Dono chali jaati hai.
Riya mv "ho na ho yeh chakkar is Chamunda parvat ka hi hai...
Riya seedhe Arjun ko information dene ke liye ghar jaati hai. Udhar Arjun ka gussa abhi bhi shaant nahi hua. Usse Riya ki awaaz aati hai lekin respond nahi karta. Riya use dhundhte hue room mein aati hai.
Riya: aap yaha hai? Main kabse aapko dhundh rahi hun
Arjun(rudely): kya kaam hai?
Riya: kaam hai isliye aayi hun! Aapne kaha tha na pata karo
Arjun thoda calm hota hai: bolo
Riya: Chamunda Parvat
Arjun: kya?
Riya use puri baat batati hai, Arjun soch mein chala jaata hai.
Arjun: jo bhi jaata hai laut kar nahi aata? Ye bhagwaan ka nahi insaan ka kaam hai, inke pichdi hui aur andhvishwasi soch ka yeh log faayda utha rahe hai
Riya: lekin waha aisa kya ho sakta hai?
Arjun: ye waha jaakar hi pata chalega
Riya: par agar kisi ne dekh liya toh? Ranjhana aunty ne saaf saaf kaha tha ki woh log kisi ko waha jaane nahi dete
Arjun: hum raat ko niklenge! Aur mauka dekhkar us pahad ke paas jaana hoga hume
Riya nod karti hai. Raat dhalne ke baad Arjun aur Riya chupke se ghar ke baahar jaakar gaav ki seema par pahunchte hai. Sab so gaye hai, kutte ki bhonkne ki awaaz ke ilawa pure gaav mein shanti hai. Achanak Arjun Riya ko ek bail-gaadi ke peeche kheenchta hai.
Riya: kya hua?
Arjun: shh!! Aur ishara karta hai.
Riya us direction mein dekhti hai. Ek admi waha pehra laga raha hai.
Riya(whisper): ye admi Kallu ke saath tha na?
Arjun nod karta hai: hume iska dhyaan batana hoga
Riya(whisper): main kuch karu?
Arjun(whisper): nahi!
Lekin Riya nahi sunti, woh paas se pathar uthakar opposite direction mein fekti hai. Uski takrane ki awaaz Admi alert ho jaata hai aur us taraf chala jaata hai. Arjun aur Riya immediately mauka dekhkar jungle mein ghus jaate hai.
Arjun: tum pathar fekne waali thi?
Riya: aapko kya laga?
Arjun: nahi...woh pichle baar jab hume information chahiye thi tab tumne us admi ke saath flirt kiya tha toh...
Riya eyes roll karti hai: chale?
Arjun: hmm...
Dono Chamunda Parvat ki taraf chalne lagte hai. Jungle ghana hai, raat ki wajah se andhera bahot badh gaya hai, torch ke sahare dono kisi tarah apni manzil tak chal rahe hai.
Arjun: Riya?
Riya: ji
Arjun: tumhe andhere se dar nahi lagta?
Riya: akeli hoti hun toh thoda lagta hai kyun?
Arjun: kyunki main tumhara cheekhna chillana expect kar raha tha isliye aur kuch nahi, after all ho toh tum bhi ladki hi
Riya use gusse mein apna haath jerk karke uski grip se nikalti hai: ladki hun ka kya matlab hai huh?
Arjun mv "shit man! Kaha dukhti nas par haath daal diya maine? : are main toh bas...
Riya(flashing the light on his face): Main Toh Bas Kya? Kehna Kya Chahte Hai Aap? (Arjun Kuch Bolne Waala Hai) Rehne Dijiye!!! Achi Tarah Se Jaanti Hun Ki Aapka Kya Matlab Hai...
Arjun: Riy...
Riya: Maine Aapko Kitni Baar Bola Ki Aurat Ki Kabiliyat Par Shak Nahi Karna Chahiye Lekin Ek Aap Hai Jo Puri Duniya Ko Samjhate Firte Hai Lekin Khud Ko Itni Si Baat Samaj Mein Nahi Aati?!?! And For Your Kind Information Mr. Arjun Suryakant Rawte Agar Lakdiyaan Nahi Hoti Na Toh Na Aap Paida Hote Na Hi Koi Aur Aapki Biwi Banti Aur Nahi Main!!! SAMJHE YA SAMJHAU???
Arjun is taken aback by her sudden outburst and just tries to calm her down: samajh gaya
Riya: kya samjhe? Repeat kijiye
Arjun(perplexed): what?!?!
