Originally posted by: anam_mehrun
AWESUM PART 👏
I REALY ENJOYED READING IT
GR88 WORK RUKSAAR 👏
thanks a lot for your comments dear., i;m glad u liked it 😊 😉
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 28 July 2025 EDT
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 23
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai July 29, 2025 Episode Discussion Thread
MAIRA IS SAD 😞28.7
BALH Naya Season EDT Week #7: July 28-Aug 1
YRKKH to take a generation leap!!!
Geetanjali vs Abhinav
Gen 5 Storyline
Maa esi nahi hoti…
Has Kajol forgotten how to act?
Who is Best for gen 5
Did she really say that?
Anyone else born in the 80's?
In the ruins....I found you ❤️-A Prashiv ss
If you had the power of vanishing one nepo kid?
Aneet Padda Next Movie With Fatima Sana Shaikh
Half Girlfriend: anyone watched it?
Will Dhadak 2 surpass Saiyaara? 😎
CRYING FAMILY 29.7
Anupamaa 29 July 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Originally posted by: anam_mehrun
AWESUM PART 👏
I REALY ENJOYED READING IT
GR88 WORK RUKSAAR 👏
thanks a lot for your comments dear., i;m glad u liked it 😊 😉
Originally posted by: golu_1677
this was just great. So Rayan and Saima in the same office great. 👏
SO time to fall in love for both ❤️
thanks a lot for your comments dear..,n for the prediction all i cn say is just wait n watch! 😉
rukzz wow yaaaar great part toooo toooooo goooooooooood i hope dadi ko kuch na ho ..and acccha hua mr.rai ki sachai sab ko patah chalgai 👏 continue soooon can't wait more
thanks for your comments sis, will update soon 😊 😉
great part
👏
thanks a lot dear 😊
Originally posted by: **-**Guriya**-*
gr8 parts.. 👏 ...@last saima solved the misunderstanding rayan had... 😃 ...gr8 gng.. 😊
thanks a lot
Part-7
Recap-
Rayan, Saima aur Dadima se maafi maangta hai aur Saima se phir office join karne ke liye kehta hai aur Saima uski yeh baat maan leti hai... Agle hi din achanak Dadima ki tabiyat kharaab hoti hai aur Saima unhe hospital le jaati
hai....
Story further..............
Saima hospital mein ghabrayi si, rote hue, apni dadima ki liye pareshan baithi hoti hai. Aasu uske aankho se thamne ka naam nahi le rahe the,Wo bas Dadima ke hosh mein aane ka intezar kar rahi thi. Wo u gumsum si baithi hi hoti hai ki achanak koi uske shoulder per haath rakhta hai, wo palattkar dekhti hai, wo aur koi nahi Rayan hota hai
Rayan: dont worry, kuch nahi hoga unhe.Doctor ne kya kaha?
Saima: {apne aasu pohoch deti hai} dadima ko major heart attack hua tha
Rayan: ab kaisi hai wo?
Saima: ab tak hosh mein nahi aaye hai, hume bahot darr lag raha hai, kahi unhe kuch ho gaya to..{starts crying}
Rayan: sambhalo apne aapko, aisa kuch nahi hoga. Wo bahot jald thik ho jayenge, magar ha tumhe aisi halat mein dekhkar unhe zaroor takleef hogi..
{tabhi nurse dadima ke room se daudte hue doctor ko bulane jaati hai}
Nurse: doctor..doctor.....
{Doctor daudte hue dadima ke room mein jate hai, aur Saima aur bhi ghabra jaati hai}
Saima: yeh..yeh sab kya ho raha hai? doctor doctor...
Rayan: dont worry , doctors unhe dekh rahe hai...
{doctors bahar aate hai}
Rayan: kya baat hai doctor? wo thik to hai na?
Doctor: ab wo thik hai, bas zara saans lene mein takleef ho rahi thi
Rayan: saans lene mein?
Doctor: kya aap inke saath hai?
Rayan: ji haa
Doctor: aap zara mere cabin mein chalenge?
Rayan: ji chaliye...
{saima bas unki baatein sunti hai aur wahi baithi rehti hai, use kuch samajh nahi aata ki uske aas paas kya ho raha hai}
Doctor's Cabin........
Rayan: baat kya hai doctor?
Doctor: baat yeh hai ki Mrs.Khanna ko major heart attack hua hai, aur unhe asthama ki shikayat bhi hai, aur abhi unhe asthama attack bhi aaya tha...
