do naam ek jaan (a fan- fic) - Page 2

Created

Last reply

Replies

86

Views

10.1k

Users

24

Frequent Posters

golu_1677 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#11

Really good. Kahan end kiya jaldi se aur likho pls...

group_1223 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 19 years ago
#12
gr8 story.........itz diff 4m oderz..will b eagerly waitin 4 da nxt partz.....
mehraal thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 19 years ago
#13
Rajeev1! i must say!u'r story is different and quite challenging,it was fun to read! continue soon!
Sehar_Sheikh thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 19 years ago
#14
wow 👏

grt concept and grt going

plz continue...
rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#15
hey thanx guys, i really appreciate your comments, i'll post the next tonight! hope you enjoy it. thanx once again 😳 😊
rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#16
ok guys i will continue further......

Principle is played by....lets see......ok Lalit Raheja (kth, i dont know his name)

kashish ghuse se pehle sujal ki taraf upar se neeche tak dekhti hai aur phir principle ki taraf murti hai aur kehti hai
kashish: Sir yeh mein kya sun rahi hon, app ne mera naam final students ki teacher ke liye appoint kiya hai, app jante hain na keh us calss mein kis tarah keh students hain.....(again stared at sujal).....aur phir mere paas to itna experience bhi nahi

Principle: kashish beta tum mere sab se ache doost ki beti ho, kya mein tumhar liye kabhie koi ghalat faisla kar sakta hon?
kashish: nahi sir...magar.....mein....kaise?
principle: tum kaise se kya matlab? jab mujhe yakeen hai keh tum handle kar sakti ho yeh job to phir kyun mana kar rahi ho.
kashish confused ho jati hai, usse samajh mein nahi ata keh kyun woh apni taraf ane wali promotion se bhag rahi hai ( ya phir promotion se zaida woh rishi ek bare mein soch rahi thi)

while this discussion was happening btw lalit and kashish.......wahan sujal khara sun raha tha aur nazrein kashish par tikayi hui thi. kabhie kashish keh haathon ki tarf dekhta to kabhie masoom ankhon ko, to kabhie uski nazar uske lambe balon par jati to kabhi uske galoon par............he was totally bowled over by her bueaty.......magar kya yeh pyaar tha?

Sujal: rehne deejye na principle sahib. mera nahi khayal keh yeh students ko par ha payeingi (he said it in a very sujal like tone, attitude)
Kashish yeh sun kar uski taraf bhari aur kaha: jee?
sujal: jee!!
kashish: aap kon hote hain humein batane wale ke kya karna chahiye aur kya nahi? (she was now angry, actually woh bhi sujal jaise handsome larke ko dekh keh kuch nervous feel kar rahi thi......magar jab kashish ko ghusa ata to bus na woh age dekhti thi aur na peeche)

