Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 1st Aug 2025 EDT
Kumkum Bhagya New Season | Episode Discussions Thread #5
GEETU & KICHDI 1.8
71st National Film Awards (Celebrating 2023)
New Time Slot
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 02 August 2025 EDT
Congratulations SRK National Award
Makers mission to prove Navri incompetent in all aspects.
Katrina Kaif Pregnancy Rumours
ONE CHANCE GIVEN 2.8
Anupamaa 01 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
My Box Office Predictions for Son of Sardar 2
ManVik Hits 150 & Forum Hits 100😎
Aamir Junaid Ki Nayi Scheme
Congratulations National Award Winning Actress Rani Mukerji
Pageturner Bhidus💫Reading Challenge August 2025
Bookaholic Yaars 👩🏻🤝👩🏽 || BT Reading Challenge, August 2025
💕 Lexophile Dosts 💕 August 2025 Reading Challenge
10 years of Drishyam
22 years of Hungama
good yaar........just started reading ur story..................its awesome..keep it up 👏
thank u so much for your comments
Part-10
Recap-
Saima Rayan se shaadi ki liye inkaar karti hai aur Dadima se kehti hai ki wo Aryan se pyar karti hai. Uski zid ke aage Dadima
uske baat maan lete hai aur use saath din ka wat dete hai. Per Aryan nahi aata. Dadima ki tabiyat achanak kharab hoti hai aur Saima iska zimmedar apne aap ko maanti hai aur aakhir Rayan se shaadi ke liye haa keh hi deti hai
Story further...........
2 weeks later
Dadima hospital se ghar aate hai. Wo Saima ke liye bahot khush hote hai, iss baat se anjaan ki uski khushi to kisi aur ke saath hai,per shayad taqdeer ko bhi yehi manzoor tha. Lets see ki ab aage kya hota hai
{Dadima kisika intezar kar living room mein baithe hai, tabhi wo dekhte hai ki Saima kahi jaa rahi hai. Wo use rokte hai}
Dadima: are Saima, kaha jaa rahi ho?
Saima: Garewal office.
Dadima: beta, aaj tumhe kahi naa jana hai, balki aaj wahi log yaha aa rahe hai.
{Saima kuch nahi kehti bas apni nazrein neeche karti hai aur apne kamre ki taraf jaa rahi hoti hai tabhi Dadima phir use rokte hai}
Dadima: Saima
Saima: ji
Dadima: yaha aa, mere paas baith to
{Saima unke paas akar baithi hai}
Dadima: main jaanti hu ki tum mujhse naraaz ho,per beta main bhi to tumhare bhale ke liye hi yeh sab kar rahi hu
Saima: nahi Dadima, hum aapse bilkul bhi naraaz nahi hai. Hum ne sachchayi ko maan liya hai.
Dadima: {uske sar se haath pherte hai} mujhe tumse yehi umeed thi. Aur mujhe yeh bhi yakeen hai ki waqt ke saath tum Rayan ko samajhne
lagogi
Saima: hum puri koshish karenge, per darte hai Dadima, kahi unhe iss humare aur Aryan ke
Dadima: {interruptingly} kya pata chalega unhe? are jo rishta kabhi tha hi nahi, jis rishta ka wajood hi nahi uske bare mein kisi ko kya kehna
Saima: per Dadima
Dadima: Saima tumne kaha tha ki tum meri har baat manogi. Bas beta, jo hua use bhool jao, aur apni zindagi ek naye sire se shuru karo.
{Raina, Sidhanth, Rayan aur Adi waha aate hai}
Raina: namaste Mrs.Khanna.
Dadima: namaste, hum bas aap hi ka intezar kar rahe the.
{Adi turant Saima ke paas jaata hai}
Adi: hello Aunty, kaise hai aap?
Saima: {pretends to smile} hum thik hai, aap kaise ho?
Adi: hum bhi ache hai. Aunty kya hum apke room mein jaa sakte hai?
