thanx pink....and sana! and yeah sangi fikar not main hoon na, inkar ko ikraar mein badalne ke liye 😉
so i'll continue.....(do naam ek jaan)
Kashish: mama.......mein yeh......shaad nahi kar sakti
everyone is shocked!!!! (making the pace faster) the garewals leave without saying anything with their dissapointed faces, veena was almost crying, well so was tulsi and charu! After the garewals left.............
Tulsi: yeh tumne kyun kiya kashish?
charu: di, aap to sujal bhaiya ko itna chahti bhi hain phir bhi! kyun di!
tulsi: itne saalon baad jab yeh khushi tumhari zindagi mein ane wali thi to kyun mun phir liya usse! aisi kya wajah thi??
all these questions made kashish confused!
kashish: (shouted) thi wajah........(calms down a bit) wajah thi! aaj woh yahan aye mera haath mange, magar kal ko jab unhe mere past keh bare mein pata chalta, to kya woh log mujhe apne ghar ki bahu mante, kya woh mujhe apnate...............
tulsi and charu get puzzled!
kashish: nahi mama, woh mujhe kabhie na apnate! mein unki zindagi peh bhi buj ban jati jaise mein aapki zindagi mein hon............
tulsi: (gets angry and shouts at kashish) khabar dar jo khud ko kosa to. tum nahi mein thi tumhari zindagi ki takleefon ki wajah, balke aaj bhi hon............agar mein ne tumha yeh sab sach na bataya hota to shayad aaj yeh sab.............(she starts to sob). while kashish comes up and consoles her
kashish: mama........plz aap mat royiye...........warna aapke yeh ansoo mujhe kamzor kar deinge! mein ne jo faisla kiya woh bilkul sahi kya ........bahut soch samaj keh kiya.................aur phir aap hain na mere saath..............
charu: aur sujal bhaiya?? (with tears in her eyes)
kashish: charu tum bhi na, do mulaqaton ko pyaar nahi kehte. i 'm sure jab sujal ko mere bare mein pata chalta to woh bhi yehi karta jo mein ne aaj kiya hai............
charu: magar di (trying to explain kashish)
kashish: (wiping her tears and tulsi's too) agar magar kuch nahi, discussion bandh.............chalo ab dinner karte hain!
alls well that ends well, Sinha house mein to sab ki ankhon se nammi mit gayi thi, chahe kashish ka dil kyun na ro raha ho, usne apni mama aur charu ko sambhal liya tha.......................magar kya yehi Garewals bhi bardasht kar payeinge!!!!!!!!! kya sujal is faisle se raza mandh ho payega!
well lets see:
GAREWAL HOUSE:
veena and chetan enter the house
rishi: big b mom is here. hey mom kya huwa, batao na, papa, humari hone wali bhabie kaisi thi (winks at sujal, who was standing with crossed arms and smiling)
veena : (comes close to sujal and touches his cheeks lightly) usne inkaar kar diya (and ran into her room will weeping, chetan followed her too)
rishi: (shocked) inkaar kar diya! (he too went after veena for further inquiry )
sujal's arm dropped and slowly the smile also fadded away!
he couldnt belive what veena had just said.
sujal: yeh kasie ho sakta hai,...............kashish ne...........inkaar!!!(he had a tear in his eye, that was almost about to drop!)
song time:
tanhaiiiiiiiii tanhaiiiiiiiiiiiiiiiiiiii
palkon peh kitne ansoo hai layiiiiiiiiiiiiiii.....
........(he goes to his room and hits the study table and kicks the chair)
..(song continues....) kyun aisi umeed ki meinne jo aise na kaam hui, door banayi thi manzil to raste mein hi shaam hui,
ab kahan jaon mein,
kis ko samjaon mein,
kya mein ne chaha tha aur kyun kismat mein ayiiiiiii,
tanhaiiiiiiiiiiiiiii, tanhaiiiiiiiiiiiiiiiiiii
jaise andhero ki ho gherayiiiiiiii! (courtsey dil chahta hai!)
Subah ka uraaj nikal ata hai, magar sujal ki zindagi mein abhi bhi raat hoti hai! he gets up and without talking to anyone and without having breakfast, sits in his car and drives off.............while veena tries to call him.........but he doesnt respond
veena: hey bhagwaan, mere sujal ki rakhsa karna!
all were disturbed by the last evening event, rishi, veena and chetan too, magar koi zahir nahi karta!
