Originally posted by: rajeev-bigfan
great part.... 👏 keep posting....
thanks a lot! 😊
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 28 July 2025 EDT
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 23
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai July 29, 2025 Episode Discussion Thread
MAIRA IS SAD 😞28.7
BALH Naya Season EDT Week #7: July 28-Aug 1
CRYING FAMILY 29.7
Gen 5 Storyline
In the ruins....I found you ❤️-A Prashiv ss
Anupamaa 29 July 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
If you had the power of vanishing one nepo kid?
Will Dhadak 2 surpass Saiyaara? 😎
Kajol screams like Anjali (in K3G) for Nysa’s graduation
Will WAR 2 Surpass Saiyaara
19 years of Omkara
Tanushree Dutta Requests People To Cooperate With PM Modi
Official Trailer - Andaaz 2
Anupama back to Shah house , at Baa's feet !
Originally posted by: rajeev-bigfan
great part.... 👏 keep posting....
thanks a lot! 😊
Originally posted by: starbellz_21
as always this part too was grt!!! 👏
good going.., continue soon 😊
thankyou so much dii!!!
Originally posted by: **-**Guriya**-*
awesome part.. 👏 ..now waitng 4 saima's reaction on da news...update soon... 😊
thankyou so much! Will update soon
Part-8
Recap-
Dadima ki halat bahot nazuk hoti hai, aur uss waqt har pal Rayan Saima ke saath hota hai. kuch dino baad Dadima
ki tabiyat thik hoti hai aur wo ghar lautte hai. Rayan ke parents, Dadima se Rayan ke liye Saima ha haath maangte hai...
Story further...............
Adi Saima ke saath hi hota hai, aur Dadima Raina aur Siddhanth ki baato per dubara se sochte hai, per jab wo Saima aur Adi ko
dekhte the to unhe bhi lagta tha ki Saima ke liye Rayan hi sahi hai. Kabhi unke dil mein Rayan ki pehli shaadi ko lekar sawal hote per Adi ko
dekhte hi sare sawal mit bhi jaate, aakhir wo bhi faisla kar hi lete hai.
Shaam hoti hai, aur Rayan Adi ko lene ke liye Khanna house aata hai
Dadima: are aap? aayiye baithiye
Rayan: main Adi ko lene aaya tha, kaha hai wo, kahi dikhayi nahi de raha
Dadima: wo Saima ke kamre mein hai
Rayan: oh, waise aapki tabiyat
Dadima: pehle se bahot achi hai, beta zara Saima ko bula laoge..
Rayan: ji zaroor...
{Rayan Saima ke room tak jata hai, room ka darwaza khula hota hai, wo dekhta hai ki Adi aur Saima dher saare toys ke beech baithe hai. Adi Saima ko chocolate khila raha hota hai, aur Saima bhi uske saath bilkul bachchi bann jati hai. Rayan un dono ki maasoomiyat dekhke has padta hai, aur Saima use dekhti hai}
Saima: are aap? waha kyun khade hai, ander aayiye
{Adi daudkar jata hai aur Rayan ko pakadta hai}
Rayan: so, aapne aunty ko sataya to nahi na?
Adi: nahi papa, aaj to hum aur aunty bahot khele. Unhone hume chocolates diye, itne saare toys bhi diye
Rayan: acha
Adi: ha papa
Saima: waise aapne aane ki takleef kyun ki, hum khud hi Adi ko lekar aa jate
Rayan: ha, per maine socha ki Mrs.Khanna se bhi mil lu
Saima: acha
Adi: papa hum kal bhi aayenge na?
Rayan: {smiles} aunty ko tang karne?
Adi: papa pleaseeee
Rayan: beta kal to aapki school hai na?
Saima: koi baat nahi, kal school ke baad aa jana, tab tak hum bhi apne saare kaam khatm karlenge
Adi: thik hai aunty..
Rayan: acha chalo, ab Dadima se milte hai phir ghar chalenge
Adi: ok papa
{teeno bhi dadima ke kamre mein jate hai}
Rayan; acha Mrs.Khanna, ab hum chalte hai, aap apna khyaal rakhna
Dadima: ok beta
Adi: bye Dadima, hum kal phir aayenge
Dadima; zaroor aana beta, hum aapka intezar karenge
Adi: bye Saima aunty
Saima: {gives him another chocolate} yeh aapke liye
Adi: {huggs her} thank you aunty, I love you
Saima: {laughs} I love you toooo
{Rayan yeh dekhkar hasta hai, aur Dadima bahot khush hote hai}
Rayan: ab chale?
Adi: ha ha chaliye
{rayan aur adi ghar chale jaate hai}
Garewal house..........
Raina: aa gaye aap dono
Adi: ha dadi
Siddhanth: yeh kya itni saari chocolotes?
