Na Umra Ki Seema Ho

HIDDEN SIGHTS - VIDEV FF - Last Episode

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 10 months ago

Those who haven't seen movie Vidukathai, here this FF is based on that movie's story as we discussed about this movie in Forums.  As movie is not available on online I thought to write an FF using the same plot with slight changes featureing ViDev. Please read and comment guys. Please don't keep so much expectations. I will try my level best guys. 


PART ONE 


Paapa , aaj aapki bahut yaad aa rahi hein. Aap hi sab kuch thaa mere liye. Maine meri Maa ko sirf photo mein dekha hein . Mujhe janam dete hi naa jaane kyun bhagwan ne maa ko unke paas bulaye. Par Paapa aap ne mujhe kabhi Maa ki kami mehasoos nahi hone diya . Mere liye aap sab kuch hein, Paapa, Maa, Dost sab kuch. Paapa aap toh pehale si jaante the naa kee aapko brain tumour thaa ? Aap ne mujhe batayi kyun nahi Paapa ?

Vidhi looked the documents and papers. She recalled when her father called her for a land registration.

Vidhi : Mein sirf 20 umra ki hoon. Yeh zameen mujhe kyun saunp rahe ho Paapa ? Mere naam mein register kyun kar rahe ho ? Kya zarurrat hein iski ?

Hariprasad : Zarurat hein. Waqt kaa koyi bharosa nahi beti. Kabh kya ho jaayega kisko pata ? Aur abb tum itni bhi choti ladki nahi ho . Zimmedar hona seekho Vidhi. Yeh land aage jaake tumhein handle karne honge.

Vidhi : Responsible !! Paapa yeh umra toh enjoy karne kaa hein mujhe !! Aur haan abhi tak mera koyi crush wush bhi nahi hein. Pata nahi kyun mujhe kisi mein kuch dikhta kyun nahi !! Mein normal hoon naa Paapa

Hariprasad smiled and waved her forehead : Mujhe lagta hein tumhein kisi se seedhe pyaar ho jaayega . Tum bilkul enjoy kar sakti ho par thoda bahut Paapa joh keh rahe hein naa uss pe bhi dhyaan do bas.

Vidhi : Kahan signatures daalni hein batayiye ?

Hariprasad : Tum padogi nahi documents 

Vidhi : Yeh itne saare pages, Paapa mein text book hi theek se nahi padti . Agar padi hoti toh class ke topper ho jaati naa. Aap bata do kahan sign karni hein .

Suddenly some one knocked the door . Vidhi wiped her tears and opened the door .She saw a man of 40's who was tall and charming with a smiling face.

"Excuse me !! Can I meet Mr. Hariprasad Sharma ?

Vidhi pointed out her finger towards the wall. He was shocked to see Hariprasad's photo in wall hanged up with a garland.

" Tum, mera matlab aap unki "

Vidhi : Beti hoon . Aap kaun ?

"I am Dev. Dev Raichand.

Vidhi : Oh aap hi hein Mr. Dev. Paapa ne bataya toh thaa . 

Dev ; Aapki Paapa ? Kaise , kab ?

Vidhi : Brain tumour thaa Paapa ko. 

Dev : I am sorry,

Vidhi : Sorry kyun ? Kuch galat nahi poocha aap. Paapa ke death ke baare mein shayad aapko pata nahi thaa. 

Dev was stunned with these words. 

Vidhi : Yeh leejiye outhouse ki chaabiyan. Ek hall hein, kitchen hein, bedroom and an attached bathroom hein. Saamne choti moti paudhe bhi hein. Iss se zyada facilities nahi hein.

Dev : Iss se zyada toh mujhe bhi nahi chahiye. Yahi kaafi hein.

Vidhi : Aap akele aaye ho ?

Dev : Kyun ? Any problem ? 

Vidhi : Oh Hello, Zyada smart baniye mat Mr. Dev. Mein aapki family ke baare mein jaanna chahti thi.

