FF (Maneet) Dil Mil Gaye Thread 3 Upd prt46 pg122

piya- thumbnail
Posted: 13 years ago
#1
Hello friends this is the third thread of my FF Dil Mil Gaye😛😛😛😛😛
I m so happy never thought that I would open a third thread of this FF and this would not have been possible without your love and support
Link to my FF: Dil mil gaye Thread one
Link to my FF: Dil mil gaye Thread two
Here is a short recap of the story
Geet, Maan and Yash are best friends.Geet is doing her graduation in Arts and works as a part time as a radio jockey in Just Chill Radio Station. Yash is also an RJ and works with Geet. Maan is the owner of Khurana Constructions and secretly loves Geet. Geet shares a beautiful relationship with her Mom Savitri Handa. Meera is a diehard fan of Yash. Pari is the best friend of Meera and an aspiring model.
Geet announces a win a date with yash contest.
Meera the first caller wins the contest. Yash is very excited for his date and he calls Meera and asks her to give a description of herself so that he can recognize her. Meera gets nervous and she gives a detailed description of her friend Pari... Meera convinces Pari to go and meet Yash as Meera... Pari goes for the date
The date is a total flop since Yash couldn't relate to Pari and Pari is least intersted in Yash.
Geet is restless. Her Mom wants to know the reason that is troubling her daughter. Geet narrates everything... that she had announced a blind date and d first caller itself had won the contest... she was confused abt her feelings... her mom gave her 2 reasons first she felt that mayb geet was worried for yash since she didn't want any wrong person to enter his life or second reason maybe geet loves Yash.
Her mother tells that u should give urself sometime before u go for some kind of conclusions... Maan and Yash meet and Yash informs him about the weird date... Maan suggests Yash to give a second try... Yash decides to give a surprise visit to Meera while Maan decides to confess his feelings for geet.
Maan records his confession in a casette. Yash meets the original Meera and Meera introduces herself as Pari. Yash is simply bowled by her simplicity and innocence.
Maan goes to meet geet. Geet is still sad. Maan realizes that geet is upset and wants to know the reason behind this. Initially geet does not tell d reason maan feels hurt and he is about to leave geet immediately stops him and hugs him... ( mahi moment) geet informs maan that she fels that she has fallen in love with a guy and she will lose him forever.
Maan is heartbroken but he wants geet to b happy he convinces geet that she should confess her feelings to that guy very soon... Together both of them start completing geet's assignment... in between there are many mahi moments
Savitri had overheard their convo and she realizes that geet has feelings for Maan n not Yash... Maan leaves for work and places the casette in his car he does not give it to geet. Geet is confused she didn't want maan to leave there was smthng special between them...
Meanwhile Yash comes to know the truth of Meera. He decides that from now onwards she is not a part of his life... he leavesthe city for few days
Geet's scooty is not working Maan is passing by he notices Geet and offers to drop her at her residence. A client gives an urgent call to Maan and tel
Edited by piya- - 13 years ago

Created

Last reply

Replies

632

Views

150.9k

Users

99

Likes

2.1k

Frequent Posters

piya- thumbnail
Posted: 13 years ago
#2
So once again all the 7 parts in one go
Starting with Geet's radio confession

Geet's confession begins

Geet: Hum ladkiyaan chahe duniya k kisi bhi kone mein chale jaaye'chahe kitne bhi successful ho jaaye'kahi na kahi har ek ladki yahi chahthi hai k uske life mein koi aisa shakhs aaye jo k usse dilojaan se chaahe

Geet: maine bhi ek aisa hi sapna dekha tha'k mere zindagi mein bhi ek shehjaada aayega jo k mujhe apne palko k chilman mein bithakar mujhe ek khoobsurat si duniya mein lekar jaayega jaha par behne wali har ek hawa mein pyar aur khushi ki mehek hogi

Geet: Bannd aakhon se kitne martaba maine apne uss shehjaade ka chehra dekhni ki koshish ki aur najaane kaha kaha usse dhoondna chaha'par wo mujhe kahi nazar nahi aaya

Geet: Nazar aata bhi kaise bannd aakhon se toh sapne dekhe jaate hain'hakeekat mein kadam rakhne k liye humhe inn aakhon ke pardo ko kholna padtha hai

Geet: Maine jab apni aakhen kholi tab maine jaana k meri zindagi ki haqeekat mere sapno se kayi zyaada khoobsurat hai

Geet: Haan mere sapno ka saudagar tho humesha se hi mere aakhon k saamne tha'bus main hi usse pehchaan nahi payi

Geet: Uske baare mein kya kaho'aisa koi bhi lafz nahi hai jo k usse describe kar sakhe

Geet: main bus aaj is show k through usse ye batana chahti hoon k meri zindagi mein uski kya aeihimeeyat hai

Geet: Wo kehta hain k humare dosti k rishte mein koi farak nahi aana chahiye magar aisa kaise ho sakta hain wo mere liye sirf ek dost nahi balki usse kayi zyada hai'

Geet: Ab ye baat main usse kasie samjayu

Geet: Agar main uski dhakdhan hoon tho mere liye wo meri zindagi hai

Geet: Agar main uski barkha hoon tho wo mera saawan hai

Geet: Agar main pyaasi hoon tho wo mera saahil hain

Geet: Wo mujhe iss kaiynaat ki sabse beshkeemati darohar samajhtha hain magar mere liye tho wo anmol hai'

Geet: uski thakaan meri muskurahat ko dekhkar mith jaathi hai magar wo ye nahi jaanta k mere chehre pe ye muskurahat tabhi khilthi hain jab wo mere kareeb hota hai

Geet: (smiles) Are usne toh iss duniya k sabse keemati heere ko bhi meri aakhon ki chamak k saamne chotha karaar de diya magar inn aakhon ki chamak tab badthi hain jab main uske aakhon mein apne liye roz ek masoom sa iqrar dekhthi hoon' jo k mujhe yakeen dilathe hain k chahe haalat kuch bhi ho jaaye magar inn aakhon ko humesha meri hi talab rahegi'mera hi intezaar rahega

Geet: Main jab usse dur chali jaati hoon toh wo sehem sa jaata hain magar jab wo mere nazaro k saamne nahi hota tab aisa lagta hain k mere jism se kisi ne mere ruh ko hi alag kar diya ho

Geet: wo meri tasveer ko seene se lagakar sotha hain magar mujhe iss cheez ki kabhi zaroorat hi nahi padi kyunki geet k har ek saas mein uski hi khushboo samayi hui hai'rag mein behne wale khoon ka har ek katra bus ussi ka naam letha hai'wohi toh hai jisne mere dil ko dhadakna sikhaya'

Geet: wo kehtha hain k rishte naathe kya hothe hain ye maine usse samjhaya magar har rishte ko bina kisi swarth se poori vafadaari se kaise nibhayaa jaatha hai iski seekh usne mujhe di

Geet: Jabse wo meri zindagi mein aaya hai meri zindagi jaise taro ki baarat ho gayi hai'samaj mein hi nahi aata k mere pairo tale zameen hai ya aasman

Geet: Hum mein se kayi saari ladkiyaan apne aap ko badalne ki koshish karti hain magar mujhe iski koi zaroorat hi nahi padi'wo kehta hai k meri saadgi hi meri sabse badi khoobsurati hai'magar wo ye nahi jaanta k ye dilkashi bhi ussi ki amaanat hain

Geet: wo mujhe kabhi bhi badaltha hua nahi dekhna chahtha' magar wo anjaan hai k main badal chuki hoon'

Geet: Haan uske pyar ne mujhe badal diya'jo geet bannd aakhon se sapne dekha karti thi wo geet aaj khuli aakhon se sapne dekhti hain' har ek chehre mein mujhe uski hi parchayi nazar aati hai'kabhi kabhi toh uska naam lekar main kisi aur ko hi bulane lagti hoon' shayad isi ehsaas ko pyar kehte hain

