DAYA did not say a word to ABHIJEET, He Normally behavs with Everyone and after more 24 hours Observation, He came back to Residence and ABHIJEET takes a Big Big sigh either Internally He was so Upset that might be DAYA reject to move to Residence at Last moment….
Next Morning, ABHIJEET peep on His room after Knocking and looking DAYA doing Some work on His Laptop, He said…
ABHIJEET: Breakfast kr kay Medicine Kha lo… phir Bureau chalna hay na…
DAYA: Mujhy ek Cup Chai nikal do bus, aur Main Quince Road jaon ga aur wahan say Bureau aaon ga, Tum nikl jao…
ABHIJEET happy that at least He told His Program to ABHIJEET casually as He knew that DAYA before going to COMMA had some work at Quince road, so taking out His Tea, placed it on His Bedsite with DAYA THANKS and then left for Bureau after saying BYE to Him and hearing TAKE CARE from His Part…
After almost Two hours, a Kid wanted to meet ACP PRADYUMAN, Guards takes Him inside with Proper Scanning as He had a Parcel for ACP Sir, after Guard satisfaction about the Security issues, ACP allowed Him to enter and asked…
ACP: haan Beta, kaho, kya kaam hay mujh say… aur Naam kya hay tumhara..?
KID: RANCHO aur Sir Mujhy ek aadmi nay ye diya kay Main aap ko pohancha dun… (giving Parcel to him with) aur 100 rupay bhi diyey thy…
ACP gives it to ABHIJEET after signaling to Open it while engage with the Kid as…
ACP: Tum nay Us aadmi ka Naam poocha aur aisay hee Us say ye lay liya, agar is mein BOMB hota aur Tumhein Nuqsan ho jata ya koi Drugs tou…?
KID: Sahab wo Shakel say acha aadmi lagta tha aur us nay kaha tha kay is mein kuch aisa nahi…
ACP: phir bhi Beta…
He turned His Head as heard a Painful NAHIII from ABHIJEET Voice who opened that parcel and now DAYA's GUN, GUN License, His CID BADGE, and a simple RESIGNATION LETTER was coming out…
ABHIJEET can't think for a Second that He saw and talked to His Bhai Last time before Two hours and that TAKE CARE He heard might be Once and Last…
ACP takes a Big Big Sigh after seeing all these Items means DAYA not only Left the Residence, He Left CID, MUMBAI aur might be India…
ABHIJEET Scare, Fear comes to Reality with so much Ease, the whole Bureau was looking like Standstill except the Professioonal Conversation, anyone can't able to Hear More…
ABHIJEET checked DAYA room and found His Bracelet, Finger Rings, Chain, Watch even that Chai Cup when coming back to Residence… He got DAYA Passport meant DAYA did not Left India but who knows He made Another Passport or another ID….
Days going on either looking Big and only ABHIJEET knew what kind of pain He was Bearing as Living Alone, feeling rash from others and somehow the Decision which He made only on His Own behalf as at last moment ACP Sir was also Hesitant as this time DAYA did not Quiet and Low but showing his all Emotions openly and comes against ACP Sir statement too…
With the Passage of time after seeing ABHIJEET, who was pretend to be Living but if this is Living, its Good to be Dead as its really Difficult to see a Man Killing Himself minute after minute with Pain, Helplessness, Anger and Quietness… Everyone Anger was automatically vanished even RAHUL asking Forgiveness from Him about His Bad behavior…
After 15 days of DAYA Missing, ACP Sir made a Plan even ABHIJEET was completely Out of Focus but No one wants to Lose any One from this DUO Bond…
ACP (to team): SACHIN, ABHIJEET kay Counter Shootout mein Zakhmi hony ki Khaber ko Next day Maut ki Khaber mein badal dena, (to RAJAT) RAJAT, ABHIJEET ki Post Ritual ki Poori Tayyari Achy say honi chahyey, Pandit, Shamshaan Ghaat, Phool, Maala, Chita, sub kuch… (to FREDDIE) FREDDIE ABHIJEET kay Ghar say Shamshat Ghaat tak Mujhy Fool Proof Security chahyey, Us saaray raastay ko Media waly Cover karein gay…
ABHIJEET (hearing all): Sir, koi Faida nahi hay…
ACP: Tumhein lagta hay Wo wapis nahi aayey ga…?
ABHIJEET (craking tone): Nahi Sir…
ACP (complete assurance): aur Mujhy yaqeen hay, Wo aayey ga… (to Team) Chalo lug jao Kaam pr…
Everybody started working as they did not lose any aspect so release this news on National leve basis as if DAYA Left MUMBAI, He knew that at any Other City…
The Headline little Shiver Him as Titled " CID MUMBAI, Losing One of His Most Brillient Officer in an Shooutout with Terrorest at MUMBAI-DELHI border"
He flicking the Follow up at next page and His lips doing DUA for His Bhai unintentionally after reading " Sr. Inspector ABHIJEET still in Critical state, ACP PRADYUMAN Appeal people to Pray for his Officer life"
DAYA really in upset mood but He knew ACP Sir might be doing such Stunts to bring Him back so trying to sooth His Heart with murmur…
DAYA: itna Bewakoof Nahi hun Sir, is baar main Aap logun kay Plan mein Nahi aaon ga…
Here Next morning when News Anchor told this sad News on National level channel as " CID Mumbai Brillient Officer, Sr. Inspector ABHIJEET Passed Away" (ABHIJEET Footage was there) (DAYA standup in Jerk, He though He heard wrong so Increase the Volume) (News Anchor added) "His Demise was a Big Loss for Country, He got so many Awards of Bravery, His Head and Team mates (with ACP and Team teary footages) really Sad on His Officer Death (DAYA fell on Knees hardly) (ACP Sir gives His grief to Media) (News anchor again) His Post Ritual will be done on MUMBAI, tomorrow Morning.."
She started another News, Here DAYA Flew to MUMBAI from next Flight, He was not in His Senses and its really Difficult for Him to Compose and Relaxed Himself…
He went to Residence where found Everyone in White Outfits with Tears, RAHUL, ACP Sir, SALUNKHY Sir all talking about Him and asking with each one that How they contact to DAYA and giving him this News as its ABHIJEET last wish to give Him Agni by DAYA's hand…
DAYA wanted to move in Rush but a Doubt comes on His Mind as He did not see ABHIJEET Dead body there and till the Night, His Waiting soothing Him as He feels it's a Perfect Plan to get back Him… He was waiting for coming Morning with Laughing on His Heart…
Next Morning when He was about to reveal Himself and blow the Balloon of that Drama, an Ambulance comes and He feels ABHIJEET Body was on Stretcher through windows, but before He moved to see Him Clearly, Ambulance rushed..
DAYA behind it although literally He was Running in Tears, scare and tension even Not thinking to take any Vehicle, He lost everything just to See that Body and Sooth his Heart about this Painful Plan…
Now He was at Peak of pain as He saw team with tears at Shamshan ghat, ACP Sir, SALUNKHY Sir, RAJAT and FREDDIE comes towards Ambulance from which VINEET and NIKHIL coming out and they pulled out the Stretcher having ABHIJEET…
Yes He is ABHIJEET wrapped in White cloth with a Maala and Some Flowers on His Body… They laid Him over Stack of woods… RAHUL eyes still on Shamshan Ghaat Entering point… ACP Sir moved to him and say…
ACP: RAHUL, ab Intaizaar Fuzul hay…
He picked the Wood got Fired and when about to Fire the Wooden stack, Someone coming to Him with a loud call of ABHIII, the Echoing entered in ABHIJEET ears who Smiled secretly on that Wooden stack, DAYA running was extreme fast as at a moment He tucked and fell with Force and Rolled down…
All moved to Him but He tried to manage and went to ABHIJEET as His Brain told Him that his team protects Him from that Fire but He pushed them and went there, throwing Stacks from ABHIJEET in Crying, Calling, screaming and hugged that Man who is his life and before feeling His Lovely touch, Smashed down…
DAYA get back earlier with a Scare and after Realizing the Fact as seeing ABHIJEET Alive, and He was at His Own bed, room and Residence, Shutdown… ABHIJEET come close to Him, sat on His Bed and started as…
ABHIJEET: DAYA, Main jaanta hun Main Tera Mujrim hun… Tu Mujhy Maar, bhaly Shoot kr day pr Yaar is tarah Mut kr… Tu chahta hay na kay Hum NAKUL ko lay aayein… theek hay… Main usy lay aaon ga… Sach… tu jo kahy ga na Main wesa hee karun ga DAYA… pr Tu Khud kay sath aisa Mut kr DAYA… (teary voice) acha Tu Mujh say baat mut kr, Mujhy Maar bhi Mut, galy bhi mut laga, dekh bhi mut Mujhy… pr DAYA Tu Khud ko dard Na day yaar… Plz… Tu…
DAYA (straight tone): Main yahan say Jana chahta hun… bas…
ABHIJEET looked at Him and this time without any word, give Him the Space… He knew He Lost DAYA so why He stopping a Soulless Body by Force…
ABHIJEET moved out from His Room and leave the Residence as DAYA heard Jeep voice to Shed His Tears as now He Understands that in Further Life, He will not have any Shoulder and fingers to Soak or Wipe His Tears….
