ok......me continuing too!! (do naam ek jaan)
sujal was really happy at knowing keh uska pyaar ab rishte mein badal jayega, magar he was worried keh kya uski family kashish keh past ko apna payegi?????????
sujal: mama, woh sab to theek hai, magar mein chahta hon keh kashish se pehle mein khud baat kar lon!
rishi: big b, agar hum ne yeh baat aap peh chordi to shayad 10 20 saal tak aap baat kar hi leinge. (he started giggle)
veena: dekh, tum ne larki pasand karli, humein koi aitraaz nahi, ab baqi ki baatein hum kareinge, aur phir mere bete ko koi inkaar kar hi nahi sakta!!!!..........(hmmmmm.........over confidence!!!!)
.........KASHISH"S HOUSE
charu and kashish enter the house, tulsi is in her room! kashish is somewhat nervous and scared, whether she should go and talk to tulsi or not.
charu: di, mama kamre mein hain, aap unse milo!
kashish: haan......mein...........magar, woh...(she is still confused)
charu: di, yeh jo rishte hain na yeh itni asaani se nahi tute, aap hi mujhe kaha karti thi na jab mein mama se naraz ho jati thi. to phir yehi baat mein aaj aapko keh rahi hon. aap jao aur mama se baat karo
kashish: (has tears in her eyes) charu tum kuch nahi janti.........
charu: janti hon di, likin sab kuch janne ke baad bhi jab mere aur aapke rishte mein koi fark nahi hai to mama keh liye aapke pyaar mein kaise ho sakta hai!
kashish is quite shocked at knowing this.
kashish: charu yeh tum kya keh rahi hon
charu: haan di, mama ne hospital mein mujhe sab kuch bataya tha!
while both the sisters were talking tulsi comes down the stairs to where kashish and charu were.
tulsi: ab kaisi tabiyat hai?
kashish: (gets more tears in her eyes) mama, i am sorry..........meri wajah se aapko sari zindagi ek bujh uthaye jeena para, mere karan aapki zindagi jahanum se bhi batar ho gayi..........mera aapki ankhon ke samne rehna shayad kisi saza sa kaam nahi tha..............(she starts to weep) nafrat hoti hai muje khudse.......kyun mein bach gayi.....mera mar jaana hi behtar hota!!!!
tulsi: (who is standing firm comes close to kashish and picks her up from the floor holding her arms) khabar daar jo dobara aisi baat ki to, mera maara mun dekhegi!
kashish: mama!!!!
tulsi: (also crying awwwww...like daghter like mother. lol) tu sirf meri beti hai, galti meri thi jo tujhe mein samajh nahi payi. tu kya huwa agar tumne meri qook se janam nahi liya to..........teri ma to sirf mein hi hon na! (abe kya palta mara hai!!! tulsi maiya you are great 😆 )
kashish: (now with khushi keh tears) mama, mein........aap hi meri mama ho, aur koi nahi! (they both hug each other warmly and tulsi consoles her)
meanwhile charu who was standing a side while wiping her tears showed a thumbs up sign to tulsi and tulsi gracefully acknowledged it......happy family!!!)
par aap sab janna chahte honge keh tulsi ne yeh patla kyun mara, i mean when did she changed her opinion......so this was not long ago, infact yesterday night, jab charu tulsi keh peeche ayi thi hospital se tab ki baat hai.......................FLASHBACK)
charu enters her house and sees tulsi sitting on the sofa and crying.
charu: aap ro kyun rahi ho mama? di jeeye ya mare aapko kya fark parta hai, unka aur humara rishta hi kya hai.
tulsi (snubbing her) charu! woh teri bari behen hai, khabar dar jo is tareeke se uske liye baat ki to
charu: kya woh sirf meri bari behen hain, aapki kuch nahi? (with twinkling eyes)
tulsi: ......haan uska rishta tumse hai......mujhse uska koi nata nahi
charu: agar unka ap se koi naata nahi to yeh ansoo kis ke liye baha rahi hain?
tulsi: (looks at charu ) mein.....apne pati ke liye...jin se kiya huwa wadah mein nibaaah nahi payi
charu: kis pati ke liye mama? woh jis ne aapko dhoka diya? aap se pehle kisi aur aurat keh saath naja........
