Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 28 July 2025 EDT
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 23
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai July 29, 2025 Episode Discussion Thread
MAIRA IS SAD 😞28.7
BALH Naya Season EDT Week #7: July 28-Aug 1
CRYING FAMILY 29.7
Gen 5 Storyline
In the ruins....I found you ❤️-A Prashiv ss
Anupamaa 29 July 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
If you had the power of vanishing one nepo kid?
Will Dhadak 2 surpass Saiyaara? 😎
Kajol screams like Anjali (in K3G) for Nysa’s graduation
Will WAR 2 Surpass Saiyaara
19 years of Omkara
Tanushree Dutta Requests People To Cooperate With PM Modi
Official Trailer - Andaaz 2
Anupama back to Shah house , at Baa's feet !
Originally posted by: le_me_star
heyyaar
if u dnt mind i juz wantd say is tht alwayz u giv a brief highlight of the story
when we r reading it so why again n again.........
great going yaar....1st he asked if she was married n now it's kashish ask him the same question........i do agree they are both on the same boat.....marrying someone they don't love, just bcoz other happiness 😭.......i can't understand anurag philisophy business it more important that his own child hapiness to him 😕! .......really nice conversation scene 👏 😊 👏! so kashish is writting a book 😊, i wonder about what? continue soon plz can't wait for the next part!!!!!!!!!!!
Part-14
Mehek aur Preet Kashish ko ek jagah bithate hai.........Kashish ki ek aur Mehek hoti hai aur dusri aur Preet.......Abhay aage Kashish ke haath me Mehndi rakhta hai.....
Abhay: Beta.........ab jaldi se aake mere ghar ko aur mere bete ko sambhalo.......kyunki main janta hoon ki Angad ko koi sambhal sakta hai to sirf Meri Kashish.............
Preet is shocked.......
Preet (to herself): Kashish............Sujalbhai ki Kashish.......
Abhay: aur yeh raha tumhara shagun.......
Abhay Kashish ko jo shagun me oaise ki note deke chala jata hai.........Kashish woh note Mehek ko dene hi wali hoti hai jab woh neeche gir jati hai.......Kashish jab Note utati hai tab ek pal me uski zindagi badalne wali hoti hai.........Kyunki yeh wahi note hai jispe Sujal ne apna naam likha hua tha..........Kashish ke aankh se halke se aanshu behne lagte hai..........
Mehek: Dii kya hua........aapki aankhoin me aanshu.......
Kashish bina kuch kahe woh Note Mehek ko batati hai........
Mehek: Dii yeh to.......
Mehek ki aankh se bhi aanshu behne lagte hai.........
Preet: kya hai is note pe.........dikhao muje......
Preet ek jatke se mehek ke haath se woh note chin leti hai........aur dekhke hairan reh jati hai.....
Preet (to herself): hey Bhagwan.......ab main kya karoon....yeh dono ek dusre se beimtihaan pyaar kar rahe hai aur kisi aur se shaadi kar rahe hai...........muje Bhai ko batana hoga ki uski kashish bhi unse bahot pyaar karti hai kyunki yeh aanshu joothe nahi hai...........
Mehek: kis soch me pad gayi.........
Preet: Mehek.......muje kuch zaroori kaam yaad aa gaya.......muje abhi isi waqt ghar jana hoga.......main tujse bad me baat karti hoon.........bye......
Preet jaldi me taxi leke ghar ki aur nikal jati hai...........
************************************************************ ***************
Preet ghar pahunch ke sabse pehle apne Kamre me jake woh book kholti hai.......jispe likha hua hota hai........
To, Sujal Garewal
From, Kashish Sinha
9861237789
Preet: ab main kya karoon.........kaisa khel hai yeh........kise kahoon meri madad karne ko.........mama.......haa ab muje mama ko sab batana hi hoga......
Preet Prerna ke kamre me aati hai.......
Preet: Mama......
Prerna: are tum itni zaldi aa gayi.........
Preet: mama......yeh waqt yeh sab baat karne ka nahi hai.........muje aapse kuch zaroori baat karni hai.......nahi muje aapse kuch mangna hai.........
Prerna: tu mujse kya mangne aayi.......zaroor is bar teri khwaish Sujal ne nahi puri ki hogi.......
Preet: mama....main aaj apne liye nahi balke Sujalbhai ke liye kuch mangne aayi hoon.......
Prerna: main kuch samji nahi.....Sujal ke liye.........
Preet: Bhai kisi se beimtihaan mohabbat karte hai.........