After a while DAYA get up from His Bed, taken out His Bag, pushing things like Cloths, Specs, Shoes, Towels, Accessories, Bracelet/Chain/Rings, Watch inside it, picking a Photo Frame from His Bed site having ABHIJEET/MISHA/ARUN/AYUSH and NAKUL Pictures Combine which He made through Photo Software, His Ipad Folder, Cell and Valet and completely Exit from the Residence…..
DAYA moving Out, He did not take Bike or Quillas and also did not want to Meet anyone, who gives Him a Lecture to stopping Him from this Weird Step… He walked towards Society Main Gate, trying to move further for a cab, suddenly a car stopped with Jerk and turned back to Him… DAYA look at its Returning Journey towards His side and feeling Irritation as it ACP Sir INNOVA…
ACP Sir look at Him with a Big bag so opened the Backdoor, He Quietly sit on it and ACP take Him to Bureau as No one was there right now… He followed ACP Sir into His cabin, ACP Sir offered Him for Seat and ask…
ACP (harsh): Tumhein kya lagta hay DAYA, Wo Patthar ka bana hua hay… haan… (DAYA Quiets) (ACP again in rash) chalo Maan liya Us nay jo kiya Ghalat kiya pr kya is Ghalti ki Saza itni Lambi aur sakht honi chahyey kay Insan Jeeny ki Tammana kya, Jeena hee chor day… aur kya ho gaya agar Us nay koi Ghalat Faisla lay bhi liya… Court kay Darwazy Khuly hain… jao, laro aur wapis lay lo NAKUL ko… Tum jaantay ho na ye ek Criminal Offence tha, Hum nay Un Parents ki poori Investigation ki, jo Sabut wo Humein as a Biological Parents day chukay thy, Un ki Phir say Jaankari karai, Hum nay Case Local Police kay hawaly kr diya, Tumhein is liyey In sub say Dur rakkha ABHIJEET nay kay Tum ko is Baat kay liyey tayaar kiya jayey kay NAKUL chala jayey ga… Tum kya samjhtay ho kya Mujhy Qanoon Nahi malum, Police nay Us Parent ko Arrest kiya jub tak Tum Khandala Nahi gayey thy, pr Tumharay Khandala jaany kay baad Majestrate nay Usy Fine kiya kyunkay Baccha saheh halat mein Wapis mil gaya tha, Saza hui pr Us nay Bail lay li… batao, is mein Humara Kya Dosh…
Tum ye bhi Achi tarah jaantay ho kay IPC Section 317 kay teht Father Natral Guardian mana jata hay, jub Court nay Usy Bial pr Fine krnay kay baad Chor diya aur wo is Stathi mein hay jahan Wo apnay bacchy ki Achi tarah Dekh Bhaal kr sakta hay, tou Pehla Haq Usy jata hay…
DAYA Un logun nay kyun aisa kiya, ya Un ki Mansic Stithi Us waqt kiya thi aur ab kyun aisi hui hay, ye Hum nahi jaan saktay, jitna Humaray bas mein tha, jo Hum kr saktay thy ya jesa Humara Zarf aur Achai thi, Hum nay Us hisaab say Kaam kiya…
DAYA Main jaanta hun Tumhein Buht Dukh hay, na sirf Tumhein, Hum sub ko buht Dukh hay DAYA, pr (after a minute feeling DAYA Shame so added) DAYA Hum mein say koi bhi ye Dawa kabhi nahi kr sakta kay Us nay aaj tak koi Ghalati Nahi ki ya koi Ghalat faisla… hum sub Umer kay hr hissy mein Ghalati kartay hain aur Us say seekhtay bhi hain…
Tumhein malum hay us nay sirf Ghalati nahi ki, is Ghalati kay natejay mein aany wali hr takleef ko Himmat say saha, hr pal toota Wo pr Tum say Muhabbat tou Kum nahi hui… NAKUL say Us ki Chahat tou Kum nahi hui… Hum sub nay Us kay is faisly, Tumharay Comma mein jaany kay baad kitni baatein Sunahein Usy, hr tarah say usy Akela kr diya… phir bhi Wo Jiya… sirf Tumharay liyey aur Tum… kya Tum Us ki aik Ghalati nahi maaf kr saktay…
DAYA (Quietly Teary tone): Sir, Mujhy ABHIJEET say koi Shikayet nahi… Mujhy tou Us Maa say shikayet hay jo apna baccha Koray kay Dhair pr Chor gayii… Sir, Us kay sath Koi Hadsa Nahi hua tha, Us nay jo kiya Jaan kr kiya… (with tears) Wo Maa ban kr Nahi sochti, pr ek Pal ko Insan he ban kr soch leti… Wo Usy kisi kay Ghar ki Chukhat pr chor deti, kisi kay darwazy pr, Hospital, Police Station ya CID kay gate pr ya chalo Sir wo Usy kisi Khali road pr chor jaati pr Koray kay Dhair… (loudly cried) Sir Main nahi jaanta Maa kya hoti hay… shayed aap log ya ABHI behtar samjh saktay hain kay Maa kya hoti hay, pr Sir itna Mujhy yaqeen hay kay Maa kabhi apni kya parai aulad ko bhi Koray kay Dhair pr nahi chorti… (look at Him and asked) Sir Mujhy nahi pata kay main kaun hun, pr mujhy itna yaqeen hay kay Meri Maa nay Mujhy Koray kay Dhair pr nahi chora tha… (ACP Stunned, comes to Him and Wrapped His Head around His arms) (DAYA again) ABHI nay Usy hee kyun diya… wo NAKUL ko kisi ko bhi day deta, bhalay anath ashram mein daal deta, Mujhy dard nahi hota pr Us nay Usy Us Aurat kay hawaly kr diya, jisy shayed Maa ka matlab hee nahi pata…
He Softly Pulled Out His Head from ACP arms who was in Tears as DAYA whole Face was wet with tears… He standup and tell in Low tone…
DAYA (wiping tears): Sir, shayed main Ghalat hun, shayed main kabhi Saheh baat Nahi keh sakta, koi saheh Faisla… magar mujhy Khushi hoti agar ABHIJEET aur aap is Ghalat faisly ko hee Maan letay pr Main (teasingly smile with tears as) ABHIJEET nahi….
He moved out leaving ACP Shocked and also watching ABHIJEET froze at Cabin door, He left the Bureau building too…
DAYA went to a Resort, wanted to take Shower after this Painful Discussion with ACP Sir so pulled a Towel from His bag, his IPAD folder also coming out and fell on floor… He picked it and finds that a Dairy was also there with IPAD Folder… He opened it and Stunned…!
ABHIJEET after Hearing this Defrost with extreme Effort, He can't believe that DAYA has such Painful Trauma and never ever Shared it with Him…
He remembered that DAYA never said any bad about any Women specially but He was continuously against to give NAKUL to His MOM… who knows what kind of Hurt He bore in His Heart Alone…!
DAYA Flipped the page and His eyes reads the first One Liner in Dairy with Date…
APRIL, 1997…
Mujhy sirf Aik Lafz yaad hay jo Main nay apny Hosh mein Suna, wo tha ABHI….
MAY, 1997…
Baad kay kuch Dino mein Mujhy Us Awaaz ka Chehra dikha… Sub Inspector DAYA…
1998…
Ufff, DAYA kitna Sharmata hay… aur kitna Acha lagta hay, ek ajeeb sii Masomiyet aa jati hay us kay chehray pr…
APRIL, 2000…
Kafi Bura saal raha 2000, Humaray liyey, CID kay liyey… ACP Sir ki aankhun ka Achanak chaly jana… ufff… buht takleef thi Us samy… pehli baar Mujhy laga, DAYA, ACP Sir kay Qareeb hay ya ACP Sir us kay… haan… jub DAYA Un ko Choota ya un ka hath pakarta tou Wo Kabhi gussa nahi hotay… pr jub ASHA, SUDHAKER, FREDRICS aur MAIN, ACP Sahab ka hath pakarty tou Wo Gussa ho jatay...