Geet: Haan'ye baat najaane kitne martaba mere hoto par aakar rukh jaathi thi'magar main jaanti hoon k wo mujhe mujhse bhi zyaada ache se jaanta hain'usne ye baat pehle hi meri aakhon mein pad li hogi'

Geet: Wo humesha se hi meri khushi ko sabse zyaada aihmiyat detha tha' main ye toh nahi jaanti k aage kya hoga haan magar itna zaroor keh sakthi hoon k

Geet: jab bhi mujhe kadakti hui dhoop pareshan karegi tab wo mera saaya bankar mujhe thandak pouchayega

Geet: Jab bhi mujhe thand lagegi tab wo mujhe apne baho k ghere mein lekar uss thand ko mujhse dur kar dega

Geet: Jab bhi main uss se rutha karungi toh wo mujhe manane ki koshish karega

Geet: Jab bhi suni tanha raaho mein bathakne ka darr mujhe satayega tab wo meri aakhen bankar mujhe raasta dikhayega

Geet: Jab kabhi bhi zindagi k jung mein mere pair ladkhadne lagenge tab wo meri takat aur himmat bankar mujhe unn haalatho ka saamna karne ka hausla dega

Geet: uske bina tho main adhoori thi pata nahi main apni zindagi tanha kaise guzaar paati agar wo mujhe na miltha tho'sach tho ye hain k jabse wo meri zindagi mein aaya hai mujhe khwab dekhne ki zaroorat hi nahi padi kyunki meri har khwaisho ko mere bina bole hi wo pura kar detha tha

Geet: Wo kehta hain k usme jo khaamiyaan hai wo saari khubiyaan mujh mein hai magar sach toh ye hain k meri naadaniyaan mein bhi usse meri khubiyaan nazar aathi hai

Geet: Wo kehta hain k wo mere liye perfect nahi magar main uske liye perfect hoon lekin sach toh ye hain k agar main aaj jee rahi hoon toh wo bus ussi k pyar k dum par

Geet: wo kehta hain k main usse complete karti hoon magar sach toh ye hain k agar wo mere zindagi mein nahi aata toh main shayad apne aap ko kabhi pehchaan hi nahi paati'main ye kabhi bhi nahi jaan paathi k mere life mein kis ki kami hai'kiska intezaar hai'

Geet: Magar aaj main apna naam humesha k liye uske naam se jod dena chahti hoon kyunki aaj main ye jaan chuki hoon k geet maan k bagair adhuri hain'agar geet pe kisi ka haqh hai toh wo sirf maan hai'MAAN KI GEET 'SIRF MAAN KI

Geet: Maan main tumse behpanna mohabbat karti hoon'shayad tumhe mujhse kayi zyaada behtar ladkiyaan mil jaaye magar main jaanti hoon k tumhari jagah meri zindagi mein koi aur le hi nahi saktha

Geet: tum meri zindagi ho maan'tumhara hi haath thamkar main apna jeewan bitana chahti hoon'

Geet: Main tumse ek vaada karti hoon maan chahe zindagi mein kitne bhi bade toofan kyun na aaye tum humesha apni geet ko apne paas khada paauoge' main bus yahi dua karungi k mujhe maut bhi tumhare baho mein naseeb ho'

Geet: I really love u Maan' kya tum mujhe iss layak samajthe ho k tum mujhe apni life mein shaamil kar sako

Maan stopped his car immediately' He couldn't believe what he was hearing

Maan was restless from the previous night itself

He had decided that whatever the case he would reveal his true feelings for geet today itself and hence instead of going to the office he decided to go to the radio station to meet geet

As usual he was listening to geet's program and he was wondering as to why geet was insisting that he should not miss her program today

He didn't had to wait for an answer for too long

He was surprised that Geet was confessing her love for him in front of the whole world

He was right there in front of the radio station when geet mentioned those last words "I love u maan"

These were the sweetest words that maan had ever heard

The words were still resonating in his ears

He closed his eyes and was recollecting each n every word that his geet had just now mentioned'yes his geet'this thought brought a smile on his face

Maan: Geet dil tho ye kar raha hai k abhi aakar tumhe apna jawab de du magar tumne mujhe itna pyara surprise diya hai issliye mujhe bhi tumhare liye kuch khaas karna hoga'bus aaj shaam tak intezaar geet

Maan starts his car and goes away

Geet comes out. But she could not see maan anywhere'

Geet: pata nahi maan ne mera program suna bhi hai ya nahi'call karke puch lethi hoon

She takes her mobile

Geet: Nahi'mujhe aisa nahi karna chahiye'pata nahi unka jawab kya hai

She goes back

The show ends. Geet is still waiting for Maan's call.

She goes to attend her lectures

Afternoon

Geet's house

Geet: maan ka abhi tak koi call nahi aaya kahi wo mujhse naaraj tho nahi'

She opens the door and goes to her room

She leaves her mobile and goes to the kitchen to have her lunch

When she returns she sees a message on her mobile

The message was from maan

Geet: (happy) Maan ka message

She opens to read the message

Message: "Geet agar tumhe mujhpar bharosa hai tho shaamko mujhe milne aa jaana mera driver tumhe tumhare ghar se pick kar lega'main tumhara intezaar karunga umeed hai k tum zaroor aaogi"

Geet: bharosa tho humesha se hai maan'main zaroor aaungi

Evening

Driver drops geet at a particular place and then goes away from there

Geet: Ye kaisi jagah hai'yaha dur dur tak koi nazar nahi aa raha'

She then notices a house

Geet: Shayad maan is ghar k andar ho

Geet opens the door but the room was fully dark

Geet: Yaha itna andhera kyun hai'light ka switch kaha pe hai

Maan: Geet light on mat karna

Geet: maan'

Maan: haan geet main'tumhe darne ki koi zarurat nahi hai'aaj tumhare saare sawalo k jawab tumhe mil jaayenge magar isse pehle tum mere sawal ka ek jawab do'kya tumhe mujhpar yakeen hai?

Geet: Khud se bhi zyaada maan

Maan: Tho bus darwaja bannd kardo aur mujhse ye vaada karo k jabtak main na kahu tum lights on nahi karogi

Geet: Jaise tum kaho

She closes the door

Maan's confession begins

Maan: Geet tum soch rahi hogi k maine tumhe yaha kis wajah se bulaya hai

Maan: Geet darasal main tumhe aaj uss shaks se milwana chahtha hoon jisk bina main apni zindagi guzaarne ki soch bhi nahi saktha

Maan: Wo mere mann ka sukun hai'mere armaano ki roshni hai'dil se nikalnewali ek paak dua hai'wo mera junoon mera aasara aur meri nazaro mein basa hua sabse khoobsurat khwab hai

Geet: "Khwab"

Maan: Haan geet khwab

Maan: tum usse milna chahti thina aaj main tumhari ye khwahish puri kar deta hoon. Magar isse pehle k tum usse milo main chahta hoon k tum usse ek baar meri nazaro se dekho

Maan: Dekhogi na?