Dev ; Toh directly kyun nahi poochi ? Aise ghumake saath mein koyi hein ?

Vidhi smiled : Accha Ji . Abb bata bhi deejiye 

Dev : Maa hein aur ek chote bhai aur unki wife bhi hein. Mere Paapa toh....

Vidhi : Paapa !! Kya huwa Paapa ko ?

Dev : Jiss umra mein jiss situation mein aap khadi hein waise hi mere saath bhi huwa thaa. Yahan hamare company kee branch office khulne waale hein. Toh mein uske kaam ke silsile mein kuch mahine rehne aaya hoon.

Vidhi : Aap mere Paapa ko kaise jaante hein ? Aur aap jaise business man ek normal family kee outhouse mein kyun reh rahe hein ?

Dev : Tumhare Paapa Mere family friend hein.  Lawyer Hariprasad Sharma ji hamare Raichand companies ke ek mill ke case ko handle kar chuke hein. Tabh meri zyada baatcheet huyi unse. Aur mein pehale bhi mil chuka hoon ...Tumse 

Vidhi : Mujhse !! Kab 

Dev : Tabh  tum bahut choti thi paanch saal ki cute bacchi aur mein 25 saal kaa thaa. Meri Maa ke saath iss ghar mein aaya thaa mein. Uss din tumhara birthday thaa.

Vidhi : Toh date of birth batayiye naa 

Dev : June 6, year mat poochna .

Vidhi : Year toh yaad hoga hi , waise bhi abb mein choti bacchi nahi hoon. 20 year old matured girl hoon.

Dev ; Matured 😳

Vidhi ; Kyun !! Mr. Dev ,mein aapko Matured nahi dikhti 

Dev : Bilkul dikhte hein. 

Vidhi : Aap jaa sakte hein. Outhouse mein , joh aapke ghar hein filhal ..

Dev ; Yeah.....Waise formalities toh

Vidhi : Aap pure kar chuke hein naa, advance bhi diye hein Paapa ko. Paapa ne saare details dee hein mujhe. Aapko yaad dila doonkee Monthly payement hein joh aapko har mahine kee

Dev : Pehli tareekh ko dena hein. Sharmaji ne bataya hein. Dosti alag, kaam alag.  Waisi hee unki beti.

Vidhi : Matlab!!

Dev : Dekhiye baaki baatein kal karenge. Thanks for the keys. Mein long travel karke aaya hoon. Mujhe thode aaram ki zarurat hein. 

Vidhi : Kal subah udke mere paudhon ko thode paani bhi deejiyega. Bhoolna mat .


Dev goes to outhouse and shut the door

Vidhi thought : Khud ko kuch zyada hi hoshiyar samajhte hein. Pata nahi Paapa inko ghar kyun dee 

Next day morning

Dev woke up morning around 6 .30 am. Meanwhile Vidhi wasn't able to sleep as she was lost in her dad's thoughts. Dev opened the door and his eye sight went towards the gate where Vidhi was standing . The gate was opened and Vidhi was walking outside . Meanwhile Dev saw from long distance a car was arriving there. His heart beated in fear and he rushed towards Vidhi . He pushed her inside the gate and closed the door. 

Vidhi was shocked with this deed.

Dev ; Are you mad ? Wahan se ek car aa raha thaa, dikhayi nahi diya tumko ? Kuch ho jaata toh ?

Vidhi didn't said anything. 

Dev : Kuch kaho Miss Vidhi . Itni subah gate kholke road kee taraf kyun jaa rahi thi ?

Vidhi : Mujhe neend nahi aa rahi thi ....Mein bas ek morning walk karne ke iraade se hi gate kholke chal padi thi ek change ke liye . But you are right. Mera dhyaan nahi gaya raste mein aate jaate gaadiyon kee taraf. Meri hi galti hein.

Dev : I am really sorry. Mujhe laga kee 

Vidhi : Mein kamzor nahi hoon kee kisi gaadi ke neeche jaake khud ki jaan ko khatam kar doon. Agar aisa huwa toh upar jaake bahut daant milegi Paapa se ...

