Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 26th August 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai August 26, 2025 Episode Discussion Thread
AFTER MATHh. 26.8
A study On Mrs Geetanjali Armaan Poddar
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 27 Aug 2025 EDT
Jhanak Written Update And Episode Discussion thread No "124"
Navri - The Hawasi Mistress
IMDB's most beautiful actresses in the world. Kriti & Hania in top 10
🇮🇳 Big News for IndiaForums Members! 🇮🇳
Punishment to kill one or five is same
Who killed Anshuman; mara kaise ?
How do you do this?
Maza nahi aaya😒
Suniel Shetty Looses Cool On Stage
Vicky Kaushal’s Mahavatar postponed to 2027
Kumkum Bhagya New Season BC ~ Results
Sunita Ahuja Claims Her Son Doing Better Film Than Saiyaara
Bollywood Wants Bootlicker's - Nadiadwala Grandson Sends Legal Notice
Alia Bhatt Slams Media For Sharing Video Of Her House
Pari should be sent to jail
Originally posted by: shravyarao
Hey love your story :) such a command on the pace yaar, i mean u know when to highlight which character, and what to bring in to get the right emotions. I absolutely loved how you dealt with things for naina, the breakdown scene of sameer infront of her house seeing her crying was damn!!
it was so touching, i adored the connection between naina and vishaka such a sweet bond they had developed in a short time. I would love if it was shown in the show though. But can i say something, it's just a request though, if u don't mind that is.. i would love, if u add more english to it, it is sometimes difficult to follow for some of us, if the whole thing is in hindi. I kinda mess up reading and understanding. Just describe in english and let the dialogues be in hindi itself. I hope you will understand. It's such a beautiful story and i want to read more.
Part 6: Mission Arjunbhiya: The planning stage
The whole gang in the college is enjoying a free lecture, as JBR is absent today. Kamya and Hema decide to go and check out the near by store for shopping while the rest of the gang is sitting around in the class.
Sameer (S) is quiet and thinking about something and Naina (N) notices it.
N: S kya hua kab se dekh rahi hoon tum chup chup ho? Koi pareshani hain? Ya maa ke jaane ka ghum hain?
S- N ke muuh sey mummy ko maa kehte hue sun ke bahout khus hua (flashback the house- temple scene where V asks N to call her maa and not aunty): N tumhare muuh se maa to bahout his pyara lagraha hain, main bayan nahin kar pa raha hoon mein aaj kitna khush hoon. S dheere sey N ka haat pe aapna haat rakh deta hain.
N: Sameer sach kahoon unhe maa kehne ki khushi jo mein feel kar rahi hoon vo to shayad tum bhi feel nahin kar sakte.. tum tabhi yeh khushi jaan paaooge jab tum mere papa ko ... Rakesh Sir nahin dil sey Papa kahoge...
S: yeh sun ke shocked ho gaya...N ne sahi kaha that jo shabd maine kabhi apni zindagi mein nahin pukara vo rishta achanak se aapke saamne aa jaye to aap kaise surprised aur shocked ho jate hain vahin haal mera that jab N ne kahan Rakesh Sir ko papa bulana hoga ek din.
S: N baat to tumhari sahi hain aur mein isi baarein mein soch raha hoon aur thoda pareshan hoon ki tumhari family ko hm kaise manayen ge...kya mein achanak se ghar pe aajaoon aur sab ko ek saath batadoon? Ya mama ke saath aaoon aur baat karoon ya pehle chachaji ko mil ke apne man ki baat rakhoon fir sab se kahoon.. Jab se mummy ne mujhe ye kahan hain ki mujhe ab tumahri family ko jald se jald manana hain to mein usi ke barein mein soch raha hoon.
N: S yeh to maine socha hi nahin ke hum kaise unko manayenge. Kyun na sab doston ko bhi puche aur unki bhi raay le, shayad sab saath mein baat karenge to koi na koi raasta nikal hi aayega, kya kehte ho?
S: hmmm yeh baat bhi sach hain aur un sabko batana bhi hain ki mummy ne agle saal hamari shaadi karne ka faisla bhi liya hain..
