HIDDEN SIGHTS - VIDEV FF - Last Episode - Page 7

Created

Last reply

Replies

161

Views

8385

Users

18

Likes

165

Frequent Posters

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 11 months ago
#61

Aww 🥰🥰 thanks a lot 

Chaostud thumbnail
Visit Streak 30 0 Thumbnail Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 11 months ago
#62

Just loved Vidhi's "agar yeh pagalpan hai toh main hoon aap ke liye pagal Dev" wala dialogue... Keep updating ❤️

LadyGaga123 thumbnail
Visit Streak 180 0 Thumbnail Visit Streak 90 0 Thumbnail + 2
Posted: 11 months ago
#63
That was so lovely 😍❤️ Can't wait to read the next part soon....

LadyGaga123 thumbnail
Visit Streak 180 0 Thumbnail Visit Streak 90 0 Thumbnail + 2
Posted: 11 months ago
#64

Kab update karoge? Missing it🥺❤️

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 11 months ago
#65

PART 8

Back when they reached home Vidhi started sneezing. 

Dev : Lagta hein baarish mein bheegne se tumhein sardi lag gayi.

Vidhi : Nahin....aisi

She started coughing. 

Dev : Tum jaake dress change kar lo. Tab tak mein soup banata hoon aur haan cough syrup bhi laata hoon..

Vidhi : Mein theek hoon. Aap takleef mat leejiye.

Dev : Zyada baatein mat karo. Gale mein se awaaz hi nikal nahi rahi hein.Jaldi change karo.

Vidhi went inside and recalled the way how she hugged Dev and how he placed his palm at her head. 

Vidhi thought : Kaash mujhe zindagi bhar aise care mil jaati , par mein toh.....Khud ko sambhalo Vidhi. Sapne zyada dekhogi toh tum toot jawogi. 

She changed her clothes and came out. Meanwhile Dev also went and changed his dress. He bought soup for Vidhi.

Vidhi : Ek baat kahun , joh bhi aapse shaadi karegi woh bahut lucky rahegi. Aapko toh variety dishes banane aate hein. 

Dev and Vidhi laughed.

Dev: Soup pee lo Vidhi. 

He saw earrings at Vidhi's ears.

Dev : Yeh earrings

Vidhi : Wahi joh aapne diye

Dev ; Abb kyun pehani ho ?

Vidhi : Mujhe yeh itne pasand aaye kee har roz mein isse pehan lungi. 

Dev ; Vidhi maine kaha kee koyi day dream mat dekho.

Vidhi : Kyun nahin dekh sakti ? Mera dil joh chahe dekh sakte hein. Aapko koyi problem hein BoyFriend ?

Dev : Vidhi samajh mein nahin aata kee tumhein kaise samjhawun. Vidhi tumhari feelings iktarafa hein. One sided aur toh aur tum umra mein kaafi choti ho. Tum mujh pe !!

Vidhi : Umra !! Umra kaa kya hein !! Har saal badegi, kategi nahin. Aur meri iktarafa feelings aapko samajh mein aa rahe hein mere liye utna hi kaafi hein Dev. Abb aap isse infatuation, pagalpan, desire joh naam dena chahte ho de sakte hein. Par mera toh ek hi naam hein inn feelings kaa...

Dev : Kya ?'

Vidhi : Pyaar !! Mein aapse pyaar karti hoon.

Dev : Shut upVidhi. Just shut up. Tum haddh paar kar rahi ho. Mein yahan tumhare kirayedaar hoon aur kuch bhi nahin.

Vidhi :Kuch nahin mein aapki ,toh jab mein giri toh mujhe baahon mein kyun udayi ? Kyun mujhe hospital leke gaye ? Mere Paapa toh jaa chuke hein kyun aap unke baat maanke yahan aaye ? Kyun aapne uss ladke ke pitayi karke kaha aap mere Boy Friend hein ? Kyun mere liye har baar khaana banaye ? Kyun jab mein thodi der chali gayi toh aap barsaat ki raat ko mujhe dhoondte rahe ? Agar aapke dil mein kuch hein nahin toh jab mein hug kee tab aap haath se mujhe hataye kyun nahin ? Mere liye yeh soup kyun leke aaye aap ? Hein koyi jawab aapke paas mere sawalon kaa !!