DAYA mein koi Jaadoo hay, hum tou Sir say Daant khatay, Sorry kartay aur Sahab mazy say Sir ka Hath thamy yahan wahan phirty aur Sir apni baat bhi Usy hee kehtay, DAYA, Mujhy abhi Bureau jana hay, DAYA hazir… DAYA Mujhy Shooting Range pr jana hay, DAYA hazir…
pr DAYA na Sir ka Buht Khayal rakhta hay… balkay sub ka… hairat hay wo Bolta Nahi… pr itni Choti cheezun ki Care karta hay… Sir ki baatein suntay suntay achanak kehnay lagta hay… "Sir, Dihan say, Table hay wahan"… sach kahun tou Mujhy buht acha lagta hay… buht Apna Apna sa…
JULY, 2000…
Hahahah, aaj buht mazza aaya, DAYA kay Area kay ander ek Society mein ek aadmi ka darwaza nahi khul raha tha, wo DAYA ko pakr kr lay gaya aur phir DAYA nay Kick maar kr Us kay Flat ka darwaza toura…
Maza tou Us samy aaya jub Us aadmi, kya naam tha Us Qatil Jockey ka, haan RAKESH, jub Us nay ACP Sir say masoom ban kr DAYA ki Shikayet ki kay wo Us kay Kitchen mein Jootay samait ghus gaya tha, wahan Pooja ka saaman hay… tou ACP sahib nay DAYA ko thora samjhaya…
Kya Irritation thi DAYA ki… hahahah… Bechara Gussa bhi nahi kr paaya, warna Dil tou kr raha hoga, Us RAKESH ko aik tou Kaan kay neechy lagayey…. Heheheh…
AUG, 2000…
DAYA tou bilkul Truck wala hee lug raha tha… aur MURGHA khatay aur LASSI peety dekh kr tou koi yaqeen hee Nahi kr sakta tha kay ye ek CID officer hay, wesay aapus ki baat hay… Mujhy Pehli baar pata chala, DAYA Theek Thaak Khata hay… hahahahah….
A Shyly smile flashes on DAYA lips after reading it, He placed the towel on Bed and sat there with Flickings…
ABHIJEET went to Residence Silently as He does n't want that ACP saw him and feeling More Hurt so Peep out from there…
He feels He Lost every Hope, Share, Hurt, Tear, Happiness, Smile, Relation so there is No need to Live more especially without DAYA, He wanted to attempt a Scuiddal Attempt but Not with His Gun as He did not want to Lose a Bullet for such step, He murmurs…
ABHIJEET: Tu kya samjhta hay DAYA, tu hee Ye kr sakta hay, (taking out His gun with) aaj tak ye Gun sirf mujrimun ko Saza denay kay liyey chali hay, Ek Ek Goli ka Hisaab dena partta hay (putting it on table with) Main Nahi chahta kay Sir ko is Goli ki kahani pr Meri Khudkashi ki Khaber sunani paray…
Suddenly His Informer called Him about telling Him an Information about Illegally Manufacturing Desi Tamnchas's… He said…
Informer: Sir, Khaber Pakki hay, aap log waha…
ABHIJEET mind got a Spark, His eyes grasp that Spark and mind started working on that Path so in hurry ordered His Informer about arranging a Desi Tamancha as…
ABHIJEET: aisa kr kisi Desi Tamanchay ka Intaizaam kr…
Informer: Sahab Buht Khatra…
ABHIJEET (cutting): tou Dukan say Paan laany kay Kaam tou Tujhy dun gab hi Nahi…
Informer: acha Sahab, apun koshish krta hay…
ABHIJEET dropped the Call… ABHIJEET entered at DAYA Room without any Intention, He looked around and picked a Photo Frame placed at His Bed side table having only ABHIJEET Photo, He looked it and then threw it on His bed and when wanted to Move outside, His Foot hit with DAYA bed and a Drawer coming out from the Bed…
ABHIJEET Surprised as this is DAYA House as after that Sound Creepy Case, ABHIJEET lived with DAYA according to DR advice either He wanted to take Him to His House but DR denied as He told Him and ACP after seeing DAYA Bad condition that He was Familirize with His House so shifting Him to Other Place was Not Good for Him…
ABHIJEET Shifted there with His Room Furniture but as DAYA House Furniture was there as it is so He never knew about any Secret Drawer, He opened the Drawer with Confusion and Excitment and found something Unexpected….!
A Torn, Dirty and Dusty Blue coloured Jersy wrapped in a Plastic cover with a Tag line as "ABHI jersy… April, Year 1999"…
ABHIJEET trying to remind and feels that this was the jersy He had worn when He First coming on Concious state and people telling Him that He was a Police Officer named ABHIJEET but He Lost His Past Every memory as He was Kidnapped before Five days and just now got by CID…
He was Shocked that why DAYA Saved it with much Care, He is searching the Drawer and getting Out so many things or say Memories…
He checked another thing, a Maroon Tee-Shirt of Bigger size wrapped in Plastic bag with a Tag line as " Welcome Back ABHI… July, Year 1999"…
Another thing coming as a Black half sleeves Shirt with a Small Cutter in Plastic with Tag line as" We will Die together ABHI… Oct, Year, 2000"…
The last thing which coming with that Shopper was a Gery full sleeves Shirt and a Rifle Bullet wrapped in Crystal bag with Tag line as " the First Bullet hurt ABHI in front of My eyes… Dec, Year, 2000"…
DAYA flicking the pages as now He got that ABHIJEET Personal Diary in His hand, even its Quite Surprising for Him as He does not know about ABHIJEET this habit either Living together from Few Years… DAYA got another Page, so Flick it, He Undelibrately comes in Relax mood while reading it…
AUG, 2001…
Ahhh, DAYA ka, Meray DAYA ka itna Khoon nikl gaya… Hum nay Plan banaya ek Kidney Racket ko Pakarnay kay liyey, DAYA nay Us Gang ki ek Larki ko Trap kiya…
Kitna Acha lug raha tha ACP sahib ka Cheeranjeev us Laal Phoolun wali shirt mein… aur jub Main nay kaha kay DAYA Tumhari Wo Neeli Shirtein kahan gayein… tou Kesa Sharma kay kehnay laga… "Kya Sir, aap bhi"…
Pata nahi Us Larki nay DAYA ko kya Pila diya tha, hatta Katta DAYA ek dum Dusrun kay Kandhun pr aa gaya… wo tou Shuker hay, Hum log Time pr aa gayey aur SALUNKHY Sir nay Usy sanbhal liya…
Warna Main ek ek aadmi ko, Us Dr ko jis nay DAYA kay Jism ko Kaata tha… jaan say Maar deta…
AUG, 2001…
Kabhi jo Sahab Mujh pr Shak kr lein, Hum RAM DAS ki Shadi mein gayey MANNU GARJA wahan aany wala tha… SUDHAKER ye Pakki Khaber laaya tha aur wahan wo KONIKA aa gayey… wohi Us Luteray ki Biwi jo Subah Ghar bhi aayii thi…
Boli Meri Baat akelay mein Sun lo aur wahan Band kamray mein Khud ko Goli Maar li aur IIzaam, Ilzaam Mujh pr laga diya…
Ufff kitna Khaufnaak tha wo Pal, na koi Sabut, Na Gawah… agar DAYA, ACP Sahab, SALUNKHY sahib aur Team Meray sath Na hoti tou Garwa diya tha Us nay tou Mujhy…
Pr is say Mujhy pata chala, DAYA ko Meri Tang khenchna buht Pasand hay… Us ki Aankhein Chamakti hain… boly ja raha tha " Boss Musibat Tum say 10 feet ki duri pr hay", yahan Main pooch raha hun Us nay Mujhy dekha? tou Sahab kehtay hain Sharartii tone mein," 5 feet ki Duri pr", "Sar pr khari hay Boss Tumharay"…
Lo bhala batao, Cold Drink piyey ja raha tha aur bakwaas kiyey ja raha tha aur Aankhein Sharartun say Chamkein ja rahi hain… aur phir kehta hay Boss Main tou kuch Nahi karta…. Pagal…!!!
ABHIJEET opened Another Shopper having a Travelling Bag with a Bandage with Blood signs in Crystal bag with Tag line as " the Money demanded by Blackmailer for that Victim Secret Dairy, ABHI hides this bandage as I was Injured first time in My Professional life, Main nay Nikal lii, ABHI kay Hiding place say, Usy pata bhi Nahi chala… Jan, Year, 2000"…
Another Plastic sheet opened having a Sketch Xerox where a Big Gate was there with Sun Image and a Photo of a Girl with a Tag line as "ABHI start to Fall in Love… Dec, Year, 2001"…
A Cute comment come out from ABHIJEET mouth after seeing the Picture of that AMNESIA patient named NUPUR for DAYA as CHAL BAY….
ABHIJEET opened the Next Crystal bag having a Train ticket with a Naughty Tag line as " Boss, Main Tumhein Jaany nahi dunga, Chutti mananay, wo bhi Shiv Puri, wo bhi Akelay, Meray bina na Tum Tracking kr pao gay aur na Fishing, Good Lord 10 din bina Tumharay kya Main yahan Makkhiyaan maarun ga, huh… Feb, Year, 2002"…
ABHIJEET Shocked after seeing the Ticket, DAYA really stopped Him as He was Not going to SHIV PURI again either SALUNKHY Sir arranging Ticket but He Missed the Train… He murmurs…
ABHIJEET (murmur): Tu kabhi nahi sudhray ga DAYA…!
