ok guys........next part!!!!!!!
sujal: lagta hai isse cheekhne chilne ke ilawa bhoolne ki bhi bimari hai.....kabhie kitaab bhool jati hai to kabhi purse......ab waapis karne jaonga to aur problem mein phaas jaonga..........to phir kya karon? (he starts to worry while holding the purse close to him) ........haan, agar us hitler ko yaad agaya to khudhi dhunti hui ajayegi......mujhe kya?
(yeh keh kar he shrugged his shoulder and went inside his home).
INSIDE GAREWAL HOUSE
inside garewal house, rishi, veena and chetan were all waiting for sujal.
rishi: are woh dekho, Big b agaye
veena,: sujal, kitni der laga di, dekh tere papa ko kitni bhook lag rahi thi, chal ab jaldhi se fresh ho kar a jao mein khana lag wa deti hon
sujal: sorry, mama woh daftar mein hi thodi der ho gayi. ap log shuru karein mein ata hon. (he was hiding kashish's purse inside his coat)
Rishi looked at him and thought that something is fishy , he came upto sujal, who was trying to hide the purse.....
rishi: kya baat hai big b, koi tension?
sujal: nahi to, kyun?
rishis: nahi wohhhh ( and he brought his hand forward to touch sujal's hand with which he was holding onto the coat
sujal: kya hai, kyun tang kar raha hai?
veena: are sujal tum abhi tak yahi khare ho, aur rishi tum kya kar rahe ho, chalo table par
rishi: mom.....mujhe lagta hai keh big b keh saath koi panga........
veena: (slapping rishi lightly on his cheek) yeh kya zabaan istemal kar rahe ho. khabar daar jo dobara is tarah ki behuda zabaan istimal ki mere samne!
rishi: its cool mom
veena: mujhe pata hai kya cool , school hai. chal ab tu. (then she turn towards sujal jo keh abhi bhi ghabra raha tha keh kahin woh ek larki keh purse keh saath pakra na jaye......)
veena: aur yeh rishi kis pange...........
rishi: (in amusement) moooom...aap bhi. (and cracked up, so did chetan)
chetan: veena , mother language ka to suna tha magar tumne to apne bachon ki zabaan bari jaldhi sikhi hai!
veena: (a little embarassed) aap bhi na... mein to bus.........aur tu (while talking to rishi and holding his ear) chal mein tujhe abhi theek karti hon
all left laughing towards the dinner table while sujal ne thandi aah bhari and went in his room to hide the purse.
KASHISH"S ROOM
kashish was still in her room, thinking about her purse
kashish to herself: kahin uski gari mein to nahi bhool ayi. oh no! ab kya karun! phone karun? nahi..... phone nahi? likin phir .....us mein to mera ID card bhi hai.......(after loads of thoughts she decided to call sujal. she looked for his number in the directory)
KASHISH CALLED AT GAREWAL"S PLACE
tring tring....tring tring.....
veena: hello?
kashish: un....hello. ji.....namaste.....kya mein sujal garewal se baat kar skti hoon?
veena: (smiled, ek larki ka call sujal ke liye. she felt really excited) han beta, aap kaun baat kar rahi hain?
kashish: jee....mein...mera naam kashish hai
veena: kashish! (wow she thought to herself) beta ek minute. SUJAL, tera phone hai!!
sujal and the rest of the family were having dinner, he stood up from his chair and wiped his hands with the napkin.
sujal: kaun hai mama?
veena: koi larki hai (she said in a teasing tone and gave the phone in sujal's hand)
rishi: LARKI!!!!! aur big b?
veena: to, sirf tu hi larkiyon se baat kar sakta hai, woh nahi?
rishi: nahi...matlab haan. magar nahi.....
chetan: agar magar choru.......aur khana khao, woh baat kar raha hai na!
sujal to himself while holding the reciever......." larki kaun ho sakti hai"
sujal: hello
kashish: mr sujal?
sujal: jee...aap....kashish (God he recognizes her voice)
kashish: jee, woh mein ne isliye phone kiya......
sujal: kyun kiya? (he wanted to tease her a bit, akhir itni insult ki uski, thoda sa to tang karne ka haq hai)
kashish: wohi bata rahi ho.......
sujal: abhi tak to bataya nahi
kashish: aap bolne deinge to baton gi
sujal: mein ne apko mana to nahi kiya
kashish (now extremly fuming) aapko suna hai keh mein phone rakhon
sujal: nahi....baataye....
kashish: hmm..... mein shayad aapna purse apki gari mein bhool ayi hon,
sujal: mujeh maloom hai...to?
kashish: to...to kya matlab.....i want it back.....
sujal: to ake lein le (upar se akaro bane ki koshish kar raha tha magar dil mein ladoo phut rahe the. he want to hear her voice, )
kashish: mein....mein is waqt kaise a sakti hon?
sujal: to apka matlab hai keh mein ake de kar jaon?
kashish: jee! (demandingly)
sujal: likin mein is waqt kaise a sakta hoon
kashsih: matlab? kyun nahi asakte?
sujal: aap bhi to nahi asakti
kashish: magar mein to.....
sujal : magar app to kya?
kashsih was almost about to cry. she was sooo frustrated. us purse mein uske ID card ke ilawa uske papa ka diya huwa ek locket bhi tha jo us ne utar keh purse mein rakha tha! kashish ki awaaz bhet si gayi aur sujal ko ehsaas huwa keh woh ro rahi hai
sujal: are...app ro rahi hain, dekhiye mein to mazaq kar raha tha. plz royi mat......mujhe address batayi mein abhi ata hon
kashish.....siskiyan lete lete address bata ti hai and hangs up.
sujal to himself: idiot rula diya na usse!
then he came to the dining table and says: mama mein bus abhi ata hon. ek zaroori kaam hai
rishi: zaroori kaam? hummmmmmm?
sujal: rishi.....shut up
rishi: are.....pehle kuch tension mein aap ghar aye, phir larki ka phone aya aur ab aap ja rahe hain kisi ZAAROOORI kaam se. kuch to hai???????
sujal: tu soch jab tak mein aapna kaam kar keh ata hon!
he goes to his room,picks up the purse and leaves for kashish's house!
ok guys....hope you enjoy it!!!! coming up kashish and sujal's encounter at her house........will their love blossom ya aur takrar hoga????????
take care guys!!