Yeh sunte hi dono hi sharma jaate hain...Sameer Naina ke haath ko aapne haath mein leke .. aab in haatoon mein mere naam ki mehendi lage gi.. ( flashback to pujadidi mehendi ceremony where Preety writes S initial on N hand ).
N sharma jaati hain aur haath chudake bhaag ti hain.. aur S uske piche hanste hue bhaag ta hain.. aur dono shaadi ke ehsaas mein thode waqt ke liye kho jaate hain.. tabhi unhe cheekhne chillane ki awaz sunai deti hain aur vo turant bhaagte hain class mein.. jahan Kartik aur Priyank ka ladai jhagda Munna (M) Pandit (PT) ke saath ho raha tha. S beech mein aake unko rok ta hain.. aur Karthik ko warn karta hain.. agar mere namaujoodgi ( absence) mein tumne kabhi bhi in dono ko haath lagane ki sochi bhi to mujhse bura koi nahin hoga... Priyank Karthik ko pull karke wahan se le jata hainyeh keh ke in logon ko kabhi aur dekh lenge.
S aur gang bhi wahan se chali jati hain. Tabhi vo N ki aur dekh ke use ishare mein kehta hain ki hum logon ko shadi ki baat in sab se keh deni chahiye. N aankhon se haa kehti hain.
Sameer (S): doston aaj hamein tum logon se ek zaroori baat karni hain. They all decide to go to Red rose restaurant and talk as classroom was full of commotion and they cant talk in front of the whole class.
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Red Rose Restaurant:
M, PT,Swati (ST), Preety( P) sab ek saath bolte hain... S batao na kya baat hain? N tumhi bata do? Aisa suspense kyun bana ke rakaha hain.. hum sab ka to dil hi baitha jaa raha hain...
S and N dono ek dusare ko dekhke sab ki aur dekh te hain- ek dusare ka haath pakad ke kehte hain ki: Vo mummy ney ek faisla liya hain jo hum dono ko tum sab ko batana hain.. aur vo chup ho jaate hain..
Sab logon ke muuh pe baara baja jate hain... M: yaar S aisi kya baat ho gayi .. mausi kutch naraaz hain kya.. subh to sab thik tha... PT: haan yaar S jab ghar se nikle the to aunty kafi khush lag rahi thi to achanak aisi serious baat kyun kar raha hain? P aur ST bhi naina ko nudge karte hue puchte hain . ki kya baat hui hain?
S: arey arey ghabrao mattum sab jaisa soch rahe ho aisa kutch bhi nahin hain... Mummy jaate waqt bahut khush thi.. aur unhone Naina ko pure man se swikaar kiya hain aur unhone yeh bhi kahan hain ki N ke alawa meri zindagi mein vo ab kisi aur ko nahin dekh sakti.. aur isi liye unhone faisla liya hain kay aagle saal College khatam hote hi vo ... vo... ummm vo... and he looks around to see all of their expressions..
M, PT, ST and P saath mein: kya ummm kya hain agle saal.. S aisa kya kar rahe ho.. batao na..
S: Vo agle saal college khatama hote hi ... hamari shaadi kar dena chahti hain... and he pauses to see the expressions on their faces..
There is pin drop silence at the news.. the whole gang don't know how to react... sab kay mooh khule ke khule hi reh jaate hain... and S and N are enjoying this moment of tease...
M and PT break the silence first and hug Sameer and twirl around in happiness... and sing " aaj meri yaar ki shaadi hain... aaj meri yaar ki shaadi hain flashback shown ( to the day after pujadid wedding when M and PT come to S home singing that and dancing- to say they are practicing for his wedding ).
P and ST are also elated.. and they hug Naina and say hum dono bahut khush hain ki jis sapne ke liye tum dono ne aur hum sabne itne papad bele hain..vo finally sakar hone wala hain. They are super happy and they are twirling around as well.
Both groups come back together and S says: doston ye to tay hain ki agle saal shaadi hain par abhi hamare papad belne ke din khatma nahi hue.. aur sab wapis shocked ho jate hain.. when they realize what he is saying..hmmm kyunki agle papad jo belne hain vo to aaj ke phele sab papad key baap hoga.( Its true that we are getting married next year but our struggle time is not done yet- bcoz ahead we have much tougher time to face)
N: sahi kahan S tumne kyunki vo meri family ko manane ka lohe ke chane se bana hua papad hain...aur ab hum sab ko sochana hain ki yeh lohe ke chane kaise nigal sakte hain...
