Chapter 2
"?Kitne achay din they naa main prem or hamari cute si dosti. Kitna satati thi main prem ko. Par aaj pata nahi kaise samna karungi main prem ka".
Heer still thinking.
Sanskriti enter and said.
Heer badi dadi or unki family agai hai, Chalo sab se mil k atay hain.
Heer: Han chalo.
****************************************************
" Heer or shub". Prem arn't accept this fact.
Heer ne ek baar bhi mjhe nahi btaya, mana k us din k baad se na main ussay mila, na baat ki or nahi koi raabta (connect) rakha but ek baar, ek baar tou wo mjhe bata sakti thi.
Najane kyn prem ko bura lag raha tha k heer ne us se itni bari baat chupai.
"lekin wo mjhe kaise batati koi connect bhi tou nahi rakha maine, its o.k prem kya rishta hai tmhara heer se? Cousin just cousin or zarori tou nahi k har baat apne cousin ko btayi jae". Prem try to chill his self.
Prem: fine miss heer agar aisa hai tou aisa hi sahi lekin ab tmhen mere sath kiye gae us mazak ka jawab dena hai k tumne mere saath aisa kyn kiya???.
***
?Wo sab se mil rahi thi, b.dadi, jaya bua, shub, or najanay kon kon lekin us k saara dhayan sirf prem ki taraf laga hua tha wo abhi bhi usi ko soch rahi thi.
"Mere sarson k khet" is awaz ne heer ko hila diya. Phir usay preet k chehra nazar aya.
Preet: aray mere sarson k khet ki haal ay tuadda?
Heer gussay se: tmse tou bohat acha hai na shakal na aqal.
Preet agay bhi kuch kehta lekin uski purva di ne uska ear pakar liya.
Preet: di plz mera kaan choro sab dekh rahe hain.
Purva: no way tmne phir usay chiraya.
Preet: plz see wo b mujh pe hans rahi hai.
Purva: heer kya khayal hai. Chor dun?
Heer: han di aaj k liye itna kafi hai.
Purva release his ear.
**********************************************************
CORIDOOR:
Shub: heer mjhe ek cup coffee chahiye.
Heer jo apne cell pe apne chachu se baat kar rahi thi distrub hogai.
After disconnecting call.
Heer: shub tum dekh rahe they k main kisi se baat kar rahi hn. Phir bhi? Or coffee wo tou mjhe nahi pata k kaise banti hai.
Shub: i dn't care i want n u have to make it now.
**********************************************************
KITCHEN:
?Heer try to make coffee when sansk enter in kitchen.
Sansk: arey wah aaj tou kitchen ki kismat chamak gai, log is main kaam karne jo aye.
Heer: mujh se ye ban k nahi derahi or tu mjhe tanay mar rahi hai.
Sansk: what?
Heer: coffee. Shub ko chahiye.
Sansk: oh God! Shub? I dnt know bt i hate him. Ego man siwae order dene k or koi kaam nahi hai usay?
Jab se prem gaya tha heer pe shub order chalanay laga. Heer na chahte hue bhi os k order manti.
Heer: leave it. Ye shub ki nature hai. can't change. Tu coffee banaday gi?
Sanks: no way us devil k lye tou kabhi nahi. Infact i need ur help.
Heer: dn't say him devil and help?
Sanks: yap actualy kal wo dor par ka rishtaydar larka araha hai main chahti hun k mom se pehle tu ussay miley. Takay kuch observe karsake.
Heer: oh wo larka jis ka proposal tere liye aya tha.
Sansk: han wohi. Tu milaygi naa?
Heer: 1 shart pe. Coffee bana or sugar zayada dalna.
Sanks: zeher na daldun.
Majbor ho k sansk ne cofi bana di or heer le k chali gai.
?Hanstay kheltay ye din pura hua. Heer k ghar k samnay wala ghar badi dadi ka hai jahan puri rathod family rehti hai. Agni house k sidewala ghar aastha ka hai wo recently rathod k brabar walay ghar se heer k ghar k next home main shift hui hai.
***************************************************
NEXT MORNING.
Prem home.
P.maa: maine tou socha tha k heer ko prem k liye mang lun gi lekin shayad kismat ko kuch or hi manzur tha.
Purva: maa kya ab bhi kuch nahi hosakta? Heer tou mujhe bhi bohat pyari hai. I want her as my sis in law.
P.maa: nahi ab kuch nahi hosakta anay walay kuch dino main heer or shub ki engagement hojae gi.
Purva: let fingure cross n hope that every thing will perfect for heer and her upcoming life.
***************************************************
Bhagyashree heer ko aaj hi sab kuch btana chahti thin unhon ne soch liya k heer ko kaise sab kuch btana hai.
*****************************************************
Prem delhi airport pe clearence karwa raha tha. Us k dil or dimagh main jang continue thi. Wo jana chahta bhi tha or nahi bhi. Bohat uljha hua tha.