Prerna: yeh kya bol rahi ho.......
Preet: jo sach hai........yeh dekhiye.......aap iska aakhri pana padhiye.....aap ko sab samaj me aa jayega......ki kab woh dono ek dusre se pyaar kar bethe.........
Prerna pehle pane pe Sujal aur kashish ka naam dekhti hai aur aakhri pani pe unki mulaqat padhti hai..........
Preet: mama,.....aaj main jaha se aa rahi hoon woh kisi aur ki shaadi nahi balke Kashishdii ki shaadi honewali hai kal subaah.........bhai apni kashish se bahot pyaar karte hai.......aapko meri madad karni hogi undono ko milane me.......mama aap bhi to janti hai ki Bhai ritu se koi pyaar nahi karta..........woh unke saath khush nahi rahenge,,,,,,,woh sirf apni Kashish ke saath khush reh sakte hai.......mama aaj ek bete ko apni maa ki zaroorat hai........aaj aapko ek maa banke apne bete ki zindagi sawarni hai.............Mama dogi na mera saath...........
************************************************************ ***************
Kashish apne kamre me ek haath me woh note aur dusre haath me sagai ki anguthi tham ke bethi huyi hoti hai.........aankh se aanshu beh rahe hai jo rukne ka naam hi nahi lete........jab Mehek aati hai.........
Mehek: dii.........aap ro rahi hai.......yeh waqt rone ka nahi balke apni zindagi ko apne bas me karne ka hai.........
Kashish: kal meri shaadi hai.........
Mehek: shaadi hai huyi to nahi.........dii aap in kuch logo me se ho jinhe yeh mauka mila hai........aur is bar yeh mauka itni aasani se mat jane dijiye.........
Kashish: Mehek........yeh kehna aasan hai ........lekin karna itna hi muskil.........
Mehek: aap yeh shaadi karke kise dhoka de rahi hai........khud ko.........Angadjiju ko.....Sujal ko......ya phir apni mohabbat ko........
Kashish: main kisi ko dhoka nahi de rahi......
Mehek: to aaj aapki aankh me aanshu kyun hai.........dii pyaar ka matlab maine aapse shikha hai........aur itna to maine shikha hi hai ki pyaar karo to use nibhana bhi shikho.........aap yeh shaadi nahi balke samjota kar rahe hai......aur main aisa harkeez nahi hone dungi...........agar aapko aapki khushiyaan pyari nahi to muje aapki khushiyaan bahot pyari hai...........main wahi karungi jo mera dil keh raha hai.....aur mera dil kehta hai ki aapko is waqt yaha nahi aapke Sujal ke pass hona chahiye........dii sochiye mat phone kijiye apne Sujal ko...........
Kashish: aur ghar pe...
Mehek: woh main sambhal lungi.......main sab ko keh dungi ki aap yeh shaadi se khush nahi thi is liye bhag gayi.........
Kashish: mama naraz to nahi hogi..........
Mehek: main use samja dungi.......aap jaiye aapke Sujal ke pass........
Kashish kamre se bahar nikalne hi wali hoti hai jab Angad darwaze pe khada hota hai...........
Part-15
Kashish aur Mehek Angad ko dekh ke hairan ho jate hai.........
Kashish: Angad tum.......
Angad: Kashish.........muje yeh to pata tha ki tum mujse pyar nahi karti lekin aaj to yeh bhi pata chal gaya ki main dosti ke bhi layak nahi hoon...........
Kashish: Angad..........aisa mat kaho........tum hamesha se mere dost the aur rahoge.......
Angad: to aaj jo kadam tum uthane ja rahi ho woh na karti........ek bar to apne dost se kaha hota............main khud tumhe Sujal ke pass le jata.........yeh chori chori bhagne ki kya zaroorat thi.......
Kashish: Anagd.......main woh.......woh.....
Angad: Kashish.......shaadi ke liye pyaar ka hona zaroori hai......aur hamari is shaadi me sirf dosti hai kyunki pyaar karne ke liye ek dil chahiye aur tumhara dil kabhi mere liye dhadka hi nahi..........shaadi hume use karni chahiye jise hamara dil chahta ho......aur tumhara dil tumhari her ek saansein to sirf sujal ki hai.........
Kashish: yeh tum keh rahe ho......