Rayan: what?
Doctor: ji, filhaal unki halat thodi nazuk hai
Rayan: doctor, kuch bhi kijiye per unhe bachayiye
Doctor: we are trying are best, per unki halat nazuk hoti jaa rahi hai ki kuch kehna bahot mushkil hai
Rayan: ok doctor, per please aap kuch bhi karke unhe bahchayiye..
Doctor: i'll try my best..
{Rayan cabin se nikalkar bahar aata hai aur dekhta hai ki Saima ab tak wahi baithi hai, wo uske paas jaata hai}
Rayan: Saima...
{saima koi jawab nahi deti}
Rayan: {shakes her} Saimaaa...
Saima: Dadima..., Dadimaaa..... {looks at Rayan} Dadima {pointing towards Dadima's room} mujhe chodkar chale jayenge... {starts crying}
Rayan: aisa kuch nahi hoga, wo bilkul thik hai. Kuch nahi hua hai unhe..
Saima: {starts crying bitterly} wo bhi mujhe chodkar chale jayenge.., Mama Papa bhi chale jaye the ab Dadima bhi...
{yeh sunte hi Rayan ki aankhe bhi bhar aati hai per wo kisi tarah se apne aap ko sambhalta hai aur apne knees per baitha hai aur Saima ke haath per apna haath
rakhta hai}
Rayan: meri taraf dekho Saima...
{per Saima kuch nahi sunti bas roti jaati hai, Rayan use pakadta hai}
Rayan: meri taraf dekho Saima..
{Saima Rayan ki aankho mein dekhti hai, per uske aassu thamte nahi}
Rayan: Dadima ko kuch nahi hoga, aur tum akeli nahi ho. Main hu tumhare saath
{Saima ek pal ke liye bas Rayan ko dekhti hai aur phir Rayan ke gale lagti hai aur rone lagti hai, Rayan kuch samajh nahi paata, wo naa to use apne aap se alag kar pata tha, aur naa hi use apni baaho mein le sakta tha, Saima use iss tarha simat jaati hai ki ek pal ke liye wo dono sab kuch bhool jate hai, kuch der baas Saima ko ehsaas hota hai ki wo Rayan ke kitne kareeb aa chuki hai, wo jhat se usse alag hoti hai}
Saima: i'm sorry..
{aur dusri taraf palatti hai}
Saima: wo main..
Rayan: koi baat nahi, tum baitho main bas abhi aaya
{rayan waha se chala jata hai, aur saima wahi baithi rehti hai. Waqt aise hi beetta jata hai... kuch der baad Rayan coffee lekar aata hai,
Rayan: yeh lo coffee le lo
{Saima Rayan se nazrein nahi milati bas chup chap usse coffee mug leti hai, dono bhi bilkul khamosh baithte hai...
Subha se raat ho jaati hai, Rayan ko baar baar office se phone aate hai aur wo apni saare meetings cancel karta hai, phir use ghar se Adi ka phone aata hai wo use kehta hai ki use aane mein deri hogi, iss perAdi naraz hokar phone disconnect kar deta hai.Saima yeh samajh jati hai}
Saima: Mr.Garewal, aap ghar chale jayiye, Adi ko aapki zaroorat hai
Rayan: wo thik hai, bas ek baar Mrs. Khanna ko hosh aa jaye phir chala jaunga
Saima: i'm really very sorry, hamari wajah se aapko kitni pareshani ho rahi hai
Rayan: aisa koi baat nahi hai, aap aisa kuch mat sochiye, main to bas insaniyat ke naate yeh sab kar raha hu..
{saima iske aage usse kuch nahi kehti aur wahi baith jaati hai. Ab aadi raat ho jati hai, kuch 2-2:30 bajte hai, aur Saima ki aankh lag jaati hai, Rayan uski taraf dekhta hai,Saima so chuki hoti hai
aur usi thand lag rahi hai, wo apna coat nikalkar uspe dalta hai, tabhi nurse dadima ke room se aati hai}
Nurse: patient ko hosh aa raha hai...
{Rayan yeh sunte hi Dadima ke room mein jata hai, dekhta hai ki dadima ko hosh aane lagta hai aur wo Saima ka naam le rahe hote hai.
Nurse doctor ko le aati hai, doctor unhe examine karte hai}
Rayan: kya baat hai doctor?