Yeh sunke sabke hosh ud gaye.. kyunki vo sab jaan te hain ke.. N ki family ko manana namumkeen to nahin tha par vo assan bhi nahin hoga... tabhi S aur N ek shaayari kehte hain: yeh ishk nahin aasan, ek aag ka dariya hain.. aur hum sabko saath mein milke ... vijeyta banke is ko paar karna hain...
And they all do a group hand shakes by putting hand on Sameer's hand and saying loudly: "Sameer Naina ki shaadi
S: to ab hamein yeh sochana hain ki kis se aur kaise iski shurvat karein...tabhi S kin azar bulletin board pe girti hain.. jis pe ek flyer laga hua hain " Inter Collegiate cricket competition to be held in VJN in two weeks.
Yeh dekh te hi.. S ka dimag daudne lagta hain aur vo sab ko bata hain... doston.. hamein bhagwan se ishar mil chuka hain.. Vo dekho.. aur sab us flyer ko dekhte hain.. aur ek saath bolte hain.. Cricket competition matlab... Arjun (A) bhaiya...
N aur S dono ek dusare ko dekhte hain.. aur S ishare se N ko puchta hain.. yeh sahi hoga ya nahin? N thodi ghabrai jati hain Arjunbhaiya ka naam sunke.. par S ko dekh ke vo haami dehi deti hain.
S: to ab tay raha.. sab se pehle hum A ko aapne team mein shaamil karenge. Aur is ke liye hamein principal mam se baat karke kisi bhi haal mein A ko apne college ke team ke coach ke roop mein unka selection karvana hain. Vaisai bhi vo college khatma karke aajkal cricket pe pura dhayan de rahe hain.. aur unhone apni coaching classes bhi shuru ki hain to ...ab kisi bhi tarike se unhe VJN ka cricket coach kay position pe select karwana hain.
N is sab mein S ko dekh rahi thi aur garv mehsoos kar rahi thi ki vo bas mera hain aur Arjunbhaiya ko saath karne ki jo tarkib sochi thi usmein na to sirf hamara par unki bhi khushi chupi hui thi. Arjun bhaiya pe paise kamane ka jo papa ka pressure hain, agar vo VJN ke cricket coach ban jaate hain to unhe paise bhi acche milenge aur unki coaching classes ka naam bhi mashhoor ho jayega... aur yahi soch ke vo S ko ek baar dekh ti hain.. jo sab ke saath baat kar raha tha ki vo kaise unhe apni team mein shaamil karega. ( N looking at S and feeling proud that this plan is not only good for them but for A too. He is under pressure to earn money becoz of dad and if he gets this job , it would really be good as he won't have to worry about the money as the university would pay him good money)
S ne usi waqt N ko dekha aur samaj gaya ki vo is tarkib se bahout khush hain .
S: to kaal se hamare plan ki shuruvaat hogi.. iske do pehlu honge... ek: principal mam ko mana Do: N ko Arjun bhaiya ko kaise bhi tarah cricket coach ke applicatation pe unke dastakhat ( signature) lene. Phele mein jaake Sports teacher se puchta hoon ke cricket coach ka selection process kya hain.. aur mein khud cricket team mein hoon to shayad main aasani se unka selection karva bhi doo. N tum yaad se arjun bhaiya se vo form sign aaj hi karvana lena.. taki hum kal hi usey submit karde. Cricket match mein abhi 2 hafte hain..to hum ek bhi din waste nahi kar sakte. Aur practice ke dauran mein Arjun ke nazdeek aane ki koshish karoonga taki voh mujhe acche se samaj sake aur competition ke baad hum unhe mere aur N ke bare mein bata denge..Kisi ko koi sawal?
P: wah jijaji aapne to ek dum dhaansu idea nikala hain.. bhai maan gaye aapko..wah wah...
S: Thank you saliji.. ab bas sab sahi se ho jaye.
