Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 2nd September 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 2, 2025 Episode Discussion Thread
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 03 Sep 2025 EDT
ABHEERA IN JAIL 2.9
LIFE IN JAIL 3.9
What’s the upcoming track??
Bacha chor is such an incompetent lawyer🤦♀️
Mrunal Thakur Called Mean Girl
I wanted Abheera’s fate for Akshara
Anupamaa 02 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
In this gen Cliff wali legacy maut will not happen
Gen 5 - Posted on Saas Bahu Official Page
Finally a beauty queen who is star material!!
Real Woman Power Farhana
New Entry : Manit Joura
A Missed Opportunity
Arjun : hume manzoor hai!!!...
Riya gets beyond shocked, use yakeen nahi ho raha ki Arjun usse shaadi karne tak ko maan gaya. Arjun kuch had tak Riya ke emotions comprehend kar leta hai, par ye baat ab sirf case ki nahi hai unki jaan par ban aayi hai. woh firse kisi apne ko apne saamne marte hue nahi dekha sakta, woh Riya se nazre chura leta hai
Sarpanch: toh phir tay raha! Aaj raat hi undono ki shaadi hogi!! Aur tab tak...ladke tum! Mere ghar par rahoge aur ye ladki... Vaid ji ke ghar par, Ranjhana mausi ke nazar mein...Aur Ek Baat Dono Sun Lo Shaadi Se Pehle Tum Dono Ek Dusre Ko Nahi Miloge!!!!
Arjun, Riya halke se nod karne ke ilawa aur kuch nahi kar paate. Kallu abhi bhi dono ko shak se dekh raha hai lekin Sarpanch ke faisle ke aage kuch nahi keh sakta isliye apne admiyon ko dono ko chodne ka ishara karta hai.
Sarpanch ke orders par Arjun ko uske aur Riya ko vaid ji ke ghar le jaya jata hai. mandir mein shaadi ki taiyaariyan hoti hai. Ranjhana mausi Riya ko laal sari aur kuch gehne deti hai.
Riya : iski kya zaroorat hai aunty main...
Ranjhana: are beta, shaadi toh zindgi mein ek baar hoti hai aur dulhan ko toh aise sajna sawarna chahiye ki pati ko doodh ki zaroorat hi na pade
Dusri aunty: are mausi! Inki shaadi toh ho chuki hai...ab dusri baar thodi doodh ki zaroorat hogi?
Sari auratein hasne lagti hai, Riya tensely embarrassed smile deti hai
Riya mv " yaha maine do din se maggi ke ilawa kuch nahi khaya aur ye log dhoodh ki baat kar rahe hai? had hoti hai!! ekto pata nahi us hitler ke dimag mein kya chal raha hai? aur shaadi?...shaadi ke baad toh hum dono ek saath ek ghar mein!!!! Pata nahi Arjun sir mera kya haal karenge? Agar unhe is mein bhi mera dosh dikha toh?...nahi... nahi shadi ka idea toh us kallu ne diya aur ha bolne waale bhi woh the toh meri galti kaise? ...are lekin unke gusse ka kya bharosa? Hey bhagwaan!! Kaha fas gayi?? Kis gunaah ki saza de raha hai tu mujhe?
Ranjhana: are beta kaha kho gayi?
Riya presence mein aati hai: huh? Woh kuch nahi aunty bas aise hi
Ranjhana: oho! Idhar udhar ki baatein sochna chodo aur jaldi taiyaar ho jao
Riya half heartedly smile deti hai: ji!
Riya Ranjhana mausi ke kehne par taiyaar ho jaati hai. dusri taraf Sarpanch aur Kallu ke nazar mein Arjun bhi shaadi ke liye taiyaar ho jaata hai lekin uska man kahi aur hai.
Arjun mv "ye main kya kar raha hun? Riya se shaadi? Par aur kar bhi kya sakte hai...agar in logo ko humari asliyat pata chal gayi toh hum kabhi bhi is case ki teh tak nahi pahunch paayenge aur toh aur pata nahi ye log humaare saath kya karenge aur Riya? Nahi...maine Sameer ko promise kiya tha , main uska khayal rakhunga fir bhale hi mujhe uske liye kuch bhi karna pade... main firse uska bharosa nahi tutne dunga...but I promise you Roshni, mere dil mein tumhari jagah aur koi nahi le sakta
Muhurat ka samay hota hai. Arjun aur Riya dono ko mandir mein laaya jaata hai. Dono tensed hai. Pandit ke kehne par dono ko saath bithaya jaata hai.
