Tere Bina (RajivAmna ff) last part updt! - Page 7

Created

Last reply

Replies

509

Views

73.2k

Users

37

Likes

38

Frequent Posters

Varallikka thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#61
hey really mind blowing yar....i like ur stry soooomuch...specially d names..they are soo diff...n concept is soooo interesting....plz post the next prt sooon
ruksaar_khan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#62

Originally posted by: Honii

ruksaar dear awesome part toooo tooooo gooooood masth ,wnderful loved it continue sooon can't wait more 👏

thanks for ur wonderful comments sis..😊, will be updating it soon

ruksaar_khan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#63

Originally posted by: varallika

hey really mind blowing yar....i like ur stry soooomuch...specially d names..they are soo diff...n concept is soooo interesting....plz post the next prt sooon

im glad u liked it 😊, will be updating it soon

ruksaar_khan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#64

Originally posted by: golu_1677

wonderful part Ruksaar 👏

thank u so much 😊

ruksaar_khan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#65

Part-6

Recap-
New York jaane se pehle Aryan aur Saima kuch waqt saath beetate hai….., Saima Jewellery ke sample designs ready karke Rayan ko de deti hai per wo designs agle hi din Garewal ke competitors launch kar chuke hote hai, jisse Rayan Saima se naraaz hota hai aur uske saath aage kaam karne se manaa karta hai….

