me❀️❀️

teddybearcastle thumbnail
Group Promotion 2 Thumbnail Anniversary 2 Thumbnail
Posted: 1 years ago
#72

I am so sorry i totally forgot to read this besides your tag. Finished reading the first two parts. They are awesome. The movie was a very bold one for that time. Will read the other parts & comment. Actually they could have used that movie itself as a base for this serial πŸ˜‚

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago
#73

Shinika touch se lagta hein tum aur hi matlab samjhi, Yeh Sapna bitiya uss touch kee baat kar rahi thi jisko care ke naam se mein present kar rahi thi. Mere saath bhi kuch aise hi huwa thaa. Pehle bade advise dete the mere pati jinko mere bade bhayya banne ke shauk thaa. Phir dosti aaye toh aise chote mote hand shake , shoulder touch milti thi mujhe tabhi pata chala mujhe inke dil mein kuch toh hein bas batate nahin......Yeh kya hein kee mere imagination mein khud mere pati aur mein ghus jaati hun kabhi kabhi toh hota hein uska asar likhne mein πŸ˜†πŸ˜†

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago
#74

It's ok  Read when you are free 

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago
#75

Oh I would love to watch then. I forgot so many things as long back watched it . Wish I could have watched it again. Take your own sweet time to read. Thank you so much 

LadyGaga123 thumbnail
Visit Streak 180 0 Thumbnail Visit Streak 90 0 Thumbnail + 3
Posted: 1 years ago
#76

Loved it par itna jaldi khatham hogaya πŸ₯ΊπŸ˜­β€οΈπŸ’―😍

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago
#77

Next one will be longer. Will update tomorrow. Thank you

teddybearcastle thumbnail
Group Promotion 2 Thumbnail Anniversary 2 Thumbnail
Posted: 1 years ago
#78

Originally posted by: Revutty

Oh I would love to watch then. I forgot so many things as long back watched it . Wish I could have watched it again. Take your own sweet time to read. Thank you so much 

I was also searching if i can get the movie link to watch. Perhaps need to search again somewhere else. I could not remember a lot. Your memory is better than mine.

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago
#79

I am working on the next part. Toh kal hi update kar pawungi. Please wait 

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 1 years ago
#80

Part 9

Dev : Par Vidhi , tum iss haalat mein kaise ? 

Vidhi : Medicines lee hein naa toh it's okay. Aap pareshan hoke jaayenge toh mujhe baar baar aapki chinta satayegi. Iss se accha hein kee mein aapke saath...

Dev : Vidhi !! Pata nahi kyun mujhe itne ghabrahat ho rahe hein? Mein kya karun Vidhi ?

Vidhi: Baat kya hein Dev ? Aapki aankhein...

Dev :  Vidhi woh Rakshita.....woh waapis .....

Vidhi : Woh waapis aa gayi kya ? Par woh toh abroad mein ...

Dev : Woh  apni Maa se milne vacation mein aayi thi. Airport se jab car mein Jaa Rahi thi tab uske gaadi kaa accident huwa aur woh hospital mein hein.....

Vidhi: Dev !! 

Vidhi held his hand.

Vidhi : Calm down. Kuch nahi hoga unhein....Chale Dev.

After few hours they reached hospital.

Satyawati: Dev!!

Dev : Maa !! Aap yahan kaisi ? Aur aapko kaise pata chala?

Satyawati: Woh Neelima ji kaa phone aaya mujhe. 

Dev : Aap abhi bhi Rakshita kee mom se contact rakhte hein

Satyawati: Beta business kee baat alag riston kee baat alag.. Tumhare Paapa toh chahte the kee Harshvardhan saab ki beti Rakshita se tumhari shaadi ho jaaye. Par jab hamare business loss huye, tumhare Paapa guzar huye tab sab kuch badla. Waapis Raichand empire ko khada karne mein tumhein kaafi saal mehnat karne pade. Par tab tak intezar karne ke liye naa Rakshita tayyar thi aur naa hi uske Paapa. Isliye jab acche khaase rishtey aaye toh unhone Rakshita ko ..

Dev : Maa abb yeh sab chodiye. Aur batayiye kee kee woh kaisi hein ! Uski husband kahan hein ?

Neelima: Dev!!

Dev : Aunty !!

Neelima; Meri beti..

Dev : Kuch nahi hoga. Yeh best hospital hein naa. Aur bhi kisi doctor ki zarurat ho toh mein hoon naa.

Vidhi was observing how Dev got panic...She sat at the corner bench.. Meanwhile she saw an 8 year old girl crying there. 

Vidhi : Beta aap ro kyun rahi ho ?

" Meri mumma "

Vidhi : Mumma !! Kuch nahi hoga aapki mumma ko. Paapa kahan hein aapke ?

