Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 23 Aug 2025 EDT
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 22 Aug 2025 EDT
THAKELA LOVE 22.8
Bluffmaster IF Season 1 (Sign-up Open)
SHAADI HOGAYI 23.8
Geetmaan finally got married 😍
Ranbir is accused of secretly following Deepika in social media 😆
When you’re in love with ddp
Rathores are here- Gen 5
Govinda Sunita Ahuja Divorce Case Update
🚨 Scheduled Downtime Notice 🚨
Pick one Emraan Hashmi song
Abhira: Life main problems ho chalega lekin Armaan na ho..
Anupamaa 23 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Important Notification regarding IF
Part 3
Riya : Arjun pagalpan mat karo. lekin phone kat chuka : SHIT!!!!! iski toh main...
woh gaadi bhagakar park le jaati hai. waha use Arjun dikhai deta hai toh uske paas jaati hai
Riya: tum pagal ho? maine mana kiya tha na...
Arjun : pagalpan hi sahi main koi mauka nahi gava sakta
Riya: Arjun samajne ki koshish karo Sikandar abhi ghabraya hua hai woh apni jaan bachane ke liye...uski nazar piche padti hai woh immediately Arjun ko raaste se hata thi hai aur usi waqt ek gunshot hota hai.
Riya: Run!!!
Arjun: lekin...
Riya: Arjun we'll catch him, it's a trap(uski aakhon mein dekhkar) trust me.
firse goli chalti hai. Dono presence me aakar bhagne lagte hain. par pichese bahut firing ho rahi . dono kuch paudho ke piche cover lete hain
Riya: yaha baithke kuch haasil nahi hone waala hai Arjun meri gadi paas mein hi hai chaabi andar hai main inhe distract karti hu tum jaao yahase . bolkar jaane ke liye uthti hai
Arjun (uska haath pakadkar) use jaane nahi deta hai : nahi mai apni jaan bachakar tumhe yaha akele chodkar nahi jaane waali samjhi. dono mein eyelock hota hai
Riya: fine! saath mein jayenge. bina mude bina ruke bhagte rehna ok?
Arjun nod karta hai. dono haath pakadkar bhagne lagte hain aur kisi tarah gadi tak pahunchte hai. Riya fatafat gaadi start karke bhagane lagti hai. thoda age jaakar hi piche se unhe do aur gaadiyaan follow kar rahi hai.
Arjun hyper ho raha : woh log humare piche hain!!!
goliyaan chalne lagti hai
Arjun aur bhi hyper hota hai : ab woh goliyaan bhi chala rahe hai
saari gaadiyon ki speed badti hai
Arjun : woh log tezi se aage aa rahe hai
Riya: THANK YOU SO MUCH FOR THE LIVE COMMENTRY JO KISI KAAM KI NAHI HAIN...SHUT UP!!!
Arjun goliyon aur gadi ki speedse darkar apna sar jhukakar rakh raha hai. woh log highway tak pahunch jaate hai.
Riya: Arjun dashboard kholo
Arjun: kya?
Riya: KHOLO!!
Arjun dashboard kholta hai usme se gun nikalti hain.
Riya: gun uthao aur fire karo
Arjun: KYA!!!
Riya: FIRE KARO DAMMIT!!!
Arjun: MAIN KAISE FIRE KARU ???
Riya: HAATH SE IDIOT AUR KAISE!!!!!!
Arjun: ARE MUJHE GOLI CHALANA NAHI AATA
Riya: USMEIN AANE JAISSE KYA HAI GUN PAKDO AIM KARO AUR TRIGGER DABAO!!!!
Arjun gun pakadne ki koshish karta hain.
Riya dekhti hai mv" I dont believe this" : ARE U INSANE? ULTI PAKDI HAI DAMMIT AISE FIRE KAROGE TOH KHUD PAR CHALAOGE
Arjun: MAIN KOI PROFFESIONAL SHOOTER NAHI HU
Riya: kaise reporter ho? TV PAR BHI KABHI GUN DEKHI?????
Arjun: dekhi hai of course dekhi hai lekin tabhi MERI ZINDGI USPAR DEPEND NAHI KARTI THI
Riya: log apni jaan bachane ke liye dar ke maare dusro ka khoon tak kar dete hai AUR EK TUM HO JO HAWA MEIN BHI FIRE NAHI KAR SAKTE, TUMHARE DIMAG KE WIRE ULTE HAI?
Arjun: WIRE ULTE HAI? AISA HAI TOH TUM KYON NAHI CHALATI????
Riya: MAIN GUN CHAALAU YA GADI? ugghh!!! . woh sharp turn leti hain
Riya: tumhe tairna aata hai?
Arjun : kya??
Riya: KYA KYA KARNA BAND KARO AUR SAWAAL KA JAWAB DO DAMMIT
Arjun : basic ...
