~* HUMRAAH *~ Part-9 pg-15 - Page 8

Created

Last reply

Replies

102

Views

17.5k

Users

30

Frequent Posters

ruksaar_khan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#71

Originally posted by: starbellz_21

awww...poor ayaan, whts stopping him?
grt update! pls continue soon..

deep secrets u see..!!! 😉 😆

wil be updating soon..

HhAaNnAa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 17 years ago
#72
👏 tooo goood dear continue sooon
ruksaar_khan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#73

Originally posted by: Honii

👏 tooo goood dear continue sooon

thanks a lot dear..!! 😃

ruksaar_khan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#74

Originally posted by: Arshie

continue soon yaar..

So soriie to keep u waiting..Studiezz keep me busy al this while.. wil try updating next week..

Arshie thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#75

Originally posted by: ruksaar_khan

So soriie to keep u waiting..Studiezz keep me busy al this while.. wil try updating next week..

its ok, studies first and then comes anything else, take ur time to update not a problem.

ruksaar_khan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#76

Part-7

Recap-

Akhir ek lambe safar ke baad Ayaan , Kaynaat aur Arzoo ko Shimla pohocha deta hai… Kaynaat ke liye Ayaan ka apnepan dayijaan samajhte hai aur use kaynaat ko apneno ke kehte hai.. Kaynaat Ayaan ke kareeb aane lagti hai….

Story further…

Kaynaat ki batein sunkar ab Ayaan ko usse apnapan sa mehsoos hone laga tha.. usne kabhi socha nahi tha ki Sanya ke baad uski zindagi mein koi aur aa bhi sakta hai

Ayaan: {to himself} kya karu main Sanya? Naa to main tumhe bhula sakta hu na hi use tumhari jagah de sakta hu… Kya karu main…. Kya karu???

{later arzoo too pass by his room and looking at him she comes towards him}

Arzoo: kya baat hai? Aap kuch pareshan hai?

Ayaan: nahi kuch nahi…

Arzoo: aap baaji ke bare mein soch rahe the na?

Ayaan: {looks at her in amazement} nahi to

Arzoo: nahi,mera matlab waise nahi tha…. Wo kya hai na, mujhe lagta hai ki kahi na kahi wo aapko pasand karne lagi hai, per usse jyada wo aapki izzat bhi karti hai.. To kya aap bhi unhe?

Ayaan: mujhe dubara lautna hai…

{saying this he walks out of the room,while arzoo smiles… and follows him}

Waha Kashmir mein ab kuch halaat pehle se thik the. Rehaan ko laga ki shayad ab kuch thik hoga per wo kisi bhi tarha se Ayaan se contact karna chah raha tha… Wo baar baar Malik uncle ko phone kar raha tha per waha use pata chalta hai ki wo ab tak nahi laute hai, so Rehan ab sivaye Ayaan ke intezar ke kuch nahi kar sakta tha… Ayaan iss baat se bekhabar tha,ki jis insaan ko wo dhund rahe hai unki sabse ahem kadi uske kitni kareeb hai… Ayaan apne kamrei mei inhi sab baato mie uljha hua hota hai… tabhi wo khidki se neeche jhakta hai to dekhta hai ki waha kuch bachche khel rahe hai aur phir wo kaynaat ko bhi apne saath khelne ko kehte hai.. Ayaan ka ghar bahot bada ek haveli sa hota hai…. to ghar ki chaukat se thoda bahar ek badasa garden bhi hota hai.. Wo bachche wahi khel rahe hote hai..

{dayijaan unhe u hasta khelta dekh behad khush hote hai..aur unko u dekh Ayaan bhi dil hi dil mei muskuraata hai aur phir neeche aata hai… aur wahi khada kaynaat ko dekhta hai…. uske chehre per wo muskurahat ab tak hoti hai… Phir achanak barish hone lagti hai… aur saare bachche barish mei bheegne lagte hai aur kaynaat aur arzoo bhi unke saath bachche ban jaate hai… Dayijaan unse ander aane ko kehti hai per wo nahi maanti… aakhir dayijaan unki masomiyat aur bachpana dekhkar has padti hai…. Ayaan bas bina palak jhapkaye sirf Kaynaat ko dekhta rehta hai, per wo iss baat se anjaan hoti hai… Ayaan use dekhte dekhte uske kareeb jaata hai…kaynaat palatti hai aur dekhti hai ki ayaan uske bilkul kareeb khada hai…dono bas ek dusre ki taraf dekhte hai…aur phir aayan uske chehre ko chuta hai aur kaynaat sharmakar uske gale lagti hai… per tabhi achanak arzoo ayaan ka haath khichti hai…aur ayaan apne hosh mei aata hai… Wo ye sab khwaab dekh raha hota hai… Wo jhat se kaynaat ki taraf dekhta hai to wo usse dur khadi un bachcho ke saath khelte dekhta hai..Arzoo ayaan ke saamne khadi hasti hai aur ayaan muskurakar ander chala jata hai… wahi dayijaan ayaan ko haste dekh khush hote hai…