Geet: Haan'

Maan: Kaha se shuru karu'

Maan: Jaanti ho geet wo aam ladkiyon se bilkul pare hai'bilkul alag'aur bahut hi dilchasp

Maan: (smiles) Wo kabhi masoom hai tho kabhi shararati'kabhi shanth tho kabhi chanchal'kabhi narm tho kabi sakth'kabhi bholibhali tho kabhi ek number ki ziddhi

Maan: Gusarthe hue har ek pal mein uski adaao k daaman mein kai naye rang jhudthe jaathe hai

Maan: Jaanti ho geet pehle meri zindagi ek kaajaz ki phool ki tarah thi jisme koi mehek ya khushboo nahi thi'bilkul hi berang si'

Maan: magar wo mere zindagi mein ek aisa saawan bankar aayi jisne meri zindagi ko gulshan ki tarah meheka diya aur gunguni dhoop aur rhimjhim barasthe hue saawan k milan se jo satrangi bahar jhilmilane lagti hain thik ussi tarah meri zindagi ko bhi ek gulistaan ki tarah sajah diya

Maan: Uske Chand se chehre pe jab kabhi bhi zulfo ka parda girtha hai'tab uski khoobsurati mein jo raunak cha jaathi hai'usse dekhkar dil mein bas ek hi khwaish hoti hai'k agar mujhe kabhi bhi khudha mil jaaye tho main unki balaye le lu'unke haatho ko chum lu'jo unhone itni gehraai se usse tarasha

Maan: Uski muskurahat samunder ki dhun ki tarah lagti hai

Maan: Uski nazare bolti hai geet... jab wo apni ghani palko ko jhukhathi hai tab mano aisa lagtha hai k jaise shaam dhal rahi ho...aur jaise hi palke uthakar wo aapko dekthi hai tho subah chalne ka ehsaas hotha hai
Maan: Wo mere saaso ki raagini hai geet...mere dil ki sada hai...najane kyun uski kahi hui har ek baat sachhi aur achhi lagti hai
Maan: Wo mere andhere raastho ka aur soyi hui manzil ka ek ruhani sitara hai...meri yaado ki mehke hue gulabo mein bus ek ussi ki khushboo aur parchayi hai
Maan: Uski aakhon mein ek badhi hi meethi si nazakat, kashish aur sharmilapan hai...apni nighahon se woh kuch aise adaoke teer chalathi hai k wo kabhi bhi kisi bhi shaks ko apna gulam aur deewana bana de
Maan:uski maasumiyat ko dekh kar hoor bhi sharmajaatha hai...ji tho humesha yahi kartha hai k umr bhar uske pyar k taranum mein main dubtha jaau
Maan: Wo mere dil ki pehli aarzo bhi hai aur wahi iss dil ki aakhiri tamanna...uske bagair zindagi jeene ki toh kya main marne ki bhi nahi soch saktha
Maan: Zindagi ki patri par tanha chalte chalte mujhe iss baat ka ehsaas bhi nahi hua k kab mera haatho mein ek aise haseen humsafar ka haath aa gaya jisne meri zindagi k raastho mein ek phoolo ki chadar bheecha di jisse k mera daaman khushiyon aur pyar k shauhrat se jagmagane lag gaya
Maan: Mere mukadar ko ek hi pal mein usne badal diya...usne mujh jaise pathar ko ek khara sona bana diya
Maan:meri zindagi mein jo bhi kami thi ussne wo kami bade aasani se puri kar di
Maan: Uski khushi k liye main apna sabkuch lutha saktha hoon...bus raat din rab se yahi sajdha kartha hoon k meri zindagi...meri jeewan sangini ko humesha khush aur mehfoos rakhe
Maan: Main uske bagair ek pal bhi nahi reh saktha...wo sabse anmol khazana hai jo k rab ne mere liye tarasha hai...aur iss khazane ko main kabhi bhi kisi ki nazar nahi lagne dunga
Maan: Geet tum usse milna chahogi na
Geet: Hmm...
Maan: Thik ek minute baad tum lights on kar dena tumhe iss kamre mein meri dil ki dhadkan...meri saaso ki sargam...mera pyar aur mera ek lautha khwab...meri jeewan sangini nazar aayegi...
Geet: Hmm...
After one minute
Geet lights on kar dethi hai...she slowly opens her eyes
and then she is completly surprised
The whole room was full of mirrors
Geet couldn't believe her eyes
Tears of happiness started rolling down her cheeks
Geet: Iska matlab maan mere baare mein keh rahe the...smiles par wo kaha hai...
She then notices a door and goes inside
Once again she is totally surprised
The entire floor was full of rose petals...the room was beautifully decorated with candles...
But then there was something different in this room... the walls of the room were decorated with her photographs
Geet notices a letter and something else which appeared like a gift
Geet opens the letter
Letter: Geet...tumhi mera khwab ho geet...tumhi ho jiska maan singh khurana ki zindagi mein pehla aur aakhiri haqh hai...
yeh taufa mere taraf se ek chotha sa nazrana hai...main jaantha hoon k ye bahut hi maamuli cheez hai magar tum agar chaho tho iss taufe ko kabool karke iss mamuli cheez ki khoobsurathi mein char chaand laga sakthi ho
Main tumhara intezaar kar raha hoon...
tumhara aur sirf tumhara maan
Geet opens the gift
Geet: Ye...ye tho wahi saari hai...jisse maan ne lene se mana kar diya tha
A beautiful smile appears on her face

piya- thumbnail
Posted: 13 years ago
#3

Geet wears the saree

Jaise hi geet darwaza kholthi hai uspar phoolon ki barsaat hone lagti hain'

She closed her eyes to live that moment

Dheere se geet ne apna pehla kadam darwaze ke bahar rakha'as soon as she comes out her eyes meet a spectacular sight

The entire place was brightly decorated with lights.

The ceiling and windows were dressed with shimmering curtains and white drapers with heart shaped prints on it

Aromatic candles were making the decor very passionate

The floor was full of red and white coloured baloons

Roses were beautifully adorned with red and white coloured ribbons and each of the flowers carried a heart shaped card with it

Geet was searching for maan

Maan was secretly admiring her

Geet ka dyan achanak se ek taraf chala gaya

She went ahead to see what exactly the thing was

It seemed to b a painting

She carefully removed the cover and then'she couldn't believe her eyes

It was a hand made painting of hers'n it was painted by none other than maan

There was a letter attached to it

Geet removes the letter and starts reading it

Geet is reading the letter

"Simat raha hai aasman teri panahon mein

Baarish ki pehli boond chahthi hai tujhe choona

Titliyaan keh rahi hai tu hai chand mera

Chand bhi hai hairan dekhkar chand sa chehra tera"

I love u Geet

Tumhara aur sirf tumhara Maan

Her happiness knew no bounds. She looks at the moon

Maan comes and then' he starts singing

Chaand se Parda kijiyen'.

Chaand se Parda kijiyen'.

Kahi Chura na le Chehre ka noor

Eh mere humnawah'Eh mere Huzoor

Haa Chaand se Parda kijiyen'

Geet sharmakar chali jaati hai

She comes across a second letter which was kept in between the roses

She starts reading the letter

"Deedar kar raha hai har phool tera

Shabnam ki hai khwaish ki ban jaaye aaina tera

Tera aachal hai ya saath rango ka basera

Khoobsurathi hai tujh mein beshuma

Har pal har lamha ab hai intezaar tera"

I love u Geet

Tumhara aur sirf tumhara Maan

Maan comes and stands besides her and once again starts singing

Julfo se Udi Khooshboo Pyar ki'

Hontoon pe khilgai Kaliya Bahar ki

Hontoon pe khilgai Kaliya Bahar ki

Phool se Parda kijiyen

Phool se Parda kijiyen

Kahi Chura na le Chehre ka Noor.

Eh mere humnawah'Eh mere Huzoor

Haa Chand se Parda Kijiyen.

Maan looks at her lips lovingly'Geet once again feels shy and goes ahead. Her heart beat was increasing'.

She then notices a third letter from maan this was placed in between small diyas

She goes and picks it up and starts reading it

"Tum saadgi ka gehna ho ya Phoolo ki Taazgi

Diye ki jooth ho ya mathbari chaandni ki roshni

Husn k rango se likhi hui gazal ho ya

pyar ke dariyaan mein khiltha hua kamal

Tum khoobsurathi ka ek aisa gulshan ho jo k

Raat k ghehre andhere mein bhi ek jhilmilatha savera sajade"

I love u Geet

Tumhara aur sirf tumhara Maan

Tears of happiness start rolling down her cheeks

Just then maan comes and wipes her tears

Lagti ho kisi Shayar ka Khayal'

Aisi sadhgi to hai khud me Bemisaal

Aisi sadhgi to hai khud me Bemisaal

Khud se se parda kijiyen

Khud se se parda kijiyen

Kahi Chura na le Chehre ka Noor

Eh mere humnawah'Eh mere Huzoor

Haan' Chand se Parda kijiyen.