Doctor: i dont know how but she is fine now. Its a real miracle, aisa bahot kam hota hai
Dadima: {in a very low tone} Saima.., meri bachchi...
{rayan unke kareeb jata hai aur unke haatho per apna haath rakhta hai,Dadima dheere se ankhein kholti hai}
Dadima: Saima...
Rayan: main Rayan hu Mrs.Khanna, aankhein kholiye...
{ab dadima puri tarha se aakhein kholti hai aur Rayan ko dekhti hai}
Dadima: Rayannn...
{aur uska haath pakadti hai]
Dadima; Rayan.., Saima.. Saima
Rayan: Saima yehi hai, per ab aap jyada baat na kijye, aaram kijiye.Saima yehi bahar mere saath hai
{dadima phir apni aankhein band karti hai}
Rayan; doctor yeh ..
Doctor: dont worry, she is out of danger now. Kuch hi der mein yeh puri tarha se hosh mein aa jayenge
Rayan: thanks doctor..
Doctor: its ok...
{doctor aur nurse chale jate hai. Rayan bas ek baar dadima ki taraf dekhta hai,phir unke forehead pe se haath pherta hai aur room se bahar aata hai. Saima ab tak so rahi hoti hai,Wo dheere se uske paas jakar baithta hai. Raat beetti hai, aur Rayan saari raat jagaa rehta hai. Puri raat wo dadima ke room mein jakar unhe dekhta, kabhi wo hosh mein aate, kabhi so jate aur Rayan har waqt unke aur Saima ke paas hota hai}
Next day...
Early morning...
Saima ki aankh khulti hai, wo dekhti hai ki uske haato mein Rayan ka coat hai, wo Rayan ko dekhti hai per wo kahi dikhayi nahi deta,
Saima dadima ke room mein jaati hai to dekhti hai ki dadima ko hosh aa chuka hai aur Rayan unhe paani pila raha hai,wo yeh dekhkar bahot khush hoti hai, aur aakar dadima ke paas baithti hai
Dadima: Saima...
Saima; dadima, kaise hai aap?
Dadima: main thik hu beta, per tumne yeh kya halat bana rakhi hai apni?
Rayan: aap log baatein kijiye main bas aata hu..
{rayan bahar jakar baitha hai, aur saima kuch der dadima ke paas baithi hai. kuch der baad wo room se bahar aati hai aur dekhti hai rayan wahi bahar baitha hai,
wo akar uske paas baithti hai. Kuch pal ke liye wo kuch nahi kehte]
Saima: thankyou
{Rayan Saima ko bas ek surprised sa look deta hai}
Rayan: kisliye?
Saima: aapne jo hamare aur Dadima ke liye kiya uske liye shayad thank you bhi kam hai
Rayan: please thanks mat kahiye. Mrs. Khanna se bhale hi mera khoonka rishta na ho per insaniyat ka to ha na, to kya
uss naate main unke liye itna bhi kar sakta
Saima: ab aap ghar chale jayiye, hum jaante hai aap raat bhar jage the
Rayan: thik hai, main kuch der baad aata hu. Wo Adi thoda naraaz hai na..
Saima: ha, aap jayiye..
Rayan: per kisi bhi cheez ki zaroorat pade to bejhijhak mujhe batana
Saima: ji zaroor. Ab ek aap hi to hai jinse main kuch bhi keh sakti hu
{Rayan bas uski taraf dekhta hai aur halki si smile dekar chala jata hai}
Two weeks later......
Dadima ab ghar aa jate hai, per in 2 hafto mein bas ek hi insaan jo unki madat karta hai, wo hai Rayan. Wo naa to sirf Saima ke har chote bade kaam mein uski
madat karta hai balki unke office ke kaam mein bhi help karta hai. Aur aaj Rayan, Adi aur Mr & Mrs Garewal Dadima se milne unke ghar aate hai}
Dadima's room..............
Siddhanth: namaste Mrs.Khanna
Dadima: are aap? aayiye na baithiye
Raina: ab kaisi tabiyat hai aapki?
Dadima: thik hu, ab itne log meri fikr karne ke liye hai to mujhe kya ho sakta tha
Raina: wo to hai
{Adi jakar Saima se milta hai}
Adi: hi aunty
Saima; hello beta, kaise hai aap?
Adi: main thik hu
Saima: that's good.
Rayan: Adi yaha aakar baitho beta.