M and PT: arey yaar tu tension mat le.. hum sab tere saath hain..to fail hone ka to sawal hi paida hi nahin hota..
S: ok ab mein sports teacher ke paas jaata hoon aur tum sab class mein mera intezaar karo.
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Class mein:
S aata hain aur sabko batata hain ke mein cricket coach ke selection ka form laya hoon.. N tun yeh le jaao aur sign karva ke le ana.
Sports teacher ne kahan.. kal aakhari date hain form submit karne ki aur unh ek aur teacher ka application mila hain to kal hi vo shayad decide kar lange in dono mein se kaun banega VJN ka cricket coach. Maine unsey pucha kiska application aaya hain.. unhone kahan vo ex VJN student hain is liye principal mam thodi uske favor mein hain...
Sab yahi soch ne lage.. ke vo kaun hoga...S : aaj sham ko practice mein vo anewala hain to maloom ho hi jayega .. dekhte hain vo kaun hain...
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Shaam ko VJN Cricket ground mein:
S cricket gear mein ready aur munna pandit bhi uske saath hain. Tabhi wahan Karthik aur Priyank bhi aate hain cricket gear mein.
Aur sab ek dusare ko tashan dete hain... Inka tashan Freshers's party se jo chala hain vo abhi bhi jaari hain..
Tabhi wahn sports teacher aate hain aur sab se kehte hain Inter college cricket completion ke liye cricket coach ka selection karne wale hain aur us ke liye ek application aayi hain aur kal aakhri tarikha hain.. aaj humne us ek applicant ko yahan bulaya hain taki agar kal hamein koi aur application nahin mili to inka selection pakka hain.. to ab mein usey bulata hoon...arey vo aa raha hain..
S aur sari team us aur dekhti hain... aur shocked ho jati hain... Vicky ko aate hue dekh... S ko college ke first din ragging se fresher's party se leke jo bhi Vicki ke saath tashan hue hain vo sab yaad aate hain ( flashback to S ragging and N ragging and S getting angry and Vicki not ready to change the order in freshers party)
S M aur PT ki tarf dekh ta hain aur soch ta hain ki ab yeh to aur bhi complicated ho gaya hain. Kyunki vo janta hain Pricipal mam Vicki ko bahut pasand karti hain aur vo Kathik ka cuz bhi hain aur Karthik to trustee ka navaza hain to shayad Vicki ka section pakka hain. Par vo haar nahin manega jab tak aakhari selection nahin ho jata. Bas ab kaise bhi N vo form le aaye.
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Naina's home
Arujn(A) is busy getting his kit ready for his classes and getting ready to leave.. Naina comes home and calls him out..
N: Arjun bhiya.. Arjun bhaiya.. kahan ho aap..
A: N kya hua .. mein yahan hoon kamre mein class ki tayari mein laga hoon. Kya hua aisai kyun chilla rahi ho..
N and P come in his room: N: Arjun bhaiya vo .. vo.. hamarein college mein " Inter collegiate Cricket competition hone wala hain aur hamari college ek coach ki talaash mein hain aura apse badhke aur kaun ho sakta hain is post kay liye, Is liye mein form leke aayi hoon, aap bas is pe apne dastakhat kardo mein ise kal principal mam ko de doongi.
Arjun gets thinking.. N: arey bhaiya kya soch rahe ho.. Itna accha mauka aap haath se mat jaane do.. iski wajah se aapke classes ka bhi naam upar ayega aur agar VJN jeet gayi aapke coaching ke niche to .. bas purey shahar mein aapka naam ho jayega..( N remembers this is exactly what S had told her to tell A to convince him to sign the form) and she smiles as she sees Arjun bhaiya considering signing it without a fight.
A: mujhe nahin lagta mein is kaabil hoon N. Maine abhi coaching classes shuru ki hain aur vo bhi school ke baccho ke liye aur college ke team ko sikhana alag hota hain.
P: Kya bhaiya ismein kya alag hota hain.. wahi balla aur wahi bol hoti hain.. aur kutch log bhaag rahe hote hain idhar udhar.. ab vo log school ke ho ya college ke.. kya farak pade ga...
A stares at P.. agar tumhein cricket ke barein mein kutch maloom nahin to tum apni raah apne pass hi rakho..