Dev : Kya tum kal raat soyi nahi ?

Vidhi : Kaha naa neend nahi aayi. Waise aapko acchi neend aayi kya ?

Dev ; Kaafi dinon baad sukoon se bhari neend mili. Saare tension bhoolkar .....

They both looked each other .

Dev : Mmmhh......Tum ..

Vidhi ; Mein ghar jaa rahi hoon. Aapko poha pasand hein ?

Dev ; Kya ?

Vidhi : Mujhe bas wahi breakfast banana aati hein. Aur kuch nahi .

Dev smiled and nodded his head.

Vidhi : Toh do ghante baad aap ghar aayiyega . Mein bana dungi.

Dev : No, mein khud kuch bana lunga.

Vidhi : Accha , toh lunch bana sakte hein aap ? Mujhe college jaana hein.....Pichle theen din se canteen se hi lunch khaa rahi hoon. Peth kharab ho rahi hein.

Dev : Sure . 

After some time 

Vidhi : Mein drop karta hoon aapko. Meri scooty mein baith jaayiye 

Dev : Mein ek bike lene hi waala thaa. Toh mein wahin dekhne jaa raha hoon. Raste mein kisi rickshaw yaa bus lunga

Vidhi ; Mujhe saare dukan pata hein. Paapa ke saath ghooma hein bahut. Mere college ke paas hi ek showroom hein. 

Dev : Oh that's great.

As they reached at the gate of college campus , one of Vidhi's classmate rushed towards her and hugged her .

Vidhi ; Anaya what happened ?

Anaya : Tum theek ho naa ? Theen din pehale hi toh uncle ji guzar gaye aur tum aaj college mein.

Vidhi : Mein theek hoon . 

Meanwhile a professor came there.

Vidhi : Good morning Mam.

Professor : Vidhi!! Beta you should take rest . 

Dev : Usse koyi beemari nahi hein 

Professor : Usne apne Paapa ko khoya hein. Aur aap itni jaldi usse college leke aaye , uski care taker hone ke naate aap use samjha nahi sakte the kya 

Dev was shocked to hear the word : Care Taker !!

Without saying anything he walked away from there .

Vidhi screamed : Mr Dev!! Mr Dev!!

Vidhi : Mam yeh aapne kya kaha ?

Professor : He is your care taker naa , Paapa nahi rahe toh guardian kee responsibility liya hein naa . Beta you can take your own time. Ek hafte baad college awo. 

Vidhi thought : Socha thaa college awungi toh man thoda shaant hoga. Par yahan inn logon ne Paapa ke khaas dost ko hi disappoint kiya .Kya soch rahe honge ,Mr. Dev mere baare mein ?


TO BE CONTINUED ....

Created

Last reply

Replies

161

Views

8347

Users

18

Likes

165

Frequent Posters

LadyGaga123 thumbnail
Visit Streak 180 0 Thumbnail Visit Streak 90 0 Thumbnail + 2
Posted: 10 months ago

Loved it ❤️ Please continue...

Minami_koi thumbnail
Posted: 10 months ago

Interesting background. Pls keep writing. Can't wait for the next part

😊👍

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 10 months ago

PART 2

Vidhi straightly went to the showroom. Dev was purchasing the bike.

Dev ; I liked this one. 

Vidhi : Wow nice . 

Dev turned back.

Dev quickly took his credit card without paying attention to Vidhi.

Vidhi ; Aapne bataya nahi subah joh pohe bani woh kaisi rahi ?

Meanwhile the sales men looked Dev and Vidhi .

Salesman : Sir cash hein kya ? Woh machine kharab hein.

Dev : Kya showroom khula rakha hein aap log ? Sab irresponsible hein

Vidhi : Mere paas cash hein . 

Dev stared her in anger.

Vidhi : I mean abhi mein cash de deti hoon. Aap baad mein mujhe deejiyega.

