The scene begins after the drama that takes place at the Bhalla residence. Parmeet's truth is out and the police has arrested Parmeet and taken him away. Ishita is standing in the middle of the drawing room and Raman, Simmi, Rinki, Romi, Toshiji and Mr. Bhalla are also standing there around the room.
Ishita turns around and is about to leave for her amma's house when Raman says, "Ishita, Kahan jaa rahi ho"?
Ishita replies in a dead monotone, "Amma k yahan"
Raman,"But Ishita ab toh sab theek hai. Tum..."
But before Raman can finish his sentence Ishita look at Raman incredulously and says," Sab theek hai! Haan shayad aap sabke ke liye sab theek ho gaya hai per mere liye kuch thik nahi hai. Main jaanti hun ki humne yeh shaadi sirf Ruhi ke liye ki lekin uske baad bhi maine ek bahu or ek patni hone ka farz adaa kiya. Maine dil se is pure pariwar ko apna liya tha jabki Raman mujhe baar baar yaad dilate rahe ki main sirf Ruhi ki maa hun aur isse jyada kuch nahi.
Mummyji aap...aapko ko toh maine wohi jagah di jo amma ki hai. Jab bhi aapne mujhe kisi bhi baat ke liye taane marein tab maine usse saas ka pyaar samjh ke chup chap sun lia. Jab Simmi ko maine Parmeet ki jhoothi kahaani sunkar maine help ki tab bhi aapne mujhese kaha ki mujhe detective banne ka shouk tha. Maine kuch nahi kaha. Phir Raman ki land deal jab bigad gayee tab bhi aapne sabke saamne mujh per bahut chillaya per main chup rahi ki haan shayad maine hi Raman ka bahut bada nuksaan kar dia hai. Aur is baar bhi aapne wohi kia. Maine toh aapko apni maa maan lia lekin aap mujhe beti toh kya is ghar ka ek hissa bhi nahi maan payee.
Aur Raman aap... mujhe laga ki kuch time se hamara relation improve ho gaya hai. Haan ek normal husband wife nahi hai lekin phir bhi aap mujhe thoda samjhane lagey hain. But kitni galat thi main. Aapne hamesha mera sirf use kia hai. I'm just an instrument of gain for you. Phele Ruhi ki custody paane ke liye mujhse shaadi ki. Phir Shagun ko dikhane ke liye Holi per mere saath dance kiya. Phir Adi ko manane ke liye mujhse Adi or Shagun ko sorry bulvaya. Yeh paana..dikhana..manana...bas yehi saari cheezein hai aapki zindagi main. Is sab main aap yeh bhul gaye ki main bhi ek insaan hun. Mujhe laga ki kisi ko nahi lekin aapko toh mujh per bharosa hoga ki main aisa kuch nahi kar sakti. Pheli baar jab maine aapse madad aur support ki umeed ki tab aap chup rahein.
Simmi ne toh mujh pe haath bhi utha diya jabki aaj tak maine Simmi ka kabhi bura nahi chaha. Simmi ko apni behen jaisa mana aur hamesha uske saath accha behave kia. Aap logon ko mujh per ratti bhar bhi bharosa nahi hai na meri is ghar main koi izzat hai. Kya pata kal ko Simmi yeh ilzaam bhi mujh per lagade ki Parmeet aisa meri wajah se hai.
Kisi ne ek baar bhi nahi socha ki main itna bada iljaam kisi pe yuhi nahi lagaugi. Kisi ne nahi socha ki meri baat main kuch toh sachaai chupi hogi.
Lekin ab bahut ho gaya and I'm sorry. Ab aap sab mujhe maaf kar dijiye. Ruhi ki custody mere pass hai. Per main Ruhi ko uske pariwvaar se door nahi karungi or na hi aap logon ko aapke bache se door karungi. Main Ruhi ki maa hun aur sirf Ruhi ki maa banke is ghar main rahungi. Aaj se na main kisi ki Bahu hun aur na hi kisi ki patni. Na Raman, Simmi, Romi, Rinki ki problems meri hai aur na hi unki khushiyon mein main shaamil hona chahti hun. Main aap logon se request karti hun ki mujhe meri maa hone ka farz nibhane dijiye aur isse jyada mujhe koi umeed na rakhi jayen.
Toshiji," dekh Ishita puttar...ghar main toh..."
Ishira raises her hand and asks her to stop and says, "Mummyji main apki respect karti hun islie mujhe uur much khene pe majboor mat kijiye. Then she shoots a dirty look at Raman and says waise bhi kuch logon ko meri baatein lecture lag rahi hongi. Lekin baat is baar mere aatm-saaman ki hai. Anyway yeh sab tab tak jab tak ruhi badi nahi ho jaati phir main is ghar se hamesha ke liya chali jaoungi."
Raman is stunned to hear this and does not know how to react. He knows that Ishita is saying all the right things and that he has betrayed her by not supporting her.
Just then Ruhi comes running from the main door in her school uniform with a gift in her hand and shouts," Ishimaa dekho school main kya mila"
Ishita turns around and quickly tries to wipe her tears. She bends down and ask Ruhi," Kya mila, Ruhi?"
Ruhi, "Ishimaa, aap ro rahe ho. Kya ho gaya Ishima?
Ishita, "Ruhi, Ishima ko bahut dard ho raha tha lekin ab unki Ruhi unke pass aa gayee hai toh Ishima thik ho jayegi" She gives an adorable smile to Ruhi.
Ruhi, however, turns to Raman and says in an angry tone, " Papa aap Ishima ka bilkul khayal nahi rakhte. Dekho woh dard se ro rahi hai."
Raman opens his mouth to justify himself but before that Ishita says," Nahi Ru beta, aisa nahi hai, Papa toh bahut acche hai, woh Ishima ka bahut khayal rakhte hai."
Raman feels even more guilty seeing Ishita defend him in front of little Ruhi.
Ishita picks up Ruhi in her arms and goes to Ruhi's room.
Please comment guys and tell me how did you like the first part. If you guy encourage me and like this part then I'm planning to finish the FF in the next 2 days.
Part 2- below. Scroll down please.
Part 3- page 3
Part 4- page 6
Part5- page 8
1.2k