Riya: mere kehne par gaadi se kud jaana
Arjun: KYAA?!?!?!
Riya: JUMP!!!
ab Arjun ke paas koi option nahi hai dono kud jaate hain. woh log ek bridge par hain neeche choti si nadi jaa rahi hai. dono usmein gir jaate hain. aur hawa ke liye upar surface par aate hai.
Arjun: TUM PURI KI PURI PAAGAL HO! YOU ALMOST KILLED US...
Riya annoy hokar uske muh par haath rakhkar use chup karti hai: tum thodi der chup nahi reh sakte hai? chillana band karo, agar mai aisa nahi karti toh woh log hume maar daalte. aur upar point karti
upar bridge par gaadi ka accident ho jaata hai aur woh jalne lagti hai. un gundo ki gaadi bhi waha pahunchti hai . woh log idhar udhar dekhne lagte hain jalti hui gaadi dekhkar unhe lagta hai ki dono accident me maare gaye.
Riya : chalo, us taraf.
thodi der tairne ke baad woh log ek jungle ke kinare pahunchte hai.
Arjun: I hope tumhe pata hai ki hum kaha hai abhi hi marte marte bacha hu, ab jungle me bhatakne ka koi iraada nahi hai mera. kehkar ped ka support lekar baith jaata hai
Riya bhi smile kart hue uske paas baiththi hai: yeh jungle zyada gehra nahi hai hum kal subah highway tak ka rasta dhundh lenge I don't think mushkil aayegi, chinta mat karo tumhe one piece mein ghar pahuncha dungi
Arjun(smiling): one piece? tum sirf zinda ghar pahuncha dogi wahi kaafi hai mere liye.
Riya: tum abhi jo mujhe taana maar rahe hona woh isliye kyunki tum zinda ho, woh bhi meri wajah se warna...tumne toh marne ki puri planning karke rakhi thi.
Arjun: mujhe kya pata tha woh admi fraud niklega?
Riya (sarcastically): really? you know what I think tum sahi keh rahe ho, Roshni ko aadhi raat ko call aaya tha lead ke bahane tab jab woh sikandar tak pahunchne waali thi, tumhe der raat ko call aaya lead ke bahane tab jab sikandar ka dhandha band ho gaya tumhari wajahse obviously dono mein koi link toh hai hi nahi.
Arjun guilty feel karta hai: sorry
Riya: actually na galti tumhari nahi hai, bhagwan ne na tumhe bina akal ka dimag de diya hai.
Arjun innocent face banata hai: theek haina sorry bolana ab aur kitna guilty feel karwaogi? ek taana maar usme itna suna diya?
Riya melt ho jaati hai aur apna sar disbelief me hilati hai.
waqt guzarta hai thodi der baad Arjun ko apne kandhe par weight feel hota. woh dekhta hai ki Riya ne neend mein apna sar uske kandhe par rakh diya. uske chehre par koi tension nahi sirf sukoon hai aur ek chotisi smile. us smile ko dekhkar Arjun ke chehre par bhi smile aati hai.
Arjun mv" kitni masoom lagti hai yeh neend main aur jab jagi hui hoti hai tab ..baapre Kaali maa ka sakshat roop lagti hai, woh bhi tandav karti hui kaun kahega ki yeh itni shaant bhi ho sakti hai" aise hi use dekte hue uski bhi aankh lag jaati hai. Agle din suraj ki kirno se dono ki aankhein khulti hai. apni position dekhkar Riya immediately use dur ho jaati hai. lekin agle hi pal woh cheekh kar Arjun ko tightly hug karti hai, Arjun confuse aur khush dono ho jata hai. Woh bhi use hug karta hai
Arjun : kya hua?
Riya: chipkali
Arjun: kya? chipkali kaha?
Riya bina sar uthaye haathse us direction main point karti hai.
Arjun: tum saari ladkiyaan ek jaisi hi hoti hona? tumhe bhi chipkali se dar lagta hai?
Riya: nafrat hai mujhe chipkaliyon se... kitni badi hai kitni gandi hai aur...
Arjun : jaa chuki hai
Riya apna sar uthakar dekhti hai : Thank God!!! karke firse apna sar uske chest par rakh deti hai.
woh achanak presence me aati hai aur usse dur ho jaati hai. ek pal bad firse serious ho jaati hai.
Riya : chalo agar zyaada der hui toh sab pareshaan ho jaayenge.
woh log chalne lagte hain Riya suraj ki position se guide ho rahi hai. ek ghante baad unhe thodi dur par highway nazar aata hai. woh aage chalne waali aati hai lekin uska kadam aage pade usse pehle Arjun uske aage haath dalkar use pakadte hue rokta hai
Arjun : ruko aage saanp hai
Riya bhi use dekhti. Arjun niche se ek stick uthatha hai aur use maarne ke liye dheerese aage badta hai lekin Riya uska haath pakad leti hai. woh uski taraf dekhta hai
Riya: tumhara dimag kharab hai? waha paas mein dusra saanp hai
Arjun use bhi dekhta hain lekin usse samaj nahi aaraha ki Riya use rok kyun rahi hai
Arjun : toh ?