sujal: principle sahib, jo teacher class shuru hone se pehle itna ghabra rahi ha woh class mein kya kare gi, i think she is not fit for the job.
kashish: hello? app samajhte kya hai khud ko, and how dare you say something like that to me, aap mujhe jante bhi nahi
sujal: mein khud ko jo bhi samjhon filhaal mein aapko achi tarah se samjh gaya hon aur ek baat janta hon jo app nahi janti (kashish ki taraf bhate huwe, sujal ek kadam age rakhta to kashish ek kadam peeche karti)
kashish: kya.....kya jante hain aap mere bare mein?
sujal: yahi...
kashish yahi kya..........
sujal had almost cornered kashish by now or principle beech mein interupt karta hai to sujal aapna haath peeche ki taraf utha hai...signaling to him to not to interfere
sujal: yahi keh.......
kashish aapne forehead par haath pherte huwe,.......
sujal: yahi keh aapke peeche dewaar hai
Bang!!! kashish deewar mein ja lagti hai.
Sujal: jo larki khud keh kadomon ka hissab na rakh sake woh is desh ki ane wali naslon ko kis rah par chalaegi!! (yeh keh kar sujal peeche murta hai)
kashish is waqt itne ghuse mein thi jaise keh woh ek erupting volcano ho
kashish: excuse me! mein un larkiyon mein se nahi jo daar keh mare aapni rah badal dein. mere kadam dagmaga zaroor saktein hain magar mein kisi bhi keemat par apni manzil nahi badalti, aur raha sawaal meri kabliyat ka to woh mujhe sari duniya ko dikhane ki zaroorat nahi hai. haan albata mein ane wali naslon ko kis rah par chalna sikhongi.....woh to ab aapko aapke bhai hi bhetar bataeinge (she said all this with "i'll teach you a lesson" sort of a look)
kashish: principle sahib....mein chalti hon, class ka time ho gaya hai!
principle: magar kashish tum to.......
kashish: jee mein hi ab final year ko par hon gi, zara une bhi to pata chale keh mein kis kisam ki larki hon!!!.
yeh keh kar woh darwaze ki taraf muri, jahan sujal khara tha, kashish stared at him right through his eyes........and then started to walk pass him......keh achanak atka...........jee han kashish ka dupatta hamesha ki tarah sujal ki ghari mein atka. kashish ne peech mur kar dekha aur duappta churwane ke liye peech muri.......likin bechari kashish ghuse keh mere usse dupatta hi nahi nikal raha tha................aur phir wohi huwa jis ka intezar tha,,,,,sujal ne apni jaib se dosra haath nikala aur dupata nikalne laga keh dono keh haath apas mein takraye...........dono ne ek dosre ki taraf dekha aur is bar kashish ki ek hi nazar kaam kar gayi............seedha sujal ke dil mein uthri!!!!!! (thoda sa pyaar huwa haiiiii...thoda hai baqi.....background score)
kashish apna haath peeche kheechti hai aur dupatta khud ba kudhi nikal ata hai, aur kashish bhi office se bahir nikal ati hai..........
peeche chor jati hai ek asia chakas jo ab bina uske udhura hai!!!!!!

kya sujal khud ko pura kar payega......kya yahi pyaar ki ghanti kashish ke bhi dil mein ghar karegi...............well......lets see..................waiting for your comments
sara_naveed00 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 19 years ago
#17
WOW...UR STORY IS GR88 GOIN!! I JUS THE SCENES AND THE DIALOGUES!! U KNOE WHD..I CAN EVEN IMAGINE RAJEEV N AAMNA..DOIN THE PERSPECTIVE ROLES!! WOW..!! PLZZZZZZ CONTINUE SOOOOOOOOOON..M WAITING!!!! 😊 😊
rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#18
so guys i am back with the next part!!!

kashish to bina kuch kahe wahan se chali jati hai aur sujal ek kash mokash mein reh jata hai
principle: yeh kashish hai hi aisi
sujal principle ko dekhta hai aur phir apne us haath ko jis ne kashish ke nazuk haath ko mehsoos kiya tha.....
sujal: (in the rajeev's style) Kashish...... and yeh keh kar smile karta hai aur bahir chala jata hai.
the principle goes back to work. Jab sujal bahir ata hai to dekhta hai keh zameen peh ek kitaab parhi hai.He picks up the book and reads....."kashish sinha".
sujal: yeh to kashish ki hai, shayad ghalti se gir gayi ho gi. Kashsih abhi zaida dor nahi gayi thi aur sujal kashish keh peeche peeche chalna shuru ho jata hai......kitaaab waapis karne.

Kashish realizes keh sujal is following her, she starts to walk faster.
sujal: excuse me!
kashish bina jawab diye age chalti rehti hai, as if ignoring him
Sujal: mein aapse baat kar raha hon
kashish ek dum ruk jati hai aur sujal ki taraf palati hai.
kashish: Jee ab kya masla hai? (in a strict tone)
sujal: dekhiye.....
kashish: mein nahi ab app dekhiye ( she was alomost shouting, ird kird keh students unki taraf dekhna shuru ho jate hain, sujal felt a little embarrsed). pehli nazar mein mujhe laga tha keh shyad aap suljhe huwe insaan hain likin aapki baatein aur yeh har kat dekh kar mujhe yakeen ho gaya hai keh aap awargi mein apne bhai se bhi do haath agye hain. is tarah se mujhe follow kar ke aap sabit kya karna chahte the.....mein aap jaise larkon ki fitrat achi tarah se janti hon....likin mein un larkiyon mein se nahi........aur yeh baat aap yaad rakhiye ga! (she ended her lecture while pointing a finger towards sujal's face)