Geet sees another letter'she lovingly looks at maan and runs to get the letter.

Maan is simply bowled by her innocence and charm

She opens to read the fourth letter from maan

"Tumhari muskurahat hai ya koi oas mein dhula hua khiltha hua phool

Tumhari aakhen hai ya koi sitaro ki chadar jo pyar k moti bankar baras rahe hai

Tumhari chahat mein main kuch iss tarah madhosh hua k tumhare saaye ko bhi dekhkar uske paas jaakar usmein simat ne ka mann kartha hai

Ek sachhe dildaar kithi talash aaj wo hasrat puri hui

Tumhe paakar aisa laga jaise zindagi ki har adhuri tamanna puri hui"

I love u Geet

Tumhara aur sirf tumhara Maan

Geet starts smiling

Maan starts singing

Haas de aap agar Banjae Dastan
(geet goes and hugs maan)

Haas de aap agar Banjae Dastan

Palke jo Jukhi kahi Jukjae Aasmaan

Palke jo Jukhi kahi Jukjae Aasmaan

Rab se Parda kijiyen

Rab se Parda kijiyen

Kahi Chura na le Chehre ka Noor.
Eh mere humnawah'Eh mere Huzoor

Chaand se Parda kijiyen'.

Kahi Chura na le Chehre ka noor

Eh mere humnawah'Eh mere Huzoor

Eh mere humnawah'Eh mere Huzoor

Maan geet ko apne baho mein utakar ek jagah le jata hai
The place is fully decorated with flowers. Background mein romantic music chal raha hai
Maan geet ko apne ghodh par bithatha hai...
Geet is too shy she immediately hugs him
Maan: Geet kuch kahogi nahi
Geet is silent
Maan: Kya ab bhi mujhse naaraz ho
Geet: Naraz kis baat se?
Maan: Mujhe maaf kar do geet meri wajah se tumhare aakhon mein aasu aaye the...main tho mazak kar raha tha...mujhe nahi pata tha k mere mazak k wajah se tumhara dil tuth jaayega mera yakeen mano geet party ki raat hi main tumhe batanewala tha k meri zindagi mein tumhare alawa aur koi bhi nahi hai
Geet: Maan...main aapse pehle tho naara z nahi thi haan magar ab naaraz jaroor hoon
Maan: Tum naaraz ho?
Geet:( breaks the hug) Aur nahi tho kya...itne achhe romantic mood ko sorry bolkar aapne kharab kar diya...babaji mere maan ko thodi tho akal de dijiye thaki unhe samaj mein aa jaaye k romantic atmosphere mein romantic baate hi karni chahiye...saare mood ko kharab kar diya
Maan: Achha ji toh ye baat hai...waise geet tum mujhe baar baar aap kehkar kyun pukar rahi ho
Geet apni nazare jhukha lethi hai
Maan: Geet bolo na
Geet: Mujhe achha lagtha hai...aisa lagtha hai k main wakai mein maan ki geet hoon aur aap mere maan
Maan: O tho ye baat hai...sachmuch meri mishty wakai mein lakho mein ek hai
Geet: Mishty? Ye mishty kaun hai?
Maan: Hai koi dil ki behet hi kareeb (suppresses his laughter)
Geet hits maan on his chest
Geet: Maan sach sach batai warna main aapse kabhi bhi baat nahi karungi
Geet tries to get up
Maan pulls her
Maan: Misthy ka matlab hai Sweetheart...Tho batau kya mujhe ye batane ki zaroorat hai k meri mishty kaun hai
Geet starts blushing
Maan: Geet tum phir se chup ho gayi subah tho radio par bahut bol rahi thi ab jab main tumhare saamne baitha hoon tab tum kuch bhi nahi keh rahi ho...ye tho galat baat hai na
Geet: Ye sab aap hi ki wajah se hua hai
Maan: Ab maine kya kar diya
Geet: Aap hi ne sorry kehkar mere romantic mood ko kharab kiya hai...tho iska solution bhi aap hi ko dhundna hoga
Maan: Tho chalo solution ready hai
Geet gives a confusing look to maan
Maan geet ko ek baar phir apne bahu mein uthaletha hai
Maan: Geet ye tumhare liye
Geet opens the gift
Geet: maan ye tho jewellery ka set hai...then she stops in between
She carefully goes through the design of the jewellery
Geet: Maan inn gehno k designs tho bilkul waise hi hai jaise uss din humne shopping mein kharede the ...magar
Maan: Magar kya geet?
Geet: Maan humne tho uss din sab gold jewelleries kharedethe aur ye saare diamond k set hai
Maan comes close to geet
Maan: mere heere k saamne ye tho mehez ek pathar hai geet...mera bus chale tho main tumpar heero ki barsaat kar du...ye tho bahut hi mamuli sa taufa hai
Geet picks up the bangle
Maan: Nahi geet aaj main khud tumhe apne haatho se inn gehno mein sajaunga magar usse pehle kya iss kaiynaat ki sabse khoobsurat ladki k saath main dance kar saktha hoon
Geet gives a beautiful smile
Their dance begins
Link to the song: http://player.raag.fm/player/?browser=flash&pick[]=387699 (movie dum maaro dum)
Kisi ko sapna lage tu...Kisi ko behti hawa
Kisi ko bas baato mein kare pal mein yaha waha
Kisi k sau jhooth sun le, kisi ka sach bhi gunah
Kisi ke bus yaado mein kare hulchul Saara jaha
Te amo me te amo
Tu chau hai tu dhoop hai
Te amo me te amo
tere hazaro roop hai
Koi samjha nahi jo bhi hai bus khoob hai
Fallin so crazy in love
Te amo me te amo Tu chau hai tu dhoop hai
(MAAN TAKES THE NECKLACE N BAHUT HI PYAR SE GEET KO WO PEHNATHA HAI)
Te amo me te amo tere hazaro roop hai
Kabhi lage raatho mein main khwabho se baate karu
Subah unhi khwabo ko main kabu karu...
Kabhi lage taaro se bhi uchhi udhane bharu
Kabhi lage badalo se jhebhe baru...
Te amo me te amo Taare ginu tere liye
(Maan geet ko ear rings pehnatha hai)
Te amo me te amo saare chunu tere liye
Khwab saare bunu tere hi tere liye...
Fallin so crazy in love
kabhi lage mili nahi tumse mein khwabo mein bhi
Kabhi lage kahi tho hai rishta koi...
kabhi lage choou tumhe yuhi khayalo mein hi
kabhi lage nahi nahi chori nahi...
te amo me te amo
Tu paas hai par dur hai
(MAAN PUTS THE MAANG TIKKA )
Te amo me te amo
jaata nahi ye noor hai
Teri chori bhi ye manzoor manzoor hai
Fallin so crazy in love
Te amo me te amo
(MAAN GEET KO KANGAN AUR PAYAL BHI PEHNA DETHA HAI)
Jaata nahi ye noor hai...
Geet hugs maan...
Maan: Geet tum dekhna nahi chahogi ke tum inn gehno mein kaisi lag rahi ho?
Geet: Mera sabse anmol gehna tho aap hai...aap mere paas hai mujhe issse zyaada aur kya chahiye
Maan: Hmm...magar mere hothe hue meri geet apne sundar se chehre ko ek baar bhi naa dekhe aisa kaise ho saktha hai
Maan: Aaj main tumhe bataunga k tum inn gehno mein kaisi lag rahi ho
Maan kisses the forehead of geet
Maan: (referring to the maang tikka) Jaanti ho geet shaam tho bahut pehle hi dhal chuki hai magar tumhare maathe par ab bhi suraj ki laali chamak rahi hai
Maan then places a kiss near her ear lobe
Maan: (referring to her ear rings) Chand sitare falak se utarkar tumhare kaano ki baaliya bankar chamak rahi hai aur chaandni bhi tumhare chaand se mukhde ko pyar se chum rahi hai
Maan slowly starts kissing her hands
Maan: Tumhari choodiyon ki khankhanahat mujhe tumhare muskurate hue chehre ki yaad dilaega geet...ek aisa chehra jo k sirf aur sirf mere liye bana hai
Maan holds geet by her waist and brings her more close
Maan: Tumhare payal ki cham cham meri dil ki dhadkan hogi geet...jo hume har pal ek hi saas ki dor mein bhandhe rakhega...
Maan dheere se geet k chehre se uske baalo ko hata detha hai
Maan places a kiss on her eyes and looks at her lovingly
Geet starts blushing
Maan apne haatho se geet k chehre ko lift karta hai
Maan: Mujhse kabhi bhi nazare mat churana...main jee nahi paaunga
Geet looks lovingly at maan
