Bigg Boss 19 Daily Discussion Thread ~ 5th Sept, 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 05 Sep 2025 EDT
MAIRAs REJECTION 4.9
GEETU vs MAIRA 5.9
Kyunki Saas Bhi Kabhi Bahu Thi 2: EDT # 2
Writers: Mad Dreamers or Silent Sages?
Maira Armaan Poddar
Akshara’s karma
🏆ANUPAMA WINS dance contest !!🏆
Alia is new global brand ambassador of Levis
Should Janhvi Kapoor Get Married And Quit Acting
My Box Office Predictions for Baaghi 4
A clean-shaven Ranveer spotted at the airport
Priyanka actually deserved more from BW. Robbed twice!
The most successful jodi in history of BW!
Alia recent clicks
Happy Ending Kumkum Bhagya
SRKs looks for King
💕💜Somewhere Over the Rainbow #43 With Prats in our hearts 💜💕
Arjun phone side par rakhkar khaane ke liye settle hota hai. Riya khaana laati hai aur Arjun ko serve karti hai. Dono khaana shuru karte hai
Arjun(Surprised): ye.. ye tumne banaya?
Riya(worried): ji...kyun? kuch gadbad hai kya?
Arjun: gadbad? Barso ho gaye mujhe aise khaana khaaye, mujhe nahi pata tha tum itna acha khaana banati ho
Riya khush hoti hai: thank you!
Dono pet bhar khaate hai. Aur apni raat ki neend puri karte hai. Kuch ghante baad Rathore call karta hai. Arjun phone speaker par rakhta hai.
Arjun: bol!
Sameer: hum on the way hai puri force ke saath tum dono hume Surya Nagar ke baahar jungle mein hume milo
Arjun: theek hai, hum pahunchte hai
Sameer: see you!
Arjun: not interested!
Call disconnect
Sameer mv "hitler!
Riya: aapne aisa kyun kiya?
Arjun: kya kyun kiya?
Riya: Rathore sir ne see you bola aur aapne aise jawab diya
Arjun: usi layak hai woh
Riya: usi layak hai? For your kind information woh aapse 100 guna behtar hai
Arjun: excuse me? What do you mean by mujhse 100 guna better hai
Riya: you are excused and I mean exactly what you heard!
Arjun ko Riya ke muh se Rathore ki Tareef sunkar gussa aata hai: tumhe kis angle se woh mujhse behtar lagta hai?
Riya: har angle se
Arjun: What?!?!
Riya(firmly): ji ha!
Arjun ko kya kehna pata nahi chalta
Riya: unka nature aapse zyaada soft hai, woh bina baat ke gusse nahi karte, sabki baat maante hai, humesha gentleman ki tarah behave karte hai aur...
Arjun use all the while glare kar raha hai: Riya! Tum ek kaam karo...agli report case par nahi balki apne Rathore sir par likh lena
Riya: ye toh not possible, uske liye toh mujhe pages kam pad jaayenge
Arjun kisi tarah khud ko control karta hai: Toh Theek Hai! Yaha Baithkar Apne Sir Ki Tareefon Ke Pul Baandho Main Jaa Raha Hun! Aur door ki taraf jaati hai
Riya(horrified): nahi rukiye patidev mujhe chod kar mat jaayiye!!
Arjun aankhein badi karke use dekhta hai: kya?
Riya thoda dar kar wince karti hai: mera matlab...main bhi aati hun, mujhe...main...
Najaane kyun Riya ke use patidev bolne se uska gussa shaant ho jaata hai, woh disbelief mein sar hilata hai: chalo!
Riya relieve hokar use follow karti hai. Arjun aur Riya dono gaav ke baahar ke jungle mein jaate hai. Kuch der baad Rathore waha force ke saath pahunchte hai. Riya apne doston ko dekhkar khush hoti hai. Rathore aur Arjun puri force ko instructions dete hai. Sab puri taiyaari karke Chamunda Parvat pahunchte hai.
Waha ke log, puri Force ko dekhkar chauk jaate hai. Chaaron taraf bhag dhad mach jaati hai. Mazduron ke beech kuch gunde bhi hai. Woh firing kar rahe hai, force bhi unke saath jee jaan se ladti hai. Kuch der mein ETF puri tarah se scene ko apne control mein le aati hai.
Rathore: good job team!!!
Shree: sir! Ye saare mazdur aaspaas ke gaav ke hai
Riya: ha sir! Us gaav ki aunty ne bhi kaha tha, ki yaha jo aata hai woh waapis laut kar nahi aata shayad ye log wahi hai
Rathore nod karta hai: sabke statements lekar unhe apne ghar pahunchao!
