Part 7th
Nakku – mujhe lagta nahi balki mujhe maloom hai.
Ravi – per mujhe to aisa nahi lgta. Abhi jab aap uper chat se kudne ki kosis kar rahi thi or aap behosh ho gayee to maine jo dekha usase to mujhe lagta hai ki is ghar ke log aapse bahut pyaar karte hai.
Nakku – main jaanti hoo per is ghar ke logo ki her takleef ki wazah hoo main…….. bus main………
AS – nahi beta…….. nahi aisa kuch nahi hai tu galat samjh rahi hai.
Nakku – nahi AS main jaanti hai aap bhale kuch na kahe per aapne meri wazah se hi apna beta khoya hai. Kala tai ne apna bhai or is ghar ne apne bete ko khoya hai.
AS – aisa nahi hai Nakku……… jo hua usme tera koi kasoor nahi hai.
Roop – haan vahini jo hua wo to hona hi tha usne aapka kya dosh hai. Shyd ye humari kismat me likha tha.
Baji – dekh Nakku tu kisi ki baat ko apne dil per mat le. Koi chahe kuch bhi kahe per tu bus ye yaad rakh ki hum sab tujhse bahut pyaar karte hai or agar tujhe kuch ho gaya na to hum sab bhi ji nahi payenge.
AS – haan Nakku beta tu humare paas humare Dutta ki aakhri or eklauti nishani hai. Agar hum tujhe bhi khush nahi rak paaye to phir apne Dutta ko kya jawab denge.
Nakku – lekin AS main…….. main unke bina nahi ji sakti. Mujhse nahi jiya jaata unke bina.
Kishor – dekho Nakku hum sab jaante hai ki tum Dutta Bhau se kitna pyaar karti ho. Or ye bhi ki wo tumse kitna pyaar karte the. Wo kabhi nahi chenge ki tum unke jaane ke baad tum unki yaad me yu apni jaan dene ki kosis karo. Unki aatma ko kitani taklif hogi.
AS – Nakku tu wada kar humse tu aage se aisa kuch nahi karegi. Wada kar humse.
Nakku – shayad aap sab thik keh rahe hai. Mujhe maaf kar dijiye AS, aaj se main aisa kuch nahi karegi.
AS – thik hai Roop vahini ko andar le ja.
(Roop Nakku ko andar le jaati hai)