CHAPTER 1 (INTRODUCTION)
'Na Wo Farishta Ho Na Farishte Jaisa Ho
Mujhe Talash Hai Uski Jo Mere Jaisa Ho
Jo Khwaab Dene Ko Kadir Ho Meri Aankhon Ko
Meri Mohabbat Ko Pehchan Sake Woh Aisa Ho
Meri Khatir Marne Ka Hosla Bhee Rakhta Ho
Koi Bhee Ho Kahi Bhee Ho Bas Aisa Ho
Agar Kabhi Ruth Jaun Mein Usse To
Muskrake Manaye Woh Aisa Ho
Jo Baat Kare To Woh Nibha Bhee Sake
Iradon Mein Woh Apne Chattanon Jaisa Ho
Dukhon Mein Hansne Ka Hunar Janta Ho
Ik Aisa Hamsafar Jo Samandar Ki Tarah Gehra Ho
Us Ke Pyaar Ki Thandak Ho Mere Liye Aisi
Ke Woh To Bilkul Aasman Ke Chaand Jaisa Ho
Woh Sirf Mera Ho Jo Nigahon Mein Haya Rakhta Ho
Umar Bhar Saath Chale Buss Humsafar Mera Aisa Ho'.
?Ussay kabhi bhi poetries samajh nahi ati thin. Han bas kuch hi thin jo anmol ne explain ki thin or un main sey ye ek poetry thi jise usnay frame karwa rakha tha kyn k usay lagta tha k yehi wo chahti hai isi main uske dil ki khwahish chupi hai.
Kitni khush thi woh kuch ghanton pehle lekin ab??? Ek haqeqat uski khushi pe question mark laga gayi, ab wo kuch uljhi hui lag rahi thi. Kal ka din jitna acha tha aj ka utna hi ajeb lag raha tha usay.
****
itne saal baad usay ghar anay ki permission mili thi sirf uske anmol bhaiyya ki wajah se warna uske papa ne usay kisi bhi qeemat pe ghar anay nahi dena tha. Ab wo kuch uljha hua tha, kitna kuch badal gaya tha us k liye. Phir usne apne guzre hue hours ko apni sochon main dhohrana shru kiya is baat se bilkul anjan k koi hai jo usi ki tarah uljha hua hai, koi hai jo uska sath detey hue apne guzre hue kuch lamhon ko dubara yad kar raha hai.
*****
?Jab se badi dadi nay btaya tha k wo sargam nagar aa rahi hain tab se dadi bohat excited thi. Puray ghar k logon ko pin chaki bnaya hua tha.
Abhimanyu: kisi ne heer ko dekha?
"Bachpan se dekh rahe hain ab tou dekh dekh k bhi thak gaye". Ahem replied.
Abhimanyu ne usay kha janay wali nazron se dekha.
Abhimanyu heer ka bara bhai thora sakht hai lekin heer se bohat pyar karta hai. Roz office janay se pehle heer ko apne pas se pocket money deta.
Kuch der intizar k baad wo heer k room main p.m rakh k chala gaya.
Ahem: taj! heer kahan hai?
Taj: kon heer?
Ahem: tum is dunia main naye aye ho?
Taj: acha...acha...wo heer jo aksar missing ho jati hai.
Ahem: just shut up. Maa usay dhund rahi hain.
Taj: cool bro, i dnt know where she is, lekin jahan bhi hogi sanskiriti k sath hi ho gi.
Ahem (worried): uff ye larki ab kahan hogi? Upar se wo laila ki photostate bhi us k saath hai.
*****
"Ji dadi main usko keh dunga woh apko call back karlega. Ji, ji thek o.k". Kunal disconnecting call.
?Kunal is prem's friend.
Arey yar ye prem bhi naa pata nahi kahan chala gaya. Hooo now i have to find him.
Kunal searching and asking about prem from others.
Kunal ne asmaan ki taraf dekha, bohat tez barish k aasar lag rahe the. Tabhi kunal ko yad aya k prem ne kaha tha k wo janay se pehle sami, eden or tashi se mil k jaega. Kunal orphan home ki taraf chal diya. Barish start ho chuki thi.
*****
"Logon k rajkumar safaid ghoray pe atay hain lekin mera ghora oops sorry mera rajkumar kalay ghoray pe ayega". Sanskriti said.
"Hye kitna maza ayega agar raste mey barish hojae or kicher ki wajah se uska ghora phisal jae". She replied.
"Tum se tou kabhi romantic baat karni hi nahi chahiye" sanskriti ne tap k kaha.
