Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 30 July 2025 EDT
CRYING FAMILY 29.7
TRIALS OF BOND 30.7
Kyunki Saas bhi kabhi Bahu thi 2 : EDT # 1
Param Sundari song Pardesiya out now
Anupamaa 30 July 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Emotional support 😢 animal 😍😍🥰🥰🥰 silly boy ☺️☺️☺️
🤱Surrogacy: Womb For Hire ! Is It A Blessing Or A Curse For Women?👶
After so long we see Katrina with Vicky
Sitaare Zameen Par Straight to YouTube
S2 not making sense ?
Paravarish
Chhaava continues to remain the biggest HIT of 2025
Who did it better?
Anupama back to Shah house , at Baa's feet !
National Awards For Vikrant Massey Rani Mukerji
War 2 Run Time 3h 5m
21 years of Mujhse Shaadi Karogi
📚 The Bookish Personalities 📚 Book Buddies Reading Challenge
Shreya and Leena - Book Buddies Thread
Part-9
Recap:-
Ayaan aur Kaynaat ke beech ki saari galat fehmiya dur hoti hai.. Rehan Ayaan ko kisi ehem khabar ke bare mei batana chahata tha per keh nahi paata.. Ayaan ko jald se jald Kashmir ke liye ravana hona hota hai..raastei mei use Malik uncle ka phone aata hai jo use unke mission ke bare mei kehte hai aur jald se jald Kashmir lautne ko kehte hai….
Story further…
Rehan ko iss baat ki tasalli (was content abt) thi ke Ayaan jald se jald laut raha hai.. Per use Arzoo ke bare mei batlana tha…. Wo isi soch mei ek baar phir wo walkman on karta hai aur bade hi gor se sunta hai…Usi waqt use kise ke kadmo ki ahat sunayi deti hai aur wo walkman chupa deta hai aur neeche aakar dekhta hai.. per waha koi nahi hota, use lagta hai shayad wo uska wahem (imagination) tha, so wo phir uper chala jata hai…thik usi waqt use kisi ka phone aata hai…
Rehan: hello..
{koi awaaz nahi aati, per use kuch shor sunayi deta hai… }
Rehan: helloo…
Person: hell….ehlllooo
Rehan: wasim? Wasim..helloo
Wasim: rehannn… tum aur…bhaijaan…
Rehan: kya hua? Tum thik to ho na?
Wasim: wo malik…sahib…aap aur ayaan bhaijaan ko…..
{suddenly a weird sounds come and the line disconnects}
Rehan: wasimm..wasimmm…. ye wasim kya kehna chahta tha? Aur ye malik uncle ke bare mei aisa kyu keh raha tha? Kahi ayaan ko koi khatra… jo bhi ho mujhe usse kisi bhi tarha iss bare mei ittelah (inform) karna hoga…but…
(quickly dials ayaan's no, but all vain. Rehan was feeling terrible as he didn't knew what to do, whom to trust or least whom to contact. All he could do is just wait for Ayaan to return, but after that call he was extremely restless… He than steps towards the window and see a dim light…The light was slowly moving towards him… He than rushes downstairs, a bit tensed…but quite alert… He than slightly opens the door and tries to peep out but before he could understand anything there was a bang on window, it was something stone like thing that was wrapped in a paper… Rehan hesitatingly got up and looked at that thing… He than picked it up and stared at it for a minute. It appeared some kind of letter.. He than unrolled that paper… Something was written on it… Rehan read that and remained motionless for a minute.. didn't knew how to react, to believe or not? Who wrote that letter? What it actually meant? Is this some kind of trap for him & Ayaan or somebody really wanted him to help Ayaan? It was from some well wisher or some betrayer? He just couldn't understand what was happening… He was still in that same state of mind he gets another call…
Rehan: hello..
Person: umeed hai hamara paigaam (message) aap tak pohoch chuka hoga… Hume ilm hai ki aap ise koi saazish samajh baithe honge, per u samajhlo ki aap hamare liye bhi utne hi aziz (dear) ho jitney ki aap dono ek dusre ke liye….
Rehan: aap bol kaun rahe hai aur iss sab ka kya matlab hai?
Person: khat mei sab likha to hai… khair, aap ayaan ke kareebi hai aur aap dono hamare, isiliye chahte hai ki aap fouran Shimla ke liye ravana ho aur Ayaan ko bachale… Use ye kehkar waha rok diya gaya hai ko waha kuch honewala hai, use koi ehem (important) cheez milegi jiski use bahot waqt se talaash hai, magar ye bas ek bahana hai… ek sochi samjhi saazish hai jismei aapke apne hi use phasa rahe hai…
Rehan: lekin main aapki baat pe yakeen kaise karlu?
Person: iske alawa aapke paas koi raasta bhi nahi hai… Ek aur baat, agle 10 minute mei uss ghar se nikal jana… warna na to aap rahenge aur naa hi aapka dost..
(before rehan could speak anything that person disconnects the call… By now Rehan was a bit nervous… His mission was the most important thing in his life but not at the cost of Ayaan's life…
minutes later rehan picked up his bag & walked downstairs, just than he stopped, returned back.. took some file & that walkman along & rushed out of the house… 2 Minutes later there was a blast in the house leaving rehan completely shocked for the moment. Though such blasts weren't new to him, but for a second he was in a state of shock..
