Nevt episode...
Meanwhile, suraj is busy working on his plan. He is talking to someone on the fone.
S: dekhiye, aap please samajhne ki koshish kijiye. Yeh plan bilkul fool-proof hai, aur main nahi chahta hoon ke koi bhi gadbad ho… aur maine jaisa kaha hai, sab kuch waisa hi hona chahiye. Please, yeh meri zindagi ka sawaal hai…
The person on the phone: thik hai suraj… main samajh sakta hoon ke tum kis halaat se guzar rahe ho. Aur tum bilkul fikar mat karo, tumne jaisa kaha hai, main waisa hi karoonga.
S: thank you very much…
He hangs up and smiles to himself.
Later that evening, after arjun returns home from his office, suraj calls everyone downstairs into the hall. After everyone is there, he starts talking.
S: im sorry ke main aap sab ka waqt barbad kar raha hoon, lekin yeh baat poore ghar se judi huwi hai, aur khaas kar aapse papa (refering to mansen. Mansen is shocked at this behaviour, but stays quiet.) Abhi kuch hi der mein aap sab ko pata chal jayega ke main kya kehna chahta hoon. (just then, they hear a car parking outside HH. After a few seconds, Rehmat Zakaria, Goenka family's lawyer, enters the house. He greets all the elders in the house, and then goes straight to suraj and hands him some papers)
Rehmat: yeh lo suraj, tumhare papers. Tumne jaisa kaha tha, sab kuch waisa hi likha hai maine.
S: thank you very much rehmat chacha. (walks to mansen) papa, main chahta hoon ke aap yeh papers sign karde.
M: yeh kaise papers hai suraj?
S: yeh who papers hai, jinme yeh likha hai, ke ab main aap ka beta nahi hoon. Inme yeh likha hai, ke ab main legally free hoon, aur jo chahu who kar sakta hoon.
M: WHAT??? Never, main yeh papers sign nahi karunga…
S: aap yeh papers sign karenge papa… na chahte huwe bhi, aap ko in pe sign karna parega…
M: aur tum kaun hote ho mujhe yeh kehne waale?
S: papa aap bhool rahe hai, ke, according to the law, agar aap ek above 18 years ke ladke ko adopt karte hai, to us ladke ko yeh hak hota hai, ke woh jab chahe, uss rishte ko tod sakta hai…
M: lekin main nahi chahta hoon ke tum iss rishte ko todo...
S: yeh faisla mera hai, aur mujhe iss baat se koi farak nahi parta ke aap iss baare mein kya sochte hai.
Arjun, bhoomi, manasvi and all the others are shocked to see such behaviour of suraj towards mansen.
S: aap ne mujhe sirf iss liye adopt kiya tha, kyon ki aap jaante the ke aapka apna beta kisi kaam ka nahi hai! Apne matlab ke liye mujhe istemaal (use) kiya. Ab bas! Main aur istemaal nahi hona chahta hoon… please, isse pehle ke mujhe aap ke saath aur sakhti se pesh aana pare, in papers par sign kardijie…
Mansen is totally speechless, and then, Rehmat speaks.
R: mansen, papers par sign kardo. Agar tumne in par sign nahi kiya, to suraj tumpe court case kar sakta hai. Aur isse Goenka khandan ki badnaami hogi.
At last, mansen talks.
M: suraj beta, main sign kardoonga, lekin, yaha se jaane ke baad tum kaha rahoge?
S: (laughs) yeh aapse kisne kaha ke main yaha se chala jaunga? Main yehi issi ghar mein rahunga, apne parivaar ke saath…
Mansen is confused…
S: aap samjhe nahi? Main samjhata hoon… woh raha mera parivaar (pointing towards siddhart and shaku) unhi ke saath rahunga main.
Mansen is going red with anger… He walks away to his room, and yuvraj and mamaji follow. Gunvanti goes near suraj, puts her hand on his head, and then leaves.