Maan: (looks at her lips) Ijaazat hai?
Geet apne haatho ko maan k gale pe encircle kar dethi hai
She closes her eyes...
piya- thumbnail
Posted: 13 years ago
#4
Their lips are just inches away...
Maan: Ijaazat hai?
Geet closed her eyes and encircled her arms around maan's neck
Maan gently placed his lips on top of hers
This touch of his was sending a current throughout geet's body
She pulled him more close
Maan gently bit her lower lip and then placed a small peck on her lips
Geet too responded by kissing him back
The kiss slowly turned into a passionate one
This was not their first kiss...but yet it was special coz this time none of them had any confusion
They knew that they are made for each other...n no one is now capable to separate them
Geet slowly parted her lips and allowed Maan to enter
The passion and longing that both of them had for each other was clearly being reflected at this particular moment
Finally they ended their kiss
Maan looks lovingly at Geet
Geet is too shy to face Maan
Maan: Achha ji toh meri mishti ko sharmana bhi aata hai
Geet: Aap kehna kya chahte hai
Maan: Yahi k tum sharmaate hue bahut khoobsurat lagti ho
Geet lowers her gaze
Maan: Waise humari dil ki mallika ko unka surprise kaise laga (So did u like the surprise)
Geet: Ye mere life ka sabse achha surprise tha (This was the best surprise of my life)
Maan: O thank God...chalo mere paise barbaad nahi hue (O Thank God so my money did not go waste)
Geet: Kya matlab? (What do u mean?)
Maan: (smiles)Haan maine training li thina k ladkiyoon ko first official date par kaise impress kiya jaata hai...warna tumhara kya bharosa...kab ruth jao aur kab khush ho kuch pata hi nahi chaltha (Yes I had taken special training to arrange this date so that I can impress u...coz I wasn't sure about your reaction)
Geet: kya... makes an angry face and turns her back towards maan
Maan: Ruth gayi?
Geet: Mujhe toh laga tha k aapne ye sab khud kiya hai...magar nahi aap training lekar aaye the...pata nahi ye paitre aapne aur kin kin ladkiyoon k saamne aazmaye honge (I felt that u urself had done these arrangements for me..bt no you took training...u must have used these formulas on other girls as well right?)
Maan: haan aazmaaye toh hai...magar ek hi pagli par..(Yes I have used these formulas but only for one mad girl)
Geet: Aap ne mujhe pagli kaha jaayiye main aapse baat nahi karungi (U think I m mad go I won't talk to u)
Just then maan peche se geet ke gale mein kuch pehnaatha hai
It is a heart shaped locket...
Geet is once again surprised to see this
Geet turns to face Maan
Maan: Ye tumhe humesha ye yaad dilayega k tum kisi k life mein kitni special ho...(This will always remind u that u r so special for someone)
Geet: maan aap mere liye kitna kuch kar rahe ho aur maine aapke liye kuch bhi nahi kiya (Maan u r doing so much for me but I...)
Maan places his finger on her lips
Maan: chup bilkul chup...maine jo kuch bhi kiya wo sirf aur sirf apne swarth k liye liya...tumhari khushi se badkar mere liye iss duniya mein koi aur cheez maiyne nahi rakhthi (whatever i m doing is solely for my happiness...u r the happiness of my life geet)
Geet looks lovingly at Maan
Maan once again gets lost
Geet: Hai mere ek lauthe majnuji kya aapka aaj romantic baato se peth bharne ka iraada hai
Maan: Main kuch samjha nahi geet
Geet: ae lo...ismein naa samajne ki kya baat hai...mujhe bhook lagi hai..chaliye khana khathe hai (Maan I m hungry common let's have dinner)
Maan: Geet wo kya hai na tumhare liye surprise plan karte karte main dinner ka arrangement karna hi bhool gaya (Geet actually I was so busy in planning this surprise that I totally forgot to make dinner arrangements)
Geet: kya? Babaji ye main kya sun rahi hoon...itna kuch kiya par khane ka intezaam nahi kiya...isse koi date kehta hai...(What? U did so many things but u forgot about dinner...do u call this a date?)
Maan: (pretending to b angry) tho iska matlab hai tumhe date pasand nahi aaya toh thik hai chalo main tumhe ghar chod detha hoon (o that means u did not like the surprise ok then let's go back)
Geet: (thinking) main toh mazak kar rahi thi par lagtha hai maan sach mein naaraz ho gaye (I was trying to pull his leg but it seems maan is really angry)
Maan: Chalo...(Come let's leave)
Geet: maan mai toh...(Maan I was simply...)
Maan: nahi mujhe kuch nahi sunna chalo chalthe hai (no I don't want to hear anything)
Geet goes and sits in the car
Maan: (thinking) Asli surprise toh tumhe ab milega geet (I have planned something special for u geet)
Maan starts driving the car
Geet tries to talk to maan but maan does not listen to her
Maan stops the car in front of a beautiful bunglow
Geet: Maan aapne car kyun rokh di (Maan why did u stop here)
Maan: Geet maine car nahi rokhi balki wo khud rukh gayi hai
Geet: Ab kya kare...itni raat ho gayi hai hum ghar kaise jaayenge (Now what to do...how would we reach home)
Maan: Waha dekho uss ghar se madat lethe hai
Maneet come out of the car
Geet is thinking something she feels that she had seen this bunglow somewhere
Geet: maan darwaja tho khula hai (Maan the door is open)
Maan: Toh chalo andar jaakar dekhthe hai (ok let's go in)
Geet opens the door
Geet apna ek pair andar lethi hai. uska pair kisi cheez se takraa jaatha hai n that object falls down
Maan lights on kar detha hai
Geet is totally surprised
Geet: maan ye tho kisi k ghruh pravesh k liye rakha hua tha
Maan: jiske liye ye tha uska ghruh pravesh hua hai
Geet: Kya matlab?
Maan: geet k haatho ko pakadkar usse ghar ke andar le aata hai
Maan: Geet tumhe yaad hai thik ek saal pehle tum main aur yash isi jagah se guzar rahe the tab tumhari nazar iss ghar par padi thi aur tumhe ye bunglow kafi pasand aaya tha...tum isse ek dream house keh rahi thi(Geet do u remember one year back u me n yash were going through this route where we came across this house n u had mentioned that this is the perfect dream house for any girl)
Geet: Maan kya ye wohi bunglow hai (Maan u mean this is the same bunglow)
Maan: haan geet ye wahi bunglow hai...maine ussi waqt isse khareed liya tha (Yes geet this is the same bunglow I had purchased it long time back)
Maan: Geet aaj pure ek saal ho gaye hai...aur aaj hi hum dono ko apne jazbaatho ka ehsaas hua hai tho maine socha ke main tumhe tumhara dream house aaj hi gift kar du
Geet goes and hugs maan
Maan: Ab yuhi mujhse lipti rahogi toh mujhe kuch kuch hone lagega apna ghar nahi dekhogi
Geet feels shy and then nods her head in approval
She gives a beautiful smile to maan and then starts exploring the house
Geet ki nazar ek jagah jaakar rukh jaathi hai.
Wo koi statue jaisi cheez nazar aa rahi thi...
Geet jaakar uss cheez se cover remove kar dethi hai...n then
once again she is surprised...the thing was actually a wax statue of Geet an that too in a bridal outfit
Geet ki aakhon mein khushi ke aasu jhilmilane lagthe hai

