~* HUMRAAH *~ Part-9 pg-15 - Page 9

Created

Last reply

Replies

102

Views

17.5k

Users

30

Frequent Posters

sweetangle04 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 17 years ago
#81
hi i just read ur ff..its really unique..and interesting...R u planning to continue this ff..or is it discontinued,....please reply..
ruksaar_khan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#82

Originally posted by: sweetangle04

hi i just read ur ff..its really unique..and interesting...R u planning to continue this ff..or is it discontinued,....please reply..

heyi thanks for ur comments..! and yes i am continuing this fic..and wl try and update it soon..😳

ruksaar_khan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#83

Originally posted by: togepe30

Ye kya hai??? What was Ayaan doing in that spooky house.......And kis kaam ko anjaam dena hai 😕

Fabulous part.........continue soon ! 😳

thanks vandu.., well...all i can say is may be hez upto something....keep guessing..!!😉

ruksaar_khan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#84

@ faru di: thanks for ur comments di.. and di the promo for this is finally done.. thanks for giving that awesome song.. I'll be posting it shortly...

@ Arshie: thanks dear..wil soon be updating 😃

@ honii: thank u so much dear...😳

ruksaar_khan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#85

Originally posted by: cute_samrah

awesome part con't soon

thanks dear..😃

ruksaar_khan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#86

hi frnds,

due to some reasons i'll be away from forum for quite sometime! Not sure i wil return back or not...

Im so sorry as i wont be able to continue with the ff either..

Will miss u all... Love & best wishes to each one of u 😳

Kashish_88 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Engager Level 2 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#87
then just give ur fic a fus end...atleast...plzzz 😭 😭 😭
Daebak thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 17 years ago
#88

Part – 8

Ayaan aur kaynaat ab tak usi barish mei phase hue the…, dono ek dusre ke kareeb the… Ayaan ko pehli baar ek khushi si mehsoos ho rahi thi, kisi ke saath hone ka ehsaas..wo ehsaas, wo khushi jo kabhi use Sanya ke saath hone per hoti thi… Shayad usne bhi apne dil ki baat sun li thi,per shayad kuch tha jiski wajah se usne apne jazbaato ko roke hue tha…

Dusri taraf, kaynaat jo Ayaan se pyar kar baithi thi is baar se darr rahi thi ki jo kuch usna dekha tha, aur jo insaan us waqt uske saath tha kya wo sahi tha? Kya usne apne liye sahi insaan ko chuna tha? Kya Ayaan uske liye masiha tha ya wahi insaan jiski wajah se usne apne maa baba kho diya tha?

Kuch der baad barish ruk jaati hai aur wo ghar ki taraf nikalte hai.., Kaynaat apne unhi khayalo mei khoyi hui thi to Ayaan bas kaynaat ko dekhta aur muskurata.. Unke beech bhale hi koi baat nahi hoti per phir bhi wo ek dusre ko samajh rahe the… thodi hi der main wo ghar pohoch jaate hai.., Kaynaat bina kuch kahe bas seedhe apne kamrei ki taraf chali jaati hai….

Arzoo: arre baaji, aap aa gaye. Hum to dar hi gaye the kitni toofani barish ho rahi hai… Ayaan kaha hai?

(kaynaat kuch kehti nahi, bas khamosh khadi hoti hai phir achanak se arzoo ke gale lag kar rone lagti hai}

Arzoo: baaji.. kya baat hai? Kuch to bataye..

Kaynaat: kya humne galat insaan se mohabbat kar baithe hai? Hamari kuch samajh mei nahi aa raha arzoo, hum kya kare… Dil kehta hai ki wo ek sahi insaan hai, to dimag iss baat ko jhutlata hai….

Arzoo: hum kuch samjhe nahi… Kya hua hai? Kahi unhone aapse kuch kaha to nahi?

Kaynaat: nahi Arzoo, per hume kahi na kahi lagta hai ki hum un logo se to bach gaye per ab….

Arzoo: baaji aap phir se aisi baatei kar rahi hai….

Kaynaat: kisi se pyar karne ka ye matlab nahi ke hum apne maa baba ke kaatilo ko bhula de…

Arzoo: aap kehna kya chahti hai ke Ayaan ne …

Kaynaat: nahi, per hume aisa lagta hai hai ki ye bhi unhi mei se ek hai… Uss din to hume shak hua tha per aaj jo hum dekhe hai….. Ayaan bhi unhi mei se ek hai…

(thik usi pal ayaan unke kamrei se guzar raha hota hai… kaynaat ko u dekh wo ek pal keliye rukta hai aur phir wahase chala jata hai… Wo apne kamrei mei jata hai.., usne kaynaat ki baatei sunli thi.. aur shayad isiliye usse wo sab bardasht nahi ho raha tha}

Ayaan: (starts yelling looking out for something} dayijaan… dayijaan…. Kaha hai aap?

