PART 35
Geet is busy in the kitchen
Geet: Samaj mein nahi aa raha k shuruwat kaha se karu...
Geet: Haan iss recipe book ko dekhkar khana banathi hoon...
Geet khana banane ki shuruwat karnehiwali thi k tabhi darwaje ki ghanti bajne lagti hai
Geet: Ab kaun aa gaya haan shayad Lucky CD lekar aaya hoga
Geet opens the door
She was surprised to see Maan
Geet: Maan aap?
Maan: Haan main...kyun tum kisi aur ka intezaar kar rahi thi
Geet (thinking) Yahi waqt hai maan ko chedne ka...
Maan: Bolo na Geet
Geet: Haan... main kisi aur ka intezaar kar rahi thi
Maan: Kya? Kiska?
Geet: Hai koi special...
Maan: Special...achha toh mere alawa bhi koi special hai tumhare life mein toh thik hai tum baitkar uska intezaar karo main chaltha hoon
Geet: Maan suniye toh ap toh naaraz ho gaye main toh mazak kar rahi thi...aapse zyaada important na hi mere liye koi tha aur na hi koi ho saktha hai
Maan: main bhi mazak kar raha tha Mishty
Geet: Jaayiye main aapse baat nahi karungi jab bhi dekho aap mujhe chedthe rehthe ho...aur mujhe kabhi aapko chedne ka mauka bhi nahi dethe
Maan: Agar mujhe chedkar tumhe khushi hothi hai toh main zindagi bhar tumhare mazak mein shamil hone k liye taiyaar hoon... tum bus mujhse rootha mat karo...
Geet: Achhaji ab aapne mujhse ye haq bhi cheen liya...ab main aapse ruth bhi nahi sakthi
Maan: Geet main tumse ye haq kaise cheen saktha hoon...tum tho meri zindagi ka wo sach ho jiske bagair mera koi wajood nahi hai...tumhari khushi se badkar mere liye aur kuch nahi hai
Geet: Maan ab aap mujhe apni meethi meethi batho se behlane ki koshish mat kijiye pehle ye batayiye k aap iss waqt yaha kya kar rahe ho aaj office nahi gaye
Maan Geet k nazdeek aakar usse apne baho mein letha hai
Maan: Kaam tho main roj karta hoon Geet aaj socha kyun na kuch der apni Misthy ki gulaami bhi kar lu
Geet: Baato se na aapse koi bhi jeet nahi saktha... Chado aap ki baato k chakkar mein mera kaam reh jaayega
Maan: Kaam kaisa kaam geet?
Geet: Main aapke liye khana bana rahi hoon na bhool gaye aap?
Maan: Geet khana tum bana rahi ho?
Geet: haan bataya tho tha maine aapko
Maan: Tumne tho mujhe khane k liye invite kiya tha na ...mujhe laga k shayad aunty wapas aa gayi hongi...wo kya hai na Geet tum kabhi khana banathi nahi ho na
Geet: Maan mumma aaj shaam ko aayengi...
Maan :Toh thik hai Geet main bhi shaamko aata hoon...hum dinner ek saath karenge
Geet: Maan iska matlab aap mere haath ka bana hua khana nahi khayenge (makes a baby face)
Maan(thinking) Babaji main ye kaha phas gaya...agar mana kar diya toh geet ka dil tuth jaayega aur agar geet ka khana kha liya toh pata nahi mera kya hoga?
Geet: Maan aapne jawab nahi diya?
Maan: Nahi Geet aisi baat nahi hai...wo tum mere liye itni pareshani kyun uta rahi ho... waise bhi tumne aaj tak khana banaya nahi hai na ..toh meri wajah se tum apne pyare haatho ko kyun takleef de rahi ho?
Geet: Ye lo issmein takleef ki kaunsi baat hai...aur waise bhi aap bhool gaye maine pehle bhi ek baar aapke aur yash k liye ek special dish banayi thi
Maan: Haan...wohi dish na jisse khane se pehle Yash ko achanak se ye yaad aa gaya k uss din uska upwas tha
Geet: Haan wahi
Maan: (thinking) Gadha khahika khud uss din bach nikla aur mujhe wo jala hua khana khana pada...