Adi: ha, Saima aunty ne diye hai
Raina; are wah. Per aapne unhe sataya to nahi na?
Adi: nahi dadi, Saima aunty to hamare saath khel rahe the. Wo bahot achi hai
Rayan: acha ab aap kamre mein chaliye
{Adi apne room mein chala jata hai}
Raina: Rayan, tumse kuch baat karni hai
Rayan: ji kahiye
Siddhanth: beta baat darhesal....
Rayan: kya baat hai saaf saaf kahiye
Raina: hum tumhari shaadi ke bare mein soch rahe hai
{Rayan naraaz ho jata hai}
Rayan: what?
Siddhanth: ha beta, tumhari aur Saima ki shaadi
Rayan: aap iss bare mein soch bhi kaise sakte hai? Mujhe kisi se shaadi nahi karni hai. Main jaisa hu khush hu
Raina: aur Adi?
Rayan: Adi bhi khush hai, hum dono apni zindagi mein khush hai,aur mujhe iss bare mein ab koi baat nahi karni hai
Siddhanth: per kab tak Rayan? Kya Adi ko ek maa ki zaroorat nahi hai? kya tumhe ek saathi ki zaroorat nahi hai?
Rayan: bilkul nahi. Aksar saathi hi saath chodkar chale jaate hai. Na to mujhe kisiki zaroorat hai aur naa hi Adi ko
Raina: tum aisa isliye keh rahe ho, kyunki tum abhi gusse mein ho, aur apni beeti zindagi ko bhula nahi paye ho. Per beta zara Adi ke bare mein bhi socho.
Rayan: beeti zindagi? uss rishte se mujhe sivaye takleef ke mila hi kya tha jise main yaad rakhu. Wo rishte to mere liye usi din khatam ho chuka tha jis din Shikha mujhe aur Adi ko chodkar chali gayi thi
Siddhanth: to phir tumhe iss rishte se kya aitraaz hai?
Rayan: aitraaz hai papa, maine bahot mushkil se apni bikhri hui zindagi ko sambhala hai, aur ab mujh mein dubara tutne ki himmat nahi hai
Raina: per beta, Saima bahot achi ladki hai, wo tumhe tutne nahi balki tumhara saath degi, Adi ko ek maa ka pyar degi
Siddhanth: ha Rayan, apna baare mein naa sahi Adi ke baare mien to socho
Rayan: main jaanta hu Saima ek bahot achi ladki hai, aur isiliye main usse shaadi karke dhoka nahi dena chahta, kyunki main jaanta hu ki
main use wo pyar nahi de paunga jiska use haq hai...
Raina: per beta
Rayan: nahi mama, iss baar nahi....
{aur Rayan apne kamre mein chala jata hai}
Khanna House....
Dadima's room......
Saima; chaliye dadima,aapki dawayiya ka waqt ho gaya..
{Saima unhe dawayiye deti hai}
Dadima: Saima, mujhe tumse kuch baat karni hai
Saima: ji kahiye
Dadima: dekho beta, yeh mat samjhna ki main tumper koi dabav dal rahi hu, ya mujhe tumhari shaadi ki jaldi hai, bas u samajh lo ki yehi sahi waqt hai ki ab tumhe apni duniya basani hai
Saima: shaadi?
Dadima: ha beta, aaj Rainaji aur Siddhanthji ne mujhse Rayan ke liye tumhara haath maanga hai
Saima: kya? Rayan ke liye
Dadima: hairaan ho na? main bhi aise hi hairaan ho gayi thi. Per wo khud chahate hai ki tum unke ghar ki bahu bano, aur sach kaho to mujhe bhi iss rishte se koi aitraaz nahi hai. Garewals ko main achi tarha se jaanti hu, Rayan tumhe bahot khush rakhega
{Saima kuch bol hi nahi pati, use lagta hai jaise uski dil ki dhadkane ruk chuki hai, saase tham chuki ho. Use bas Aryan ka khyaal aata hai}
Dadima: main jaantu hi ki tum yehi soch rahi ki Rayan ki to pehli shaadi ho chuki hai, per iska matlab yeh to nahi na ki wo phirse apni duniya nahi basa sakta.
Uske ateet ke bare mein to main nahi jaanti per itna zaroor jaanti hu ki usi ke saath tumhara aaj aur aanewala kal khushiyo se bhara hoga. Phir Adi ke bare
mein bhi to socho, wo to kitna khush hoga gar tum uski maa bano...
{Saima apni hi soch mein kahi khoyi hui rehti hai, use dadima ki baatein kuch sunayi hi nahi deti}
Dadima: {shakes her} kya hua? kaha kho gayi?
