ek godown ke bahar firing ho rahi hai. tabhi ek phone bajta hai
Riya cover lekar phone uthathi hai: hello?
Other side: Mrs. Rawte?
Riya : yes who's this?
Other side: main Mrs. Falguni ...(pichese gunshot hota hai Riya curse karke saamne fire karti hai aur saamne waale ko maar deti hai) ye..ye ...awaaz kaisi hai?
Riya : Diwali ke patake phut rahe hai?
Falguni: ji?
Riya : agar aapne timepaas karne ke liye phone kiya hai toh main rakh rahi hu.. I've better things to do
Falguni: nahi.. nahi...main Victoria High ki principal bol rahi hu. aapko yaha aana hoga
Riya: mujhe kam se kam ek ghant lagega
Falguni: lekin aapko abhi aana hoga
Riya : toh main nahi aa sakti...Bye
Falguni: lekin...baat zaroori hai...par phone kat chuka hai.
ek ghante baad...
Victoria High ke bahar ek gaadi rukti hai. usme se Riya nikalti as usual apne biker model waale avatar main. Woh andar jaati hai toh watchman usse rokta hai
Watchman: madam aap kaha jaa rahi hai? ye school hai...
Riya: mujhe pata hai, tumhari principal madam ne mujhe bulaya hai, office kaha hai unka?
Watchman: woh madam second floor par lift ke saamne
Riya: thank you.
aur woh andar chali jaati hai. upar pahunchne par use waha Arjun aur ek aur couple dikhai deta hai. woh log bhi use dekhte hain Arjun bhi aur woh dusra pati bhi. Arjun yeh baat notice karta hai lekin dhyaan nahi deta usse pata hai ki usne kuch bhi kiya toh uska kya haal hoga
Riya : kya hua?
Arjun: Maine kuch nahi kiya
Riya : woh toh obvious hai tum kabhi chote kaand nahi karte ho ki sirf principal se daant khaani pade aur waise bhi tumhe kuch karne ki zaroorat kaha hai, tumhari personality hi itni magnetic hai ki musibat apne aap hi attract hokar tumhare aas paas ghumti hai.
Arjun : Riyu principal mujhe kyun daantegi mera kya lena dena?
Riya: tumhe nahi toh shayad tumhari wajahse ...khoon kiska hai?
Arjun: ye mujhe tumhe kehna chahiye...
tabhi principal bahar aati hai
Falguni: Mr. Rawte, aapki wife kaha hai? this is totally unacceptable...unme zimmedaari naam ki koi cheez hai ya nahi?...
Arjun: ma'am ( Riya ka haath pakadkar) ye meri wife hai. ab aap please batayengi ki aapne hume kyun bulaya hai?
woh dusri couple ki wife bhi bolti hai: ha ma'am pls kya hua hai? sab thik toh haina? meri toh jaan nikal rahi hai.
Falguni: aap log andar aaye sab pata chal jayega.
sab office mein jaate hai. andar teen 9 saal ke teen bache baithe hai do ladke aur ek ladki. ek ladka aur ladki haath pakadkar baithe hai. woh teeno apne parents ko dekhte hai. toh woh akela baitha ladka dusre couple ke paas bhagkar jaata hai aur apni mummy ko hug karke rone lagta hai
Sneha(uski mummy) : are Rocky mera laal, kya hua mera bacha kyun ro raha hai...na bacha na.. nahi rote...woh use fuslaane ki koshish karti hai
Rocky: mummy un dono ne mujhe maara kehkar bench par baithe bacho ki taraf point kiya jo use glare kar rahe the
Falguni: aur yahi nahi in dono ne iski school bag bhi uthakar dustbin me fekdi
Arjun aur Riya shock hokar ek dusre ko dekhte hain
Arjun: Rohan, Geetanjali kya yeh sach hai?
dono(bina hesitation): HA
Arjun unka confidence dekhkar mv" dono pakka apne maa ke hi bache hai, koi kya sochega kuch asar hi nahi"
abhi Rocky ke dad ko bhi gussa aata hai: Ye sab kya hai? is school mein discipline hai ya nahi? (Arjun aur Riya ki taraf) yahi parwarish di aapne in dono ko?
ab Riya ko gussa aata hai.
Arjun mv" yeh toh gaya"
Riya: HOLD ON MISTER, Watch Your Words Hum Par Ungli Uthane Ke Bajaye Behtar Hoga Ki Aap Yeh Jaan Le Ki Aapke Bete Ne Aisa Kya Kiya Ki Unko Aisa Kadam Uthana Pada...
Ankit (rocky's dad): mujhe apne bete par pura bharosa hai..
Riya ki expression dekhkar Arjun samaj jaata hai ki yeh use kacha chaba jeyegi isliye woh kuch kahe isse pehle woh uska haath pakadleta hai
Arjun: Riya...Riya shaant ho jaao tum iske saath kyun behas kar rahi ho? I'm sure koi misunderstanding hui hai
Ankit: misunderstanding ka toh sawaal hi nahi hai aapke bacho ne kudh admit kiya hai ki yeh sab unhone kiya hai..
Riya: admit kiya hai kyun kiya yeh nahi bataya so SHUT UP!!!
Falguni : bas bahot ho gaya!! yeh mera office hai koi fish market nahi aur Mrs. Rawte maine already Rohan aur Geetanjali se pucha ki unhone aisa kyun kiya lekin unhone koi jawaab nahi diya, is sabse saaf zaahir hota hai ki yeh dono guilty hai
Riya: jab tak main unke muh se nahi sunti ki unhone aisa kyun kiya tab tak mai unhe doshi nahi manungi
Sneha: are ajeeb zabardasti hai mere bichaare bache ke saath itna anyay ho raha hai aur aap maanne ko hi taiyaar...
