Part 9th
(Ravi, Baji ke piche piche apne kamre me chale jaata hai. Baji uska saaman uske kamre me phucha deta hai. Ravi fresh hokar niche ane ke liye apne kamre se bahar aata hai. uski nazar ek kamre me parti hai. wo us kamre ke paas jakar dekhta hai. tabhi koi piche se uske kandhe per haanth rakhta hai. Ravi palat kar dekhta hai to saamne Baji khda hota hai.)
Baji – kya dekh rahe ho?
Ravi – wo main....... main unhe wo ........... unhe dekh raha tha.
Baji – oh Nakku........... kyun kya koi baat hai.
Ravi – nahi kuch khaas nahi. Bus yu hi. Main dkeh raha tha ki itni masum si dikhne wali ldki kyun apni jaan dena chahti hai. kya dushmani hai use apni zindgi se jo is tarah apni jaan ki dushmana bani hai.
Baji – wazah tum jaante ho. wo Bhau ke bina reh nahi sakti.
Ravi – Bhau.
Baji – haa....... Dutta Bhau. Nakku ka pati.
Ravi – lekin koi kisi ke jaane ke baad apni jaan kaise de sakta hai.
Baji – pyaar me aisa hi hota hai.
Ravi – haan pyaar me aisa hi hota hai. Aisa nahi hai ki main pyaar ko nahi samjhata nahi jaanta ki pyaar kya hai. main acche se jaanta hoo ki pyaar kya hota hai? jab pyaar dur ho jaata hai to kitni taklif hoti hai. aisa dard jo sehan nahi ho pata. Per iska matlab ye to nahi ki hum apni jaan hi de de.
Baji – per Bhau or Nakku ka pyaar. Wo to sabse alag tha. Sabse juda. Aisa pyyar na jo laila mjnoo....... ne bhi nahi kiya hoga. Bilkul alag hai unke pyaar ki khani.
Ravi – bilkul alag. Kaisi hai unki khani main bhi sunana chahunga us pyaar ki khani jiski wazah se ye apni jaan tak de dena chahti hai.
Baji – agar tu sachmuch jaanana chahta hai to main tere ko batayega. Dutta Bhau or Nakusha ki khani. Unke pyaar ki ek anokhi khani.