sorry guys for not replying ur comment properly... coz of time shortage, sorry for too late and short update..
CHAPTER 19
JUNOON'S TRUTH REVEAL...
He enter in his room, where sargam's sketch is place. He saw it. Place his hand on sketch. As usuall room is totally dark. Dim light came from unjoint sides of heavy curtain.
Junoon says:
"Hmmm!(sigh) kitna kuch kehna hai tumse, kitna kuch sunna hai tumse lekin... Khair choro janay do. Pata hai Sargam tumhari lambi lashes wali khubsurat ankhen mujhe bohat pasand hain. Deewana hun tumhara. Pagal hun tumharay ishq main. Tum mera junoon ho sargam, MERA JUNOON"
Suddenly someone enter from junoon's back side and close the door with full force to show his anger. Junoon smile coz he know who is enter. Junoon still in his position, not turn toward him.
Junoon: i know k aap yahan zaroor ayen gay.
He replied: aana para, tumhari harkat hi aisi thi k mujhe yahan aana para.
Junoon innocently ask: maine kya kiya?
That person move forward. Now his face clearly show. He is anmol "ANMOL AGNI".
Anmol angrily saw his back: ab ye bhi main bataon? Award lene wala koi kaam nahi kya jo itnay shant ho k puch rahe ho.
Junoon: nahi yaar ek oscar tou banta hai.
Anmol: apna thopra (face) idhar ghumao.
Junoon: kyun picture leni hai?
Anmol: han! Aur police station bhejni hai. Police tou waise bhi tumhe dhoond rahi hai.
Junoon: reward dene k liye?
Anmol: han wo bhi 3rd degree k roop main.
Junoon: aap faaltu main naraz ho rahe hain, maine aisa kuch bhi nahi kya.
Anmol: oh! Really? Our uss bus k 5 larko ki dhulai unke rooms main jaa kar kis ne ki?
Junoon: konsi bus? Konsa room aur konse larke? Main apko detective lagta hun?
Anmol: wo bas jis main heer galti se chali gai thi. Wo larke jinho ne heer ka rasta rok k misbehaive karne ki koshish ki thi. Or wo room jahan wo zakhmi halat main mile. Or haan tum detective nahi ho, tum tou wo pohchi hui cheez ho jis ka band mere hathon bajay ga.
Junoon: how sweet naa!
Anmol: turn! I say turn. (shout) turn.
Junoon turn and switch on all buttons of light. That is not junoon that is"PREM RATHOD".
Prem smiles, anmol's anger touch high peak after saw prem's naughty smile.
Anmol: u idiot! Pata hai smile achi hai, islye mun band kar warna abhi ye sketch leja kar heer ko dikha dunga.
Anmol point his fingure toward sargam's sketch.
Prem: ya sure aapki chahiti lado ko bhi pata chalna chahiye k main kitni achi sketching karta hun.
Prem, anmol ko tapa deta hai.
Anmol: prem k bachchay...
Prem: kahan hain? Dekhna main apni khud ki football team banaonga. Saray bachay ek jagah. Kisi ko kahin dhondnay ki zarorat nahi paray gi, sab kahen gay wo dekho prem rathod ki janmi hui football team. Kaisa?
Anmol control his smile and gave him angry look: "dur k dhol suhanay" ek baar heer ko pata chalne dey k tu kitne roop main uske samne hai phir dekhna. Lag pata jaega.
Prem: aur usay ye pata chal gaya k aap kitne baray planner hain tou?
Anmol: dhamki mat dey. Samjha apni soch.
Prem: heer ki zindagi main uska survivor bhi main, uske cell pe messages karne wala, uska har jagah peecha karne wala bhi main, usay unname parcel bhejne wala bhi main, uska dost, uska fiance uska couzin bhi main, usay email karne wala SOULMATE bhi main. Kahan tak bhagay gi wo, jahan bhi jaegi mujhe hi pae gi. Maine usay har taraf se apne hisar main qaid kar rakha hai. Wo mujh se dur ja hi nahi sakti. Heer sirf meri hai. Suna aapne bhai? "HEER SARGAM AGNI" sirf aur sirf "PREM RATHOD" ki hai. Mar jaonga lekin usay khud se dur janay nahi dun ga.
Anmol saw Prem. Prem ki ankhon main ishq ka pagal pan. Uska junoon nazar araha tha. Anmol ek pal k liye kanp gaya.
Precap:
anmol ask prem. "Is he really love heer? U arn't love heer". Prem yelled on anmol.
Edited by annokhi - 13 years ago