"Naa tou kya dunia k saaray ghoray mera matlab hai saray larke mars per chale gaye jo tm mjh se romantic baaten kar rahi ho?" usne bhi foran hisaab chukta kiya.
"Uff duffer main to ek romentic wish btarahi thi. God knows k tumharay life patner ka kya hoga.
?Totally unromentic u r".
"Yes i am" she laughing.
"waise tmhen kaisa life patner chahiye"? Sank ne pucha.
"waqt anay pe btaongi"
"This is wrong yaar doston se kya chupana." sank said.
She smiles and leave without saying anything.
"SUNO TOU" sank uske phichay bhagi.
"WOW baarish" usne baarish ko dekh k naara lagaya or teris ki taraf bhagi.
"ruko , ruk jao" sank try to stop her.
Wo barish main mast hogai.
Sank shout.
HEERR... Wapis aao tumhe sab dhund rahe honge.
Heer turn smile and again enjoying.
Ye hai heer raj agni ki ekloti beti apne bhaion ki laadli behen. Zindadil, shokh or har pal ko jeene wali heer.
*****
Kunal enter in orphans area.
Hey can u tell me where is prem? Usne ek larke se pucha.
Us larke ne ek direction main ishara kya.
"Thanks". Kunal says and walk.
Chap..,chap..,chap.., ki awaazen arahi thin. Kunal ne dekha k bachchon ka ek group hath main snecks pakray baarish main nahatay hue khatay or uchaltey jarahe hain.
?Kunal searching Prem. Phir ek muskurahat kunal k face pe aa gai. Kyn ki unhi bachchon k beech main usne prem ko uchalte hue dekha.
"PREM" Kunal call him.
"PREM...prem" he call again.
Prem turn saw him and again continue.
*****
Bhagyashree searching heer here and there. Now she went to teris area. Sankskiriti saw her n run towards heer.
Sanskiriti: Heer anty aa rahi hain.
Heer: Kya? Oh no bhago.
Both running and heer collide with bhagyashree.
H-maa: Larki tujhe tou uperwala samjhe har jagah dhund liya or tu yahan baarish main khel rahi hai. Chalo neechay teri badi dadi aati hongi.
Heer: Acha maa
*****
Kunal: Tu bhi na baarish ko dekh k bilkul bachcha ban jata hai.
Prem smiles n says: Baarish cheez hi aisi hai n i m crazy about nature creations.
Kunal: janta hun sab janta hun bt teri info ka graph barhatey hue tujhe btadun k badi dadi ka phone aya tha. Ek msg bhi diya hai.
Prem: dadi ka phone. Kuch khaas baat. Main thori der main dhanak pur k liye nikal raha hun.
?Kunal: khas tou hai or wo ye k ab tmhari sawaari dhanak pur nahi sargam nagar rawaana hogi.
Prem shocked: What r u saying? Sargam nagar its impossible.
Kunal: its possible buddy. Now call dadi she wait for ur call.
Prem: yah i need it.
Prem dail numbers.
*****
Heer, sanskriti and taj doing dusting n cleaning. Astha came.
Astha: hi! everyone.
Heer: hi, how r u?
Astha: fine, may i help u?
Taj: please.
Heer set vase with flowers. When kali enter.
"Pata hai... Pata hai...": kali look excited.
Sanskiriti: han pata hai badi dadi arahi hain.
Kali: no its more than it, u can't belive k kon araha hai.
Taj: kon araha hai jaldi btao kyn k tmhe ye news baqi sb ko bhi btani hogi.
Kali mind: ab nahi btaon gi.
Astha: arey isko choro ye btao kon araha hai.
Kali: abhi maine purva di ko call ki thi unho ne btaya k prem araha hai.
All in chorus: Prem?
Heer k haath se saray phool gir gaye.
*****
Kunal wait for prem. Prem enter.
"Shit man..." prem loudly.
Kunal: relax its o.k. ?Prem: No its not o.k. Mjhe sargam nagar nahi jana wahan wo hogi and i dnt want to saw her face.
Kunal: prem leave it yaar. Apna mood kharab mat karo.
Prem: No i dnt. Kitna khush tha main kitni khobsurat thi zindagi lekin us ki ek shararat ne sab kuch khatam kar dia.main apno se dur hogaya.
Kunal: that was childhood prem or us ne ye sab jaan kar nahi kya anjaanay main hua.
Prem: us ki ek mistake ne meri yaadien, mera bachpan, meri khushiyan sab spoil kar diya.
Kunal: she is ur...
