hi guys, i have ot posted for quite a long time,so i will be posting 2 episodes together! no recaps as all of u know what happened in the last part!
That evening, when arjun returns home, he goes to his room. As he does not see bhavri there, he goes to baisa's room.
A: bhavri, bhavri...
Baisa: arjun, bhoomi yaha pe nahi hai!
A: kya, bhavri yaha nahi hai! To phir kaha gayi woh?
Baisa: apne kamre me dekha?
A: haan dekha, phir bhi, main dobara check karta hoon!
Arjun goes and checks in his room again. But he does not see bhavri. He checks the whole house but does no see her.
A: bhavri kaha gayi! Aise bina bataye pehle kahi nahi gayi!
Manasvi comes out of her room and sees arjun worried.
M: arjun, kya huwa, itne pareshan kyun ho?
A: bhabhi, bhavri bina bataye kahi chali gayi hai...
M: are nahi arjun, woh to khushi ko apne friend ke birthday party par chhodne gayi hai!
A: kya... yeh bhavri bhi na!
M: itna gussa kyun ho rahe ho arjun... use maine bheja hai!
A: mujhe is baat se koi problem nahi hai ke use aap ne bheja hai... mujhe is baat se problem hai ke usne mujhe inform tak nahi kiya!
M: kis hak se woh tumhe inform kare arjun? Kya ab tak tumne use ek patni hone ka hak diya hai? aur waise bhi, agar woh tumhe inform karti bhi, to tum uski baat par dhyaan nahi dete!
A: aisi baat nahi hai bhabhi...
M: aisi hi baat hai arjun! (And she walks away)
Arjun goes to his room, sits on the bed and thinks about what manasvi told him. Meanwhile, bhavri returns from dropping khushi to her friend's house! When she is going to the room, she meets manasvi. manasvi tells her everything that happened earlier and what she told arjun. Bhavri gets tensed and wonders what arjun's reaction would be. She goes to the room.
B: hi arjun, kaise ho?
A: main thik hoon. Tum kab aayi?
B: abhi panch (5) minute pehle. Kamre mein aa rahi thi tab manasvi bhabhi mil gayi! To unhone bataya ke tum mujhe dhoondh rahe the! Kya baat hai, koi kaam tha kya?
A: nahi bas, tum inform kiye bina chali gayi...
B: sorry arjun, mujhe laga ke main ghar jaldi wapas aa jaungi... lekin wapas aate waqt raaste mein bohot traffic mila. Is liye der ho gayi...
A: to kam se kam phone to kar diya hota!
B: mere phone ki battery low thi, is liye phone band ho gaya tha! Main abhi charge par rakh deti hoon!
She puts the phone on charge and sits next to arjun.
B: kya baat hai arjun, itni chhoti si baat ke liye itne pareshan ho gaye! Sab thik to hai na?
A: haan bhavri, sab thik hai!
B: tumne kuch khaya?
A: nahi, main tumhara intezaar kar raha tha...
B: manasvi bhabhi ne kaha ke baaki sab logo ne khaaliya hai! ab chalo, hum bhi khaa lete hai!
They have dinner together and also discuss what to do about S-M the next day! After dinner, they go to their room and get ready for bed.
A: good night bhavri!
B: good night arjun!
A (in his mind): main janta hoon ke tum mujhse naaraaz kyun ho bhavri! Aaj agar manasvi bhabhi ne mujhse woh sab nahi kaha hota to shayad main kabhi tumhare dil ki baat nahi samajh pata! Aur main yeh bhi janta hoon ke tum us din phone par kyun ro rahi thi! Lekin bhavri, main tumhe kaise samjhau... Jo baat tum sunna chahti ho, woh main bhi kehna chahta hoon, lekin tum mujhe mouka nahi deti ho!
LK (from behind): arjun, aise mouke diye nahi jaate, tumhe mouka khud dhoondh na hoga!
A: Hey Bhagwan! Meri madat kijie!
LK: isme bhi meri madat chahiye... yeh manushya ek bohot uljha huwa prani hai! aur jab inhe kisi samasya ka samaadhan chahiye hota hai, to yeh mujhe hi yaad karte hai! chalo, aaj tak madat ki hai to aage bhi karunga! Tum jo chahte ho wahi hoga! Mera aashirwaad tumhare saath hai!
Edited by arjun_bhavri - 19 years ago