Geet:maan kya soch rahe ho aap...uss din aapne kitne pyar se wo dish puri khatam kar di thi
Maan: Karta bhi kya Geet...
Geet: Kya?
Maan: mera matlab hai tumne pakode itne achhe banaye the k main kya koi aur bhi hotha tho wo aisa hi karta
Geet: Maan maine jo uss din banaye the wo pakode nahi balki Gulab jamun the
Maan: (thinking)Pehli baar zindagi mein namkeen aur meethe mein farak pata nahi chala...pata chaltha bhi kaise wo tho pura jala hua dish tha
Maan:
Achha...Geet waise aaj toh tumhara gulab jaamun banane ka mood nahi hai na
Geet: Nahi
Maan: Thank God bach gaya
Geet: Ye aap man hi man kya bunbuna rahe ho?
Maan: Kuch bhi toh nahi...waise tum aaj kya bana rahi ho?
Geet: Parathe...
Maan: (thinking) Achha toh aaj mujhe Geet k iss experiment ka volunteer banna hoga...najaane pyar mein kya kya karna padtha hai
Geet: Aap har paach minute k baad kaha kho jaate hai?
Maan: Geet main soch raha tha k main bhi tumhari madat kar du
Geet: Hmm... khayal bura nahi hai par main khud manage kar lungi...chalo ab baate bahut ho gayi ab kaam shuru karti hoon
Geet goes to the kitchen
Maan follows her
Geet: Hmm...kaha se shuruwat karu...haan pehle aata lethi hoon Maan was admiring Geet
Geet: Haan ab paani daalthi hoon
Geet: Hayyo Rabba Paani toh zyaada ho gaya...
Maan dheere se Geet k paas aatha hai
Wo apne chehre ko Geet k chehre k paas le jaata hai
Geet: Maan aap ye kya kar rahe ho?
Maan: main toh tumhe khana banane mein madat karne aaya hoon Geet...kyun tumhe kya laga...bolo na agar tum ye chahthi ho k main kuch aur bhi karu toh mujhe manzoor hai...bolke toh dekho Geet
Geet: Aap na bahut shararathi ho gaye ho...chodiye na
Maan: Kya tum wakai mein chahthi ko k main tumhe chod du...kya tumhe mera nazdeek aan pasand nahi
Geet: Maine aisa kab kaha...
She then realizes her mistake
Geet: Babaji ye maine kya keh diya...
Maan: Geet paani zyaada ho gaya hai na toh ismein thoda aata aur daal dho
Geet: Haan...
Geet apne haatho se aate aur paani ko mix karna shuru kar dethi hai
Maan bhi apna haath Geet k hatho pe rakh detha hai
He starts playing with her fingers
It was becoming more and more difficult for Geet to control herself
Maan Geet k shoulder ko kiss karta hai
He slowly moves towards her neck
Geet: Maan...
Maan Geet k gaalo ko kiss karta hai
Maan dheere se Geet ko apni taraf turn karta hai
Geet ne apni nazre jhukha li hai
Maan dheere se uske chehre ko uthatha hai
Maneet eyelock (mahi...mahi)
Maan Geet k kareeb jaane lagta hai
Geet apne haatho mein thoda aata lethi hai aur maan ke chehre pe laga dethi hai and runs away from there
Maan: Geet...ye ye kya kiya tumne
Geet: Badi shararathe sujh rahi thi na aapko ab maza aayega
Maan: Tum tho ab mere haath se nahi bachogi
Geet starts running
Maan bhi uske peeche bhag raha hai
Maan Geet ko pakad letha hai but then both of them lose their balance
Dono bed par gir jaate hai
Maan was on top of Geet
Geet starts blushing
Maan: (looking at her lips)Tumne jo kiya hai uski saza tho tumhe zaroor milegi Geet
Geet: Aapki di hui har saza mujhe manzoor hai maan...
Maan: Chalo ab tum saza paane k liye itni besabar ho hi toh main mana kaise kar saktha hoon
He starts approacing her lips
Maahi...Maahi...😳😳😳😳😳
PRECAP: Maan: "Geet ye ladki Meera hai"
pls press the like button n do comment
love-Piya
Edited by piya- - 13 years ago
61