Rehan: {to himself} iss blast ke bare mei uss aadmi ne mujhe kaha tha, per use kaise pata tha….. Iska matlab koi hai jise hamare pal pal ki khabar hai… Aur agar uski baat mei sachchayi hai to mujhe fouran Shilma ke liye nikalna chahiye… Per yaha…. Ayaan ke bina iss mission ka koi matlab bhi nahi banta…
{after a second thought he makes up mind and leaves for Shimla. But Ayaan had already left from there hours before. Ayaan was constantly in touch with some of his colleagues and he was informed that Rehan was busy with some other very important work related to the same mission. But little did they knew that they themselves were entering a dangerous trap}
2 days later Rehan reached Shimla.. Dayijaan was extremely happy to see him there after a long time…
Dayijaan: kitne dino baad aaya hai aaj… kaisa hai?
Rehan: khairiyat se…
Kaynaat: aap yaha? Hamara matlab u achanak?
Rehan: ha bas, acha dayijaan Ayaan kaha hai?
Dayijaan: wo to 2 din pehle hi Kashmir chala gaya.. tumse mulaqat nahi hui?
{rehan ab pareshan hota hai, per wo dayijaan aur kayanaat se kuch kehna nahi chahta tha so wo bahana kar deta hai}
Rehan: ohh..nikal bhi gaya… mujhe laga shayad wo 2 din baad nikle.., waise bhi use nahi pata tha ki main yaha aa raha hu.. khair, dayijaan main fresh hokar aata hu….
{isse pehle ki dayijaan ya kaynaat usse kuch bhi puche wo waha se chala jata hai..per dayijaan samajh jaate hai ki kuch baat to zaroor hai..per kaynaat ki taraf dekhkar wo rehan se kuch nahi puchte.. Rehan kisi ko phone laga raha hota hai, tabhi arzoo usse milne aati hai}
Arzoo: rehan..
{rehan call disconnect kar deta hai}
Rehan: aap…
Arzoo: ha, wo main… kya hua? Koi pareshani hai?
Rehan: nahi.. {he suddenly remembers of that walkman and quickly removes it out}
Rehan: arzoo, mujhe aapse behad zaroori baat karni hai… ise gaur se suno..
{isse pehle ki rehan arzoo se kuch aur bhi kehta, use kisi ka call aata hai.. Its wasim}
Rehan: hello..
Wasim: rehan, bhaijaan kaha hai?
Rehan: waha nahi aaya?
Wasim: apko behad zaroori khabar deni hai, bas meri baat dhyaan se sunna.. Bhaiyaan aur apko bahot bada dhoka diya jaa raha hai… Is waqt bhaijaan ko khatam karni ki baat kar rahe the…unlogo ne bhaijaan ki gaadi mei blast…{suddenly there was a bullet sound and wasim was shot dead. Rehan gets shock of his life. He couldn't believe to what he just heard, in the mean time arzoo plays that walkman… and she too was still for the moment. Kaynaat comes in there}
Kaynaat: arzoo..kya hua?
Arzoo: baaji…ye..ye wo… uss din…
Kaynaat: kya hua arzoo?
Rehan: arzoo iss mei tumhari hi awaaz hai na? Uss din jo kuch bhi hua wo tum don one dekha tha?
Kaynaat: ha..
Rehan: kya arzoo ne uss insaan ka chehra dekha tha?
Arzoo: ha…wo koi malik sahaab kehkar unhe pukar rahe the…
{ab rehan ki samajh mei sab kuch aata hai… aur uski aankho mei aasu aate hai… use lagta hai ki usne ayaan ko kho diya hai… wo jhat se ayaan ka number dial karta hai, per koi jawaab nahi aata… uska shak dheere dheere haqeeqat mei badal raha tha.. Per dil uss baat ko maan nahi raha tha.. Use kuch samajh nahi aata ki wo kya kare? Jis ek maksad ke liye un dono ne apni zindagi daav pe laga di thi, wo maksad jhoota nikla, wo log jhoote nikle…kuch saath tha to bas ek dar… Dar apne bhai jaise dost ko kho dene ka.. Rehan isi kasmakash mei tha,ki tabhi use milne anjaan aadmi aata hai..}
Person: rehan bhai, kaam ho gaya…
Rehan: aap hai kaun?
Person: Ayaan bhai ne apna maksad pura kar diya hai..
Rehan: kyaa…???? Ayaan zinda hai?
Person: use kya hona hai? maksad kamyaab ho gaya hai… Mubarak ho… iss baar sab kuch dugana hua hai… Ayaan ke hote kisi galati ki gunjaish hi nahi thi… news dekh lena.. main chalta hu..
{wo aadmi chala jata hai.. rehan tv on karta hai to dekhta hai ki Kashmir mei 3 consecutive blasts hue hai jisse kaafi log injured hue aur kaafi mar bhi chuke the.. Arzoo aur kaynaat ka shak aaj yakeen mei badal jaata hai.. Kaynaat rehan ko dekhti hai, aur use apne ma baba yaad aate hai.. wo din yaad aaata hai jab usne aur arzoo ne us shaks ka katl (murder) hote dekha tha.. aur wo rehan ki taraf badhti hai aur use thappad marti hai}
Kaynaat: mubarak ho… aapka mission wakayei mei kamyaab ho gaya… Kya kahenge ab? Ke aap koi terrorists nahi hai aur ye sab aapne nahi kiya??? Ye sab aapne apne hi logo ke liye kiya hai?
{arzoo phir wo sab yaad karti hai jisse wo behad dar jaati hai aur wahi behosh hokar gir jaati hai}
-- End of part-9 --
Comments awaited!!!
Love,
Ruksaar
Originally posted by: chinmayi
hey nice part
plzz do post the next 1 asap
& hope ayaan is alive?
waise pura part confusing tha hope next part mein sab kuch clr hojaye😊
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...
37