N: arey P tum kya jaano Arjunbhaiya ko to dono hi team ko ek dum acche se train kar sakte hain.. kyun bhaiya.. to aap sign kardo form mein kal de doongi.
A still thinking what to do.. N: bhiya itna mat sochiye.. is job se aapko papa ka jo pressure hain paise kamane ka vo bhi thoda halka ho jayega aur VJN university se aapka naam jud jayega to isse acchi aur kya baat ho sakti hain...
A gets convinced and agrees to sign the form and takes the pen and signs it. N and P look at each other and give hi-five to each other..
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Nighttime phone call
S: hello kahan gayi N... N: yahin hoon bas soch rahi hoon ki yeh hum jo kar rahe hain vo sab thik hain na?
S: kyun tumhe kutch galata lag raha hain?
N: nahin par thodi ghabrahat ho rahi hain.. kyunki Arjun bhaiya ki aas hamne bandh di hain is post ke liye aur agar unhe ye nahin mila to vo toot na jaaye..
S: aisa kutch bhi nahi hoga.. mana ki A ne socha nahin tha is post ke baarein mein aur hum unko kahin na kahin apne swarth ke liye unhe force kar rahe hain par agar dekha jaye to A ke liye yeh bahut hi acchi opportunity hain. Aur agar yeh unhe mil jaat hain to unke kafi saari pareshani ka haal unhe mil jayega.
N: accha vo dusara banda kaun hain jisne coach ki position ke liye application di hain?
S: umm vo.. Vicki hain..
N: Vicki?? Apna senior Vicki? Karthik ka cuz Vicki ( flashback of tashan between Vicki and S and grp). S ye to bilkul bhi accha nahin hain.. ab kaise Arjun bhai ko yeh position milegi.. ab to yeh mumkeen hi nahin hone wala.. kyunki Vicki to VJN ka hi hain aur principal mam use hi lengi.
S: aisa jaroori nahin hain.. A is very talented and I have also played with him and he is really good ( flashback of A and S playing in inter school competition in PVKM) tum chinta mat karo mein kal principal mam se sifarish bhi kar doonga .
N: hmm .. thik hain chalo ab main rakhti hoon varna koi aa jayega..gn
S: kya naina.. ab to tum sirf gn se kutch aage badho.. ab to hamare rishtey ko mummy ka stamp bhi mil gaya hain.. ek kiss do na...
N: blushing.. kutch bhi..
S: kya kutch bhi.. to jo college ke pehle din pe diya tha.. usne aaj tak meri nind udake rakhi hain.. vo alag baat hain mein itna shock mein tha tumhari us harkat se kay usey puri tarah se enjoy nahin kar paya.. aaj ek baar fir dona.. please N ...
N: S koi aa jayega.. zid mat karo...
S: vo to tumhe maloom hain main ek baar zid pe aa jaato hoon to kya hota hain (flashback to S running barefeet on college ground as N had taken his shoes)
N: hmm par tumhe bhi maloom hain main tum se bhi badi ziddi hoon ..( N about to smoke cigaratte to prove her point )
S: accha baba yeh koi tashan ya zid ki baat nahin hain.. koi baat nahin aaj na sahi to thik hain kyunki mujhe maloom hain tum khud ek din mujhe saamne se dogi bhi aur mujhse mangoogi bhi... and he is smiling at the prospect of it.
N: blushing accha.. thik hain fir tab tak ke liye.. intezaar karo.. gn.. and hangs up and smiles...
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
College:
S aur N A ka form leke Pricipal mam ke pass jata hain . S : Mam yeah hamare cricket coach ke liye ek aur application frm hain Arjun Agrawal ka. Vo yahin Ahemdabad mein apni coaching classes chalata hain school ke bacchoin ke liye aur maine bhi uske saat school mein khela hain aur vo bahut accha cricketier hain.
Principal Mam: S tum jante ho Vicki ko sab favor kar rahe hain kyunki vo is college ki team ko janta hain.