Another Sheet was Small having only a Sqaure white Piece looking like a Handkercheif with Blood Stains with Tag line as " aaj ABHI kay ooper ek Cobra saanp nay apna Zehr Spit kr diya, Hum sub sath Jungle mein thy, Uff Meri tou halat Buri ho gayii aur ABHI wo tou Dard say tarap raha tha… kya ABHI Tum ko bhi na, Us Saanp ko Paker kay us ki Pitai karni paray gi, aakhir Us nay ABHI ko nuqsan pohanchany ki Himmat kesay ki… Jahil Cobra… Aug, Year, 2003"…
A big laugh comes out from ABHIJEET throat after reading that Dhamki to JAHIL COBRA, DAYA was at peak of His Innocence at that time…
DAYA Flicking the Next pages, He was so involved in reading so now little laid on Bed and Forgets about showering and all…
MARCH, 2002…
DAYA buht Sharminda hay, pr kya kiya ja sakta hay, wo bhi apni jagah Ghalat nahi, agr koi Mujh pr peechy say waar karny ki koshish karay ga tou DAYA tou Usy roky ga hee…
Hum ek Spot pr thy, ek Kidnapper ko pakarna tha kyunkay Us nay ek aadmi ka Baccha kidnap kiya hua tha pr Us nay Mujh pr waar karny ki koshish ki Bhaagny kay dauran aur DAYA nay Usy Shoot kr diya…
Wo Bina kuch batayey Mar gaya… DAYA tou jesay takleef say Bechain ho gaya… ACP Sir nay Usy Buht daanta, Us nay Sir ko Resignation bhi diya jis pr Usy aur daant pari aur phir jis tarah Hum nay chotay chotay Clues say us bacchy ko dhoonda aur DAYA nay… haan… DAYA nay us bacchy ko bachany kay liyey Bomb kay ooper Chalang laga di…
Ufff wo Lamha, laga poora manzar hee Andheray mein Doob gaya aur Dhuwen ki lapit mein aa ga… Shuker hay DAYA Zakhmi nahi hua zyada aur Main nay Us say Resign ka pooch kr Us ka Dimagh kahein aur lagany ki koshish bhi ki…
JULY, 2002…
Sahab Mujh pr najany kub Gussa hun, Hasrat hee hay Mujhy, agar Us ki jagah koi aur hota tou ab tak Mujh say hr Naata tour chukka hota kay ACP Sir kay saamny Main nay Usy itni sunai, Us pr Poori Team kay saamny Shak bhi kiya aur ye tak kaha kay agar Wo CID mein rahy ga tou Main CID chor dun ga… pr Us Bandy kay maathy pr Ek Shikan (line) tak nahi aayii…
DAYA Mujhy buht Khawahish hay kay Main tera Gussa dekhun kabhi… pata Nahi wo waqt Kub aayey ga…???
DAYA (murmurs): aa tou gaya…
JAN, 2004…
DAYA ko Dusri baar Goli lagi wo bhi ek Bacchy kay haathun, balkay ASHA Lift say gir kr Zakhmi hui aur hum sub bhi kisi na kisi Attacker ka Shikar huay pr Us Pagal ko us waqt bhi yehi Chinta kay Sir aap Meri Behan say kuch na poochein, wo pareshan ho rahi hay, halankay wo Us ki koi aisy hee Sister thi…
OCT, 2004…
Oh no, Main tou DAYA ko Us Club mein Ek Larki kay sath aatay dekh kr Behosh hotay hotay Bacha… Chup Chup kay Dost bhi bana li, Humein bataya tak Nahi, Jewellary bhi banwa li, aaj yahan Club mein sath lay bhi aayey Sahab aur ab bhi kahay ga kay Boss aisi koi baat nahi, jesa Tum samjh rahy ho… hahaha… SONALI… Achi larki hay…
DAYA closed the Dairy in Hurt and Pain, this Part of His Personal and Professional Both Life most Hatered part that His Fist Female friend Trapped Him and used Him…
ABHIJEET opened another Shoper having a Small Manuscripted Chit as MUNSHI COTTAGE, KD SCHEME, 10th ROAD, JUHU in ABHIJEET own writing with some Blood drops and a Tag line was there as " Boss ko bhi hr Pangy mein Phansny ka shauq hay… Aug, Year, 2004"…
ABHIJEET remember that its First time in His Professional Life He trapped because of His Memory Loss problem…
Another Plastic wrapper got a Flight Skedule Xerox Copy of Year 2005 of India to London Pessanger Boarding List with a Tag line as " ABHI nay Mujh pr wishwas nahi kiya, Ghalat baat hay na, kya Main Trust kay Qabil nahi… Nov, Year, 2005"…
ABHIJEET reminds that ACP Sir was Accused and then Suspecious and lastly Escaped from India and move to London and He did not share that News to DAYA, He hurts Him, really so now said…
ABHIJEET: Nahi yaar, bus haalat aisay thy warna agar Tujh pr Trust nahi hota tou Main Tujh say Us waqt bhi Share Nahi krta…
DAYA again opened the Dairy after setting the Pillow at His Back, He was feeling Sooth after reading it…
2005…
Ye tou poora Saal hee DAYA pr Bhari raha… Pehlay APRIL mein Us Dhoongi Baba nay DAYA ki aany wali maut ki Prediction kr di, aur DAYA ko Goli bhi lug gayii… Ufff Tarap raha tha Dard say Mera hath thamy…
Phir MAY kay month mein wo ek Witness ko pooch taach karny kay dauran Maarny kay Case mein Suspend ho gaya..
Phir JUNE mein wo Wapis Resume hua, SALUNKHY Sir ki madad say, magar Un Lamhun ki Takleef hr Pal Us kay Sath rahi… CID kay bina DAYA reh hee Nahi sakta… aur agar wo nahi aata tou Main bhi CID chor deta… Dr. ANJILIKA tou jesay DAYA ki Jaani dusman ban gayei theen…
Aur aakhir mein JULY mein Us Kameenay DAKSH kay karan Us COL. BANJARA nay tou DAYA ki Jaan hee Taqreebun lay li thi… uff kya Haal bana diya tha DAYA ka… na Bol paata tha aur Na Chal….
2006…
MAY kay month mein DAYA kay Dost RAHUL ki maut, wo DAYA ko kuch batana chahta tha pr pehlay hee us ki Zaban band kr di gayii…
phir SEPTEMBER kay month mein ek Mujrim kay peechy bhagtay huay DAYA ka Chat say Gir jana, ahhh… Us ka Ankle toot gaya tha… becharay ko kitna dard hua tha…
DAYA undelibrately rub His Fingers on His ankle which still has the Sign of that Accident…
DAYA kay Hospitalize honay kay baad Mujhy kuch Acha Nahi lagta, DR nay Usy sakht aaram ka kaha tha aur agar ACP Sir ki Karak daant aur Meri Tirchein nazar Nahi hoti tou sahib kub ka Bhaag jatay…
Phir OCTOBER mein Us ka wo Bureau Crutches kay saharay aana, aisa laga Mehfil mein rang aa gaya… laga Phir say Main Jawan ho gaya… halankay Main abhi bhi Jawan hee hun…
DAYA (naughty murmur): Jooth…
Kuch Log Zindagi kay gird Ghomtay hain aur kuch kay gird Zindagi, DAYA kay gird Zindagi ghoomti hay…
DAYA (whisper): aur DAYA, Tumharay gird…
MARCH, 2007…
Uff… Ek Larki nay DAYA ka Gala is Buri tarah Kaata, aaj bhi yaad aata hay tou Meray Rongtay Kharay ho jatay hain… pata nahi Usy kaun sii Dawa Juice mein daal kr pila di thi… agar Main thora Late pohanchta tou DAYA tou gaya tha…
SEPTEMBER, 2007…
MADHU MANSA bhi Mujhy Zindagi Bhar yaad rahy gi… kya Jiger wali aurat thi… DAYA ko kesay Us Chamber mein Band kr rakkha tha… Us ka Angotha, phir Obitory, phir wo CD, jis kay baaray mein aaj bhi sochta hun tou Khoon Khaul uthta hay…
DAYA ko tou Main nay wo CD dekhai hee Nahi, balkay usy aisy jagah rakh diya kay usy malum tak Na ho kay MADHU nay is tarah Hum sub kay jazbaat ko Takleef di thi…
DAYA ko Sans tak Nahi aa raha tha, kitni mashkilun say sans lay pa raha tha, phir bhi Yehi Fiker kay Hum mein say Kisi ko Chout Na aayey… apni Jaan say Zyada Team ki parwah… aur kabhi kabhi tou Mujhy hairat hoti hay kay Us waqt bhi us ki will itni Strong aur Apt thi aur wo apny Senses mein tha kay Humein Chamber kay ander say itni Takleef say batata raha kay ander BOMB hay aur us ka Trigger Us kay Pair kay pass… warna tou shayed… Hum sub wahan raakh ka Dhair ban jaatay…
DAYA Shocked as He did know about this Thumb, obitory and CD issues as ABHIJEET never discussed it again and DAYA did not try to pop up it because He felt ABHIJEET Hurt after hearing anything about this Case…