Arjun: miss please calm down Riya tum bhi, baat ko badhane ka koi matlab nahi hai, mai puchta hu ruko, (undono ki taraf mudkar) ..bacho sach sach batao kyun kiya tum dono ne Rocky ke saath aisa ?
Rohan: papa maine sirf ek bhai aur dost hone ka farz nibhaya hai
Geetanjali: aur papa maine wahi kiya jo aap kehte hai maine apne bhai ka saath diya
Arjun disbelief me apna sar hilata hai mv" indono ko abhi bhi dialogue baazi sujh rahi hai"
Riya: baaton ko gol gol mat ghumao saaf saaf batao ki hua kya tha
Rohan: mumma yeh Rocky humesha hum sab ko pareshaan karta rehta hai, aaj isne mere dost se zabardasti use tiffin cheen liya aur waapis bhi nahi kiya
Geetanjali: aur fir jab Rohan ne use rokne ki koshish ki toh woh usiko dhamkaane laga isliye use sabak sikhane ke liye maine uski bag dustbin mein fek di
Rohan: aur fir usne Geeta ko chot pahunchai toh mujhe gussa aaya aur maine use maara, aur aap dono hi humesha kehto hona ki kabhi bhi anyay ke saamne sar nahi jhukana chahiye, agar sache ho toh datkar mushkilo ka saamna karna chahiye?
Riya aage jaakar Geetanjali ka haath turn karke uski chot dekhti hai.
Riya: dard ho raha hai?
Geetanjali: nahi mumma mai aapki tarah strong hu mujhe dard nahi hota. kehkar smile karti hai
Arjun bhi smile karta hai: haa woh toh dikh hi raha hai. kehkar apne pocket se handkerchief nikaalkar uske elbow par bandhta hai.
Arjun(Rohan se) :tumhe chot lagi hai
Rohan: nahi papa main theek hu.
Arjun uske sar par haath ferta hai
Riya turn hoti hai aur firse stern hokar: kisi ko aur kuch puchna hai? aur sabko glare karti hai.
Rocky ke parents sar jhuka kar khade hai
Riya (falguni se) : kya hum jaa sakte hain?
Falguni nod karti hai.
Arjun aur Riya bacho ko lekar nikal jaate hai.
Falguni: Rocky ye tumhaari first and last warning hai agar tumhaare aage se koi bhi complaint aayi ki tum kisi aur student ko pareshaan kar rahe ho toh tumhe suspend kar diya jaayega ( uske parents se) aur aap dono bhi samjhaiye ise ki aisi harkate na kare ye toh acha hua ki Mr. and Mrs. Rawte ne koi action nahi liya, warna baat aur bhi bigad sakti thi, ye humaare school ki reputation ka sawaal hai
Ankit (Rocky ko glare karte hue) : ji ma'am aap fikar mat kijiye aage se aisa kuch nahi hoga.
Falguni nod karti hai: ab aap jaa sakte hai
bahar
Rohan : thank you mumma papa, mujhe laga tha ki shayad aap dono bhi hume daantenge
Riya: jab tumne kuch kiya hi nahi toh daant kis baat ki?
Rohan use hug karta hai lekin use kuch lagta hai toh chod deta hai: kya mumma aap har jagah gun lekar ghumte ho mai aapko theek se hug bhi kar sakta
Arjun: beta agar tumhaari mumma gun lekar ghumna band karegi na toh tum unhe kabhi hug nahi kar paoge, haina? Mrs. ACP?
Riya: ha toh maine bola tha shaadi karne ko? mana kiya tha na maine? tumhe hi bada shauk tha ab bhugto...
Arjun: What the..?
Riya: anyways mujhe office jaana hoga tum inhe lekar jaao, ok bye. kehkar dono bacho ke cheek par kiss karti : im so proud of you. take care ok.
Dono smile karte hain: thank you. Riya nikal jaati hai. Arjun dono ko lekar ghar jaata hai.
later in the night
ghar ki bell bajti hai. Arjun darwaza kholta hai. waha Riya khadi hai.
Riya: bache?
Arjun: so gaye, der ho gayi aaj?
Riya : ha woh commissioner sir ne rok rakha tha important case tha toh unhe summary report aaj ke aaj hi chahiye thi aur of course uske baad unhe speech toh deni hi thi
Arjun: tumhaare commissioner sir ke ghar par biwi bache nahi hai kya ?
Riya : nahi
Arjun confuse ho jaata hai
Riya: are unki biwi maayke gayi hai
Arjun: had hai yeh toh, khud ki biwi nahi hai toh mujhse meri biwi kyun cheen rahe hai?
Riya hasti hai: kya Arjun tum bhi?
Arjun: im serious aur tum has rahi ho
Riya: tum kabhi nahi sudhroge !
Arjun use waist se pakadkar hug karta hai: are meri jaan agar hum jaise log sudhar gaye toh aap jaiso ki kadar kaun karega.
Riya : kya Arjun kuch toh sharam karo, do bacho ko baap ban gaye lekin abhi bhi pehle jaise hi ho
Arjun : had hai yeh toh ab admi apni biwi ke saath flirt nahi karega toh kya padosan ke saath karega
Riya playfully uska collar pakadti hai : khabardaar jo padosan ki taraf aankh uthakar bhi dekha hai, mai tumhaare chote-chote tukde karke cheel kauwo ko khila dungi samjhe Mr.?
Arjun: tumhe mera collar pakadne me bahot maza aata haina?
Riya : ha bahot maza aata hai
dono hasne lagte hain.
Arjun use uthata hai: ab mujhe bhi thoda maza lene do. kehkar use room me lejaata hai...
Officially the end
627