" Paapa conference ke liye Gaye the .Meri vacation thi toh Mumma ke saath Naani ke Ghar ...

She was crying continuously.

Vidhi : Beta aapke haath mein toh chot aayi hein.

" Mein theek hun..Nurse aunty ne dressing kee hein..But Mumma"

Dev came and held that kid's hand

Dev: Aapki mumma theek ho jaayegi... Don't worry. Aap royiye mat....Waise naam kya hein aapka ?

" Muskan"

Dev : Kitne pyaare naam hein aapke. Muskan kaa matlab hi smile hein. Aap thoda smile Karo beta. Aapki mumma jab theek ho jayegi toh aapko rote huye kaise dekh paayegi ! Please beta rona bandh karo.

Muskan hugged Dev. Dev pat her back.

Dev : Vidhi Zara sambhalo. Mein bas aata hoon. 

Dev went near Neelima.

Dev :  Rakshita ke husband

Neelima: Piyush kaa flight late hein Dev. Aata hi hoga. Beta maine hi Satyawati se kaha kee tumhein bulaye. Ek baar Piyush aa jaaye toh..

Dev : Mujhe jaana hoga hein naa ? 

Neelima: Beta aisi baat nahi hein...Saalon pehle joh huwa usko mein rok nahi paayi. Do saal huye Harsh ke guzarne ke baad. Mein bahut akeli paa rahi hoon khud ko....Ek hi toh beti hein woh shaadi karke utni door, Kaash isi shehar mein....Khair woh apne Paapa Harsh ke jaise practical hein.... Isliye tumhare dil ko usne todi aur usse Zara bhi afsos nahi huyi uss baat kee... Piyush ke saath uski zindagi acchi hein shayad donon ko ek beti hein. Par jab bhi mein tumhein yaad karta hoon toh mujhe apni beti pe gussa aati hein..,

Dev : Purane baaton ko bhool jaayiye naa, aap abki joh zindagi mili hein Rakshita ko woh ...

Piyush: Mom !!

Neelima: Piyush beta !!

Piyush: Mom , Rakshita kaise ? 

Dev walked away from there. Seeing Piyush Muskan rushed and hugged him

Satyawati: Dev !! 

Dev : Kyun bulaya aapne mujhe? Meri toh zarurat hi nahi.

Satyawati: Beta woh Neelima ghabra Rahi thi..Aur mein.... mujhe kuch samajh mein nahi aayi beta..

Dev : Maa aap ghar chaliye....Unko unke pariwar waale mil chuke hein naa.

Vidhi: Dev !! I think humein rukna chahiye. Aise museebaton ke samay pe apne hi toh madad karne ke liye aate hein.

Dev: Apna! Kaun apna ?? Mein !!

Vidhi: Aapko joh theek Lage woh keejiye , mein aapke saath hoon .

Satyawati looked Vidhi and Dev.

Satyawati: Dev yeh ladki 

Dev : Woh advocate Hariprasad Sharma ji kee beti hein , Vidhi. Unke Ghar ke outhouse mein abhi mein paying guest hoon.

Neelima: Satyawati, bura mat maanna. Woh kya hein kee Rakshita ko hosh aa chuki hein. Aur maine jaise hi kaha kee aap log yahan pe hein toh usne kaha kee woh tum mein se kisi se bhi milna nahin chahti ....Dev toh uski zindagi mein ek closed chapter hein jisse woh dubara kholna nanin chahti. Isliye aap log meharbani karke please yahan se

Dev : Neelima  aunty....Hum log waise hi jaane waale hein . 

Neelima: Maaf karna beta....Meri beti ko kabhi kosna mat. Uska ek pariwar hein abb.

Dev : Jinko pyaar diye the unhein kaise Kos sakte hein bhale hi pyaar ke badle dhoka hi kyun naa mile ? 

Neelima: Beta ek baar kahun. Mein bhagwan se prarthna karungi kee tumhein koyi aisi saathi mile joh kisi matlab ke liye nahin balki tumhare dil ko samajhkar tumhein apna sake.... 

Dev looked Vidhi...

Neelima : Satyawati, meri baat kaa Maan rakhke yahan tak aane ke liye shukriya.

Satyawati: Apna aur apne bacchon kaa khayal rakhna. Chalte hein.

Dev , Vidhi and Satyawati reached Raichand house. 

Vidhi was looking Dev only. Satyawati observed Vidhi and smiled.

Dev : Maa , Vidhi ko ek room..

Satyawati: Upar joh left waala room hein naa woh dete hein. Tumhare room ke straight opposite joh hein.

Dev : Awo Vidhi

Saying this Dev held Vidhi's hand and started climbing the upstairs..

Vidhi was mesmerized with the way Dev held her hand.

Dev arranged the bed for Vidhi.