Riya: Repeat!!!
Arjun: Riya...(lekin woh sirf use glare karti hai) aurat ki kabiliyat par kabhi shak nahi karna chahiye agar ladki nahi hoti toh na main paida hota na mujhe biwi milti ok?
Riya: good!! (sternly) dobara agar aisa waise faltu comment maara na toh dekh lena!!
Arjun bichara nod karne ke ilawa aur kuch nahi kar paata
Riya: ab aise kyun khade hai? Chalna nahi hai?
Aur lead karti hui journey continue karti hai. Arjun bas chup chap use follow karta hai. Chalte chalte woh parvat ke base ke pahunchne hi waale hai jab unhe aage lanterns dikhayi dete hai aur awaazein sunai deti hai. Dono questioningly ek dusre ko dekhte hai. Pedo ke peeche chupkar Arjun aur Riya aage jaate hai. Waha ka scene dekhkar dono shock ho jaate hai.
Riya: sone ki khaan?!?!
Arjun: iska matlab inhone hi yaha par afwaaye failayi hai aur logon ko pareshaan kiya hai taaki koi aaspaas na aaye aur ye aaram se smuggling kar sake
Riya: ab kya karenge?
Arjun: Rathore ko inform karte hai
Riya apne pocket se chota camera nikal kar kuch photos evidence ke taur par collect karti hai
Arjun: yaha rehna theek nahi, waapis chalte hai. Taiyaari ke saath waapis aayenge
Riya nod karti hai. Arjun Riya ka haath pakadkar, alertly bina kisi ki nazar mein aaye waha se baahar guide karta hai. Dono firse gaav ki seema par pahunchte hai. Woh admi abhi bhi wahi par pehra de raha hai. Riya firse pathar uthane waali hai par Arjun use rokta hai
Arjun: nahi!!! Do baar ek hi chaal mat chalo, use shak ho jaayega
Riya: toh kya kare?
Arjun: yahi wait karte hai, subah hone mein zyaada der nahi hai. Uske jaane ke baad chale jaayenge.
Riya: par agar tab tak usne hume dekh liya toh
Arjun soch mein chala jata hai, fir achanak Riya ko parallely thodi dur le jaata hai. Waha pehredaar nahi hai par ek unchi deewar hai.
Arjun: yaha se woh hume nahi dekh paayega.
Riya: hum deewar nahi chad sakte?
Arjun: agar us taraf koi hua toh?
Riya: hmmm...woh bhi hai.
Riya sigh karke idhar udhar dekhti hai. Use paas ke ped ke paas belon se bana ek jhula dikhta hai. Woh baithne ke liye uski taraf jaati hai. Arjun automatically use follow karta hai.
Riya jhule par baithti hai: yaha par itna sab kuch ho raha hai fir bhi kisi ko kuch pata kaise nahi chala?
Arjun uske peeche khada hota hai: illegal mining karne waale bahot shaatir hote hai Riya, chaaron taraf se taiyaari karke hi apna kaam shuru karte hai.(jhule ko push karke) Yaha aaspaas jitne bhi gaav hai saare abhi bhi purane khayalaton ke hai, unke andhvishwas ka faayda uthakar ek kahaani daal di unke man mein bas...aur unka kaam ho gaya
Riya(jhulte hue): lekin fir bhi us aunty ne kaha tha ki jo waha par gaya laut kar nahi aaya, toh bhi unhe ajeeb nahi laga?
Arjun(firse push karke): yahi toh baat hai, unhe lagta tha ki jo bhi ho raha hai bhagwaan kar rahe hai, fir unke saamne kaun jaayega
Riya realize karke nod karti hai. Arjun normally hi use jhula, jhoola raha hai, Riya bhi enjoy kar rahi hai. Dono mein se koi bhi is baat ko realize nahi kar raha hai ki woh kya kar rahe hai...dheere dheere light hone lagti hai, ek disha mein se suraj ki kirne aane lagti hai, panchi gaane lagte hai, dono apne environment mein kho jaate hai.
Gaav mein se chahel pahel ki awaazon se dono presence mein aate hai. Arjun automatically ruk jaata hai tab jaakar dono ko realize hota hai ki Arjun Riya ko jhula raha tha. Dono chouk kar ek dusre ko dekhte hai.
Arjun: chale?