ABHIJEET opened another Plastic wrapper and found a Newspaper Cutting with a Headline as"MYSTERIOUS SON SURFACES IN CID OFFICER ABHIJEET LIFE"… April, Year, 2005"…
A Smiles comes on ABHIJEET face after Reminding DAYA's Lines while watching this Cutting as…
DAYA: Shadi ho gayii, Beta ho gaya… ABHIJEET Tumhari Shadi ki Methai tak nahi mili, wo tou paper parha tou pata chala…
ABHIJEET: Aa ja na Yaar, Main foran Shadi kr lun ga… (wipe a tear with) Pakka…
Another Crystal Sheet got a Gun with a Picture of a Dead Tiger with a Tag line as "Boss nay aaj Shair maar giraya… wah bhae… kya Sharp Shooter hay kay Aawaz pr Nishana lagaya wo bhi Accurate… Seekh DAYA kuch seekh… July, Year, 2006"…
Another Sheet having a Key with a Tag line as "kya Banda hay Yaar, Haar say Chabi bana li… kitna Gussa ho kr gaya tha Bureau say aur jub ACP Sir nay Mujhy kaha kay DAYA, ya tou ABHIJEET kay sath aao ya Tum bhi Mut aao, Mujhy tou zara bhi Umeed Nahi thi kay Wo Meri baat suny ga, pr Main nay Usy mana hee liya… Smile kr kr kay… hahahaha… Mujhy malum hay Usy Main Hansta Muskurata buht acha lagta hun… ek dum Cute sa… hehehehehe… Aug, Year, 2006"…
ABHIJEET: haan Cute say, pata nahi Sahib ko kis nay keh diya hay kay Sahib Cute say hain… (looking His picture on His Cell Main screen and say) wesay kehta tou saheh hay… hay tou Cute…
Another Plastic bag having a White Sheet with some lines join by some points and on those Points, A to Z written by DAYA Handwriting, a Bug and a Fake Bullet with Tag line as " uff kya Actor hay ABHI, jub Us bacchy kay through Us nay MUSKAN kay Kidnapers say Contact kiya tou ek pal tou Mujhy bhi Nahi laga kay ye sub ek Plan hay, Phir FREDDIE ko Shoot krna aur wo ANDHI larki… ABHI ka Dusra Pyar… hahaha… Buht Sharp thi wo… agar wo Help nahi karti tou Hum KREMEN tak kabhi nahi pohanch paatay… Aug, Year, 2006"…
ABHIJEET (rash murmur but with smile): aby, ye Kya hr larki ko Mera Pyar bana deta hay… wesay thi tou buht Sharp Larki… (after reminding) Indicator ka kesay bataya tha…
ABHIJEET unwrapped the Next one having a Love letter with a Picture of ABHIJEET and SURVI with a Tag line as " ABHI ka Buht Purana Pyar… hahahahah… heheheheh… hahahaha…
"likhy jo Khat tujhy, wo teri yaad mein,
Hazarun rang kay fasany ban gayey"
Kya Boss, kitni Girl Friends hain, sach sach bata do ab tou… Dec, Year, 2006"…
ABHIJEET completely Embarrss after Reading it, He really Missing His Bhai very much now after this…
ABHIJEET got a Beautiful Cap of DUO (His and DAYA) in Injured form but with a Big and Happy Smile with a Tag line as " Two Dashing Dudes with Little Toot Phoot… Feb, Year, 2007"…
A Loud Laugh shivers Him as after Remembering that BOMB and the attempt for Disposing it Injured Both of them and what a Lovely Smile Flashed on His Head Lips after seeing them Alive which is right now in Teary eyes completely Alone at Bureau…
Another Plastic Wrapper got a Newspaper Cutting having a Big Empty Space with a Tag line as"Boss ki ek aur Muhabbat, Dr. NIYYATI PARDHAN, hahaha… ABHIJEET, Dil karta hay Tumhara… heheheheh… Seekho Boss kuch… March, Year, 2007"…
ABHIJEET face gives the Shades of Red after reminding the whole lab scene against ACP Sir…
Another Plastic bag with a Picture of ABHIJEET in Track suit at Sea shore with a Tag line as " Boss at sea shore, Chupky say khench lii Picture, pata he nahi chala Boss ko aur phir Boss ko Ek larki nazar aayii, samandar mein Help pukartay huay… wesay ABHI ye saari larkiyaan Tumhein hee kyun Dikhti hain… Dec, Year, 2007"…
ABHIJEET (proud tone): kyunkay Main hun hee itna Handsome…
Other Plastic Wrapper contained a Blank Camera Film Roll with a Tag line as " "Hum log DARYA MAHAL mein rehnay gayey, FREDDIE nay VIVEK ko kya daraya… hahahah… itna maza aaya… agar ABHIJEET kay gussy ka Dar nahi hota na tou Main FREDDIE ko kehta kay wo VIVEK kay sath thora aur Masti karay… Feb, Year, 2008"…
ABHIJEET (murmur): Baccha ban jata hay ye bhi…
Another Plastic bag having an really Weird thing, yes it wrapped a Big Potato with a Tag line as"Boss kay Us beech waly Pyar… haan SHRUTI say Humein pata chala kay ABHI ko AALOO say Allergy hay… tabhi Wo Bhindi buht khata hay… hehehe… AALOO say Allergy… wesay Boss, buht Serious tha SHRUTI kay liyey… kabhi kabhi Afsoos hota hay… Sub kuch Wesa Kyun nahi hota jesa Hum sochtay hain… May, Year, 2008"…
ABHIJEET eyes Flashing all the Frames He spent with SHRUTI, He was really Serious about Her but She was Not in His Fate… A Sigh comes from His mouth…
DAYA flicking another Page in Hurry as now He is feeling that He saw His Life Movie but with ABHIJEET eyes…
MARCH, 2008…
DAYA ki Beti nay aa kr tou Hum sub ko hairan kr diya… DIVYA, DAYA ki Dost MORESA ki Beti… DAYA tou buht Serious tha Usy adopt karny ko pr phir Us nay aisa nahi kiya aur DIVYA ko Us kay father ko hee day diya, shayed is liyey kay bhalay AMIT kay apni biwi say jitney bhi Jhagray hun, DIVYA mein us ki Jaan thi…
JUNE, 2008…
ACP Sir ko Us MANSI nay kis tarah Trap karwaya aur phir jis tarah Us nay apnay saathiyun ki Madad say Un ko Hang kiya…. Us Roz Mujhy laga CID Khatam aur DAYA, Us ka Sar Meray kandhy pr… Wo Buht pareshan tha… Buht takleef mein… yahan tak kay is Pooray case kay dauran jub tak ACP Sir ki aaawz wapis nahi aayii, DAYA Khamoshi ki halat mein hee raha aur Mujhy pehli baar pata chala kay wo Chup ho jata hay aur us ka Wo Silence Shell na buht buht Dukh pohanchata hay Mujhy…
DAYA feels that some salty drops weaving on His Scelaria part of eyes and wanted to fell down at any minute…
14 AUGUST, 2009…
Meri Zindagi kay Shadeed Takleef waly pal is Din Mujhy mily, pehli baar Mujhy laga, DAYA sirf Mera Dost ya Yaar nahi raha… Dil kay ander ka koi aisa Hissa Us say jurr gaya in saalun mein kay Ab tou Usy lagi Chout mein aansoo Meray nikltay hain…
4 Goliyyan Us Kameeny ROCKY nay meray DAYA kay seeny mein Utaar dein… kitna Dard… Takleef … aaj bhi Un Lamhun ka Khauff Meray ander hay aur wo aansoo jo meray sirf ABHI kehny pr DAYA ki aankh say Tapka tha… kaash main usy Behnay say rok paata…
Us ka Meri ore Dekhna aur Meri hatheli ko pakarna, Kaash wo lamha is tareeqay say kabhi bhi dobara meri Zindagi mein na aayey…
DAYA feels that the Page was little Pale and so many Circular or Oval Outlines showed those Precious Water which His Buddy Shed at time of Writing it still Live there…
His eyes Glazed with Tears after reading that as He did not remember much of that situation as he was in Semi Concious state at that time… He flicked the Pages further….
21 AUGUST, 2009…
Meri Zindagi ka Yaadgar Din, aik aisa Lamha jo shayed Mery Marny kay waqt bhi Meri aankhun mein roshni ban kr rahy ga… DAYA ka aana, haan DAYA ka Maut ki Sarhad say wapis Palat aana…
Main hr pal ye Dua krta hun kay Zindagi kay Wo 7 din jo Main nay kya Hum sub nay itnay Dard, Takleef, Dukh mein guzaray… kabhi Wapis Na aayein… kabhi Nahi…
DAYA ko Khony aur Us say Dur honay ka Dar pehli baar Meray Dil mein Usi lamhy Jaga tha aur aaj tak wo Khauff Soya hee Nahi…
DAYA Quietly close the book although placing His Finger on that page and lay down His Head over the Pillow to give way to His Tears to falls….
