Thank you for your love and support. Here is the next part hope u will enjoy reading
love-Piya
PART 34
Maan: Geet ghar chale
Geet nods her head in approval Maan drops Geet at her residence
Maan looks lovingly at Geet
Geet hugs Maan
Geet: Maan aapse dur jaane ka mann nahi kar raha

Maan: Mann tho mera bhi nahi kar raha Geet magar nazdikiyoon ke liye thodi bahut duri toh hume sehni hi padegi haina'
Geet: Nahi maan ab koi duri nahi hogi humare beech aap jaldi se mujhe apne ghar le jaayiye apni ardhangini banakar
Maan: ye bhi koi kehne ki baat hai aisa zaroor hoga magar usse pehle main apni geet ko kuch banthe hue dekhna chahtha hoon' meri geet pehle apni padai puri karegi'main nahi chahta ke mera pyar tumhare liye koi rukawat bane balki main ye chahtha hoon k mera pyar tumhari takat banne jiske sahare meri mishty apni saari khwahish aur tammana puri kare
Geet: Aaj apni kismat par yakeen nahi ho raha'najane maine aise kaunse ache karm kiye the k aap mujhe mil gaye'
Maan: Geet waise Savitri aunty kab wapas aa rahi hai?
Geet: Ma kal aa jayengi
Maan: Chalo achha hai 'waise bhi main soch raha tha k pinky ko request karke kuch dino tak tumhare saath rehne k liye keh du'tumhe akele rehtha dekh mera dil ghabra raha tha
Geet: iski koi zarurat nahi hai maan aur waise bhi aapke rehthe hue main akeli kaise ho sakthi hoon'mujhe jab kabhi bhi aapki zarurat hogi main aapko fauran phone kar dungi
Maan: Aur ye bannda aapki khidmat mein humesha haazir hoga
Geet: hmm'..
Maan: Geet ab raat bahut ho chuki hai tumhe aaram karlena chahiye
Geet: Good night Maan
Maan: Good night Mishty
Geet enters the house
Maan bhi chala jaata hai
Meanwhile,
Yash's house
Yash: Maan aur Geet kitne lucky hai'dono ek dusare se kitna pyar karte hai ek dusare ka kitna khayal rakthe hai'kitni sachhai hai unke rishte mein warna duniya mein aise bhi logh hai jo k dusaro k jazbaatho ka mazak udane mein bhi hishkichathe nahi'
Yash: Bahut kismatwale hothe hai wo logh jinki kismat mein sachhi mohabbat hoti hai
Same time
Meera's house
Meera: Mujhe Maan aur Geet ki help leni hogi kyunki wahi hai jo k mujhe yash ki misunderstanding solve karne mein madat kar sakthe hai'warna yash tho meri koi baat sunne k liye ready hi nahi hai'haan mujhe maan aur geet se baat karni hogi
Next Day
Geet wakes up from her sleep
She was recollecting all the sweet memories of her date which Maan had made so special
Geet(self talk): Maan ne mere liye itna kuch kiya aur maine kuch bhi nahi mujhe bhi toh kuch karna chahiye na'hmm'.kya karu
Geet: haan kehthe hai dil tak pauchne ka rasta peth se hothe gujartha hai'haan main maan k liye kuch special banathi hoon
Geet: Ek kaam karti hoon unhe lunch k liye invite karti hoon'haan ye thik rahega
Geet Maan ko phone karti hai
Maan: Good morning Mishty
Geet: Good morning Maan
Maan: Aaj subah subah apne iss gulam ki yaad kaise aayi
Geet: Ab kya kare humare gulam saahab hai hi itne aalsi ke unhe yaad dilana padtha hai k unki aawaz sunne ke liye koi kitne besabri se intezaar kar raha hai
Maan: Achha ji intezaar toh hum kar rahe the'waise aalsi naam tumhe kafi suit karta hai geet'nice name
Geet: Aapne mujhe 'mujhe aalsi kaha'