Dev : Mujhe tumhari fikra hein aur kuch bhi nahin. Aur kuch sochne kaa haq bhi nahi hein mujhe Vidhi. Meri zindagi, mere mehnat, meri zimmedariyan inn sabke beech mein uljha huwa struggler hoon mein. Aaj tak struggle ko overcome nahin kar paaya. Kal bhi aur aaj bhi aur aage bhi mujhe bhaagne padenge har uss inteqaam mein. Aur mein nahin chahta kee meri wajah se kisi aur ko bhi yeh sab jhelna pade. Vidhi tum special ho yeh mein maanta hoon sach mein maanta hoon. Dil se maanta hoon. Tumhare saath dosti karke , tumhare saath waqt bitake , tumhari pagalpan ko dekhke sach mein khush ho jaata hoon. Par mere andar ki zimmedar insaan, mere umra ki seemayein mujhe rokte hein aage badhne ke liye. Aur mein imandaar nahin hoon Vidhi . Mere past mein Rakshita thi bhale hi woh chodke chali gayi mujhe mere dil mein abhi bhi usski yaadein hein. Aaj bhi mein aise emotional idiot hoon kee uske shaadi hone ke bawajood bhi usse yaad karti hoon. Woh kaafi door hein aur uske khayalon mein shayad mein abb bilkul nahin hoon. Gyarah saal huye par aaj bhi uske pasand kee white colour shirts pehanta hoon. Jabki woh yahan hein hi nahin. Yaadon mein aaj bhi woh basi hein. Usne toh darwaaze mere saamne bandh kiye.Usse sirf pasion se matlab thi. Jaanta hoon uska pyaar matlab ke liye thaa par mera pyaar aisa nahin thaa Vidhi. Aaj bhi uski yaadein satati hein. Aise mein mein tumse kaise kahun Vidhi kee tumhare liye mere dil mein feelings hein !! Mujh jaise tarazu ke do thaal mein zindagi ko maapne waale insaan ko koyi haq nahin hein kee woh ek masoom see ladki se keh sake kee I too love you, Vidhi. Please abb toh baat samjho Vidhi.

Vidhi : Aapko pata hein mujhe aap kyun acche lage ? Abhi jiss imaandari se aap mujhe dil kholi naa usske liye. You are brutally honest Dev. But it doesn't mean that I will stop day dreaming . 

Dev : Vidhi!!

Vidhi held Dev's hand and said : Mein puri umra intezaar karne ke liye tayyar hoon .....Aap move on nahin kar paaye toh koyi baat nahin, jaise bhi ho mujhe aap pasand hein. I love you Dev. Aur aapse koyi shikayat nahin karungi kee aap bhi mujhse pyaar kare. Meri iktarafa feelings, mere pagalpan , meri harqatein, mere sapne theen mahine aapko yeh sab jhelne padenge. Uske baad aap chale jaayenge. Mein nahin rokungi. Par woh feelings, pagalpan toh rahegi .Kyunki mujhe ehsas huwa hein mere dil ke pagalpan kaa naam Pyaar hein . Aur meri umra 20 ho yaa 40 ho yaa 60 ho mein toh rahungi hamesha paagal. 

Dev : Vidhi mein....

Vidhi : Mein samajh sakti hoon. Aapko kuch kehne ki zarurat nahin....Soup thanda ho jaayegi. Mein pee leti hoon jaldi jaldi.

She gulped the whole soup and smiled like a kid. Dev find the drops hanged near  her lips. He wiped them with this thumb. She was feeling the magic of his  touch again at that moment. 

Dev : Kal kya tum mujhe drop karogi office mein ? Bas man kar raha hein tumhare peeche tumhari scooty mein baithne kaa. 

Vidhi nodded her head. 

Next day Dev came infront of Vidhi holding some flowers.

Vidhi ; Inn phoolon ke rang toh gulabi hein. Aapko toh safed pasand hein naa !!

Dev : Koshish kar raha hoon kee .....

Vidhi : Aapke haath aise idhar udhar hil kyun rahe hein ?

Dev took a deep breath .

Dev : Koshish kar raha hoon Vidhi kee....aur bhi joh rang hein unhein dekh sakun. Socha tumhare laad dular se badhe paudhon ke phoolon se hi unn rangon ko dekhna shuru kar dooon. These are for you, Vidhi . 

Dev extended those flowers with a smile. Vidhi held those flowers and looked Dev.