ABHIJEET opened Another Wrapper having a Health report of ABHIJEET with His and TAREEKA Picture in Disguise with a Tag line as "ABHI ka Recent Pyar… hahahah… Achy lug rahy hain na Dono… Humari Forensic Dr hay… haaa… agr ABHIJEET ki Kidny nikal letay na wo log tou Main Hospital ki Ent say ent baja deta… Nov, Year, 2009"…
ABHIJEET Unwrapped another Sheet having a Micro Phone System with a Tag line as"TAREEKA nay Ghar shift kiya aur ABHI kay kehnay kay hisaab say Saara Kaam Us nay hee kiya… Ishq mein kitnay Jhoot bolnay partay hain Boss… heheheeh… jub Us Larki say ABHIJEET nay poocha kay TAREEKA Tumhari tabiyet tou Theek hay… Us ka Style… hahahahah….Maza aaya Mujhy tou Buht… aisa laga poochna chah raha ho… Pagal tou Nahi ho gayii ho na… hahahha… Dec, Year, 2009"…
ABHIJEET (embarrass): DAYA bhi na…
ABHIJEET unwrapped Another having a Fake Gun with One Fake Bullet with a Tag Line as"Ufff, ye Dono aadmi tou Mujhy pagal bana dein gay… Aik Acting ka Badshah, Sr. Inspector ABHIJEET aur Dusra Acting kay Shehansha ACP PRADYUMAN… ek pal tou Mujhy Dono ki Acting dekh kr laga kay sach mein ABHI nay Sir ko Goli hee Maar di hay…kesay Bha Bha kr kay Lab mein SALUNKHY Sir kay aagy ro raha tha aur Wo bhi tou dekho Kesay pretend kr rahy thy…FREDDIE aur VIVEK nay tou Inteha hee kr di, ACP Sir ko Electric Shock denay chaly thy, agar Main Waqt pr nahi pohanch jata tou sach ACP Sir Stracher say Kharay ho jatay aur FREDDIE tou AATMA AATMA chilla kr jo Bhagta aur VIVEK bhi… heheheheeh… Jan, Year, 2010"…
ABHIJEET Unwrapped the Plastic bag having a Tracking Shoe with a Broken Walking Stick and Yellow color Gloves with a Tag line as "hahahahah… Hum log MANALI gayey… Sir bol rahy thy kay DAYA Tum aagy aagy chal rahy ho… Tumharay wazan say itnay bary bary Gaddhy par rahy hain… Hum Chati tak ghuss rahy hain yaar… hahahahah… hahahahah… Sir bhi na… kitnay mazy ki baatein krtay hain… Hanstay hansty tou Main Gir bhi gaya aur Meray sath ABHI bhi… hahahah… ACP Sir ki Stick bhi toot gayii… Main nay rakh lii… Acha kiya na… aur Kitna Thanda paani tha… Gloves kay bawajood bhi is manhos Jootay ko Nikalny mein Meray hath ka halwa ban gaya… hahahah… hath ka halwa…. March, year, 2010"…
ABHIJEET Smiles Unintentionally after reminding about AJIBHEET Sir from FREDDIE for ABHIJEET after falling on Snow…
Another Plastic bag having a Bullet with Blood stains and a White Shirt with Blood with a Tag line as "ABHI nay aaj Meray aur Maut kay beech Khud ko Dewaar bana kr Khara kr liya… ABHI ye kya kiya Tu nay aur wo COMMA ka drama… agar Mujhy Sir nahi batatay tou shayed Main Gham say Mar jata… Tu kabhi aisa Nahi karna Yaar… warna Main Mar jaon ga Boss… plz ABHI… June, Year, 2010"…
ABHIJEET feels the wet Page after so many times as still the Shirt was Wet which soaks His Bhai Priceless Drops in it…
Another Wrapper got a Visiting Card titled with K.D PATHAK, with a Tag line as "ZORAWAR jesa Ghatya Mujrim bhi kabhi kabhi hee milta hay… ABHI ko kya Trap karwaya tha aur us ka wo ACP Sir ko Defend karna Meray Gussa karny pr, pr main hr pal Us kay Pass raha… haan sath Nahi… kyunkay Is tarah Wo aur phanse jata… wesay bhi Mujhy tou malum tha ABHI Bequsoor hay, Bhala ZORAWAR jesy mujrimun kay khoon say Wo kabhi apnay hath nahi rang sakta… Dec, Year, 2010"…
Another Wrapper got so many things, CD's where all Members Trapped video footages, FREDDIE Burnt CID Badge, a cycle Chain, Some caps where TRIO at Switzerland, ABHI doing Para Glide, a Trail Bike Picture with Tag line as "HD nay tou Humein Pagal hee bana diya, ek Paristhiti say nikltay tou Dusri saamny Khari hoti aur jub aakhir mein Main nay ACP Sir ko Goud mein utha kr us makan kay bahr kiya… HD kay tou Khawabun mein bhi nahi tha kay Hum wahan Usy qabar tak pohanchany ka Soch kr bethy thy… phir ABHI ki para Gliding… hahahaha… Instructor Mujhy kehny laga… Sir aap kay Bhai kya koi aur Zaban boltay hain… saara samy AIN, AIN kartay rahy aur Meri tou hansi nahi Ruk rahi thi… Main usy bata hee nahi paaya kay ye Humaray Anmol Bhai ka Wardan hay jo wo Apni Excitement zahir karny ko boltay rehtay hain… phir us ki cycling… kehnay laga DAYA Tu mut beth… agar Cycle toot gayii tou… huh… Jealous from My Weight aur Kitna Hanse raha tha na… Main Cycle la nahi paaya… Cycle waly nay dii nahi tou Chain hee Yaadgar kay tour pr lay aaya… aur phir Hum nay Cable Car ki Sair bhi tou ki thi aur Main nay tou Heavy Bike bhi Bhagayii… balkay Uraii… zooo… Zabardast… Phir Sharp Shine ka Sharp Shoot HD ka ban gaya Bhoot… September, Year, 2010"…
ABHIJEET really can't do anything for His Bhai, He was Stupid, Young, Crazy but Precious for Him….
DAYA opened the Dairy from the Page where He marked it with His finger after Little relaxing…
MARCH, 2010…
DAYA nay aaj tak Mujhy nahi bataya kay us ki Zindagi mein koi Muhabbat ka Piagham lay kr bhi aayii… haan SONALI Us ki Dost hee thi magar PURBI/PURVI… aik tou aaj tak Mujhy is larki ka Naam tak saheh samjh nahi aaya… Us ka Pyar hee thi aur DAYA Motay ko dekho… pait mein Chupa kay betha raha… Ugla tak nahi… aur phir wo sub kuch, ARVIND aur na janay kya kya… DAYA ka Mujh pr Shak karna, Mujh say itni badtameezi say Bureau mein baat krna, Mera Blood Test, Resignation… magar Us Pal kay baad DAYA Chup ho gaya… TASHA aur VIVEK nay Mujhy baad mein bataya kay DAYA nay Us PURBI/PURVI ko Buht Sunaya magar Mujhy ek pal ko bhi Andaza nahi tha kay DAYA Usy Chor day ga… najany Us kay dil kay kitnay Hissy ko Chout pohanchi kay Us nay Meray liyey Apni Chahat ko Qurban kr diya… Main nay Usy baad mein Buht samjhaya kyunkay us larki say main nay Bhai ban kr Waada kiya tha pr DAYA, wo Us lamhy hee toot gaya jub main nay apna Resign diya tha… Kuch bolta Nahi… phir Main bhi Khamosh ho gaya… kay kehta… wo Bolta Nhai tou Mujhy aur Takleef hoti hay… buht…
DAYA Quietly Flick the Next Page without much Interest, its really a Hurt Part to suspect ABHIJEET only on a Girl statement without any Solid proof just because He Likes that Girl….