Dayijaan: {smiles} ab kehde ki ye jo chamak teri aankho mei hai jo muskurahat tere hoto per hai ye un bachcho ko dekhkar hai…

Ayaan: kya aap bhi… kahi ki baat kahi le jaate ho…

Dayijaan: dekh beta, uperwale ne tere liye uss bachchi ko chun rakha hai…to tu kyun use apnane mei hichkicha raha hai… khair, meri baat to tumne maanni nahi hai, bas yehi kahungi ki apne dil ki baat ko manne mei der mat karna… {dayijaan apne kamrei mei jaate hai, aur kaynaat ander aati hai…. ayaan uski taraf dekhta hai, wo bas muskurate hue waha se chali jaati hai…

Evening time….

Kaynaat's room:

Kaynaat khamosh si baithi thi per aaj uske chehre per koi udaasi ya dar nahi balki hato per muskaan thi…aur yehi muskaan dekh aarzoo use chedti hai…

Arzoo: hmmm… baajii..kya baat hai? Iss muskurahat ki wajah kahi wo to nahi jo hum soch rahe hai?

Kaynaat: kyaa.. kya soch rahe?

Arzoo: acha to ab humse sunna chahte hai aap?

Kaynaat : u peheliyo mei baat naa karo aur saaf saaf batao jo kehna hai..

Arzoo: thik hai, aapko Ayaan se pyar hai…

Kaynaat: {looks at her in amazement} arzoo… aisa kuch nahi hai.., hum to bas..

Arzoo: bas kya baaji? Ab humse to jhoot na kahe aap…

Kaynaat: tum jo soch rahi ho waisa kuch nahi hai…. {aur kaynaat palatti hai aur window ki aur jaa khadi hoti hai…tabhi ayaan kamre ke bahar khada hota hai, arzoo ayaan ko dekh leti hai..

Arzoo: aap?

{kaynaat palatti hai}

Ayaan: ha, main yehi bazaar mei jaa raha tha to agar aapko kuch … {kaynaat ki taraf dekhta hai aur phir palkei neechi karta hai}

Arzoo: hum to nahi, hamare pair mei kuch lag gaya per baaji aapke saath jayenge..kyun baaji?

Kaynaat: ahh…arzoo per main…

Ayaan: main neeche intezar kar raha hu…

{saying this he leaves the room}

Kaynaat: ye kya hai arzoo, tumne aisa kyu kaha?

Arzoo: oh ho baaji, aap bhi na… acha jayiye wo apka intezar kar rahe hai…

Kaynaat: per arzoo…hum

Arzoo: just go baaji….

{kaynaat dheeme dheeme kadmo se neeche jaati hai… Ayaan jeep mei baitha uska intezar kar raha hota hai… Kaynaat aakar baithti hai and they leave….kuch der baad wo bazaar pohochte hai.. Ayaan wahi gadi rokta hai... }

Ayaan: mujhe yaha paas mei kuch kaam hai, tab tak tum chaho to apne le liye kuch le sakti ho..

Kaynaat: jee….

{ayaan road cross karke samne ek bilkul purana ghar hota hai waha jaata hai... Kaynaat usko jata dekhti hai..phir achanak uski nazar uper balcony pe padti hai jaha ek aadmi aata hai..uska chehra dhaka hota hai, phir wo turant ander chala jata hai… kaynaat ye dekhkar kuch hairaan hoti hai…}

Kaynaat: {to herself} ayaan ka iss tarha se yaha aana..aur wo aadmi ka.. kahi ye.. nahi nahi ye hum kya soch rahe, ayaan aisa kuch nahi kar sakte…per phir ye sab….

{wo khud bhi uss ghar ke bahar jaati hai aur wahi ek tuti hui window hoti hai..jispe net lagi hoti hai per dhunla sa dikh raha hota hai, kaynaat wahi se ander jhakti hai..to wo dekhti hai ki Ayaan kisi se baat kar raha hota hai, phir waha table pe rakhi pistol uthata hai aur apne paas rakhta hai… waha aas paas jo log the aur wo saara mauhol dekh kaynaat dar jaati hai, jaise hi wo ayaan ko bahar aata dekhti hai wo daudte hue gaadi ke paas jaakar khadi hoti hai… kuch hi palo mei ayaan waha aata hai}

Ayaan: kya hua tumne kuch dekha nahi?

Kaynaat: jee…nahi..wo hum…, hum apka intezar kar rahe the….

Ayaan: {smiles} chalo saath chalte hai….

