Ariya ts - Page 4

Created

Last reply

Replies

57

Views

30.8k

Users

21

Likes

240

Frequent Posters

sahirakapoor thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 8 years ago
#31
Wow very nice story
Plz cont soon
tiakhan98 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 8 years ago
#32
Awesome part plzzz cont thanks for pm
Plz continue & pm me
Thanks for pm '
Mdmadona thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 8 years ago
#33
awesome story
loved this ariya
cont sooon
Dark-Beauty thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#34
First part
wonderful update
Thanks for pm
Dark-Beauty thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#35
Part 2
Fantastic update
Brilliant work
Thanks for pm
Dark-Beauty thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#36
Part 3
Amazing update
Thanks for pm
bloomie thumbnail
Posted: 8 years ago
#37
ya actually my exams are on
will update during the study leave or after they get over
bloomie thumbnail
Posted: 8 years ago
#38
Part 4

Riya ki aankhein badi ho jaati hain. Arjun bhi shock mein hai usne bina soche hi jo muh mein aaya bol diya. gadi ka break lagnese dono trance se bahar aate hai. Riya driver ko thanks kehkar bhej deti hai. dono bina koi baat kiye andar chale jaate hai. Idhar Riya ko dekhkar puri team chain ki saans leti hai. Sameer aage jaakar use hug karta hai.

Sameer: Damn you Riya kaha thi tum? aise bina bataye koi jaata hai kya? kabse phone try kar rahe hai phone bhi nahi lag raha hai, uparse highway ke paas tumhari gaadi ka accident ki khabar, pure news media ne tumhe almost shaheed ghoshit kardiya kitna dar gaye the hum sab, kuch bologi bhi...

Riya : are bolne toh do, main theek hu. aur fir woh raat ka incident batati hai.

Ayesha: iska matlab ki ab woh log Arjun ke piche pade hai.

Shree: mujhe toh laga tha ki shayad Sikandar desh chodkar bhagne ki taiyaari main hoga lekin ye toh badle ke mood mein hai

Sameer: tum sahi keh rahe ho Shree Arjun ko protection ki zaroorat hai

Arjun man me khush ho jaata hai mv" iska matlab Riya mere saath rahegi"

Sameer(Arjun ki taraf dekhkar): abse Chotu tumhare saath rahega jab tak ki Sikandar pakda nahi jaata ya maara nahi jaata

Arjun : NAHI!!! (sab use weird look dete hain) mera matlab main Chotu ke saath nahi reh sakta, no offence Chotu par dusro ko chodo tumhe dekhkar mujhe bhi dar lagta hai aur waise bhi main 24/7 bodyguard lekar kaise ghum sakta hu?... isse better hai...incase kuch gad bad hui toh Riya haina...?

ab Riya use "excuse me?" look deti hai

Arjun : mera kehne ka matlab hai agar zaroorat padi toh main Riya ko contact kar lunga na

Riya disbelief mein apna sar hilati hai

Sameer: main tumse puch nahi raha hu...

Riya: rehne do Sameer waise bhi unhe yahi lagta hain ki hum mar gaye , mujhe ek clue mila hai jab tak unhe pata chalega ki us accident mein hum bach gaye hai, hum uski gardan tak pahunch jayenge, jaane do isse

Sameer: are you sure? I dont think hume aisa risk lena chahiye

Riya: ha Sam main sure hu, thodi der ki hi toh baat hai problem nahi aayegi ye manage kar lega, bina musibat ko invite kare (Arjun ki taraf dekhkar) haina?

Arjun samajta hai woh use raat ke incident ke liye taunt maar rahi hai lekin bina argument nod karta hai

Riya: good, Sam ise thoda paise dede taaki yeh ghar jaa sake.

Sameer nod karta hai. Arjun usse paise lekar jaane lagta hain. jaise hi woh office ke bahar nikalne waala hota hai tab pichese

Riya: Arjun ruko

Arjun mudkar use dekhta hai. Riya uske paas aati hai. dono bina palke jhapkaaye ek dusre ko dekh rahe hai. Riya achanakse uske kareeb jaati hai aur uska collar pakadti hai. Arjun chouk jaata hain mv" ise kya hua? abhi toh aise dekh rahi thi jaise..."