Story further…….
Saima ko kuch samajh nahi aata ki wo kya kare, wo apne aap ko bahot hi akela mehsoos karti hai, bas rehkar rehkar use Rayan ki baatein yaad aa rahi thi.
Kuch der baad wo office pohochti hai, aur Dadima ke cabin mien jaati hai..,
Dadima use dekhkar pareshan hote hai
Dadima: Saimaaa…
{Saima unke kareeb aati hai, usi aankho mein aasu aate hai}
Dadima: kya hua beta? Tum ro kyun rahi ho?
Saima: Dadima, wo Mr. Garewal ne….
Dadima: kya kiya unhone?
{Saima unhe sab kuch bata deti hai}
Dadima: kya? Iska matlab wo designs kisine churaye hai
Saima: pata nahi Dadima, hume to kuch bhi nahi pata yeh sab kaise hua, hume na to unke bare mein kisi se kuch bhi discuss kiya tha aur naa hi wo kisiko dikhaye the, phir yeh sab kaise hua kuch samajh nahi aa raha hai…
Dadima: dhyaan se socho beta aur yaad karo ki jab tumhare designs complete hue tab uss waqt tumhare cabin mien kaun kaun aaya tha
Saima: koi bhi nahi Dadima, bas Mr.Garewal ka phone aaya tha, phir humne wo designs puri kardi aur bas phir…..
{Saima ekdumse ruk jaati hai, use Aryan ka khyaal aata hai}
Saima: {to herself} Aryan bhi to aaya tha usi waqt, per uska iss sab se kya matlab, wo aisa kyun karega…
Dadima: kya hua?
Saima: nahi dadima, hume yaad hai jab hum jane se pehle aapse milne aa rahe the tabhi humne apne cabin ka darwaza bandh kiye the, per jab hum wapas cabin mein gaya tab darwaza khula hua tha
Dadima: tumhe pura yakeen hai ki tumne yaha aate waqt darwaza bandh kiya hua tha?
Saima: ji Dadima….
{tabhi unhe darwaze ke bahar kisi ki parchayi dikhti hai, Saima yeh dekhti hai aur Dadima ko dikhati hai, aur phir jhat se jakar darwaza kholti hai to waha unke office ka peon khada hota hai}
Saima: tum? Tum yaha kya kar rahe ho?
Peon: madam wo main.., bas
Dadima: sach sach batao yaha kya kar rahe the? Hamari baatein sun rahe the?
{wo ghabra jata hai}
Peon: nahi.., main wo…
{uske haatho se ek packet girta hai, Saima wo utha leti hai}
Saima: kya hai ismein?
Peon: kuch nahi , yeh to……wo, mmm
Dadima: kholo ise Saima
{saima use kholkar dekhti hai, usmein dher saare paise hote hai}
Saima: itne saare paise?
Dadima: yeh tumhare paas kaha se aaye?
Peon: madam wo..
Dadima: yeh aise nahi maanega, Saima police ko phone karo
Peon: nahi madam, police ko mat bulana, main aapko sab kuch batata hu…, yeh paise mujhe Mr.Rai ne diye the, aur kaha ki main Saima madam ke designs ke copy unhe de du
Saima: what? To yeh sab tumne kiya hai?
Peon: mujhe maaf kar dijiye madam, mujhse bahot badi galati ho gayi
Dadima: Per Mr.Rai ko humse kya dushmani ho sakti hai?
Saima: dekho, yeh jo kuch bhi tumne hume bataya hai tumhe yeh sab Mr.Garewal ke saamne batana hoga…
Peon: ji madam, per please mujhe police ke hawale mat karna, main apni galati ke liye aapse mafi maangta hu
Saima: thik hai, Dadima, hum abhi aate hai…
{Saima uss peon ko lekar seedhe Garewal office pochti hai, waha Rayan kuch logo ke saath busy tha , Saima seedhe uske cabin mein chale jaati hai}
Rayan: tum? Ab yaha kya karne aayi ho? Aur yeh kya tarika hai kisi ke cabin mein aaneka?
Saima: battameezi ke liye maafi chahte hai, per jo ilzaam aapne humper lagaya hai bas usi ki sachahyi aapko batane aaye hai, umeed karti hu ki kam se kam apke kimti waqt se 5 minute ka waqt to aap mujhe de sakte hai…
{yeh dekhkar baaki log waha se chale jate hai, Saima uss peon ko cabin mein bulati hai, aur wo Rayan ko sab kuch sach sach bata deta hai, Mr Rai ka naam sunte hi wo hairaan ho jata hai}
Rayan: Mr Rai??? Per wo to yaha nahi hai…
Saima: ji ha Mr.Garewal, in sab ke peeche wahi hai, hume nahi pata ki unki humse kya dushmani hai, hum to unhe jaante tak nahi, phir hume nahi pata ki unhone aisa kyun kiya.., Khair hum bas yaha apni sachahyi sabeet karne aaye the, ab aage kya karna hai yeh aapko tai karna hai.., per jaane se pehle bas ek baat kehna chahenge, bina sach jaane kisi pe bhi aisa ilzaam mat lagana ki baad mein sivaye pachtave ke kuch na bache
{Saima waha se chali jaati hai, per Rayan bahot hi gusse mein hota hai, aur wo seedhe Mr.Rai ko phone karta hai}
Mr.Rai: hello
Rayan: maine kabhi nahi socha tha ki aap itni ghatiya harkar pe uter aayenge
Mr.Rai: yeh tum kya keh raho ho Rayan, hosh mein to ho?
Rayan: hosh mein to main kabka aa gaya tha, aap kyun hume hamari zindagi jene nahi dete? Akhir chahte kya hai aap?
Mr.Rai: lagta hai tumhe sach ka pata chal gaya, koi baat nahi, main bas yeh sab Adi ke liye kar raha hu
Rayan: Adi ka naam bhi apni zubaan pe mat laana, uska aapse koi rishta nahi hai, yeh baat aaj main aapsi aakhri baar keh raha hu ki mujhse aur Adi se dur rahiye, humari zindagi se chale jayiye. Maine kabhi Shikha se sacha pyar kiya tha, aur aaj usi rishte ke naate main akhri baar aapse baat kar raha hu, iske baat mujhe khud nahi pata ki aapke saath kya karunga.., ayenda aisa koi bhi harkat karne ki koshish bhi mat karna, warna aap soch bhi nahi sakte ki Adi ki khatir main kis had tak jaa sakta hu….
{Saying this he disconnects the phone}
Rayan: {to himself} har baar mera kal mera aaj pe haavi ho jata hai…
{Rayan bas uhi khamosh sa baithta hai, phir use Saima ka khyaal aata hai, wo kuch der aise hi baithta hai aur phir Saima ke office chala jata hai, Saima aur Dadima usi baat ko lekar thode upset se hote hai.., Rayan ander jata hai}
Dadima: Mr.Garewal aap? Aayiye ander aayiye
Rayan: Mrs.Khanna, I'm really very sorry, main apse aur Saima se maafi maangne aaya hu, kuch galat fehmiyo ki wajahse yeh sab hua tha, aur maine bina soche samjhe Saima se bahot kuch keh diya, I'm really very sorry
Saima: koi baat nahi Mr.Garewal, hamara matlab aapko chot pohochana nahi tha, bas apko sach batana tha
Rayan: sach kya hai yeh main jaan chuka hai aur isiliye main chahunga ki aap hi iss project ko pura kare
{Saima kuch nahi kehti bas dadima ki taraf dekhti hai}
Dadima: ab meri taraf kya dekh rahi ho, jo kaam diya hai use pura karo ab, warna Mr.Garewal aap phir ise daatna aur iss baar main aapka saath dungi
{all of them smile on this}
Saima: thik hai Mr.Garewal, main kal se aungi
Rayan: meri ek aur request hai, main chahta hu ki jab tak aapke yeh designs pure naa karle aap hamare office mein hi kaam kare, mian nahi chahta aaj jo hua wo dubara se ho, iss bar main unho koi mauka nahi dena chahta
Dadima: to kya aap Mr.Rai ko jante hai?
Rayan: bahot achi tarha se, anyways chodiye wo sab, ab main chalta hu…
Saima: thik hai, hum kal aa jayenge
Dadima: ha ab wahi thik hoga…
{rayan chala jata hai}
Saima: yeh kitne alag hai na Dadima
Dadima: alag nahi, bahot hi ache aur saaf dil insaan hai, sach jaanne ke baad wo khud yaha humse maafi maangne aaye, aur aisa bas wahi kar sakta hai jiska dil saaf ho
Saima: ji, acha Dadima chaliye ghar chalte hai…
Dadima: ha chalo…
{Saima aur Dadima ghar chale jaate hai}
Next Day…..
{its morning, Saima is ready and was waiting for Dadima at the dinning table}
Saima: {to herself} kya baat hai Dadima ab tak nahi aaye? Aisa to kabhi nahi hota, wo hamesha mujhse pehle yaha hote hai….
{kuch der aur intezar karne ke baad Saima unke kamre mein jati hai, wo darwaza knock karti hai, per ko jawaab nahi aata, Saima do teen baar darwaza knock karti hai per Dadima darwaza nahi kholte, ab Saima ghabra jaati hai…}
Saima: {knocking at the door} Dadima, Dadima…aap thik to hai na? kuch kehte kyun nahi, Dadima….
{per ander se koi jawaab nahi aata.. , wo servants ko bulati hai, aur wo kisi tarha darwaza kholte hai, jaise hi wo ander jaate hai, to dekte hai ki Dadima, zameen per behosh pade hai}
Saima: Dadimaaaa…, kya hua aapko,aankhein kholiye…,
{wo immediate Dadima ko hospital le jaati hai aur unhe admit karvati hai, doctors Dadima ko examine karte hai}
Saima: kya baat hai doctor kuch to kahiye, inhe hua kya hai?
Doctor: inhe heart attack hua hai
Saima: kya???? Per yeh..to… {she cudnt speak a word, and her cell rings, sumhow she manages to talk}
Saima: he…hello
Rayan: hello, Saimaji, maine bas yeh jaane keliye phone kiya tha ki
{before Rayan cud complete Saima speaks}
Saima: wo Dadima..unhe…wo
Rayan: hello? Saima, baat kya hai? Kya hua Mrs.Khanna ko?
Saima: wo unhe, {and she starts crying bitterly}
Rayan: Saima baat kya hai? Acha yeh to batao kit um ho kaha iss waqt?
Saima: CitySun Hospital
Rayan: what???? Hospital
Saima: Dadima ko heart attack…. Unhe wo..
Rayan: whatttt????? Tum ruko mian bas abhi aaya…..


