Etni beijjati to shayad Gopi ki bhi nahi hue hogi. Aur shayad Gopi Vahu me Anupamaa se jyada self-respect tha.
Ye DKP wale.. (&£@%¥$) hame sikhana chahte hain ki property me hissa lene, Divorce ke baad alimony lene se women ka self-respect Kam ho jata hai. Domestic violence hone par police me report darj karna Vamp jaisi harkat hai. Lekin family se lagatar beijjati sahna, abusers ko pyar karne/unki pooja karne se self-respect kam nahi hota, balki ye sab karna hi to hamara Sanskar hai!!
Bhale hi kuch women ko majburi me ye sab karna padta hai (kyonki wo puri tarah helpless hoti hain. mind you, kisi ko bhi aise hatheli me rakha sab kuch nahi mil jata. Ulte unhe to tinka bhar haasil karne ke liye kamar tod mehnat karni padti hai) lekin kai women Anupamaa ki tarah ye sab apni Khushi se karti hain. (Abhi main psychological trauma ke karan aise bartaav ki baat nahi karungi, kyonki definitely iska angle to hamesha rahta hai. Lekin is issue par pahle hi bahut kuch bola ja chuka). Baat ye hai ki keval ek Anupamaa ka empowerment hi maayne nahi rakhta. Anupamaa jaisi women sirf trauma ke karan nahi Patriarchal power play me khud ko majbut banaye rakhne, "mai dusri women se acchi hu" ka tag paane ke liye ye sab karti hain aur aisa sab karke khud to bechaari bankar ro leti hain lekin ek second ko bhi nahi sochti ki unhone apne khel me kitni women ki life barbaad kar di hai.
Is show me to sab unrealistic hai kyonki is show me to sirf ek aurat ka hi pain sab kuch hai, baaki sab Vamp hain. Lekin, real life me aisi women sabse jyada chot apni betiyo ko deti hain. Apno betiyo ko "Mother wound" deker unhe Puri life aise hi abuse sahne ke liye taiyar karti hain.
Anupamaa jaisi women disgusting hain. It's not because of love (kyonki pyar ke liye pyar ko janana aur pechanana jaruri hai) they indulge in these behaviours, they do this for two reasons:
1) Their addiction to their pain
2) Their commitment to patriarchy (AKA Sanskar)
Such a pathetic and useless character RG played here.
13