Rayan: Adi, humne kaha tha na aapse ki ap yaha koi zid nahi karenge? Yaha aayiye
Saima; rehne dijiye, chalo Adi hum chalte hai.
{Rayan aur Saima ek pal ke liye ek dusre ko dekhte hai phir Saima Adi ko lekar chali jati hai}
Dadima: waise Rayan beta, Kanak jewelleries ke naye collection ke liye kaafi acha response mila hai.
Rayan: ji, yeh sab to Saima ki wajah se hua hai.
Dadima: ha, per ismein tumne bhi to kitni mehnat ki hai
Sidhanth: ab mehnat kisi ki bhi ho kya fark padta hai.
Raina: bilkul sahi kaha. Waise Mrs.Khanna hume sagaai ke liye mahurat nikala hai. Isi Sunday ka hai, aur shaadi agle mahine ki 5 tarik ko hogi.
Dadima: itne jaldi? Itne waqt mein saari tayyariya kaise ho payegi?
Raina: aap bilkul bhi pareshan mat hona. Hum sab kuch kar lenge
Rayan: mama, papa main kuch kehna chahta hu
Sidhanth: kaho na beta
Rayan: main chahta hu ki yeh shaadi badi hi saadgi se ho. Zyada hungama na ho
Raina: tumhari baat sahi hai beta, per Mrs.Khanna ke bhi to kuch armaan honge na? Zara Saima ke bare mein bhi to socho phir.
Dadima: aisi koi baat nahi hai. Waise bhi hamare kuch kareebi rishtedaar hi honge, to jaisa Rayan chahta hai waisa hi hoga.
Sidhanth: thik hai phir jaisa aap log chahe.
Raina: acha ab hum chalte hai
Rayan: main Adi ko lejar aata hu
{rayan saima ke room mein jata hai}
Raina: thik hai beta.
Saima's room.......
{rayan knock karta hai, saima darwaza kholti hai}
Saima: aap, aayiye
Rayan: Adi, chalo beta, hum ghar jaa rahe hai
Adi: per papa hum abhi to aaye hai
Rayan: ha beta, per abhi aunty ko bhi kaam hai hum phir kabhi aayenge abhi chalo
Adi: per papa
Rayan: Adi.., aap chalo to, Dadu aapko bula rahe hai.
Adi: thik hai papa
{adi waha se chala jata hai, rayan bhi ja hi raha hota hai ki wo ruk jata hai aur saima ki taraf palatta hai}
Rayan: wo.., sagaai ka mahurat sunday ka nikla hai
{saima kuch nahi kehti, bas nazrein neechi kar sunti hai}
Rayan: Saima, main aapse bas ek baat puchna chahta hu. Kya aap iss rishte se khush hai?
Saima: ji
Rayan: per mujhe aisa kyun lagta hai ki aap iss faisle se aap khush nahi hai?
{turns to the opposite side}
Saima: aisa kuch nahi hai,hume is rishte se koi aitraaz nahi hai, yeh faisla humne apni marzi se kiya hai aur hum bahot khush hai.
{yeh kehte hue uski aankho mein aasu hote hai}
{Rayan kuch nahi kehta aur waha se chala jata hai, saima palatkar dekhti hai to wo jaa chuka hota hai.Saima
darwaza band karti hai aur zor se rone lagti hai, phir drawer se Aryan ki tasveer nikalti hai}
Saima: kaha ho tum Aryan? hum yeh jhootha rishta nahi nibha payenge..... nahi nibha payenge.... {cries bitterly}
Song in the background
Tere naam humne kiya hai,
{jeevan apna saara sanam}*2
Tere naam humne kiya hai,
{jeevan apna saara sanam}*2
Pyar bahot karte hai tumse
{Ishq hai tu hamara sanam}*2
Neendo mein aankho mein pyaase khwabo mein
Tu hi tu hai yaara mehki saaso mein
Har bechaini reh rehke yeh kehti hai
Har dhadkan mein teri chahat rehti hai
Tere Bina
Tere Bina
Tere Bina naamumkin hai,
{Zindagi ka guzara sanam}*2
Doorie hai majburi hai tanhayi hai
Teri yaad hume kis mod pe laayi hai
Apni to manzil hai teri raaho mein
Jeena marna hai ab teri baaho mein
Tere liye
Tere liye
Tere liye iss duniya ka
{Har sitam hai gawara sanam}*2
Tere naam humne kiya hai,
{jeevan apna saara sanam}*2
Song in the background
Din beette hai, aur sagaai wala din aata hai. Dadima bahot khush hote hai. Wo sara ghar sajane ko kehte hai.