Prem cut his sentence.
'she is nothing for me.
Kunal: but she is ur_ _ _?
Prem: she was my friend. Hogayi tasalli? Prem ko gussa aya wo apna samaan utha k chalagaya.
Kunal: Han bohat. Main janta hun tu aaj bhi yakeen nahi kar saka k teri saza ki wo responsible hai. Aj bhi tujh main wohi bachcha chupa hai jo is baat k intizar main hai k kab uski dost usay manaye gi. Kab heer manaye gi.
*****
"Prem" oh my God. How i face him? Heer herself.
Now she start chating with anmol who is in germany for some work.
? "Sab ko kagta hai k prem ne crystal balls (qanchay) teachers k rastay main phenke jis se wo sb gir gaye or saza main prem ko school se nikal dia. Or prem k papa ne prem ko boarding k lye bhej dia. Prem or meri maa samajhte hain k wo shararat meri thi. Anmol bhaiyya mjhe yakeen hai k prem aisa nahi kar sakta par prem ko kyn yakeen nahi k main beqasur hun?" Heer look sad.
Anmol: Yah i know every thing. But prem ko tm pe yakeen nahi hai tmse kisne kaha?
Heer: jatay waqt prem ne mjh se baat nahi ki. Gussa or shikayat ankhon main thi lekin mun se kuch na kaha.
Anmol: u know what heer hum log har cheez ko suppose kar letay hain phir sach jannay ki chah hi khatam hojati hai to sach kaise samney ayega?
Heer: Aap bohat muskil baaten karte hain. Acha choren ye sab ye bataen k aap wapis kab aa rahe hain?
Anmol: Bohat jald infact us din jis din tmhari or prem ki dosti ek nayi starting hogi.
Heer ask: r u joking bhaiyya?
?Anmol replied: No i am not it will be held dear sis. Note it into your dairy or remender.
Anmol said and disconnecting.
*****
Prem airport pe flight ka intizar kar raha tha us ne apne laptop pe mails check karne laga jo kafi dino se inbox me unread mojud thin.
"Kya heer ki engagement fix ho rahi hai? Prem shocked when he read anmol's email.
PRECAP.
Heer ko apni baat pakki honay ka pata chal gaya. She is shocked.
chapter 2
https://www.indiaforums.com/forum/post/46005399
CHAPTER 3 ( FIRST MEET)
https://india-forums.com/forum_posts.asp?TID=1743769&PID=46304534
CHAPTER 4 ( FRIEND IS NEED)
https://www.indiaforums.com/forum/post/47125283
CHAPTER 5 ( NEW MISTERIOUS ENTRY)
https://india-forums.com/forum_posts.asp?TID=1743769&PID=47484084
CHAPTER 6 (MAIN HUN NAA)
https://india-forums.com/forum_posts.asp?TID=1743769&PID=47962416
CHAPTER 7 ( U MAKE ME SMILE)
https://www.indiaforums.com/forum/post/48233530
CHAPTER 8
https://www.indiaforums.com/forum/post/48468476
EID WISHES
https://www.indiaforums.com/forum/post/48630205
CHAPTER 9
https://www.indiaforums.com/forum/post/48630219
CHAPTER 10
https://www.indiaforums.com/forum/post/49034700
CHAPTER 11
https://www.indiaforums.com/forum/post/49833848
CHAPTER 12
https://www.indiaforums.com/forum/post/51025973
CHAPTER 13
https://www.indiaforums.com/forum/post/52300434
CHAPTER 14
https://www.indiaforums.com/forum/post/52845892
CHAPTER 15
https://www.indiaforums.com/forum/post/53521894
CHAPTER 16
https://www.indiaforums.com/forum/post/54781283
CHAPTER 17
https://www.indiaforums.com/forum/post/55051430
CHAPTER 18
https://www.indiaforums.com/forum/post/56370968
CHAPTER 19 (JUNOON'S TRUTH REVEAL.)
https://www.indiaforums.com/forum/post/57275923
CHAPTER 20
https://www.indiaforums.com/forum/post/58252520
CHAPTER 21
https://www.indiaforums.com/forum/post/59894279
CHAPTER 22
https://www.indiaforums.com/forum/post/62238721
CHAPTER 23
https://www.indiaforums.com/forum/post/64117892
CHAPTER 24
https://www.indiaforums.com/forum/post/67306574
CHAPTER 25
https://www.indiaforums.com/forum/post/72951156
CHAPTER 25-2
https://www.indiaforums.com/forum/post/73176671
Edited by annokhi - 12 years ago