(just than his cell rings, he checks it was Rehan}

Ayaan: hello…

Rehan: ayaaann…, kaha the tum, kabse phone kar raha tha..khair tumhe jald se jald lautna hoga..

Ayaan: sab khairiyat to hai na?

Rehan: ab tak to hai…. Wasim aaya tha.. CD aur baki details de gaye hai..

Ayaan: ha, aaj main unse mil aaya wahi sab pata chala… Unhe iss baat ka shayad pata chal chuka tha.. Khair, kuch aur khabar?

Rehan: ha, ek bahot hi ahem khabar hai.. wo hume….

(the line suddenly disconnects}

Ayaan: hello….helloooo Rehan….. (Checks the cell) ufff!!! Iss battery ko bhi abhi khatm hona tha….

(tabhi dayijaan aate hai)

Dayijaan: kya baat hai?

Ayaan: mujhe abhi hi nikalna hoga, ek behad zaroori kaam hai….

Dayijaan: per beta…thik hai, tum tayyari karlo hum bas aate hai…

(dayijaan jaa hi rahe the ki ayaan unke gale lagkar rone lagta hai}

Dayijaan: arre ye kya, Ayaan kuch hai jo tu mujhse kehna chahta hai?

{ayaan bas khamosh rehta hai, aur phir shaant hota hai}

Ayaan: kuch nahi, bas uhi…. Rehan ka phone tha, kuch behad zarori kaam hai isliye mujhe aaj hi nikalna hoga..

Dayijaan: thik hai, kaam ke age main kuch nahi kahungi… Tum rukna main abhi aati hu… aur hai tumhare haath ka zakhm abhi pura bhara nahi hai, dawayi deti hu, laga lena…

Ayaan: iss sabko to aadat ho chuki hai mujhe…

Dayijaan: Ayaaannn… ruko bas abhi aati hu….

(dayijaan chale jate hai…Ayaan bas khamosh hota hai, per ander hi ander wo phir tut raha tha.. Ab jab wo Kaynaat ko chahne laga tha tab hi kaynaat ne use galat karaar kar diya aur ye baat uske liye bardasht karna naa mumkin tha… .. Thik usi waqt Arzoo uske paas aati hai}

Arzoo: ayaann…

Ayaan: {he gets up and pretends to be busy packing up things} Kuch kaam tha?

Arzoo: ha, main aapse baaji..ke

Ayaan: {interrupts} main abhi kashmir laut raha hu per aap dono ko yaha kisi baat ka dar nahi hai… Aap dono yaha hifazat se hai…

Arzoo: per… aap kab tak lautenge…

Ayaan: pata nahi, ya shayad nahi bhi….

Arzoo: per ek baar meri baat to sun le..

Ayaan: jo sunna tha sun liya.. Shayad kisi ki taqdeer mei sirf tanha hona hota hai…,

Arzoo: per ye unki galat fehmi hai…, kya aap ek baar unse baat nahi kar sakte?

Ayaan: nahi…. {walks out of the room… Arzoo pareshan hoti hai aur kaynaat ke paas jaati hai}

Arzoo: baaji, unhe rok le…wo hamesha ke liye yaha se jaa rahe hai….

Kaynaat: kya??

Arzoo: ayaan ne shayad hum dono ki baatei sun li thi, aur baaji hume pura yakeen hai ki wo bhi aapko chahne lage hai…. please baaji apne beech ki is gatal fehmi ko dur kare….

{kaynaat ke aankh mei aasu hote hai…. wo daudi daudi ayaan ke kamrei jaati hai, wo waha nahi hota… Kaynaat bas wahi khadi roti hai, use lagta hai ki wo chala gaya…thik usi waqt ayaan apni bag lene kamrei mei aata hai to kaynaat ko waha dekhta hai…}

Kaynaat: Ayaan, humne bas wahi kaha jo humne dekhe….