Sab waha ki formalities puri karte hai
Chotu: chalo ye case bhi khatam ho gaya!
Shree: ha ab back to home sweet home haina Ri?
Riya: ha!!
Arjun: saaman kaun lega?
Riya: ha toh uske baad toh waapis hi jaana hai thodi wahi jaa kar bas jaana hai
Arjun use glare karta hai, Sameer smile karta hai
Sameer: hum bhi tumhare saath chalte hai, waha ke bhi kaafi saare mazdur hai
Arjun bina kuch bole waha se chala jaata hai
Ayesha: wow Riya! Tumne impossible ko possible kar diya
Riya use questioning look deti hai
Liza: are tumne Arjun sir!! Ki mangetar bankar dikha diya...ye koi achievement se kam thodi hai?
Riya ko firse unki shaadi yaad aati hai, woh koi jawab nahi deti hai
Shree use hilata hai: oye? Kaha kho gayi?
Riya presence mein aati hai: kuch nahi...bas aise hi
Sameer: chalo chalte hai...warna kahi aisa na ho ki Arjun hume chodkar shehar ki taraf bhi chala jaaye aur hum gaav mein use dhundhte rahe
Sab haste hai. Dusri taraf Surya Nagar mein sabko situation ke baare mein pata chalta hai. Woh apne gayab hue gaav waasiyon ko dekhkar celebrate kar rahe hai. ETF unke saamne jaati hai. Sarpanch unka swaagat karta hai.
Sarpanch: aapka bahot-bahot shukriya, aaj aapki wajah se humare khoye hue log hume waapis mil gaye, warna humne toh aas hi chod di thi.
Sameer: ye humara farz hai Sarpanch ji
Kallu Arjun aur Riya ko dekhkar choukta hai Sarpanch ka dhyaan unki taraf batata hai
Kallu: tum dono?? Tum dono inke saath kya kar rahe ho?
Arjun use glare karta hai
Sameer: woh dono bhi ETF officers hai
Sab yeh sunkar shock ho jaate hai
Sarpanch: iska matlab yeh dono pati patni nahi hai???
Riya darkar Arjun ka haath pakadti hai,
Idhar ETF bhi confuse hoti hai mv "pati patni?
Arjun(sternly): apne kaam se kaam rakho!!! Puch tach karne ka kaam humara hai tumhara nahi! Log mil gaye hai toh unhe ghar lekar jaao! (Sameer se) hum saaman lekar aate hai (Sameer nod karta hai) chalo Riya!
Riya Kallu aur Sarpanch ki taraf nervously glance karti hai, fir Arjun ko follow karti hai.
Sameer: uski baton par zyaada gaur na kare, uski zubaan kadvi hai dil nahi
Sarpanch nod karta hai(haath jodkar): hum chalte hai
Sameer nod karta hai.
Woh log chale jaate hai. Dusri taraf Arjun aur Riya Karamchand ke ghar pahunchte hai
Riya(nervously): hum aise kyun aa gaye...agar un logon ne sabko bata diya ki humari sach mein shaadi...
Arjun use shoulders se pakadta hai: aisa kuch nahi hoga Riya...woh log kisi ko kuch nahi batayenge
Riya: lekin agar bata diya toh? Aap ...
Arjun: woh nahi kahenge Riya...trust me!
Riya(worried): par...
Arjun(uske face ko cup karke): Riya!...trust me
Riya nod karti hai, Arjun smile karta hai. Dono apna saaman lete hai aur ghar lock karte hai. Chalte hue gaav ki seema par jaa rahe hai, Achanak Arjun Riya ka haath pakadkar use gali mein turn karta hai
Riya: sir! Ye galat raasta hai
Arjun: ye bilcul sahi raasta hai. Aur use Sarpanch ke ghar le jaata hai.
Riya confuse hoti hai: hum yaha kyun aaye hai?
Arjun: chalo!
Waha Sarpanch khatiya par baithe hai, kallu unke pair ke paas baitha hai. Uske aadmi aaspaas khade hai. Unke beech bhi wahi baat cheet chal rahi hai
Kallu: dekha Sarpanch ji maine aapse pehle hi kaha tha ki woh Ladka aur Ladki kuch theek nahi hai
Sarpanch: dekho Kallu...
Uski nazar darwaaze par khade Arjun aur Riya par jaati hai. Arjun Riya ka haath pakadkar use andar le aata hai. Woh dono ko furiously dekh raha hai. Riya bhi confused hai...Arjun aage jaakar Kallu ko collar se pakad kar khada karta hai aur isse pehle ki koi kuch register kar sake Arjun use zordaar punch maarta hai. Kallu stumble karke peeche girta hai. Sab choukte hai.