Maan comes and stands besides her

Geet: Maan'ye sab aapne

Maan places his finger on her lips

Maan: Kuch mat kaho geet'kuch mat kaho

He removes his finger and places his hand on her shoulders

Maan: Jaanti ho geet ye saari cheeze jo maine aaj tumhare liye kiye hai wo unn saari khushyion se kaafi kum hai jo ke tumne mujhe diye hai

Geet: Nahi Maan aisa nahi hai'

Maan: Aisa hi hai geet jaanti ho jab maine ye ghar khareda tab ye sirf ek char deewarowala makan tha'phir maine socha ke agar isse sahi maayine mein meri mishty ka dream house banana hai toh phir mujhe iss makan mein har uss cheez ko laana hoga jo ke tumhari roshni iss ghar mein bekher sakhe

Geet looks lovingly at Maan

Maan: Shuruwat maine iss statue se ki'

Maan: Maine iss statue mein tumhari har wo kashish har wo ada sametna chaha jiski tum ek lauti maalikin ho' uss rab ne bus duniya mein ek hi anmol heera khud apne haatho se tarasha hai aur wo meri mishty hai'

Maan: Magar main iss koshish main nakamiyaab ho gaya aur aaj jab tum iss statue ke saamne khadi ho tab maine jaana k ye statue tumhari parchayi ka bhi mukabla nahi kar sakthi

Geet had tears in her eyes

Maan dheere se unhe poch detha hai

Maan geet ka haath thamkar usse ghar ke dusare hisse mein le jaata hai

He opens the door of a room

The room was full of Geet's favourite things

Maan had given a special touch to this room which made geet feel that she always belonged here

Maan: Geet iss room mein tumhe tumhari har wo pasanditha cheez milegi jo k tumhare zindagi se judaa hua hai

Geet: Maan ye curtains'

Maan: Tumhe iss pattern k curtains behet pasand hai na' toh maine thik waise hi curtains iss room mein lagadiye...inhe jab kabhi bhi dekhta tha mujhe tumhare gehre palko ki yaad aa jaati thi jiska saaya inn pardo se bhi lakh guna dilkash aur gehra hai

Maan pardo ko hatatha hai

Geet is astonished to see the magical sight that greeted her eyes

There was a garden full of her favourite flowers mainly red roses

Geet: Maan ye aapne kabse'

Maan: Ye plants maine uss din se lagane shuru kiye jis dinse mere dil par dheere dheere tumne apni mauhar lagani shuru ki

Geet: Maan itne khoobsurat phool maine aaj tak nahi dekhe'

Maan: Main ye baat kabhi nahi maan saktha' haan ye sach hai k ye phool wakai mein khoobsurat hai magar duniya ke kisi bhi bageeche mein tumare jaisa gulab nahi hai geet ye main dave se keh saktha hoon

Maan: Wo chand dekhrahi ho geet' jab kabhi bhi tum iss kamre se usse dekha karogi tab bhale hi wo badalo se dhira pada hoga tab bhi wo kisi na kisi tarah se uss gheere ko paar karta hua tumhare chehre ko salami dene ke liye bahar zaroor aayega

Maan: Meri Mishty ka jaduu hai hi aisa'

Maan takes her inside'

Geet: maan ye toh mera favourite teddy hai...

She goes and hugs the teddy

Maan: kaash meri bhi kismat iss teddy ki tarah hoti'

Geet feels shy

Geet: Maan iss cupboard mein kya hai?

Maan: Nahi geet usme kuch khaas nahi hai'chalo chalte hai

Geet: nahi mujhe dekhna hai aur main ye dekhkar hi rahungi

Maan: Geet sunona'

Geet: Maan'aap wahi kahde rahiye

Geet opens the cupboard

The cupboard was full of letters and gifts

Geet: Maan ye kya hai'

Maan does not reply

Geet removes a letter and realizes that it was actually a love letter addressed to her

Geet: Maan ye saare khat aapne like aur ye saare gifts'

Maan: Haan geet ye saare letters aur gift maine tumhare liye hi liye the'par har baar tumhe dene ki himmat main juta nahi paata tha issliye inn sabko tumhari yaad samajkar apne paas hi rakh liya socha tha k agar tum meri zindagi mein nahi rehti toh phir bhi inn cheezo ko tumhari yaad samajkar humesha apne seene se lagakar apni zindagi guzaar detha

Geet comes and hugs Maan

Geet: Maan aap mujhse itna pyar karte ho'mujhe toh apni kismat par yakeen hi nahi ho raha

They break the hug

Maan: kismat toh mujhpar meherbaan hui hai geet'jaanti ho maine poori koshish ki k iss makaan ko ek ghar bana sakoon magar aaj jab tumhare kadam pehli baar iss ghar mein pade hai tab ye makaan ek jannat ban gaya geet'

Maan: Kaash main apna dil cheerkar tumhe bata pata k tum mere liye kya mayine rakthi ho'main jaanta hoon k maine tumhe koi TajMahal banakar nahi diya' magar iss ghar ki har cheez mein tumhe mera pyar nazar aayega

Maan: Main jaanta hoon k Ye date itni special nahi thi'

But before Maan could complete his sentence Geet silenced him by placing her lips on his

She kissed him with all her love and slowly bit his lips as to convey to him that she had full authority on him and so does he

Maan too responded

She parted her lips to allow him to gain access

It turned to b a passionate one

Finally they ended their kiss

Geet: Dubara aisa mat kahiyega k aapne iss date mein mujhe koi khushi nahi di'iss date k maayine mere liye kya hai ye main shayad hi kabhi aapko samjha paau'

Maan: Agar mere baar baar kehne se mujhe itni achhi gift milti hai toh bhai ye baat toh main baar baar kahunga

Geet: Maan aap bade badmaash ho gaye ho

Maan: Agar tumhe sachhe dil se chahana badmaashi hai toh mujhe ye naam bhi manzoor hai

Geet: Maan mujhe bhook lag rahi hai'

Maan: Par mujhe toh mera sweet dish mil gaya

Geet: Phir se badmaashi jaayiye main aapse baat nahi karungi

Maan: Geet main toh tumhara gulam hoon'chalo chalkar khana khate hai'

Geet: Nahi'mujhe chat par khana khana hai'pehle aap jaakar waha saare arrangements kar dijiye phir main aayoungi

Maan: Geet ye kaisi zidd hai

Geet: Aww'aapne mujhe ziddi kaha..thik hai agar aap isse zidd samajthe hai toh zidd hi sahi'main khana khaungi toh chatpar hi warna nahi

Maan: Jo hokum mallika-e-azam ye banda aapki har khwahish puri karega

Geet: Thik hai toh aap jaakar mere liye ek romantic dinner ka arrangement kijiye tab tak main mere ek lauthe majnu ke love letters padthi hoon

Maan: As u wish geet'

Maan leaves

Geet starts removing the letters'just then
Geet: Ye kya hai' ye toh maan ki diary hai'kya ho saktha hai issmein?