tulsi slaps charu tightly
charu: kyun...takleef hui mama. us aadmi keh liye jis ne aapko aapki zindagi ka sab se bara dhuk diya........us aadmi ko to apne maaf kar diya..........aur unki kiye ki saza di ko deti chali gayi! yeh kaisa insaaf tha mama aapka??
tulsi: (......thinking) ....woh mujhse bahut pyaar karte the........
charu: aur di! kya di aapse kaam pyaar karti hain?
tulsi looked at charu with eyes wide open.
charu: kyun aapki nazron mein di keh pyaar ki koi ihmiyat nahi! sirf kyun ke unka aapse khoon ka rishta nahi!...........mama apne dil peh haath rakh keh batayein keh kya di aapko mujhse zaida pyaar nahi karti?
tulsi soch mein par jati hai, uska dil kuch aur keh raha hota hai aur dimaag kuch aur!
charu: bolo mama, bolo/. di ka kasoor kya hai? bolo
tulsi: (cry outs loud) to kya mein usse kaam pyaar karti hon!!!! maaana keh usse dekhte hi mujhe beeti baatein yaad ajati hai magar mera dil janta hai keh mein usse kitna pyaar karti hon..........
charu: to phir di se kehti kyun nahi. kyun khud bhi ghut ghut keh jee rahi ho aur di jo bhi jeete jee mar rahi ho................
charu hugs tulsi and tells her to make a decision. either follow her heart aur follow her dimaag!!!...............rest you all know!!!!!!!!!!!!!
(FLASH BACK ENDS)
NEXT DAY............GAREWAL HOUSE (sunday yani choti ka din)
veena: are jaldhi keejiye na, der ho rahi hai. Mrs sinha intezaar kar rah hongi!
rishi: mama, i ready!
sujal: are tum kahan ja rahe ho?
rishi: apni bhabie jee se milne big B, aur kahan!
sujal: nahi mama, plz, rishi nahi jayega! yeh wahan sara kaam bighar dega, aur waise bhi tumhara college hai!
rishi: big b aaj sunday hai!! aur aap dar kyun rahe ho trust me na!
sujal: mama!
veena: haan rishi tum nahi jaoge, aaj sirf mein aur tumhare papa jayenge, tum yehin rahe kar apne bhaiya ko sambhalna..........
rishi: mom...not fair..........chalo koi baat nahi, face to face nahi to kya huwa phone peh baat karlunga!
So finally the garwal duo gets ready and goes to the sinha house, jahan tulsi unka intezaar kar rahi thi.....
kashsih: mama ap itni tayariyan kyun kar rahi ho? kon ane wala hai?
tusli: kuch khaas log hain, aur tum bhi zara ache se tayar ho jao!
charu was also busy cleaning the house and preparing! keh achanak door bell beeji!
ding dong.....
tulsi: shayad woh log agaye! charu ja keh darwaza khol!
charu opens the door and says namaste to veena and chetan! and welcomes them both indide.
tulsi greets them and they start to have a friendly conversation!
veena: tulsi jee, kashish nazar nahi arahi!
tulsi: jee woh yehi hain, charu ja bula keh lana di ko
charu: abhi ayi!
charu goes up in kashish's room.: di chalo mama neeche bula rahi hain.
kashish: acha ati hon.
charu: jaldhi se!!!!
kashsih comes down stairs and meets sujal's parents. veena to kashish ko dekhte hi 32 dant ki smile deti hai and chetan too is glad to see her
veena: bahut pyaari beti hai aapki! likin tulsi jee hum aaj yahan isse apni beti bana ke liye ayen hain, agar aapko koi aitraaz na hoto......mere bete sujal ke liye......apki kashish ka haath...........
everyone smiles and tulsi is over joyed..........sab khush hain siwaye...........kashish keh.
tulsi: aaj aapne mujhe meri zindagi ki sabse bari khushi di hai...................
...........charu hugged kashish, but there was no response but suddenly kashish came back to her senses and said
kashish: mama.........mein yeh shaadi .........nahi karti sakti!
tan tan tanna!!!!!!!!!!! Everyone is left shocked!
kya wajah hai keh kashish ne sujal se shaadi se inkaar kiya.......kya yeh inkaar ikrara mein badal payega...............well.........lets hope so!
its a long part today............hope i havent bored you! tc. and enjoy
farah!