That's it in part 6,
Comments ka intezar rahega…..

Luv,
Ruksaar 😊


krazy_khyati thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 18 years ago
#66
Amazing part Rukhsaar di!!!!! You are simply fabulous!!! actually fantabulous!!!! That was lovely 😳
anam.05 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 18 years ago
#67
AWESUM PART 👏
I REALY ENJOYED READING IT
GR88 WORK RUKSAAR 👏
golu_1677 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#68
this was just great. So Rayan and Saima in the same office great. 👏

SO time to fall in love for both ❤️
HhAaNnAa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 18 years ago
#69
rukzz wow yaaaar great part toooo toooooo goooooooooood i hope dadi ko kuch na ho ..and acccha hua mr.rai ki sachai sab ko patah chalgai 👏 continue soooon can't wait more
ruksaar_khan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#70

Originally posted by: krazy_khyati

Amazing part Rukhsaar di!!!!! You are simply fabulous!!! actually fantabulous!!!! That was lovely 😳

im glad u liked it dear.., ur comments mean a lot to me! 🤗

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: jasminerahul

5 months ago

Tere Ho Gaye Hain Hum(I have become Yours)Sameer Nandini ZaBir SS

Parth,Adnan and Ketaki version I dedicate this to my friend Sydell who wants the Parth,Adnan,Ketaki version of the movie Hum dil de chuke sanam...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

5 years ago

Kumkum Bhagya: Rishton Ki Ankahi Kahani - Chapter 108 updt on pg 22 Kumkum Bhagya: Rishton Ki Ankahi Kahani - Chapter 108 updt on pg 22

Book cover by Prii @SweetButSpicy. Thanks a million Prii for this wonderful book cover.

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: jasminerahul

5 months ago

Tere Ho Gaye Hain Hum Purab Sakshi ZaBir SS(Closed)

(Parth,Adnan and Ketaki version) Tere Ho Gaye Hain Hum.... I have become Yours..Part 1 I dedicate this to my friend Sydell who wants the...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

2 months ago

Aradhana & Reyaansh SS : Na Jaane Kyun (last chp + epilogue pg 3)

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3 (75%)

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".