Geet opens the diary. Geet starts reading

"GEET'kitna anokha naam hai ye

Iss naam ke peeche jo chehra hai wo bhi kisi ajoobe se kum nahi hai

Haan'ajooba aur kya naam du main usse'

Pehli baar jab hum dono mile the tab mein aur aaj mein humare rishte ne kitna bada faasla tai kar liya hai

Pehli mulakat mein wo mujhe ek number ki batameez aur batdimaag ladki lagi'zabaan par jaise koi control hi na ho'

Bus bole ja rahi hai'saamnewal sunthe sunthe thak jaaye par wo bolthe bolthe nahi thakthi'Iss liye maine usse Miss Mumbai Express kehna shuru kar diya

Wo bhi kuch kum nahi thi jis Maan Singh khurana se baat karne k liye ladkiyaan line mein khadi ho jaati hai ussi se bina koi darr bina koi hiskichahat nazaro se nazare milaye bejizak dil mein jo kuch bhi aaya ussne usse suna diya

Dhust Danav'ha ha' ye kehkar pukaara tha usne mujhe'

Wo pehla aisa mauka tha jab k main kisi ladki se ulajraha tha'yoon tho main itna boltha nahi magar ladai mein hi sahi uss din maine pehli baar kissi ladki k saath itna waqt guzaara

Hum dono ne kasam kha li k ek dusare ki shakal kabhi bhi dubaara nahi dekhenge

Magar ek anjaan si dor humhe kisi na kisi bahane se jodthi gayi aur hum milthe gaye'

Yash hum dono ka common friend nikla aur ussine humari nafrat ko ek rishte ka naam de diya aur woh hai dosti

Iss naye rishte ki badaulat hum ek dusare ko kareebi se jaan paaye

Maine jaana ke jis ladki ko main batdimaag aur batameez samaj raha tha wo darasal ek masoom sa sapna hai'

Jo k aaj bhi yahi samajthi hai k duniya mein har mod par khushiyoon ki kali bhikari hui hai

Wo humesha mujhse kaha karti hai k Khushiyaan chothe chothe cheezo se hi milthi hai'badi khushi ki talash mein batakne ke bajaaye agar hum inn chothi khushiyoon ko tarashe tho hum zindagi ka sahi luft uttha paayenge

Itna maasoom toh koi dua bhi nahi ho saktha

Pehle uski har baat mujhe kisi atom bomb ke putane ki tarah lagthi thi magar jabse maine usse asal mein jaana tab ye mehsoos hua k uski har baat kitni gehri hai'

Najaane kab mere dil ka uske dil se ek rishta jud gaya

Iss rishte ko main chahkar bhi koi naam nahi de paaya'shayad ismein bhi mera hi swarth tha'

Haan yahi sach hai' main usse chahne laga hoon magar main ye jaanta k wo bhi mere liye yahi mehsoos karthi hai ya nahi

Main use har haal mein khush dekhna chahatha tha' uski muskurahat mere liye iss duniya ki sabse keemti darhohar hai

Har din main uske liye ek taufa khareedtha tha par kabhi bhi main usse wo de nahi paaya'usse khone ka darr humesha se hi mujhpar haawi hotha raha

Geet ki taareef tho aksar logh kiya karte hai par jitni khoobsurat uski shakal hai usse bhi lakh guna paak uski ruh hai

Itna paak jo k kisi ka bhi dard samet sake' kisi ki bhi khushi dugni kar sake'

Yash k kehne par maine badi himmat karke apne dil k jazbaat uss cassette mein record kar liya'

Main geet ko wo cassette dene hi wala tha k mujhe pata chala k geet kisi aur ko chahthi hai

Sach kahu toh uss waqt mujhe aisa mehsoos hua k kisi ne meri dil par kisi naukili hatiyaar se waar kiya ho'

Par agle hi pal mujhe ye ehsaas hua k geet ki khushi se badkar mere liye toh kuch ho hi nahi saktha

Waise bhi pyar humesha paane ka naam nahi hotha '

Uss din iss situation mein bhi najaane kyun mujhe geet ki aakhon mein apne liye ek alag jazbaat ki pehchaan hui

Aisa laga jaise k inn aakhon mein humesha se hi mera hi naam likha hua hai

Uss din se geet k bartaaw mein kuch nayapan nazar aaya'ek nayi sharaarat ek anokhi mohabaat

Baarish ke mausam ko pyar ka mausam kehthe hai'meri zindagi ki sabse haseen shaam thi wo

Kudrat ne mujhe mere saare sawalo k jawab de diye the'geet ne lakh chupane ki koshish ki magar uski dil ki baat uski aakhon ne mujhe bata di'

Haan main jaan gaya k who bhi mujhe chahthi hai'

Maine bhi usse thoda pareshan karna chaha magar shayad'wo mazak thoda zyaada ho gaya

Jin aakhon mein main nami bardash nahi kar saktha tha aaj unhi aakon mein meri wajah se aasu the'

Geet ko ye laga k meri zindagi mein koi aur hai'

Ek pal tho ye laga k main apne aap ko kis tarah ki saza du'par tab khayal aaya k mujhe saza dene ka haq bhi sirf aur sirf geet ko hi hai

Maine party wale raat geet ko phone par sab batane ki koshish ki magar dubara geet ki bato mein ek alag si taakat mujhe nazar aayi

Main kuch samaj hi nahi paaya magar apne aap ko rokh bhi nahi paaya

Agle din office k bajaye main radio station ki aur bada

Magar iss baar meri Geet ne mujhe dubara chauka diya'isse pehle k main usse kuch keh paata Geet ne radio par saare duniya k saamne apne jazbaato ka khulasa kar diya

Uss waqt main radio station k bahar hi khada tha

Ji mein toh aaya k ussi waqt jaakar apni Geet ko apne seene se laga du par nahi main usse uski life ka sabse khoobsurat shaam gift karna chahtha tha'

Main jaanta hoon' k meri har koshish meri geet k saamne chothi hai..

Aaj se main apni zindagi apni mishty apni geet k naam karta hoon'Rab se yahi dua hai k agar maut bhi aaye toh mujhe meri geet ki baho mein hi aaye'

Main apni mishty ko har haal mein khush rakhunga' apne aakhiri saas tak mera dil bus ek hi naam ko sunkar dhadka karega aur wo hai meri GEET'kudrat ka ek aisa ajooba jo k sirf mere liye bana hai'"