Riya: are do hai matlab jodi mein , jodi ke saanp ko kabhi alag nahi karna chahiye bahot bura shagun hota hai
Arjun use unbelievable look deta hai : tum itni badi cop hokar aise andhvishwas mein kaise maan sakti ho?
Riya: maano toh vishwas hai na maano toh andhvishwas aur waise bhi usne tumhara kya bigad liya ulta hum uske ghar me ghusbaith kar rahe hai ( woh uske hath se stick lekar piche fek deti hai) chup chap side se niklo.. itna kehkar uska haath pakadkar kheench kar le jaati hai.woh log highway tak pahunchte hain aur road par chalne lagte hain. Arjun sawaalo ki bochar shuru kardeta hai.
Arjun: ab hum kaha jaayenge?
Etf office?
Kaise jayenge?
tumhare paas taxi ke paise hain? mere paas toh sirf credit card hain.
hum chalkar jaayenge?
Riya irritate ho jaati hai: kitne sawaal puch rahe ho yaar. apni reporter ki skills mujhpar istemaal mat karo
Arjun : main toh sawaal puch raha hu lekin tum ek ka bhi jawaab nahi de rahi ho
Riya use glare karti hai: ha hum Etf jaa rahe hai. nahi mere paas paise nahi hain
Arjun: tum sach mein expect karti ho ki hum yaha se Etf office chalkar jaayenge jo najaane yaha se kitne km dur hai !!!!!!!!!!!
Riya: maine aisa kab kaha
Arjun: are toh fir jaayenge kaise (whining) bolo na
Riya(annoyed) : yaha se thodi dur ek police station hai, hum waha jayenge aur station-in-charge se request karenge ki hume ek vehicle de aur kuch?
Arjun ek aur sawaal puchne waala hota hai toh Riya use glare karti hai aur woh chup ho jaata hai. waha police station mein Riya apni ID dikhati hain aur ek gadi mangti hai. Arjun aur Riya dono van ke piche baith jaate hain. driver gaadi chala raha hai. thodi der baad
Arjun (softly) : Riya...woh nahi sunti toh thoda zor se : Riya
Riya: ab kya hai?
Arjun : mujhe bhuk lagi hai
Riya use look deti hai "SERIOUSLY !!!"
Arjun innocent face banata hain : waha aage supermarket hai waha mera credit card chalega plsss
Riya sigh karti hai: Rammohan aage supermarket ke paas do minute gaadi rokna
Driver: ji madam
Arjun andar jaakar chips ka badasa sumo pack lekar aata hai. gadi fir start hoti hai. Arjun packet kholkar Riya ko offer karta hai.
Riya: mujhe nahi khaana
Arjun : ha khaogi bhi kaise robot jo ho tel piti ho right?
Riya use glare karti hai
Arjun dar jaata hai : woh tumhe pata hai meri maa mujhse humesha kehti thi ki bhuk mein na mera dimaag kharab ho jata hai. kehkar khaane par concentrate karta hai.
Riya uske antics se amuse hoti hai. kuch der baad
Arjun : waise khaana hi hai toh yeh khaao na bhaav kyun kha rahi ho?
Riya irritate hokar uski taraf mudti hai. Arjun uske muh ke aage ek chip pakadkar baitha hai. ye dekhkar Riya melt ho jaati hai. woh subconsciously apna muh kholti hai. Arjun victory smile ke saath use khilata hai. Riya ke chehre par bhi smile aati hai jisse chupaane ke liye woh apna muh fer leti hai lekin Arjun notice kar leta hai. woh uske kaan ke paas dheerese bolta hai
Arjun : itni khubsurat smile ko chupana nahi chahiye
Riya amuse hokar : kya main jaan sakti hu tum mere saath flirt karne ki koshish kyun kar rahe ho?
Arjun : usi wajahse jis wajah se normal log karte hai tum toh policewaali ho I thought tumne figure kar liya hoga.
Riya ki aankhein badi ho jaati hain. Arjun bhi shock mein hai usne bina soche hi jo muh mein aaya bol diya.Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
Hey guys, i know that i am very late and i have left my book incomplete. Actually had problems that forced me to focus on my life for a period...
⚠️ Statutory Warning ⚠️ This story is going to be an emotional rollercoaster 🎢. If you have a sensitive heart 💔, proceed with caution. There...
Naye Rishte The ETF office buzzed with an unusual energy that morning. The scent of freshly brewed coffee lingered in the air as Riya sat at her...
633