{wo bazaar jaate hai… ye proper Shimla nahi tha,per Shimla se bahar ek chota gaon jaisi jagah thi…yaha ke raastei, ghar, chote chote the.. aur wo market place bhi kuch jyada badi nahi thi… Kaynaat bas ayaan ke bare mei ho sochti rehti hai..uska shak ab yakeen mei badalta jaa raha tha ki ayaan koi galat kaam karta hai ki wo bhi koi terrorists se mila hua hai… }

Ayaan: kaynaat..tumhe kuch nahi lena…

{tabhi kaynaat ki nazar waha latke ek lal dupatte pe padti hai aur ayaan dekhta hai aur use uss dukaan mei le jata hai, aur uske liye wo dupatta leta hai… Phir wo dono waha se nikalte hai ghar ki taraf…Ayaan kaafi khush khush rehta hai, per kaynaat kuch khoyi khoyi si rehti hai…}

Ayaan: kya baat hai? koi pareshani hai to batao

Kaynaat: nahi..kuch nahi

Ayaan: tumhara chehre to kuch aur hi keh raha hai… batao bhi kya baat hai?

Kaynaat: hum apse ek sawaal puch sakte hai?

Ayaan: pucho

Kaynaat: aap aur rehan ne hamari jaan bachayi per wo hathyiyaar aur ab ye sab… hume galat mat samajhna hum to bas…

Ayaan: main samajh raha hu tum kya soch rahi hu…. per iss waqt main bas yehi keh sakta hu ki mujh per yakeen banaye rakho….

Kaynaat: yakeen to hum sirf ek aap hi pe karte hai kyunki aap iss andhere mei hamare liye ek masiha bankar aaye…bas hum ghabra gaye the..bahot kuch kho diye hai per ab…. {looks at ayaan affectionately and it again starts raining heavily…ayaan stops the jeep and holds kaynaat's hand and takes along}

Ayaan: barish kam hone tak yehi rukte hai…

{wo dono ek chat ke neeche ruke the per barish itni tez thi ki kaynaat jaha khadi thi saamne se puri bheeg rahi thi, ayaan ye dekhta hai aur uske saamne khada hota hai…ab dono ek dusre ke kaafi kareeb the.. dono ek dusre ki aankho mei dekhte hai ya shayad kho jaate hai..phir achanak ayaan apni nazrei hatata hai…}

Song in background:

Ek ajnabi sa ehsaas dil ko sataye, shayad yehi to pyar hai….

Betaabiyo mei dhadkan meri, chain paye,shayad yehi to pyar hai…

Kuch bhi kaha na, kuch bhi suna naa…phir bhi bechain dil hai hamara…

Beheke kadam hai, mushkil mei hum hai dekho, sambhle bhale kaise yaara….

Chahe bina hi nazdeek hum chale aaye,shayad yehi to pyar hai…..

Nazre beecha de, pehere laga de dilpe….per dil kisi ki naa mane.. kaato pe chalke, sholo mei jalke rooke, milke rahenge deewane…

Chahat ki looh to aandhi mei bhi jhilmilaye….shayad yehi to pyar hai…

Ek ajnabi sa ehsaas dil ko sataye, shayad yehi to pyar hai….

Song in background:

At Kashmir……

Rehan ab tak uss uljhan mei hota hai ki aakhir jo hua in sabke peeche kaun hai.. Jo sabot use mila hai wo unki kya madat kar payega…Filhaal koi sabse badi kadi thi to bas wo thi Arzoo, jisne uss insaan ko dekha tha jiski talaash Rehan aur Ayaan ko thi.. Tabhi koi Rehan se milne aata hai…

Rehan: Wasim miya aap yaha? Sab khariyat to hai na?

Wasim: ha..bas ye apko dena tha {hands him some envelope and a cd} aage ki saare details is cd mei hai… aur agla dhamaka 2 din baad hona hai… tayyar rahiyega

Rehan: kya 2 din? Waqt?

Wasim: wo bhi isi mei hai… Ayaan bhaijaan kaha hai?

Rehan: wo bahar gaya hai…

Wasim: per unka maujood rehna behad zaroori hai… iss kaam ko anjaam unhe hi dena hai… aur phir Malik uncle ke nazar mei bhaijaan se beheter koi aur nahi hai iss mission ke liye…

Rehan: jaanta hu, per fikr mat karna wo aa jayega…

Wasim: thik hai, mai chalta hu… apna aur bhaijaan ka khayal rakhna…

Rehan: tum bhi….

{wasim chala jata hai aur rehan wo cd dekhta hai aur usmei kuch dekhkar hairaan reh jata hai}

…..End of Part -7….

Comments awaited!

Luv,

Ruksaar

Daebak thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 17 years ago
#77
Ye kya hai??? What was Ayaan doing in that spooky house.......And kis kaam ko anjaam dena hai 😕

Fabulous part.........continue soon ! 😳
rajeevlicious thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#78
wat are those ppl upto? wht mission???
nw this is getting so interesting.. fab part..!!
continue soon..!!
Arshie thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#79
something very fishy yaar... what is aayan upto. Can't wait to know what happens next, continue soon.
HhAaNnAa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 17 years ago
#80
👏 👏 👏 tooo goood awesome part continue soon 👏

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3 (85%)

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".