Riya: dekho agar ...agar tumne woh chipkali waali baat kisi ko batayi toh..main... main tumhe zinda ghad dungi SAMJHE TUM?

Arjun: tumne mujhe isliye roka?

Riya apni eyebrow raise karti hai

Arjun: kuch nahi

Riya use chodti hai. Arjun jaane lagta hai

Riya: Arjun...

Arjun turn hota hai.

Riya uski aakhon mein dekhkar: stay safe

Arjun ke chehre par smile aati hai. jo woh suna chahta tha woh sun chuka hai. woh nod karta hai.

dono apne raaste chale jaate hain. Conference room me

Liza: ma'am aapko kaunsa clue mila hai?

isse pehle Riya koi jawaab de watchman bhagkar chillate hue andar aata hai

Watchman: saab, memsahab woh jo saab aaye the aapke saath unhe kuch log zabardasti uthakar le gaye. sab shock ho gaye

Sameer: WHAT!!!

Chotu : ab kya hoga?

Riya: sab shant ho jaao, mujhe pata hai ki woh kaha hai

Sameer: kya matlab hai tumhara?

Riya apne laptop par kuch open karti hai aur phir screen sabki taraf turn karti hai. uspar GPS mapping thi ek red dot move raaste par move ho raha hai.

Riya: jab hum aaye tab maine dekha ki koi office par nazar rakh raha hai. mujhe shak hua toh maine Arjun par ek tracker fit kardiya [tab jab usne Arjun ka collar pakadkar use dhamkaya tha]

Sameer(shocked): Riya ye tumne kya kiya tumhe pata tha uske bavjood tumne uski jaan ko khatre me daal diya

Riya: mere paas aur koi chaara nahi tha Sameer , it's the only way hum Sikandar tak pahunch sakte hai

Sameer: lekin Riya woh ek civilian hai koi trained officer nahi agar use kuch ho gaya toh...

Riya: USE KUCH NAHI HOGA, main nahi hone dungi

Sameer ek pal ke liye use dekhta hai use Riya ke chehre par kuch alag emotions dikhai diye jo usne aaj tak kabhi nahi dekhe.

Sameer: let's go then Shree keep tracking.

Sab hathiyaar taiyaar karke gadi mein tracker ko follow kar rahe hai. Riya man hi man Arjun ki salamati ke liye pray kar rahi hai.

Shree: Sir tracker Miramar beach ke paas ki band cotton mill me ruk gaya hai.

Sameer gadi ki speed badhata hai. waha mill me kuch log Arjun ko bandh kar Sikandar ke saamne le aata hai. Arjun struggle kar raha hai lekin apne aap ko chuda nahi paata.

Sikandar (wicked smile): are are dheere mehmaan se koi aise pesh aata hai

Admi : sorry boss

Sikandar: chalo koi baat nahi, (woh Arjun ke saamne aata hai) toh tum ho Arjun Rawte , maanna padega miya biwi dono ek jaise ho. pehle tumhari biwi ne us gaddar Mansoor ke saath milkar mujhe barbaad karne ki koshish ki aur ab tumne Etf ke saath milkar mujhe barbaad kar diya. bahot pyaar karte hona apni Roshni se yaad bhi aati hogi toh chalo(uske maathe par gun point karke) tumhe is dard bhari zindgi se mukti de deta hu.

Arjun: mujhe toh tum mar doge lekin tum bhi bach nahi paoge apni Roshni ko main bacha toh nahi paaya lekin use insaaf zaroor dilwaunga[woh Riya ko refer kar raha hai, Riya ne use kaha tha ki woh Sikandar ko saza dilwaygi]

Sikandar: ye toh waqt hi batayga. woh apni gun load karta hai aur shoot karne waala hota hai tab aage se firing ki awaaz aane lagti hai woh shock ho jaata hai: ye goliyaan kaha se chal rahi hai

Admi: boss lagta hain police aa gayi

Sikandar: are khambakto bata kya rahe ho lado unke saath.

dono side se firing ho rahi hai. koi nahi jaanta ki police itni jaldi waha kaise pahunch gayi uparse unki goliyaan kam pad rahi hai.