Maan: Geet ab kya kare main tumse pyar karta hoon iska ye matlab toh nahi hai na k main tumse jhooth kahu'aur waise bhi geet sach chahe kitna bhi kadwa kyun na ho samajdaari issi mein hai k hum usse accept kar le
Geet: Aapki toh khair nahi ' aur waise aap mujhe aalsi kyun keh rahe hai
Maan: Geet tumhe yaad diladu k aaj tum radio station mein jane k liye late ho chuki ho' aur tumhari aawaz se yahi lag raha hai k tum abhi abhi neend se jaagi ho
Geet: Ye sab aap ki wajah se hua hai
Maan: Ab ismein meri kya galti hai'o achha toh tum mere sapno mein khoyi hui thi waise issmein tumhari koi galti nahi hai Maan Singh khurana ka jaadu hi kuch aisa hai
Geet :Bade chale jaadugar banne'aapke ye paitre mujh par nahi chalnewale
Maan: maine kab kaha ke ye paitre maine tumpar aazmaaye hai
Geet: Kya? Aapke kehne ka kya matlab hai'aapne ye sab kisi aur ladki par aazmaaye the'ab aap mere saamne aayiye aapki toh khair nahi
Maan: Geet main toh mazak kar raha tha'aur waise bhi meri zindagi mein tumhari jagah koi aur le hi nahi saktha
Geet: Hmm' bus bus ab aur pyari baato se mujhe behlane ki koshish mat kijiye 'maine aapko lunch par invite karne k liye call kiya tha
Maan: Lunch lekin Geet aaj kya tum wakai radio station nahi jaa rahi
Geet: Maan wo main aapko batana bhool gayi 'jab yash kuch dino k liye bahar chala gaya tha tab uske jo additional programs the usse maine samala tha issliye ab kuch dino tak yash akele hi humara program samalega aur waise bhi mere exams paas aa rahe hai toh maine leave application de di diya tha aur wo manzoor ho gaya 'matlab aaj actually meri chutthi hai
Maan: ok ye tho achhi baat hai 'toh thik hai main aaj lunch par tumhare ghar pauch jaaunga
Geet: Main aapka intezaar karungi Maan
Maan: Love u Misthy
Geet: love u Maan
Call ends
Geet: Maan ko lunch k liye invite tho kardiya magar main unke liye kya banau aur waise bhi mujhe toh khana banana aata hi nahi
Geet: Haan unke liye parathe banathi hoon'atleast try tho kar hi sakthi hoon naa'
Geet gets a recipe book and starts her cooking preparations
Maan: Geet ko surprise detha hoon uske ghar jaakar
Maan: Adi aaj office ka saara kaam tum samal lena mujhe kuch important kaam hai aaj main office dubara nahi aayunga ok
Adi: Ji Sir
Geet's house
Yash Geet ko phone karta hai
Geet: Hi Yash
Yash: Hi Geet so enjoying your holidays haan
Geet: Kyun nazar laga raha hai yaar'kya hua Radio station mein koi problem tho nahi ho gayi
Yash: Nahi geet aisi koi baat nahi hai'maine tumhe iss liye call kiya k apne party ki jo CD thina wo aa gayi hai tujhe chahiye toh main kisi k haatho se wo bhijwa detha hoon
Geet: oh wow Yash... haan jaldi se bhijwa de
Yash: Thik hai Geet Lucky ko tere ghar k paas kuch kaam hai wo jaate jaate tujjhe CD de dega
Geet: Thanks Yash
Yash: Ok toh main phone rakhtha hoon program ko aage badana hai
Geet: Bye
PRECAP: Aata romance😳😳😳
PRECAP: Geet: "Maan ussdin maine jo aapke liye banaya tha wo pakode nahi balki gulab jamun the"😆😆😆
PRECAP: Maan: "Geet ye ladki aur koi nahi balki'.."😲😲😲
PLS PRESS THE LIKE BUTTON N DO COMMENT
Love-Piya
Link to Dil mil gaye thread 3
Edited by piya- - 13 years ago
61