Geet closed the diary
She started heading towards the terrace
Maan was busy arranging the dinner
He took small diyas and arranged them beautifully
He wrote I Love U with the diya arrangement
He was about to light the diyas when he noticed Geet
Maan: Geet tum itne jaldi yaha kyun aa gayi mere arrangements abhi tak pure nahi hue...
Geet did not reply
Maan: Geet main tumhare liye surprise plan kar raha hoon aur tum uske pehle hi yaha aa gayi aur tum kuch bol bhi nahi rahi ho
She continued walking
Her eyes reflected happiness there was a smile on her face
Maan did not fail to notice that there was a change in Geet
Geet Maan k saamne aakar khadi ho gayi
Maan was about to say something when
Geet stopped him by placing her hand on his mouth
This behaviour of Geet was something new to Maan
Geet removed her hand and
link of the song:
Na Kuch Poocha Na kuch Maanga
Geet looks lovingly at Maan
Tune Dil se diya jo diya...
She gently caresses his face
Na kuch bola Na kuch tola
(Geet maan ke aur nazdeek jaane lagti hai)
Muskurake diya jo diya...
(She kisses him on his cheek)
Tu hi dhoop tu hi chaya...
(Maan was trying to read her eyes)
Tu hi apna paraya...
(Her eyes only reflected pure love for Maan)
Aur kuch na janu..bus itna hi janu...
(Tears started rolling down her cheeks Maan immediately wiped them )
Tujh mein rab diktha hai...yaara main kya karu...
(Geet took his hand and kissed it)
Tujh mein rab dikhta hai yaara main kya karu...
Sajde sar jhuktha hai yaara main kya karu...
(She bends and touches Maan's feet...Maan immediately lifts her up)
Tujh mein rab dikhta hai yara main kya karu...Rab ne bana di jodi...hai...
(She hugs maan with full love and starts crying)
Maan was becoming restless
He was questioning himself as to what was the reason that was making Geet cry
Maan: Geet...Geet ...kya hua tum ro kyun rahi ho?
Geet did not reply
Maan: Geet kisi ne tumse kuch kaha...tumhe meri kisi baat ka bura laga...bataona Geet tumhari khamoshi aur tumhare ye aasu mere dil mein teer ki tarah chub rahe hai
Maan: Agar mujhse anjaane mein koi bhool ya khatha ho gayi ho tho mujhe saza do magar yun khamosh mat raho...main tumhari aakhon mein aasu nahi dekh saktha
Geet:(hugs him more tightly) Aaj mujhe rone dijiye Maan...aaj mujhe aapke pyar ke dariya mein dub jaane dijiye
Maan: Tum kehna kya chahti ho Geet
Geet: Maan aapne mujhe aaj jo khushi di hai wo main apne daaman mein samet nahi paa rahi hoon...isi wajah se ye aapke pyar ke moti bankar iss waqt mere aakhon se khushi k aasu bankar beh rahe hai
Maan: Geet aasu chahe khushi k ho ya dukh k tumhari aakhon mein main inhe ek pal k liye bhi bardash nahi kar saktha...
Maan: Tumhari aakhon mein main bus khushi, shararat aur apni ek tasveer ya chavi dekhna chahta hoon
Geet: Maan aapki tasveer sirf meri aakhon mein nahi balki mere dil mein basi hui hai aur ye marte dum tak mere dil mein chapi rahegi
Maan: Marne ki baate mat karo geet...Jaanti ho pehle ye Maan Singh Khurana kisi bhi cheez se nahi darta tha maut se bhi nahi magar ab...
Geet: Magar ab...
Maan: Magar ab mujhe maut se darr lagne laga hai kyunki main jeena chahta hoon...tumhare liye apni mishty ke liye...
Maan: Main tumhari zindagi ko ek phoolo ka gulistan banana chahta hoon jaha par kaato ke liye koi jagah na ho
Maan: main tumhari zindagi tumhare saath jeena chahta hoon Geet...har pal tumhare chehre par ek nayi ruhani muskurahat dekhna chahta hoon...tumhare palko se girnewale har aasu ko apne haatho se pochna chahtha hoon...zindagi k har mod par tumhara saathi bankar tumhe zindagi ki har wo khushi dena chahtha hoon jiski tum ek lauti hakdaar ho
Geet: Magar Maan meri ye zindagi ab aaphiki amanat hai...
Maan: Aur meri iss amanat ko main apne aakhiri saas tak samalkar rakhunga
Geet: Sach kahu Maan aaj agar mujhe maut bhi aa gayi na toh main apne aapko khushkismat samjhungi ke mujhe aapki baaho mein maut mili hai
Maan: Mere rehte hue maut ko bhi tumhare paas aane ki ijaazat nahi hai geet...tumhe nuksaan pauchanewale har hawa har ghata ko main mod dunga...mere rehte hue tumpar koi aach nahi aayegi geet ye mera vaada hai
Geet: main bhi aapse aaj ek vaada karti hoon k chahe haalat kuch bhi ho Geet humesha aapki parchayi bankar aapke saath rahegi...aaj se aapki khushi se badkar mere liye aur kuch nahi
Maan: Aur meri khushi meri mishty ki muskurahat mein hai...issliye aaj k baad main iss maasoom se chehre par koi bhi pareshani aur inn pyari si aakhon mein kabhi bhi nami nahi dekhna chahunga...mujhse vaada karo geet tum humesha muskurate rahogi
Geet: Jis Geet ki zindagi mein Maan jaisa saawan ho jo k har lamha har pal uske zindagi ko apne pyar ki jyoth se jagmagaye raktha ho wo bhala dukhi kaise ho sakthi hai
They break the hug and Maan wipes her tears and kisses her eyes
Maan: Ab se iss pyare se chehre par humesha khushiyoon ki chandni bekhri padi hogi ye mera vaada hai
Geet looks at the Diyas that maan had arranged
She takes a Candle and
Geet: Chaliye Maan hum milkar apne iss pyar k diya ko ujagar karte hai
Maan and Geet together light the Diyas...
Maan: Ye diya humare uss pyar ka pratek hai jo humhare dil mein humesha jagmagatha rahega
Geet: Ye humesha humhe iss baat ka ehsaas dilayega ke hum dono ek behet hi khoobsurat rishte ki dor mein bandhe hue hai
Maan: Chahe zindagi mein lakh toofan aur aandhiyaan aaye hum humhare pyar ko kamzoor nahi hone denge humesha ek dusare ki taakat aur parchayi bankar ek dusare ka haath thamkar chalenge
Geet: Haan humara rishta bhi iss diye aur baati ki tarah hoga...atuth aur behet hi mazboot
Maan: Aaj se mere har ek saas par tumhara naam hoga
Geet: Mere haatho ki har ek lakeer mein bus aaphi ka naam saja hoga
Maan: Mere wajood ka sabse ahem hissa tum ho Geet
Geet: Meri zindagani aur meri saari kaahani aap hi ho Maan
Maan: Tum sirf meri ho Geet...maan ki geet sirf maan ki
Geet: Aur aap bhi sirf mere ho maan...Geet k Maan
They hug each other
Maan: I love U Geet...
Geet: I love U Maan...
They remain in this position for quite a while
Finally they decide to have their dinner
Geet sits on Maan's lap and both of them feed each other
The night was also moving very slowly
Maan n Geet were living each and every moment of their new found happiness
They wanted to engrave each passing moment in their hearts permanently
Today was the begining of their new life...
Ek aisi zindagi jo k unhe Maan aur Geet se Maneet bana degi
THIS WAS HOW MANEET CONFESSED
Geet invites maan for lunch and meera decides to take the help of maan n geet.

PRECAP: Aata romance😳😳😳

PRECAP: Geet: "Maan ussdin maine jo aapke liye banaya tha wo pakode nahi balki gulab jamun the"😆😆😆

PRECAP: Maan: "Geet ye ladki aur koi nahi balki'.."

piya- thumbnail
Posted: 13 years ago
#5

INDEX

Thread 1
THREAD 2:
THREAD 3
Part 36: https://www.india-forums.com/forum_posts.asp?TID=1762105&TPN=24
Link to thread 4
Edited by piya- - 13 years ago
meravigiliso thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#6
congrats for the new thread and waiting for atta romance .
abinash079 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 6
Posted: 13 years ago
#7
congrats for the new thread and do update soon
plz update mera humsafar also
Sri_Radha thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#8
for new thread...👏



Waiting for atta romance...
Update soon...😊
meena.. thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#9
congrats for the new thread
update mera humsafar also
nisha_hc_bs_dd thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#10
congrats for the new thread!!!

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: jasminerahul

5 months ago

Tere Ho Gaye Hain Hum(I have become Yours)Sameer Nandini ZaBir SS

Parth,Adnan and Ketaki version I dedicate this to my friend Sydell who wants the Parth,Adnan,Ketaki version of the movie Hum dil de chuke sanam...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

6 months ago

SuVeer/RUhaani TS ~ Happily Ever After (Chapter 4 upd) SuVeer/RUhaani TS ~ Happily Ever After (Chapter 4 upd)

[NOCOPY] Cover credits to ExoticDisaster C H A P T E R 1 After the completion of the final year exams, Mamta insisted Ranveer to come home from...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: jasminerahul

5 months ago

Tere Ho Gaye Hain Hum Purab Sakshi ZaBir SS(Closed)

(Parth,Adnan and Ketaki version) Tere Ho Gaye Hain Hum.... I have become Yours..Part 1 I dedicate this to my friend Sydell who wants the...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Koeli

5 years ago

Comment Migration Request Thread #1

Hey guys, This is the place where you can request for comment migration. Please know that FFEs are going to migrate your comments. Rules - You...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".