Riya halke se nod karti hai. Dono kisi tarah logon ki nazron se bachkar waapis ghar jaate hai. Arjun Sameer ko call karta hai...dusri taraf Sameer abhi abhi apne alarm se utha hai isliye annoyed hai.
Sameer: Kya Hai ???
Arjun: are case hai aur kya hai?
Riya use speaker par rakhne ka ishara karti hai, Arjun phone table par rakhta hai
Sameer: Kaunsa Case ?? Kaha Ka Case? Mujhe Koi Case- Wase Nahi Pata!!!
Dono confuse hote hai.
Riya: sir Aapne hume Surya Nagar bheja tha uska case
Riya ki awaaz sunkar Sameer formal ho jaata hai
Sameer: are Riya! ha woh yaad aaya I'm sorry I just woke up! Isliye dhyaan nahi tha, how are you?
Riya: I'm fine sir aap kaise hai aur baakhi sab?
Sameer: sab theek hai Riya, bas tumhare aane ki der hai
Riya smile karti hai: bas aa hi rahi hun sir, hume pata chal gaya ki kisne yaha par nuisance create karke rakha hai
Sameer: pata chal gaya? That was fast! Good job!
Riya: thank you sir!
Arjun dono ko glare kar raha hai...nahi Sameer ko nahi Sameer ki awaaz ko jo phone se nikal rahi hai, Sameer ko kaise kar sakta hai? Mumbai mein baitha hai
Arjun(sternly): tum dono ki faltu baatein ho gayi?
Riya jump karke nazre chura leti hai
Sameer: Arjun!! Ise faaltu baatein sirf teri hi bhaasha mein bolte hai you know ajeeb praaniyon ki bhaasha mein (Riya ki hasi nikalti hai, Arjun ki glare se woh apne muh par haath rakh leti hai) hum normal log aise hi baat karte hai samjhe Mr. kuch toh chut raha hai?
Arjun: oh shut up! Tumhe information chahiye na nahi?
Sameer: sach bolu toh kuch din bina tujhse behas karne ka bahot man hai lekin fir bichari Riya ko tere saath akela nahi chod sakta main...isliye bol
Arjun eyes roll karta hai: toh suniye SIR! Yaha par illegal mining chal rahi hai
Sameer(confused): mining? Kis cheez ki? Waha aaspaas koi official mine bhi nahi hai? Inhe kaha se mil gayi?
Arjun: woh sab mujhe nahi pata...lekin yaha gold mining ho rahi hai aur smuggle bhi ki jaa rahi hai
Sameer: theek hai! You both lay low, hum jald se jald taiyaari karke Surya Nagar pahunchte hai
Arjun: nahi! Surya Nagar ke 4 Km dur Chamunda Parvat hai jaha par ye sab ho raha hai, wahi milo, in logon ko sab khatam hone ke baad hi sab kuch pata chalna chahiye, ho sakta hai ki unke admi gaav par nazar rakhe ho
Sameer: okay! Hum paas aakar tumhe inform karenge, tum logon ke paas weapons toh haina?
Arjun: ha!
Sameer: fine!
Call disconnect
Riya: aapko kya lagta hai? Kya gaav mein se koi mila hua hoga?
Arjun: pata nahi Riya, ho bhi sakta hai aur nahi bhi, woh unke pakde jaane ke baad pata chal hi jaayega
Riya: hmm
Arjun: main fresh hokar aata hun
Riya: ji
Arjun room mein chala jaata hai aur idhar Riya ke pet mein chuhe daud rahe hai
Riya mv kaise insaan hai yeh? Inko bhuk kyun nahi lagti? Kal lunch mein bhi fruits khaye, dinner toh kiya hi nahi aur ab...ab chale gaye fresh hone!! Main kya karu?...kare unhe jo karna hai! Mujhe bhook lagi hai , kuch bana leti hun
Yeh sochte hue woh kitchen mein chali jaati hai, jo thode bahot ingredients hai unse dal rice bana deti hai.
Riya: kya karu? Arjun sir ko puchu? Khaana hi toh hai...puch hi leti hun
Riya baahar jaati hai, waha Arjun sofa par baithe phone mein kuch dekh raha hai.
Riya: aapko bhuk lagi hai? Kuch khaayenge?
Arjun: ab yeh mat kehna ki itni der se jo khushboo aa rahi hai woh khaana sirf tumne apne liye bana hai
Riya: kya?...nahi...woh...main...
Arjun: insaan hun mujhe bhi bhuk lagi hai
Riya: main khaana lagati hun. Aur bhag jaati hai...
451