?Aaj ka din wo kaise bhul sakta tha. Aaj friendship day tha. Us nay apnay saman se wo eklota friendship band nikala jo saalon pehle aaj hi k din heer ne usay baandha tha. Usay dekhta raha phir ek faisla kiya k wo sargam nagar jae ga. Or is faisle sey ek dam khud ko halka mehsus kiya.
******************************************************
Heer lawn main bethi thi sanskriti enter. N hold her.
Sans: happy friendship day.
Heer just smile n quite.
Sans: u miss him?
Heer ki ankhon main halki si nami agai.
Sans: lets cross ur fingure he will be reach soon.
Heer: i wish k sab kuch pehle jaisa hojae.
Sans: n i wish k tmhari har wish puri ho.
Heer: thanks sanu u r such a loyal friend.
Sans: wo tou main hun. N han dnt forget us larke se milna hai.
Heer: yah.
*****************************************************
IN EVENING:
Heer or preet main choti choti figthing horahi thi. Baqi sab tayari kar rahe the aaj agni family ka dinner badi dadi k ghar pe tha.
******************************************************
HEER HOME:
P.maa: tumne heer ko btadiya uske rishtay k baray main?
H.maa: nahi jiji, aaj raat ko btaon gi.
?P.maa: han usay is baray main ab jaldi btana hoga. Kyn k jo baat kuch waqt pehle baron k beech thi wo bohat jald sab ko pata chal jaegi. Anmol ko btaya?
H.maa: han usay heer prem se kitna lagao hai, is lye btadiya takey wo jald se jald wapis aye. Lekin...
P.maa: lekin kya?
H.maa: mjhe aisa laga k wo khush nahi hua jaise usay hona chahiye tha. Shayad mera wehem ho.
P.maa: hosakta hai. Khair jo bhi baat ho heer se clear karna or agar bachchi razi na ho tou plz koi dabao mat dalna.
H.maa: main bhi us ki marzi janna chahti hun. Bas ek baat jo mjhe khatak rahi hai k maa or badi maa ko pehle shub or heer ki marzi pata karni chahiye thi. Main ye nahi keh rahi k dono ne galat kiya lekin agar heer or shub main se kisi ko aitraaz hua tou...?
P.maa: tum sahi soch rahi ho lekin ab tou jo hona tha hogaya. Issey pehle k heer ya shub ko kahin or se is rishtay k baray main pata chalay tm heer ko btado k us k liye shub ko uski dono dadiyon ne chun liya hai or Bohat jald annoucement bhi honay wali hai.
Heer jo kisi kaam se wahan ayi thi sab sun k shocked hogai. She feel serious pain in head and after a moment she faint.
***********************************************
At Night
All r in prem niwas (rathod's home). Everyone asking about heer b/c she has not come. Becouse of her faint condition, her mother left her at home with aastha. She kept heer condition secret. N tell everyone that heer has some college work n low flu so she can't came.
*** *************************************************************
PREM FLASHBACK OVER:
Prem abhi tak heer ki sochon main gum tha.
"ye sari umer kis pareshani main bekaar kardi,
usi ko yaad rakha hai jise dil se bhulana tha"
shair parh k wo muskuraya. Wo sargam nagar k airport pe samaan check karwa k bahar araha tha. Thandi hawa k jhonke ne usko welcome kiya.
Prem: haaa! Kiya hawa hai wah! Ajeeb baat hai kahin kuch khamosh sa hai kuch tou wajah hai warna itna acha mosam or itni udaasi...
He take taxi for his home.
*********************************************************
HEER FLASHBACK OVER:
zor ki bijli karki jis se heer ka flashback toot gaya.
??Wo apne ghar ki chat pe khari thi ek haath main framed poetry liye chaand ko tak rahi thi. Tabhi aastha wahan chai le kar agai.
Astha: ye lo chai... Tmhari chai ki tarah best nahi hai lekin guzaray laiq hai.
Heer: thanks astha.
Astha: u know what. Tum is raat ka hissa lag rahi ho. Red choridar pajama, frock style qameez or ye jalidar khubsurat dopatta. Agar main shaa ir hoti tou aaj ek ghazal tou tumhare hussun pe likh hi deti.
Heer (shy): asthaaa.
Astha : wow silent n shying beauty.
Heer: astha plz.
Astha: o.k.
Heer: aaj chand kitna khamosh hai or ye hawaen bohat bechain. Jesi aaj kuch aisa honay wala ho jo hamesha k liye qaid hojae, tham jae.
Astha: tum bhi apne anmol bhaiyya se kam philosper nahi ho.
Is say pehle heer jawab deti ek tez hawa ka jhonka aya jo usay kisi k anay ki khabar dey gaya.
PRECAP:
After a time period heer and prem will meet.
Edited by annokhi - 13 years ago