PART 1
"Toh Raj..kaisa lag raha hai Lahore laut kar?"..Sanjay ne Rajveer se pehla sawaal yehi poochha..Haal hi me London se aaya hai Raj..Barister ban kar..
Jawaab me Raj ne kaha,"Achha lag raha hai..haan..is dhool mitti ki aadat chhoot gayi hai..bas..yehi baat hai..par tu suna..teri toh sagai ho gayi hai..maine suna hai..Parjaijee se milvaayega nahi?"
Sanjay--Ussi taraf toh jaa raha hoon mere Bhai...woh har roz us mandir me aati hai puja karne..chal milvata hoon..
Mandir me jaa kar dekha..Nirmal nahi aai hai...Sanjay ne kaha ,"Ab tak toh usko aa jaana chahie..aai kyon nahi?Arre..Kranti..."
Raj--Kaun?
Sanjay--Meri honewali saali...Kranti..Nirmal ki cousin..Nirmal..matlab meri honewaali..
Raj--Samjha..par yeh kyon aai?
Sanjay--Abhi pata chal jaayega..Kranti...Nirmal kaha hai?
Raj ne ladki ko pehli baar dekha..Kranti..kaafi modern naam hai..dekhne me achhi hai..bahut achhi hai..par kuchh kumee hai..
Sanjay--Kranti..maine kuchh poochha hai tumse..kaha hai Nirmal?
Kranti--Main wahi bataane aai hoon..Didi ko bukhaar hai..influenga hai..Doctor dekh kar gaye hain..hafta bhar lag jaayega..theek hote hote..
Sanjay--Bukhaar..kaise hua?
Kranti--Mausam badal raha hai..aise waqt me toh hoga hi ...mujhe bhi bukhaar hai..par utna zyada nahi..
Sanjay--Tum kaha jaa rahi ho?
Kranti--Aise hi..ghoomne nikli thi..ghar par achha nahi lag raha tha..issi lia..
Sanjay--Arre..main toh milvana hi bhool gaya..Kranti..yeh mera bachpan ka dost hai Rajveer...abhi abhi England se lauta hai..Barister hai..aur Rajveer ..yeh Kranti..Nirmal ki cousin..
Raj--Hello..
Kranti--Sat Sree Akal..achha..Jeejaajee..chalti hoon..
**********************************************
Raj--Sanjay..yeh ladki thodi ajeeb hai..bukhaar hai..fir bhi ghoom rahi hai..
Sanjay--Haan..hai thodi ajeeb.Mere honewale sasoorjee ki bhaanji hai yeh Kranti,bachpan me uske Mata Pita ka dehaant hua..aur tab se yehi hai..
Raj--Poor girl...par tu yeh bata..tune khud Parjaijee ko pasand kia hai?
Sanjay--Nahi..Dad se Nirmal k Baojee ki mulakat court me hui thi..us waqt Nirmal zaroori kaam se aai thi court me..Dad ne Maa se kaha...k main jaa kar usko dekh aaoon..maine dekha..aur pasand aa gayi mujhe..
Raj--Hmmm..achha kia..
Sanjay--Tu bhi ready ho jaa..tere gharwalen sirf tere aane ka hi intezar kar rahe the..ab teri azadi bhi gayi..
Raj--Nahi..aisa nahi hoga..main jisse shaadi karoonga..woh koi ganwaar nahi hogi..thodi smart hogi..dimaag ki tez..arre..udhar kyaa ho raha hai?
Sanjay ki jeep ek aam k baagh se guzar rahi thi..baagh k doosri taraf..kuchh log the..kasrat kar rahe the..Sanjay ne kaha ,"Gama Pahelwan k log hain..kasrat karte hain..aur yeha par talwarbaazi bhi sikhaate hain..ladke ladkian..dono hi sikhte hain.."
Raj--Ladkian bhi?Tab toh dekhna hi padega..
Sanjay ne Gama Pahelwan k darr se jaane se inkaar kar dia..par Raj gaya us taraf..Sanjay ko jeep me chhod kar.. Raj door khada ho kar dekhne lage..aadha ghanta wahi khada raha..ek ladki ka chehra dhaka hua tha..ab woh naquaab utaar kar sar pe ghoonghat daal kar issi taraf aane lagi..ladki bhi ab tak talwar chala rahi thi..woh apne se ek chhoti ladki ko sikha rahi thi.Ladki paas aai toh Raj ne usko pehchaan lia..Sanjay ne thodi der pahle jisse milvaya hai..yeh wahi hai..ladki doosri taraf chali gayi..vaakei me ajeeb hi hai..ajeeb si adaayen hai usme.