Arjun use dhanadhan maarne lagta hai: Tumhari Himmat Kaise Hui Use Haath Lagane Ki!!!!
Kallu ke admi use rokne ke liye aage aate hai.
Riya(tensed): Sir! Peeche!!
Lekin Arjun ek ek punch se ek ek admi ko maar gira raha hai. Arjun par jaise khoon sawar hai...woh ek admi se uski laathi cheen kar uske sar par maarta hai
Arjun(furiously): AGAR KISINE BHI BEECH MEIN AANE KI KOSHISH KI TOH APNI JAAN GAVAAYGA!!!!
Use is tarah dekhkar kisi ki aage badhne ki himmat nahi hoti. Arjun kallu ko gale se pakad kar Riya ke pairon par girata hai. Riya startle hokar ek step peeche leti hai.
Arjun: PAIR PAKAD! AUR MAAFI MAANG!!!
Kallu ke muh aur naak se khoon beh raha hai, kam se kam 6 haddiyan tod chuka hai Arjun uski. Woh bina protest kiye Arjun ki baat maanta hai
Kallu(haath jodkar weakly): mujhe maaf kar do!!
Arjun: PAIR PAKAD!!!!!
Kallu Riya ke pair pakadta hai: mujhe maaf kardo!!
Riya Arjun ko glance karti hai, Arjun nod karta hai. Riya stern hokar kallu ko kick karti hai! Kallu zameen par roll hota hai. Riya use collar se pakadkar uthati hai
Riya(sternly): Agli Baar Kisi Bhi Ladki Ko Haath Lagane Se Pehle Ise Zaroor Yaad Kar Lena. Kehkar Use Thapad Maarti Hai.
Us force se kallu zameen par gir jaata hai. Arjun satisfactorily use dekhta hai. Sarpanch aur Kallu ke admi uski madad karne ke liye daudte hai. Arjun Riya ko lekar wahase chala jaata hai. Dono ETF ke paas waapis pahunchte hai.
Sameer unhe suspiciously dekhta hai: Riya! Ye gaav waale tum dono ko pati patni kyun keh rahe the?
Riya nervous feel karti: woh...sir...
Use samaj nahi aata ki Sameer ko kya jawab de?
Arjun: inki soch bahot pichdi hui hai Sameer, pehli baar baat hui tab hi pata chal gaya hume isliye maine unhe kaha ki hum pati patni hai taaki humare waha rehne se koi problem create na ho
Riya uski ha mein ha milati hai: ha sir... Hume nahi laga ki woh bina shaadi ke kisi ladka aur ladki ko ek saath rehte hue dekh kar normal rahenge, aur ho sakta tha ki hum unse koi information hi na nikal paaye
Sameer nod karta hai: hmm...never mind, let's go home!
Puri team Mumbai return hoti hai. Rathore agle din sabko late aane ki permission deta hai. Isliye sab apne time se aaram se aa rahe hai. Koi aaspaas nahi yeh dekhkar Riya Arjun ke paas jaati hai.
Arjun's cabin
Arjun is calmly reading a file when a knock disturbs his concentration.
Arjun: come in
Riya enters and sits in a chair across him. He gestures her to speak.
Riya: main aapko thank you kehne ke liye aayi thi, kal ke liye...rather Kallu ke liye
Arjun: tumhari jagah agar koi aur hota toh bhi main yahi karta Riya, koi ehsaan nahi kiya maine tum par
Riya: jaanti hun aur agar meri jagah koi aur hota toh woh bhi aapko thank you hi kehta, use common courtesy kehte hai
Arjun raises hi eyebrow: excuse me?
Riya smiles: you are excused...bye!
And before he could register anything else, she walks past the door and out of his cabin.
Arjun mv "ajeeb ladki hai
Ignoring her he continues to focus on his file.
A few hours go by. The girls are working while simultaneously having a girly chat about something or the other in conference room. It was when the Chief entered that they turned silent.
Rathore: ye kya? Shree aur Chotu nahi aaye abhi tak?
The girls nodded negatively
Riya tries to explain: sir shayad kahi fas gaye honge...aate hi honge
Rathore: Riya please unhe bachane ki koshish mat karo...
He was interrupted by a giggling and chatter of his two missing juniors who were making their way inside. Seeing Rathore in an authoritative mode, they immediately attained attention.
Rathore(sternly): welcome! Bada jaldi aa gaye? Abhi toh lunch time baakhi hai uske baad hi aate hai...
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Hey there guys! I'm looking for a story with Ariya. I'm not sure if it was a SS or FF. It goes something like this. Riya took Xora and was...
Case of the Heart The usual crispness of the ETF office was tainted that morning by a peculiar scent — no, not coffee. Tension. Unspoken, oddly...
Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...
451