Unke liye yeh sabse bada din tha. Akhir unki Saima ki sagaai thi. Per dusri taraf Saima ab bhi koshish kar rahi
thi ki kisi na kisi tarha se wo Aryan se contact kar paye. Wo phir uske uncle ke ghar phone karti hai. Waha unka
naukar phone uthata hai, aur kehta hai ki uske uncle bhi New York gaye hue hai. Ab yeh sunne ke baad Saima ki
aakhri umeed bhi tut jaati hai. Tabhi Dadima uske kamre mien aate hai}
Dadima: kya kar rahi hai beta? tayyar nahi hona hai kya?
{saima dadima se nazrein nahi milati, use pata tha ki dadima uski aankhein dekhkar sab samajh jayenge}
Saima: ji dadima,bas hum tayyar hi ho rahe the.
Dadima: acha yeh dekh main tumhare liye ya layi hu.
{wo ek jewellery box lekar aate hai, jise kholkar saima ko dikhate hai}
Dadima: kaisa laga?
Saima: bahot acha hai.
Dadima: yeh maine khaas tumhare liye banwaya hai, aur beta yeh kangan tumhare ma ke hai. Aaj ise bhi pehenlo
{Saima unhe haath mein leti hai aur ab wo aasu rok nahi paati hai}
Dadima: {saima ke sar se haath pherte hue} bas meri bachchi. dekh aaj tumhare liye bahot khushi ka mauka hai. Aur yeh kangan
maine is liye nahi diye hai ki tum ise dekhkar rone lago, balki iss liye diye hai ki tum apne ma ki kami mehsoos na karo
Saima: nahi Dadima aisa nahi hai. Aap ke hote hue hum unki kami kaise mehsoos kar sakte hai bhala. Apne to hume maa se bhi badhkar
pyar diya hai. Aap to hamare liye bhagwaan samaan hai dadima.
Dadima: acha acha ab bas. {unke aankhein bhi gili hoti hai} chalo jaldi se tayyar ho jana, mehnaam aate hi honge.
Saima: ji dadima...
{dadima chale jaate hai aur saima tayyar hoti hai}
Garewal house.........
Rayan's room....
{yaha Rayan gum sum sa apne kamre mein baitha hota hai. Iss waqt sabhi beeti baatein uske zehen mein aati hai. Kabhi
use Shikha ka wo hasta hua chehra yaad aata hai to kabhi uska wo dhoka yaad aata hai. Wo ab tak isi kashmakash mein hota
hai ki jo wo kar raha hai kya wo sahi hai ya nahi. Phir wo table pe rakhi hui Adi ki tasveer dekhta hai, use Adi ka wo muskurata
hua chehra dikhta hai. Wo khushi, wo masoomiyat dikhti hai jab wo Saima ke saath hota hai. Phir wo sab kuch bhul jata hai
aur apne aap se kehta hai ki jo wo kar raha hai bilkul sahi hai, tabhi Adi uske kamre mein aata hai}
Adi: papa
Rayan: aao beta
{adi rayan ke paas jaakar baithta hai}
Adi: papa, hum kaha jaa rahe hai? aur ghar mein yeh sab kya ho raha hai?
Rayan: beta, aaj hum tumhari mama ko ghar laane jaa rahe hai.
Adi: hamari mama? per aapne to kaha tha ki hamari mama god ke paas hai
Rayan: ha beta, per yeh bhi aajse aapki mama hogi. Aap jaante ho apki mama kaun hogi?