Dev : Mujhe kisi kaa ehsaan nahi chahiye.

Vidhi : Toh phir ghar mein reh rahe kyun ? 

Dev took the keys from his pant's pocket .

Dev : Yeh lo chaabiyan. And mein aur koyi arranegement dhoondh lunga khud ke liye .

Vidhi : Are you sure ? 

Dev : Listen you girl !! Mein tumhare Paapa ko jaanta hoon. Tumhare Paapa ne mere rehne ke intezam karwaye aur mujhe theek laga isliye mein aaya. Abb mujhe ghar theek nahi laga toh mein jaa raha hoon

Vidhi : Kyun ? 

Dev : Har kyun ka jawab mein kyun doon ?

Vidhi : Kyunki woh outhouse mere Paapa kaa hein, mera hein. Wahan aapko theek nahi lagte toh jaanna hein wajah kya hein. Kya badalna hein ?Subah hi toh keh rahe the sukoon see neend mile, kal aapne kaha kaafi facilities hein. Toh achanak kya huwa ?

Dev : Tum khud ko matured girl kehti ho naa ? Jaankar bhi anjaan kaisi reh sakti ho tum ?

Vidhi : College mein professor mam ne joh bhi kaha uske liye I am sorry. Unhein shayad dekhke aisa laga kee....

Dev ; Mein mana kar raha tha scooty mein baithne se. 

Vidhi : Toh maine zabardasti aapko bithaya bhi toh nahi ....Sach batayiye , ek 20 saal ki ladki aapko lift offer kar rahe the toh after all you are a man.Yahi wajah hein naa ?

Dev : Tum ne kaha kee showroom college ke paas hein . Isliye baitha. 

Dev took a deep breath.

Vidhi : Chaabiyan apne paas hi rakhiye. 

Dev kept the keys back in his pocket.

Salesman : Sir paise 

Vidhi : Bhaiya , yeh leejiye .

She paid the cash and looked Dev.

Dev : Waise pohe acche the, lekin uss mein namak zyada ho gaya.

Vidhi : Oh my God!! Aap pehle kyun nahi bataye ? Aur kaise khaaye ?

Dev : Tumne apne haathon se khaas mere liye banaye the, uss mein apnapan kaa swaad feel huwa . Toh baaki kuch dikha nahi.

Vidhi recalled one icident with her dad.

Vidhi : Paapa yeh kya ? Maine toh iss mein bahut saari shakkar daali, aise mein coffee achhi nahi lagegi. Aapne kaise piya ?

Hariprasad : Beta, iss mein tumhara pyaar bhara huwa hein. Iske aage mujhe aur kuch nahi dikhayi diya.

Dev : Vidhii!! Vidhi !!

Vidhi : Yes Mr. Dev

Dev : Kya huwa ? Kahan khoyi thi ?

Vidhi : Paapa ki yaad aayi 

Dev : Mujhe lagta hein tumhein college ....

Vidhi : Mein bhi khud ko ek change dun isliye college gayi.But sab log toh mujhe sympathy ki nazar se dekhte hein. Aur ek hafte baad aane ko kehate hein. Ek hafte ke baad bhi yahi sach hein my Paapa is no more. Aaj kaa bhi yahi sach hein. Toh aaj kyun nahi ?

Dev : Society ke kuch bane banaye usool hi samajh lo . Par sach toh yeh hein kee sympathy batorne waale zindagi mein saath nahi denge . 

Vidhi : Mein ghar jaa rahi hoon. 

Dev : Theek hein. Mein construction work dekhke aata hoon.

Vidhi walked from there . Dev looked her from behind.

At night 9 pm

Dev opened the outhouse . Meanwhile his eyes went on the front area . 

Dev thought : Jaake milun kya Vidhi se ? Mujhe itni chinta kyun ? Mein bas ek kirayedaar hoon aur kuch bhi toh nahin.

Vidhi : Mr. Dev

Dev was surprised to see Vidhi helding flowers in her hands.