S: sahi kaha mam aapne, par kabhi kabhi ek nayi soch aur ek nayi disha chahiye ek acchi team ko behtareen bana ne ke liye... aur vo soch aur disha Arjun de sakta hain. Main ye nahin keh raha ki usey select karna hi hoga bas meri yahin guzarish hain ke Arjun ko ek fair chance mile.. selection committee ke samne.
Princi thinking.. hmm baat to tumahari sahin hain S main dekhti hoon kya kar sakti hoon aur shaam tak sab ko pata hi chal jayega ki kaun coach hain jab tum practice ke liye aaoge.
S and N leave and come out of the office. N: S mujhe bahut dar lag raha hain agar princi ne unhe select nahi kiya to hum jis liy yeh sab kar rahe hain vo kaise pura karenge... and she starts fidgeting with her fingers.. S: N tum shaant ho jao mujhe yakin hain princi sahi faisla lengi aur vo Arjun bhaiya hain. He places his hand over hers and gives her comfort. Hum jo kar sakte the vo humne sab kiya hain.. ab bhagwan pe chod dete hain.. unhoney bhi kutch socha hoga hamare barein mein. Aaj shaam ko maloom to ho hi jayega kya ho raha hain uske baad milke kuthc aur sochenge agar A nahin select hote hain to. Tum chinta mat karo..
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Shaam ko cricket ground pe, cricket team ke saath saath bahout saare aur students bhi hain aur N, M, PT,P, ST, K, H bhi hain. tabhi N ki nazar Sunaina pe padti hain.. aur sunaina bhi N ko dekh ti hain aur ek smile deti hain...
Cricket team ko aage bulaya jaata hain aur cricket coach ka announcement hone hi wala hain. Principal mam aur sports teacher wahan aate hain aur announce karte hain ke is saal ke Inter collegiate cricket tournament ke liye VJN ke coach ke liye 2 davedar the. Bahut discussion ke baat hamne socha hain ke vo coach ...silence... Vo coach.. aur koi nahin apne hi college ka Vicki hoge...
S and gang become discouraged and N eyes are filled with tears and S looks at her and is very sad to see her cry..and looks away...
Tabhi Princi still speaking.. lekin kisi ne sujhav diya hain ke nayi soch aur nayi disha ek acchi team ko behtarin bana sakt hain ( flashback of S saying that to princi ) aur hum sab mante hain ki yeh baat bhi sach hain.. isiliye hum ne decide kiya hain ke is baar 2 coach honge.. VJN ke team ke liye... aur vo dusare coach hain Arjun Agrawal.. and Arjun walks in... Yeh aajse team ke strategic coach honge jo Vicki ko pura support karengein aur dono saath mein hi milke is team ko ek nahi unchai pe leke jayenge.. aur aasha pichle 3 saal sey jo trophy hum jeet nahin paye vo is saal hamare paas vapas ayegi.
So all VJN students please welcome new cricket coaches of VJN university- Vicki Shrivastav aur Arjun Agrawal.
Aur yehi dono decide karenge ke is baar team ka captain kaun hoga. Jiska chuav kal tak ho jayega.
N: khushi se P ko gale lag jati hain aur S ki taraf dekh ti hain aur ek acchi si smile deke thumbs up deti hain...
S: tabhi N ko dekh ke khusi ke marein M aur PT ko gale lag jata hain aur Arjun ko bhi gale lagane ki kosish karta hain.. A looks sternly at him.. yahan mein N ka bhai nahin .. tumhara coach hoon...isliye koi sharat nahin chalegi. Aur jo kaabil hoga wahi captain banega.
S N ki aur dekhta hain aur N bhi S ki aur dekh ke..ek acchi si smile leke ek flying kiss deti hain... jab Arjun bhaiya dusari taraf dekh rahe hote hain.. S is estactic to get the same flying kiss like the first day of college and puts his hand on his heart and starts to fall down and M and PT hold him and start laughing..
Dono coach sab team mates ka handshake karte hain aur kehte hain kaal se ek kadi practice ke liye sab taiyar ho jao.. is baat Jeet VJN ki hi hogi...
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Ghar jaate waqt
S aur gang is in classroom and enjoying their win of getting Arjun selected as coach and they are about to do a grp hug when Arjun shouts N and P.. yeh kya ho raha hain..