Ayaan: na to maine tumse kuch pucha hai aur na hi koi safaai maangi hai… aur phir hamara rishta hi kya hai? Khair, in baato ko koi matlab nahi hai aur naa hi hamare rishte….. (stops)

Kaynaat: hamare mein dil bas ye shak tha ki…

Ayaan: ke main bhi un logo mei se hu jinki wajah se tumhare maa baba jaise kai aur begunhao ki jaan gayi??? Arre jiski zindagi ek aise hi hadsaa ki wajah se tabaah ho gayi wo bhala kisi aur ki zindagi kya lega… (pauses for a minute) Saalo pehle ek aisa hi hadsaa hua tha… tumhare gaon se kuch duri pe ek aur gaon hua karta tha… jheel se bilkul kareebi pe…ek khubsoorat ek khwaab jaisa gaon tha…. Ek hasta khelta bada parivaar rehta tha… aur phir bas ek hi pal mei ek dhamaka hua…aur maine sab kuch kho diya… apni biwi Sanya ko… Wo mere saamne tadapti rahi per main kuch kar nahi saka… Mera bachcha is duniya mei kadam rakhne se pehle hi humse dur ho gaya…. (ayaan rone lagta hai…..kaynaat ki bhi aankhei bhar aati hai aur wo uske kareeb jaati hai)

Kaynaat: hume maaf kar de ayaan…, humne ek baar phir aapko galat samjha… hum apne lafz wapas lete hai, khuda ke waaste hume maaf karde…

Ayaan: iss waqt main tumhare kisi sawal ka jawab nahi de sakta, bas itna samajh lena ki waqt aa chuka hai jin apno ko humne kho diya unka badla lena hai… bahot khamosh reh liye hum, per ab kuch karne ka waqt hai… aur ab yehi meri zindagi ka akhri maksad hai, jismei shayad meri jaan bhi jaa sakti hai aur isiliye main nahi chahta ki meri wajah se tum apni zindagi barbad karo..

Kaynaat: akele rehkar hum abaad bhi to nahi ho sakte na..

Ayaan: tum ab bhi kaynaat…

Kaynaat: ha ayaan,hum ab bhi aapse mohabbat karte hai… ab chahe aap jo karo hume kuch fark nahi padta kyunki hume yakeen hai ki aap kabhi kuch galat karenge hi nahi….

(dono bas kuch pal ke liye ek dusre ko dekhte hai…)

Ayaan: mujhse shaadi karogi?

Kaynaat: haaa….

Ayaan: mujhe aane mei waqt lagega…

Kaynaat: tahumr (rest of my life) intezar karenge…

Ayaan: shayad main kabhi lautunga bhi nahi..

Kaynaat: hum phir bhi intezar karenge….

(ayaan bas uske sar pe pyar se haath rakhta hai aur chala jaata hai… kaynaat bas use jaata dekhti hai, per uske aasu thamte nahi…)

Ayaan bas kuch hi duri per jaata hai ki use kisi ka phone aata hai aur wo phir usi jagah pe jaata hai jaha kaynaat ne use dekha tha… Waha koi uska intezar kar raha hota hai… Waha kai log hote hai.. use ek cd aur ek envelope dekar usi waqt kashmir ke liye nikalne ko kehte hai…. Raastei mei use Malik uncle ka phone aata hai..

Malik: Ayaann…kaha ho aap beta? Kitne din hue aapki awaaz sune..

Ayaan: baba main yaha ghar aaya tha, per bas abhi Kashmir ke liye nikal raha hu..

Malik: ghar? Sab khairiyat to hai na?

Ayaan: jee… aisi koi baat nahi..

Malik: wasim rehan se mila tha, saari tayaariya ho chuki hai, bas tumhara intezar ho raha hai…

Ayaan: aap fikr mat kijiye, parso tak main aa jaunga, aur apna kaam bhi hoga…

Malik: tumhare hote hue mujhe kisi baat ki fikr nahi hai beta… Jagah, taarikh, waqt sab kuch tai (decided) ho chuka hai. Rehan ko cd mil chuki hai, baaki tumhe bhi copy mil gayi hogi…

Ayaan: jee…saara saaman bhi mil gaya hai, ab bas uss din ka intezar hai… Un dhamako ki gunj ab tak nahi bhula hu main…

Malik: aur naa hi hum kisi aur ko bhulne denge…. Hamari khamoshi ko hamari kamzori samjha gaya hai.., waise beta tumhe wo khalid yaad hai?

Ayaan: jee baba, wo to mere saath aane wala hai na?

Malik: nahi, wo aakhri mauka per peeche hat gaya….. ya shayad bik chuka tha, to use hume….

Ayaan: per baba….

Malik: jazbaati nahi hona hai ayaan… bas apne maksad pe dhyaan do… 2 din hai hamare paas bas… jo hona hai inhi do din mei hoga aur hume karna hoga…

Ayaan: jee baba..

Malik: acha ab hum tumse Kashmir mei baat karenge… Apna khyaal rakhna…

Ayaan: jee… (hangs up)

~~~***End of Part -8***~~~

Comments awaited!!

Love,

Ruksaar

Edited by togepe30 - 17 years ago
cute_samrah thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 17 years ago
#89
awesome part........................................grt come back...........................con't soon
golu_1677 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#90
lovely part. great cont soon pls

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3 (90%)

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".