Dev : Inn saare problems mein tumhara khayal rakhna hi bhool gaya mein....Kuch chahiye ?

Vidhi: Thodi der baith sakte hein kya aap mere paas ?

Dev : Kyun ? Tumhein dard ho raha hein 

Vidhi: Mujhe nahi aapko ho rahe hein dard. Saaf dikh raha hein aapki aankhon pe. 

Dev : Kuch bhi bolti ho tum. Mein theek hoon.

Vidhi: Toh phir aapki aankhon mein yeh aansu kyun?  

Dev : Woh ....woh ....

Vidhi: Mein aapka saath kabhi nahi chodungi. Kuch bhi ho jaaye .....Aap sir rakh sakte hein mere kandhon pe kaha toh thaa aapne kee man kaa boch halka hota Hein. 

Dev : Vidhi !!! 

Dev kept her palms at his chest. Vidhi was able to sense how his heart was beating faster. 

Vidhi: Dev !! 

Dev : Vidhi !!! Mujhe.. aage badhna hein..Kya tum madad karogi ? Mein bahut kamzor hoon Vidhi .....Khud ko sambhal nahi paaa Raha hoon.....Tumne dekha naa kaise hospital mein  Neelima aunty keh rahi thi kee mein Rakshita kee zindagi mein ek closed chapter hoon...Mere shakkal tak dekhna nahin chahti woh....Kya mein itna bura hoon ?

Vidhi : Nahin, bilkul nahi. 

Dev : Mein kyun aage nahi badh paa Raha hoon Vidhi ? Aaj toh Haqeeqat mere saamne mere gaal pe ek thappad ki tarah maare hein mujhe......Jhoot nahi kahunga dard hein bahut dard hein....Nikalna chahta hoon inn dard ki kaanton se...Magar kaise ? Kaise Vidhi ? Tumhein leke toh aaya mein magar naa tumhein koyi bharosa dila paata hun aur napa khud ko ..Yeh kaisi kashmakash hein zindagi mein. Mein kya keha raha hoon tumhein kuch samajh mein aa Rahi hein kya

Vidhi: Aap apne dil kee baatein khulke bata rahe hein. Itna toh samajh hein mujh mein Dev. Mein shayad aapke dard ke liye koyi marham nahi laga pawungi par aapka saath dena zarur chahungi hamesha ke liye. Kyunki mere pagalpan joh hein woh kabhi nahi rukegi ....Mere kandhon mein aap jitni der chahe apne boch halka karne ke liye let sakte hein....

Dev hugged Vidhi immediately and cried out his pain....

Vidhi placed her hands behind his back and tried waving his back. Her touch was giving an unknown kind of relief to Dev. He released himself from her and looked her with his teary eyes.

Vidhi made Dev to sit at the bed..She sat beside him and held his hand. He slowly rested his head at her shoulder taking a sigh of breath. Satyawati who came to give water saw this from outside the room . She felt much better seeing her son like this.. 

Satyawati thought : Lagta hein bhagwan ne meri mannat Maan Lee iss baar. Joh ladki mere bete ko uske dukh par kandhe dekar usse rahat dila sakti hein shayad woh zindagi bhar uska haath bhi dhaam sakti hein...Aakhir mere Dev ki zindagi mein koyi toh aayi joh usse jeena sikhayegi..

She smiled and went away .

Next day

Vidhi: Good morning Dev

Dev woke up slowly.

Dev : Vidhi kya mein raat bhar yahi thaa ? 

Vidhi : Haan. Abhi sirf 10 hi Baja hein thodi der aur so jaayiye agar sone kaa man hein toh 

Dev : Vidhi!!

Vidhi : Aap mere kandhon mein sar rakhke so Gaye. Aapko neend se udane kaa man nahin kiya....

Dev : Mujhe udana chahiye thaa yaar..Koyi kya sochenge tum aur mein ?

Vidhi: Jab humein ek dusre pe trust hein toh kaun kya sochenge iss baare mein humein kyun chinta karni hein ? 

Dev : Sahi hein. Mein fresh hoke aata hoon.

Vidhi: Ek baar kehni thi... Please aap bura mat maanna.

Dev : Aisi bhi kya baat ?

Vidhi; Yeh dekhiye 

Vidhi opened a box

.Dev : Yeh toh shirt hai, blue colour

Vidhi: Maine order kee aapke liye . 

Dev : Vidhi mein 

Vidhi : Aapne madad maangi thi Naa mujhse aage badhne ke liye.  Toh mujhe laga kee issi se shuruwat karni hogi....Phir bhi mein aapko force nahin karungi.

Dev took the shirt and looked Vidhi.

Dev : Mein yeh zarur pehanunga.

Vidhi: Sach 

Dev nodded his head. Vidhi smiled in excitement.

To be continued 😊😊😊😊😊😊😊