Saima: kuch nahi dadima,
{aur Saima apni palkein neeche karti hai, aur waha se apne kamrein mein chali jaati hai. Dadima ko lagta hai ki wo sharma kar chali gayi, jab sachchayi to yehi hoti hai
ki Saima unse apne aasu chupakar chali jaati hai.
Saima apne kamre mein jaati hai aur rone lagti hai. Reh rehkar use bas Aryan ka hi khyaal aa raha tha. Wo Aryan ki tasvir nikalti hai aur use seene se lagakar roti hai}
Saima: {to herself} nahi Aryan, hum aisa nahi kar sakte. Hum sirf tumse pyar karte hai aur kisi se nahi. Hum yeh shaadi nahi kar sakte, nahi kar sakte.... Hum dadima ko sab kuch bata denge
Ek taraf Rayan apne ateet ki parchayiyo ki wajah se apni aane wali zindagi ko apnana nahi chahta tha, aur dusri taraf Saima apne kal ki wajah se apne aaj ko nahi apnana chahti thi.
Rayan apne kamre mein bas usi soch mein duba hua rehta hai tabhi Raina waha aati hai
Raina: Rayan, beta ab tak soye nahi
Rayan: nahi mama, per aap is waqt
Raina: ha, tum usi baat ko lekar upset ho na? Dekho beta, hamara matlab tumhe naraaz karna nahi tha, hum to bas itna hi chahte the ki tumhara ghar phirse bas jaye, Adi ko ek maa ka pyar mile, jisper uska haq hai. Ab kya apne hi bete ke bare mein aisa sochna galat hai?
Rayan: nahi mama, main yeh nahi kehta ki aap galat ho, bas zindagi mein itna kuch ho chuka hai ki ab darr sa lagne laga hai.
Raina: tum kisliye darr rahe ho? aur kiski wajah se itne pareshan ho? Shikha ki wajahse? beta jab koi rishte hamare liye mayene hi nahi rakhte to unke bare mein sochkar kyun apne aapko takleef pohochate ho? Jo kuch hua hum use badal to nahi sakte, per use bhulakar aage to badh sakte hai na?
Rayan: meri to kuch samajh nahi aa raha hai mama, main kya karu?
Raina: bas apni zindagi ko ek aur mauka do. Saima se shaadi ke liye haa keh do. Zara socho to jab Adi ko pata chalega ki Saima uski maa banegi to use kitni khushi hogi
Rayan: uski khushi ke liye to main kuch bhi karne ko tayyar hu, per mama main shayad Saima ko wo pyar nahi de paunga jispe ek patni ka haq hota hai
Raina: beta, waqt ke saath sab thik ho jayega...
Rayan: thik hai mama, per koi bhi faisla karne se pehle main Saima ka faisla janna chahta hu. Aur iss rishte se pehle main use apne ateet ke bare mein sab kuch batana chahata hu. Phir jo Saima ka faisla hoga, wahi aakhri faisla hoga
Raina: thik hai beta, jaisa tum chaho....
Next Day...........
Garewal office
{roz ki tarha Saima office aati hai, aur apna kaam mein masroof hoti hai. Per aaj din bhar wo Aryan ko phone karti rehti hai, per uska phone nahi lagta. Wo kisi tarha se bas usse contact karna chahti thi, per nahi ho pata. Apna kaam khatm karke wo reports aur baaki designs Rayan ke cabin mein rakh deti hai, jab Rayan cabin mein nahi hota hai. Wo Rayan se nazrein nahi milana chahti thi. Rayan kuch kaam se bahar gaya hota hai tabhi hi wo saara kaam khatm karke uske cabin mein sare reports rakhke shaam tak ghar aa jaati hai. Rayan jab office lautta hai to
dekhta hai ki Saima apna kaam khatm karke jaa chuki hai aur aisa pehli baar hota hai ki Saima Rayan se bina mile chali gayi ho. Wo usi waqt Khanna house jata hai}
Dadima: are Rayan, aao ander aao... Saimaaa.., yaha to aana zara
{Saima apne kamre se aati hai aur dekhti hai waha Rayan hota hai}
Saima; aap? kuch kaam tha to hume bula liya hota
Rayan: Mrs. Khanna, Saima, main aaj aap dono se kuch kehne aaya hu. Main jaanta hu ki meri aur Saima ke rishte ki baat ho rahi hai
{Saima bas Rayan ko hairaani se dekhti hai}
Rayan: lekin isse pehle ki yeh baat aage badhe ya Saima tum koi bhi faisla lo, main tumse apne ateet ke bare mein kuch kehna chahta hu
Dadima: per beta, hume tumper pura bharosa hai.
Rayan: isiliye to main apko sab kuch batana chahta hu... Meri pehli shadi Shikha se hui thi, aur Mr. Rai Shikha ke pita hai.