Sikandar: isse uthao aur saath le chalo, kaam aayega

woh kuch admi aur Arjun ke saath peechese bhagne ki firaq mein hain. lekin jab woh nikalne waale hote hain toh puri Etf team unke samne khadi hoti hain.

Sikandar (shocked): tum log yaha kaise tum log toh aage the

Shree smile karke apne haath mein speakers aur player dikhata hai: Technology at its best

Riya aage chalkar sikandar ka collar pakadti hain: bahot shauk hai bhagne ka? masoomo ki zindgi barbaad karne ka ab teri zindgi ko nark se battar nahi banaya na toh mera naam bhi Riya Mukherjee nahi. bolkar use dhanadhan peetne lagti hai. team dusre gundo ko maar rahi hai. Shree Arjun ko chudata hain.

Arjun: thanks

Shree: your welcome. tabhi ek gunda unpar pichese waar karne aata hai. Shree uski gardan par haath rakhta toh woh behosh ho jaata hai. Arjun shock ho jaata hai

Arjun : tum toh Chotu aur Riya se bhi zyaada khatarnaak ho

Shree hasta hain: are nahi ye toh mere gadget ka kamaal hain aur use ek taser dikhata hai.

tabhi Sikandar Arjun ke pairo par padta hai. Arjun Riya ko dekhta hai aur appreciative look deta hai. Riya smile karti hai.

Sameer: lekar jaao ise

Shree aur Chotu Sikandar ko arrest karke use le jaa rahe hote.

Arjun : Riya kya ek baar main use maar sakta hu? pls

Riya use aage jaane ka ishara karti hai. Arjun waha pada ek rod uthata hai aur Sikandar ke sar par zorse maarta hai. Sikandar behosh ho jaata hai already Riya ki pitayi ki wajahse adhmara tha aur ab Arjun bhi...

Sameer dar jata hai: umm pls dont mind lekin hum tumhe uska murder karne ki permission nahi de sakte thats enough take him away...

sab formalities puri kar rahe hai. Arjun ek kone mein samandar ke paas muh karke khada hai. itne dino baad finally use sukoon mila hai. woh khush hai ki usne Roshni ko insaaf dilwaya lekin isse bhi zyada is baat ki woh uske adhure kaam ko pura kar saka. Riya dur se Arjun ko dekh rahi hai, woh uske paas jaakar uske kandhe par haath rakhti hai. Arjun us touch ko pehchanta hai woh smile karke uski taraf mudta hai.

Riya: happy?

Arjun: uske haath par haath rakhkar: very

Riya bhi smile karti hai.

Arjun: Riya...umm...woh ..main...I...

Riya ki smile chali jaati hai: forget it Arjun.

Itna kehkar jaane ke liye mudti hai. Arjun ko thoda gussa aata hai woh uska haath pakad kar use apni taraf kheenchta hai aur use tightly pakad leta hai. ab Riya chouk jaati hai

Riya: ARJUN KYA KAR RAHE HO TUM? WHATS WRO...

Arjun: FORGET IT?? tumhe pata bhi hai main kya kehna chah raha hu?

Riya: ha

Arjun hurt aur disappoint hota hai. woh use chodkar firse samundar ki taraf dekhne lagta hai. Riya guilty feel karti hai. woh use apni taraf turn karti hai

Riya (sad): Arjun pls samajne ki koshish karo is rishte ka koi matlab nahi, mein ek policewaali hu hazaaro dushman banakar ghumti hu, dushman chodo subah ghar se nikalti hu toh is baat ki bhi guarantee nahi hoti ki shaam ko waapis aaungi bhi ya nahi, Arjun kal ko agar mujhe kuch ho gaya toh tum firse usi mod par khade ho jaoge jispar aaj ho pls try to understand...

