CHAPTER 16
Ahem bohat khush tha ke jo usnay chaha wo pa liya, sanskriti bhi khush thi (har larki khush hoti hai iss main naya kya hai 😉) lekin iss khushi main uss ka ek darr bhi chupa tha k kahin uss ka career or parhai... Adhuri na reh jae. Heer se uski narazgi khatam hogai lekin ahem pe usay abhi bhi gussa tha, Kyun k pehle larne k elawa koi dusra kaam nahi tha or ab msgs or calls k elawa koi or kaam na tha.
Prem and heer are confuse between is they r happy or not? Jab se prem heer ki engagement hui hai tab se dono ki ek bar phir se thun gai. Ab prem, heer ko alag andaz se tease karta hai or heer uski harkaton pe jal bhun kar koyla hojati hai. Or prem uski bebasi pe muskuraya karta hai, Jo heer ko or tapa diya karta hai.
Junoon ne 2,3 times heer ki help ki, jis ki wajah se uski heer ki zindagi main ek important jagah bangai.
--------------------------------------------------------------------
After few days:
Heer enter in her house living room. She saw prem sit near her mother. Prem saw her when she enter.
Prem: maa mujhe chai peeni hai.
Bhagyashree: han beta kyun nahi, abhi ban jati hai chai bhi.
Heer in head: "maa" hmmm, ek tou zabardasti meri maa ko khud ki "maa" banaliya or ab jab dekho farmaishen karte rehte hain, jaisay yahan tou inke liye nokaron ki line khari hai.
Prem: mujhe dil main kos chuki ho tou andar ajao, chokhat pe hi khari hogai.
Heer andar agai.
Prem: maa! Chai...
Bhagyashree: han banwati hun.
Prem: mujhe servant k hathon se bani chai nahi peeni.
Bhagyashree: phir kis k haath ki bani chai chahiye meri? Abhi bana deti hun.
Prem (fake shy): wo... Wo na mujhe heer k haath se bani chai peeni hai.
Bhagyashree: mera bachcha sharma raha tha bolne se. (to heer) ja heer, prem k liye achi si chai bana k la.
Heer: kyun main kyun jaon? Main abhi itna thak k i hun. Main nahi banaon gi or waise bhi ye chai nahi peetay, ye tou coffee peetay hain.
Prem: maa rehne den, yahan tou kisi ko qadar hi nahi hai meri main ja raha hun.
Prem janay k liye khara honay laga, bhagyashree ne usay rok liya or heer ko daant kar chai banane bheja. Heer mun phula kar janay lagi tou prem ne mun chara diya, heer usay gussay se dekhti hui chali gai or prem muskuranay laga. Wo aise hi heer ko pareshan karne laga tha.
---------------------------------------------------------
Sardar: kya khabar laye ho?
Khabri # 1: "totay" or "maina" ki phir larai ho gai hai, wo dono apne pinjray ko tornay k chakkar main hain.
Sardar: hmm! Iss pinjray ko torna ab unke bas main nahi hai, waise kya khayal hai "maina" ko "koyal" bana diya jae?
Khabri # 1: main samjha nahi...
Sardar: jald samajh jaoge..
Khabri# 2: sardar saray arrangments hogae.
Sardar: very good.
Khabri# 2: thanx bhai..
Sardar: ooye no bhai only sardar. Ab jao dono.
Dono chalay gae. Sardar (anmol) smiles.
----------------------------------------------------------
Ahem call sanskriti.
Ahem: k c ho?
Sansk(bored): waisi hi hun jaisi ek ghanta pehle thi.
Ahem: o.k abhi kya kar rahi ho?
Sank: ye soch rahi hun k apko call or msgs k elawa kuch aata hai ya nahi?
Ahem: tumhen mera call karna, mera msg karna, tumhara khayal rakhna acha nahi lagta?
Sansk: wo baat nahi hai, par har chez ek limit tak achi lagti hai usse zayada nahi.
Ahem drop call without say anything.
Sansk: shayad bura maan gae. Ufff! Maine kaha hi kyun? nahi kehna chahiye tha...
Sanskriti feel bad, and also worried.
-----------------------------------------------------------------
Heer, taj or kali qareeb k kheton main ghusay hue thay. Heer pose banati jarahi or taj uski tasveeren khata khat laita jaraha tha.
Taj: di ab aise jaise kisi ka intizar kar rahi ho.
Heer: o.k
she make pose as taj said, taj capture her photo.
