Aik zamanay say unhi gafil tha woh
Janay kya chahta aur sochta tha woh
Aik umer kut gaye par lahasil tha woh
Talash thi usko jis paykae-e-jana ki
Shayad kay dunya main shamil na tha woh
Mudatoon samjhaya usko mainay na mana
In reet riwajoon main qayal na tha woh
Kehta tha kis ko dun apna dil-e-bayqarar
Kisi ki ulfatoon main shamil na tha woh
Apnay dukhoon ko khud hi samaytay yun
Shamil hansta mehfiloon main tha woh
Duniya ko kabhi razdan na banaya usnay
Tanha rota unhi chalay ja raha tha woh
Mainay kaha dhond wafa ka ghana saya
darakht nahi aysa ab ye kehta tha woh