NOVEMBER, 2010…
DAYA ki Shadi nay tou na sirf Humari zindagyun mein balkay pooray Shehr mein Halla macha diya… ek Terroest ki Bhatijee say DAYA ki Shadi… abhi bhi Main Usy ANSHA ka Naam lay kr Cheerta hun tou Khoob Hansta hay aur Us say zyada tou Us ka Pait hilta hay…
DAYA Bursts into Laugh, He can't believe that He laughed after such Difficult time…
AUGUST, 2011…
DAYA nay aaj Apna Badge aur Gun wapis ker kay Khud ko Arrest karny ki Baat ki, Pagal hay bilkul, Goli Maari magar Goli mili tou Nahi na… bus foran Senti ho gaya… Bewakoof…
OCTOBER, 2011…
Ahhh… kisi Apnay ki Laash ko dekhana kitna Mushkil Kaam hay, Us roz Main nay jana… DAYA ki Body KOLKATA mein mili… wo kyun aur kub KOLKATA gaya… kisi ko Nahi malum… aur ab… ACP Sir Meri Ore dekhtay hain aur Main ACP Sir ki… kitni Himmat aur Hoslay say jub Hum nay Us Body kay ooper say Chader hatai thi… Mujhy laga Mera Dam Ghut gaya aur aglay Pal Meri Sans Nahi aayey gi… magar jesay hee Hum nay Us Body ka Seena dekha tou wohi Sans jo ander Ghut gayii thi… itni Taizi say bahar aayii jis mein Khushi aur Sukun Dono Shamil thy… DAYA Humein Buri halat mein mila magar Pehalwan Banny ka Shauq wesa hee raha… samjha samjha kay Gala sookh gaya kay Bhae Beth ja, sahara lay lay… pr wohi Murghy ki ek Tang…
A Little smiles Flashed on DAYA Lips and He feels He was Hungry although He did not take a Bite from more than 48 hours…
ABHIJEET Opened Another Wrapper having a Rubber Bullet with a Tag line as "kya Khaufnaak Ateet hay ABHI ka… saara waqt Meri Pitai krta raha… Roya tou Meray saamny… Kandha zakhmi kiya tou Mera… Goli Maari tou Mujhy… wah wah Boss… kya Ateeth tha aur Mujhy kuch Khilaya bhi Nahi… Jan, year, 2011"…
ABHIJEET always Hurts after remembering that Wound which He deliberately made on DAYA Shoulder by leaving a Pully over His Shoulder and DAYA always Tease Him with…
DAYA: dekho Boss, Tum nay Mera Kandha terha kr diya… hayeeey, ab Meri Shadi kesay ho gi…
He smiles after reminding those Cute Lines in His Buddy Voice and its Assets for Him and His life…
ABHIJEET found a Beautiful Black Hat with a Purplish color Shirt wrapped in Crystal bag with a Tag line as "DON ABHIJEET in GOA… hahahaha… Sep, Year, 2011"…
ABHIJEET smiles after Remembering that Motor Boat Speedy ride with DAYA at Goa which Injured Both of them…
ABHIJEET opened Another bag having a Picture of Him and TAREEKA, a Waphor pack and a Newspaper cutting published some Holiday packages with Tag line as " haaa… Maza aaya… ABHI ko aakhir main nay TAREEKA kay sath bethny nahi diya… heheheh… pr haan Mera baingan ka Bharta tou reh hee gaya… yahan tak kay Khawab mein bhi Nahi dikha… Jan, Year, 2012"…
ABHIJEET opened Another Crystal bag having a Deep Blue striped shirt with a Tag Line as "kya aag lagany ki koshish ki is Badtameez DCP nay… Jub bhi aata hay… CID ko Tourny ka Mission hee lay kr aata hay… Kharos Buddha…. April, Year. 2012"…
ABHIJEET smiles after reading that KHAROS BUDDHA as really DCP is a KHAROS…
ABHIJEET opened another bag having a Shoe Sole Sharper with a Xerox Resign Copy of ACP Sir with Tag line as "ACP Sir nay CID say Resign kr diya… Kaash Is Din kay aany say pehlay Main Mar jata ya kahein Bhag jata… is DCP ko aisi Munh ki Khani pari na… maza aa gaya… Dec, Year, 2012"…
ABHIJEET found a Last Wrapper having ABHIJEET Picture with a Tag line as " Dost nahi Bhai hun Main Tumhara… April, Year, 2013"…
ABHIJEET Bursts into Tears after Reading this, He was Crying Loudly with calling DAYA as…
ABHIJEET: kahan hay DAYA aaj Tu, Mujhy tou Teri hr pal Zarurat hay pr Tu…
DAYA opened the Next page having so many Ideas that Now what comes on His way of Knowing…
JANUARY, 2012…
Aaj DAYA Buht Roya aur Jub Us nay kaha na kay kya karun, Apni Laash la kar rakh dun… Kitna Dukh hua Mujhy, Main bata Nahi sakta… Meray Bhai kay Dil mein kitnay Shigaf (hole) bana diyey Us DCP CHITROLE nay… Dil karta hay gala Ghont dun Us ka… awww… kitnay dino baad aaj DAYA ko hanstay dekha hay… ye nanha Munna sa Gudda jo aaya hay DAYA kay pass, is nay tou Hum sub ko Bachpan ki Khoobsurat waadi mein Pohancha diya…
DAYA eyes fill with tears, He again remembers His days with NAKUL, He really comes in rash but still engage in Dairy…
OCTOBER, 2012…
Jaan nikal dii is larky nay tou Meri… agar wo ooper Hotel Room ki Balconi say neechy Gir jata tou… sochata hun tou dil ruk sa jata hay aur phir Us ka Wo darna, pata nahi kya kya bolay jana… Shuker jaldi Usy Hosh aa gaya warna tou Shayed Anarth ho jata….
DAYA kitna Masoom hay, kya kya bolta hay Pagal… batao koi kahy ga kay ye banda pichly 15 saalun say itni tough Job mein hay jahan Maut say hr pal Muqabla chalta hay… bolnay laga…Dobara is hospital kay aas pass bhi mut nazar aana… lo jesay mein Hospital mein hee tou Sota hun… aur Mujhy tou baad mein FREDDIE waghera nay bataya kay DAYA wahan sarak pr pagalun ki tarah Mera naam ly ly kr Ro raha tha… kya DAYA… ab tou Bara ho ja…
DAYA (undelibrately): Kabhi Nahi….
DECEMBER, 2012…
Aye Bhagwan, kya karun Main is Motay ka… keh raha hun DAYA Maar Mujhy, Us kay dukhray hee nahi khatam ho rahy… arry baad mein Ro lena… acha hay balti walti Bhar lein gay… Water ka bill bhi nahi dena paray ga… pr abhi tou Maar… magar shahab ki Wohi Aik rat… Nahi ABHIJEET, main aisa Nahi kr sakta… hum kuch aur sochtay hain… akhir Mujhy hee Hath uthana para… Sorry DAYA… Zor say lug gayii na…
DAYA (whisper): Buht….
Dairy was Finished there, DAYA had so many Tears… He does not understand that What would be His Next Step as now his Heart and mind going through a Big battle just to Go back aur Go ahead Issue…
He jerked all and move to sat and suddenly his hand touched Diary which fell at floor and opened a new page…
AUGUST, 2013…
DAYA ko shayed main kabhi Apnay is faislay ki wajah nahi Samjha sakun (DAYA picked it and start to read) kyunkay na main kabhi Usy bata paon ga aur na hee wo samjh payey ga… haan Main nay NAKUL ko Us ki Maa kay hawaly kr diya… DAYA kya, is baar hr shaks nay Mery faislay ko Ghalat kaha yahan tak kay ACP Sir bhi aakhri Lamhun mein kuch pareshan ho gayey aur Un ka Vote bhi DAYA ki taraf ho gaya…
Koi nahi jaan sakta, pr main jaanta hun… DAYA ki zindagi ka wo Khala (vaccume) jo kabhi koi Bhar Nahi sakta… jub Hum sub kabhi aisay hee baatun baatun mein Apni pichli zindagi, apny Un apnun ko yaad kartay hain jo ab Hum mein nahi… Un mein DAYA kahein aur chala jata hay… jub RAHUL Usy apni Maa ki baatein batata hay tou us ki aankhein aur Chehra jis Takleef say guzarta hay… wo Main nay dekha hay…
DAYA ka Chehra ek Khuli Kitaab hay… us kay chehray ka ek ek Naqsh bolta hay… jub wo Khush hota hay tou us ki aankhein aur Chehra sub Muskurahatun say Bhar jaatay hain aur jub Udaas tou yehi saary naqsh aansoun say geelay par jatay hain…
Wo kuch kahy na kahy magar ye Ihsaas Us kay ander hay aur shayed isi takleef aur dukh say NAKUL ko bachany kay liyey main nay ye kiya hy… Saheh ya Ghalat ye tou aany wala waqt batayey ga… magar main ek aur DAYA ko apnay saamny Bikhartay nahi dekh sakta…
Ek aisa shaks jo aap kay pass ayey, baatun baatun kay dauran achanak aap say poochy"ABHI, MAA kya Buht Pyar karti hay"… Us lamhy us kay lehjy, lafz mein Jo cubhan hoti hay… Us ki aankhun mein jo Hasrat… aur dukh ka aalam ye hota hay kay meray pass lafz tak nahi hotay jo shayed usy ek aisa Jawab day sakein jis say ek lamhy ko hee Usy sakun mily… Us lamhy ki takleef koi Mujh say poochy… haan Mujh say…