Arjun uske haath pakad leta hai: kal ki chinta main hum apna aaj kyon barbaad kare Riya? tumhare saath rahunga toh shayad mera dil fir tutega lekin nahi rahunga toh meri saanse ruk jaayegi (Riya aakhein badi karke use dekhti hai) pls Riya agar aaj tumne mera saath chod diya toh mein nahi seh paunga (cracked voice) itni taakat nahi mujhme ab...pls

Riya apne aap ko rok nahi paati aur use hug karti hai: toh fir waada karo...waada karo mujhse ki agar humara saath chut gaya toh mujhe yaad karke dukhi nahi hoge balki humare saath bitaye palo ko yaad karke muskuraoge

Arjun bhi use tightly hug karta hai: I promise...tum humesha mere chehre par muskurahat hi laaogi, humara pyaar meri kamzori nahi meri taaqat banega...

Dono aise hi ek dusre ko tightly hug karke khade hai, sukoon se hai achanak kisi ke zor se khaasne ki awaaz se alag hote hai. waha puri team khadi hai shock aur smile dono ke saath.

Shree: Wow!!! iska matlab humaare chief aur second-in-command ki shaadi ki shehnaiyaan saath main bajegi.

Riya blush karti hai. ye dekhkar Sameer: OH my God Ri...mujhe nahi pata tha tu sharma bhi sakti hai (Riya use glare karti hai) lekin tumne mujhe bhi kuch nahi bataya ye toh na insafi hai(dramatically apne dil par haath rakhkar) mera dil tut gaya

Riya (smile): aisa kaise ho sakta hain Sam? tera dil toh Ayesha ke paas hai and mujhe pura bharosa hai woh use tutne nahi degi haina BHABHI?

ab Ayesha blush karti hai. sab haste hain

Sameer: baazi palatna toh koi tujhse sikhe waise is hisaab se toh Arjun mere jija hua (woh Arjun ke paas jaata hai) toh jijaji meri behana ka khyal rakhiyega (serious hokar) warna... apni gun nikaalta hain

Arjun thoda dur bend hokar uski gun nichi karta hai: iski zaroorat nahi padegi saale sahab mujhe apni zindgi bahot pyaari hai aur aapki behana ko dhoka deni ki himmat rakhne waala insaan toh paida hi nahi hua

Sameer: ha woh toh hai lekin ha, agar picha chudana chaho toh main tips zaroor de sakta hu

Riya: SAM!!!!

Sab haste hain.

Arjun Riya ke kandhe par haath rakhkar (dheerese) : fikar not shona , tume chodkar toh sirf meri jaan hi jayegi.

Riya ekdum se use face karti hai. Uski aakhon main use sirf pyaar dikhai deta hai, Riya ke chehre par automatically smile aati hai. dono pyaar se ek dusre ki taraf dekhte rehte hai...

The End

Edited by bloomie - 8 years ago
ariya143 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 8 years ago
#39
aweesomeee story..
nice ending..
I like it..
Mariaakanksha thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#40
Kya khatam hogayi.. but loved it..small and cute story.. thanks for PM.. chota hai.. lekin sab kuch hai.. action, romance, sentiment, fun.. everything.. 😊

Related Topics

Arjun Thumbnail

Posted by: muskan760

7 years ago

The Wait (Ariya FF) Part-33 Updated (Page-62)

Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: bloomie

7 months ago

Ariya The Suspect

hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: Lekha_Acharya

5 months ago

Ariya : Destined to Love

Hey guys, i know that i am very late and i have left my book incomplete. Actually had problems that forced me to focus on my life for a period...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: SarafWasima

5 months ago

Riya/Ariya FF: Aakhri Umeed {A/N on p.1 | Update 14}

⚠️ Statutory Warning ⚠️ This story is going to be an emotional rollercoaster 🎢. If you have a sensitive heart 💔, proceed with caution. There...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: SarafWasima

4 months ago

Ariya/ETF TS: Naye Rishte {Completed}

Naye Rishte The ETF office buzzed with an unusual energy that morning. The scent of freshly brewed coffee lingered in the air as Riya sat at her...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".