N and P goes still... hearing their name.. A : chalo mein ghar jaa raha hoon.. tum dono chalo mere saath...mein gadi leke aaya hoon...mein tumhara wait kar raha hoon niche...aapna bag leke aajaon jaldi sey...aur wahan se chala jata hain..
M: yaar hamensha S tujhse aisi bhool kyun ho jati hain... yaad hain tune is Arjun ko car jitvayi thi ( flashback to the cricket match in PVKM and Arjun winning car bcoz of S) aab yahi car dekhna tum dono ki love story mein villan ban jane wali hain...
PT: aur in 2 saaloin mein jo Rakesh sir ka daar gaya tha.. is Arjun ke aane se wapis aa gaya hain... hey bhagwan.. ab yeh bhi yahin hoga...matlab ek talwaar hamensha hamare sab ki gardan pe latke gi jab take yeh cricket match nahin ho jata..
S and N look at each other and get sad that now they wont be able to meet and talk as freely as A is going to be around.
S looks at N and tells her I am there with hand gestures and expiressions..Dont worry its for a short time.. no one can seprate us now.. N gives a faint smile..but remembers PVKM days jab papa hamensha aaju baju hi hote the...
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
No night time call as all are present at N house and they are talking about Arjun's new job right there at the living room.
N hears 2 rings 2 times and realizes S is trying to call but she knows she wont be able to talk today. Taiji saysyeh mua phone kitne saloon sey 2 baar baj ke bandh ho jata hain... kya maloom kya parehani hain is phone mein..
S realizes it seems today they wont be able to talk as all would be discussing A's new job in the living room and N wont be able to talk... he gets sad.. and puts on his Walkman and lies down to sleep...listening to yaad aa rahi hain.. tumhari yaad aa rahi hain...
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Cricket ground practice:
The whole team is ready to give test for being the captain of the team.. the front runners are Karthik , Sameer, Priyank and Ayush.
Un charo ko aage bulaya jaata hain aur kaha jata hain.. ki vo agar captain banana chahte hain to unhe batting ke saath bowling aur fielding ka bhi namoona dikhana hoga..
Ek ke baad ek sab batting ke liye aate hain eke k over ke liye.. aur S aur K ka score sabse accha hain.
Dusari test bowling ki: S ne 2 wicket li aur 2 run out kiye.. K ne 3 wicket li aur 1 run out kiya, K wins this round
Fielding test: all 4 are on the gound and other players are batting.. S succeeds in taking 2 catches and K can only 1 but he shows good fit so all are impressed so this is draw as well.
This way K wins the captainship as he has 3 points and S has 2. But they all agree S showed good cricket and they decide to make him the vice captain that way both K and S will have to together decide for the team and make them win. K is not happy at this and complains that he cant work with S but S comes and says. K yeh baat hamari aapsi dushmani ki nahin hain.. yeh baat apne college ke naam ki hain..mujhe maloom hain hum dono agar saath mein kaam karein to is team ko jita sakte hain.. K looks at S and nods in agreement but is not happy.
Arjun (A) has seen all this and has a faint smile on his face at what S just said...
The practice begins and A and Vicki both are doing good job in training the team and the team is also learning and getting good at the game.
N and the gang is there too to see the practice and Vicki looks at N and smiles...A and S both notice it.. and are not happy..
N is busy talking to the girl gang when a ball comes by her.. and she reaches for it to throw it back at the team when Vicki comes there and takes the ball from her.. and S is right there to take the ball as well. And sees Vicki smiling at N. He is getting a little annoyed and looks at M and PT to tell them keep N away from Vicki.. M and PT say don't worry we will take care of it.
M: arey N tujhe Kamya (KM) bula rahi hain class mein.. jaldi se usey kutch kaam hain.. N gives a weird look and goes with the gang to the class. Vicki notices N leaving and shows a faint sadness , that is noticed by S and he is getting super annoyed with Vicki giving so much attention to N ( flashback to freshers party when S asked to move them to the end of the list to give them time and Vicki had said No and when N had said he agreed immediately). S thinks I need to know what Vs intentions are.. and be careful too and alert N as well.
continued: Mission Arjun bhaiya... The execution.. jealous Sameer...