Dev : Vidhi mujhe dekhte hi rahogi yaa gaadi chalawogi bhi ? 

When their journey started Dev's hand moved forward to touch her shoulder. But hesitantly he took his hand back. Vidhi watching these through rear view mirror said to Dev : Aap bindaas haath rakh sakte hein mere kandhon mein. Aise baar baar haathon ko hatane kee zarurat nahin.

Without saying anything Dev just kept his palm at her shoulder . She smiled and their journey continued. Throughout the journey Dev was able to sense the  fragrance of  her breezing hairs and he saw how his gifted ear rings were moving at her ears. He closed his eyes for a while and gently kept his head at her back shoulder . Vidhi felt an unknown kind of pleasure at her heart .

As they reached his office Vidhi gently called : Dev!! Hum pahunch gaye.

Dev opened his eyes and looked Vidhi.

Dev : Tumhare kandhon mein sar rakhke mere dil kaa boch halka huwa Vidhi . 

Vidhi : Aapko agar aisa feel hota hein toh jab man kare tab aap sar rakh sakte hein mere kandhon mein. Have a good day Dev.

Dev nodded his head and walked with a smile.

Days were passing. One day as Vidhi was suffering cramps at her legs due to periods Dev sat beside her and touched her hands.

Dev : Woh dawai le lo thoda relief milega.

Vidhi : Aap nahin jaante I just hate this periods. Har mahine pata nahin kyun bin bulaye mehman ki tarah aate hein !!! Upar se first two days toh mere liye kisi narak se kam nahin. 

Dev : Meri choti behan ko uss time bahut zyada bhook lagti hein. Pata nahin kitna bhi khaana khaa lun baar baar kahegi bhai ice cream lawo, bhai paani puri lawo . Such a kiddo she is .

Vidhi : Aap apne family ko bahut miss kar rahe honge . 

Dev : Mmmhh......

Vidhi : Mein bhi Paapa ko miss kar rahi hoon bahut . Mera toh Paapa hi sab kuch hein. Yeh periods kya hein mujhe woh bhi pata nahin thaa , school mein jab pehli baar huwa tabh mein bahut dar gayi. Mujhe laga kee mujhe koyi badi beemari hein aur mein shayad utni choti umra mein mar jawungi... Phir Paapa aaye school mein, jiss tarah unhone mujhe sambhale woh dekhke sab log surprised huye ....

Dev : Tumhein aur kuch chahiye ? Paani garam karke de doon ?

Vidhi : No uski zarurat nahin hein. 

Dev : Toh kya mein outhouse jawun ? Kisi bhi cheeze kee zarurat hein toh bula lena ....

Vidhi nodded her head. 

Meanwhile Dev's phone got rang. 

Dev attended the call. 

Dev ; Maa !!! Aisa kaise ho sakta hein ?

Vidhi : Kya huwa Dev ? Aap itne pareshan kyun ho ?

Dev : Mujhe jaana padega , abhi issi waqt .

Vidhi : Kiska phone kaa thaa ? Aap kuch kehte kyun nahin Dev ? Kya huwa Dev ?

Dev : Maa kaa phone thaa. Vidhi kya tum mere saath chalogi mere shehar mein ? Mein khud ko shayad sambhal nahin pawunga. Please ..

Dev held her hand .

Vidhi nodded her head.


TO BE CONTINUED 

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 11 months ago
#66

Please read and drop your views 

Shinika thumbnail
Visit Streak 180 0 Thumbnail Anniversary 7 Thumbnail + 3
Posted: 11 months ago
#67

Hey revu…Nice part !! Loved their progression and the confidant Vidhi who told her real feelings with out any expectation. How dev wants to give a chance to change himself . The main Essence is everything is happening very subtly.

I liked it very much!!

Dreamzz thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 11 months ago
#68

Aapke story ke characters to Pyar NAHI hai kehke. Bahot touchy touchy ho rele hai.

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 11 months ago
#69

Arrey pehle sab log bade bhaw khaate hein pyaar shabd se.....Woh bolne mein time lagta hein par touch touch mein kuch kuch hota Hein. Tum kya jaano hum experienced hein 

Chaostud thumbnail
Visit Streak 30 0 Thumbnail Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 11 months ago
#70

Amazing update!!! Whenever you write, you keep me yearning for more... keep updating soon