Angad: maine shayad kabhi bhi pyaar pe yakeen na karta lekin tum dono ke pyaar ne muje badal diya.......ek ladki jo kisi insaan se ek bar mili hai woh use dilo jaan se pyaar kar sakti hai to haa muje pyaar ka matlab samaj aa gaya.........aaj muje yakeen ho gaya ki pyaar jaisa shabd bhi is duniya me mayne rakhta hai........
Kashish: lekin tumhare papa...........
Angad; aaj dusro ke bare me sochna chod do........aaj sirf apne bare me socho......apne pyaar ke bare me........apne sujal ke bare me.........kya tum Sujal se pyaar karti ho.......
Kashish: bahot pyaar karti hoon......apni jaan se jyada Sujal ko chahti hoon........
Angad: uske bigar jii sakogi.......
Kashish: ek pal ke liye bhi nahi.....
Angad: to sochna chodo aur phone karo.........use bata do ki tum use kitna pyaar karti ho.......bata do aaj yeh duniya ko apne dil ki baat...........
Mehek: Dii......socho mat......phone karo........dii aaj sirf aap apne dil ki suno.......
Angad: yeh waqt sochne ka nahi balke kuch kar dikhane ka hai...........phone karo.........
Mehek: dii lijiye kariye phone.........
Kashish haath me phone leke sochne lagti hai..............
************************************************************ *****************
Prerna aur Preet Sujal ke kamre me aate hai.............
Sujal; are aap log ek saath........
Prerna: kyun kiya tune aisa........
Sujal: maine kya kiya.........Mama maine kuch nahi kiya.......
Prerna: to yeh sab kya hai.......
Prerna Sujal ke haath me woh book deti hai.......Sujal book ka naam padhta hai......
Sujal; KASHISH...........
Prerna: haa Kashish.........itna bada jooth bola aur woh bhi apni maa se.........kyun itna bhi yakeen nahi tha....
Sujal: nahi aisa nahi hai....kayi bar socha ki aapko bata doon......lekin phir aapke aur papa ke rishtey ke bare me sochke chup ho gaya......main nahi chahta tha ki aap papa ke khilaf ho........kyunki agar aapne mere saath deke bhi muje mera pyaar diya hota to muje to khushi hoti lekin aap ko bahot dard milta.......kyunki Papa ko mujse aur aapse behtar kaun samaj sakta hai........
Prerna: to tu Ritu se shaadi meri khushi ke liye kar raha tha......pagal itna bhi nahi bata saka apni maa ko......tuje Ritu ki saath dukhi dekh kar muje bhi bahot dukh hota tha lekin ab aisa nahi hoga.....ab tumhari maa tumhare saath hai......tum hamesha apni mama ki baat manta hai na,,,,to aaj apni mama ki baat manega.......kya tum Kashish se pyaar karte ho.......
Sujal: beimtihaan....meri zindagi hai woh........
Prerna: to use shaadi karke meri ghar ki bahu bana la......meri khushi teri khushi me hai.........ab use phone karke bata de ki tu usse pyaar karta hai.......
Sujal: thank you mama........
Prerna: yeh Thank you muje bad me kehna....pehle meri bahu ko gahr le aa......
Preet: bhai kariye na phone.........jaldi kariye.......
Sujal: haa baba kar raha hoon............
Preet aur Prerna bahar chale jate hai.........
************************************************************ *****************
Tringggggg..........Tringggggggggg............
Sujal: hello.........
Kashish: Sujal............
Sujal; Kashish........
Kashish: Sujal main woh tumse.........
Sujal; main tumse abhi is waqt milna chahta hoon......
Kashish: abhi........
Sujal: haa.......kya tum muje ek ghante me Gateway of India mil sakti ho.........
Kashish: haa.....main tumhe ek ghante me milti hoon......
Sujal: jaldi aana.........
Kashish: bas hawa ki leher ki tarah main aa rahi hoon.........
Sujal: main tumhara intzaar karunga.........
Kashish: main aaungi Sujal.....tumhare liye aaungi.......
Kashish apna phone rakh ke apni almari ke pass jati hai.........woh wahi Sujal ki pasand ki saree nikalti hai aur use pehnati hai.........aaj pehli bar kashish saare pehni thi..........haath me dher sari chudiyaan..........khule lehrate bal........kan me zumke.........pairo me khankati paayal........Kashish ka dil to jaise apni dhadkano pe kabu hi nahi hota,,,,,,,,
Sujal bhi apni almari me se Kashish ki pasand ka safed shirt pehen ke taiyaar hone lagta hai..........aaj Sujal ka dil to jaise satme aasmaan ko chu raha ho.........
Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...
COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...
324