Heer listen a sound eco in whole field "sarson k khait"
they all find that place where sound came.
Taj pointing preet who run towards them and shout "sarson k khait".
Heer angrily saw him.
Preet came. Uska sans phool raha tha.
Preet: ha...hi! Khait pe jarahe thay to mujhe btaya kyun nahi? Main bhi enjoy shnjoy kar leta photo shoto khincha k. Hain jii...
Heer (pout): u idiot! Puray khait main tumhari stupid awaz gunj rahi thi. How dare u call me again n again that "sarson ka khait"?
Preet: aaa! I forget u r my would be bhabhi... Now, I have no right to call u "sarson ka khait".
Heer: absolutly..
Preet: now i will call u "sarson bhabhi"... Aray meri sarson bhabhi.
Heer: wat? Nahiii...
Preet: prem bhai kya bolen gay? Mmm... "aey meri sarson darling".. Waise darling better hai ya jaan?
Heer jutti utar k boli: theher kambakhat tumjhe main batati hun k kya better hai..
Preet run, heer run behind him. Taj captured this momments, and kali laugh to saw both running.
----------------------------------------------------------------
Wafa Wo Khel Nahin Jo Chote DlL Wale Khailain
...""Dost""...
"Rooh Tak Kaanp Jati Hai
Khafa Jab Yaar Hota Hai.
Heer think: why he sent me this?
Prem sent new message.
"sorry shayad tumhe bura laga k mere kehne pe tmhari maa ne zabardasti tumse chai banwai."
Heer replied: han! Par its o.k. Main aapse badla lun gi.
Prem smile and type.
"try it, but u can't"
Heer replied: itna guroor acha nahi hota Mr.Rathod.
Prem smile and type.
"guroor hai ya fakhar ye tou jald pata chal jae ga aapko would be Mrs. Prem Rathod."
Heer blushed and type.
"O.k bye"
Prem: mere shair ka jawab tou de do.
Heer naughtly smile.
"Aaj apni Mohabat ko naya morr diya us ne,
Mere liye baalon ko khula chorr diya us ne!
Pehle hansta tha main muh khol k,
Ab sharmindgi hoti hai aage wala daant torr diya us ne!
Us ne sargoshi ka kaha main betaab ho gaya,
Kaan paas kiya to marorr diya us ne!
Sardiyan aaeen to laya maaltay mehboob k liye,
Malta kha k chilka ankhon main nichorr diya us ne!
Bewafai ki had b dikha di ik din us zalim ne,
Milne ghar gaya to pechay kutta chor diya us ne."
Prem huge laugh is eco in his room.
Prem type." hillarious! O.k bye c u soon".
Heer put her mobile and go to dinning hall.
-----------------------------------------------------------------------
Prem heer ka rishta ajeeb uljha hua sa hai kabhi ek doosray ki jaan k dushman tou kabhi ek doosray ki khushyon k rakhwalay. Kabhi larna, kabhi roothna manana. Kabhi ek dujay se khafa tou kabhi khud se khafa. Dono nahi jantay aisa kyun? Khud dard dey kar khud marham rakhna. Khud hi ek dusray ko satana or khud bhi baichain rehna. Kyun? Iss "kyun" ka jawab ab shayad waqt hi dega.
Next day:
Anmol planned a picnic.
"Family members comments"
H.maa: beta jo bhi khana ho bata dena main sab ghar main bana dun gi.
P.maa: tum bachay chale jana hamara kya kaam.
P.paa: picnic jaise fuzool kamon ka time nahi hai mere pas.
H.paa: aray yar iss umar main picnic manata acha thori lagun ga.
Abhimanyu: i m ready.
Anjali: wow! meri iss family main pehli picnic.
Ahem: picnic wo bhi sanskriti k saath.
Taj: yuppy picnic...
Purva: chalo kuch tou naya hoga iss picnic pe.
Preet: picnic + preet = more fun. Superb!
Kali: mujhe picnic k hisab se ek dress leni hai.
Kunal: main bhi chalun? plz.
Prem: picnic k bahanay yahan k places dekh lun ga.
Heer: main tou khub enjoy karungi.
Sansk: picnic k bahanay shayad ahem ko apni baat clear kar paon.
Anmol: koi tou puch lo k jaa kahan rahen hain? Koi bhi nahi puch raha sab apni kahe ja rahe hain.
Anmol pout.
Precap:
picnic praperations.