Vidhi : Yeh orchids hein. Mere favourite . Gardening kaa bahut interest hein mujhe, Aapne mere paudhon ko bina paani diye chale gaye the. Par mein aisi nahi hoon. 

Dev : Woh mein ....

Vidhi : Leejiye flowers.

Dev took flowers from her hand : Thank you.

Vidhi : Aapne kuch khaaya ? Pohe bana doon ?

Dev laughed so well and Vidhi too laughed .

Dev : Tumhein sach mein aur kuch banana nahi aati 

Vidhi : Chai, coffee aur pohe ke alawa mujhe kuch aati hi nahi. Aap joh pulaw banaye the woh accha thaa. Bahut tasty.

Dev : Thank you .

Vidhi : Waise aapke woh office ke construction kaa kam kaise chal rahe hein ?

Dev : Theek hein. Ek do hafte mein sab finish hoga aur office ke kaam shuru

Vidhi : Aap kitne mahine rukenge yahan ?

Dev : Depends on my work . Kyun ?

Vidhi : Har kyun kaa jawab nahi hota Mr. Dev.

Dev : Ek request hein. Iss Mr. ko hatake sirf Dev bula lo/

Vidhi : Par kaise ?? Mein toh choti hoon naa umra se kaafi....Bhaiya bulawun 

Dev was shocked with the word Bhaiya 

Vidhi : Nahi nahi...Kya bulawun ? Sir !!

Dev : Mein koyi professor yaa boss nahi hun

Vidhi : Mmmhh....

Dev : Dev hi bulalo..

Vidhi : Filhal Mr. Dev hi sahi. I will try to change

Dev : Okay. Aur kal se mein paudhon ko paani dunga.

Vidhi ; Okay.

Next day morning 

Vidhi clicked the calling bell. But Dev didn't opened the door. Vidhi find the door was already opened . She went inside and she saw Dev in the kitchen. His back was visible for her . He was in T-shirt and shorts and Vidhi was amused with his looks. 

Vidhi : Aap ghar mein pants nahi pehnate kya ?

Dev didn't reacted . 

Vidhi went inside the kitchen and she find Dev has put headphones .She removed it and Dev stared her with a shock.

Dev : Tum yahan 

Vidhi : Kab se calling bell baja rahi hoon ? Aur yeh kya aap aise shorts mein 

Dev : Mein ghar mein usually aise hi pehanta hoon. Wasie bhi yahan kaun hein ?

Vidhi : Mein hoon. Aur aage se aap aise apne taang nahi dikhayenge. Iss ghar mein rehna hein toh pants pehnane honge aapko.

Dev : T shirt toh theek hein naa , uss mein koyi problem toh nahi

Vidhi : Woh theek hein. Par aise taang mat dikhayiye.

Dev ; Tum mere taang mein taang adane aa jawogi yeh kabhi expect nahi kiya mein . 

To be continued ......

Toh batayiye friends donon parts kaise lage ? 

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 10 months ago

Please read both parts and tell your views 

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 10 months ago

Thanks. Wrote next part also.

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 0 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 10 months ago

Thanks. Ezhuthitten paa next part. I am trying to remember the movie and writing this. 

Minami_koi thumbnail
Posted: 10 months ago

Very different take on Videv pa.Its like watching a nice movie

Here Vidhi is bold and little muhphat 😊..They are more like IQ and Rachna than videv.

Very interesting...Keep writing.👍🏼

carljung thumbnail
Posted: 10 months ago

Badhiya hai👍🏼 please continue 

Shinika thumbnail
Visit Streak 180 0 Thumbnail Anniversary 7 Thumbnail + 3
Posted: 10 months ago

Nice story revu !!! I didn’t see the movie now I will see through your story. Like to see ViDev in different type of characters.

I will miss these 10 days going on a vacation. I will definitely peep in between to the forum . Whenever possible I will try to read the story. I miss you guys and ViDev too.