Raj jeep me aakar baith gaya..kaha ,"Chal..ghar chal.."
Ek hi hafta hua hai Raj ko England se laute hue..kaam bhi jaldi shuru karna chaahta hai, usse pahle Lahore k har guli ko achhe se pehchaan lena chaahta hai Raj.
******************************************
Do hafte baad,
Raj k lia rishtey ki baat chalai hai Madhumati ne..ussiki koi bahen hai..par Raj ko woh zara bhi pasand nahi..jab bhi woh ladki saamne aai..tab hi..achanak se kisi aur ka chehra Rajveer k aankhon k saamne aa gaya..aisa ho raha hai..kuchh hi dino se aisa ho raha hai..jiska aks aankhon me lia ghoom raha hai Raj..woh ek jeeti jaagti ladki hai..ek insaan.. par jisko saamne khada kar dia hai,woh ek kathputli k ilava aur kuchh nahi..jitni baar Raj ne us ladki ko apne khwaabon me dekha..utna hi Madhumati ki bahen k baare me Raj ko kai ulti seedhi baatein soojhi,jo keh kar aasaani se peechha chhooda sakta hai Raj..is rishtey se.Raj neend me aaj kal talwar chalne ki awaz sunta hai..Raj uske baad kai baar guzar chuka hai..ussi baagh se..yeh soch kar,k kaash..woh dikh jaaye..ek jhalak hi sahi..
Aise me ,Krantikari Sohan Singh pakde gaye...aur uski sunvai chal rahi hai..Raj chaahta tha k yeh case uske paas aaye..par baad me woh khud hi peechhe hat gaya..Sanjay k kahne se..kyonki Raj ko yeh pata chala hai..k yeh Sohan Singh us ladki..Kranti k lia Pitah samaan hain.Kranti k swargiya Pitajee k gahre dost hain Sohan Singh.Par Raj ne Sohan Singh k favour me bhi case lene se inkaar kia..kyonki Lala Kulbhushan Laal matlab Raj k Baojee k Rai Bahaduri paane k chances bahut kum ho jaayenge..British Government k bad list me aa kar Rai Bahadur banna mumkin nahi.
Madhumati ko niraash hona pada..Rajveer raazi nahi hua..gharwalen naakhush hue Raj k inkaar se.Raj ki Buajee Raj se naaraaz nahi hui..ek Madhumati kya kum hai..jo uski bahen ko laana hai Kaake ki gharwali bana kar?Thode dino k lia Raj ki shaadi ki baat taal di gayi.
Buajee ko mandir le jaana pada..Raj gaya unke saath.Waha par jaa kar Buajee ki mulakat Nirmal se hui..Bujaee jaanti hain Nirmal ko.Kranti Nirmal k saath thi.Raj ne nahi socha tha Kranti se is waqt mulakat hogi.
Nirmal--Sat Sree Akaal Buajee..
Bua--Jeendi reh..yeh kaun hai tere saath?
Nirmal--Kranti...
Bua--Ohh..yehi hai Kranti?Iske baare me Teri Saas baat kar rahi thi...
Raj chup chaap khada tha...Kranti ko dekh raha tha..Kranti khadi thi...khamosh..Raj Buajee k saath chala aaya..
Bua--Yeh ladki Kranti..bhali changi lagti hai..par log baatein karte hain iske baare me..k yeh ladki paagal hai..
Raj--Jee?
Bua--Haan..suna hai..bachpan me apne Maa-Baap ki maut bardasht nahi kar paai..dimaag par gehra asar hua hai...sadme se abhi tak ubhar nahi paai hai.
Raj--Ohh..par mujhe toh aisa nahi laga..pahle bhi mil chuka hoon usse..Sanjay k saath tha main..tabhi dekha tha usko..
Bua--Waise achhi padhi likhi hai...B.A. pass kia hai..
Raj--Achha?
Bua--Haan..Nirmal k Baojee k dost rahte hain Calcutta me..wahi par reh kar padhai karti thi..saal bhar hue isko Lahore laute hue..Amritsar me ghar hai iska..par yehi rehti hai..
Raj--Oohhh...chaliye..ghar chalte hain...
Bua--Kaake..tujhe pasand hai yeh ladki?
Raj--Jee...?
Bua--Bol na...pasand hai..?
Raj--Aap..gharwalon se baat kariye..
Bua--Theek hai..tere aur Sanjay ka Biha ek hi mandap me kara denge...kyon..theek hai na?
Raj--Aap bhi na...Buajee..baat ko kaha se kaha le gayi..chaliye..
Edited by yakkudimag - 16 years ago
240