[okay now! Mujhe sirf utni hi rasme pata hai jitni maine bollywood ki filmon mein dekhi hai...so pls bear with me]
Pandit mantra bolne shuru kar deta hai, ek ek karke rasme ki jaati hai. Arjun, Riya phere lete hai
Pandit: ab var, vadhu ke gale me mein mangalsutra pehnaaye
Arjun Riya ko mangalsutra pehanta hai...ek ek pal ke beetne se dono ki nervousness bad rahi hai bas fark itna hai ki Riya ka control thoda kam hai
Pandit: ab vadhu ki maang mein sindoor bhariye
Arjun chutki bhar sindoor leta hai aur Riya ki maang bharne ke liye uska haath aage badhte...Riya aakhir baar silent protest karne ki koshish karti hai ye mehsoos karke Arjun ka haath ek second ruk jaata hai...
Fir uske man mein Kallu aur Sarpanch ki baatein repeat hoti hai, automatically woh Riya ki laash envision karta hai...khoon se lat-pat aur woh khud Kallu ke admiyon ki giraft mein laachar...
Aur bas woh immediately Riya ki maang bhar deta hai, Riya ki dhadkan jaise ruk jaati hai...woh dheerese apni aankhein band kar ke fact ko accept karne ki koshish karti hai. Arjun use muh fer leta hai
Pandit aakhir ke kuch mantra padhta hai: Vivaah sampan hua!!!
Arjun back of the mind mein relief feel karta hai. Ab kisi ko bhi uske aur Riya se problem nahi hogi. Ab koi bhi Riya ka baal nahi baaka kar paayega...
Gaav ke logon ki insecurity bhi dur ho jaati hai, sab khushi khushi unhe unke ghar tak escort karte hai. Auratein Riya ko room mein le jaati hai aur purposefully bed par bitha kar haste hue baatein karti hui baahar chali jaati hai.
Baahar-
Arjun: ab toh hum yaha reh sakte hai na?
Sarpanch(smiling): be shak! Jab tak marzi ho tab tak! Hume koi aitraaz nahi hai. Aur uski peeth thap thapata hai
Arjun halfheartedly smile deta hai. Sab Arjun ko akela chod kar jaana shuru karte hai. Finally sabko bhej kar Arjun ghar ke darwaaza band karke lock kar deta hai...
Woh chain ki saans leta hai, pure ghar mein ajeeb si silence hai...ab uski nervousness firse aane lagti hai. Woh subconsciously kamre ki taraf glance karta hai. Use Riya se baat karne ki sakht zaroorat thi par kaise use samaj nahi aa raha tha
Arjun mv "pata nahi yeh kaise react karegi? Roegi? Ya fir gussa karegi? Ya fir dono?? Jo bhi kare...jaayaz hi toh hai. Maine use bina puche itna bada faisla le liya...aur agar team mein kisi ko pata chal gaya toh?
On the other hand, Riya ke dimag mein bhi kuch kuch aisa hi chal raha hai...
Riya ghunghat daal kar bed par baithi hui hai mv "ye sab kya ho raha hai, ye auntyiyaan mujhe yaha aise chod kar chalegi? ... Ha toh jaayegi hi na thodi raat bhar mere saath rukegi? Aur ye Arjun sir kidhar chale gaye...kya bolenge woh? Agar unhone gussa kiya toh? Lekin faisla toh unka tha...mujhe kyun gussa karenge? ...are lekin unka kya bharosa? Nahi...isse pehle ki woh kuch kahe main khud saari baatein clear kar dungi ...ha yahi sahi hai
Aise hi woh apne aap ko calm karne ki koshish karti hai. Kuch pal baad room ka darwaaza khulne se Riya us taraf mudti hai, Arjun enter karta hai
Riya (ghunghat utha kar): sab gaye?
Arjun: umm, ha... Isse pehle ki woh aur kuch bol paaye...