Saima: are rehne dijiye na, main aap logo ke liye coffee lekar aati hu, Adi aap kya loge?
Adi: mmm... {mummers} chocolate hai?
Saima: {smiles} chalo dete hai..
{Adi Saima ke peeche chala jata hai}
Raina: Adi saima se kitna ghul mil gaya hai
Dadima: ha, use bhi bachche bahot pasand hai. Jab bhi bahar jati hai to Adi ke liye kuch na kuch le aati hai
{Rayan just smiles, phir use office se phone aata hai aur use jana padta hai}
Rayan: Mrs.Khanna mujhe jana hoga,main shaam mein milne aaunga
Dadima: koi baat nahi beta, aap jao
{rayan chala jata hai, aur Saima coffee lekar aati hai}
Saima: are yeh Rayan kaha gaye?
Siddhanth: wo office chala gaya
Adi: aunty aapke paas koi toys nahi hai?
Saima: hamare paas to bahot saare toys hai
Adi: kaha hai?
Saima: aao hum dikhate hai.. Dadima hum Adi ko apne room mein le jaa rahe hai, kuch kaam ho to bula lena
Dadima: thik hai beta..
{saima adi ko lekar neeche jati hai}
Siddhanth: yeh Adi bhi na
Dadima: koi baat nahi, bachcha hai
Raina: ha, ghar mein bhi hamesha Saima ka naam lete rehta hai. Savere se Rayan se keh raha tha ki yaha aana hai, Saima se milna hai..
Dadima: {smiles} acha..
Raina: darhesal aapse kuch baat bhi karni thi
Dadima: ji kahiye na
Raina: hum Rayan ke liye Saima ka haath mangte hai
{Dadima yeh sunkar bilkul hairaan ho jate hai}
Dadima: Rayan ke liye... meri Saima?
Siddhanth: ji, apko koi aitraaz to nahi hai na?
Dadima: nahi baat wo nahi hai, per kya Rayan iske liye raazi hai? aur Adi
Raina: main samajh rahi hu ki aap kya kehna chahte hai.Rayan ki patni ko guzarke bahot waqt ho chuka hai aur
hum chahte hai ki Rayan dubara se apna ghar basale, aur phir Adi ko bhi to ek maa ki zaroorat hai, aur Saima hi wo ladki hai jo Rayan ki zindagi phirse savaar sakti hai
Dadima: meri to kuch samajh nahi aa raha hai ki main iss waqt aapse kya kahu
Sidhhanth: humne bas aapse apne mann ki baat kahi hai, aap achi tarhase soch samajhkar, Saima se baat karke apne faisla hume bata dijiyega. Hume koi jaldi nahi hai
Dadima: thik hai, main Saima se baat karke aapko bata dungi, mujhe to khushi hi hongi agar Saima aapke ghar ki
bahu bane
Raina: hum umeed karte hai ki aisa hi ho..
{tabhi Saima aur Adi kamre mein aate hai}
Raina: ab chalo Adi , aapko ghar nahi chalna hai?
Adi: nahi Dadi, kya hum kuch aur der yaha ruk sakte hai, please Dadi, please Dadu
Saima: ha aunty, ise rehne dijiye, hum shaam mein ghar chod denge
Sidhanth: thik hai, ab tum dono ke aage kya kahe.. lekin Adi, zidd nahi karna ha
Adi: ji Dadu..
Raina: acha to hum chalte hai, aap apna khyaal rakhna
Dadima: ji...
{Siddhanth aur Raina chale jate hai, aur Dadima Saima aur Adi ki taraf dekhkar muskurate hai maano unhone apna faisla kar liya ho}
...that's it in Part 7...
Comments awaited!!!
luv,
Ruksaar 😊
Originally posted by: anam_mehrun
awesum part ruksaar 👏 i hope k rayan aur saima jaldi se mil jaye , gr88 going 😳
Thanks mehrun sis 😊, i'm glad u liked it. Will update soon
Parth,Adnan and Ketaki version I dedicate this to my friend Sydell who wants the Parth,Adnan,Ketaki version of the movie Hum dil de chuke sanam...
Book cover by Prii @SweetButSpicy. Thanks a million Prii for this wonderful book cover.
(Parth,Adnan and Ketaki version) Tere Ho Gaye Hain Hum.... I have become Yours..Part 1 I dedicate this to my friend Sydell who wants the...
COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
61