halankay Main nay NAKUL ko Buht saari Shartun kay sath Us kay parents kay hawaly kiya, jesay NAKUL ka Naam nahi Change kiya jayey ga… ye Un Do logun nay diya hay, jin kay karan aaj Main yahan hun… isi tarah NAKUL ko Jis ko jis tarah Pukarna seekhaya gaya hay jesay ACP Sir ki DAD, DAYA ko BABA, Mujhy PAPA, SALUNKHY Sir ko DADDY, FREDDIE ko Baray CHACHU, VIVEK ko Chotay CHACHU aur isi tarah, wo bhi wesay hee rahy ga aur NAKUL hamesha Hum sub ko isi tarah Pukaray ga… isi tarah NAKUL kay Chehray pr Us kay Left Eye aur Gaal pr jo thoray Nishan reh gayey hain, wo kabhi Khatam nahi karwayey jayein gay, bhalay Laser Therapy say, kyunkay Meray DAYA ko yaqeen hay kay wo Us kay Pyar karny say Theek hon gay aur Us ka ye Yaqeen Main kabhi khatam nahi karna chahun ga… NAKUL ki Birthday hamesha Humaray Ghar Celebrate ki jayey gi aur Us ka Saara Kharcha Hum uthayein gay… Hum hr month NAKUL ko POCKET Money bhi dein gay Gifts/shopping kay ilawa aur NAKUL ki Schooling ka saara Kharach Hum Uthayein gay aur DAYA nay jo bhi Us ki Scholing kay baaray mein Plan kiya hay, wohi ho ga… NAKUL hr Saturday ko Humaray Ghar rehnay aayey ga aur Monday Morning Hum hee Usy School chor kr aayein gay ta kay DAYA ka Wo Us ko School chornay jany ka Sapna adhora na reh jayeyaur Humari khawahish hogi kay wo CID Officer bany magar agar Wo Nahi banna chahyey tou Us pr koi Zor zabardasti Nahi hogi…
Pr ab lagta hay sub Ghalat, agar aik baar main DAYA say Baat kr leta tou Acha hota, pr mujhy Buht Darr tha kay DAYA kuch kahay ga Nahi, wo yehi sochy ga kay ye sub ABHI keh raha hay tou Mujhy karna hee hay…
Pr is tarah Us ka Comma mein jana, Mujhy yaqeen nahi hota… socha tha Royey ga, Gussa ho ga, Mujhy Maaray ga pr is tarah Bina kuch kahy Us kay Juzbun ko is qadar Chout pohanchany ka tou socha bhi Nahi tha…
Haan ye Baat bilkul Saheh hay kay NAKUL ko DAYA say zyada koi Pyar nahi kr sakta, Us ki Maa bhi nahi… wo itna Alert rehta hay kay agar TV pr bhi kisi Kutty ya Billi ki Awaz aa jayey tou wo Channel change kr deta hay kay kahein NAKUL Darr na jayey…
Agar main aik baar bhi Us say baat kr leta tou shayed Usy itna Dukh Nahi hota… pr Main Us say aakhir baat hee kya karta, haan kya baat, Adalaat mein Dhairun Sawal hotay aur sach kahun tou Main Darr gaya tha… buht… haan Main… kyunkay kahein na kahein agar DAYA ka Past in sub kay beech aa jata tou… kuch aisa jo shayed Buht Kuch tour Phor deta… Us kay ander… Main isi cheez say Darr gaya… buht…
Main nay socha wo bhaly Mujh say Nafrat karay pr agar kuch bhi aisa hua tou Main kabhi bhi Khud ko Maaf nahi kr paon ga aur kya ab Main Khud ko Maaf kr paon ga… shayed Nahi…
Aaj kal main apna naam sub ko ABHI-DAYA batanay laga hun… Us roz bank kay papers mein bhi yehi Naam likh aaya kyunkay Mujhy lagta hay ABHIJEET mein itna Adhorapan aa gaya hay kay bina DAYA kay lagayey ye Mukammal nahi ho sakta…
Pr kya Ab main aisa kr Paon ga… kya DAYA Mujh is ki Ijazat day ga ya Rishty ki tarah Wo lafz bhi apnay sath lay jayey ga… buht pehlay ek cheez parhi thi… najany kesy aaj Zehn mein ubhar aayii…
Tu Mera naam na poocha kr
Main teri zaat ka hissa hun
Main Teri soch mein shamil hun
Main teri neend ka qissa hun
Main teri yaad ka mehwar hun
Main teri sans ka jhonka hun
Tu manzar, main pas manzar hun
Main lamha hun, main jazba hun
Tu Mera naam na poocha kr…
ABHIJEET One by One placed Every Crystal bag at DAYA Drawer with Tears, He wanted to Relax Himself but after seeing all comes in More pain and Hurt… the trouble revolves around himself…
His cell buzzed, He picked the Call after wiping His tears as did not want to give anyone about his Recent Phase…
Informer: Sir, kahan laon Tamancha… ?
ABHIJEET heard a Car Door voice so standup and look at window… His Tears start to falling in speed but His Voice having so many Happines and strength Replied to Informer as…
ABHIJEET: rehnay do, ab is ki zarurat nahi…
He put off the call leaving His Informer shocked and before the Bell rings opened the Door with a Welcome Note…
ABHIJEET: jin kay aany ka yaqeen ho Un ko darwazy kabhi band nahi mila kartay…
DAYA placed his bag on floor and hugged His Bhai, both shedding Tears to each one Shoulder and nobody distinghuish which one of Happiness and which one of Hurt as Both Tears Soaked by the other who was Perfect in His work…!!!
The Phone continuously ringing, someone tried to Ignore the Ringer but the Caller enjoyed that Ignorance so after Irriating, Standup after placing the Folder with Pen at Table and went to pick the Call… some Pages flicking through winds and gives the glance as…
29 July 2015…
Do saal guzar gayey, waqt buht Taizi say aagy Barh gaya ya shayed Thum hee gaya… DAYA wapis aa gaya aur Hum phir say Wesi hee Zindagi Jeeny lagay ya shayed Main wesi Zindagi jeeny laga kyunkay DAYA tou Us Lamhy Qaid ho gaya jis Lamhy apnay COMMA say bahar aany kay baad Us nay NAKUL ko aakhri baar goud mein lay kr Us kay Gaal aur aankh pr Pyar kiya tha…
Haan DAYA wahein Ruk gaya, Us kay baad kitnay Mausam, Khushyaan, Dukh, Ghum najany kya kya aayey pr DAYA nay NAKUL ko dekha tak nahi… Choona tou Impossible tha…
Us nay NAKUL ki hr Zimmadari say Hath Khench liya… Main Akela Nibha hee Nahi paaya… Main NAKUL ki baatein krta tou aisay pretend krta hay jesay kisi aur kay baaray mein baat ho rahi hay… Us ko kabhi Bureau lay aaon tou Chup Chup kr dekhta pr Na kabhi Us ko Goud mein leta, Na Pyar krta aur Na Us say Baat krta…
Us kay Room mein NAKUL kay Kaprun ki Basket roz kisi na kisi Khilony, Gift say bharti rehti hay jin mein Khushi, Dukh, aansoo aur Dua sub shamil hoti hay… pr Usy deta nahi… Bhejta nahi…
Sach kahun tou DAYA ki halat dekh kr Main NAKUL ko wapis leeny gaya tha pr Main Usy kesy Us ki Maa say maangta ya kya kehta tou Khamoshi say Bina kuch kahay Laut aaya…
Main nay DAYA ko kaha tou Us nay Mujhy khamoshi say dekha, isi chair pr Mujhy bithaya, khud bhi meray samny betha, meray dono hath pakray aur sirf Do Jumlay kahay… sirf Do Jumlay… kehnay laga "Boss, Tumhein pata hay, Kachray kay Dhair pr kya Phainka jata hay.?"… Main Khamosh raha, kya kehta… tou kehny laga… "Waste"… Main Freeze ho gaya tou Bola… " kya NAKUL, Waste tha ABHI.."… Us ka lafz, Lehja, Lams hr cheez Takleef aur aansooun mein Doobi hui thi…
Wo saheh kehta hay kay agar NAKUL kisi Buray Hadsay ki wajah say is Dunya mein aaya hota tou shayed Us kay Maa baap Hamdardi kay Mustahiq hotay, pr is Daur mein sub kuch jaany kay baad ek Pal ya lamha agar aap ko Apni Zimmadari ko Phainkna sikhayey tou aisay logun ko Shoot kr dena chahyey…
DAYA nay Ek Lakeer Khench li, Na main Us Lakeer say aagy barh paaya, Himmat hee nahi hui aur na Wo Us Lakeer say Bahar aa paya, Us nay Koshish he Nahi ki…
Pehli baar Mujhy laga kay hr Ghalat Ghalat Nahi hota aur na Hr Saheh Saheh… Main nay jana, Zakham Bhar jatay hain, pr Nishan chor jaatay hain, chahyey Baal barabar hee kyun na hun aur Wo Zakahm say kai guna zyada Dard aur Takleef detay hain kyunkay Zakham tou Khuly hotay hain aur Nishan band… Un Cheekun ki tarah jo Galy say Nikalny say pehlay hee kahein Ghup andheray mein Ghut jaati hain…. !!!
WRITER ASPECT: the Story was based on Actual Incident about that Baby and after feeling the Hurt and pain, I wanted to Limelight this Cruel issue infront of Readers…
Yes, I must accept that in 90% cases the Femanine Gender was traped such Badly that She cant do any thing except accept that Hurt but in 10% or now a days in 25% cases, Female Gender also take Responsibility about this and I just Portrayed those 25% Femanine Gender…
In South east Asia, we mostly gives favour to Female Gender but its Society Responsibilty to Investigate about the Actual and Yes gives Punishment to Both as if U do it, Accept Ur Responsibility with such passion which brings that Responsibilty in World…
I am really Thankful to All My Readers/Feedbackers and Especially SHREELA (KD) as She really raise a Good Point which Improvise My Story…
I m So Sorry, if My any Point Hurt any Gender, its just Writer Point of View or Aspect and any Reader have the Right to Deny it, Criticise it or Accept it…
Yes, I know DUO did not have any Problems but I just propagate that Sometime gives Margin to Other as Sometimes Wrongs turns Right with the passage of Time….!!!
7