Dadima: Mr.Rai ??
Rayan: ji, wahi mr.Rai jinhone wo designs badle the. Shikha aur main ek dusre ko college ke dino se jaante the, aur ache dost the. Shikha ke papa Mr.Rai aur mere papa business partners the.
Waqt ke saath hamari dosti badhi, aur bado ne hamari dosti ko rishtedari mein badalne ka faisla kiya, aur meri aur Shikha ki shaadi ho gayi. Shaadi ke ek saal tak to sab thik tha, per uske baad
sab badalne laga. Shikha ke liye apne pariwar se jyada ahmiyat apna kaam tha, apna carrer tha. Wo bhoolne lagi thi ki uski apni bhi ek zindagi hai, apna ek pariwar hai. Uski isi zid ki wajah se hum dono mein
differences hone lage. Kuch dhed saal baad wo pregnant thi, per wo bachcha bhi nahi chahti thi,use lagta tha ki kahi yeh bachcha uski kaamyabi ke beech na aajaye....
{Rayan ki aankho mein aasu aate hai} per kisi tarha sabhi ne use manaya aur phir Adi ka janam hua. Waqt ke saath use Adi bhi bojh lagne laga. Wo Adi ko bilkul waqt nahi deti hai, uske liye bas kaam hi mayene
rakhta tha, per mujhe yeh gawara nahi tha,phir bhi Adi ke liye main khamosh rehta tha, per jab Adi 8 mahine ka tha usne mujhse kaha ki wo mujhse alag hona chahti hai, {pauses} Mere janamdin per usne mujhse talaaq
maanga. Shayad iss rishte ka anth yehi hona tha, maine use talaaq de diya, aur wo apne raastein chali gayi. Wo Adi ko saath le jana chahti thi, aur Mr.Rai ne bhi puri koshish ki thi ki Adi unhi ke saath rahe, per shayad uperwale
ko bhi yeh manzoor nahi tha ki Adi unke saath rahe. Phir kuch 4 mahine baad Shikha ki car accident mein maut ho gayi............
{aur Rayan khamosh ho jata hai, koi kuch nahi kehta. Rayan ka ateet jaankar dadima ki aamkhein bhi gili hoti hai}
Rayan: aur phir tab se main sirf Adi ke liye ji raha hu. Wo mere liye meri duniya hai. {pauses} Aaj main aapko yeh sachayi isliye bata raha hu ki agar yeh rishta hota bhi hai to iski shuruwat sach se ho. Main nahi chahta ki Saima koi bhi aisa faisla kare jise use baad mein pachtana pade...
Dadima: aaj meri nazaro mein tumhare liye izzat aur bhi badh gayi hai Rayan. Kal tak main yeh faisla nahi le paa rahi thi ki kya meri Saima tumhare saath khush rahegi ya nahi, per aaj mujhe pura yakeen ho gaya hai ki wo bahot khush rahegi. hum iss rishte ke liye tayyar hai
Rayan: nahi Mr. Khanna, main nahi chahta ki aap jaldbaazi mein koi faisla kare. Saima, aakhri faisla main tumper chodta hu. Yeh tumhari zindagi hai, tum jo bhi faisla logi hume manzoor hoga. Main nahi chahta ki tum koi bhi faisla kisi dabav mein karo. Tum wahi karo jo tumhe sahi lagta hai. Bas mujhe yehi kehna hai...
{Saying this Rayan leaves}
Dadima: kya soch rahi hai Saima? Kya faisla hai tumhara?
Saima: Dadima..., hum... hum yeh shaadi nahi kar sakte
Dadima: kya??? nahi kar sakti? per kyun?
Saima: bas nahi kar sakte
Dadima: yeh koi baat nahi hui. Are Rayan jaise insaan ko tum thukra rahi ho? kyun Saima
Saima: nahi dadima, main to unki bahot izzat karti hu, isiliye chahti hu ki unki zindagi mein mujhse bhi achi ladki aaye
Dadima: per kyun? Saima sach sach batao, tum iss rishte ke liye mana kyun kar rahi ho?
Saima: kyunki... Dadima, {comes closer to Dadima} hum kisi aur se pyar karte hai Dadima....
Dadima: kyaaaa??????
that's it part-8
Comments awaited!!!!
luv,
Ruksaar 😊
Parth,Adnan and Ketaki version I dedicate this to my friend Sydell who wants the Parth,Adnan,Ketaki version of the movie Hum dil de chuke sanam...
Book cover by Prii @SweetButSpicy. Thanks a million Prii for this wonderful book cover.
(Parth,Adnan and Ketaki version) Tere Ho Gaye Hain Hum.... I have become Yours..Part 1 I dedicate this to my friend Sydell who wants the...
COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
61