Riya (bed se uthte hue): Thank God! Mujhe toh lagne laga tha ki jaayenge hi nahi...
Arjun ko kya kehna pata nahi chalta
Riya: anyways... Main jau?. Aur jaane ke liye turn hoti hai
Arjun uska haath pakadta hai, Riya use questioning look deti haI
Arjun: mujhe tumse kuch baat karni hai..
Riya: sir main bahot thak gayi hun, change karke aau?
Arjun ek pal ke liye use rokne waala hai par fir ha mein nod karta hai
Riya almost bhag kar apne kamre mein chali jaati hai
Riya sigh karti hai mv "chalo kam se kam woh gusse mein toh nahi hai...acha hai, fatafat change kar leti hun
Woh washroom ki taraf jaa rahi hai ki achanak sheeshe ke saamne ruk jaati hai. apne aap ko dulhan ke roop mein dekh kar woh emotional ho jaati hai. ek ladki ki zindgi mein shaadi ki kya ehmiyat hoti hai yeh sirf ek ladki hi jaan sakti hai. har ladki ke man mein ek dabi hui icha hoti hai ki uski shaadi ek ache aur pyaar karne waale ladke ke saath ho. Ladki apna sab kuch chodkar ek naya ghar, naya pariwar apnati hai, us nayi zindgi mein uske Armaan aur umeedon ko sirf wahi jaan sakti hai.
Riya mv " ajeeb kismat hai meri, jisse pyaar kiya woh kabhi nahi mila, shaadi hui lekin fir bhi rishta nahi juda. Na chahte hue bhi uski aankhein nam ho jaati hai. kuch pal baad woh apne aapko compose karke change karti hai.
Arjun apni kashmakash mein hai, Riya ka intezaar karte hue kamre mein idhar se udhar ghum raha hai. achanak darwaaze par knock hota hai
Arjun(khud ko sambhal kar) : khula hai!
Riya dheerse enter karti hai:... kahiye sir, kya baat karna chahte the aap?
Arjun aage jaakar uske thode paas khada hota hai: Riya...woh ...darasal main, kehna... mera matlab (woh sigh karta hai) Riya...ye shaadi...
Riya (cheerful ban jaati hai): oho sir! Aap apni shadi mein khush hai aur main apne...umm...imaginary boyfriend ke saath. Aap Roshni ji se pyaar karo, aur main Rosaline bani pyaar karungi ok?
Arjun confuse hota hai: Rosaline?
Riya: are woh ...aapne literature mein Romeo Juliet nahi padhi?
Arjun (abhi bhi confused) negatively nod karta hai
Riya: Rosaline Romeo se pyaar karti thi aur Romeo...woh story toh pata haina?
Arjun halke se ha mein sar hilata hai
Riya: ha toh bas case khatam baat khatam ok?
Arjun thoda surprise hota hai: ok
Riya relief hoti hai: toh main...jau?
Arjun nod karta hai: good night
Riya: good night!. Aur apne kamre mein chali jaati hai.
Dono akele hokar relief mehsoos karte hai
Arjun mv "main khamakha hi dar raha tha, Riya samajti hai maine aisa kyun kiya...humesha ki tarah unknowingly uske chehre par halki smile aati hai aur bed ki taraf retire ho jaata hai
Riya sigh karti hai mv "chalo, ab kam se kam koi awkwardness toh nahi hogi, ab bas jaldi se ye case khatam ho aur hum dono firse Mumbai jaakar normal ho jaaye...bas office mein kisi ko pata na chale ki humne asli shaadi kar li hai
Agle din-
Arjun aur Riya dono dining table par baithe case discuss kar rahe hai.
Riya: Ye jo bhi kuch ho raha hai sab pattern mein ho raha hai...matlab kuch hi routes aise hai jaha par tourist k pareshaan karke unhe bhagaya jaata hai
Arjun: yahase paas mein hai?
Riya: utna paas nahi hai lekin dur bhi nahi hai,
Arjun map check karta hai: ye jagah saari aisi hai jahase jungle ke interior mein jaa sakte hai aur ye gaav bhi aise hi ek route par aata hai
Riya: matlab?