Adi: kaun papa?
Rayan: Saima
Adi: sach papa? per wo to hamari aunty hai na
Rayan: ha, per aajse wo aapki mama ho jayegi
Adi: wow papa, phir kya Saima mama yehi hamare saath rahenge?
Rayan: ha beta, wo yehi hamare saath rahenge
Adi: to kya hum unhe aaj nahi yaha la sakte?
Rayan: {smiles} nahi beta aaj nahi, per kuch dino baad jab hamari shaadi hogi phir wo yehi hamare saath
rahenge
Adi: to phir chaliye, hum abhi unke ghar chalte hai
Rayan: ha beta, chalte hai. Aap dadu se kahu ki hum abhi nikalte hai
Adi: ji papa..
{aur Adi daudte hue kamre se jaata hai}
[Kuch der baad Garewals Khanna house pohochte hai]
Dadima: are Rayan beta aao, ayiye Rainaji..
Adi: Dadima Saima mama kaha hai?
{sabhi adi se mama sunkar bahot khush hote hai. Akhir yehi to sab chahte the}
Dadima: beta aapki mama ander kamre mein hai, bas abhi aati hongi.
Adi: per hume unse abhi milna hai
Dadima: thik hai, aap yehi baitho , hum abhi unhe le aate hai.
{Adi jakar Rayan ke paas baithta hai. Adi ki muskurahat dekhkar Rayan bhi bahot khush hota hai. Dadima Saima ko
lekar aate hai. Wo bahot khusbsoorat dikh rahi thi. Saima ne white and blue color combination ka chuddidar aur kurti pehne hui thi,
Rayan bas ek nazar use dekhta hai}
Raina: are wah hamari bahu aaj kitni khubsoorat lag rahi hai. Aao Saima yaha Rayan ke paas baitho.
{Saima Rayan ke paas baithi hai. Per aaj un dono mein ek ajib sa ehsaas tha. Wo na dur the aur naa hi paas.}
Raina: yeh lo Rayan, Saima ko anguthi pehena do
{Rayan anguthi haath mein leta hai, usi wahi purani yaadein yaad aane lagti hai. Jaise ki har cheez apne aapko dohora rahi hai. Kuch
pal wo unhe mien kho jaata hai}
Sidhanth: Rayan.., beta Saima ko anguthi pehena do
{Rayan comes back to his senses, aur Saima ko anguthi pehena deta hai}
Dadima: yeh lo Saima... {gives her the ring, aur Saima bina Rayan ki taraf dekhe use anguthi pehena deti hai.
Wo ek baar bhi Rayan se nazrein nahi milati}
Raina: mubakrak ho Mrs.Khanna, aaj se aapki beti hamari ho gayi
Dadima: aapko bhi bahot badhiya...
{aur sabhi Saima aur Rayan ke liye bahot khush hote hai, bina yeh jaane ki kisine kisi aur ki khushiyo ke khatir apne pyar ko bhula diya hai}
.............that's it in part 10..........
Comments are eagerly awaited!!!
luv,
ruksaar 😊
ruku dear wow gr8 part yaaar loved it awesome tooooo gooooood 👏 👏 finally sagai hogai gr8 can't wait till the weding day comes up...hope yeh pyar ka ehsaas jaldi seh hojae 😳 continue soooon
yes sis, sagaai to ho hi gayi, ab lets see ki aage kya hoga. Thanks for ur comments!
Originally posted by: starbellz_21
awesum part 👏
so atlast saima n rayan ki sagaai ho hi gayi, that was nice.
grt going!
update soon
thank u so much dii.
Parth,Adnan and Ketaki version I dedicate this to my friend Sydell who wants the Parth,Adnan,Ketaki version of the movie Hum dil de chuke sanam...
Book cover by Prii @SweetButSpicy. Thanks a million Prii for this wonderful book cover.
(Parth,Adnan and Ketaki version) Tere Ho Gaye Hain Hum.... I have become Yours..Part 1 I dedicate this to my friend Sydell who wants the...
COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
62