kashish was heading towards her class and as she entered the class she took a deep breath....she herself knew that its not going to be easy.....likin this is her part of proffession aur kisi keh daar se woh peeche hatne wali nahi!
one of the girls: are charu, teri sister.....is she going to take the class
charu was sitting with her gruop of friends...
charu: are di....aap
kashish ne charu ki awaaz suni to uski taraf palti aur kaha: its ....Ma'am.
charu yeh sun kar thoda sharminda par bahut zaida proud feel kar ne lagi. akhir kyun na hoti ....her di had just got promoted. wasie uske maan mein yeh bhi chal raha tha.....(ayen zara charu keh maan ki baat sune)
charu's maan: are wah yaar charu. teri to nikal pari. ab to di sara kaam kar ke deingi.......i bet keh mujhe itna easy final year kahin karne ko nahi milta.
as she was thinking about this...uske chehre par smile ayi.....kisi ne bhi notice nahi ki siwaye ek chakas ke.....jiska class mein kaam hi yehi tha.......charu ki har move aur uski har baat ko observe karna (the character will be introduced shortly)
so the class begins. kashish ne apni seat aj kar check ki. everything was perfect, she took her seat aur register bahir nikala for attendence. likin isse pehle keh woh kuch kehti peeche se awaaz ayi.
some guys: are yaar idhar hai class aur lagta hai shuru bhi hogayi
a guy: are nahi yaar professor aye hi nahi
yeh sun ka kashish unki taraf muri aur kaha........: class shuru ho chuki hai and i am your professor!!!
yeh sun kar us group of boys keh peeche se ek nojawan...khud ko hero samajhne wala larka nikla aur kaha
larka: WOW! guys lagta hai college walon ne humare liye nayi machinery ka intezaam kiya hai (looking at kashish while he said all this)
yeh sun kar charu khari hui aur zor se use larke peh chilayi: RISHI. behave yourself.
kashish: charu plz...take you seat and i belive you are rishi (rishi ko dekhte huwe and rishi apna attitude wala behaviour dekhate huwe) waise tum ne sahi kaha, is college ko nayi machinery ki bahut zaida zaroorat thi......specially kuch kharab aur bigre huwe products keh liye!!! (kashish felt a strange confidence in her and her tone complemented it well) Class attend karne ki khawhish ho to chup chap apni saet peh bhet jayein.....warna pehle din hi absence record mein achi nahi lagti.........hain na (as if she was giving him a challenge).
yeh sun kar rishi with his gang ja kar apni seats peh bhet gaye.....magar no no no woh itni jaldhi har mane walon mein se nahi the.
Kashish: Good morning everyone
before anyone could reply rishi bola: And what a goooood mornin!!! (all his frends started to laugh. jitna ghusa kashish ko araha tha, untna hi ghusa charu ko bhi tha, akhir kyun na hota, uski behen jo thi
Charu: rishi will you just shut-up, warna........
Rishi: warna? warna kya? hey guys look whose giving rishi a challenge!!!!!
yeh sach tha keh rishi college ka stud banta tha, magar charu ki aur uski ek minute keh liye bhi kabhie nahi bani....woh jitna usse chirti thi rishi utna hi usse chirata tha. (in a mean way)..........class ki baat yahan tak chorte hain aur chaltein hain zara sujal ki janib
IN THE CAR
the cell pohne rings. sujal picks it up
sujal: jee mamma?
sujal's mamma: sujal to pohancha nahi abhi tak daftar, mein ne phone kiya tha magar koi utha nahi raha, to hai kahan? sab theek to hai? ( she as the usual mother's are was extremly caring especially for sujal)
sujal: are mamma, aap bhi na kaisi choti choti baaton par pareshan ho jati ho.......mein rishi keh college gaya tha, principle se kuch baat karni thi, bus pohanch hi raha hon daftar.....ab theek hai na.....ab to pareshan nahi ho?
veena (mamma): haan haan bus bus. tu jab baap bane ga tab puchungi tujhse, keh bachon ki kitni fikar rehti hai...
sujal: aur meri kuch zaida hi, are mamma mujhe kabhie kuch nahi hoga, aur agar ho bhi gaya na........
veena: sujal, chup kar. khabar dar jo dobara aisa waisa kuch kaha to....
sujal: sorry mama, likin ab mein phone rakhon, shaam ko jaldhi ajaonga.
veena: theek hai, jeeta rahe. end of conversation. veena hangs up the phone and turns around to see Chetan standing behind her.
Chetan: kyun fikar karti ho uski, ab woh bacha nahi raha veena
Veena: maa, baap keh liye aulaad hameshsa aulaad rehti hai aur aap kaise bhool saktein hain.....poojari ji ne sujal keh bare mein kya kaha tha......yaad hai na aapko?
chetan: oh ho tum bhi kya purani baatein le kar bhet gayi.....wo sab sach nahi hoga. dont worry. (yeh keh kar chetan apna bag utha kar office ki taraf nikal gaya)
veena to herself: aur agar woh sab sach ho gaya to.......mera sujal.....(she gets tears in her eyes)
phew......its quite late now. so another sachayi sara!!!!!!hehehe. well coming up, will be the leftover part from the class and some more secrets built and revealed..........so till then enjoy and take care.!!!!