yeh sab keh kar kashish dosri taraf muri , likin isse pehle ke woh ek kadam bar haye, sujal ne uska bazoo pakra aur apni taraf zor se kheecha. (ab to jo log nahi bhi dekh rahe the dekhna shuru ho gaye). sujal ne usse peeche se pakar liya. kashish uske bahut nazdeek thi. dono ek dosre ko dek rahe the, sujal to kuch zaida hi ghor se. (song time.......
............ammne sammne hain
humare dil oo janum
kya yahi hai mohabat
mujhse puche mera maan
teri bataon ne mujhko
teri oor hai kheecha
teri bahon mein jaise,
pehle bhi waqt hai beeta
teri sasein yeh kahein.....
oooooooooooo
pyaar peh yeh bhi chalein
manja ho humari
dil ne tujhko chuna hai, mere humari
thoda sa pyaar huwa hai....thoda hai baqiiii!!!
(music ends.....and both come out from their fantasy back to reality)

sujal ne eek haath se kashish ko pakra huwa tha aur dosre haath se woh kitaab kashish keh samne ki
sujal: yeh kitaab....apki hai......lotane aya tha
kashish: ek lambi sans leti hai aur nazre jhuka ti hai (sharmindigi ki wajah se. woh kya soch rahi thi sujal keh bare mein aur woh kasia nikla)
kashish: (kitaab pakarte huwe) jee.woh........mein......
sujal: thanx ki zaroorat nahi hai ( yeh keh kar woh kashsih ko chorta hai aur side se nikal ta hai, par jate jate uska kandha kashish keh kandhe ko chuta hai aur kashish sujal ki taraf murti hai aur use rokne ke liye haath bharati hai .......likin bahut der ho chuki hoti hai............sujal to wahan se ja chuka hota hai. kashish apologetic feel karti hai aur wahan khare log use dekh rahe hote hain, with a "tum ne acha nahi kiya" look.

ab sujal aur kashish apni apni manzil ki taraf chale jate hai.....are kashish class mein aur sujal apne daftar.


BACK AT KASHISH"S HOME

tulsi is doing pooja aur pooja keh baad woh professor sinha ki tasveer keh paas jati hai aur kehti hai
tulsi: na chate huwe bhi na jane mein kashish ko kyun takleef pohanchti hon. mera dil janta hai keh is sab mein uski koi glati nahi......magar usko dekhte hi beeti sari baatein yaad ajati hai......aur najane kyun khudh peh kaboo nahi rakh pati. aap the to usse bhi sambhal lete the aur mujhe bhi........magar ab (she has tears in her eyes).........mein cha kar bhi usko nahi sambhal paongi........mein khud se sach chupa sakti hon....duniya se chupa sakti hon......likin kashish se sach chupana ab mere liye mushkil ho gaya hai.
kyun mujhse is mushkil mein chor gaye.......mein kya karo kuch samjh nahi araha hai (woh tasveer ko table peh rakhti hai aur khud rona shuru ho jati hai)

yeh kya sach hai jo tulsi apne maan mein dabaye huwe hai......woh kya sachayi hai jo usse kashish se dur rakhti hai...........janne ke liye ..........ummmm...intezar!!!!!!

guys waiting for your comments!!!! and yes woh thoda sa pyaar ke verse ke lyrics are my own!!!!
pinkstarrs_9 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#19

👏.............................................plz continue.too good

pink

aromi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#20
kitnaa ladte hai yaar ye dono
thoda sa pyar bhi karwao naa pleaseeee 😛

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".