COLLEGE
its monday morning, charu and kashish arrive at the college. kashish ki tang mein abhi bhi thodi si pain thi,........but she didnt want to miss the class!. is sse pehle keh kashish college ke andar step kar pati, keh achanak uske samne ek gari ake rukti hai! charu and kashish both step back.
ofcousre gari hoti hai apne sujal ki, Wah wah aaj to bahut hi dashing lag raha hai sujal. Well he gets out of the car, aur ake kashish ka haath pakar leta hai and pulls her while he walks back to his car.
kashish: (trying to churaofying her hand) sujal, mera haath choru........mein ne kaha mera haath churo!
likin uski koshsish na kamiyaab rehti hai and sujal forces her to sit inside his car and locks the door! he also sits inside and drives off.
while charu stands there watching all this happen!!!!
IN THE CAR
kashish: sujal gari roko..
sujal doesnt answer
kashish: mein ne kaha gari roko sujal, muje college jana hai
still silence
kashish: is sab ka kya matlab hai, tum kya sabit karna chahte ho.
sujal was still holding kashish's hand with one hand and drivng with the other!
sujal gaari ki breaks lagata hai!
kashish looks around! woh dono ek sunsaan si sarak par akele hote hain, koi gari nahi koi banda nahi (wah kya spot dhunda sujal!!!)
kashish: (ghabrate huwe) yeh tum muje kahan laye ho sujal? muje ghar jana hai, plz.....choro mujhe.
finally he turns towards kashish and apne sujal style mein sirf itna bola
sujal: tum ne ......inkaar kyun kiya ..........kashish???
kashish: inkaar.......mein samjhi nahi
sujal: itni bhi na samajh nahi ho.....achi tarah se janti ho mein kis bare mein baat kar raha hon. muje tumhara jawab chahiye
kashish: muje is bare mein koi baat nahi karni ( and finally releases her hand from his grip and opens the lock and gets down.
sujal too gets down: jawab dena hoga! tumhare inkaar ki wajah batani hogi......(kashish keeps walking and sujal follows her ,likin kitni door jati woh............sujal holds onto her arm once again and pulls her towards him
sujal: ek bar meri taraf dekh keh kaho keh tumne kabhie mujhse pyaar nahi kiya............ek baar meri taraf dekh ek kaho keh tum ne mera nahi bana chaha............ek bar meri taraf dekh ke kaho keh tumhe meri ankhon mein khud keh liye pyaar nazar nahi ata..............kaho kashish........KAHO!!!
kashish (thoda daar jati hai and gets tears in her eyes) mere inkaar ki wajah tum kabhie nahi samjh pao ge
sujal: yeh faisla karne wali tum kon hoti ho!
kashish: sujal plz, muje pareshaan mat karo. mein ne kaha na keh mein yeh shaadi nahi kar sakti matlab nahi kar sakti!
sujal: aur mein ne kaha na keh tum sirf meri ho, matlab meri ho!
kashish: (ab sujal ke pyaar aur zid keh age jhukna shuru ho gayi thi)
tum mere bare mein kuch nahi jante...............
sujal: janta hon
kashish looks at him surprised
sujal: sab kuch janta hon.....................aur kashish, agar tumhare inkaar ki wajah tumhara woh sach.............tumhara guzra huwa kal................tumhara past hai to tumhe apna yeh faisla badalna hoga.........................mere pyaar keh age jhukna hoga..................mera naam apne naam keh saath jorna hoga!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
kashish, abhi bhi sujal ki bahon mein khari thi, sujal ki baaton ko sun rahi thi aur uski pyaar ki gherayi mein koh gayi thi.................likin apne faisle keh bare mein abhi tak kuch nahi boli thi........................
kya hoga uska faisla,,,,,,,,,,,kya abhi bhi woh sujal keh pyaar ko nahi samajh payegi,,,,,,,,ya phir sujal keh pyaar ko apna le gi!!!!!!!!!! well..................next part mein zaroor bataongi!
thanx everyyyyyyyyyyone for appreciating the story!!!! hope you enjoy it......keep commenting or criticizing!!!!!
luv...farah