Arjun: matlab jo bhi ho raha hai, jungle ke andar ho raha hai
Riya: land mafia?
Arjun: agar aisa hota toh gaav waale unki side nahi hote, agar maan le ki dar ki wajah se unhone kuch nahi bataya phir bhi jab force khud aayi toh unse protection aur madad dono le sakte the
Riya: aur kya ho sakta hai?
Arjun: yahi toh pata karna hai hume, ek kaam karo! Gaav mein jaakar auraton se pata karne ki koshish karo ki ye chakkar hai kya?
Riya: theek hai.
Riya jaane ke liye uthti hai, achank Arjun uska haath pakad leta hai
Riya(confused): kya hua?
Arjun's eyes are just fixed on her face as he gets up. Softly tucking her hair behind the ear, adding to her confusion, he sees a red mark on her cheek. His hand automatically moves to her cheek and she realizes what had intrigued him.
Arjun: ye nishaan?...(remembering the previous day's events, an anger build up inside him) Kallu!!! Chodunga Nahi Main Use!!! He is about to go when Riya hold his hand to stop him
Riya: Arjun nahi...
Arjun(angrily): Kya Nahi?? How Dare He Touch You?...
Riya: Arjun please baat ko samajhne ki koshish kijiye, hume abhi case par dhyaan dena hai aur agar aapke waha jaane se firse koi bakheda khada ho gaya toh?
Arjun use glare karta hai
Riya: please ...ye sab toh baad mein bhi ho sakta haina
Arjun gusse mein apna haath chuda kar room mein chala jaata hai, aur apne peeche Darwaaza bang karta hai. Riya sigh karti hai aur fir information nikaalne ke liye jaati hai.
Riya mv "kisse puchungi? Aur kya puchungi?(kuch sochkar) mandir chali jaati hun waha toh auratein mil hi jaayengi
Riya taiyaar hokar gaav ke mandir mein pahunchti hai. Waha use Ranjhana mausi milti hai.
Mausi: are kaisi ho beti?
Riya: main theek hun aunty aap kaisi hai?
Ek dusri aurat: are mausi kaisa sawaal hai, dusri shaadi hui hai pati ke saath khush hi hogi haina beti?
Riya mv "oh god!! woh upar se smile karti hai
Mausi: are chup Shalini! Kal se tang kar rahi hai bichari ko
Shalini bas jawab mein hasti hai
Riya: umm... Aunty, darsal hum na yaha ghumne aaye the, aapko yaha paas mein koi jagah pata hai jaha hum jaa sake?
Shalini: are ghumne ke liye toh pura jungle hai beti, jaha jaan hai jao! Par...
Riya: par?
Mausi: par (ek direction mein upar point karke) Chamunda parvat ke aaspaas bhi mat bhatakna
Riya: kyun?
Shalini: waha Chamunda Maa ka vaas hai aur unhe kisi bhi tarah ki koi bhi ashaanti nahi pasand!!
Mausi: ha aur agar koi waha jaata hai toh laut kar kabhi waapis nahi aata
Shalini: aajkal, shehri logon ka aana jaana bahot badh gaya hai parvat ke paas, isse maa naraaz ho jaati hai aur isliye unke saath kayi baar haadse bhi hote hai
Riya: haadse?
Mausi: ha hadse! Issi chakkar mein ek baar thanedaar bhi aaye the shehar se lekin humne unhe jaane hi nahi diya
Shalini: aur nahi toh kya? Unke chakkar mein agar maa humse naraaz ho gayi aur hum par apna prakop barsa diya toh humara toh hasta khelta gaav ujad jaayega
Mausi: isliye keh rahe hai Chamunda Parvat se dur rehna...maa ka aashirwaad rahega!
Riya nod karti hai
Mausi: acha toh hum chalte hai, chal Shalini!
Dono chali jaati hai.
Riya mv "ho na ho yeh chakkar is Chamunda parvat ka hi hai...
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Hey there guys! I'm looking for a story with Ariya. I'm not sure if it was a SS or FF. It goes something like this. Riya took Xora and was...
Case of the Heart The usual crispness of the ETF office was tainted that morning by a peculiar scent — no, not coffee. Tension. Unspoken, oddly...
Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...
451